Teri Meri Love Story - hindi romance story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:44

Update 4





5-6 din ke baad deepa ko agency se
phone aata hai aur bataaya jata hain ki ek acche company men bade ohade
ke liye use agale hi din interview par bulaaya gaya hain.



dusare din bade hadbadi men uthkar deepa taiyaar ho jaati hain. naa
jaane usko kitni baar yahi lagtaa hain ki wo interview ke liye late ho
jayegi par wo waqt par hi chal rhai thi. ghar se nikalte huye apne mummy
papa ke pair chhukar aur bade bhai ko company ke gate par drop karne ko
raaji karke wo ghar se nikal padti hain.



waise kyaa kahe ki jis aadmi ke paas bhi koi naukari nahin hoti wo
pahali baar interview dene jaate waqt har ek bhagwaan k mandir, masjid
aur church par matha tek kar hi aage badhtaa hain bas usi tarah hamaari
deepa bhi har madir men prarthnaa karte huye ant men company ke gate par
pahunch jaati hain. uskaa bhai usko ghar jaane ke liye transportation
kaha se milega yah samjhaa detaa hain.



waise pahali baar interview dene ke liye jo log jaate hain unke man kuch
anjaan sa dar hotaa hain. aisa maine kai logon se sunaa hain. par baat
yah hain ki jo koi bhi aapka interview legaa wo bhi aakhir aadmi hi hain
koi janvar nahin jo aapko khaa jaaye.



bas yahi dar apne man men liye deepa company ke gate ki taraf badhti
jaati hain. wahaan gate par security waale usko rok lete hain. to wo
security ko bataati hain ki wo interview dene aayi hain. security guard
usko reception ka raasta dikhaa deta hain.



deepa andar jaate huye mudkar apne bhai ki taraf dekhti hain. wo gate ke
uspaar khadaa hokar use dekh raha hota hain. jaise hi deepa ki najar
us par padti hain wo jor se wave karke haathse hi thumbs up dikhaa
detaa hain. deepa ab aage badh jaati hain. deepa ko andar reception par
pataa chaltaa hain ki uska interview abhiman lene wala hain. uska
cabin first floor par hain par abhi wo kisike saath baat karne men busy
hain. to deepa ko kuchh der ke liye lobby men wait karne ko kaha
jaataa hain.



darasal ye wait karne ke kaaran deepa kaafi nervous ho jaati hain. kuchh
der baad reception par ka phone bajtaa hain aur receptionist deepa ko
interview ke liye jaane ko kahti hain. aur wo deepa ko cabin ka rasta
samjh kar saath men good luck deti hain.



deepa jab cabin men andar jaati hain tab to wo thodi dari hui, thodi
sahami hui see hoti hain. wo dekhti hain ki saamne ek lagbhag 27-28 saal
ka ek naujawaan aur uske saath men hi 45-46 ka lagne wala ek aadmi
baithaa hain.



andar aane par wo naujawaan deepa ko saamne ke liye saamne waali kursi
ki taraf ishara kar detaa hain. aur deepa us kursi par baith jaati hain.
tabhi wo apnaa khud ka introduction kar detaa hain "hello i am abhiman
CEO of this orgonization"

kahkar wo saath men ke aadmi ki taraf ishaaraa kar detaa hain aur unka
parichay karwata hain saath men deepa ko kahtaa hain "and whats your
good name miss?"





aisaa kuch bhi nahin thaa ki abhiman deepa ka naam nahin jaanta thaa par
baatchit shuru karne ke liye wo yah puchh letaa hain. deepa bhi
jawaab deti hain "my name is deepa garg"



uske baad abhiman deepa ko uski family background ke baare men kuch
puchhta hain aur deepa wo bhi bataa deti hain. baadmen wo deepa ke
certificates dekhtaa hain iske baad donon milkar kuchh idher udher ki
baaten puchhte hain. aakhir men wo kaam ke question shuru kar dete hain.
itni der baat karne ke baad deepa ka confidence level badh jata hain
wo uske bhi jawaab de deti hain. baadmen abhiman deepa ko ek cup
coffee ke saath uski expectations puchhta hain. aur usko interview
khatam hua ye bataa detaa hain aur wo khud contact kar legaa aisa
kahtaa hain.





