Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:35

Update 9

Agli subah Buddhe ne aakar Rohan aur Nitin ko uthaya.. Rohan ke sir mein dard tha.. Raat ke sapne ki baatein uske dimag mein ab hathode ki tarah baj rahi thi..
"kya baat hai? theek toh hai na?" Nitin ne usko iss tarah sir pakad kar baithe dekha toh poochh liya..

"Nahi bhai.. sab theek hai.. bus aise hi sir mein dard ho raha hai.." Rohan ne Nitin ki aur dekhte huye kaha..

"toh ab chalein ya teri neeru se milne ki tamanna hai.." Buddhe ke wapas jate hi Nitin ne Rohan ko chheda...

"uska naam bhi mat le yaar mere saamne.." Rohan fat pada...

"arey main tujhe fone karke teeley par bulane wali ladki ki baat nahi kar raha.. main iski baat kar raha hoon; Shruti ki.. mili toh yahi thi na tumse.. kafi pahle.. tu kah raha tha..." Nitin ne usko khangaalna shuru kiya...

"abhi kuchh mat bol yaar.. pls.. mere sir mein dard hai.." Rohan ab bhi apna sir pakde baitha tha...

"chal chhod.. tu tension kyun leta hai.. abhi nikalte hi hain bus yahan se.." Rohan ne uss waqt baat ko taal diya..

"main fresh hokar aata hoon yaar.. Toilet kidhar hai.. kuchh idea hai..?" Rohan khada hote huye bola...

"bahar nikal kar dayi taraf seedha chala ja.."

"thanx.." kahkar jaise hi Rohan bahar nikalne ko hua, unke liye chay banakar la rahi Shruti uss'se takraate takraate bachi..,"oh sorry..!" Rohan thithak kar khada ho gaya..

Shruti uske saamne sir jhuka kar khadi ho gayi.. kya gajab ki mithas thi uske chehre par.. sundarta ka prayay kahein toh koyi atishyokti na hogi.. maare lajja ke usne abhi tak apni aankhein uthayi hi na thi uper.. ek baar bhi unse aankhein char nahi ki... kafi der tak jab Rohan usko thaga sa khada dekhta raha toh usko bolna hi pada," ji.. chay.."

"ohh.. andar rakh do.. main aata hoon abhi.. thanx!" kahkar Rohan usko raasta dekar aage nikal gaya..

Shruti chay lekar andar gayi aur table Nitin ki aur sarka kar chay uss par rakh di.. mudkar jaise hi wah bahar jane ke liye palti.. Nitin ne usko tok diya," kya naam hai tumhara?"

Shruti ke kadam wahin thithak gaye... sharmili thi par pagal nahi thi.. uske bapu ne kitni hi baar uska naam liya unke saamne.. wo samajh gayi.. line maarne ki firaak mein hai... wah do pal ruki aur fir se aage badhne lagi..

"Neeru.. ye bhi tumhara hi naam hai na..!" Nitin ne uske badhte kadmon par fir se viram laga diya..

"ji.. ji nahi.." Shruti ne jawab diya..

"Rohan tumhare liye hi yahan aaya hai.. koyi tumhara naam lekar usko yahan bula rahi thi.. tum mile ho na pahle.. wo ... tum dono pyar bhi toh karte ho.." Nitin ko jitna pata tha.. utna bol diya...

Shruti ko Nitin ki baatein samajh mein nahi aayi thi.. wah palat kar kuchh bolna chahti thi.. par uski himmat na huyi.. bina palte, bina ruke wah bahar nikal gayi...
"ajeeb ladki hai.." Nitin badbadaya... aur newspaper uthakar padhne laga... Shruti ne Nitin ki aakhir mein kahi gayi baaton ko sun liya...

Kuchh der baad Rohan wapas aaya toh Buddha wahin baitha tha... Rohan aate hi thandi ho chuki chay uthane laga toh buddhe ne usko rok diya," Rahne do beta.. thandi ho gayi hogi.. Shruti kah rahi thi wo aur banakar la rahi hai..

