Teri Meri Love Story - hindi romance story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:55

Update 25




Kuchh din baad abhiman ke office men abhiman deepa ko bulaa letaa hain aur deepa abhiman ke cabin men chali jaati hain



Abhiman “haan deepa baitho to jaraa main yah 1
chij dekh lun” aisaa kah ke abhiman apne computer screen par kuchh
dekhne lagtaa hain.



Thodi der baad abhiman “deepa office men agle 7-8 dinon tak koi important kaam hain kya?”



Deepa “main samjhi nahin sir”



Abhiman “dekho kal mujhe jo tour pe jana thaa wo
tour pe main jaa nahin saktaa hun kyunki mujhe urgently aaj sham ko hi
Chennai jana pad raha hain”



Deepa “thik hain sir aap jaa aaiye office men koi itnaa urgent kaam to hain nahin”



Abhiman “mere kahne ka matlab yah nahin thaa
darasal main nahin jaa saktaa hun is liye tumhe jana hoga idher paas
waale tour par”



Deepa “sir lekin main kaise jaa sakti hun?”



Abhiman “kyun jinse kuchh a/c s ke kaam hain wo ja dhav sahib se jake puchh lo wo bata denge tumhe aur …….”



Deepa “sir fir aap ja dhav sahib ko hi kyun nahin bhej dete? Unhe to sab pataa hain naa is baaren men”



Abhiman “wo agar chale jaate tour par par ab unki
umr ho chali hain is liye unko doctor ne jyada naa ghumne ke liye kahaa
hain aur jab unkaa samay thaa tab wo kaafi ghum chuke hain ab unse yah
nahin hogaa isliye tumhen bayaa raha hun”



Deepa “thik hain sir waise kitne din ka tour hain sir”



Abhiman “7 dinon kaa hain waise to tumhe jyada official hi kaam hogaa par….”



Deepa “par kyaa sir?”



Abhiman “kuchh kuchh jagahon par technical issues bhi hain aur naye componants ke liye bhi milnaa hain”



Deepa “sir yeh technical related kam to aap hi dekhte ho to fir wo kaise hogaa?”



Abhiman “wohi main soch rahaa hun” tabhi abhiman
ne mangaai hui chai aa jaati hain aur wo apni cigratte nikaal kar uske
kash lete huye sochtaa hain aur saamne deepa bhi chay ki chuskiyaan le
rahi hoti hain. fir wo jaise achaanak idea aayi ho waise wo kahtaa hain
“aditya………haan aditya ko bhej detaa hun”



Deepa “sir par aditya?”



Abhiman “haan usko hamaare production ke baaren
men sab pataa hain aur aaraam se logonse baaten bhi kar legaa tumhe
kisise kuchh dimaag lagaane ki bhi koi jarurat nahin padegi par accounts
related wo kuchh nahin kar paayega par wo logonko acchi tarah se tacal
kar legaa”



Deepa is baat par sochne lagti hain ki sach men
wahaan kai aise aadmi aur aise sawaalon se saamna honaa jinko wo
sambhaal paayegi



Deepa “thik hain sir aap jo thik samjhe wo kijiye”



Abhiman “ek minute main aditya se baat kar letaa
hun” yah kahkar wo apna mobile nikaal kar aditya se baat kartaa hain
thodi der ke liye aur unke beech kuchh baaten hoti hain aur uske baad
abhiman ke chehare par muskuraahat aa jaati hain.



Abhiman “aditya maan gya hain tumhaare saath
jaane ko par uska bhi ek din ka kam hain is liyetumhara toor bhi ek din
badh jaayegaa”



Deepa “thik hain sir ab main ja dhav sir ko jaakar milti hun unse bhi baaten karni padegi”



Abhiman “haan thik hain jaao”



Deepa uthkar darwaaje ke paas jaati hain aur kholne hi waali hoti hain ki abhimaan pichhe se aawaj detaa hain “deepa”



Deepa “jee sir”



Abhiman “wo aaj jaldi ghar chali jana sham men
jara aditya ko shopping par bahar le jaake usko formal banana nahin to
wo tumhaare saath waise hi yahaan wahaan jeans T shirt men ghumegaa”



Deepa “ji thik hain sir”



Abhiman “main chala jata par aaj pooja ke saath sham ko bahar jana hain aur raatko flight bhi pakadni hain”



Deepa “ok sir koi baat nahin”



Abhiman “abhi lunch ke baad wo aata hi hogaa usse mil lenaa”



Deepa “thik hain sir”



Thodi der baad aditya aa jaata hain taaki wo bhi
sab kuchh jaan sake ki kaise jana hain aur route tay karne ke liye aur
use wah aake tay karta hain aur saath hi men kis company men kya kaam
hain yah bhi.



