Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:33

Image
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:33

DEAD NEVER LIE


"abey, ye kya tha?" Rohan achanak hi aaspas ki ghani jhadiyon se apni aur uchhal kar aaye gilahari numa jaanwar ko dekhkar uchhal kar teevrata se ek aur hat gaya.. Janwar ki uchhal mein jis prakar ki teevrata thi, uss'se yahi prateet hua ki usne unn par hamla karne ka prayas kiya tha...," tune iske daant dekhe?"

kareeb 10 - 10 feet ki lambi chhalang lagata hua wo uss ubad khabad Raste ke dusri taraf ki jhadiyon mein kho gaya..
Dono 2 pal wahin khade hokar uss ajeebogareeb Gilahari ko aankhon se aujhal hote dekhte rahe.. aur fir se apni anjan manjil ki aur badh chale..

"Uff.. kahan le aaya yaar...? kitna sannata hai yahan? yahan par toh aadmi ki jaat bhi najar nahi aati... kitna ajeeb sa lag raha hai yahan sab kuchh... Tujhe lagta hai yahan tujhe teri Neeru mil jayegi..? ... dekh mujhe toh lagta hai kisi ne tera ulloo banaya hai.. kyun bewajah apni raat barbaad kar raha hai... aur meri bhi.. chal wapas chal!" Nitin ne bolte huye sawdhani barat'ne ke iraade se rivolver nikal kar apne hath mein le li..

"Aisi baat nahi hai yaar.. wo yahin rahti hai.. aaspaas, Dekhna! koshish karenge toh wo hamein jaroor milegi.. wo agar nahi mili toh main pagal ho jaaunga yaar!" Rohan ne aage chalte chalte hi baat kahi...

Nitin aage aage bahut choukanna hokar chal raha tha.. choukanna hona lajimi bhi tha.. jahan iss samay wo the, uss jagah ke aaspaas koyi shahar ya gaanv nahi tha.. har taraf sannate ki bhayawah si chadar pasri huyi thi... Aawajein agar aa rahi thi toh meindhkon ke tarrane ki, aur rah rah kar jhadiyon ke jhurput mein kuchh rengte hone ki...door door tak kritrim roshni ka naamonishan tak nahi tha.. bus aadhe chand aur timtimate huye taaron ki hulki fulki roshni hi thi jo unko raasta dikha rahi thi.. raasta bhi aisa jo na hone ke hi barabar tha.. kahin uncha, kahin neecha.. beech beech mein gahre gahre gaddhe.. itne gahre ki dhyan se na chala jaye toh achanak poora aadmi hi unmein gayab ho jaye.. dono aur kareeb 4 - 4 feet oonchi jhadiyan thi...

"ab raasta saaf hota toh gadi hi le aate.. tujhe kya lagta hai..? yahan par koyi insaan rahta hoga.. aur wo bhi ladki.. sach batana, khud tujhe darr nahi lag raha, yahan ka mahoul dekh kar..." Nitin ne chalte chalte rohan se sawaal kiya...

"Darr lag raha hai tabhi toh tumhe lekar aaya hoon bhai.. nahi toh main akele hi na chala aata.." rohan ne jawab diya..aur achanak hi uchhal pada," Nitin dekh.. aage pakki sadak dikhayi de rahi hai.. main na kahta tha.. hum jaroor kamyaab honge... aage jaroor koyi basti milegi... dekh lena!"

"abey basti ke bachche.. uss'se koyi dhang ka raasta bhi toh poochh sakta tha tu.. aakhir wo log bhi toh shahar jate honge..?" Nitin ko bhi aage ka raasta pichhle raaste ke mukable behtar dekh kar kuchh ummeed bandhi....
"yaar, kya karoon, jab yahi ek raasta bataya usne...!" Rohan ne teji se chalna shuru kar chuke Nitin ke kadmon se kadam milate huye kaha....