"oh uncle ji.. kya jarurat thi pareshan hone ki..." Rohan ne apni baat khatam bhi nahi ki thi Shruti wahan hajir ho gayi.. tray mein ek cup chay lekar..
Nitin ne aankhon hi aankhon mein Rohan ki aur ishara kiya.. mano kah raha ho.. "kya baat hai.. tum par toh badi meharbaan hai.."

Iss baar Shruti seedhi aakar Rohan ke saamne khadi ho gayi aur tray uski aur badha di... Rohan ne chehra uthakar uski najron mein jhanka.. iss baar aascharyajanak roop se wo uski hi aur dekh rahi thi.. aankhon mein aankhein daale.. Rohan uski aankhon mein dekhte hi sammohit sa ho gaya.. apni aankhon mein hi jahan bhar ki khushiyan samete wah uski aur taktaki lagaye khadi rahi.. jab kaafi der tak Rohan ne tray nahi pakdi toh Shruti ko bolna hi pada," chay lijiye...!"

"ohh haan.. thanx!" Rohan jhenp sa gaya.. Shruti ke bapu wahan nahi baithe hote toh Nitin koyi na koyi comment jaroor karta.. unke aankhe char karne ke andaj par..
"achchha uncle ji.. hum abhi nikalenge... bata sakte hain ki puncture lagane wala kahan mil sakta hai...?"

"kya jaldi hai beta.. khana wana khakar nikal jate.." Buddhe ne atithidharm ke naate baat kahi..

"nahi uncle ji.. pahle hi aap.. waise bhi hum late ho rahe hain.. puncture bhi lagwana hai.. jane kahan milega... hamein aagya dijiye ab.."

"theek hai beta.. jaisi tumhari marzi.. puncture ki ek dukaan agle gaanv mein hai.." buddhe ne bataya hi tha ki bahar se shruti ki aawaj aayi," Bapu.. ek baar aana!"
" ek minute.." buddha kahkar bahar nikal gaya... Rohan ke cup rakhte hi wo dono bhi yunhi bahar nikal kar gadi ke paas aa gaye..

"Nitinnn.. ye kaise hua? tune dhang se dekha tha na raat ko..." Rohan uchhal pada..

"kya hua?"

"hawa toh dekh tyres ki..." Rohan jaisechilla sa raha tha...

"oh my God.. kamaal hai.. haan maine mobile ki light jala kar dekha tha.. tab toh kisi tyre mein hawa nahi thi.. had ho gayi yaar.. yahan bhi?"

"kya hua beta..?" Rohan ki cheekh si sunkar Buddha lagbhag bhagta hua bahar aaya..

"uncle ji.. ye.. hawa.. Raat ko toh bilkul gayab thi.. ab kahan se aa gayi...? Rohan ne tyres ki aur ishara karte huye kaha...

Buddhe ke chehre par shikan tak nahi aayi," hum aise chamatkaaron ke aadi ho chuke hain beta.. aaj raat hi... Shruti subah uthi toh uska kameej gale se fata hua tha.. neeche tak.. bura mat maan'na.. par agar kamre ki kundi band na hoti toh main tum logon ke baare mein bhi jaane kya kya sochta... par yahan kuchh bhi ho sakta hai.. "

Nitin ne Aascharya se ek baar fir Rohan ki aur dekha.. wo raat ko sapne mein aayi Neeru ke baare mein soch raha tha.. sunn sa khada khada...

"chal theek hai uncle ji.. ab hum nikalein..." Nitin sab kuchh bhool kar jane ki taiyaari karne laga...

"shahar ki aur hi jaaoge na beta.." Buddhe ne vinamrata se sawaal kiya...
"haan.. shahar se hokar hi gujrenge... kyun?" Nitin ne jawab dete huye sawal kiya..
"nahi.. kuchh khas baat toh nahi thi.. Par wo.. Shruti ko bhi shahar hi jana hai.. college mein.. agar tum jyada late na ho rahe hote toh wo bhi sath hi chali jati.. bus ke intjaar mein bahut time kharaab ho jata hai.. wo kah rahi thi..." buddhe ne kaha..

