Teri Meri Love Story - hindi romance story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:54

Update 22





Udhar deepa apne
mobile par aditya ka sms padhkar man hi man men khush ho jaati hain ki
aditya to bas so raha thaa isliye usne koi reply nahin diyaa aur uske
dil ko sukun mil jaata hain. wo sochti hain ki aditya se phone par baat
kiyi jaaye par use lagta hain is waqt karna munaasib nahin hogaa lunch
time men karenge yeh soch kar wo apne kaam men lag jaati hain jismen
itni der se uskaa man nahin lag raha thaa.





Uske baad aditya, Pratap aur abhiman teenon
doctor ke paas jaate hain wahaan par aditya ko doctor dawaaiyaan bhi
likh ke deta hain. aur luch kaa time hone ko thodi der baaki thi ki
aditya aur baaki sab subah men kuchh nashta na milne ki wajah se bhuke
pet hi the to ek restaurant mrn ghus jaate hain aur lunch ke liye order
dete hain.



Unki kuchh gapshap hi chal rahi hoti hain ki deepa ka phone aata hain



Deepa “hello”



Aditya “haan ji bolo ji” saamne baithe abhiman
aur Pratap us ajeeb tone ko sunkar hi hansne ke kagaar pe aa jaate hain
par bas muskuraa dete hain kyunki unko maalum thaa ki aditya ki phone
par majaak karne ki aadat hain aur wo hameshaa iske liye bakare dhundhta
rahta hain. aur upar se abhi kuchh kaam bhi nahin hain aur order kiya
hua khana bhi nahin aaya hain to aise men usko free fund ka time paas
chhaiye hain aur wo use mil gaya hain.



Deepa “hello kaun?” deepa ko aisa lagta hain ki kisi dusare ne hi call utha li hain isliye wo puchh leti hain



Aditya “aapne phone kiyaa hain aapko hi pata hoga
naa ki aapne kisko phone kiya hain” aditya usi tone ko continue karte
huye bolta hain



Deepa “kyaa yeh aditya ka hi number hain naa”



Aditya “aditya naa haan yeh to unka number hain par aap kaun?”



Deepa “main , main deepa bol rahi hun aap unko phone de dijiye”



Aditya “wo abhi to aapse baat nahin kar sakte ji kyun ki wo deepa se hi baat kar rahe hain”



Deepa “kya matlab?” deepa jor se puchhti hain





idher ab aditya bhi jor se hans deta hain aur usko hansata dekh abhiman aur Pratap bhi hanste hain.



Deepa “hanste hi rahenge yaa kuchh bologe bhi?”



Aditya apni hansi ko control karte huye “are main
aditya hi bol raha hun wo jara kuchh time pass nahin thaa naa isliye
bas aur kuchh nahi”



Deepa “matlab”



Aditya “hum log khaana khaane ke liye bahar aaye
hain to abhi tak food nahin aay ahin aur hum bore ho rahe the aur
tumhara phone aa gaya to maine sochaa ki”



Deepa aditya ki baat kaatate huye “ek minute hum matlab?”



Aditya “hum matlab main, Pratap aur…”



Deepa “aur kaun hain?”



Aditya “aur koi nahin hain abhiman hi hain”



Deepa “matlab sir wahaan hain?”



Aditya “haan abhiman saamne baitha hain kyun?”



Deepa “kuchh nahin abhi kaam hain phone rakhti hun baadmen call karungi bye”



Itna kahkar wo full jorshor men phone rakh deti
hain aur aditya firse hansane lag jaata hain aur idher teenon hansane
lag jate hain.inka hansana khatam hote hi aditya ke mobile par massage
aata hain ‘call me when u reach home’. Usko dekhkar aditya firse hansane
lag jaata hain.

Aditya ko pata chal jata hain ki deepa ko usse
kya puchhna hain. itne men khana aa jaata hain aur teenon khana khaa
lete hain. wo donon aditya ko ghar drop karke chale jaate hain kyunki
aditya ko doctor ne rest lene ko kaha tha.



Aditya ghar par aate hi apna mobile nikalta hain aur deepa ko phone lagata hain



Aditya “hello”



Deepa “ha hi kahaan ho ab?”



Aditya “ghar aa gaya hun ab”



Deepa “doctor ke paas gaye the”



Aditya “haan gaya tha”



Deepa “kya kaha doctor ne?”



