Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:48

Kareeb 5 baje ek gadi Gouri ke ghar ke samne ruki.. Shekhar ka palkein bichhayein intjaar kar rahi Shilpa ki dil ki dhadkane achanak badh gayi,"Gouri, dekh toh! aa gaya kya?"

"aaya hoga toh andar hi aayega.. wo kya ghar bhool gaya hoga?" Gouri ne majak mein kaha aur khidki khol kar bahar jhankne lagi....

Shekhar ne Gadi se utarte hi Shilpa ke ghar par nigah dali.. koyi najar nahi aaya.. betaab nigahon se baar baar udhar hi dekhte huye wo Gouri ke ghar ke darwaje par jakar khada ho gaya.. apne kapde durust kiye aur dheere se knock kiya...

"aa gaya.. ja.. tu hi uska swagat kar..!" Gouri hansne lagi...

"Nahi yaar.. mujhe sharm aa rahi hai.. ja na.. jaldi ja..!" Shilpa ne hadbadahat mein apne aapko upar se neeche tak dekha.. "haye raaam.. main kya karoon..?" aanan faanan mein khud se hi sawal karti huyi Shilpa shekhar ko Gouri ke sath aata dekh drawing room ke sath wale kamre mein chhip gayi...

Shekhar ko najar bhar dekhne se hi Shilpa ke dil mein hulchal si mach gayi.. kal tak jisko wo lallooram kahkar chidaya karti thi, aaj sharirik soushthav aur soundarya mein kisi filmi hero se kam nahi lag raha tha.. Shilpa darwaje ke pichhe chhip kar apni saans rok kar khadi ho gayi...

Gouri Shekhar ko Shilpa ke roop mein surprize dena chahti thi.. par andar aate hi jab usne Shilpa ko hi gayab paya toh uski hansi chhoot gayi....

"kya hua?" Shekhar ne baithte huye poochha..," uncle aunty ji nahi hain kya?"

"Nahi.. kuchh nahi..!" Gouri ne mand mand muskurate huye kaha," Mummy bahar gayi hain.. aur papa toh hafte mein hi aate hain.. ye lo!" gouri pani lekar aayi thi..

"oh thanx.. yahan toh kuchh bhi nahi badla.. sab kuchh waisa ka waisa hi hai..!" Shekhar Shilpa ke bare mein poochhne ke liye bhoomika banane laga...

"par tum toh bahut badal gaye ho Shekhar.. modelling ki taiyaari kar rahe ho kya? he he he..." Gouri ne uske saamne baithte huye aparoksh roop se Shekhar ke deel doul aur shakal surat ki sarahana ki...

"are nahi yaar.. kahan modelling? insaan toh badalte hi rahte hain.. waqt ke sath.." Shekhar ne darshnik najariye se kaha....

"Sach! par agar koyi ab tak bhi nahi badla ho toh?.." Gouri ke chehre par rahasyamayi muskaan tair gayi...

"kya matlab? Shekhar sachmuch kuchh nahi samjha tha...

"Ek minute.." kahkar hanste huye gouri andar gayi aur Darwaje ke pichhe khadi Shilpa ko pakad kar bahar kheenchne lagi... Shilpa lajja se mari ja rahi thi," A.. chhod mujhe.. pls.. chhod de na..!"

Par gouri par Shilpa ki anunay ka koyi asar nahi hua.. jabardasti kheenchne ki wajah se iss aapa dhapi mein Shilpa ka top uski nabhi tak upar khinch gaya.. ek dusre se kheenchtaan mein lagi dono ladkiyan jaise hi Shekhar ke saamne aayi.. uski toh mano dhadkan hi tham gayi..pahli hi najar mein usne shilpa ko pahchan liya... lambe kaale khule huye baalon mein uska chehra baadlon ki aad mein chhipe chand ki sundarta ko bhi maat de raha tha.. poora ka poora badan youvan ras se labrej aur ek dum lacheela tha...

Jaise taise khud ko chhudakar Shilpa wapas andar bhag gayi... Gouri haanfte huye bahar aayi," pahchana isko?"

"haan.. Shilpa thi na?" Shekhar ne jawab dene ke sath hi uska confirmation bhi lena chaha...

"hummm.. bahar aao na.. shilpa.. ye kya bachpana hai?" gouri ne bahar se hi usko pyar bhari fatkaar lagayi...