Nitin man hi man uchhal pada... khushi se.. par khushi ko man mein dabakar rakhte huye bola," ye bhi koyi kahne ki baat hai.. waise hamein koyi jaldi bhi nahi hai.. ab toh puncture bhi nahi lagwana.. jitni der kahein hum rukne ko taiyaar hain.. "
"achchha beta!.. waise toh uska college abhi 2-3 ghante baad hai.. par main usko kah deta hoon.. wah jaldi se taiyaar ho jayegi..." buddha khush hote huye bola..
"nahi uncle ji.. koyi jaldi nahi hai.. hum tab tak ek kaam kar aate hain.. ghante bhar mein aa jayenge.. tab tak wo bhi taiyaar ho lengi..." Nitin ka man saatwein aasmaan par tha...

"theek hai beta.. jaisi tumhari ichchha.. main shruti ko bol deta hoon...." Buddha bada hi khush lag raha tha....

"hum bus ghante bhar mein aate hain uncle ji..." Nitin kahte huye Gadi mein baith gaya.. Rohan bhi uske sath ja baitha.. par uski samajh mein nahi aa raha tha ki ye Nitin aakhir ja kahan raha hai... Nitin ne Buddhe ke andar jate hi gadi start karke ghuma di," kyun be.. ab toh khush ho ja.. tere man ki ho gayi.. ji bhar kar baat kar lena.. mujhse toh baat ki nahi dhang se.." kahkar Nitin ne batteesi nikal di..
"par abhi tum wapas kahan ja rahe ho?" Rohan ne poochha...

"Purane teeley par.. dekhein toh sahi aakhir kya drama hai wahan.." Nitin ne gadi ki speed tej kar di..

"tu.. pagal ho gaya hai kya..? mujhe nahi jana wahan..." Rohan lagbhag uchhalte huye bola...

"tujhe lagta hai.. koyi dum hai buddhe ki baaton mein.. mujhe toh bahut bada natak lag raha hai.. aur mujhe lagta hai ki buddha bhi iss natak mein shamil hai.. dekha.. usko gadi mein apne aap hawa bhari jane par bhi aascharya nahi hua.. ulta kahani banane laga.. beti ka kameej fat gaya raat ko.. hunh.. aur ab dekh.. kaise apni beti ko hum jawan mustandon ke saath bhej raha hai.. bhala itna bhi nadan hai kya koyi aaj ki duniya mein... mujhe lagta hai ki shruti hi Neeru bankar tujhe fone karti hogi.. kuchh na kuchh chakkar toh jaroor hai pyare.. kahin ye teri karodon ki sampatti hathiyane ki toh nahi soch rahe.. tera ulloo banakar..." Nitin bolta hi jata agar Rohan usko beech mein hi na tokta..

" chup ho ja yaar.. aisa kuchh nahi hai.. ye sab mehaj ittifaq hai.. tu gadi wapas mod le..." Rohan jhallaya...

"Gadi toh ab Khooni talab par hi jakar rukegi beta.. mujhe wo peepal ka ped dekh kar aana hai.. aur uss bachche ko bhi dhoondhna hai.. tujhe utarna hai toh utar ja.. Rokoon kya?"

Rohan kuchh nahi bola.. kuchh sochta hua gadi ke bahar dekhne laga....

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:36

Update 10

"late nahi ho jayenge kya? ab paidal chalna padega..." Rohan ne aage raste par gahra gaddha sa dekhte huye kaha..

"yahan se gadi ko raaste se neeche utaar kar try karta hoon.. uske baad jyada dikkat nahi aayegi... shayad nikal jaye... chalo yahan se toh paar huye... chal tu bata ab.. kya chakkar hai tera Shruti ke sath.. ab toh mujhe lag raha hai ki aaj tu kunwara nahi rahega..tujhe kya lagta hai?" wo gadi samet dheere dheere chalte huye badhte ja rahe the..

