GUROOR AUR HAWAS - a long hindi sex story

Discover endless Hindi sex story and novels. Browse hindi sex stories, adult stories ,erotic stories. Visit theadultstories.com
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: GUROOR AUR HAWAS - a long hindi sex story

Unread post by admin » 14 Jan 2016 19:18

Shaam ho chuki thi...

Raat ka dhundhalka suraj ki roshni ka dum todne ke liye aasmaan me chaane lagi thi...

Kailashpur ki sarkari hospital...

Jo is waqt ya to mareezon ke milne-julne walon se abaad tha...

Ya hospital ke karmchariyo se...

Aur kuch aise logo se bhi... jiska makshad agar dusre logo ko pata chal jata.. to shayad... wo apne makshad ko pura na kar pate...

Shayad yahi wajah hai ki.. Hospital ke is chahal-kadmi waale mahol me ek sakhs khamoshi ke saath ek kone me khade hokar kisi ka intizaar kar raha tha..

Uski nazre hospital ke ek chamber ke band darwaaze par thi...

Jo ki kuch der baad khulti hai...

Dr. Riya haath me ek Ladies bag tangayi bahar nikalkar us chamber ke door lock karti hui hospital ke main gate ki taraf badh jaati hai...

Dr. Riya ko dekhte hi us anjan sakhs ki bhaanche khil uthti hai... Jaise uske manjil ki raah usye nazar aa gayi ho...

Wo sakhs apne mobile se kisi ko phone karke thodi dhimi aur dabi hui awaaz me :- abhi nikli hai... Tayyar raho...

Riya apni hi dhun me chalti hui hospital se bahar nikalti hui... Car parking ki taraf badh rahi thi..

Car parking hospital ke main gate se kuch hi doori par thi...

Hospital ke bahar bhi logo ki awazaahi thi...

Riya apni car ke kareeb pahunch kar jaise hi car ke door kholti hai ...

Uske mobile ki ring baj uthta hai....

Riya call attend karti hui car ke andar dakhil ho jaati hai...

Is baat se wo be khabar ki bagal me hi khadi ek car me se chaar aankhe usye hi ghoor rahi thi....

Kuch hi der me Riya ki car sadak par daud rahi thi..

Riya ke car ke kuch hi faasle par ek aur car usi raftaar ko qayam rakhte huye aage badh raha tha...

Kuch is tarah.. Jaise koi shikari kisi shikar ke piche pada hua ho...

Waqt aur jagah ki talaash me jahan koi teesra.. shikaar aur shikaari ke beech khalal na daal paye...

40-45 km p/h ki raftaar se car apni manjil tak pahunchne ki ummid me Badh rahi thi...

Riya ka ghar kailashpur hospital se laghbhag teen km ki hi doori par thi ...

Riya apne ghar ke kareeb pahunch chuki thi...

Lekin... Lekin... Riya ruki nahi...
Car Riya ke ghar ko piche chod chuki thi..

Door...aur door

Picha karne waale dono sakhs thoda pareshaan to hua...

Kyun Ki uske mutabik Riya is waqt roz ki hi tarah apne ghar ko hi jaana chahiye tha...

Jahan par Riya 8 mahine se akeli hi rahe rahi thi..

Uske tahekeek ke mutabik Riya ka husband bhi doctor hi tha... Jiski dehant kareeb dedh saal pahele hi kisi ne usko uski imandari ka tohofa maut ke roop me de diya tha..

Jiski file ab tak band ho chuki thi... ya band kar di gai thi...

Apradhi saboot mita gaya..
Aur kanoon aankh 5 patti baandh kar insaaf ka taraazu haath me liye khada hi rahe gaya..

Uske tahekeek ke mutabik Riya se zyada milne-julne waale bahot kam log the...

Ya phir unko is baat ka sahi tahekeek nahi ho paya ho ki Riya se is waqt kon zyaada milta hai... Aur kahan milta hai..

Riya dekhne me khubsoorat to thi... Magar jab se uska husband ka murder hua hai...
Uske chehere par zyadatar khamoshi waali sanzidgi hi raheti thi...
Jiske wajah se log usnse baat karne se thoda katraate the...

