Teri Meri Love Story - hindi romance story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:47

Update 13





Ghar par jane ke baad aditya change
karke bed par let jaata hain par uski aankhon men to neend ka naaamo
nishaan nahin hotaa hain aur uske man ke andar ek anokhi kashamkash chal
rahi hoti hain par yah kashmkash uske man men apne aur deepa ko lekar
nahin hoti hain balki abhiman aur pooja ke liye hoti hain par achaanak
uske man men yah aa jaataa hain ki agar chaachaaji naa bol de to jaraa
pareshaani aa sakti hain aur man hi man men yah sochne lagtaa hain ki
agar yah pareshaani bhi agar vikram aur vaishnavi ke waqt hui thi waisee
ho gayi to ?



Par wo apne aap ko samjhaane lagtaa hain ki abhiman vikram ke mukaable
jyaadaa emotionally strong hain par wo jarur pooja ko jindagi bhar ke
liye nahin bhulaa sakegaa aur achaanak se uski aankh lag jaati hain uski
aankhonke saamne usko wahi din firse yaad aa jaata hain jab wo vikram
ko lekar vaishnavi ke papa se baat karne gayaa thaa



Unke bungale se baahar niklne ke baad to bas jaise vikram kuch bhi
kahne sunne ki haalat men hi nahin thaa to aditya usko saath lekar apni
gaadi ki taraf chal detaa hain aur jald hi wo apni gaadi men hote hain
waise to aditya apne sabse bade bhai vikram se emotionally bahut attach
jaisa thaa aur wo vikram ko is haalat men dekh to nahin saktaa thaa so
wo apnaa dimaag daudaane lagtaa hain aur usko achaanak kuchh baaten yaad
aa jaati hain aur wo apni gaadi lekar seedhe apne ghar ki taraf gaadi
lekar chal padta hain jo ki lagbhag wahaanse 200-220 km thaa



Par unke ghar pahunchane se pahale hi vaishnavi ke papa kaa vikram ke
daadaaji ko phone aa jaataa hain aur unhen wo sab sab baaten bataa dee
jaati hain jo ki aaj subah huyi thi so dadaji turat vikram ko phone
karte hain par vikram apnaa phone to silent mode par karke rakhaa huaa
hone ke kaaran jaan nahin pata hain ki dadaji usko phone karne ki
koshish kar rahen hain to baad men daadaaji aditya ko phone kar dete
hain



Dadaji “hello aditya kidhar ho tum aur vikram?”



Aditya “ji wo mere saath hi hain aur hum ghar hi aa rahen hain yahaan jaraa ek baat ho gayi hain”



Dadaji “sab pataa hain mujhe abhi thodi der pahale phone aaya that um donon ghar aa jaao mujhe tum dononse baat karni hain”



Aditya “jee thik hain annai”



Aditya phone rakh detaa hain aur sochne lag jaataa hain ki ab dadaji
kaa saamna kiyaa kaise jaaye yahi sochte sochte wo gaadi drive karke
apne ghar pahunch bhi jaataa hain



Darasal men aditya annasaheb jahagirdaar ka potaa hotaa hain jo ki
state men hi nahin balki uske upar bhi bahut badi political power rakhte
hain aur state ke fianance minister hain





Aditya Ghar men jaata hain aur apni gaadi garage men lagaata hain to
dekhtaa hain ki ghar ki sab cars ekkattha hain yaani ki sab ghar men hi
maujud hain aur man hi man men yah sochtaa hain ki



‘Vikram bhai to bach jaayenge unko unki haalat ki wajah se koi bolegaa
nahin par aaj sab mujhe hi pakad kar sawaal bhi puchhenge aur meri hi
sab milkar band bajaa denge’



Sochte sochte wo ghar ke darwaaje men khadaa rah jaata hain aur
dekhtaa hain ki daadaaji drawing room men hi sofe par baithe huye hain
aur unke saath donon chaachaa baithe hain aur kuchh baatchit ho rahi
hain aur baaju men hi daadaaji kaa PA khadaa hain to wo donon
hichkichaahat ke saath anadar aate hain aur aditya sabhi log jahaan
baithe the wahaan par uski najaren ek khaaas aadmi ko dhundh rahi hoti
hain jinse aise waqt men saamna karnaa wo nahin chahataa thaa aur wo the
uske papa