"kuchh nahi lagta bhai.. meri samajh mein to kuchh nahi aa raha.. ab main tujhe kaise bataaun?" Rohan ne uski aur dekhte huye kaha...

"kyun? mujhe nahi batayega toh kisko batayega.. saale, dost hoon main tera... bhai hoon..." Nitin ne uspar batane ke liye jor daala..," agar aaj tune sab kuchh nahi bataya toh samajh le.. fir tera mera maamla yahin khatam hai..."

"toh ye talab hai wo.. ismein toh achchha khasa saaf suthra pani hai... raat ko laal kaise ho jata hoga.." Nitin talab ko dekhte hi Rohan se kuchh bhi poochhna bhool gadi rok kar wahin utar gaya.. Rohan bhi sath hi neeche aa gaya..," chal na yaar.. wapas chalte hain.."

"abey kyun fat rahi hai.. tau ki baat maan bhi lein toh din mein toh yahan kuchh nahi hota.. chal aaja.." kahkar Nitin ek raasta dekh dayi aur badh chala..

"wo baat nahi hai yaar.. par mera man nahi hai.. aage chalne ka.. mood off hai.." Rohan uske pichhe pichhe chalta raha...

"kamal hai yaar.. ab toh keechad nahi hai.. lagta hai hum dusre raaste se aaye hain aaj.."

Rohan kuchh nahi bola.. uske dimag mein Neeru ki baatein koundh rahi thi.. agar sapne mein kuchh sachchayi hai toh wo usko dekh rahi hogi jaroor.. kum se kum usko pata toh chal hi gaya hoga ki main aaya hoon.. soch kar hi Rohan choukanna ho gaya...

chalte huye wo talab ke paar jakar usi jagah khade ho gaye jahan kal raat wo uss bachche se mile the... soonapan wahan ab bhi watawaran mein moujood tha par wo soonapan ab bhayawah nahi tha.. iske ulat ajeeb si shanti wahan pasri huyi thi.. insaano se rahit, hulki hulki bah rahi hawa mahoul ko aur bhi chittakarshak bana rahi thi... aisa lagta tha ki yahan pahle koyi gaanv basta hoga.. par ab wahan kuchh nahi tha.. sivay purani inton ki galiyon, tooti footi aadhi giri huyi deewaaron aur ekaadh aawara jaanwaron ke...

"kahan mil sakta hai wo bachcha.. saale ne raat ko khoob ulloo banaya.. sach mein darr gaya tha main.." Nitin ek jagah jakar khada ho gaya...

"main bhi.." Rohan ke munh se nikla...

"mujhe lagta hai wo kisi ghoomantu jati ka raha hoga.. ye log aisi hi jagahon par jakar rahte hain..." Nitin bachche ke bare mein idea lagane laga...

"tujhe wo aadiwasi lagta hai.. kitna pyara tha dikhne mein.. kya pata wo bhi koyi aatma hi ho " Rohan dheere dheere usko line par lana chahta tha.. taki jab wo uski kahani sune toh hanse nahi...

"ab tu bhi shuru ho gaya tau ki tarah... aur mujhe genetics mat sikha.. aadiwasi kya khoobsoorat nahi ho sakte.. kya pata kisi desi aadmi ka taanka fit baith gaya ho kisi aadiwasi aurat ke sath.. hota hai yaar... par ab kahan gaye wo..?" Nitin charon aur ghoom ghoom kar kuchh talash kar raha tha...

"koun?" Rohan ne poochha..

"aadiwasi yaar.. aur koun milega yahan.. arre dekh.. wahi peepal ka ped.. jiske baare mein tau baat kar raha tha.. aa.." Nitin uski aur badh chala...

"rahne bhi de ab.. chal wapas chal.. late ho rahe hain..." Rohan wahin khada khada bola.. man hi man Neeru ki yaad aur uski batayi gayi wo jagah Rohan ko ajeeb sa ahsaas de rahi thi.. uska man nahi kar raha tha.. ek pal bhi wahan khada rahne ko..