"ek minute.. andar aana Gouri.." Shilpa ne aawaj lagayi...

Andar jate hi gouri ne hulke swar mein usko daanta," kya hai ye? kya samjhega wo.. tu koyi bachchi nahi hai ab.. chal bahar..."

"bachchi nahi hoon, tabhi toh!" Shilpa ne sakuchate huye kaha...

"kuchh nahi hota.. sab theek hai.. tu aa na.." gouri ne uska hath pakda aur bahar kheench layi...

Shilpa ka chehra dekhne layak tha.. wah aakar baith toh gayi thi par Shekhar se najarein nahi mila pa rahi thi... Kitni hi der wah yun hi palkein jhukaye baithi rahi...

"Hello!" Shekhar ne hi uska moun todne ki koshish ki...

"hi!" bolte huye Shilpa ne apni palkon ko uthane ki koshish ki par shekhar se najarein milte hi haya ke bojh se wapas jhuk gayi," kaise ho? Shekhar!"

"najrein uthakar khud hi dekh lo na, kaisa hoon! ha ha ha" shekhar ne majak kiya...

"main ek minute mein aayi.." kahkar gouri wahan se nou do gyarah ho gayi...

"tum toh ekdum badal gayi ho Shilpa.. ye sab kaise hua..?" Shekhar ne Gouri ke jate hi usko chheda....

Shilpa ke badan mein gudgudi si mach gayi.. wah aisa kahte hi aur bhi jyada sikud gayi," aur sunao! kya karte ho aajkal.. kafi smart ho gaye ho.. pahle jaise nahi rahe.. Lallooram!" kahte hi Shilpa ne apna chehra hathon mein chhupa liya.. dheere dheere uski jhijhak khul rahi thi...

"Tum bhi toh shadi ke layak ho gayi ho.. koyi ladka dekhna hai kya?" Shekhar ki iss baat ne uske jajbaaton ko jhanjhana diya.. wah bhadakna chahti thi.. par bhadak nahi payi... pahle bhi Shekhar aksar yahi majak uske sath kiya karta tha.. par uss waqt toh wo kahne ke sath hi rafuchakkar ho jata tha.. warna usko pata hota tha ki Shilpa ro ro kar.. sare mohalle ko khada kar legi....

"tum bilkul waise hi ho!" Shilpa ne roothne ki acting karte huye apne rasile honton ko bahar nikal liya.. par muskan ko apne chehre se hata nahi payi.. aur na hi najrein utha payi....

"par tum ab waisi nahi rahi Shilpa.. tum toh sharmane lagi ho... ab toh jhagda bhi karna band kar diya hai shayad.. warna iss baat par toh mere upar chadh kar baalon ko nochne lag jati.." Shekhar ne muskurate huye kaha...

kya kahti Shilpa, upar toh wo ab bhi chadhna chahti thi.. par badan par youvan ka badha hua wajan usko aage badhne se rok raha tha...," kitne din ho abhi.. yahan par...?"

"pata nahi.. sochkar toh hafte bhar ki aaya tha.. dekhte hain... " Shekhar ne baat poori bhi nahi ki thi ki gouri apni mummy ke sath andar aati huyi dikhayi di.. ye dono ki purani yaadon ko taaja karte huye ek dusre ke najdeek aane ki koshishon par viram jaisa tha.. dono samanya ho gaye...

"namaste aunti ji..!" shekhar ne khade ho uska abhiwadan kiya...

"Namaste beta.. bade dino baad yaad kiya apna shahar.. arey kuchh khane pine ko bhi diya hai ki nahi tum logon ne!" Aunti ji ne poochha....

"wo.. main thanda lene hi gayi thi mummy.. abhi deti hoon....

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:48

Agli dopahar kareeb 12:30 par Batala highway par khade Rohan aur shekhar Nitin ke aane ka intjaar kar raha the. nitin ki car ko Rohan ne door se hi pahchan liya.. aur Shekhar ki car se utar kar usko rukne ka ishara kiya.. Nitin ne car rok di.. rohan ne Nitin se hath milaya, Sath baithi Shruti ko atpate dhang se hello bola aur pichhe wali seat par ja baitha," agli gadi ke pichhe pichhe chalna bhai..."