Sab kaam niptaane ke baad aditya aur abhiman donon hi abhiman ke cabin men baithe hote hain.



Aditya “yaar jaraa chaand ke darshan karwaa”



Abhiman “itni bhi kya excitement ab se 8 din to
tu usikaa muh dekhne wala hain hum to saath honge nahin” is baat par
donon hansane lagte hain



Aditya “thik hain chaay to mangaa le”



Abhiman phone karke reshmaa ko chaay ke liye boltaa hain



Aditya “deepa ko bulaa le usse baat karni padegi ki subah kab nikalnaa hain”



Abhiman “wo raat ko dinner par bataa denaa uske saath”



Aditya “raat ka dinner wo bhi deepa jaisi ladki mujh jaise ke saath aise bahar jaa hi nahin sakti”



Abhiman “jaayegi jarur jaayegi”



Aditya “wo kaise ab yeh kyat u nayi tikdam lagaa raha hain?”



Abhiman “yaar aaj sham ko wo tere saath shopping
aa rahi hain aur baadmen der ho jaane ki wajah se aap use dinner bhi
karwaayenge”



Aditya “yaar yeh kal wala plan mera thaa par ye
sham ke dinner ka idea jam gay boss waise uske saath jaake uske liye kya
shopping karni hain?”



Abhiman “uske liye nahin tere liye”



Aditya “mere liye ab kyaa karni hain?”



Abhiman “aap uske saath kuchh formal kapdonki wagairaa shopping karenge”



Aditya “main jo pahntaa hun ismen kyaa buraai hain?”



Abhiman “burai kuchh nahin bas meri jhalak nahin aa rahi”



Aditya “ek minute kahin tu mujhme teri parchhai dikhane ki to koshish nahin kar raha hain?”



Abhimaan “yes aur tune waise rahnaa bhi chahiye aakhir tu ek businessman hain”



Aditya “chal thik hain” tabhi reshmaa aakar chaay
rakhke chali jaati hain aur donon apna apna cup uthaake baaten chalu
rakhte hain



Abhiman “aur teraa kyaa kaam hain bahar?”



Aditya “ghar jana hain dadaji ka birthday hain”



Abhiman “yaar main to bhul hi gaya”



Aditya “main bataa dungaa naa ki tu urgent kaam se bahar gaya hain”



Abhiman “tu bol raha thaa ki usko kuchh nahin batana hain aur usko saath leke ghar jaa raha hain”



Aditya “ab kyaa Karen majburi hain waise wahaan bhi jaakar apne liye kuchh spm banana hain aisaa vikram bhai bol rahe the”



Abhiman “wo to kyaa ghar ka hi kam hain teraa”



Aditya “haan par main binaa kisiko bataaye jaa raha hun ek dum surprise tapkungaa wahaan par”



Abhiman “surprise time par dete hain yaa ek din pahale jaakr?”



Aditya “wo din men kaam niptaa lungaa isiliye pichhali raat ko hi jaldi ghar chala jaaungaa”



Abhiman “thik hain mahine bhar chalaa jaa deepa ko lekar”



Aditya “mahine bhar wo bhi binaa shaadi ke kuchh bhi mat bol”

Abhiman is baat par hans detaa hain



Abhiman “tu bole to aaj hi uske ghar jaaye”



Aditya “bhai mere yahaan yah maamlaa teri tarah
pataa pataya nahin thaa jo ki bas koi aaye aur shaadi ki baat Karen iske
hi intejaaar men thaa”



Abhiman “haan wo to hain hi”



Abhiman apne intercom par se deepa ko fauran aane ko boltaa hain



Deepa aati hain “ji sir bulaya”



Abhiman “haan aditya aa gayaa hain aisaa karon
abhi hi chali jaao aditya ke saath wo tumhe ghar chhod dega aur baadmen
bahar jane ke liye pikup bhi kar legaa”



Deepa “thik hain sir”



Aditya “yaar kuchh kharche paani ke liye kuchh saath de”



Abhiman “deepa kitne din ka tour hain?”