Aditya “kya kahta bechara prescription likh diya
aur kaha ki 2-3 din aaram kijiye aur hafte bhar men firse aa jaaiye aur
roj dressing karne ko kaha hain”



Deepa “aur kuchh to nahin kahaa”



Aditya “kuchh nahin”



Deepa “accha to medicines le aaye”



Aditya “haan wo to bahar nikalte hi le liye the”



Deepa “waqt pe le lenaa unko”



Is waqt pe jo tone men deepa medicines waqt pe lene ko kah rahi thi use lagaa jaise ki uski

mummy hi kah rahi ho



Aditya “ek baat kahun”



Deepa “haan kaho”



Aditya “nahin jaane do”



Deepa “nahin ab kya bolna chahate ho wo bataao”



Aditya thodi der ka pause le leta hain aur kahata hain



Aditya “tum jis tarah se mujhe medicines lene ko kaha rahi thi naa”



Deepa “haan”



Aditya “mujhe aisa laga ki meri mummy hi mujhe kah rahi ho”



Deepa is baat samjh hi nahin paati ki kyaa jawab
diyaa jaaye so wo sochane lag jaati hain ki kyaa kahe tabhi aditya hi
kuchh puchh leta hain



Aditya “wo tumne dopahar ko achanak phon kyun cut kar diya?”



Deepa “tumhaare saamne abhiman sir baithe the naa”



Aditya “wo to kaafi baar mere paas baithaa hota hain to kya ahr baar tum mujhse baat nahin karogi”



Deepa “no main unke saamne tumse baat nahin karungaa”



Aditya “kyun yeh main jaan sakta hun?”



Deepa “aapke boss ke dost se aap wo saamne hote huye phone karke gapshap ladaayenge yeh accha dikhta hain kyaa?”



Aditya “haan tumhaari liye to samjhna hi accha hain”



Deepa “matlab?”



Aditya “jaane do tum naa samjho to hi accha hain”



Deepa “mujhe bataao kya kah rahethe tum?” deepa ekdum se bachhe ruth jate hain us taah puchh rahi thi



Aditya “deepa”



Deepa “kya?”



Aditya “mujhe doctor ne aaram karne ko kaha hain
aur meraa khana bhi kab ka ho chukka hain to agar ab ijajat do to main
so jaau?”



Deepa “tumhe doctor ki kahi baat sahi samay hi sujhti hain?”



Aditya kuchh kahta nahin bas hans detaa hain



Deepa “log jo kahte hain wo sach hi kahate hain”



Aditya “kya kahate hain log?”



Deepa “yahi ki tum ek bade acche business man ho
jo ki kabhi kahi fans bhi jaaye to baaten bana kar ya paristhiti ka
laabh utha kar nikal jaate ho”



Aditya “haan wo to main hun hi nahin to main kis kaam ka?”



Deepa “par mujhe to lagta hain kit um naa galat jagah par ho”



Aditya “main samjha nahin”



Deepa “politics men chale jaao business man se jyada successful hoge”

Aditya kya kahtaa usko ki wo jab chaahe tab wo jaa sakta hain





aditya “madam agar ab aapki baaten kahtam ho gayi ho to main aaram karne jaau wahaan par ab abhiman bhi aata hi hogaa”



Deepa “thik hain par raatko khaane men doctor ne jo bataya hain wo care lenaa”



Aditya “yeh tum khana banane waalon se kaho yaani ki manisha se”



Deepa “ab tumhaare ghar manisha kahaan se aa gayi khaana banane? wo uske ghar pe tum apne ghar pe”



Aditya “main aaj raat ko khana khane abhiman ke ghar jaa raha hun aur shaayad kal bhi”



Deepa “ wo kyun ?”



Aditya “hamaare ghar ki kaamwaali bai 2 din chhutti par hain”



Deepa “to kal haamare ghar aa jaao naa khaane par”



Aditya “us din raat ko dekha naa tumhaare daddy
ko meri baaten pasand nahi aati aur agar main unke ghar khana khane aa
jaau to kal tumhare ghar khana nahin jhagda ho jaayega”



Deepa “hey shut up haan agar mere papa ko jhagdaalu kahaan to”



Aditya “maine kahaan unko jhagdaalu kahaan wo to tumne hi kah diyaa accha hain”



Deepa “bas karo ab”



Aditya “ye waisa nahin hain tumhare papa dil ke
acche insaan hain par jara unke aur mere wichar jamate nahin bas aur
kuchh nahin”



Deepa “haan yeh better hain tum ab aaram karne jao main thoda kam kar leti hun”



Aditya “ok bye”



Aditya seedhe uthke apne room men aaram karne chala jata hain.



Raat ko Aditya aur Pratap abhiman ke ghar khana
khaane chale jaate hain. khana khaate waqt ghar men aditya ke pichhe
bahaduri ke kisse par kaafi baatchit hoti hain. Par is ko sunkar Abhiman
ki mummy aur Manisha usko kaafi kuchh bolti hain aur saath hi men kaafi
kuchh salaah deti hain. Aditya wo sab sunkar bas haan bol deta hain.
Khana khatam ho jaane par bahar lawn me teeno baaten karte huye baithe
hote hain hain ki aditya ko deepa ka call ata hain par wo usko cut kar
deta hain aur sms bhejta hain ‘can’t receive phone at abhiman’s home’
uske jawab men bas ‘ok’ ka reply aata hain.