"abey aa na.. 2 minute mein kuchh nahi hota.. " Nitin ne wapas aakar Rohan ka hath pakad kar apne sath kheench liya..," waise bhi deri kis baat ki.. usko aaj college thode hi jana hai.. tere sath chounch bhidayegi aaj toh.. pyar bhari batiyan karegi.. sach mein bahut pyari hai.. agar inki taraf se koyi sajis na huyi toh tu beshak iss'se shadi kar lena.. aur nahi toh holi par toh.." kahkar Nitin khilkhila kar hans pada...

"mujhe nahi jana yaar aage.. tujhe jana hai toh ja.." Rohan apna hath chhuda kar wahin khada ho gaya... Neeru ki baatein uske dimag mein ab hathode ki tarah bajne lagi thi.. uska sir bhari sa hone laga...," main yahin ruk jata hoon.."

"saale darpok.. mujhe nahi pata tha teri bhi... chal tu yahin ruk.. main abhi aaya dekhoon toh sahi kaisa ped hai aur kitne watt ka bulb tanga hai uss par.. jo sari raat uss par roshni rahti hai..." kahte huye Nitin usko wahin chhodkar aage badh gaya...

Rohan ab akela rah gaya tha.. par jaane kyun usko hawa ki saany saany mein se chhan chhan kar aa rahi kuchh ajeeb si hulchal sunayi de rahi thi.. wo sach mein hi maan'ne laga tha ki Kuchh na kuchh toh jaroor gadbad hai uski life mein...neeru ki raat ko kahi gayi baatein rah rah kar uske dimag mein goonj rahi thi.. beshak Rohan ko wahan darr nahi lag raha tha.. par dimag mein lagataar ajeebogareeb tareeke se raat ki yaadon ka bhanwar uske dilo dimag ko shithil sa kar raha tha...

achanak rohan ko ahsaas hua ki usko pichhe se kisi ne chhoo liya hai.. ghabrakar usne pichhe palat kar dekha.. par wahan kuchh nahi tha.. kuchh bhi nahi..," shit.. ye mujhe kya ho gaya hai...?" man hi man Rohan badbadaya.. aur wapas mud kar Nitin ko dekhne laga.. Nitin ped ke paas hi khada tha...

Tabhi chhoti si deewar par rakha patthar wahan se ludhak kar neeche gir gaya.. ittifak se Rohan udhar hi dekh raha tha.. apne aap hi Rohan ki dhadkane badh gayi.. dheere dheere aage badhte huye usne deewar ke dusri taraf jhanka.. par wahan kuchh nahi tha...

sab kuchh ajeeb tha.. par Rohan ko ab wo sab ajeeb nahi bulki ek ishara lag raha tha.. Neeru ki taraf se, uske wahan par hone ka...

"tum yahin ho kya?" Rohan ne dheere se kaha... par usko koyi jawaab nahi mila...
"Neeru... Neeru.. agar yahan ho toh jawab do..." Rohan ne fir pukar kar dekha.. par koyi hota toh jawaab milta na...

Tabhi usko Nitin apni aur aata dikhayi diya.. Rohan chup ho gaya aur uski hi aur dekhne laga...

"mujhe visvas nahi tha tum yahan aaoge.." Nitin aakar uske paas khada ho gaya..
"haan.. main aana nahi chahta tha.. par tu hi le aaya jabardasti.. chal ab.." Rohan ne ghoomte huye jawab diya aur chalne laga...

"yani tum mere liye yahan nahi aaye..!" Nitin wahin khada ho gaya..

"ab chal yaar.. tere liye hi toh aaya hoon.. warna tu munh fula leta.. aur mujhe agli baar kaam padta toh nakhre dikhata.. chal ab.." Rohan wapas aakar uske paas khada ho gaya...

"par.. kya tumne socha nahi ki mera kya hoga..." Nitin apni jagah se hila nahi.. wahin khada khada bolta raha...