Aditya ko achaanak yaad aa jaata hain ki uske papa aaj hi kisi
business tour ke liye baahar jaane waale the isiliye wo yahaan nahin the
aur aditya bach gayaa thaa



Aditya aur vikram donon andar aakar unke saamne se andar jaane lagte
hain tabhi pichhe se aawaj aati hain “aditya vikram idhar aao”aditya
pichhe mudkar dekhtaa hain to uske dadaji ne aawaj diyi hui hoti hain
donon chupchaap jaakar unke saamne khade ho jaate hain wo bhi sar
jhukaaye huye



Tabhi dadaji unse kahate hain “baitho mujhe tum dononse baat karni hain”



Donon daadaji ke saamne ke sofe par baith jaate hain aur man hi man sochte hain ki ab unke naseeb men kyaa likhaa hain



Dadaji “vikram tumhe yah baat pahale mujhe bataane ki jaraurat nahin samajhi”



Donon sar jhukaaye aise baithe hote hain jaise unhone koi chori kiyi
ho aur pakade jaane ke baad police ke saamne baithe ho 2 minat ke baad
daadaji aditya ki or muh karke puchhte hain

Daadaaji “aditya tum is sab ke baaren men kyaa jaante ho?”



Aditya firbhi chup baithaa rahtaa hain aur koi jawaab nahin detaa hain
ab uske daadaaji ko thodaa gussa aa jaata hain aur wo bolte hain



Daadaaji “kyaa tum donon putale ban gaye ho mujhe jawaab chahiye hain”



Tab aditya thodaa darte darte huye boltaa hain “ji anna main sab kuchh jaanta hun”



Tab wo firse aditya ko puchhte hain “tumhe kabse pataa yah yah sab?”



Aditya “ji main to shuruaat se jaanta hun”



Daadaaji “to tumhe aisaa nahin lagaa ki madhav se baat karne se pahale mujhse baat karnaa jaruri nahin samjhaa?”



Aditya “mujhe lagaa ki vikram khud aapse baat kar legaa is wajah se main kuchh bhi nahin bola”

Dadaji “to fir tumhe maadhav ke paas jaate waqt kuchh bhi nahin pataa thaa ki kyun jaa rahen ho?”



Aditya “nahin mujhe kuchh bhi nahin pataa thaa mujhe lagaa ki vikram
bas vaishnavi se milne ke liye jaa rahaan hain aur mujhe bas gaadi
chalane ke liye saath le jaa rahaa hain”



Daadaaji thodi der kuchh sochte hain aur vikram se puchhte hain “vikram kyaa tum us ladki se shaadi karnaa chahte ho?”



Vikram kuchh bolne ki mansthiti men nahin thaa par daadaaji usse wahi sawaal dohraate hain to

vikram “anna main ek hi baat jaanta hun ki main us ladki ke siwaas jee
nahin saktaa hun aur uske binaa jeene men meraa koi intrest nahin hain”



Yah kahkar vikram seedha uthkar apne room ki taraf chalaa jaata hain
to daadaaji apne sabse bade bête aur vikram ke papa surybhaan ki taraf
dekhte hain aur usse kuchh kahnaa chahte hain tabhi wo dekhte hain ki
aditya unki taraf hi najaren gadaaye baithaa hain aur jaananaa chahtaa
hain ki wo aage kyaa karenge



To dadaji aditya se kahte hain “tum andar jaao aur vikram kaa dhyaan rakho usko thodaa samjhaao”



Aditya uthkar sar neeche jhukaaye bas “jee anna” kahkar vikram ki room
ki taraf chalaa jaata hain wo andar jaakar vikram se kuchh baaten karta
hain aur usko vishwaas dilaata hain ki sab thik ho jaayegaa aur uski
shaadi vaishnavi se hi hogi wo thodaa dheeraj rakhe yah kahakar wo kisi
se phone par baatcheet kartke gaadi lekar milne ko chalaa jaataa hain



Darasal men manav deshmukh ko aditya acchi tarah se pahchaantaa hain



Jab aditya diploma first year men thaa tab manav degree final year men
thaa aur tab unki pahchaan hui thi aur usko manav ki love story ke
baaren men pataa hotaa hain jo ki uske collage life se hi thi wo bas ab
yah pataa lagaanaa chataa thaa ki uskaa yah premprakaran kahaan tak
pahunchaa hain jisse ki wo is maamle men uskaa faaydaa uthaa saken to wo
apne saath abhiman aur pratap ko bhi le jaata hain