Aaj-kal wo shitara case ke maamle par kuch zyaada hi ghambeer nazar aati thi..

Jiska ek wajah ye bhi thi... Ki aise hi kuch maamlo ki wajah se uska husband ko bhi maar diya gaya tha..

Aur uske marne ke baad dusre doctor ko us kaam ke liye niyukt kiya gaya..
Aur wo doctor apradhiyo ke haatho bik kar report galat de di..

Is waqt dr.riya ki bhi kuch aise hi haalat thi...

Aur wo jaanti thi ki usye sacha ban ka rahene ke liye ho sakta hai ki uske saath bhi wahi maamla pesh aajaye... Jo uske husband ke saath aaya tha...

Lekib phir bhi wo bedhadak hokar apne husband ki hi raah me chalne ko tayyar thi...

Jis raah me zara si kamzori aur zara si laparawahi ka matlab hai... dushmano ke haatho ek dardnaak mout...
.....

Riya ki car ko kailashpur ki sarhad tak pahuncha chuki thi..

Kailashpur ke sarhad ke baad sadak bilkul sunsaan aur biyabaan tha...

In dono ko itna to pata tha.. Ki Riya apni car ko is raaste me zyaada door tak nahi le gayi hogi...

Kuch door chalne ke baad un dono ko us jungle ke raaste me kuch rosni nazar aata hai...

Jo ek chote se makaan se aa rahi thi...

Wo dono badi satarkta barat'te huye aagy badh rahe the...

Us biyabaan aur andhere jungle me ek khel shuru ho chuka tha..

Shikaar aur shikaari ka khel..

Magar ab ye kahena mushkil tha... Ki shikaari kon hai aur shikaar kon...?

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: GUROOR AUR HAWAS - a long hindi sex story

Unread post by admin » 14 Jan 2016 19:18

Dono picha karne waale
Apni mobile ke light ka sahara lete huye aagy bad rahe the...

Unka makshad jo bhi tha..
Wo dr. Riya ke liye khatarnak hi tha...

Pal-pal khatra Riya ki taraf badh rahi thi......

Magar kab kiska pal kiske saath wafa karti hai..
aur kiske saath bewafaai...
Ye to aane waala pal hi batayega...

Dr. Riya car me hi baithi kisi baat ka intizaar kar rahi thi...

Uske chehere ke asaar bata rahi thi ki wo kisi makshad ko poora karne ki dhrid shankalp ko apne khouf par haawi karne ki koshis kar rahi hai...

Uske khoufzada chehere par uski burai se ladne ka hosla baar-baar aakar usye himmat de rahi thi..

Usye is baat ki khabar ho chuki thi ki uske piche uski mout saaye ki tarah uski taraf badh rahi hai..

Ab wo aisi jagah par thi... jahan se aage badhna bhi mushkil tha..
Aur piche bhi hatna dushwaar thi...

Aur is andhere me car se utarakar bahar bhi wo jaane se ghabra rahi thi...

Uske zehan me shirf do hi baat kondh rahi thi..

Ek to apni makshad ki kamyabi ke raaste par ek qadam aage badh jaana...

Aur dushra apni sachaai ke raaste par chalti hui.. Mout ke aagosh me sama jaana...


Car ke peeche kuch aahat mahesoos hoti hai...

Aane waale palon ke khayalaat ab uska hosla bhi tod rahi thi...

Usko ab har pal mout kareeb aati hui mahesoos ho rahi thi...

Ghabrahat uski saanson ko atkaane lagi thi...

Wo apni khayalaat ko kam karne ke liye car ki stairing se apna maatha tika kar zor se aankhe band kar leti hai..

Tabhi car ke band shishe par unhe khatkhatane ki awaaz aane lagi...

Uska dil zoro se dhadakne lagi..
Uska jishm khouf ki wajah se tharr-thar kaampne lagi..

Phir bhi himmat karti hui..
Usne apna sir ko staring se dhire se uthaya..