Deepa “8 din kaa”



Abhiman “7 din kaa 1 din inkaa personal kaam hain
us din inkaa koi bhi kharch company nahin uthaayegi” yah sunkar hi
aditya muh latkaa kar deepa ki tarf dekhtaa hain



Deepa “thik hain”



Aditya “chal 7 din ke liye to 1 lakh de de”



Abhiman “1 lakh itne kaise?”



Aditya “dekh 7 din men daily party deni hogi
wahaan uskaa 10 hajaar per day pakad le aur jahaan bhi jaayenge wahaan 2
hotel rooms unke 3000 aur daily kaa 1000 ka kamse kam petrol”



Abhiman “deepa waise humaare inmen se kitne suppliars hain?”



Deepa “jee bas 1 hi hain aur baaki ki sab ke ham suppliar parties hain”



Abhiman “aur kitne companies ne unka guest house ke liye kahaa hain?”



Deepa “3..”



Abhiman “thik hain 50000 le jaao saath men deepa
aur wo apne saath rakhnaa aur mujhe uskaa hisaab chahiye aanepar aur
saath men sab ke bills bhi”



Deepa “thik hain sir”



Abhiman “jaao le lo aur aditya yahi baithaa hain wo ghar bhi chhod degaa”



Deepa kuchh man men sochte huye chali jaati hain.



Abhiman “itne 1 lakh leke karnaa kyaa hain?”



Aditya “mujhe lagaa wahaan jyada log honge to unhe botal men daalnaa padegaa aur saath men

deepa bhi”



Abhiman “pagal hain kya jo deepa daru piye use
kya aditya samjh rakhaa hain jo ki agar khuli chhut mile to din bhar
daaru piye aur sigrate pite huye ghume” is baat par donon hansne lagte
hain



Tabhi pichhe se deepa apna perce liye aur saath men ek envelope leke aa jaati hain



Wo dekhkar abhiman jo samjhna thaa wo samjh jata hain aur donon hansane lag jaate hain

Deepa samjh hi nahi paati ki kis wajah se donon hans rahe hain



Deepa “kyaa hua sir?” yah baat sunkar unki hansi 1
secand ke liye band hoti hain aur firse deepa ki bholi shakal dekhkar
hansnaa chalu ho jaate hain



Apni hansi ko rak kar aditya puchhta hain “deepa yah haath men kyaa hain?”



Deepa “perce”



Aditya “nahin uske alawa bhi kuchh hain”



Deepa “wo to paise hain abhi aapne bola naa 50 hajaar to wo hain”



Aditya “peket men se nikaalo” to wo bahar nikal kar usko 100-100 ke 5 bandal dikhaati hain





Aditya “madam hum wahaan par labours ki payment karne nahin jaa rahe hain”



Deepa “matlab?”



Abhiman “aise itne saare paise aise nahin le jaate”



Deepa “fir kaise le jaaye?” apne maasum adaa se puchhti hain



Abhiman “jaakar 1000 ke not le kar aao wo tumhe lagenge”



Deepa “par sir journey men chhutte lage to fir 1000 ke chhutte milege kaise?”



Deepa apne akal ki daud lagaa ke kahti hain aur Is baat par firse donon hansne lag jaate hain



Aditya “jitnaa kahaa hain le aao agar chhutta naa rahe to main dekh lungaa”



Deepa itnaa saa muh banaakar chali jaati hain
इस दुनिया में प्यार करनेवालो की कमी नहीं हे....
बस प्यार ही उस से हो जाता हे जो बेवफा हो.