Manav se milne par yah sunne ko miltaa hain ki uskaa aur rashmi kaa
affair bahut jor shor se chal rahaan hain aur wo bhi apni bachpan men
thaharaayi hui shaadi ki wajah se pareshaan hain wahaan aditya usko
kuchh aise bhadkaa detaa hain ki manav apne mata-pita ke khilaaf jaakar
shaadi karne ko taiyaar ho jaata hain aur fir aditya usko vaishnavi aur
vikram ke baaren men thodi see idea detaa hain aur subah ki huyi ghatnaa
bataa detaa hain jisseki ab iske baad uske upar jald se jald shaadi ke
liye pressure taiyaar ho jaayega aur uski wajah se ghar men emotional
blackmail wagairaa hone ke chances bhi bataa detaa hain to manav dusare
hi din ko court marriage karne kaa pakka kar detaa hain kul milaakar
aditya khush hokar ghar laut jaataa hain



Aditya ghar waapas aakar dekhtaa hain to ab ghar kaa maahaul thodaa
clear hotaa huaa dikhai detaa hain aur wo apne bed par let kar fir se ek
baar apne plan ke baaren men sochne lag jaataa hain par uske man men ek
aashankaa aati hain ki agar maanav ne shaadi nahin kiyi to uskaa puraa
plan fas saktaa hain to wo firse kuchh aur sochne men lag jaataa hain
aur isbaar ek aisee idea aa jaati hain jo ki jismen risk to hotaa hain
par kaam banne kaa full chance rahtaa hain



Wo uth jaataa hain aur apne saath abhiman, Pratap, aur vikram ko uthaa
letaa hain aur gaadi nikaal kar chalaa jaataa hain waise to sabhi ko
aditya ka nature pataa thaa ki wo kisi bhi waqt uthkar kahin bhi chala
jaata thaa isliye usko kisine rokne ki koi koshish nahin kiyi



Abhiman, pratap aur vikram ko kuchh bhi pataa nahin thaa ki wo kyun
aur kahaan jaa rahe hain bas wo aditya ke saath baithe the aditya apni
gaadi full speed men daudaa kar vaishnavi ke ghar ke paas pahunch jaata
hain tab tak subah ke 3 baj chuke hote hai. Wahaan par wo gaadi park
karke teenon ko plan samjhaataa hain aur gupp andhere kaa faaydeaa
uthaakar vikram aditya aur pratap bungale ki deewar faankar andar chale
jaate hain aur abhiman baahar hi gaadi chalu rakhkar ruk jaata hain
taaki agar kuchh ultaa seedha ho jaaye to wo bhaag saken. Aditya vikram
se puchhta hain ki vaishnavi ko phone Karen aur uska kamaraa kidhar hain
puchheaur khidki par aakar khade rahen



Vaishnavi phone par jaruri jaankaari deti hain aur teenon uske kamre
ke neeche pahunch jaate hain. Wahaan pahunchane par aditya aur vikram
upar vaishnavi ki pahale maale par ki khidki tak chadhne ki koshish
karte hain par vikram chadh nahin paataa to wo phone par hi vaishnavi ko
sab samjhaakar usko neeche aane ko kahaa par usko utarne men bahut dar
jaati hain to aditya kisi tarah se chadh kar uski khidki tak pahunch
jaataa hain aur uske hi dupattonki dori banaakar usko utaar detaa hain
aur baad men khud kud jaata hain wo firse deewar faankar baahar aa jaate
hain. Is darmiyaan aise kai waakiyaan hote hain jisse aditya aur
prataap khul kar hansane se baaj nahin aataa (vikram bilkul bhi nahin
hansaa aakhir agar aap apni girl friend ko ghar se bhagaa rhen ho to aap
apni girl friend par kaise hans paaoge?)



Gaadi men jaane ke baad to bas apne shahar men jane tak to aditya,
pratap aur abhiman hans hi rahen the ki unhone home minister ki beti ko
uthaakar laaya hain. Apne shahar jaate waqt aditya gaadi ko ek chhotese
gaanv men rokne ko kahtaa hain aur wahaan par hi ek mandir dhundkar un
donon ki shaadi karwaa detaa hain.



