Romance Essence Of Love A Feeling Forever - -

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Romance Essence Of Love A Feeling Forever - -

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:36

Image
ImageImage
Image

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Romance Essence Of Love A Feeling Forever - -

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:36

Image
Essence Of Love A Feeling Forever
प्यार की बातें एक एहसास सदा के लिए ।


प्यार बस एक एहसास ही तो है जिसमे खोकर हम दुनिया भुला देते हैं । एक प्यारा हमसफ़र हो और एक प्यार भरा साथ तो जिंदगी की रहें खुशनुमा हो जाती है । पर हर प्यार मिलन तो नहीं जुदाई भी तो प्यार है ! प्यार की कुछ कही अनकही दास्ताँ । प्यार के कुछ पहलु इस तरह ..............


एक दिन कुछ यूँ अचानक से मिल गए हो, की तुम्हे अब बार-बार मिलने को दिल करे ।

तुझे देखे बिना दिल न लगे ऐशा तेरा प्यार, राहों में सदा तेरे नजरें बिछाए ऐशा तेरा प्यार।

क्यों जब तू नहीं तो सुना सुना लगे ये संसार, जिंदगी बहार सी लगने लगी जबसे मिला तेरा प्यार ।

अब तो राहें मेरी उस ओरे ही बढ़ी जहां तेरी राहें हो, चलूँ मैं तेरे संग-संग दिल में बसाए तेरा प्यार ।

दर्द में भी मुस्कुराये ये लव ऐसा ये तेरा प्यार, हम जी कर भी मर से गए ये तेरे ना होने गम और ये तेरा प्यार ।

जिंदगी तो बेवफा निकली ए मौत तू ही वफ़ा कर, तेरे सज़दे में आकर इस दिल को सायद सुकून मिल जाय ।

सुलगती सांसों और तरपता दिल उफ़ ये दर्द, कितनी ही दर्द क्यों ना हो फिर भी ज़िंदगी है गुलज़ार ।

कई रूप इस दर्द के जीवन में सिर्फ एक बस खुसी तेरा प्यार है, न मिले तो भी जी लेंगे तेरी यादों में ।

इक तेरा प्यार और हमारी दास्ताँ.................


कई रूप ईश प्यार के और कई रंग । हम और आप आइये रू-बारू हो प्यार के कई रंगों से । कुछ कही कुछ अनकही कुछ सुनी कुछ अनसुनी कुछ आपकी और कुछ मेरी दिलों की दास्ताँ । हर हफ्ते मिलिए प्यार की कुछ काल्पनिक दास्ताँ से.............


Essence Of Love A Feeling Forever
Image

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Romance Essence Of Love A Feeling Forever - -

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:37

Ek Adhoori Kahani



Hunhhhhh....Hunhhhhh.....Hunhhhh aur saanse band ho gayi Neha mem sab ke.


Mere aankhon main nami thi, yun to is dil ka dard kabhi kam na tha lekin use na pane ka bhi kabhi gum na tha. Apna adhoora pyar smete raha abtak seene main par jate jate dekho aaj un ne bhi apna gum de diye.


Main jab bhi unhe dekhta ek ajab si urja ka sanchar mere rome-rome main hota. Neha, nahin wo meri Neha mem sab thi. Neha mem sab bade najo se pali hamare Takur saab ki ikloti bitiya thi.


Jab bhi gawn aati main hi unka sathi hota. Ghanto mere sath hi rahti. Kabhi kahti sun o Mahesh ke bache, to kabhi Mahesh babu kahti thi. Jab wo shararat ke bad khil-khilakar hasti thi to mera man jhoom uthta.

Har gum se anjan unka mere sath, yun alhar ki tarah ghumna, wo sarso ke kheton main hamara chhupan-chhupai, kati patango ke piche yun hamara bhagna.


Par thi to thakur ki bitiya bari hote hote ab gawn bhi aana band aur hum jaise chote logon se bhi milna band. Par main to Neha mem sab se roj milta jab bhi gawn aati. Main na jata to wo khud aa jati. Ab bhi hum ghanto sath rahte hain. Wo mujhse bahut baten karti hai aur main bas unke chehre ke bhawo ko niharta rahta.


Pyar ye kya hota hai pata nahin par man jhoom uthta jab bhi mere pas hoti meri Neha mem sab. Par ye kya aaj wo khoob royi mere pas, boli dadu ne khoob danta bolte hai jawan ho rahi ho yun naukar ke sath ghumna thik nahin. Aaj Neha mem sab ne koi baat nahin ki. Ghar par main bhi roya kahna gale se utra nahin. Neha mem sab ka dard jaise mujhe mehsus ho raha ho.


Aaj pure 2 sal ho gaye Neha mem sab gawn nahin aayi. Lagta hai ham sab ko bhool gayi. Par main na bhoola. Uski tasvir mere liye koi devi se kam nahin usi ko din raat dekh khush ho jata hoon. Par aaj bhi unki yadon me main wanhi ghanto baithe rahta hoon janha hum kabhi khel-khel bare hue.


