Kiraye ka Pati-compleet

Discover endless Hindi sex story and novels. Browse hindi sex stories, adult stories ,erotic stories. Visit theadultstories.com
raj..
Platinum Member
Posts: 3402
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Kiraye ka Pati-compleet

Unread post by raj.. » 16 Oct 2014 08:13

Kiraye ka Pati--1

"Raj Sonia madam apni office me tumhse milna chahengi," meri secretary ne mujhse kaha.

Ye ek aisa vakya tha jo koi bhi Verma International me sunna pasand nahi karta tha. Iska sidha matlab tha ki aaj se aapka wajood ek itihaas banne wala hai. Sonia Verma ka ye manna tha ki wo khud apne har karmachari ko kharab khabar sunana pasand karti thi bajai apne kisi adhikari se.

Pichle kai saalon se Verma International ka dhanda dheema padta jaa raha tha. Kharchon ko kam karne ke hissab se wo apne karmchariyon me katauti karte aa rahe the. Mein samajh gaya ki aaj mera number hai, mujhe phir interview ki line me khada hona padega.

Meine Sonia Verma ke private office ke darwaze par dastak di.

"Come in," mujhe Sonia ki awaaz sunai di.

Meine darwaze ko dhakela aur uski office me kadam rakha. Sonia apni mez se uth kar mere paas aayi aur apna hath mujhse milaane ke liye aage badha diya. Use dekh har bar ki tarah fir mere sharir me ek jurjuri si fail gayi. Wahi sunder chehra, gora badan aur figure kya kehne thik kisi model ki tarah.

"Hai Raj kaise ho? Accha laga tumse milkar, baitho." Usne apne madhur swar me kaha.

Hath milane ke baad wo apni mez ke piche ki kursi par baith gayi aur mein uske saamne ki kursi par. Mere baithte hi usne apne samne folder ko khola aur kuch padhne lagi, fir usne meri taraf dekha aur fir file ko padhne lagi.

"Raj tum hamari company me kitne saalon se kaam kar rahe ho?" usne pucha.

"Lagbhag 10 saal se, apni high school ke thik baad hi meine aapke pitaji ke sath kaam karna shuru kar diya tha." meine jawab diya.

"Badi mushkil hoyi hogi tumhe, din bhar office me kaam karna phir raat ko college me padhna." Sonia ne kaha.

"Itna asaan to nahi tha Miss. Verma, par aapke pitaji ne meri kafi madad ki is vishay par." Meine kaha.

"Haan mujhe pata hai. Wo apni dil ki baat juban par nahi la paye nahi to hamesha unhone tumhe apna bete ki tarah mana tha. Pitaji ne tumhe tumhari padhai ke liye udhaar bhi diya tha jise unhone tumhari graduation ka tohfa kehkar maaf kar diya tha. Aisa unhone kyon kiya Raj?" Sonia boli.

"Mujhe pata nahi." Meine jawab diya.

"Tumhe pata hai Raj aur mujhe bhi pata hai. Tumne aisa kyon kiya Raj? Tumne us jhamele apni gardan kyon fansai?" Sonia ne kaha.

"Aapke pitaji bahot hi acche insaan the Miss Sonia, aur mein nahin chaahta ki koi randi unki jindagi barbad kar de." Meine jawab diya.

"Kya tumhari padhai ke liye paise dena fir inaam me maaf kar dena uski keemat thi?" Sonia ne pucha.

"Nahi madam aisa nahi tha. Aapke pitaji mujhe pehle hi udhar de chuke the aur use mera graduation present keh maaf kar chuke the. Aur ye wo ek karan tha jiske liye meine sab kuch kiya. Unhe meri madad karne ki jarurat nahi thi, unhone jo kuch kiya apne dil se kiya, aur koi bhi insaan ye sab sehan nahi kar sakta ki koi paise ki bhooki randi kisi aise acche insaan ke sath ye sab kare." Meine kaha.

"Tum khushnaseeb ho ki us samay DNA test ka chalan nahi tha, agar hota to tumhari kahani hawa gayi hoti." Sonia boli.