Uske baad to ghar men aane men dopahar ka 1 baj jaataa hain aur sabhi
gharon men tension thee. Aur ek hi tme par vikram aur maanav donon
shaadi karke ghar aa jaate hain. Home minister ke ghar ek hi waqt phone
pahunch jaata hain ki vaishnavi aur manav ne alag alag jagah shaadi kar
li hain. Baad men ghar men bahut sunaa suni hoti hain is baat par bête
ne shaadi kar li hain to ab vaishnavi ghar ki bahu hain yah kahkar
dadaji sab ko shaant kar dete hain.



Is shaadi ki baat ko donon gharon ki ijjat ke khaatir dabaaya jaata
hain aur baad men dhumdhaam se vikram aur vaishnavi ki shaadi karwaa dee
jaati hain. Aur aaj ke din men vikram state ke chief minister ka damad
hain.

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:51

Update 14





Do teen deen aise hi beet jaane ke
aditya ko uske chaachaaji ki rajaamandi aa jaati hain aur wo abhiman se
milne pratap ko saath lekar uske office chal padtaa hain



Uski gaadi jaise hi gate men se andar aati hain waise hi deepa ko bahut khushi hoti hain aur sochne lag jaati hain



Aditya aur pratap gaadi se utar ke abhiman ke cabin ki taraf chal padte hain.



Abhiman ke cabin men jaate hi donon uske saamne rakhi dono kursiyonko
jaise apne ghar kaa sofa samjhkar usmen ekdam aaraam se baith jaate
hain. Wahaan par abhiman ek file men sar daal kar usmen kuchh kaam kar
rahaa thaa aur abhiman par aditya hokum chhod detaa hain “ are yaar
chaay pilaa hamko”



Abhiman bas unki baat suntaa hain aur chaay mangaa letaa hain aur aditya se puchhtaa hain “kaam kidhar tak pahunchaa?”



Aditya “are ruk yaar chaay aane de bataate hain”





yah sunkar abhiman firse apne file men sar ghusaa letaa hain udhar bas
5 minat men hi reshmaa chaay lekar daudi daudi aa jaati hain aur table
par chaay rakhkar nikal jaati hain



Chaay ko dekhkar aditya apna cigrate packet baahar nikaaltaa hain aur
usko kholkar pratap ke saamne kar detaa hain aur ek khud bhi nikaalataa
hain aur packet abhiman ki or kar deta hain aur apni dononki cigrate
lighter se jalaakar lighter bhi abhiman ki or badhaa deta hain par uske
to muh par baara baje hote hain to uspar aditya aur prataap hansane lag
jaate hain



Abhiman thode gusse men aakar bol padta hain “ hanso naalaayakon hanso
jis din tum dononpar mere jaisee situation aayegi tab tumhen samjhegaa”



Yah sunkar to donon aur jyaadaa jor se thahaake lagaane lagte hain aur
pet pakad pakad ke hanste hain tabhi hansate hansate aditya boltaa hain
“cigrate pee cigrate ….kaam thodaa thodaa ban gaya hain”



Yah sunne ke baad abhiman ke chehare par ke bhaav thode thode badalane
lag jaate hain firbhi wo saamne haath badhaakar cigrate ke pecket men
se cigrat nikaal letaa hain aur usko lite kar detaa hain aur sunaa detaa
hain “theek se bataate ho yaa nahin”



Aditya apni kursi par hi aage badhkar usko kahtaa hain “muh meetha kar
yaar teraa sasur maan gayaa hain”aur aditya aur pratap hansne lag
jaaate hain



Abhiman “rahne de unko manaanaa to tere baaye haath kaa khel thaa mere
papa ko manaa ke dikhaa tab main tumko maanungaa”aur ek najar baahar ki
taraf daudaa detaa hain



Aditya “itnaa hi aasaan thaa to aajtak tune kyun nahin manaayaa unko?” aur sunkar sabhi hansne lag jaate hain



Idhar sab dhuye ke kash liye jaate hain aur baaten bhi chal rahi hoti
hain aditya naa jaane abhimaan ko kaise kaise khwaab dikhaa detaa hain
aur sunkar abhimaan sapne sajaane lag jaata hain. Darasal logonko khwaab
dikhaanaa aditya ki ek bahut hi badi kaabiliyat hain aur wo hameshaa
logonko ismen fansaa letaa hain par iskaa upyog usne deepa par nahin
kiyaa hain.



