Teri Meri Love Story - hindi romance story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:43

Teri Meri Love Story



Ye meri pahali story hain[Image: love.gif] likhne se pahale mere dimag men kuchh bhi nahin thaa [Image: rolleyes.gif] jo bhi aataa gayaa main likhtaa jaa rahaa hun.[Image: icon10.gif] Waise ye ek love story hain ek aise ladke ki jo ek uniqe kism kaa hain aur use ek ladki se pyaar ho jata hain.
Reserved for Index


Update 1





raat ka ghupp andheraa puri dunia ko
lapete soya hua thaa. Chaaron aur dur dur tak koi nahin thaa. Beech
beech men thodi bahut kuttonki aawaje aa rahi thi. ek 25-26 saal ka
dikhne wala naujawaan ladkaa sadak ke paas kisi gate par khadaa rahkar
cigratte smoke kar rahaa thaa.



Wo aankh uthaa kar saamne ki or dekhtaa hain, wahaan bas 5-6
two-wheeler aur police jeep khadi thi. wo khud ek black lancer ke
bonnet ka sahaaraa lekar khada thaa. Wo gali ki chhor ki or dekhtaa hain
par use koi nahin najar aataa. Uski is haalat ko dekhkar koi bhi
aasaani se kah saktaa thaa ki wo kisi ki raah dekh rahaa thaa.



Kisiko naa aataa dekhkar wo apne cigratte ko fekte huyr dekhtaa hain
to use samjh men aataa hain ki pichhle 2- 2 ½ ghante men usne aur uske
saath kisi aur ne 12-15 ciggrates funk diyi thi. wo apne pichhe dekhne
ko mudtaa hain wahaan ek board aur uspar ek bulb lagaa hua hotaa hain.
wo bulb itnaa kamjor hotaa hain ki usmen aap board par likhaa hua
‘police station’ hi padh sakte ho.



Wo aur niche dekhtaa hain to wahaan police station ka baaraamadaa thaa
aur wahaan bhi ek tubelight jal rahi thi. baaraamade se andar jaane
waalaa darwaja khulaa thaa. Us khule darwaaje ke paas hi koi hawaaldaar
ek stool par baithaa hua thaa. Darasal men use baithaa hua isliye kahnaa
pada raha hain kyun ki wo on duty thaa. To samjhne ki baat ye hain ki
aise puri dunia ko sulaa dene wali nindia raani ki aagaopsh men wo bhi
stool par baithe baithe hi kho gaya thaa.



Tabhi achaanak se gali ke chhor se is shaanti ko cheerte huye awaaj
aane lagi aur wo kisi gaadi ki thi. wo us dishaa men dekhtaa hain uske
aankhon men ek 4 wheeler ki head light ki tej raushni aa jaati hain. wo
usse apni aakhonke bachaane ke liye aankh ke saamen ek hatheli kar detaa
hain. wo gaadi aakar uske saamne hi rukti hain. tabhi wo yah bhi
dekhtaa hain ki uske pichhe pichhe ek aur gaadi bhi aakar ruki hain .



Pahali jo gaadi aakar ruki thi wo ek black color ki endavour thi.
usmen se ek usse koi 2-3 saal badaa lagne wala ek aadmi utartaa hain.
aur wo pichhe waali gaadi ki taraf dekhtaa hain. picche ki aayi hui
gaadi ek silver colour ki range rover thi. jo yakinan raat ke gali ki
dusari chhor se aane waali lamp post ke bahut thode se light men bhi
apnaa silver rang chamkaa rahi thi. usmen se kuchh kuchh gaadi ko
shobhaa dene waali personality ka ek aadmi utartaa hain jiski umr
lagbhag dusare bahar nikalne waale ke jitni hi hogi.



Us aadmi ek saath ek aur aadmi driver ke baaju waali side se utartaa
hain. yah aadmi kuchh kuchh 45-50 ke beech men kaa lagne waala thaa.
Usne safari pahnaa hua thaa. Uske pehraav aur usko dekhkar hi aisaa lag
rahaa thaa ki yah aadmi kisi bahut bade aadmi ka PA ya secretary hain.