Idher abhiman ko pooja ka call aata hain



Pooja “hello”



Abhiman “hi kaisaa raha din?”



Pooja “kuchh khaas nahin tumhara?”



Abhiman “mera bhi kuchh khaas nahin gaya bas subah aditya ko lekar doc. Ke paas gaya thaa baad men din bhar kam kam aur kam”



Pooja “aditya ko kya hua jo usko doc ke paas le gaye ?”



Abhiman “aditya ne kal raat ko bada parakram kiya
hain aur uske haath par cut baitha gaya isliye le jana pada aur wo mere
yahaan khaane par bhi aaya hain”



Pooja “kya kiya kya aditya ne?”



Abhiman “akele ne kal raat ko 4 logon ko maara jo
usko lootne ki koshish kar rahe the usmen hi 1 ke paas chaku tha to
usse cut lag gay usko”



Pooja “ghaav jyada gehra to nahin hain naa?” pooja ki aawaj men apne bhai ke liye chinta saaf wyatit ho rahi thi



Abhiman “nahin to gahara bilkul nahin hain bas bandage baandhna pada”



Pooja “ruko abhi aditya ko phone karke pahale usse baat karti hun”



Abhiman “are ruko”



Pooja “pahale usse baat baadmen tumse”



Abhiman “ye accha hain apne future husband se nahi baat karni aur aditya se bat karni hain?”



Pooja “wo meraa bhai hain aur usi bhai ki wajah se hamari shaadi tay hui hain yah mat bhulo tum”



Abhiman “nahin bhulaa meri maa par mera bhi to dost hain”



Pooja “baaki baaten baadmen pahale usse baat kar leti hun”



Abhiman “are ruko wo mere saamne hi baithaa hain”



Pooja “matlab uske saamne tum mujhse private baaten karne baithe ho?”

Abhiman bas hans deta hain



Pooja “kuchh shram hain yaa nahin?”



Abhiman “ab usse kyaa sharmana wo to jigri yaar hain”



Pooja “thik hain pahale usse baat kar lu fir dekhti hun tumhe”



Abhiman “baap re abhi se jhagada karne ki taiyaari shaadi ke baad to tum meri jaan le logi” aur abhiman hansne lagta hain



Pooja “haan karungi kaam hi aise karoge to jhagda
hoga hi naa?” abhiman aur hansne lagta hain aur uski hansi dekhkar
aditya aur Pratap bhi hansne lag jaate hain aur un teenon ki hansi
sunkar



Pooja “aditya ko phone do tumhe baadmen dekhti hun”



Abhiman aditya se “le pooja se baat kar mujhpar
aadhi firing ho gayi hain ab teri baari hain” yeh kahkar hanste huye
aditya ki taraf phone badha deta hain



Aditya hanste huye phone le leta hain



Aditya “haan hello”



Pooja “han hanso tum bhi” Yah sunkar aditya aur jorse hansne lagata hain



Pooja “kaisaa pati dhundh kar diya hain tumne kuchh sence hi nahin hain”



Aditya “ab tumne hi kaha tha ki yahi chahiye to ismen ab meri kya galati maine bas rasten men ki adchane dur kar di”



Pooja “haan ab choice to meri hi buri hain naa?”



Aditya “aisee baat nahin hain par wo mera dost hain aur mujhse kuchh nahin chhupata”



Pooja “sachmen?”



Aditya “haan”



Pooja “kuchh bhi nahin chhupata?”



Aditya “haan sab kuchh bata deta hain mujhe”



Pooja “fir to dekhna padega iski taraf wo chhodo ye batao ki tabiyat kaisee hain?”



Aditya “mast hamen kya hone laga?”



Pooja “abhi abhiman bata raha thaa naa ki kal raat ke baaren men”



Aditya “ab please tum shuru mat ho jana haan already abhi Manisha aur aunty se kaaafi suna hain”



Pooja “thik hain fir kal sunaaungi”



Aditya “thik hain kal sunaa dena”



Pooja “aur aaj achanak abhiman ke ghar kaise?”



Aditya “aaj mujhe yahaan dinner pe bulaya thaa”



Pooja “wo kyun tum to jaldi kahin bahar nahin jaate naa tumhe der raat tak company ki padi rahati hain?”



Aditya “wo aaj main aaram hi kar raha thaa aur
hamare yahaan ki naukraani 2 din chhutti par hain to aaj hamen khana
khilaayega kaun?”



Pooja “kitne din wo nahin hain?”



Aditya “aaj aur kal chhutti par hain aur hamare
khaane pine ka koi bandobast nahin hain so hum dono bhukkad aa gaye
yahaan khana khaane” aur kahkar jor se hans deta hain



Pooja “ab thode din rest lo”



Aditya “haan rest par hi hun”



Pooja “fir tumhaare kal ke khaane ki kya wyawstaa hain?”



