Teri Meri Love Story - hindi romance story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:46

Update 10





Aditya aur pratap ki gaadi ek bahut
bade bangale ke saamne aakar ruk jaati hain bungle kaa gate hi kaafi
shaandaar hotaa hain koi bhi wo dekhkar hi bataa saktaa hain jo aadmi
andar rahtaa hain wo kaafi rayis hain bungle ki name plate par dhyaan
jaata hain to usmen black marble par ‘Vrundawan’ naam golden colour men
likhaa hota hain aur niche maalik ka yaani ki ‘Mr. S. D. Dahanukar’
likhaa hotaa hain



Darasal men yah dahanukar aditya ke door ke rishtedaar hote hain aur
shahar ke ek bahut bade businessman aditya waise kaafi saalonse ek hi
shahar men rahte huye bhi unke ghar aata nahin hain par aaj to koi aur
chaara bhi nahin thaa



Aaj shaayad apne mata-pita gujar jaane ke baad dusare ya teesare
rishtedaar ke ghar jaa rahaa hogaa wo par aaj ka jaane kaa reason
abhiman hotaa hain so apne man ko puri tarah samjhaa kar wo us ghar men
jaane ke liye taiyaar ho jaata hain



Aditya horn bajaata hain baahar bhaag kar security guard aata hain
aditya security guard se kuchh kahtaa hain aur gate khul jaata hain aur
aditya ki gaadi andar chali jaati hain



Aditya aur pratap gaadi park karke ghar ke darwaaje ki taraf badhate
hain aur darwaaje ki bell bajaata hain aur thodi der ke intejar ke baad
ek 24 saal ki bahut hi sundar ladki darwaajaa kholti hain



Aditya “hi pooja”



Pooja “oh hi aditya aakhir itne saalon baad aaj waqt milaa hain ghar aane ko”



Aditya “kyun nahin aa saktaa hun kyaa yahaan?”



Pooja “haan aa sakte ho aao andar aao”



WO ladki aditya aur pratap ko l andar le jaati hain aur ek bahut bade drawing room men sofe par baithne ko kahti hain



Aur jor se aawaj lagaati hain “maa dekho to kaun aaya hain ?” aur kitchen ki taraf chali jaati hain



Thode der ke intejaar ke baad ek aurat drawing room men aati hain aur
aditya ko dekh kar shock ho jaati hain aur unki taaraf aate aate kahati
hain “aaj kahaan se raasta bhul kar yahaan aa gaaye aditya”



Aditya “aisaa kuchh nahin hain savitri chachi raasta bhul kar nahin
aaya hun balki yahaan se hi gujar rahaa thaa to sochaa ki kaafi din ho
gaye aapse milaa nahin hun to miltaa jaau”



Savitri chachi “accha kiaa jo milne ko aa gaye 5 saalonse ek hi shahar men rahate ho aur aate nahi ho”



Aditya “wo mujhe waqt hi nahin miltaa chaachi isi liye aana mushkil ho jaata hain”



Savitri chaachi andar aawaj deti hui kahti hain “are pooja jaraa aditya aur pratap ke liye chaay laana to”



Andar se pooja ki aawaj aati hain “haan wohi banaa rahin hun”



Aditya “haan haan chaay laao aaj ham puri taiyaari se aaye hain puri khaatirdaari karwaake hi jaayenge”



Saavitri chaachi “haan jo chahiye wo khaatirdaari karwaa lo tumhaaraa hi to ghar hain”

Aur sab hansne lag jaate hain



Saavitri chaachi “aur pratap beta tumhaaraa kaisaa chal rahaan hain?”