Waise to baaki teeno aadmi bhi kuchh koi kam nahin the. sab ekse ek
acchi khaasi physic rakhne waale the par agar aap dekhne jaao to jo
naujawaan khadaa thaa wo aur jo pahale utaraa thaa wo donon hi T shirt
jeans men the. yakinan donon ko dekhkar koi sandeh ho donon hi kaafi
acche khaase ghar se the. jab ki jo aadmi range rover men se utraa thaa
wo ek party ware style designer suit men thaa.aap usko dekhkar hi samjh
sakte ho ki yah ek khaandani rayis yaa koi bahut badaa aadmi hain.



Wo aadmi utarate hi jo naujawaan khadaa thaa wo daud kar aayaa aur
usne usse kahaa “Vikram bhaiya, main aapki kitni der se raah dekh rahaa
thaa”



wo aadmi beech men hi usko rokkar kahtaa hain”Pratap ab main aa gayaa
hun naa, main sab sambhaal lungaa” wo samajh jata hain ki Pratap kuchh
jyada bataayegaa nahin isliye wo saath men aaye huye dusare uske hamumr
ki taraf dekhtaa hain aur usko puchhtaa hain “abhiman, aakhir hain kyaa
yun achaanak Pratap ne phone karke bulaa liyaa aur tumne bhi kuch bataya
nahin phone par?”



Abhiman darasal men jis sawaal se dar raha thaa wahi sawaal uske
saamne khada thaa. Abhiman usse kahtaa hain “Vikram tum Aditya ko
chhudaa lo fir hum sab bataa dete hain”



Vikram bhi yah sunkar samajh jataa hain ki donon hi usko aakhir
maajraa kya hain bataane waale nahin hain. usko sab kuchh jaanane ki ab
bas ek hi ummid lag rahi thi. aur wo thaa police station men kaid
aditya.



Vikram ab samne ke police station ki taraf chal padtaa hain. uske
peeche peeche teenon bhi aate hain. wo jaise hi baraamadaa ki seedhiyaan
chadhtaa hain uskaa dhyaan saamne stool par soye huye wahi hawaaldaar
par jaati hain. wo ab seedhe apne secretary ki taraf dekhtaa hain. wo
aage aake us hawaldaar ko jor se aawaaj dete hain.



Hawaldar angdai dete huye uthtaa hain aur jor se puchhta hain “kyaa kaam hain?”



Wo aadmi puchhta hain “station ka in charge kaun hain? hamen unse kaam hain?”



Hawaldar aalas ko saath lekar uthtaa hain aur boltaa hain “dekhne men
to bade sharif lagte hain. aapko pataa nahin hain is waqt men sharif log
sote hain FIR dene ko din men aane kaa wo kaam din men bhi ho saktaa
hain”



Secretary apne aawaaj men ab thodaa kadak pan late huye kahate hain “hamen unse abhi milnaa hain kuchh aur kaam hain”



Hawaldaar ab apni jagah se uthtaa hain aur andar ki or chalne lagtaa
hain aur saath men kahtaa hain “mere pichhe aaiye … aap bahut khush
kismet ho aaj inspector saab kisiko milne ke liye ruke huye hain”



Wo chalte chalte ab ek cabin ke bahar thaa. Ab wo pichhe mudkar
dekhtaa hain to use in donon ke pichhe khade Abhiman aur Pratap dikhai
dete hain. un donon ko dekhte hi wo kahta hain “inspector saab aapki hi
raah dekh rahe the. aap rukiye main unko bataa detaa hun ki aap aaye
hain”



Wo hawaldar ab cabin men ghus jata hain aur 2 minute men bahar aakar kahta hain “jaaiye andar aapko bulaa rahe hain”



Sabse pahale Vikram cabin ka darwaj kholkar ek badese confidence aur
kuchh bhi sunne ki taiyaari ke saath andar jata hain aur unke pichhe
pichhe teenon. In sab ke andar aate hi inspector apni kursi par se khada
hota hain. aur wo kahtaa hain “baith jaaiye”



Ab darasal men Vikram thodaa gusse men hi thaa ki Aditya lockup ke
andar hain jab ki wo use bahar bhi bithaakar rakh sakte the. wo seedh a
inspector ke saamne jaakar baith jata hain uske side men uskaa secretary
aur donon side men abhiman aur Pratap.