Kaafi idhar udhar ki bakbak ke baad aditya kaam kaa subject fir se
uthaa letaa hain “yaar abhimaan aaj dekh tere baap ko pataaungaa”



Idhar abhiman shaadi ke sapane dekh rahaa hotaa hain aur achaanak apne
papa kaa naam sunke uskaa yah sapnaa tut jaataa hain par firbhi pooja
ki gharwaalonse haan sunne ke wajah se wo aditya par puraa wishwaas
rakhtaa hain



Tabhi aditya prataap ki taraf muh karke boltaa hain “tu bhi saath chalegaa”



Pratap achaanak se chaunk jaata hain aur kahataa hain “yaar is baar
main nahin aaungaa chaachaaji ke ghar le jaate waqt bola thaa ki unke
saath bas thodi cigrate pini padegi wahaan le jaakar daaru ki botal
palti kar dee thi, main nahin aaungaa”



Yah sunkar donon hansne lag jaate hain aur aditya kahtaa hain “thik
hain mat aanaa saath men chal main jaraa devijee ke darshan karke aataa
hun”isi baat par sab log hansane lag jaate hain aur aditya apni kursi
par se uthne lag jaata hain aur un donon ki taraf hi dekh kar darwaajaa
kholne jaata hain aur udharse darwaaje ke baahar se deepa apne haathon
men files kaa ambaar lekar khadi hoti hain aur idhar aditya binaa dekhe
darwaajaa kholkar hanste huye baahar jaane lagtaa hain aur directly
jaakar deepa se takraa jaataa hain aur donon ke donon gir jaate hain aur
yah seen dekh kar to donon aur jorse hansne lag jaate hain



Idhar aditya deepa ke upar giraa huaa hotaa hain aur ektak uski
aankhon men dekhtaa jaataa hain. Deepa bhi sammohit hokar aditya ko
dekhti rahati hain.donon itne kareeb hote hain donon ek dusare ki saanse
mahsus kar sakte hain. Dono kuchh der ke liye bas aise hi tham jaate
hain achaanak se reshmaa aakar filen uthaane lag jati hain aur achaanak
se wo deepa ko hilaakar uthaane ki koshish karti hain. Reshmaa ki
hilaane ki wajah se deepa hadbadaa jaati hain aur aditya ko dhakelne ki
koshish karti hain par aditya kaa dhyaan to bas uski kaali kaali
aankhonmen khoyaa huaa hotaa hain aur wo aditya ko hilaane ki koshish
karti hain aditya kaa bhi sapnaa tut jaataa hain aur wo uth jaata hain
aur deepa ko bhi uthne men madad karne lag jaata hain yah dekhkar ab
firse prataap aur abhiman hansne lag jaate hain.



Reshmaa ne uthaai huyi filen deepa reshmaa ko abhiman ke cabin men
rakhne ko bolkar aur muh chhupaakar bhaag jaaati hain. Reshmaa bhi files
rakhkar chali jaati hain par jaate jaate aditya ko ek baar aise ghur ke
jaati hain jaise aajtak usne aisaa praani dharati par kahin dekhaa hi
naa ho.



Aditya uske ghurne ke jawaab men bas ek badi hi naughty smile de detaa
hain. Par man hi man men usko gaaliyaan de raha hotaa hain apni
premaaradhaanaa todne ke liye.



Reshmaa chale jaane ke baad aditya jaraa saa sharmaate huye firse
cabin ke andar hi baith jaata hain aur firse us haseen khwaab ko dekh hi
raaha hotaa hain. Yahi khushi aditya ke chehare par saaf jhalak rahin
hoti hain tabhi prataap bol padtaa hain “lo dekh lo romio kaa muh dekh
lo”



Aditya sukar thodaa sharmaa jaata hain aur boltaa hain “saamne hi ek
aur bhi hain use bhi dekh le” Aur firse sabhi hansne lag jaate hain



Aditya achaanakse chehare par thodaa gussa dikhaana lagtaa hain to
donon uski taraf dekhte hain tabhi pratap usko puchh letaa hain “ab kyaa
hua?”



Aditya kahtaa hain “are yaar yah reshmaa ko bhi isi waqt tapkanaa thaa?”