Prataap “ji chaachi bahut accha chal rahaa hain”



Tabhi andar se pooja haatmen ek tray jismen chaay ke cup hain usko
uthaakar laati hain aur unko aditya aur pratap ki taraf badhaa deti hain




Aditya jab chaay uthaata hain tab wo sar uthaakar pooja ki taraf
dekhtaa hain aur kahataa hain “chaachi hamaari pooja ab kaafi badi ho
gayi hain”



Chaachi “haan wo to ab dikh hi rahaa hain mujhe to ab bas isko shaadi ki chintaa hain”



Aditya chaay ka ghunt lekar “chaay kaafi acchi baayi hain pataa nahin
kis ke naseeb men hongi aisee roj ki chaay” yah sunkar pooja sharmaa
jaati hain apnaa sar jhuka leti hain



Chaachi “haan ghar kaa saara kaam kaaj aata hain isko to”



Aditya “mujhe samajh men nahin aata ki ghar men itne saare naukar hone ke baawjud aap hi khaana banate ho kaabile taarif hain”



Chaachi “tumhaare ghar men bhi to yahi hain khaana to ghar waalon ke haathon kaa swaadist hotaa hain”



Aditya aur prataap chaay ki chuskiyaan le rahen hote hain tabhi chaachi firse bol padti hain

Chaachi “aaj bahut dinon baad ghar aaye ho to khaanaa khaakar hi jaanaa abhi thodi der men tumhaare chaachaaji aate hi honge”



Aditya “haan thik hain hum pooja ke haath ka khaanaa khaakar jaayenge”



Chaay khatam karke firse aditya boltaa hain “shaayd ab waqt aa gayaa
hain ki hamaari bandariyaa ke liye koi Bandar dulhaa dhundhaa jaaye”



Yah sunkar pooja aur sharmaa jaati hain aur apne kamre ki trarf bhaag jaati hain



Yah sab dekh aur sunkar teenon hansne lag jaate hain



Chaachi “dekho aditya ab to tum yahin rahate ho to ab tumhaari bahen
ki shaadi ki jimmedaari ab tum hi le lo aur koi accha sa ladkaa dhundho”



Aditya to yah sunkar muskuraadetaa hain aur man hi man sochtaa hain ki
ab chaachi to botal men utar gayi hain aur pooja ke liye ladkaa
dhundhnaa uskaa hi kaam hain



Aditya “haan waise ek ladkaa najar men hain chaachaaji se baat kar lungaa uske baarenmen”



Chaachi “thik hain apne chaachaajise aane ke baad baat kar lenaa abhi
thodi der men aate hi honge wo tum aisa karo wo jab taka ate hain kyun
naa pooja ke saath kuchh baatchit karon main dinner ke liye kuchh
taiyaariyaan karti hun”



Aditya “thik hain main pooja ke room ki taraf jaa rahaan hun chaachaaji jab aaye to mujhko aawaaj lagaa lenaa”



Aditya aur pratap donon pooja ki kamare ki taraf chal padate hain



Aditya pooja ke kamre kaa darwaaja khatkhataata hain aur who to khul
jaata hain aur aditya dekhataa hain ki pooja bed par pet ke bal leti
hain aur uske haathon men abhiman aur uskaa ek saath men ek photograph
hain wo usko bas dekhe hi jaa rahin hain thodi der aditya intejaar hain
ki uskaa dhyaan baahar aaye par uski orse kuchh aisaa nahin hotaa hain
to wo chuppi todne ke liye kuchh kahtaa hain



Aditya “ to hamaari laadli bahen kaa shaadi ke baaren men kyaa khayaal hain main jaan saktaa hun kyaa?”



Pooja achank aayi is aawaj se jaise ek sapne se jag jaati hain aur
pichhe ki or darwaaje ki taraf dekhti hain to wahaan par aditya aur
pratap muskuraa rahen hain



Pooja “tum to sab kuchh jaante ho aditya fir bhi bahar aisee baaten kyun kar rahe the?”



Aditya “haan main sab kuchh jaanta hun isi liye yahaan aaya hun”



Pooja “matlab”



Aditya “are pagli teri shaadi ke baaren men baat karne hi to aaya hun”



Pooja “main kuchh samjhi nahin”



Aditya “are pratap yaar tu kuchh samjhaa de meri pyaari behnaa ko”



Tab prataap charge lekar usko sab baaten samjhaa detaa hain



Aditya firse ek baar boltaa hain “tujhe kyaa lagaa ki main mere dost aur teri premkahaani puri nahin hone dungaa kya?”