"kya anaap shanaap bak raha hai.. ab chal bhi..." Rohan jhalla utha.. usko wahan se nikalne ki jaldi thi...

"par tum samajhne ki koshish kyun nahi karte.. Dev.." Nitin ke munh se 'Dev' nikalte hi Rohan uchhal pada..

"whhhat.. kya bola tu..?"

"mera kya hoga Dev.. tumhare wade ka kya hoga.. bolo"

"ohh my God.. Neeru.." Rohan ke aascharya ka thikana na tha..

"haan Dev.. main ab bhi tumhara intjaar kar rahi hoon.. pls.. Neeru ko le aao yahan.. mujhe mukti de do.. fir jo man mein aaye karna.. main kab se tumhare intjaar mein tadap rahi thi.. kum se kum...... mujhe .....yahan .....se .....nikaal toh do...." kahte hi Nitin dhadaam se peeth ke bal gir pada," Dev.. mujhe wapas le chalo.. peepal ke paas.."

"Nitin.. kya ho gaya tumhe..?" Rohan ne ghutno ke bal baith kar uska sir apne hathon mein utha liya.. sab kuchh palat'ta dikhayi diya usko.. dharti ghoomti si dikhayi dene lagi..

"mujhe.. wapas le chalo dev.. dhoop mein mujhe... infection hota hai.. uska jahar tumhare dost ki ragon.... mein failna shuru... ho gaya hai... mujhe jaldi se.. wahin le chalo.. main wapas.... chali jaaungi..." Nitin atak atak kar bol raha tha.. uski saans foolti ja rahi thi..

Rohan ki samajh mein aur kuchh na aaya.. usne badi mushkil se Nitin ko uthakar kandhe par daala aur peepal ki taraf doud pada...

"haan.. yahin lita do.. ped ke sath.."

Rohan ne waisa hi kiya...

"mujhe mukti dilana Dev.. isko le jao yahan se.." kahte huye Nitin ki aankhein band ho gayi aur Rohan ne waisa hi kiya jaisi usko instruction mili thi.. wah pahle ki tarah Nitin ko kandhe par utha kar teji se chalne laga...

"abey.. mujhe yun kyun utha rakha hai ulloo ki dum..utaar neeche..." Nitin ke bolte hi Rohan ki jaan mein jaan aayi aur usne Nitin ko kandhe se utaar kar khada kar diya...

Nitin ki saanse tezi se chal rahi thi.. mano bahut lambi race lagakar aaya ho..," kya tha ye.. kahan utha le ja raha tha mujhe.. ?"

"tujhe maaloom bhi hai tu kahan hai..?" Rohan ne uska hath pakad kar kheench liya aur aage badhne laga...

"bata toh kya hua..?" Nitin ab samanya hone laga tha..

"chal bahar chal kar batata hoon..." Rohan ne kaha aur kuchh samay ke baad hi wo gadi ke paas the..

"tujhmein bhoot aa gaye the...." Rohan ne uski aur dekhte huye kaha...

"ha ha ha ha ha... tujhe pata nahi.. main ab bhi bhoot hi hoon...bhayankar bhoot..." Nitin ne gurrakar kaha aur fir bola..," chup bey saale.. mujhe ye majak ek dum ghatiya lagte hain.. chal gadi mein baith.." kahkar Nitin driving seat par aa gaya..
"tujhe visvas nahi hota na.. tujhe pata bhi hai main tujhe kahan se laya hoon.." Rohan uske sath wali seat par baithta hua bola...

"haan.. pata hai.. main ped ke sath leta hua tha jab tumne mujhe uthaya..." Nitin ne gadi start karke jawab diya..

"kyun... kyun leta tha tu wahan.." Rohan ne fir sawaal kiya..

Nitin ek pal ke liye chup ho gaya.. fir Rohan ke chehre par najrein thaam kar bola," pata nahi.. kamaal hai yaar.. visvaas nahi hota.. kya pata neend aa gayi ho.. chhanv dekhkar......."