"Aisi baat bhi nahi thi, fifty fifty chance tha meri kahani har haal me sach saabit ho jati." Meine jawab diya.

"Tum aur Pitaji ne milkar ye sab kiya,"

"Mujhe nahi pata ki aapke pitaji ne kya kiya, par mail room ke aadhe se jyada karmachari ye kar sakte the. Unme se koi bhi uske bacche ka baap ho sakta tha." meine kaha.

raj..
Platinum Member
Posts: 3402
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: Kiraye ka Pati

Unread post by raj.. » 16 Oct 2014 08:13

"Phir bhi aisi kya baat thi jo tumne uske khilaaf gawahi di. Jab usne kaha ki mere pitaji ne use garbhwati banaya hai, par usne tumhe bataya tha ki wo baccha mere pitaji ka nahi hai, wo to sirf paison ke liye aisa keh rahi hai." Sonia ne kaha.

"Imaandari aur namak halali aur kuch nahi." Meine jawab diya.

"Par meine suna hai tum purane khayalaton ke ho?" Sonia ne kaha.

"Jahan tak mera sawaal hai Imaandari aur Namak halali waqt ke sath nahi badalti Madam." Meine jawab diya.

"Kya aisa ho sakta hai ki jo imaandari aur namak halali tumne mere pitaaji ke sath dikhayi thi wo unki aage ki pidhiyon ke sath bhi kaayam reh sakti hai." Sonia ne prashna bhari nazron se mujhse kaha.

"Aapka kehne ka matlab kya hai, mein kuch samjha nahi?" meine pucha.

"Itna hi Raj, kya tum wo hi imaandaari aur namak halali mere sath nibha sakte ho?" Sonia ne kaha.

"Miss Verma mein abhi bhi aapki baaton ka matlab nahi samjha." Meine kaha.

"Raj mein kafi musibat me hoon aur mujhe ek aisa insaan chaahiye jo mujhe is musibat se bahar nikaal sake." Sonia thode dukhi swar me boli.

"Miss Verma mujhse jo ho sakega mein karunga." Meine kaha.

"Ho bhi sakta hai aur nahi bhi Raj. Sabse pehle to tum ye samajh lo ki tumhe kafi jillat se guzarna hoga, aisa bhi waqt aa sakta hai ki tum mujhse nafrat karne lago. Aaj raat ka khana mein tumhare sath khana chahungi Raj jahan hamari baaton ko koi sun nahi sake, warna deewaron ke bhi kaan hote hai ye meine suna hai. Kya mein tumhe aaj raat 7.00 baje pick kar lun?' Sonia ne kaha.

"Haan kyon nahi, mein aapko mere ghar ka pata de deta hun." Meine kaha.

"Iski jarurat nahi hai Raj, mujhe pata hai tum kahan rehte ho."

Shaayad in baaton ke dauran mere chehre par ajeeb bhav aa gaye honge, "thoda intezar karo Raj, aaj ki raat tumhe tumhare har prashna ka jawab mil jayega."

Thoda sa intezaar karo, uske liye kehna asaan tha par mere liye nahi. Use kaise pata ki mein kahan rehta hun. Deewaron ke bhi kaan hote is baat ka kya matlab hai, wo mujhse kya chahti hai inhi sab khayalon me khoya mein apni desk par baitha tha. Mein inhi khayalon me khoya tha aur apne kaam par bhi dhyaan nahi de paaya.

Mere deemag me yahi ghoom raha tha ki aaj ki raat khaane par wo mujhse kya kahegi.

"Raj mein chahti hoon ki tum mujhse shaadi kar lo." Sonia ne kaha.

Sonia ki baat sunkar mera sharir pathar sa ho gaya. Mujhe usse is baat ki umeed nahi thi. Badi mushkil se meine apne aapko sambhala aur gehri saans lene laga.