"Ajeeb premika hai teri.. ek toh Raat mein milne ki jid kari aur upar se rasta aisa bataya.. chal dekh.. lagta hai hum pahunchne hi wale hain.. udhar light dikhayi de rahi hai.." Nitin ne apni baayi taraf hath utha kar ishara karte huye kaha...

dono bayi taraf mude hi the ki achanak thithak gaye..," yahan toh pani hai..yaar!" Rohan ne apne kadam wapas kheenchte huye kaha..
"humm.. koyi talab lagta hai..chal.. aage se raasta hoga... !" Nitin ne Rohan se kaha aur dono fir se seedhe raste par chal pade..

kuchh aage jakar unko ek pagdandi si bayi aur jati dikhayi di.. dono ne aankhon hi aankhon mein uss raste par sahmati jatayi aur uss aur badh chale...

"oh teri maa ki aankh.. yahan toh keechad hai..! chal wapas chal.. ye raasta nahi hai.." Man hi man Nitin uss ladki ko kos raha tha jiske pyar mein pagal Rohan apne saath saath uski bhi durgati kar raha tha...

"yaar, aadhe raaste toh aa hi chuke hain... aage chalkar talab mein dho lenge pair.. ab wo light bhi najdeek hi dikhayi de rahi hai..." Rohan ne mayusi se Nitin ko dekhte huye kaha..

"chal saale.. agar fir bhi ladki nahi mili toh dekh lena... aisi bakwas jagah maine aaj tak nahi dekhi" Badbadata hua Nitin fir se Rohan ke aage aage chalne laga...

To be Continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:33

Update 2

"Dekhi kyun nahi hai? tu toh master hai aise thikano ka... aadhi jindagi toh tune jangalon mein gujar di.. mujh par ahsaan karne ke liye bol raha hai kya?" Rohan ne uss par majakiya vyangya kiya...

"haan.. gujari hai.. magar aise thode hi.. poore bandobast ke sath chalna padta hai.. tu toh mujhe aise le aaya jaise hum unke junwayi hain aur hamare intzaar mein wo kisi airport par palkein bichhaye baithe honge.. Ram jane kis ghadi koun janwar bahar nikal aaye? wo toh achchha hua mein kum se kum apni rivolver sath rakhta hoon.. koyi bharosa hai aisi beehad sunsan jagah ka.." Nitin ne sambhal sambhal kar pair rakhte huye bola... dono ki pant keechad ke chheenton se ghutno tak san gayi thi..

uske baad jyada der unko chalna nahi pada.. kuchh door aur chalne par wo ek saaf suthre raaste par pahunch gaye.. Raasta purane jamane ki chhoti chhoti eenton se bana hua tha.. wo jagah koyi chouraha lag rahi thi.... Pani ka 'wo' talaab yahan tak bhi faila hua tha.. " chal, apne pair saaf karke aage chalte hain.. ab wo ghar bhi jyada door nahi lagta..." Rohan ne gahri saans lete huye kaha..

dono ne wahan pani mein apne pair dhoye aur fir se aage badh gaye...

"yaar, yahan galiyan aur deewarein toh itni dikhayi de rahi hain.. par ghar kahan hain.. ? kya iss gaanv mein wo ek hi ghar hai jahan light jal rahi hai...?" Nitin ne hairani se Rohan ki aur dekha...

"maine poochha nahi yaar.. kya pata ek hi ho.. chal.. tu chalta rah!" Rohan ne khisiyayi huyi billi ki tarah se betuka sa tark diya aur apne pyar ko paane ki ummeed mein aage badhta raha.. Nitin ke sath sath..

bade hi vismaykari anubhav ka saamna dono ko karna pad raha tha.. kafi der tak chalne ke baad bhi wo 'roshni' unse abhi bhi utna hi door lag rahi thi.. unhone galiyan bhi badli, par har baar kuchh door chalte hi fir se wo roshni theek unke saamne aa jati.. aur fir se unko usi raaste par chalte rahne ka ahsaas hota...

"dhat tere ki... dekh.. rohan.. mujhe toh sab kuchh gadbad lag raha hai.. bhala aisi jagah par bhi aajkal koyi ghar banata hai.. 'wo' ladki sach mein yahan hogi na...?" Nitin thak haar kar khada ho gaya...