------------------------------------------------------------------------

"toh... aapka kahna ye hai ki mere sapne ki wajah aap hi hain.." Rohan ne Shruti se poochha.. wo aur Shruti kothi ke drawing room mein akele aamne saamne baithe the.. Nitin Ravi ko lekar jaanboojh kar bahar nikal gaya tha taki Shruti bhole bhale Rohan ko aasani se uske dwara ratayi gayi baatein bol sake.. Ravi Nitin ke plan mein adanga daal sakta tha...

Shrutu Rohan ke sawaal par kuchh der chuppi sadhe rahi.. fir pahle haan mein sir hilaya aur najrein uthakar boli," haan!"

Shruti ki shakal soorat itni pyari aur masoom thi ki agar Rohan ne Neeru ko na dekha hota toh shayad wo uske isi jawab ko 'aakhiri jawab' maan leta.. par ab duvidha mein uske paas poochhne ke liye aur bhi bahut sari baatein thi," par kyun? mera matlab hai ki maine tumhe pahli baar tumhare ghar hi dekha tha.. aur shayad tumne bhi.. fir aisa kyun kar rahi thi.. aur aisa kaise ho sakta hai ki koyi jinda ladki kisi ke sapne mein aakar jo kahna chahti hai wo kah sake, uske apne paas bulane ke liye badhya kar sake..? pls mujhe sari baatein detail mein samjhao.. main bahut confusion mein hoon..."

Bolne ke liye munh kholte huye Shruti ke chehre par shikan ubhar aayi. wah jaanti thi ki ab jo kuchh bhi wah bolegi, jhooth hi bolegi.. Nitin ke kahe anusar.. jo kuchh usne yaad kar rakha tha.. wah ek swar mein bolti chali gayi.. bina ruke

"Darasal jo kuchh bhi hua hai, wo aadha maine kiya hai aur aadha bhagwan ne.. Pahle mere sapnon mein tum dikhne lage the.. main bechain rahne lagi.. tum bhi aksar wahi baatein kaha karte the jo maine tumhe sapno mein kahi hain abhi tak.. ye silsila jab mahino tak chalta raha toh haar kar mein apne gaanv ke paas ek tantrik ke paas gayi.. inn sapnon ki wajah jaan'ne ke liye.. uss ne mujhe bataya ki hamara pichhle janmon ka koyi sambandh hai.. aur isiliye mujhe aise sapne aate hain. Sath hi unhone kaha ki wo 21 din ka akhand yagya karke hamari aatmaao ko ek dusri se alag kar sakte hain taki fir kabhi mujhe aise sapne na aayein...." kahte huye Shruti achanak chup ho gayi.. Nitin ne usko aisa hi karne ke liye bola tha..

"Fir?" Rohan badi lagan se uske har shabd par visvas karta hua sun raha tha.. Shruti ke rukte hi wah bechain ho gaya," aage batao na!"

"Unhone tumhe hamesha ke liye meri jindagi se door karne ka aaswasan diya tha.. par.." Shruti fir chup ho gayi.. iss baar nitin ki marzi ke mutabik nahi.. par jo usko bolne ko kaha gaya tha.. Shruti uski himmat nahi juta pa rahi thi...

"Par kya? bolo na!" Rohan vichlit hote huye bola....

"par.. mujhe tab tak tumse.. pyar ho gaya tha.. raat ko hi nahi.. main din mein bhi tumhare sapne dekhne lagi thi.. mujhe pata nahi chala ki kab aisa hua.. par jab tantrik ne meri jindagi se tumhe nikal dene ki baat kahi toh maine mana kar diya.." Shruti ne kaha...

"tum ruk kyun rahi ho beech beech mein.. sari baat batao na.. aage kya hua?" Rohan khud aisa sapne dekh chuka tha isiliye Shruti ki baaton par visvas na karne ka koyi matlab hi nahi tha...

"Maine unko bataya ki main aapse pyar karne lagi hoon.. aur agar hamara pichhle janmon ka koyi sambandh hai toh ham iss janam mein kyun nahi mil sakte..? Unhone kaha mil sakte ho! Maine jariya poochha toh unhone ek hi raasta bataya.. unhone kaha ki wo mujhe sapno mein aapke paas bhej sakte hain.. unhone kaha ki main jo chaho sapne mein kah sakti hoon.. baki aap par nirbhar karta hai ki aap sapne ko kaise lete hain... fir mere kahne par unhone yagya shuru kar diya.. aur main aapke sapno mein aane lagi.." Shruti ki aankhon se aansoo ludhak gaye.. Rohan ke pyar mein nahi.. ek nihayat hi shareef ladke ke saamne jhooth par jhooth bolte huye....