"Raj aaj ki raat mein tumhe sab kuch bata dungi aur mujhe umeed hai ki jo bhi baatien hum dono ki bich hogi use tum raaz hi rakhoge. Jo mein tumse keh rahi hoon tum mano ya na mano ye tumhari marzi hai, mein to sirf tumhare aur mere pitaji ke sambhadon ko dekhte hue tumse ye keh rahi hun. Kya tumhe pata hai ki unhone apni vasiyat me likh rakha hai ki tum hamesha Verma International ke liye kaam karoge. Iska matlab hai ki koi bhi tumhe na to naukari chodne ke liye keh sakta hai aur na hi tumhe retire kar sakta hai." Sonia ne kaha.

"Mujhe is baat ki jaankari nahi hai." Meine kaha.

"Tumhe jaanane ki jarurat bhi nahi hai, mein tumhe ye baat sirf isliye bata rahi hun jo mein tumse maangne jaa rahi hun, agar tum us baat se inkaar karte ho to tumhe tumhari naukari ka koi dar na ho. Kya tum aisa kar sakte ho Raj?. Kya tum mujhse ek wada kar sakte ho? Aaj ki raat tum chaho jo faisla karo, par jo baatein mein tumhe batane jaa rahi hun wo sirf tumhare aur mere beech rehengi." Sonia ne kaha.

"Ye baat aap pehle se jaanti hain Miss Verma varna mein aaj yahan aapke saamne na bitha hota." Meine kaha.

"Haalaton ko dekhte hue mujhe lagta hai Raj tum mujhe Sonia naam se pukaro to jyada achha rahega. Hum pahunch gaye," Sonia ne gadi ek restaurant ke saamne roki, "Raj jaise hi tumhare gale ke niche pehla paig jayega tumpar mein ek bijli si girane wali hun." Sonia ne kaha.

Kramashah…………………………………..

raj..
Platinum Member
Posts: 3402
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: Kiraye ka Pati

Unread post by raj.. » 16 Oct 2014 08:14

Gataank se aage……………………………..

Mere chehre pe aaye bhavon ne use muskurne par majboor kar diya, "mein jaanti hu aaj subah se tumhare deemag me hazaron prahsna ghoom rahe the, par mein shart laga sakti hun ki tumhe mujhse asie sawaal ki umeed nahi thi."

"haan Madam mein sapne me bhi nahi soch sakta tha ki aap mujhe ye kahengi." Meine kaha.

"Raj meine tumse kaha tha ki mera naam Sonia hai, to kaisa laga tumhe mera prastav?" Sonaia meri aankhon me jhankte hue boli.

"Agar sach kahun to mujhe dar sa lag raha hai, aur meri samajh me nahi aa raha hai Miss..Sonia…….."

"Mein tumhe saaf saaf batati hun, aarthik kaarno se mujhe pati ki sakht jarurat hai, aur mer apni majboori hai ki jisse mein pyaar karti hun wo mujhse filhaal shaadi nahi kar sakta." Sonia ne jawab diya.

"Maaf karna madam, meri samajh me ab bhi aapki baat nahi aayi." Meine kaha.

"Mein tumhe ye to nahi bata sakti ki mein apne premi se kyon shaadi nahi kar sakti par baaki ki sab baatien tumhe batati hun. Mere pitaji ne apni vasiyat kuch ajeeb kism ki likhi hai, aisa unhone kyon kiya ye wo hi jaante hai. Haan to mein keh rahi thi ki pitaji ne apni vasiyat me likha hai ki agar tees saal ki umra tak agar meine shaadi nahi ki to sari daulat alag dharma Sansthaon ko daan me de di jayegi. Sari daulat teen hisson me banti gayi hai jinke teen trustee hai. Ye daulat mujhe meri shaadi par mujhe mil jayegi," apni saanso ko kabu karte hue Sonia ne kaha.

Thodi der apni baation ko rok wo pani ke glass ko table se utha peene lagi. Uski aankhon me gehri chinta aur pareshani saaf nazar aa rahi thi. Usne apni baat jari rakhte hue kaha.

"Sat mahino me mein tees saal ki ho jaungi. Jisse mein pyaar karti hun wo kisi karan vash mujhse shaadi nahi kar sakta aur mein apni daulat ko apne hath se jane nahi de sakti. Apni daulat bachane ke liye mujhe ek pati ki jarurat hai, par pati bhi kuch khas kism ka hona chahiye." Sonia ne kaha, "Raj tum dhyan se sun rahe ho na meine kya kaha."