Samay to bit ta raha aur 4 salon ke bad bhi Neha mem sab ki koi khabar nahi. Lekin aaj sab khush hai unka Mahesh beta 12th pas ho gaya hai wo bhi 1st class se. Main bhi khush hoon isliye nahin ki main ache number se pas ho gaya balki padahi ke liye Neha mem sab ke sahar ja raha hoon. Ab to hum phir se milenge ghanto baten kiya karenge. Kaisi dikhti hogi meri Neha mem sab ?


Dil joron se dharak raha hai, aaj pure 4 sal ho gaye Neha mem sab ko dekhe pata nahin main unhe abtak yad bhi hoon ya nahin. Bade armano ke sath thakur saab ke bangla pahuncha. Par ye kya maine Neha mem sab ke bade main poocha to dakke mar ke bhaga diya.


Phatehal bilkul nirasha ke sath main wapas aa gaya apne hostel. Par dil ke armano ko kaise kabu kare. Dil ko aaj rahat mili 1 mahine bangle ke chakkar katne ke baad aaj subah Neha mem sab ki ek jhalak mil gayi. Ahhhh! kitni pyari dikh rahi thi poocho mat. Bas us ek jhalak ke baad phir na gaya main maut ki haweli par jindgi wanhi chhor aaya tha.


Aaj main graduation 2nd year main aa gaya. Lekin ye ek chamtkar se kam nahi tha ki college main Neha mem sab 1st year main aayi hai aur bas unhe roj dekne ke khayal se main to mara hi ja raha tha.


Ab main roj Neha mem sab ko dekta hoon par bat ab tak nahin hue sayad sahi main mujhe bhool gayi aur sath bhool gayi thi apni wo pyari hansi, wo masti aur wo shararat bhari andaj.


Ab to bas gumsum si rehti hai akeli, na to koi uski sakhi hai na saheli. Mere sath roj aisha hota unhe dekh college main khush hota par unki udasi mujh se bardast nahi hoti. Unhe udas hota dekh main roj hostel ne rota.


Aaj mere liye koi khushi ka din nahin tha kyonko mera final year complete ho chuka tha aur ab main college me apni Neha mem sab ko nahindekh paunga. Main aaj bahut roya par dil ko samjhaya bhi ki "chamkte chand ko dekh kar khush ho jao par pane ki icha jayaj nahin".


Graduation ke kuch din bad mujhe naukri mil gayi sarkari bank main manager ki. Lekin ab bhi main roj apne college ke raste main khara rahta hoon apni chand ke jhalak pane ko. Bas us ek jhalak ke liye unka ghanto intzar karta hoon.


Aaj kai salon me ye pahla muka tha jab Neha mem sab ne mujh se baat ki. Par yun baat ki jaise pahchanti nahin pochhi "account fill up form par nomnée kise dun". Aawaz Neha mem sab ki ab bhi bahut pyari hai bas hasna bhool gayi.


Aaj mera dil bahut roya kyonki Naha mem sab ki shadi ho gayi. Ab maine bhi hasna chhor diya. Sajna swarna chhor diya. Pure 5 sal ho gaye Neha mem sab ki shadi ko par na mujhe wo mili aur na main unse.


Aur aaj lgabhar ek dasak bad Neha mem sab ka sandesa aaya ek chitthi...........


Neha ki chitthi
Mere pyare Mahesh babu,


Jab ye tum chitthi padhoge tabtak pata nahin main jinda rahoon ya na rahoon.

Par sach to ye hai ki tum aaj bhi mujhe utne hi pyare ho jitne bachpan main.
Baat gawn ke purane dino ki hai jab dadu ne mera gawn band karwa diya par main tumse milne ko dadu se lar gayi. Mujhe dadu ne tumhe jan se mar dene ki baat kahi. Main to us baat se khade khade mar gayi par tumhe marta na dekh pati isliye phir kabhi gawn na aayi.


Par us din jab tumhe main ghar par dekhi main bahut khush hue par pita ji ne tumhe mara mujhe bilkul acha nahin laga. Rote-Rote main sidhiyon se gir gayi. Tum roj mere ghar ke pas aate tumhe dekh kar khush hoti thi kyonki tumhare siwa maine abtak koi khushi dekhi hi nahin. Lekin mahine din bad wo bhi khushi chhin gayi kyonki tum uske bad aaye hi nahin.



Jab tumhe college main dekhi to main to mar hi gayi mera Bhagwan mere pas tha par widambna ye thi ki main kuch baat nahin kar sakti thi jan ka jo tumhe khatra thi. Shadi se pahle main tumse akele mili bhi bank main par meri himmat na hue tumhe batane ki, ki main tumse kitna pyar karti hoon.


Maine putri dharam nibhaya, patni dharam nibhaya, par bhakti dharam nibha na ski. Apne pyar ko kabhi pyar de na ski. Ho ske to mere is aakhri samay par ek baar mujhse milne aa jana tumhe dekh loon to sayad ye pran bhi bina kisi taklif ke nikal jay.


Tumhari dasi
Neha mem sab

(Jeevan jyoti hospital, umara , atns)


Ab aankhon main aanshu liye bhagte bhagte main hospital pahuncha, Neha mem sab ke kamre main gaya. Mere aanshu mere aankhon se lagatar bahte rahe aur Neha mem sab bhi aanshu bahati rahi aur anth main.......


Hunhhhhh......Hunhhhhh.......Hunhhhhh aur saanse band ho gayi Neha mem sab ke.

Post Reply