Apni nazar ko shishe ki taraf ghumai...

Koi bahar apne chehere par torch light maar kar apni pahechan karwa raha tha...

Jise pahechaante hi Riya ne ek gaheri saans kheech kar apne aap ko itminaan dilayi...

Aur jhat se car ke door kholkar .. Bahar aati hui us sakhs ke seene se is tarah chipak gai.. Jaise wo usye mout ke munh se kheench kar nikaalne waala koi farishta ho...

Riya us sakhs ke seene se chipak kar subak-subak kar ro padi...

Riya :- oh...jainu...ye sab kya ho raha hai.!?

Jainu :- bas karo yaar...!... Tum abhi se himmat haar baithogi to aage ka kaam kaise kar paaogi... !?... Tumhe to bahot himmat waali banna hai... ! Dekho aaj tumhari hi himmat ki wajah se do apradhi humare giraft me hai... Ab yahi apradhi hume aage ka raasta batayega...

Riya apne aapko sambhalti hui.. Jainu ke seene se alag hoti hui..:- par jainu... Tumhe kaise pata ki ye log mujhe maarne ke liye mera peecha karne waale hai...?

Jainu :- kya yahin par sab sunogi ya andar bhi chalogi...

Riya kareeb ke us makaan ko dekhti hui.:- oh... Jainu ... Tumhara khufiya ghar bhi to is andheri jungle me bilkul bhootkhaana jaisa lagta hai...

Jainu :- haan-haan.. Ye bhootkhaana hi to hai.. Bas ek bhootni ki kami thi.. Tum aajaogi to wo bhi poori ho jaayegi...ha..ha..ha...

Riya :- chal hat badmaash... Kya Main bhootni hoon..?

Jainu :- nahi... Mai bhoot hoon.....aur tum bhoot ki.....

Riya aur jainu ek dushre ke kamar me haath daale... Baaten karte huye us makan ki taraf badhne lage... Jahan se roshni chan kar in dono ke raaste ko roshan kar raha tha...

Jaise hi Riya makaan me dakhil hua unke zehan me ek sawaal uth gai :- jainu... Kahan hai wo dono apradhi...?

Jainu :- sabar karo yaar... Usye humare aadmi laa hi rahe honge.. Chalo yahi baith kar intizaar karte hai.. Tumhaare aashiq ka...

Riya shakal banate huye :- aaasheeeq...

Front room ke shofe par dono baith kar thoda relax hone lage...


Jainu :- aur nahi to kya ... Koi aashiq hi to apne mashuqa ka is tarah peecha karta hai na..! .. Ha...ha...ha..

Tabhi us makaan ke darwaaze par do mard apne kandhe par do bandhe huye mard ko le kar andar dakhil hota hai..

Jainu :- lo aagaya.... Le chalo andar ise... aur TD room me band kar do..

Wo dono un apradhiyo ko andar ke kamre me le jaata hai..


Riya :- are jainu... Ye behosh kaise ho gaya...?.. Aur ye TD room kya hai..?

Jainu :- ha...ha..ha... Inhe chloroform sunghaya gaya hai... Aur TD room... Yaani Third degree room .. Jahan par inse inke baap ka aur unke baap ke karnamon ki kahani inhi ki zubaani suni jayegi...

Riya :- acha ab ye batao tumhe kaise ye sab...

Jainu Riya ke sawaal samajhte huye uske sawaal poora karne se pahele hi shuru ho gaya ...