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:48

"ohh! aap aise ro kyun rahi hain..?" Rohan ne uske rone ko uske be-inthaa pyar ka parinaam mana.. sach mein! Rohan ka dil pighal gaya tha uski baat sunkar.. Shruti ne rumaal nikala aur apne aansuon ko ponchh liya.. par purane aansoon abhi sookhe bhi nahi the ki Shruti achanak foot padi.. apne pair sofe par chadhye aur sir ghutno mein de liya...

Rohan uske paas aaya aur uske sir par hath rakh kar samjhane laga," pls.. aap royiye mat.. main aapki halat samajh sakta hoon.. Darasal main bhi pyar ka matlab kuchh din pahle hi samjha hoon, Neeru.. sorry.. tumhare sapne mein aane ke baad.. Aap royiye mat pls.. mera bhi dil dukh raha hai aapko rote dekh kar..."

'Kitna fark tha Rohan aur Nitin mein; Ek toh wo insan ki khal mein chhipa bhediya, jiske liye na toh dosti ke mayne hain aur na hi jajbaat ki koyi kadra.. Ek taraf Rohan, Insan ke roop mein devta! kitni sharafat aur insaniyat bhari huyi hai iske dil mein..'

ye sab sochti huyi Shruti ne apne shareer ko dheela chhod sir uske kandhe par tika diya.. Aankhein yunhi barasti rahi...

rohan ne uske hath se rumal liya aur uske gaalon par aansuon ki bani kataar ko saaf karte huye rokne ki koshish karne laga.. Shruti ko uski najron mein wasna ka katra bhi dikhayi nahi diya.. uske dil mein toh sirf pyar hi pyar bhara hua tha.. Dheere dheere Shruti ki subakiyan band ho gayi aur apne hath ka sahara lekar wah seedhi baith gayi...

Shruti ke samanya hote hi Rohan apne man mein upaje kuchh ansuljhe sawaalon ka jawaab jaan'ne ki koshish karne laga," agar aap normal hon toh ek baar poochhoon.."

Shruti usko sab kuchh sach sach bata dena chahti thi.. par uska matlab sirf uski jindagi barbaad hona hi hota.. thodi der chup rahkar usne sambhalte huye unn sambhavit sawaalon ko yaad kiya aur Rohan ki aankhon mein aankhein daal boli," haan.. main theek hoon..!"

"Aapne mujhe teele par kyun bulaya? ghar kyun nahi..?" Rohan wapas uthkar saamne chala gaya...

"Wo mujhe uss tantrik ne hi aisa karne ke liye bola tha.. Darasal 'yagya' wahin chal raha tha.. aur yagya sampann karne ke liye ek baar aapki upsthiti jaroori thi... isiliye unhone aapko wahan bulaya tha..." iss sawaal ka Jawab Shruti pahle hi yaad kiye huye thi.. isiliye bolte huye wah kahin nahi atki...

"ohh.. iska matlab jab ham wahan gaye toh aur koyi bhi wahan aaspaas tha.. Gadi ki hawa bhi usne hi nikali hogi.. kya naam hai Tantrik ka?" Rohan ne yunhi poochh liya...

"pata nahi...Log unko agyaat baba kahte hain.. !" Shruti ne pahle se hi yaad kiya hua naam bhi bata diya...

"Ek baat meri samajh mein abhi tak nahi aayi.. jab aap hi mere sapno mein aati thi.. aur aap hi mujhe bulana chahti thi.. toh ye 'Neeru' naam ka kya chakkar hai?" Rohan ko ye sawaal sabse adhik kachot raha tha...

"wo baba ne hi mujhe aisa karne ko bola tha.. darasal unhone mujhe bataya tha ki mera naam pichhle janam mein Neeru tha.. iss naam ke karan aap na chahte huye bhi khinche chale aayenge.. isiliye.."