Pooja “aditya par yah kaise mumkin hogaa tumhe to pata hi hain naa mere papa aur abhiman ke papa ki bilkul bhi nahin jamti”



Aditya “han pataa hain to”



Pooja “to kyaa wo dono is shaadi ke liye hargij raaji nahin honge”



Aditya “main un donon ko raaji kar ke hi rahungaa”



Pooja “yah honaa naamumkin hain usse accha hain ki tum mujhko yahaan se bhagaa kar abhiman ke paas lekar jaao”



Aditya “aisee baat kabhi mat karnaa pagli tujhe pataa nahin hain isse
mata-pita ke dil ko kitni thech pahunchengi aur to aur tujhe aisee
haalat men abhiman ke ghar waalen accept karenge kya?”



Pooja “mujhe kuchh maaloom nahin tumhaare ghar aakar hum log rah lenge par….” Tabhi uski baat kaat kar aditya bolta hain



Aditya “maine abhiman ko kahaa hain ki tum dononki dhum dhaam se mata
pita ke aashirwaad ke saath shaadi hogi aur iske liye mujhe ek baar
koshish karke dekh lene do agar meri koshish naakaam ho jaaye to tumhen
pataa hain hi”



Pooja “haan pataa hain ki tumne ladki ko ghar se bhagaane men Ph.D. kar li hain Dr. Aditya Jahagirdaar”



Aur fir se teenon hansne lag jaate hain aur achaanak se ruk kar
aditya pooja ka chehraa apne haath men lekar aur uske aankhon men
aankhen daal kar kahtaa hain



Aditya “mujhe pataa hain ki tumhen ghar se bhagaane ka din kabhi nahin
aayegaa main tum donon ke maata-pitaa ko mana lungaa”thodi der ruk kar
aditya sawaaliyaan aankhon se puchhta hain “kyaa tumhe mujhpar puraa
yakeen hain?”



Pooja uski aankhon men aankhen daalkar jawaab deti hain “haan mujhe tum par puraa wishwaas hain aditya”



Tabhi baahar se chaachi ji ki aawaj aati hain ki chaachaaji aa gaye
hain aur wo aditya se milnaa chahte hain to wo teenon baahar drawing
room men chale jaate hain wahaan par chaachaa ji sofe par baithe hote
hain aur pooja kitchen men daud kar chali jaati hain khaanaa banaane ke
liye



Chaachaaji “kab aaye tum aditya?”



Aditya “abhi thodi der pahle hi aaya hun”



Chaachaaji “chaay-paani huaa yaa nahin?”



Aditya “haan ho gayaa hain”



Chaachaaji “thik hain tum yahin baitho thodi der main fresh hokar aata
hun aur fir ..” aur haath se thodi thodi ki nishaani dikhte hain aur
teenon hansate hain



Chaachaji andar chale jaate hain

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:46

Update 11





Aditya chaachaaji ke andar jaane ke
baad to bas apne khayaalon men gum ho jaata hain ki wo chaachji se kaise
baat Karen. kyunke usko aisee baaten karne kaa yah to bas dusaraa
maukaa hotaa hain par uske man men thodi jhijak hoti hain kyunki jab
pichhli baar wo yah baat karne gayaa thaa tab uske sath uskaa sabse
badaa bhai vikram thaa. jo ki sabhi bhaiyon men se sabse samjhdaar aur
logonse har prakaar ki baaten karne men expert thaa. aaj aditya ko uski
kami jarur khal rahi thi par aaj usko to bas khud par yakeen rakhkar yah
baaten karni thee pratap to bas uske saath company deneke liye aayaa
thaa. wo to aisee baaten karne ke baaren men soch bhi nahin saktaa thaa.