Jainu :- Riya tum jaanti hi ho ye log humaare police ke beech me se hi apna aadmi tayaar karte hai ... Jo apni na khatm hone waale laalach ki wajah se unke kaale dhandhe me unka saath deta hai... Aur har kanooni danw-painch se asaani se bach jaata hai... Yahi ho raha hai aaj har jagah.. Koi na koi kanoon ke rakhwaale ke bhesh me kanoon ka dushman humaare beech mauzood hai..
Sajid jaisa desh ka gaddar jab tak humare beech mauzood rahega tab tak kanoon Raghu jaise apradhiyo ka saath deta rahega.. Kanoon ke julm se log dar kar apradhiyon ke khilaf awaaz uthane se bhi darega..
Isiliye humne aur humare bharose ke kuch adhikariyo ne Raghu aur Sajid jaise logo ka parda faash karne ka kuch alag tareeka akhtiyaar kiya hai... Jis tarah unke kuch aadmi humare beech mauzood hai.. Usi tarah humare bhi kuch aadmi khufiya tour se unke beech mauzood hai...
Wahi hume unki kuch khaas khabre hume pahunchate rahete hai... Is waqt tum Raghu aur Sajid ke liye sabse badi kanta bani hui ho... Sitara murder case ministry level tak pahunch chuki hai... agar postmortem report positive aaya to DNA taste bhi ho sakta hai... Is baat ki khabar un apradhiyo ko bhi hai... Isiliye wo tumhe marna ya kidnapp ka plan banaya hai... Aur wo kaam ye tumko akela paakar hi kar sakta hai.. Jo tum humesha apne ghar par hi raheti ho.. Isiliye ek aadmi ko aapke ghar kareeb tainaat kiya gaya hai... Jiski aapko bhi khabar nahi hai...
Aur ek aadmi aapke hospital ke aas-paas bhi mauzood hai...
Jisne pahele hi un aadmiyon ko dekh liya tha...
Aur unhe wahan pakd lene se duniya ki nazar me wo jaata .. Aur usye jail me bhejna padta... Jahan par inko chhudane waale beshumaar hote... Yahi wajah hai inhe tumhare jariye yahan tak laane ka... Yaha par wo kisi ko phone karke khabar bhi nahi kar sakta... Kyu ki humne yahan ke kuch jaghon par network fail karne waali machine laga rakhi hai... Jab chahe usye hum yahin baithe-baithe on karke network uda sakte hai...
Bas phir jo bhi hua wo aapke saamne hai...
Aap ka husband dr.ravikant sahab mera bahot hi acha dost aur dusre lafzon me kahun to wo mere liye ek idol tha.. Maine unse ek baat seekhi hai... Desh ki sewa imandari se karte huye mar jana usse bahetar hai... jo desh se gaddari karke shaan se jiye... Aur usne ye karke bhi dikhaya ... Mai us waqt duty pe naya tha.. Isiliye mai unke apradhoyo ko saza dilwane me ashamart raha... Magar ab... Ab nahi... Ab wo apradhi ya to shalaakho ke peeche nazar aayega ya is jainuddin ki laash par wo jashn manayenge...

Riya badi gaur se sun rahi thi...

Jainu thoda saans leta hua:- aur haan ek aur murder ho chuka hai...

Riya haraani ke saath :- kyaaa ?... Kiska...?

Jainu :- zaina ki... Sajid ki bahan Hina ki nanad ... Zaina ki... Ye baat mujhe dr. Shama ne aaj phone par bataai hai...
Aur Shama ko shak hai ki uska qatil koi aur nahi khud Sajid hai... Shama ne jo baate bataai ussy ye lagta hai ki Sajid ka zaina se jishmani taalluk tha hoga aur bhi bahot kuch baate hai jiska pata Shama hi laga sakti hai... Raghu Shama se milna chahata hai... Sajid ki kuch raaz bataana chahata hai... Par kyu... Ye is waqt nahi kaha ja sakta... Bas.... Thoda intizaar karo ... Is waqt Sajid Punjab gaya hua hai... Duty ke naam par Jagat se milne.. Jiska do number ka kaam Punjab se lekar kailashpur tak chalta hai..

Baate dono me hoti rahi...
Raate bhi gujarti gai...

Riya ab jainu ke usi khufiya makaan me tab tak tharne ka faisla kiiya.. Jab tak wo apradhi hiraasat me na aajaye jinse Riya ki jaan ko khatra ho sakta tha...

.........

Bisaat bicha di gai...
Har taraf se chaale chali jaa rahi thi ...
Magar kon sa mohora kab aur kaha chali jaayegi... ye is waqt kahena mushkil hai..



Post Reply