"Haan me sun raha hun, aap aage kahen," Raj ne kaha.

"To mujhe ek khas pati chahiye jo acchi tarah samajh le ki wo sirf naam ka hi mera pati hoga. Jismani rishta bahot kam hoga aur agar hoga to bhi ek tarfa hoga. Wo ye bhi achi tarah samajh le ki uska pratyaksh roop me kafi apman hoga. Waise apmaan sirf dikhawe ka hoga jisse wo paanch saal bad mujhse talak le sake. Aur in paanch saalon me use mujhe maa banakar baap bhi banna hoga. Kya tum ye kaam karne ko tayyar ho Raj?" Sonia ne kaha.

"Abhi kuch tay nahi kar paya hun, aap aage batayen ki mujhe kya milega aisa karke?" Raj ne pucha.

"Thik hai mein tumhe batati hun. Tumhare naam se kisi bank me 50 lakh rupaye jama kara diye jayenge. Par paanch saalon tak tum us rakam ko nahi paa sakte. Tum mere sath rahoge, aur mein tumhare har kharche ka bhugtan karungi. Tumhe ghar, gadi jo tum chaho, jis club ki membership chaho milegi. Jeb kharch ke liye tumhe 20,000/- mahina mila karega. Iske badle me tumhe ye wada karna hoga ki tum hamesha mere sath imaandar pati bann kar rahoge. Ab accha lag raha hai sunkar." Sonia ne kaha.

"Haan acha to lag raha hai, par kuch pareshaniya hai."

"Aur wo kya hai?" Sonia ne pucha.

"Tumne kaha ki hum dono me jismani rishta kam se kam rahega aur mujhe patnivrata ban kar rehna hoga. Ab is umar me mein chudai ke bina nahi reh sakta." Raj ne kaha.

"Agar tumhari chudai wali samasya ka mein koi intezam kar dun to kaisa rahega." Sonia ne kaha.

"Jo sab tumne kaha wo sunne me to accha lag raha hai, par dusri adchane bhi hai. Jaisa mera attma saman. Tumne kaha ki mujhe apmaan sehan karna hoga, mein janna chahta hun ki kahan tak." Raj ne pucha.

"Tumhe koi jismani apmaan ya nuksan nahi pahunchne wala. Haan boli se jarur hoga jisse hame talak lene me asaani ho." Sonia ne kaha.

"Phir bhi kuch cheezen hai jiska mein khulasa karna chahunga." Meine kaha.

Sonia prashna bhari nazron se mujhe dekhne lagi, Wo soch me pad gayi. Meine uske deemag ki halat dekh kaha, "Thik hai agar tumhe meri kuch shartein manzoor ho to mein ye kaam karne ke liye tayyar hun."

"Aur wo kya hai?" Sonia ne pucha.

"Hum dono ke beech ek likhit agreement banega, jissme tum sab sach sach likhogi. Agreement me ye likha hona chahiye ki paanch saal bad mujhe 50 lakh rupaye mil jayenge, aur agar kisi karan vash hamare bich ye samjhauta 5 saalon tak nahi chalta to bhi mujhe ye rakam milegi aur usme meri koi galti nahi hogi, bolo manjur hai?'

Sonia thodi der tak meri aankhon ki gehriyon me jhaankti rahi phir boli, "Thik hai mujhe manjur hai," aur usne apna hath milane ke liye aage badha diya. Meine uska hath pakad mila liya.

Waise to ye sab ek asaan kam sabit hua, par atpaata bhi. Uska premi ek nihayat hi kaiyan kism ka insaan tha. Uska naam Amit Kapoor tha. Wo kisi karan vash Sonia se shaadi nahi kar sakta tha, aur Sonia ke pitaji ki vasiyat ke anusar Sonia ko 30 saal ki umra tak shaadi bhi karnit thi aur 35 saal ki umar tak ek bacche ki maa bhi banna tha.

Post Reply