Aditya “abhi kuchh socha nahin”



Pooja “fir kal main tumhare ghar aati hun dopahar men wahi rukungi aur raat ko tum donon mere ghar khana khaane aa jaana”



Aditya “thik hain aa jaao”



Pooja “aa jaaungi aur sunaao kya chal raha hain tumhar us ladki ke saath kaafi chipak rahe the kal?”



Aditya bas hansta hain aur kahta hain “ab kaafi der ho gayi hain main ghar chala jata hun tum abhiman se baaten karo”



Pooja “ye to taalne waali baat ho gayi kya hain
wo bataao main tumhari bahan hun agar tum mere man men kya hain wo padh
sakte the to wo main bhi padh sakti hun”



Aditya “thik hain padh lo”



Pooja “sach sach bata do baat kahaan tak pahunchi hain nahin to tumhaare pichhe jaasus laga dungi”



Aditya “ab kis jaasus ko mere pichhe lagaogi?”



Pooja “yaad rakhna haan usko agar ye baat bata di to fir mujhko kuchh mat bolna”



Aditya “ab kya abhiman ko bataogi bata do main usse nahin darta”



Pooja “nahin main usko nahin tumhaare pichhe lagaungi”



Aditya “fir?”



Pooja “Manisha” Aditya hans deta hain aur udhar se pooja bhi hansne lag jaati hain



Aditya “usko kuchh mat batana wo puraa rayta failaa degi”



Pooja “fir batao kya khichadi pak rahi hain?”



Aditya “haan khichadi pak rahi hain par birbal ki khichadi hain”



Pooja “thik se batao”



Aditya “kal to tum aa rahi ho naa to kal bata dunga bas”



Pooja “thik hain kal taiyar rahna sab kuchh kahne ko”



Aditya “ab kaafi der ho chuki hain good night”



Pooja “good night”



Idhar aditya phone rakhkar saari baaten un donon
ko batata hain wo donon hansne lag jaate hain. baad men aditya aur
Pratap apni ghar aa jaate hain.



Aditya bas deepa ko ‘good nigt sweet dreems’ masaage dal deta hain jiske jawab men waisaa hi

msg aata hain.

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:54

Update 23





Subah subah chaya pine ke baad pratp company chala jaata hain aur aditya to ghar par aaram karne hi baitha jaata hain



Thodi der bad darwaje par ki ghanti bajati hain. aditya ghar kaa darwaj kholtaa hain to saamne pooja khadi thi.



Aditya “aao…… andar aao”



Pooja “haan aaungi hi meraa ghar hain”



Pooja ghar men andar aa jaati hain aur thodi der aditya se idhar udhar ki baaten karti hain.



Baadmen wo aditya ko puchhti hai “tumhe bhukh lagi hain?”



Aditya “haan par ghar men kuchh khaane laayak jyaada kuchh milegaa nahin”



Pooja “chalo fir main hi lunch bana deti hun”



Aditya “thik hain banao waise bhi ab lunch ka samay ho chala hain”



Aditya aur pooja donon kitchen men jaate hain aur
wahaan pooja khane ki taiyaari karne lagti hain jab ki aditya baaju men
khadaa rahkar bas dekh raha hotaa hain ki wo kya kar rahi hain

Tabhi aditya ke phone par deepa ka sms aa dhamaktaa hain ‘good morning’



Aditya dekar hanstaa hain aur uski hansi sunkar pooja uski taraf dekhti hain aur bas najr se hi puchhti hain ki kyaa huaa?



Aditya apni gardan naa men hilata hain



Tabhi pooja ki najar aditya ke haath men ke mob par jaati hain. Aditya ab bas hans deta hain



Pooja “kiska sms hain?”



Aditya “deepa ka”



Pooja “kyaa aaya?”



Aditya “good morning”



Pooja apne sar par haath maarti hain aur aditya bas hanstaa hain



Aditya “ruko jawab detaa hun” aur aditya type karne lagta hain



Pooja “kya jawab diya?”



Aditya “very good morning but it’s nearly time to lunch”



Pooja yeh sunkar has padi aur kahaa “tumse kisine baat karnaa bhi paap hain”



Aditya hasta hain “aisa kuchh nahin hain main to bas tp kar rahaa thaa”



Tabhi aditya ke phone par sms aata hain ‘bhukh lagi hain kyaa?’ Aditya wo sms pooja ko dikhata hain wo bhi hasti hain padhkar



Pooja “shayad use tum kya kahanaa chahate ho yeh samajh gayi wo” aur hansane lagti hain



Aditya sms bhejta hain ‘very hungry’



Aditya “pataa chalnaa bhi chahiye”



Pooja “waise kyaa tum thikse bataaoge ki tum donon ke beech kya chal raha hain?”



Aditya “tumhe abhiman ne kuchh bataya nahin?”