Donon hans dete hain aur abhiman kahtaa hain “haan tumhaari acchi
khaasi premaaradhnaa men usne wyatyay daalkar usne bahut badaa paap
kiyaa hain”



Aur abhiman ke chehre par ke bhaav dekh kar aditya hanstaa hain aur baadmen donon bhi usko join karte hain



Thik isi waqt aditya kaa mobile bajtaa hain aditya unse kuchh baat
kartaa ki ‘haan main aa rahaa hun thodi der men mujhe bhi aapse baat
karni hain’



Aur phone rakhne ke baad hi abhiman ko “tere papa kaa hi phone thaa ruk abhi unko bhi pataa kar aata hun”



Abhiman bas thumbs up dikhaakar “best of luck”

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:51

Update 15





Aditya seedhaa apni car nikaal kar full speed men chalaa jaata hain



Thodi der ke baad aditya ek bahut hi aalishaan bangale ke bahar car
lekar khadaa thaa aur car wo baahar hi park kar detaa hain aur bangle ke
gate men se andar chalaa jaata hain. Andar jaate hi aditya darwaajaa
khatkhataata hain. Par is ghar ke saamne khde rahte waqt usko koi dar
war nahin hotaa balki use to khushi hoti hain.



Aakhir is ghar par abhiman kaa ek beta hone ke naate jitnaa hak thaa
utnaa hi hak aditya kaa bhi thaa aur wo 2-3 saal is ghar men rah bhi
chukaa thaa. Is ghar men bhi ek bahut hi sundar see 22-23 saal ki ladki
ghar kaa darwaajaa kholti hain. Yah ladki abhiman ki chhoti bahan
manisha hoti hain jisko ki chup rahne ko aditya ne abhiman se bola thaa.
Aditya ko lekar andar chali jaati hain. Aditya sofe par baith Tv dekhne
lag jaata hain aur ladki andar uski mummy ko bulaane chali jaati hain.



Thodi hi der men abhiman ke mummy papa saath men hi baahar aa jaate
hain. Abhiman ke papa jaakar aditya ke baaju waale sofe par baith jaate
hain. Abhiman ki mummy andar chaay banaane ko chali jaati hain. Tabhi
wahaan par wo ladki bhi aakar saath men baithne lag jaati hain.



Abhimaan ke papa “manisha andar jaao hum logonko kuchh jaruri baaten karni hain”

Manishaa kaa muh puraa utar jaata hain aur wo kahati hain “par papa..”



Manishaa ki baat ko bich men hi kaatte huyeuske papa kahate hain “maine kyaa kahaa sunaai nahin diyaa?”



Manishaa aditya ki taraf tirachhi nigaahen daalkar kahati hain “itne
dinonbaad aaye ho bhaagnaa mat mujhe tumse baaten karni hain”



Aditya bhi hanskar usko kah detaa hain “haan mujhe bhi baaten karni
hain par jaraa uncle se baaten kar lun” yah kahkar aditya usko ek smile
pass kar detaa hain. Manishaa apne kamare men chali jaati hain.



Idhar pahale to abhiman ke papa business ki baaten chhedte hain aur
uspar aditya ki thodi salaah lete hain. Aditya ke papa jo ki unke bahut
hi najdiki dost the unke gujar jaane ke baad se aur aditya unke ghar men
rahne ke baad jaise wo apne bête se kai baton par uska mashwraa lete
the waise hi yaa usse bhi jyaadaa aditya se salaah lete the. Uske beech
men chaay bhi aakar jaati hain par abhiman ki mummy wahaan baithkar unki
baaten sunne ke chakkar men to padti nahin hain kyunki usko pataa thaa
ki yah uske pati ko bilkul pasand nahin hain.



Thodi der business ki baaten ho jaane par abhiman ke papa chup ho jaate hain aur wait karte hain ki aditya koi topic chhede.



Idhar aditya unke ruk jaane ke baad unko kahtaa hain “mujhe aapse ek
jaruri baat kahni hain uncle” aditya ke chehare par kuchh ajeebo garib
bhaav hote hain



Abhiman ke papa uske chehare par dekh kar bhi samajh nahin paate ki
aditya kyaa kahnaa chataa hain to wo sofe par aditya ki taraf aage
jhukte huye kahte hain “kyaa baat hain aditya?”



Aditya thodi asmanjas men hotaa hain “pataa nahin uncle kaise kahun samjh men nahin aa rahaan hain?”