2 din baad abhiman ke office se phone ataa hain ki uska selection ho gaya hain aur jaldi se jaldi wo join kar le.







deepa jab yah khushkhabar apne mummy papa ko sunaati hain to unki khushi
ka thikaana nahin rahtaa. deepa bhi ab khudpar vishwaas karne lagti
hain.

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:44

Update 5





deepa join karke us company men
accounts manager ki post ban jaati hain uske haath ke niche 2
accountants hain jinmense ek ladki hain aur ek ladkaa hain unke naam
varsha aur dilip hain saathmen hi usko ek cabin diyaa jaata hain aur
deepa apne kaam men man lagaa deti hain aur kaafi kaam men ulajh jaati
hain



1 hafte baad hi jab wo apne cabin mne baithi hui hoti hain aur uske
cabin kee khaas baat yah hain ki usko apne jagah se hi gate se lekar
building ki entry tak sab kuchh deekhtaa hain

To ek din aise hi wo apne cabin ke khidki ke paas jaakar khadi hokar
kuchh file padh rahi thi tabhi uski najar achaanak baahar jaati hain aur
wo baahar dekhne lagti hain tabhi ….



Ek black colour ki lancer aati hain aur gate ke saamne aakar hi horn
bajati hain tabhi security daudta daudtaa aakar gate kholtaa hain aur
driver side men kisiko dekhkar salaam thoktaa hain gaadi andar aa jaati
hain aur parking men aakar khadee ho jaati hain



Agr fimonke style dekhaa jaaye to camera pichhe se gaadi ki taraf aata
hain aur gaadi ki number plate dikhti hain jismen ki gaadi kaa 9999
number deekhtaa hain jo ki ek pratik hain ki yah koi VIP ki gaadi hain
aur gaadi kaa driver side ka darwaja khul jaata hain aur usmen se ek
24-25 umr kaa lagne waala ek ladkaa utartaa hain height 5’11”, white t
shirt , blue jeans , sports shoes , haathmen ek bracelet ,aankh par
goggle,uski gym men banaayi body to uske upar ekdam jach rahi thi, looks
ekdam perfect wo koi filmstar naa ho par uskaa pehraav aisaa thaa jaise
ki wo ek office nahin balki ek collage aaya ho aur wo apne sun glasses
men se yahaan wahaan dekhnaa shuru kartaa hain aur baadmen yahaan wahaan
najar daudaa kar ek cigrate baahar nikaalta hain aur usko lite karke wo
building ki tarf chal detaa hain



Yah sab uparse deepa dekhti hain aur sochmen pad jaati hain ki yah
kaun hain jisko andar aate waqt security jo ki abhiman ke siwaay kisi ko
salaam nahin kartaa isko salaam kartaa hain aur ek ‘no smoking’
premises men cigrate smoke kar raha hain uske man men uske wishayi
utsuktaa hoti hain ki aakhir “yah hain kaun ?”



Yah sochte sochte 5 minat beet jaate hain aur wahi ladkaa uske cabin
ke darwaje par hotaa hain waise hi usko apne cabin ke darwaaje par dekh
kar who thodaa saa dar jaati hain aur apni kursi par hi hadbadaa kar
sahi tarikese baithti hain



Deepa ko yah lagtaa hain ki ab yah ladkaa “may I come in ?” puchhegaa



Par uskaa andaajaa saaf chuk jaata ahain who ladka seedhe andar aakar uske saamne ki kursi par raub ke saath baith jaata hain



Aur baith kar apnaa parichay detaa hain “ hi I am Aditya director of Perfect SPM Pvt. Ltd.”