Pooja “usne kahaa ki tumko hi puchh lu”



Aditya “accha hain fir”



Tabhi aditya ke phone par deepa ka call aata hain



Aditya pooja ko haathse hi chup rahne ka ishaaraa kartaa hain aur phone uthaata hain



Aditya “hello”



Deepa “hi”



Aditya “haan kyun phone kiyaa?”



Deepa “tumhe bhookh lagi hain?”



Aditya “haan bahut”



Deepa “to fir jaake kuchh khaa lo”



Aditya “aaj bahar ka khana khaane ka man nahin hain”



Deepa “fir khana kaise khaaoge?”



Aditya “dekhta hunt um apna tifin dogi khaane ke liye?”



Deepa “haan aa jaao”



Aditya “par main to ghar par hun tumhe yahaan aana hoga”



Deepa “sorry main office chhod ke nahin aa sakati”



Aditya “rahne do yah batao ki tifin men kya kya hain?”



Deepa “sabji hain aur roti”



Aditya “sabji kaunsi hain?”



Deepa “aalo gobhi”



Aditya “aur rotiyaan kitni hain?”



Deepa “2”



Aditya “itne se meraa kyaa khaak pet bharega?”



Deepa “main bhul hi gayi”



Aditya “koi nahin yahaan lunch ban rahaa hain”



Deepa “par tumhaare ghar pe to khana banaane waali to aane waali nahin thi naa?”



Aditya “nahin aayi hain”



Deepa “fir kaun bana raha hain tum?”



Aditya “mujhe khana banana aata nahin”



Deepa “to fir kaun bana raha hain?”



Aditya “pooja”



Deepa “pooja kaun?”



Aditya “abhiman ki mangetar”



Deepa “wo tumhaare ghar kaise?”



Aditya “aise hi aa gayi hain aur ab aayi hain to khana bana rahi hain”



Deepa “kyaa wo abhi paas me hain?”



Aditya “haan”



Deepa “aur tumne phone uthaya?”



Aditya “tumne kiyaa maine utha liyaa”



Ab to pooja apni hansi rok hi nahin paati aur hans deti hain



Deepa “kaun hain udhar?”



Aditya “bataya naa pooja hain”



Deepa “main baadmen baat karti hun tum lunch karlo”



Aditya “thik hain bye”



Deepa “ratko kahaa khana kha rahe ho abhiman ke hi yahan?”



Aditya “nahin pooja ke ghar jana hain”



Deepa “thik hain tum jaao bye”



Aditya “bye”aur phone rakh detaa hain



Phone rakhta hi pooja apni hansi rok nahin paati aur hasti hain aur uski hansi dekhkar aditya hanstaa hain



Apni hansi ko control karke pooja kahti hain “aditya tum to na bas”



Aditya kuchh kahtaa nahin



Pooja “abhiman aur tum sachmen dono itne pakke dost ho lagtaa nahin”



Aditya “kyun?”



Pooja “tum alag hi ho”



Aditya “haan kuchh na kuchh farak to hoga hi naa hum dononmen”



Pooja “usko dinbhar kam kam aur kam aur tumhe dekh lo ……ishq ladaane ko fursat mil jaati hain”



Aditya yah sunkar hansane lagtaa hain



Pooja “sachmen aisaa mangetar paake meri kismet futi hain”



Aditya “are nahin wo to ulta merese sach men kaafi accha hain”



Pooja “kaise?”



Aditya “dekho wo tumhe chhodkar kisibhi ladki ki taraf sar uthaakar dekhta bhi nahin hain”



Pooja is baat par gardan haa men hilaati hain



Aditya “wo mere tarah thodi naa hain manmauji wo tum jaisi ke liye sachmen accha hain aur yah batao”



Pooja “kya?”



Aditya “main apni pyaari bahanaa ke liye koi
aisaa waisaa ladkaa dhundhungaa kya ? aue waise bhi ab uspar jyaada bolo
mat tumhaari hi pasand hain wo main koi photo leke chipkaaane nahin
aaya thaa gar par”



Is baat par pooja sharmaa jaati hain aur aditya hansanaa shuru kar detaa hain



Aditya “ab jaldi khaane ka dekho mujhe bhukh lagi hain”



Ab aditya aage kuchh baaten ho isse pahale drawing room ki or khisak letaa hain aur tv baithkar dekhne lagtaa hain



Thodi der baad khana parosne par donon dining table par aakar baith jaate hain aur khana khaane lagate hain



Pooja “aditya…..”



Aditya “haan”



Pooja “tumhaare aur us ladki ke beech…”



Aditya “kya puchhnaa hain seedhe puchh lo”



Pooja “wo tum aur wo ladki kitne kareeb hain…”
darasal yah sawaal usne kaafi darte darte puchha thaa kyunki wo aditya
ke kuch kuch chijonpar Jaldi gussa karne ki aadat ko jaanti thi.





aditya “main kuchh samjhaa nahin”



Pooja “matlab us ladki ko tum usse pyaar karte ho ye kahaa hain bhi yaa nahin?”