Vikram saamne baithte hi kahtaa hain “inspector saab aditya meraa bhai hain aap use chhod dijiye”



Inspector “aap kaun?”



Vikram ka secretary pahchaan karaa ke detaa hain “ye hain Mr. Vikram
Jahagirdar. Jahagirdar group ke M. D.” aisaa kahte huye wo visiting card
aage badhaa deta hain.



wo police inspector saamne kaa visiting card uthaakar padhtaa hain aur
firse saamne rakhkar kahtaa hain “aapka aur aditya ka rishta?”



secretary “ye aditya ke bhai hain. chachere bhai”



inspector “maaf kijiye par main aapki kuchh bhi madad nahin kar saktaa”



Vikram unke rukne par puchhta hain “kyaa aap mujhe bataa sakte hain ki aapne aditya ko giraftaar kyun kiyaa hain?”



Inspector ab secretary ko chhod kar Vikram ki aankhon men dekhtaa hain
aur kahtaa hain “aditya aaj raat ko yahaan ke ek local par jaane mane
journalist hain uske ghar men ghus gaye the”



Vikram beech men rokkar kahtaa hain “itni si baat par giraftar karne
ki koi jarurat to nahin thi aap samjhaa kar bhi kaam kar sakte the.”



Inspector apni table ka ek drawer kholkar usmen se ek revolver
nikaalta hain aur saamne rakhkar puchhta hain “ye gun unke paas thi”



Vikram “iskaa aditya ke paas license hain”



Inspector “waise aditya apne paas ek fully loaded 8mm bore semi
automatic revolver rakhtaa hain aur uskaa uske pas licensebhi hain thik
hain” kahkar firse drawer men haath daalta hain aur ek aur magazine
nikaaltaa hain aur puchhta hain “ek extra bhari hui magazine ke bare men
aap kyaa kahenge jo ki usi waqt uske paas thi” yah kahkar wo Vikram ke
chehare ki taraf dekhne lagtaa hain.



Vikram 2 minute baad kuchh kah pata iske pahale hi wo firse drawer men
haath daaalkar ab ek chhota box nikaaltaa hain aur usko kholkar usmen
se goliyan nikaal kar saamne rakh detaa hain aur kahtaa hain “aap bade
chaalak hain aap us extra ke magazine ke baaren men kuchh na kuchh bataa
hi denge par in 144 extra rounds ke baaren men kyaa kahenge jo ki inke
gaadi men se mile hain?”

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:43

Update 2


Vikram yah baat sunkar kaafi tense ho jata hain aur wo ek minute ke liye
sochne lagta hain. kuchh sochne ke baad wo kahtaa hain “aapne state ke
minister Annasaheb Jahagirdar kaa naam to sunaa hi hogaa hum donon unke
pote hain.”



Inspector “aap kisi ke bhi pote rahe kal inki adaalat ke saamne haajri hogi. Aap chaahe to tab wahaan jamanat le sakte hain”



Vikram man hi man men kuchh sochtaa hain aur inspector se kahtaa hain
“aap aditya ko abhi chhod dijiye aur is maamle ka kuchh karne ki koi
jarurat nahin hain main sab sambhaal lungaa”



Inspector “sorry main kuchh nahin kar saktaa aap kal adalat men pahunch jaaiye”



Vikram seedha uthkar teenon ko kahtaa hain “chalo” aur wo seedha mud
kar baahar ki taraf nikal padtaa hain baaki teenon bhi uthkar nikal
padte hain bas uskaa secretary jaate jaate uske saath haath milaakar
jata hain.



Bahar aakar Vikram kaafi gusse men abhiman aur Pratap ki taraf dekhtaa
hain. aur unpar baras padtaa hain “aakhir itnaa badaa maajraa ho gaya
aur tum donon ne mujhe bataayaa kyun nahin?”