Uncle “jo bhi baat hain bejhijak kah do aditya”



Aditya ek bahot lambi saans letaa hain aur thodee der rukkar apnaa man
banaa letaa hain kuchh kahane ko aur wo bol padtaa hain “main kuchh bhi
ghumaakar nahin kahungaa”

Yah kahkar sofepar hi uncle ki taraf aage badhtaa hain



“uncle abhiman ek ladki se pyaar kartaa hain aur wo usse shaadi karnaa
chataa hain” yah kahkar wo unke chehare par ki reaction dekhne ke liye
ruk jaataa hain



Uncle ke chehare par thode khush bhaav aate hain aur wo kahte hain
“yah baat kahne men dar kaisaa aditya? Waise bhi ab uski shaadi ki umr
ho chali hain aur usne to accha kiya hamen ladki dhundhne ke chkkar se
bachaa liyaa nahin to kahaan hum ladki dhundhte”



Yah kahkar wo hansne lag jaate hain par aditya ke chehare par ke bhaav
bilkul waise hi hote hain aur uncle usko dekhe jaate hain aur wo samajh
jaate hain ki kuchh naa kuchh gadbad hain aur wo bhi gambhir ho jaate
hain aur kuchh sochkar aditya se sawaal karte hain

“kaun hain ladki?”



Aditya utne hi gambhirtaa se jawaab de detaa hain “dahanukar uncle ki ladki pooja”



Dahanukar kaa naam sunkar hi baukhlaa jaate hain aur kahate hain “jab
tak main hun us ghar ki ladki is ghar ki bahu kabhi nahin ban sakati
hain”



Aditya thodaa unko samjhaane ke andaaj men kahane lag jaataa hain
“uncle dekhiye wo donon ek dusarese pyaar karte hain aur is beech men
kuchh ultaa seedhaa ho gayaa to ijjat nahin rahegi aapki” yah sunkar
abhiman ke papa kuchh sochne lag jaate hain



Kuchh sochkar wo aditya se puchhte hain “kyaa ho ultaa seedha ho
saktaa hain?” aur badi hi gaur se aditya ki taraf dekhne lagte hain



Aditya apne bhaate men se ek teer nikaaltaa hain darasal uske paas
isse bhi badaa ek aur teer hain par wo usko isi waqt nahin chhodnaa
chahtaa uske liye thodi der hain



Aditya apne sofe par comfortable hokar kataa hain “agar abhiman usko
bhagaakar ghar le aata hain to ijjat rahegi nahin aur koi accha ladkaa
manisha se shaadi ke baaren men sochegaa bhi nahin” darsal men aditya
abhiman ke papa ek ladki ke bhi pitaa hain uskaa laabh uthaane ki koshsh
kar rahaa hotaa hain aur usko to yah pataa thaa ki yah teer bilkul
nishaana nahin chukegaa



Kamare men achaanak se shaanti chha jaati hain. Abhiman ke papa aditya
ki baat par kuchh soch hi rahen hote hain aur aditya ke man men to
yahaan maan jaane ke laddu futte jaa rahe the par wo aisee koi baat kaa
ijhaar apne muh par nahin dikhaa rahaan thaa. Thodi der aditya bhi soch
rahana hotaa hain ki ab aakhari hathiyaar bhi daag de



Aditya khaamoshi todne ke liye apnaa gala saaf kartaa hain aur uncle uski taraf dekhte hain

To wo boltaa hain “dekhiye uncle yah ho gayee ek baat par ek aap
sochiye ki pooja apne papa ki eklauti beti hain aur dahanukar ki itni
bade jaaaydaat ki wo akeli waaris hogi aur to aur aaj hamen apne
business men kai fields men madad nahin mil paati hain usmen unki
developed companies hone ki wajah se milne lag jaayegi”



Aditya ko thik tarah se pataa thaa ki kis aadmi ko phasaane ke liye
kyaa jaal fenknaa chaahiye. Usne ekdam sahi hathiyaar aditya ne chalaaya
thaa.



Abhiman ke papa ek naye aditya ke bataaye pahalu par soch rahe the aur
hall men puri tarah se shaanti thi tabhi 5 minat ke baad uncle aditya
ko kah dete hain ki wo soch kar use bataaiyenge to aditya andar manisha
se milne chalaa jaata hain aur usse bhi thodi der baatchit karke chalaa
jaata hain



Post Reply