Man to naa naa kar raha thaa par achaanak se uski aankhonke saamne wo
mulaakaat aa jaati hain jab wo pahali baar aisee baaten karne ke liye
vikram ke saath gaya thaa aur us din usko kisi chhote aadmi se bhi
mukaabalaa nahin karnaa thaa.



Jisse is baaren men baat karni thi wo us state kaa home minister thaa.
par vikram aditya ko apne saath khinch laaya thaa. jaise ki aaj aditya
pratap ko apne saath lekar aaayaa thaa farak bas yah thaa ki vikram
wahaan khud ki shaadi ke baaren men baat karne aayaa thaa.



Darasal baat yah thi ki vikram ki us waqt ka home minister madhukar
waghmaare ke ladki ke sath muhabbat ho gayi thi. jiskaa naam vaishnavi
thaa aur vaishnavi bhi vikram ke pyaar men puri tarah se paagal ho gayi
thi aur wo bhi bas vikram ke saath hi shaadi karnaa chahati thi. uskaa
aur kisi chij men se puraa intrest hi ud gayaa thaa aur isi wajah se
vikram uske pitaa se baat karne ke liye gayaa thaa (apne ghar waalonko
bataaye binaa). par koi naa koi saath ho isliye wo apne sabse chhote
bhai aditya ko saath men uthaakar laaya thaa.



Us waqt aditya bas 18 saal ka collage men jaane waala ladkaa thaa. par
ek baat thi ke wo apne sabse bade bhai vikram se kaafi emotionally
judaaa huaa thaa aur uski khushi ke liye kuchh bhi kar saktaa thaa aur
wo hi eklautaa ghar kaa sadasy thaa jo ki vikram ki mohabbat ke baaren
men jaanta tha. to uskaa saathmen jaanaa laajmi thaa.



Aditya aur vikram dono subah subah apni gaadi chalakar hi vaishnavi ke
pitaa ke ghar aaye the aur unke bangale ke bahar security waale rokte
hain aur unke gaadi ki kas kar cheking ho jaati hain uske baad un
dononko andar jaane diyaa jaataa hain.



Andar jaane par unko vaishnavi ke papa ka PA roktaa hain. unse kyaa
kaam hain yah puchhata hain to vikram unko kya kaam hain aur apni
appointment ke baaren men bataa detaa hain to wo ek naukar ko bulaakar
vikram aur aditya ko unke saath jaane ko kahta hain aur donon us naukar
ke pichhe garden men jaate hain wahaan par vaishnavi ke papa ek table
par baithe the aur news paper padh rahe hote hain.



Un dononke pahunchane par wo apnaa news paper table par rakh dete hain
aur naukar ko aur kursiyaan lagaane ko kahkar chaay bhejne ko kah dete
hain.



Kursiyaan lagne par vikram aur aditya unke saamne baith jaate hain aur
naukar chaay lane ke liye chalaa jaata hain aur fir vaishnavi ke papa
usse baat karne ke shuruat karte hain.



Madhukar waghmare “vikram beta ye apne saath kisko laaye ho?”



Vikram “ji yah meraa sabse chhota bhai aditya hain”



Madhukar “aaj tak isko jyaadaa dekhaa nahin hain accha huaa jo pahchaan karwaa di waise kyaa karte ho tum beta?’



Aditya “ji uncle main 2nd year diploma mechanical engineering kar rahaan hun”



Madhukar “accha hain betaa man lagaakar padhai karo aur vikram beta yah achanak se milne ka prayojan kyaa hain?”



Udhar se wo naukar apne haath men chaay kaa tray lekar aata hain aur
teenonke liye teen cup chaay bhar ke saamne rakh kar chalaa jaata hain



Uske chale jaane ke bad vikram thodaa hinchkichaata huaa kahtaa hain “ji baat hi kuchh aisee thi uncle”



Madhukar “kyaa baat hain khulkar kaho beta”



Vikram “yah baat hain hi thodi kathin”



Madhukar vikram ke kaadhe par haath rakhkar puchhte hain “business men
koi tension hain kyaa yaa koi kaam kisi office men fansaa hain kyaa?”