Aditya apne haath men ka khaane kaa niwala
chhodkar bas deewar par ke ek photo ki taraf dekhe jataa hain jismen ki
ek bahati hui nadi ke kinaare bane ek chhote se ghar ke baraamde men 3
ladke baithe huye hain. darasal ye 3 ladke yaani Aditya, Pratap aur
Abhiman the. Achanak kuchh sochkar aditya pooja ko jawaab detaa hain ki



Aditya “abhi tak to kuchh batayaa nahin hain par jald hi bataa dungaa”



Pooja aage kuchh puchhne ke liye muh kholne hi
waali thi ki aditya ke dimag me jordaar idea aaya aur usne kahaa “ab
khana khaa lo pahale waise tumne apni gaadi laayi hain naa?”



Pooja “nahin driver mujhe drop karke gaya hain”



Aditya “waise abhi aage ka koi exciting plan hain kya?”



Pooja “nahin to……..baithenge aur baaten karenge aur kuchh nahin hain … par kyun?”



Aditya “main tumhaare is exciting plan ko thodaa bore bana saktaa hun?”



Pooja “aaj to kaam pe mat jaao ya kisi business meeting men mat jaao”



Aditya “nahin to main soch rah hun ki tumhe koi nayi movie dikhata hun”



Pooja “haan ye accha idea hain”



Aditya “to jaldi khana khaa lo aur chalo”



Dono jaldi jaldi khana khaa lete hain aur aditya
bhi ready ho jaata hain. khana khaate waqt hi deepa ka sms aaya hota
hain ‘mera lunch ho gaya tumhara ???’



Aditya khana khaakar use dekhta hain aur jawab deta hain ‘ho gaya aur ab kuchh karne ki soch raha hun’



Deepa ka jhat se sawaal aa jata hain ‘kya???’



Aditya ‘goint to see a movie’



Deepa ‘that’s good enjoy it’



Aditya ‘thanks will call at night bye tc’



Deepa ‘you too’



Aditya aur pooja donon saathmen movie dekhne
chale jaate hain aur wahaan se aditya seedhe uske saath hi uske ghar
chalaa jaata hain



Idher deepa ke office me deepa abhiman ke saamne
khadi hoti hain ki uskaa phone par sms tune bajati hain. abhiman ko full
confidence hotaa hain ki yah sms aditya ka hi hogaa isliye wo pahale
usse kaam ki sab baaten kar letaa hain





kaam ki baaten khatam hone par abhiman usko kahta hain



Abhiman “dekho to kiskaa sms aay hain padh lo jawaab denaa hogaa”



Pooja “nahin sir main baadmen dekh leti hun”



Abhiman “abhi dekho to” ab wo bechaari apne boss ki baat ko taal bhi to nahin sakti thi to wo



sms padh leti hain aur mobile rakh deti hain.



Abhiman “kyun jawaab nahin denaa hain ?”



Deepa “nahin”



Abhiman “kiskaa hain?” wo aise puchhta hian jaise use kuch pata hi nahi hain



Deepa “koi nahin sir ek friend kaa hain” yah kahkar wo abhiman ke cabin se bahar jaane hi lagti hain



Abhiman “ruko…….baitho yahaan”deepa kuchh samajh
nahin paati ki kyaa Karen to wo bas abhiman ki kahi orders follow karti
hain aur abhiman ke saamne aakar baith jaati hain



Abhiman “haan ab bataao ki kiskaa sms aaya thaa”



Deepa “sir wo……..” deepa asamanjas men hoti hain ki kaise bataaye ki wo aditya ka sms thaa



Abhiman “come on speak out”



Deepa “sir wo aditya ka sms thaa” deepa ekdumse bol deti hain aur apraadhi ki tarah apna sir niche jhukaa deti hain



Abhiman “to ab kaisaa mahsus kar rahaa hain wo?”



Deepa “ji sir wo ab accha hain”



Abhiman “fir thik hain abhi phone karke puchhta
hu ki kyaa kar raha hain?” abhiman apnaa phone bahar nikaal kar deepa ki
taraf dekhta haian tabhi deepa bhi uske taraf dekhtaa hain



Deepa “sir aditya movie dekhne ja araha hain”



Abhiman “aditya… aur akele movie dekhne jaa hi nahin saktaa”



Deepa “sir… wo pooja ke saath movie dekhne ja raha hain”



Deepa uljhan men hoti hain ki ab abhiman kaise react karegaa par abhiman to jor jor se hansane lagtaa hain



Abhiman “accha hain waise bhi pooja hameshaa pichhe padi rahti hain ki main use kahin movie dekhne wagiraa nahin le jataa”



Deepaa yeh bilkul expect nahin karti hain



Abhiaman “tumhe pataa hain jab hum collage me the
tab bhi pooja meri girl friend thi aur aditya ke saath bhi bahar ghumti
thi aur movies dekhne jaate the aur jinko pata anahin thaa ki aditya
pooja ka bhai hain wo usko hi aditya ki girl friend samjh leta thaa”aur
kahakar hansate huye apni jeb men se cigrate nikaal kar usmen se ek
nikaal kar lite kartaa hain.