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:55

Update 26





Abhiman apne
table ke drawer kholtaa hain aur usmense ek 1000rs ka bandal nikaal kar
aditya ko detaa hain aur kahtaa hain “yeh rakh le wahaan kuchh aise
kharche bhi hoge jiskaa bill tum lagaa nahin paaoge ya fir bill nahin
milenge us ke liye” aur muskurata hain.



Aditya jawaab men bas muskuraata hain aur wo paise uthaa leta hain. use pataa thaa ki wo kin chijon ki baat kar raha thaa.



Abhiman “bas deepa se bachke..”



Aditya kuchh nahin kahta bas haan men sar hilaa
deta hain aur do minat baad kahtaa hain “chal main niche parking men jaa
raha hun deepa aa jaaye niche bhej denaa”



Abhiman “thik hain”



Aditya abhiman ke cabin se parking ke liye nikal jata hain



Idher deepa abhiman ke cabin men aa jaati hain



Deepa “sir aditya sir gaye?”



Abhiman “wo niche parking men wait kar raha hain”



Deepa “to main chalti hun” kahkar uthane lagti hain



Abhiman “ruko deepa” aur apne jeb men se cigratte
nikaal kar uskaa kash lagata hain “baitho mujhe uske saath tum jaao
isse pahale kuchh baat karni hain”



Deepa man men kashamkash liye saamne aakar baith jaati hain



Abhiman apne cigratte ka ek badaa sa kash letaa
hain aur kahtaa hain “deepa aditya ek bahut hi alag kism ka hain kabhi
kahin par uska man lag jaye to wo wahaan se hiltaa nahin hain saath hi
men jo bhi uske saath baithtaa hain car men usko wo apne driving style
se ghabraane ki koshish kartaa hain par chintaa mat karo wo waqt par sab
kuchh sambhal letaa hain”



Kahkar firse ek baar cigratte ka kash lene ruktaa
hain aur kash leke kahtaa hain “uske saath ghumne men koi bhi problem
nahin hain job hi aadmi wahaan pareshan kar de usko bataa do wo aaraam
se nipat legaa”



Firse ek baar ek kash leke kahtaa hain “ab tum
jahaan bhi jaaogi wahaan tum bahut alag alag tarah ke log aur unke
behaviours dekhogi ismen tum aditya ke saath raho wo tumhaara pura
khayal rakhega bas par uske kisi bhi decision men roknaa mat usko kabhi
bhi uski bat men koi roke wo usko kabhi pasand nahin aataa”



Deepa abhiman job hi kah rahaa thaa bade hi dhyan
se sun rahi thi abhiman apni cigratte ke aur 2-3 kash letaa hain aur
dekhtaa hain ki depaa abhi bhi uske samne baithkar uski taraf hi dekh
rahi hain



Abhiman “jaao aditya tumhara intejaar kar raha hoga”



Deepa “jee sir”



Itnaa kahkar deepa abhiman ke cabin men se nikal jaati hain.



Deepa niche aakar dekhti hain to aditya apni
gaadi ke paas khadaa thaa aur apni mobile men kuchh dekh raha thaa.
Deepa aage badhkar uske paas jaane lagti hain par uske man men abhi abhi
abhiman ki kahi baaten aa rahi hoti hain aur uski wajah se wo dar bhi
rahi thi.



Aditya ke saath gaadi men puri der baat gaadi men
kuchh baat nahin karti aditya bhi binaa kuchh kahe gaadi chalata jata
hain aur uskaa ghar aa jata hain aur deepa ko uske ghar drop karke
kahtaa hain ki wo 1 ghante baad wapas pikup karne aa jaayegaa.



Thodi der baad aditya apne kahe anusaar deepa ko
uske ghar pikup karne aa jaata hain. Deepa ko saath lekar aditya sidhe
city ke acche se shopping street par chalaa jata hain. Aditya wahaan
kaafi kuchh apne liye kharidtaa hain. par ab itni der aditya ke saath
waqt bitaane ki wajah se ab deepa ka dar nikal jata hain aur wo aditya
ke saath khulke baat karnaa shuru kar deti hain saath men hansi majaak
bhi chalne lagta hain. aditya kaafi der tak apni shopping karne ke baad
kaaffi bags men bahut kuchh jamaa kar lete hain.