Vikram “nahin uncle baat business ke baren men nahin hain”



Madhukar “to fir kyaa baat hain vikram?” WO jaraa sawaaliyaa najaronse pucchate hain



Vikram ke dil ki dhadkan badh jaati hain aur wo ek lambi saans
khinchtaa hain aur sab kuchh bol detaa hain “uncle aapki beti vaishnavi
aur main ek dusare se pyaar karte hain aur hum donon ek dusare se shaadi
karnaa chahte hain”



Madhukar to bas vikram ki taraf dekhte rahte hain,. vikram apnaa sar
niche jhukaaye huye baithaa hi rahtaa hain aur aditya ki to bas samajh
men hi nahin aata hain ki is baat par kyaa react Karen so aditya pahale
vikram aur madhukar ki taraf dekhtaa jaataa hain



Tabhi madhukar uth khadaa hotaa hain aur kahataa hain “par yah shaadi
nahin ho sakti hain vikram Maine apni ladki ki shaadi kisi aur se hi tay
kar rakhi hain”



Vikram “par uncle hum ek dusarese pyaar karte hain aur vaishnavi mere siway kisi aur ke saath hargij khush nahin rah paayegi”



Madhukar “samjhaa karo beta hum log jab jabaan de de to jabaan puri
karke hi rahte hain meri ek hi beti hain aur agar meri beti ki shaadi ki
maine jabaan naa de rakhi hoti to main uski puri khushi ke saath tumse
shaadi karwaa detaa”



Vikram “par uncle yah aapke usi jaanse pyaar beti ke dil kaa sawaal hain”



Madhukar “beta par hum apne aadarsh ka kahana bhi to nahin taal sakte hain jo jubaan ek baar de di to de di”



Wahaan par thodi der ke liye shaanti chaa jaati hain tabhi wahaan
aditya unse puchh padtaa hain ki “waise uncle vaishnavi ki shaadi kiske
saath tay kiyi hain?”



Madhukar “tum kyun yah puchh rahen ho beta?”



Aditya “bas uncle unhi puchh rahaan hun”



Madhukar “vaishnavi ki shaadi manav deshmukh ke saath tay kiyi hain
uske papa mere bahut hi puraane dost hain to maine unko yah jubaan kai
saalon pahale de rakhi hain”



Aditya kuchh sochta hain aur kahtaa hain “thik hain uncle hamen aapse
baat karke bahut accha lagaa hum niklte hain hamen aur bhi thode kaam
hain”



Par vikram to bas udhar hi baithaa rahanaa chahtaa thaa wo darasal ek
sadmen men thaa jo ki har ek aam aadmi ko hotaa hain aur wo to bas usi
kursi par jam jaata hain par aditya usko uthaakar saathmen le jaa rahaa
hotaa hain tabhi madhukar uskaa haath pakadkar usse kahte hain “apne aap
ko sambhaal lo beta”



Vikram kuchh kahen isse pahale hi aditya boltaa hain “thik hain uncle
fir aayenge kabhi” aur aage man hi man men ‘baarat lekar’ kahta hain aur
donon baahar aakar apni gaadi lekar nikal jaate hain par is waqt aditya
gaadi drive kar rahaan hotaa hain aur uske khuraapati dimaag men kuchh
chal rahaa hotaa hain

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:47

Update 12
Thodi der ke baad chaachaaji fresh hokar aur change karke drawing room men aa jaate hain par aditya to apne hi khayaalon men hi rahtaa hain to Pratap usk thodaa sa dhakka dekar uthata hain aditya jaise ek nind men se jag jata hain. udher chachaji chaachiji ko chaknaa lane ko kah dete hain

Udhar aditya ko apne pichhe aane ka ishara karte hain aur aditya uthkar pratap kaa haath pakad kar unke pichhe chalaa jaata hain

Chaachaaji unko apne ghar ke ek special bane mini bar ki taraf le jaate hain

Udhar jaate hi chaachaaji 3 glass uthaate hain aur unmen scotch bharne hi lagte hain

Tabhi aditrya unko rokkar bolta ahain “chaachaaji aap sirf apne liye hi lijiye hum nahin piyenge”

Chaachaaji “are main jab tumhaari umr men thaa tab apne papa se chhup chhup kar piyaa kartaa thaa aur tum logonko aaj jab koi nahin roktaa tab bhi pine se sharmaa rahen ho?”