"hai na bhai.. tu mera.. are.. dekh bachcha!" Rohan ek dum uchhal pada..

Rohan ki baat sunte hi Nitin ka dil uski balliyon par aa gaya..," bachcha.. Raat ke 11 baje.. ghar se bahar, wo bhi aisi sunsan jagah par? aakhir tu mujhe baat clear kyun nahi kar raha.. koun hai wo ladki.. yahan aakhir karte kya honge uske ghar wale..!" Nitin ka dimag chakraane laga tha.. jis tarah si paristhitiyan wahan utpann ho rahi thi.. aisa hona lajimi hi tha...

Rohan ne bina kuchh bole Nitin ka hath pakda aur uss 'bachche' ki aur lapka..

Deewar ke sath khada wo bachcha jhuk kar kuchh kar raha tha.. jaise hi wo dono uske kareeb pahunche.. wo palat kar muskuraya...
bada hi masoom sa bachcha tha.. kareeb 8 saal ki hi umar hogi.. dono uski shakal dekhte hi hairan rah gaye.. uske munh par aisa lagta tha jaise kisi chot ka ghav bana hua ho.. taaja ghav.. uske honton ke paas se khoon ris raha tha.. uski aankhon mein gahri chamak thi.. aur chehre par ajeeb sa mailapan...

Dono uss'se kuchh doori par thithak gaye.. Bachcha unki aur lagataar, bina palakein jhapakaye dekh raha tha.. uski aankhon mein na toh aascharya ka bhav tha.. na hi kisi tarah ke bhay ka.. par aankhon ki tej chamak mein bhi ajeeb se soonepan ne unko chounka diya...
Nitin ne uss'se faasla banaye huye hi sawaal kiya," yahan kya kar rahe ho, beta.. itni raat ko...?"

"apne pairon ka keechad saaf kar raha hoon uncle.." badi hi masoomiyat se bachche ne jawab diya.. uski aawaj aur baat karne ke dhang se unko kahin se bhi ye ahsaas nahi hua ki uski umar 4 saal se upar hogi.. halanki kad kadi se pahle unhone uske 7-8 saal ka hone ka anuman lagaya tha...

"yahan koyi Neeru rahti hai.. ? bata sakte ho uska ghar kounsa hai?" Rohan ka dil baithne laga tha.. yahan toh sab kuchh ajeeb hi ho raha tha.. usne jaldi se wahan se talne mein hi bhalayi samajhi...

ladke ne ungali utha kar roshni ki aur ishara kar diya..," wahan! hum sab wahin rahte hain.. uss haweli mein!"

"matlab... matlab tum.. tumhari kuchh lagti hai kya wo?" Rohan ko rah rah kar jhatke se lag rahe the....

"par uss 'haweli' ka raasta kidhar se hai.. hum toh dhoondhte dhoondhte thak gaye.. aur tum ghar kyun nahi gaye abhi tak.. yahan kya kar rahe ho..?" Nitin ne bachche se sawaal kiya..

"main kho gaya hoon uncle.. mujhe bhi raasta nahi mil raha.. itne dino se dhoondh raha hoon.." ladke ne utni hi maasumiyat se jawab diya..

"kkkitne dino se..?" ladke ke har jawab ke sath dono ke dil ki gati badhti ja rahi thi..

" 74 saal se....?"

"bhag Nitin.. bhag.. hum fans gaye nahi toh.. samajh le maare gaye.." Rohan ne Nitin ka hath pakad kar apni aur kheencha.. bhagne ke liye.. par jaane kyun Nitin wahan se hil nahi paya...shayad utsuktawash," kyun majak kar rahe ho yaar? kyun jhooth bol rahe ho..?"
iss baar ladke ke chehre par shikan aur shadiyon purani tadap ubhar aayi," main majak kyun karoonga uncle? Marey huye log jhooth nahi bolte!"

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

Post Reply