Apni liye shopping karne ke baad aditya apni sab
shopping gaadi men rakhtaa hain aur ghadi dekhta hain tabhi uski najar
saamne ke ek ladies appreal ke showcase par chali jaati hain. usmen wo
ek bahut hi khubsurat pile rang kaa suit dekhtaa hain.



Aditya “chalo bas ab ek chij rah gayi”



Deepa “shirts, trousers, jeans, tais, shoes even socks tak ki khariddaari kar li aura b kyaa baaki hain?”



Aditya “ek chij rah gayi hain jo ki main bhul hi gaya thaa”



Yah kahkar aditya sidha us showroom ki tarf
dheeme dheeme paanv chal padtaa hain. deepa bhi uske saath chal padti
hain usko abhi tak samjh nahin aata ki ab aur kyaa lenaa baaki hain?



Aditya jab showroom ki sidhiyaan chadhne lagta hain tab deepa aawaj deti hain



Deepa “yahaan?”



Aditya “to fir aur kahan?”



Deepa “aditya yah to ladies ke liye hain”



Aditya “haan fir kyaa hua?”



Deepa “aap samjhe nahin yahaan gent’s ke liye kuchh nahin miltaa”



Aditya is baat binaa koi jawaab liye sidhe
idhiyaan chadhnaa jaari rakhtaa hain aur deepa ko upar jaake dekta hain
deepa ab man men kashmkash liye wahaan chali jaati hain.



Aditya sidhaa jaakar wahaan ke ek aadmi ko wo
showcase men ka dekha hua Punjabi suit nikaalneko kahtaa hain. usne wo
nikaalte hi aditya usko dekhkar kahtaa hai



Aditya “deepa?.....yeh tumhaari hi size hain naa?”



Deepa “haan..”Deepa bina kuchh samjh men aaye jawaab de deti hain



Tabhi wahaan ka sales man aake kahta hain ki sir
agar aapko yah suit chahiye ho to perfect naap ka alter karke mil
jaayegaa unkaa apna tailor hain jo ye kaam 15 minute men kar degaa .



Aditya kahataa hain ki bulaaiye unhe…………



Aadhe ghante baad hi aditya aur deepa haath men bag liye dukaan se bahar the. Aditya deepa ko kahta hain



Aditya “chalo ab dinner kar hain ab kaafi der ho chuki hain, apni mummy ko fon kar ke bataa do ki tum bahar khana khaa rahi ho”



Deepa “nahin nahin mere liye mummy ghar par wait kar rahi hogi mujhe ghar jana hain”



Aditya “ab to koi bhi nahin hain saathmain akelaa
khana khau kya?” aur thodaa natak karte huye muh fula deta hain aur car
ka door kholkar driving seat par baithtaa hain.



Deepa bhi uske paas ki seat par aake baith jaati hain. aur dekhti hain ki aditya ka muh kaise utraa hua hain to wo kahti hain



Deepa”aaj nahin kalse to 7-8 din dinner to tumhaare saath hi karnaa hain naa?”



Aditya “thik hain” kahkar gaadi daudaa detaa hain

Thodi der baad deepa aditya ko puchhti hai “tumhe itni expensive dress mere liye nahin lenaa chahiye thaa”



Aditya “wo to kya kahte hain use…… haan shopping ke guidance ki fees hain”



Deepa “par …………”



Aditya baat kaatte huye bola “par war kuchh nahin ise rakh lo …..Chalo ab tumhe ghar chhod

du”



Deepa iske aage kuchh kah nahin paati aur aditya ke peeche peeche car ki taraf chali jaati hain.



Aditya seedhe gaadi drive karke use ghar le jata
hain aur utarte waqt use kahtaa hain “kal subah jaldi ready ho jana main
pickup karne aa jaaungaa”



Deepa “ab ghar aa hi gaye hain to saath men dinner kar lijiye”



Aditya “aage ke 7 din tumhare saath hi dinner
karnaa hain, mere liye Pratap bhi raah dekh raha hoga” aditya muskuraake
kahtaa hain.



Deepa “subah kitne baje ready rahu?”