Tabhi chaachiji chaknaa lekar aati hain aur bhare huye 3 glass dekh kar kahati hain

Chaachiji “aap to bas naa ek wo ho jaraa bachhonko to baksh diyaa karon”

Chaachaaji “abhi koi aur company ke liye nahin thaa na isi liye inko bas thodi thodi hi dungaa”

Chaachiji “haan aapne kahaa aur hamne maan liyaa”

Chaachaji “mat maano chaknaa yahaan rakho aur khaanaa taiyaar karne chale jaao”

Chaachiji jhutaa gussa dikhaakar chali jaati hain aur chaachaaji hansne lag jaate hain

Baadmen chaachaaji aditya aur pratap se kaafi baaten karte hain aur thodi der men aditya apne point par aa jaata hain

Aditya “chaachaaji apni pooja ab kaafi badi ho gayi hain naa?”

Chachaji “haan ab to wo shadi ke umr ki ho gayi hain”

Aditya “haan uske liye ab koi dulha dhundhanaa padegaa”

Chaachaji “ladke to kaafi dekhe hain par koi dhang kaa miltaa hi nahin hain”

Aditya “kuchh mujhse ban pade to jarur bataaiye haan”

Chaachaji “koi ladkaa agar najar men ho to bataao”

Aditya “haan ek hain to sahi”

Chaachaji “kaun hain bataao”

Aditya “ek ladkaa hain dost hi hain meraa” chaachaaji dhyaan se uski baat sunne lag jaate hain

Aditya jaraa pause lekar boltaa hain “uskaa naam abhiman hain”

Chachaaji “aur uskaa sirname kyaa hain?”

Aditya “ji abhiman patwardhan”

Chaachaji achaanak kuchh gusse men kahate hain “us patwardhan ke ladke se main kabhi apni beti kaa rishtaa nahin jodungaa”

Aditya “par kyun chaachaaji?”

Chaachji “usse accha hain ki main kisi aur se apni beti ki shaadi karwaa dun waise bhi is dunia men acche ladkonkaa akaal nahin padaa hain”

Aditya “aapko abhiman se accha jamai mil hi nahin saktaa hain”

Chaachaaji “tum kyaa kahnaa chahte ho thik thik bataao”

Aditya “to sun lijiye chaachaaji abhiman aur pooja kaafi gahare pyaar men hain aur wo isse aage
bhi badh sakte hain aur koi nayi musibat saamne khadi ho sakati hain”

Chaachaji “matlab main samjhaa nahin”

Aditya “to sun lijiye agar main abhiman ko thik se jaanta hun to wo kabhi bhi naa khud kisi aur ladki se shaadi karegaa aur naa hi pooja ki shaadi kisi aur se hone dega aur wo apne pyaar ke baarenmen kaafi aggressive bhi ho saktaa hain jisse kaafi pareshaaniyan paidaa ho saktee hain”

Chaachaaji “matlab”

Aditya saamne rakhi scotch kaa glaas uthaata hai aur ek hi sip men khaali kar deta hain aur ek thandi saans letaa hain aura age badhkar unki aankhon men aankhen daaltaa hain jwaalaamukhi ka sphot kar detaa hain

“dekhiye uske saamne do raste honge pahalaa to ki wo pooja ko wo bhagaa le jaaye aur ismen to naa chahate huye bhi mujhe uski madad karni padegi aur ismen aapki bhi kaafi beijjati hogi par jo dusari raah hain uske liye wo to isse bhi khatrnaak hain aur usmen to ijjat ki puri dhajjiyaan ud jaayengi donon gharonki aur wo main chahungaa ki bilkul bhi naa ho”

Chaachaaji “aisee kaunsi baat hain?”