Lekin jawaab men bas khaamoshi thi. wo jawaab naa milne se tilmilaa
jaataa hain ab wo seedhe morcha ab akele Pratap ki taraf mod detaa hain
“Pratap tum to samjhdaar ho tum yeh bataao ki tum ye hua tab kahaan
the?”



Pratap thodaa darted arte kahtaa hain “main uske hi saath thaa par police akele aakar aditya ko hi le gayi”



Vikram “thik hain aur tum donon us journalist ke ghar kyun gaye the?”



Pratap “wo aap aditya se hi puchh lijiye main to bahar hi thaa aditya
mujhe bahar khada rhane ko kahakar akelaa hi andar gaya thaa”



Vikram “aur aditya kab se apne saath itne extra bullets rakhne lag gayaa? Wo to hameshaa bas 1 extra magazine hi rakhtaa hain”



Pratap “pichhale waakiye ke baad wo extra bullets car men hi
chhupaakar rakhtaa hain par aaj us inspector ne car ki talaashi li aur
use wo mil gayi”



Vikram samajh jataa hain ki aditya kisi ko maarne ke motive se nahin
gayaa thaa wo turant sochne lag jata hain ki ab kyaa Karen. Wo apne
secretary ki taraf dekhtaa hain aur kahtaa hain “deshmukh, aap andar
jaaiye aur city police commissioner aur local station ka number le
aaiye”



Deshmukh “jee sir” kahkar andar chalaa jata hain aur idher teenon
bahar alag alag khayaalon men dub jaate hain. 2-5 minute baad deshmukh
numbers lekar bahar aata hain. bahar aate hi Vikram kahtaa hain
“commissioner ko phone lagaaiye” aur wo deshmukh ki chehare ki taraf
dekhtaa hain. deshmukh samajh jaataa hain.



Wo turant commissioner ka number milata hain par kaafi rings bajne ke
baad bhi wo phone uthaataa nahin hian aur idher har minute Vikram ki
chintaa aur saath men hi gussa badhtaa jataa hain. deshmukh kahtaa hain
“sir wo phone uthaa nahin rahe hain”



Vikram kuchh der sochne ke liye firse ruk jata hain aur kahtaa hain “DIG ko lagaao wo jarur uthaayegaa”



Deshmukh “par sir..”



Vikram “aap lagaaiye unhe phone main baat kartaa hun”



Deshmukh ab seedhe usko call kar detaa hain. 2-4 baar ring bajne ke baad wo uthaa letaa hain “hello kaun?”



Vikram seedhe deshmukh ke haath men se phone le letaa hain aur kahtaa hain “main Vikram jahagirdaar bol rahaa hun”



DIG “haan boliye Vikram sahib itne raat gaye kaise yaad kiyaa aapne? Sab kuchh thik to hain naa?”



Vikram “kuchh thik nahin hain aditya jail men hain aur udher ka inspector use chhod nahin rahaa hain”



DIG “kyaa baat hain?”



Vikram “kuchh jyada serious to nahin hain par mujhe wo 10 minute ke
andar mere saath chahiye hain” aakhri ke kuchh words par usne accha
khaasa jor diyaa thaa uski wajah se DIG samajh gayaa ki kuchh to baat
hain



DIG “thik hain sahib aap mujhe bataa dijiye wok is police station men hain main kuchh kartaa hun”



Vikram “deshmukh se aap baat kar lijiye ye aapko police station kaa
naam aur wahaan ka number bhi denge” itnaa kahkar wo phone deshmukh ki
taraf badhaa dete hain.



Deshmukh phone ko lekar sab kuchh bataa detaa hain. 5 minute baad DIG
ka wapas phone aataa hain ki Aditya ko wo abhi chhod denge. chaaron
police station ki darwaaje ki taraf dekh rahe hote hain tabhi ek prataap
ki hi umr kaa naujawaan bahar aataa hain uske saath saath wo inspector
bhi thaa wo donon bahar Vikram ki taraf badhte aa rahe the.