Aditya “7 baje taiyaar rahna main thik us samaya aa jaaunga bag pack karke rakhnaa saath men”



Deepa “thik hain”



Itnaa kahte hi Aditya apni gaadi full speed men nikaal kar chalaa jaata hain.



Deepa bas yunhi khadi hokar uski jaati hui gaadi
dekhti hain. uski aankhon men kuchh ajeeb hi chamak hoti hain. Tabhi
gaadi ki aawaaj sunkar deepa ke pitaaji bahar aa jaate hain aur dekhte
hain ki deepa bahar khadi hain aur jaati hui car ki taraf dekh rahi
hain.



Deepa ke papa usse puchhte hain “kaun thaa?”



Deepa “aditya sir the mujhe ghar chhodne aaye the”



Papa “to unhe ghar bula leti khane par”



Deepa “nahin unkaa dost unkaa intejaar kar raha hogaa” yah kahte huye wo ghar ke chakhat ki taraf badhti hain



Papa “dost aur abhi?”



Deepa “haan unke mummy papa nahin hain naa aur
naa hi Pratap ke to wo donon saath men hi rahte hain.. Bachpan ke dost
hain donon”



Papa “waise Pratap?”



Deepa papa ke shabdon ko pura hone se pahale hi
kahti hain “uske papa pahale aditya ke papa ke paas kaam karte the par
unke gujar jaane par aditya ke papa ne use aditya ke saath badaa kiyaa …
aaj wo aditya ki company men hi job kartaa hain”



Papa “oh…”



Deepa kahte kahte unke paas chali aati hain aur
thandi saans chhodte huye kahti hain “naseeb bhi kaise kaise khel
kheltaa hain dekhiye aditya ke papa ne usko sambhala aur baad men aditya
ke mummy papa bhi ek accident men gujar gaye bas jab wo 18 saal ke the”



Papa “fir to kahnaa padegaa ki aditya ek kaafi
accha ladkaa hain aur itne kam umr se business sambhalnaa koi chhoti
baat nahin hain”



Deepa “chaliye papa mummy khaane par wait kar rahi hogi… mujhe khana khaake taiyaari bhi karni hain kal ke liye”



Deepa aur uske papa andar chale jaate hain.

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: Teri Meri Love Story - hindi romance story

Unread post by novel » 17 Oct 2015 14:55

Update 27





Aditya dusare din
thik subah 7 baje hi deepa ke ghar ke saamne aa kar deepa ko call
kartaa hain. ring bajti jaati hain bajti jaati hain par wo uthaati
nahin. Aakhir kaar aditya apni gaadi se bahar nikal aataa hain. aur uske
ghar ki taraf nikal padtaa hain.aaj uske kapde roj se alag hote hain
roj jo wo t shirt jeans men ghumne waalaa aaj ekdum formal shirt aur
trouser ke saath koi alag hi lag raha thaa.



Aditya saamne kaa main gate kholkar anadar chalaa
jata hain. aditya ghar ki porsh ke upar chadne waali 3 seedhiyonpar
rakhe huye gamle dekhte huye wo aage badh jata hain. ab seedhe jaake
ghar ke darwaaje ke saamne jaakar khada ho jata hain aur door bell
bajata hain. aur wait karne lagtaa hai ki koi aake darwaja khole.



Saamne kaa darwaja khul jata hain aur deepa ke
papa najar aate hain. aditya unko dekhkar kahtaa hain “good morning
uncle, deepa taiyaar hogi?”



Papa “are andar aao beta” yah kahkar andar chalne lagte naa chaahte huye bhi aditya ko unke pichhe ghar men chala jaata hain.



Deepa ke dad jaake ek sofe par baith jaate hain
aur wahaan se aditya ko bulaate hain jo ki darwaaje ke baaju men khaada
shoes utaar raha thaa. Shoes utaar ke wo dekhtaa hain to deepa ke papa
usko bulaate hain “yahaan aaiye”



Aditya seedha jaake side waale single sofe par
baith jata hain. Tab deepa ke papa kitchen ki taraf aawaaj lagata hain
“deepa jara chaay lana to aditya ji aaye hain”



Aditya “are uncle aap mujhse bade hain bas aditya
kahiye aap” aur smile pas kar deta hain. idher 2 minute men deepa
kitchen men se ek tray men 2 cup chaay aur biscuits lekar aati hain aur
aditya aur uske papa ke saamne rakhkar chali jaati hain. par aditya
saamne bas dekhtaa rahtaa hain.