Aur apnaa haath shakehand karne ke liye aage badhaata hain par deepa
ki taraf se koi halchal nahin hoti aur naaraj hokar apnaa haath pichhe
khinch letaa hai



Aur fir deepa kahati hain “ very please to meet you sir waise meraa naam deepa hain”



Aditya “deepa aapke yahaan meraa ek bill aayaa hain uske liye main milne aayaa hun”



Deepa “ haan maine aapkaa bill dekhaa hain aapko PO sirf 250000 rs. Ki
hi diyi gayi thi par aapke yahaan se 275000 rs. Kaa bill aayaa hain”



Aditya “ haan uske liye PO badhaane ke baaremen meri baat ho chuki hain aur main apnaa check le jaane ke liye aayaa hun”



Deepa “ waise main dekh chuki hun aapko PO aapke full quotation amount par diyi gayi thi”



Aditya “ haan par mujhe ismen aur 25000 badhaakar chahiye hain aap
apnaa mail khol kar dekh lijiye yaa fir yah lijiye naya quotation letter
jo ki exact 275000 kaa hain aur isko file karke aap PO badhaa de aur
mujhe payment dede”



Deepa “ sir main isko accept nahin kar sakti hun yah rules ke khilaaf hain”



Aditya “ kuchh rule ke khilaaf nahin hain aap isko lele aur payment dede”



Deepa “ dekhiye sir yah kaam main nahin kar sakti”



Aditya “ are had ho gayi yaar ek to ain mauke par logonki madad karo
aur uparse mehnat ke paise maangate waqt yah suno ki yah rule ke khilaaf
hain etc. etc.” isbaar aditya ki aawaj jaraa badhi hui thi aur aawaj
men ek alag hi raub thaa



Deepa “ dekhiye sir aapkaa yah kaam nahin hogaa maaf kijiye aur jo aap
madad ki baat kar rahe hain uske aapko paise milne waale hain nyah
aapko pataa thaa isiliye aapne bhi madad kiyi hain” is baar deepa bhi
confidence men bol padi par usko nahin pataa thaa is line par usko kyaa
sunna padegaa



Aditya “ yah badaa ajib hain yaar jab jarurat khatam ho jaaye to log
prosti tute ko bhi paisa dekar hi nikalte hain aur yahaan to usse bhi
battar condition hain” aditya ne thodaa thande hokar kahaa



Deepa “ sir main aapse is baarenmen baat nahin kar sakti aur aaj sir
nahin hain to kal unke aanepar unse is baarenmen baat kar sakte hain”



Aditya “ aap hote huye aapke sir ki kyaa jarurat aap hi khud mujhko
apne haathonse nayi PO aur saathmen check bhi dengi aur who bhi pure
275000 ka” aur yah kah kar apne kursi men thodaa jhulne lagaa



Par yah sunkar to deepa jaise tilmilaa uthi aur usne phone uthaayaa “
security come to my cabin” yah sunkar aur deepa ke muh par ka gussa
dekhkar hua kuchh ultaa aditya to hansane lagaa



Aditya “kyaa aapke yahaan koi aaye to usko chaay paani nahin puchhte
hain kyaa ulte aaye mehmaan ke liye security waale ko taklif de rahi ho”



Thodee der ruk kar firse chidhaaane ke liye boltaa hain “ chapraasi
yaa fir niche ki reshmaa (receptionist) se kahkar chaay mangwaa leti
abhi aane do tumhaare security guard ko uske liye bhi mere paas kaam
hain” itnaa kahte hi deepa aise aankhen banaa kar aditya ko dekh rahi
thi jaise ki who ab aditya ko khaa hi jaayegi tabhi achaank baahar se
reshmaa aati hain uske haathmen ek tray hain jismen ki ek cup rakhaa
hain aur saath men hi ek ashtray thaa aur who andar cabin men aakar
chaay aditya ki or badhaa deti hain aur saath men hi saamne ashtray rakh
deti hain