Aditya Vikram ke saamne aakar ruk jataa hain aur uske baaju men
inspector bhi uske haath men wo chije thi jo ki usne le li thi. wo sab
chije aur car ki chaabi aditya ke hawaale kar ke wapas lautte waqt
Vikram ki aankhon men aankhe daal kar yeh jataanaa chahtaa hain ki wo
kabhi kisi mod par iskaa badlaa jaur legaa. Par Vikram ki aankhon men to
wo gurur thaa ki usne aakhir is inspector ko jhukaa hi diyaa.



Inspector ke mudkar waapas jaane ke baad wo Aditya ki aankhon aankhen
daalkar kuchh padhne ki koshish kartaa hain par use hameshaa khushmijaas
lagne walaa aditya ka cheharaa kuchh kuchh utraa hua saa hi laga aur
uski aankhon men hameshaa dikhne waali ek chamak aaj maujud nahin thi.



Vikram ab Aditya se puchhta hain “aditya aakhir maajraa kyaa hain bataaoge”



Aditya “kuchh nahin hain bhaiyyahaa”



Vikram “tu apne dil men kuchh liye baithaa hain aur wo main jaan naa
paau ye naamumkin hain” aur wo aditya ke kandhe par haath rakh detaa
hain.



Vikram firse kahataa hain “tumhe kitni baar kahaan hain ki mere saath
aake rahaa kar ghar par naa jaane kyaa rakhaa hain teraa is shahar men?”



Aditya sir jhukaa letaa hain aur kahtaa hain “us shahar men rahu to
kisiki yaaden mujhe tadpaati hain …. Main ab us shahar men rahnaa nahin
chaahtaa is liye 5 saal se yahin hun… aur abhi to yahaan rukne ki ek
wajah bhi hain”



Vikram “matlab tum aajtak nilofar ko nahi bhula paaye … adityaa move
on usko gujare 5 saal hone ko aa gaye hain aur tumhe abhitak wahaan usi
ki yaaden tadpaati hain?... aur ye kyaa nayi yahaan rukne ki wajah ke
baaren men tum bol rahe ho?”



Aditya ab Pratap se cigarette lekar jalaataa hain aur 2-3 kash letaa
hain “hain koi jisne meraa tute huye dil ko firse jod diyaa aura b firse
tod bhi rahi hain” yah kahte kahte aditya apne chehare par se haath
fertaa hain aur apni lancer ke bonut ka saharaa lekar khadaa ho jataa
hain.



Itne men hi Pratap kahtaa hain “bhaiyaa kyun naa aage ki baaten ghar
jaakar Karen” Vikram kuchh sochkar haami men sar hilaa detaa hain aur
tino gaadiyaan aditya ke bangle ki taraf daudti jaati hain. aur ek acche
khaase bangle ke bahar aakar rukti hain.



Sabhi log gaadi men se utar kar darwaaje ki taraf badhte chale jaate
hain. Pratap aage jaakar darwaaje kaa tala kholtaa hain. sabhi log
jaakar drawing room mne ke alishaan sofe par baith jaate hain. baithte
hi Vikram Aditya se bolta hain “ab to thik thik bataayegaa ki kyaa baat
hain? kyun tu aise kisi ke ghar men ghus gayaa?”



Aditya saamne ke flower pot ko dekhte huye kahtaa hain “main deepa ke
hi ghar gaya thaa. Aaj uski shaadi hain main aakhri baar unhe rokne ki
koshish karne gaya thaa par main asafal rahaa”



Vikram “deepa hmm.. par isse to tum kah rahe the ki shaadi tay kiyi
thi aur viraj ki shaadi ke bad tum bhi shadi karne waale the naa?”



Aditya “haan par uske bhai ko mere past ke baaren men kuchh pataa
chalaa aur usne wo deepa ko bataa diyaa. Ghar se virodh hone ki wajah se
wo shaadi karne ko taiyaar nahin hain”



Vikram “jab se deepa tumhaari jindgi men aayi hain tab se hamaari
mulaakaat hi nahin ho paayi hain, aaj mile hain to sab bataa do dil
halkaa ho jaayegaa … aur..”