Papa “are sharmaao mat beta le lo”



Aditya aage haath badhaa kar chaay ka cup utha letaa hain aur uski chuskiyaan lene lagtaa hain.

Papa “kitne din kaa toor hain?”



Aditya “jee uncle 8 din kaa hain par beech men ek Sunday aata hain isliye ek din badh jata hain.”



Papa “thik hain”



Aditya “waise deepa ko jana bhi nahin padtaa par ain waqt abhiman ko Chennai jana pada”



Papa “hamen hain beta office ke kaam se toor par jana padtaa hain main bhi jata hun”



Aditya “meraa to khud ka bhi ek din ka kam hain beech men”



Papa “thik hain…. waise rahne ka intejaam?”



Aditya “kaafi companiyonki khud ke guest house
hain aur ek do jagah par hotels lene padenge par wo waqt par arrange ho
jaate hain”



Papa “haan wo to ho jaate hain”



Aditya aur deepa ke papa ki chaay khatam ho jaati hain aditya ghadi ki taraf dekhta hain to 7:20 waqt wo dikha rahi thi.



Tabhi deepa bahar aati hain aur wo upar chali
jaati hain. aditya bechara uljhan men hotaa hain ki kahe to kya kahe.
Par aakhirkaar wo saamne pada akhbaar uthakar padhnaa shuru kar detaa
hain.



Thodi der bad usko kuchh halchal sunaai deti hain
to wo akhbaar niche rakhkar dekhtaa hain ki deepa haath men ek bag thi
aur wo usko rakhkar daudti hui kitchen men chali jaati hain. 2 minute
men wo firse bahar aati hain aur papa ke pair chhukar kahti hain



Deepa “aati hun papa”



Aditya uth khada hotaa hain aur wo bhi niklne ke
hisaab se kahta hain “uncle main bhi aata hun” aur wo bhi jaakar uske
papa ke pair chhuta hain.



Is pair chhune ke pichhe koi wajah nahin hoti bas aditya uske papa ko impress karne ki soch raha thaa.



Deepa ke papa uske sar par haath rakhkar kahte hain “jeete raho beta”



Aditya aage jyada kuchh naa kahe nikal padtaa
hain aur seedhe jaakar apne jute pahanne lagtaa hain. deepa bhi uske
pichhe pichhe chali aati hain ek haath men apni perce latkaaye aur ek
haath men bag liye.



Apne jute pahnne ke baad deepa sandal pahnne ke
liye rukti hain to uskaa niche rakhaa hua bag lekar bahar nikal jata
hain. bahar jaakar wo apne car ki dicci khol kar usmen uski bag rakh
deta hain aur driving seat par baith kar uski raah dekhtaa hain.



2-3 minute baad aditya dekhtaa hain ki deepa uske
pichhe uske papa, mummy aur bhai bhi bahar aa jaate hain. Deepa apne
mummy se widaai lekar car ki taraf badhti aati hain aur uske pichhe
pichhe uskaa bhai bhi aa jaataa hain. wo deepa ke liye darwaja kholtaa
hain aur deepa baith jaati hain. deepa baithte aditya sochta hain ‘puri
family pagal hain, beti ko toor par bhej rahe hain yaa hameshaa ke liye
ghar se wida kar rahe hain’.



Jab wo dekhtaa hain ki uska bhai ab darwaajese
door ho gya hain to aditya apni gadi start kartaa hain aur highway se
pahale ek road side ke ciggrate shop par rokta hain. bahar jaakar wo
apne liye cigratte ke packets kharid ke lata hain. Gaadi ke anadar aate
hi aditya cigratte packets mense 1 chhod baki 2 wo dashboard men rakh
detaa hain aur ko kholkar ek cigratte nikal kar light kartaa hain aur
packet dashboard ke upar fenk detaa hain.