Deepa “ reshmaa yah ashtray le jaao main cigrate nahin peeti aur
yahaan par no smoking likhaa hain who padh nahin sakti ho kyaashkal se
padhi likhi lagti ho kamse kam us postar ko to padh lo” kahte huye hi
baahar ke postar ki taraf ungali deekhti hain par aage kuchh binaa dekhe
yaa kuchh kiye reshmaa aditya ki taraf dekhkar musukuraati hain aur
aditya jaan jaata ahain ki aakhri waalaa comment reshmaa ke liye nahin
uske liye thaa aur who mudkar reshmaa ki tarf dekhtaa hain aur “ thank
you” kahtaa hain aur reshmaa baahar nikal jaati hain aur aditya deepa ki
aankhonmen aankhen daal kar muskuraate huye chaay ki chuskiyaan letaa
hain maano ki who kisi coffee shop men baitha apne girl friend ke saamne
baith kar chaay pee rahaa ho



Tabhi wahaan par security guard aajaa hain aur deepaa ko puchhtaa hain “ kyaa baat hain madamji”



Deepaa “ in saahaab ko yahaan se le jaao”



Aditya “ are deepa chay to khatam hone do baadmen check lekar chalaa jaaungaa”



Ab to yah sun kar deepa aur gussa ho jaati hain tabhi aditya security
guard ki taraf ek 100 not deekhaate huye kahataa hain “ 1 cigrate ka
packet laanaa to”



To wo security guard who not lekar baahar chalaa jaataa hain



Deepaa aur bhi chid jaati hain par aditya saamne baithkar bas uskaa
chaand saa mukhdaa dekhkar muskuraa rahaa hotaa hain aise men 2-3 minute
nikal jaate hain aur deepaa thodi ab sambhal jaati hain wo apne table
par kaa pani kaa glass uthaakar peeti hain aur kahati hain ki “ sir
sachmen main aapkaa kaam nahin kar sakti to aap chale jaaiye”



Par is baat ko bhi aditya ansunaa kar detaa hain aur usko taanktaa
rahtaa hain ab is tarah se kaafi waqt se dekhne ke kaaran ab disturb ho
jaati hain tabhi security guard daudte daudte aata hain aur cigrate ka
packet aditya ko dekar aur bache chute dekar jaane lagtaa hain tabhi
deepaa usko rukne kaa ishaaraa karti hain aur khud ek file men dekhne
lagti hain aur kahati hain ki “ ramsing jaate jaate saahab ko bhi
saathmen le jaana”



Tab aditya deepa ke muh ke saamne se uski file chin kar kahata hain ki
“ mujhe apne saath lejaane ko raamsing ko khud ke liye koi aur security
gaurds rakhne padenge” itnaa kah kar wo khud hi hansane lagtaa hain aur
ramsing bhi muskuraakar Cabin se nikal jaataa hain aur thi tabhi aditya
cigrate ka peket kholne hi lagtaa hain tabhi deepa kahti hain “ please
sir yahaan cigrate mat smoke kijiye”



Deepa ke kahne par aditya use firse band karke haath men hi rakhtaa
hain aur kuchh kahanaa chahtaa hain tabhi deepa ke cabin men abhimaan aa
jaataa hain

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:44

Update 6





Deepa ke kahne par aditya use firse
band karke haath men hi rakhtaa hain aur kuchh kahanaa chahtaa hain
tabhi deepa ke cabin men abhimaan aa jaataa hain aur kahtaa hain “are
aditya kitne der se aaye ho mujhe milne nhain aaye mujhe kuchh kaam hain
tumse”



Aditya “ are yaar aane hi waala thaa deepa se check lekar tumse hi milne aane waala thaa”



Abhiman “ are tumhari pahchan ho gayi kyaa deepa se ?”



Aditya “ nahin yaar bas inhone mujhe apnaa naam bataaya aur coffee pee
chukka hun par aapki madam hamen check nahin de rahin hain”



Abhimaan deepa se “ kyaa hua deepa aditya ko uska check de do”



Deepa “ sir inko PO 250000 ki hi diyi hain aur inhone 275000 kaa bill
diyaa hain aur utne kaa hi check maang rahen hain to wo main kaise de
du?”