Deepa thoda darte huye puchhti hain “sir…..ek baat puchhu?”



Abhiamn “haan puchho”



Deepa “sir aditya collageme kaisaa tha?”



Abhimna hanste huye “aditya .. wo to collage men
bas maje karne aata thaa. Collage ka sabse popular aur chahetaa thaa
bilkul ek chocolate boy thaa wo bas manmauji ki tarah thaa”



Deepa “fir padhaai..”



Abhiman “wo itnaa honhaar hain ki usko padhaai
karne ki kabhi jarurat hi nahin padi wo bas paper ke aakhari raat ko
padhaai kartaa thaa par firbhi kaafi acche marks lata thaa”



Deepa “sir..”



Abhiman “haan ..”



Deepa “jaisaa aapka collage time se pooja se love raha hain kyaa uski bhi koi girl friend thi?”

Deepa yah kuchh jhijakate huye hi puchhti hain



Abhiman “are first year me to wo bas yahaan
wahaan hi ghumta tha par second year ke end tak uska ek ladki se affair
ho gyaa aur fir baadmen uskaa usse kaafi gaharaa pyar thaaa par…..”



Deepa “par kya sir?”



Abhiman “baadmen uski shaadi kahin aur ho gayi
aur usi din aditya ka badaa accident bhi hua jiski wajah se aditya 2
mahine ke liye komaa men gayaa thaa aur baadmen jab jis din wo coma se
uthaa usi din aditya ke mummy papa ki road accident men maut ho gayi..”



Deepa “fir….”



Abhiman “darasal apne mummy papa ke death ke baad jaraa disturb ho gaya thaa aur kuchh alag hi sa lagne lagaa thaa ..”



Deepa “matlab kaise sir?”



Abhiman “jaise ki jyada baahr nahin ghumta thaa
aur sharaab jyad pine laga thaa aur saath hi men din jahaan 1 baar gym
karne wala 2-2 baar gym kartaa thaa”



Deepa “fir??”



Abhiman “fir wo yahaan aa gaya yahaan aa gayaa
taaki sab chijonko bhulaa sake par uske yahaan aane ke kuchh dinon men
hi uski girl friend ki maut ho gayi baadmen ek company men kaam karne
lagaa aur kaam karke jo paise kamaaye unhi se jis company men kaam karta
thaa usi company ki partnership kharid li par yahaan aane ke baad wo
kaafi badal gayaa collage men wo bilkul alag thaa par pichhle kuchh
dinon se wo pahale jaisaa hone lagaa hain”



Deepa is bich men abhiman ko bilkul tokti nahin hain par baat khatm ho jaane par 2 minat shaanti ho jaati hain



Thodi der baad deepa “sir ab mujhe thoda kaam hain main jaau”



Abhiman “haan jaao”

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:54

Update 24





Sham ko pooja ke
ghar par khaanaq lagne se pahale chachaji, aditya, Pratap aur abhiman ki
mahfil jami hui hoti hai. Darasal jab ghar par Pratap aur aditya aane
waale the to abhiman ko bhi pooja dinner par invite kar deti hain.
wahaan baithe baithe sab baaten kar rahe the



Abhiman “aaj tu aur pooja movie dekhne gaye the?”



Aditya “haan wo dopahar men ghar baithe baithe bore ho gaye the to chale gaye”



Abhiman “accha kiyaa”



Aditya “aur sunaa tere office men kyaa exciting huaa aaj?”



Abhiman “kuchh nahin wo deepa jara tumhaare baaren men puchh rahi thi to kuchh bata diyaa”



Aditya “kis baaren men?”



Abhiman “gujare huye kal ke baaren men”



Aditya “fir tune sab kuchh bataa kar kiye karaaye kaam par paani fer diya hoga”



Chachaji bich men takte huye “ye deepa kaun hain aur kyun aditya ki puchhta taach se iska kyaa taallukhat?”



Is baat par abhiman aur Pratap hansne lag jaate hain aur aditya chup ho jata hain



Chachaji “are tum log kuchh bataayenge bhi yaa sirf hanste rahoge”



hansi ko rokte huye abhiman “papa abhi to kuchh
nahin lagti par shaayad jald hi jarur kuchh naa kuchh lagegi” aur kahkar
firse donon jor jor se hansne lag jaate hain



Aditya “aap chhodo is baat ko aap ko baad men sab
samjhaa dungaa” yeh sunkar abhiman aur Pratap to chup ho jaate hain par
chachaji jo samjhnaa hain wo samajh jaate hain



Aditya Abhiman se “haan to kya kya bataya?”