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:36

Update 11

" humm.. ho sakta hai..." Rohan ne baat ko badhana nahi chaha.. usko Nitin ke nature ka pata tha.. agar wo abhi Nitin ko wo batein bata deta jo abhi thodi der pahle huyi toh Nitin ko wapas wahin ja kar chhanbeen shuru kar deni thi..," ab toh seedhe chal rahe hain na.. Shruti ke ghar?"

"aaye haye.. kya baat hai meri jaan..? tu toh bada utawala ho raha hai.. chinta na kar.. aaj sara din wo tere sath hi rahegi.. bus hulka sa ishara kar dena usko..." Nitin shararati sur mein bolte huye muskurane laga...

"tujhe wo kaisi lagti hai...?" Rohan ne Nitin se poochha...

"kya matlab?"

"bus aise hi.. bata na.. kaisi lagti hai...?" Rohan ne fir jor diya...

"sweet hai, sundar hai, sharmili hai.. kul milakar meri bhabhi ban'ne ke layak hai.. par agar tiley par bula kar darane ki sazish mein uska ya uske baap ka kuchh hath mila toh main unko chhodunga nahi.. pahle bata raha hoon.. mujhe dhokhebaazi se sakht nafrat hai..." Nitin ne saamne aa gaye gaddhe ko dekh kar gadi neeche utaar di...

"main kya poochh raha hoon.. aur tu kya jawab de raha hai..?" Rohan ne kaha..
"abey de toh diya jawab.. jhakaas hai ekdum... le lena aaj... bahon mein.. ha ha ha.." Nitin ne maskhara kiya...

"aur agar... mujhe kisi aur se pyar ho toh.....?" Rohan ne uske chehre ki aur dekhte huye kaha...

"saaale.. apne sath meri bhi durgati kyun karwa raha hai.. kitni 'basanti' hain tere paas.. kal iske liye fat rahi thi aur aaj.. ab mujhe mat batana wo nayi ladki koun hai.. samjha..!" Nitin ne jhalla kar banawati gusse se uski aur dekha...

"mmain toh majak kar raha hoon yaar...!" Rohan ne hichkichate huye baat kahi aur bahar dekhne laga.. gaanv kareeb aa gaya tha..

"majak kar raha hoon.." Nitin ne ajeeb sa munh banakar uski nakal utaari.. aur ghar ke saamne gadi rok kar horn diya... buddha lagbhag bhagta hua bahar aaya..

"wo.. taiyaar ho gayi kya uncle ji..?" Nitin ne gadi ka sheesha neeche karte huye poochha...

"haan.. beta.. wo toh taiyaar hai.. tum khana kha lo ek baar.. Shruti ne bana rakha hai.. tum dono ke liye..."

Nitin kuchh bolne hi wala tha ki Nitin ne pahle hi bol diya," theek hai uncle ji.. ek baar aur sahi..." kahkar dono gadi se utar kar andar aa gaye...

Andar jate huye, khana khate huye aur fir bahar aate huye.. Nitin apni bareek najar se ghar ke kone kone ka muayana kar raha tha.. shayad unke sath pichhli raat huyi ghatna se sambandhit kisi bhi suraag ki talash mein.. par kuchh hota toh milta.. aakhirkaar charon ghar se bahar nikal aaye.. Shruti ke liye rohan ne pichhli khidki khol di aur wo chupchap gadi mein ja baithi," achchha bapu.. main char baje tak aaoongi..!"

"theek hai beti.." aur fir Nitin se mukhatib hote huye bola," achchha beta.. aaram se jana.. aur isko bus-stand utaar dena.. wahan se chali jayegi.. apne aap.."

"kyun chinta karte ho uncle ji.. hum college hi chhod jayenge.. achchha.. namastey.."

"bhagwan tumhara bhala kare beta..." buddhe ke aisa kahte hi Nitin ne gadi ko raftaar de di.....

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

Post Reply