Abhiman “ PO ko 275000 ka kardo aur unkaa check banaado main bhi yahin rukta hun tab tak sign karne ke liye”



Abhiman aditya ke haath men ka cigrate ka pecket dekhkar kehtaa hain “ kyaa akele akele hi pini hain kyaa ?”



Aditya “ are yaar chal bahar jaakar pite nahin to ab madam ko gussa aa
jaayegaa aur wo mujhe tumhare kahne par bhi check nahin dengi” itna
kahkar deepa ko dekhte huye hansane lagtaa hain aur yah sunkar saathmen
deepa ke chehre par ke bhaav dekh kar hasataa hua aditya ki gardan men
haath daal kar cabin se baahar le jaata hain



15-20 minut aditya aur abhiman kisi baat par discuss karte hain aur saathmen hi waapas deepa ke cabin men aa jaate hain



Abhiman “ deepa check taiyar ho gaya ho to dedo sign karke dedetaa hun
aur saathmen hi Production Planning men se ek job ki drawing aayegi aur
saathmen hi schedule bhi to uskaa rate aditya ki taraf se lekar mere
paas final karne ke liye lekar aana”



Deepa “ ok sir aur yah raha check”



Abhiman check sign kartaa hain aur aditya ki taraf badhaate huye
muskurke kahtaa hain “ ek cigrate pilaa kar 25000 nikalwaate ho !!”



Tabhi aditya jor se hans kar kahta hain “ abhi aur 8 bachi hain so aur 200000 ka check taiyar karne ko kahdo”





Aur dono jor jor se hansne lagte hain tabhi ek aadmi aditya ko jo
chahiye thi who drawing lekar aataa hain aur abhiman apne cabin men
chala jaata hain



Aditya “ madam mujhe ek paper , pen milegaa kya ?”



Deepa “ sure sir par aap mujhe madam naa kahen “



Aditya “ to kyaa kahun ?”



Deepa “ deepa” itnaa kahkar wo paper aur pen aditya ki taraf badhaa deti hain



Aur aditya bas muskuraa detaa hain aur kahtaa hain “ agar main yahaan
10-15 minut baith kar kuchh kaam karun to aap disturb to nahin hongi naa
?”



Deepa “ no sir aap jitni der chahiye ruk sakte hain”



Aditya “ ab aap ko main madam nahin kah saktaa to aapko mujhe sir ke bajaay aditya kahane men kyaa aitraaj hain?”



To deepaa sharmaa jaati hain aur bade hi sundar andaaj men “ jee sir”
itna kahkar abhi jeebh ko deno daaton ke beech kaaat kar feer se kahtee
hain “ ok aditya”



Deepa ke chehre par kaa husn aur saamne ghataa huaa ek kshan aditya
hameshaa ke liye apni aankhon men bhar letaa hain aur muskuraane lagtaa
hain aur deepa se kahtaa hain “ deepa

please mere liye reshma se ek coffee mangaa do”



Deepaa “ thik hain” itnaa kahati hain aur 2 coffee mangwaati hain aur
aditya saamne paper drawing ko dekhkar kuchh likhte huye kuchh kaam
karne lagtaa hain tabhi coffee aati hain aur dono coffee pite hain par
aditya upar najaren uthaaye binaa hi coffee ke saath kaam men mashgul ho
jaata hain par puri der deepa aditya ko nihaarti jaati hain aur 15
minat baad aditya kam khatam kar detaa hain aur achanak najaren upar
uthaa letaa hain aur dekhtaa hain ki deepa usko hi dekh rahin hain so wo
bas apnea ankh se hi ‘kya?’ yah puchhataa hain par deepaa apni gardan
dol “ kuchh nahin” kahti hain



Aditya “ chalo abhiman ke paas chalte hain”



Aur aditya uthkar abhimaan ke cabin ki taraf chal detaa hain aur uske pichhe pichhe bhi

Baad men kuchh der abhimaan ke saath kuchh discussions hote hain aur
baadmen aditya wijayi mudra ke saath check aur nayi ek aur PO lekar
jaata hain

Post Reply