Aditya apni najare ab Vikram par late huye kahtaa hain “aur kya bhaiyya?”



Vikram “subah hone do main tumhaare saath chaltaa hun uske ghar hum uske papa ko manaa lenge”



Aditya “thik hain bhaiyaa maine to laakh koshishe kiyi par uske papa mujhse mane hi nahin”



Aur Aditya apni gujare huye dinon ke yaadon men khotaa chalaa jaataa
hain aur jo usne pichhle 6 mahinon se jo bhi usne dekhaa, sunaa aur
mahsus kiyaa wo sab kuchh wo Vikram ko bataaye chalaa jataa hain.

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:44

Update 3





Deepa daudi daudi ghar men aa rahi thi
saath men “maa maa” chilla rahi thi uske chehre paar kaafi khushi
jhalak rahi thi aur hon bhi kyun naa aaj uskaa result jo nikalne waala
thaa aur sabko usse kafi ummide thi



wo chilaati hui ghar men ghusi aur thodaa dance karte karte maa ke paas kichen men jaakar lipat gayi



maa ne kahaa “ kyaa result nikla ?”

deepaa “first class with distinction” haath men ki marksheet maa ko
deekhaate huye usne maa se kahaa usko maa ne dekhaa aur uske bhi chehre
par muskuraahat chaa gayi “ bahut acche marks hain Deepa” maa ne kahaa



tabhi pichhe se aawaj aati hain “ aakhir beti hain kiski !”



Deepa pichhe dekhti hain to uske pichhe papa khade the aur unke haath
men mithai ka dibba tha usmense mithai nikaal kar wo dononko khilaa dete
hain



tabhi Deepa ki marksheet dekhte dekhte uske papa kahate hain “ m.b.a. kar liyaa ab kyaa karnaa hain ?”



Deepa ki aankhonemen achaanak ek chamak aayi aur usne kahaa “ main ab naukari karungi”

papane chhedte huye kahaa “ thik hain kar lenaa par shaadi kar lo baad men naukri karnaa”

deepaa achaanak kuchh roneesee surat banaa kar aur maa kaa pallu pakad
kar boli “ mujhe nahin karni shaadi waadi aapko jyaadaa padi hain to
aap karlo”



papa deepaa ki shakal dekhkar hansne lage aur unhone kahaa “ thik hain
naukari bhi karke dekh lenaa ab teraa bhai aaye to ham sab kahin baahar
dinner par jaayenge”



papa ki rajamandi sunkar Deepa boli “ I love you papa mujhe bhi lagaa thaa ki aap maan jaayenge”



thodi der baad uskaa bhai bhi aagayaa aur fir saathmen sab log bahar dinner ke liye gaye



Waise dekhaa jaaye to Deepa ek kaafi honhaar ladki thi aur who M.B.A.
padh rahi thi waise to who b. comm. Bhi kar chuki thi first class par
who aur bhi padhna chahti thi so usne M.B.A. kar liyaa



deepa ki umr hain 22 saal aur who kaafi open minded ladki hain
saathmen hi behtarin husn ki mallikaa par ekdam seedhee saadi ladki hain
waise agar uske husn ki tarif karne jaau to ekaadh update aur likhnaa
padega to main usko likhne kaa khayaal to abhi chhod hi detaa hun wo
kisi aur update men kar dungaa



To aaj uskaa result nikal aaya thaa yah bhi first class with distinction



Ghar men sab log kaafi khush the uske result se khaas kar uski maa
sabse jyaadaa thi aakhir ho bhi kyun naa kyun ke uski bhi iccha thi
padhne ki to uski yah iccha uski beti puraa kar rahi thi aur who bhi
itne acche marks ke saath



To deepa ke ghar men 4 member hain



Pahli deepaa, uski mummy shweta jo ki house wife thi, deepaa ke papa
suresh jo ki ek government ke kisi section men clerk the aur aakhari
uskaa bhai dinesh jo ki news reporter tha



Deepa khushi khushi agale hi din jaakar ek job agency men registration kar aati hain

Post Reply