Gaadi chalaane lagte huye wo deepa ke side ki
khidki khol deta hain tab deepa aditya ki taraf dekhti hain tab tak
aditya gadi chalaate huye highway tak pahunch jata hain aur ashtray men
ash gira rahaa hotaa hain deepa puchhti hain “itni cigratte kyun pite
ho?”



Aditya jawaab dene se pahale kuchh der ruktaa
hain aur 2-3 kash laga letaa hain. Fir sir ko hilaate huye kahtaa hain
“haan sahi kah rahi ho main kaafi jyada smoke kartaa hun”



Deepa “par itni kyun?”



Aditya kuchh kahtaa nahin bas gaadi ki speed
badhaate huye chalaataa jaata hain aur cigratte ke kash ke upar kash
letaa jaata hain. deepa aditya ki is khamoshi ko samjh nahin paati.
Deepa apne sawaal ka jawaab naa paakar thodaa chidh jaati hain aur apni
hand perce ko yahaan wahaan karne lagti hain.



Aditya yeh dekhkar kahtaa hain “wo perce pichhe ke seat par rakh do”



Deepa chidhkar apni perce pichhe ke seat par rakh
deti hain. Aur fir apne haath fold karke saamne dekhne lagti hain.
aditya gaadi chalaate huye hi usko dekhne lagtaa hain aur fir kuchh
sochta hain aur firse ek aur cigratte uthakar light kar detaa hain.



Deepa yeh dekhkar sochti hain ‘this is the
limit’. Wo aditya ko bol hi padti hain”tumhe pataa hain ye cigratte
tumhe andar se jalaa rahi hain”



Aditya sar ko haan men hilaate huye kahtaa hain ki “han mujhe pataa hain”



Deepa “to fir kyun smoke karte ho?”



Aditya kahtaa hai “yunhi”



Deepa “par isse tumhaari life kam ho rahi hain” aur aditya ko ek aisaa look deti hain jaise ki wo bahut jyada serious ho.



Aditya hanstaa hain aur kahtaa hain “who wants to live forever”



Deepa yeh sunkar hi shock ho jaati hain aur uski
sab feelings uske chhare par umad aati hain aur wo kahti hain “apne liye
nahin kamse kam dusaronke liye to jiyo”



Aditya bade hi sahajtaa se puchhta hain “kiske liye? Kaun hain aisaa jiske liye ye sochu?”

Aditya darsal deepa ke muh se kuchh nikalwana chahtaa thaa …



Deepa kuchh sochne ke baad “Pratap ya fir ..”



Aditya hanstaa hain aur kahtaa hain “Pratap ???
are wo itnaa strong hain ki dunia men wo aakhri bhi bach jaaye to bhi
aaram se jee lega aur waise bhi agar main naa rahaa to perfect spm ka
malik wo hogaa”



Deepa “koi to hogaa aisaa ki jiske liye tum jiyo”



Aditya firse hansne lagta hain aur kahta hain “waise main bhi aisaa hi aadmi hun aise hi jee leta hun”



Deepa “iskaa matlab yah hain ki tumhaare jindagi men aisaa koi nahin hain jiske liye tum jiyo?”



Aditya “beshak abhi to nahin hain par kuchh kah nahin sakte.”



Deepa “matlab”



Aditya “itihas ke burke ke pichhe kya hain iskaa
fikaa darshan jarur hota hain par bhavishya ke garbh men kya hain yeh
ham kabhi bhi bataa nahin sakte, hamen to bas wartmaan men jina chahiye
naa ki bhavishy ki chinta karni chahiye”



Itne men aditya dekhta hain ki saamne cars ki
line lagi hain aur stearing par haath maarkar kahtaa hain ki “shit
jam”aur yah kahkar wo gaadi control karte huye saamne waali gadi ke
pichhe laake gaadi khadi kar detaa hain.



Thodi der tak aditya baitha rahtaa hain. donon
khaamosh bahar ki taraf dekh rahe hote hain ki kab aage ke log chal pade
par kuchh aisa kuchh unko dikhai nahin de raha hota hain. aditya ghadi
men waqt dekhtaa hain to 8:30 baj gaye hain. aditya ke chehare par
bechaini aa jaati hain

Post Reply