Aditya “dekhiye chaachaji yah jo baat mere man men hain wo main bhi chahtaa hun ki bilkul bhi naa ho aur iske to main bhi khilaaf hun par iske baad to hamaare paas bhi koi aur chaaraa nahin rah jaayega aur unki shaadi karwaani hi padegi”

Chaachaaji ke chehre par thodi ghbraahat aur thodi curiocity hoti hain aur wo kahate hain ki “jaraa khul kar bolo”

Aditya jaraa hichkichaate huye kahtaa hain par uskaa yah kahnaa bhi jaruri thaa aakhir yah to uskaa sabse badaa hathiyaar thaa aur wo apne sabse badaa hathiyaar fire karne waalaa thaa
“Chaachaaji humen bilkul pata nahi hain ki unmen is tarah ke relations hain ya nahin? Par possibility yah bhi hain ki abhiman kahin pooja ko pregnant naa kar de aur yah baat agar baahar waalonko samajh gayi to bas apne ghar ki ijjat uchhal jaayegi aur aap kuchh bhi nahin kar paaoge”

Yah sunne ke baad chaachaaji aur unke saath saath pratap bhi shocked ho jaate hain aur aditya kaa muh dekh rahe hote hain tabhi 5 minat ke pause ke baad aditya firse bol padtaa hain
“Isiliye main bhi chintit hun aur aapse yah baat karne ke liye aayaa hun agar hum un dononki badonki yaani ki aap dononki marji se hi shaadi karwaa dete hain to aage kaa koi naatak nahin hongaa”

Chaachaaji thodi der aur sochte hain aur aditya se punchhte hai “accha kiyaa jo tumne yah sab mujhe bataa diyaa par main chaahungaa ki tum ekbaar meri jagah par khade hokar ke ek sawaal ka jawaab do”

Aditya ko to aise kisi sawaal kaa expectation to thee nahin par wo to bas har waar jhelne ke liye taiyaar thaa “kaunsaa sawaal chaachaaji”

Chaachaaji “tum kahte ho thik hain unki shaadi karaa dene ki main apni beti ke khushi ke khaatir shaadi karwaane ko raji ho jaaun par abhiman ke papa jo ko mujhse kaafi nafrat karte hain wo is shaadi ke liye hargij raaji nahi honge chaahe main naak ragadun yaa unke saamne gidgidaun wo is shaadi ke liye kabhi tiyaar nahin honge aur taiyaar ho bhi gaye to bhi shaadi bhar meri gardan jhukaaye rakhenge”chaachaaji ki baatonse se saaf pataa chal rahaa thaa ki unpar aditya ki baatonkaa asar ho gayaa hain

Aditya “chaachaaji unko shaadi ke liye main taiyaar karungaa aur pure shaadi ke waqt aapko kahin bhi apni gardan niche nahin jhukaani padegi iski guaranty main letaa hun”

Tabhi baaharse chaachiji ki aawaj aati hain ki khanaa taiyaar hain teenon dining table par aa jaaye

Chaachaaji wo pukaar sunkar aditya se kahte hain “mujhe sochne ke liye thodaa waqt chahiye aditya”

Aditya “thik hain chaachaaji par aap is baat par jaldi faislaa lijiye aur chaliye ab khaana khaane chalte hain” aur wo teenon apne saamne ke glaas khaali karke dining table ki or chal dete hain

Dining table par aisee koi mahatwpurn ghatnaa nahin hoti sab log khaanaa khaate hain aur aditya pooja ke banaaye khaane ki taarif kartaa hain aur khaanaa khaane ke baad thodi der baaten karke aditya aur pratap apne ghar chale jaate hain

Post Reply