"fir aapne sapne mein ye kyun kaha ki Main Neeru nahi hoon.. Neeru toh batala mein rahti hai.. !" Ek aur sawaal Shruti ke saamne munh baye khada tha...

kamaal ki taiyaari kar rakhi thi Nitin ne.. apne kapti tej dimag ka istemaal karte huye usne chhoti se chhoti baat par gour kiya tha.. Shruti ko mission par lagane se pahle.. Shruti ke paas har sawaal ka jawaab tha; pahle hi taiyaar kiya hua," Aisa bhi maine Agyaat baba ke kahne par hi kiya tha.. Unhone kaha tha ki yagya ke douran mujhe aapke paas nahi jana hai.. aapko chhoona nahi hai.. isiliye.. isiliye uss din maine aapko dekha tak nahi.. sir jhukaye hi rahi har waqt.. aur raat ko sapne mein kahin aap mujhe chhoo na lein.. isiliye aisa kaha tha..!"

"ohh.. par yahan bhi mujhe Neeru mil gayi.. bilkul jaisa aapne sapne mein bataya tha.. aur sapne mein jaise ghar ke bahar aap mujhe khadi dikhayi deti thi.. bilkul waisa hi ghar hai unka.. main toh hairaan ho gaya tha dekh kar.. aapki baat par mujhe poora visvas hai.. par meri samajh mein ye nahi aa raha ki ye sanyog kaise hua.. ya iske pichhe bhi agyaat baba ka hi hath hai...? Rohan ke dimag mein ab bhi sawaalon ka athah bhandar uthal puthal machaye huye tha...

Rohan ke baat poori karne se pahle hi Neeru bolna shuru ho gayi thi.. Nitin ko visvas tha ki ye sawaal bhi jaroor kiya jayega..," Haan.. Unhone hi apni mantra sakti se 'kisi Neeru' ka pata lagaya tha.. yagya ki safalta ke liye mujhe pichhle janam ke naam ka prayog karna jaroori tha.. aur meri kahi huyi baat Yagya ke niyamon ke anusar sach honi bhi aawasyak thi.. Isiliye unhone 'mantra shakti' se yahan wali Neeru ka pata lagaya aur mujhe sapne mein isi jagah ka prayog karne ko bola tha..."

"humm.. " Neeru ke aakhiri jawab ka matlab usko poori tarah samajh nahi aaya tha.. par kyunki wah uss ki kisi baat par shak nahi kar raha tha isiliye pachane mein koyi dikkat nahi huyi.. Batala ki Neeru poori tarah uske dimag se nikal chuki thi," ab toh mujhe sapno mein aakar nahi daraogi na!" Rohan uski taraf dekhkar muskurane laga....

Bechari Shruti rohan ki Muskurahat ka bhi jawab apni marji se nahi de payi," Baba ne kaha hai ki jab tak hum.. wo.. Shadi nahi kar lete, aapko aise hi sapne aate rahenge.. main yunhi aapko teele par bulati rahoongi.. aur yunhi kahti rahoongi ki main batala main hoon.. main Shruti nahi hoon.. Neeru hoon.. " Neeru ne '*****' shabd ki jagah 'Shadi' shabd ka istemaal kiya.. itne sabhya insaan ke saamne '*****' wo bol hi nahi payi...

"par aisa kyun?" Rohan ne utsukta se poochha...

Yahan Shruti hadbada gayi.. ye pahla aisa sawaal tha jo uske saamne pahle nahi aaya tha.. par jald hi wah sambhalte huye boli," humm.. pata nahi.. shayad yagya ka asar tabhi tak rahega, jab tak hum mil nahi jate... wo.. main thodi der aaram kar loon kya? mujhe thakaan si mahsoos ho rahi hai..." Shruti ne pichha chhudane ke liye kaha..

"oh sure! sorry.. mujhe aapse ekdum itne sawaal nahi karne chahiyein the.. Neeche 3 bedroom hain.. pahle wale ko chhod aap kahin bhi jakar aaram kar lein.. tab tak main khane peene ka bandobast karwata hoon...

"Thanx!" Shruti thake hare kadmon se uthi aur gallery ki taraf badhne lagi.. achanak Pichhe se usko Rohan ki aawaj sunayi di..,"Shruti!"

"haan..?" Shruti ekdum palat gayi...

"kuchh nahi.. bus aise hi.. ek baar aur tumhara chehra dekhane ka dil kar raha tha.." Rohan ke chehre par muskaan tair gayi..

Shruti ne feeki muskaan ke sath uski muskurahat ka swagat kiya aur mudkar andar chali gayi...

Post Reply