Abhiman “kuchh jyada to bataya nahin par jo bhi bataya censored karke hi bataya”



Aditya “par kuchh pangaa ho jaaye aisaa to kuchh bataya nahin”



Abhiman “nahin to”



Aditya “fir thik hain nahin to mujhe lagaa ki
aapne mere ghar rahte huye kuchh nayaa kaam taiyaar kar diyaa hain” is
baat par sab hansne lagte hain



Chachaji “aditya wo tum kisi ke baaren men batane wale the”



Abhiman “are yeh kya bataayega main batata hun
aapko”aur aditya ke taraf dekhta ahain jo ki abhi usi ki taraf dekh raha
hota hain



Abhiman adityase “to main kuchh bataau?”



Aditya “ab tu hi bataa de”



Abhiman “to baat yah hain ki deepa badi hi acchi
sidhi saadi ladki hain mere yahaan hi accounts manager hain aur…….aur……
hamaare sahabjaade ka dil uspe aa gaya hain” firse Pratap aur abhiman
hansne lagte hain aur idher aditya bas shaanti se chachaji ki taraf
dekhtaa hain



Chachaji “yah main kya sun raha hun aditya?”



Aditya “aap jo sun rahe hain wo sahi hain”



Chachaji “to fir kya socha hain tumne uske baaren men?”



Aditya “ab aapse kya chhupana ……. Main to shaadi ke baaren men soch raha hun waise bhi ab umr bhi ho chali hain”



Chachaji “to kab baat karne jana hain ladkiwaalonke yahaan yaa tum akele hi jaaoge?”



Aditya “nahin chachaji abhi waqt nahin aay ahain aur main wahaan baat karne aapko jarur le

jaaunga par pahale uske dil ki baat to jaan lene do”



Chachaji “le khayaali pulaaw pakaa liyaa aur aag bhi jalaai nahin” is baat ko sunkar firse sab hansne lag jaate hain



Aditya “main jald hi usse baat karunga aur aapko bataaungaa”



Chachaji “thik hain jab thik lage tab bataa denaa bas”



Tabhi ghar men se chachiji ki aawaaj aa jaati hain ki dinner taiyaar hain sab aa jaaye



Sab saath men hansi majaak ke saath dinner kar
lete hain. khaana khan eke baad thodi der baaten karke teenon ghar nikal
jate hain. Donon gaadiyaan saath nikal ke bahar ek mod par aake ruk
jaati hain. Gaadiyaan rukte hi teenon bahar nikal aate hain. Abhimaan
jaan letaa hain ki aditya kuch puchhna chahtaa hain.



Gaadi se baahar nikalte hain aditya sigratte
nikaal kar jalaa deta hain aur packet aage carry karataa hain jismen se
Pratap aur abhiman bhi sigratte lete hain.



Aditya “abhiman kya bol raha tha tu wahaan ki deepa kuchh puchh rahi thi to kya kya bataya tune?”



Is baat abhiman office men hui sabhi baaten bataa detaa hain



Aditya “yaar tune use itnaa bataana nahin chahiye thaa”



Abhiman “aaj naa kal to use sab kuchh pataa chalnaa hi hain naa”



Aditya “haan hain hi par abhi is waqt?”



Abhiman “tu kab pyaar kaa ijhaar karne wala hain bhai aur us waqt ke liye yah to bas ground taiyaar kar raha thaa”



Aditya is baat ka koi jawaab nahin detaa aur apni dusari sigratte jalaakar uske kash lene lagtaa hain



Abhiman “are kuchh to bol”



Aditya “wafaa nibhaane men sadiyaan nikla jaati hain

aur ijhaar e ishq karne men jindagi kam pad jaati hain”



Is baat par Pratap aur abhiman donon hans deta hain.



Pratap “yaara yeh tere hi ishq ki bata ho rahi hain kisi dusare ke nahin jo tu yu is par sher mare”



Aditya “jaantaa hun bhai”



Pratap “fir kahegaa kab ?”



Aditya “jald hi” aisaa kahakar aditya abhiman ko aankh maartaa hain.



Abhiman “yaar thik thik bataa tere man men kya hain?”



Aditya “batata hun batata hun”



Pratap “yaar jaldi kuchh kar nahin to shaayad kuchh aur hi ho jana hain”



Aditya “nahin hogaa mujhe puraa yakeen hain”



Abhiman “to bataa de tere dimaag men kyaa khichdi pak rahi hain?”



Is baat kaa jawaab dete huye aditya abhiman aur
prataap ko kuchh bataane lag jata hain aur use sunne ke bad teenon
hansane lagte hain aur aditya ke haath par taali dete hain.



Is baat ke baad sab log apne apne ghar chale jaate hain aur kuchh dinon ke liye kuchh shaanti chhaa jaati hain jo ki jaruri thi.

Post Reply