Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:36

Update 12

wahan se rawana hone ke baad jab Rohan aur Shruti mein se koyi kuchh nahi bola toh majbooran Nitin ko hi apna munh kholna pada," ja Rohan.. Pichhe baith ja.."

"mmain.. kkyun?" Rohan hakla sa gaya...

Nitin ne back view mirror ko set karke Shruti ke chehre par najar dali.. lagta tha uss par uski baat ka koyi asar nahi hua.. ya shayad uska dhyan unnpar tha hi nahi.. apni lambi kaali julfon ko baar baar kano ke pichhe le jane ki koshish si karti huyi wah bahar nihar rahi thi... uska chehra ekdum shant tha.. thahre huye jal ki tarah, na toh muskaan hi uske chehre par thi aur na hi koyi shikan..

"abey tu nahi toh kya main jaaunga.. setting teri hai ya meri..?" Iss baar Nitin ne jaan boojhkar tej bola tha, Shruti ne uski baat sunkar turant pratikriya di.. par bol kar nahi.. achanak usne najrein ghumakar Nitin ko dekha aur apni gardan jhuka li..

" bhai tu Gadi chalata rah na.. kahin nahi jana mujhe..!" Rohan ne khisiyakar jawab diya.. uska mann hi nahi tha shruti se baat karne ka... hota bhi toh anjaan ladki se kya baat karta.. ab toh sab saaf ho hi chuka tha... kum se kum Rohan ke dimag mein...

"Ajeeb kism ka prani nikla tu.. 2 din se mujhe gadhe ki tarah haank raha hai aur ab kahta hai ki... dekh le.. agar tujhe koyi problem nahi hai toh main shuru ho jaaun?" Nitin apni baat ka matlab aankhon hi aankhon mein Rohan ko samjhata hua bola...

unko iss tarah ki baatein karte dekh Shruti ke kaan khade ho gaye the.. uska chehra kuchh feeka sa pad gaya tha.. jab uss'se raha na gaya toh wo unki hi aur dekhkar dhyan se baatein sun'ne lagi....

"tu chalta rah na bhai.. bata toh raha hoon.. aisa kuchh nahi hai.. wo meri galatfahmi thi.. tu jo samajh raha hai, yahan wo maamla nahi hai..." Rohan ne usko chup karne ka prayas kiya...

"theek hai fir.. tera maamla nahi hai toh main fir kar leta hoon maamla.. ab beech mein mat bolna.." shahar ko najdeek aate dekh Nitin ne achanak nahar ke sath sath baney kachche raaste par gadi mod di...

Shruti sihar gayi aur kumpkapati huyi aawaj mein boli," ye.. ye kahan lekar.... ja rahe hain aap.. gadi rokiye....!"

"Chinta mat karo Neeru ji.. ye rasta seedha shortcut wahin jata hai.. jahan aap jana chahti thi.. ha ha ha" kahkar Nitin ne siti bajani shuru kar di..

Shruti badhawasi mein gadi ki khidki peetne lagi..," Mujhe utaar do.. main chali jaaungi.. apne aap!"

Rohan ko Nitin ke vyavhaar par tajjub ho raha tha.. itni bachkani harkar Nitin bhi kar sakta hai.. Rohan ko katayi ummeed nahi thi," kya kar raha hai yaar.. ye wo ladki nahi hai.. samjha kar.. iska koyi kusoor nahi..."

Nitin ne Rohan ko dekhte huye apni dayi aankh mari.. majbooran Rohan ko chup ho jana pada.. jane kya karna chahta tha Nitin...
"yyye.. aap log kahan lekar ja rahe hain.. Gadi rokiye pls.." Shruti gidgidane lagi..

Nitin ne uski baat par koyi dhyan nahi diya.. Gadi usi gati se aage doudti rahi..

"hamne suna hai kisi ne tumhara kameej faad diya raat ko.. koun aashik tha bhala.."

Shruti ko uski baaton se jyada apni jaan ki fikar ho rahi thi..," Mujhe nahi pata.. aap Gadi rok dijiye pls.."

"batayiye toh sahi.. fir main aapko wapas chhod aaunga.. wada raha.. waise kisi ka bhi kusoor nahi hai.. aap hain hi itni garam ki aapke sath jabardasti karne ka mouka mile toh koyi fansi ki bhi parwah nahi karega.. kyun Rohan?"

"Rohan ne munh pichka liya.. usko shruti ki badi daya aa rahi thi..

"rok dijiye pls.. Gadi wapas le chaliye.. main.. aapke hath jodti hoon.." sach mein hi hath jod kar Shruti rone lagi thi...

"Dekhiye miss.. mujh par aansoo asar nahi karte.. ladkiyon ka toh shikari hoon main.. 5-4 rape cases bhi hain mujh par.. isiliye salamati isi mein hai ki aap wo bolna shuru kar dein jo main poochh raha hoon.. warna.. mujhe apne jajbaaton par kabu karne ki aadat nahi hai.. aur aapke maamle mein toh main riyayat dene ke mood mein katayi nahi hoon.. " Nitin ne filmi lahje mein baat kahi...

Shruti ka gala sookh gaya tha uski baatein sunkar.. dheere dheere apni siskiyon par kaabu pati huyi si boli," kya...?"

"kya ye sach hai ki raat ko kisi ne aapki kameej fadkar upar se nangi kar diya tha...?" Nitin ne poochhtachh shuru ki..

Shruti ka sir sharam ke maare jhuk gaya.. par usne apni gardan haan mein hila hi di...

Nitin ne halanki uska hilta hua sir dekh liya tha.. par fir bhi wo bola," bolo!"

"haan.." Badi mushkil se Shruti ke gale se aawaj nikli...

"kisne?" Nitin ka agla sawaal tha...

"pata nahi.." Shruti ne sir jhukaye huye hi jawab diya...

"matlab koyi aapko nangi kar gaya aur aapko pata bhi na chala.. aapko lagta hai mujhe visvas ho jayega.."

"wo hamare gaanv mein aksar kuchh bhi ajeeb ho jata hai.. isiliye hamein aadat ho gayi hai.." Shruti ne sanyam se jawab dene mein hi bhalayi samjhi...

"aadat? yun.. nangi hone ki.."

Shruti ne iss baat ka koyi jawab nahi diya...

"fir toh main bhi try kar sakta hoon.. nahi?" Nitin ne bebaki se kaha...

Shruti subakne lagi.. uske paas bolne ke liye kuchh nahi bacha tha..

"chaliye chhodiye.. ye bata do ki mere sher se aap kab mili thi.." Nitin ne apna lahja apekshakrit naram karte huye poochha...

"ji..?" Shruti kuchh samjhi nahi..

"iss'se.. Rohan se aapki mulaqat kab huyi thi..?" Nitin ne Rohan ki kamar par hath maarte huye poochha...

"meri..? maine toh inko ab se pahle kabhi dekha bhi nahi...." sahaj sawalon ka jawab dete huye Shruti ka subakna kum ho gaya tha.. par anjane darr se wo ab bhi kaanp rahi thi...

"achchha? tumhe pata nahi ye aapka kitna bada deewana hai.. tumhare paas jane ke liye ye mujhe raat ko wo.. purane teele par le gaya.. itna pagal ho chuka hai ye.. aur aap kahti hain iss'se aap kabhi mili hi nahi... ye kaise ho sakta hai?" Nitin ne chalte chalte hi kaha...

Shruti ne hairani se Rohan ke chehre ki aur gour se dekha.. par 100-100 kos tak bhi uske pahle dekhe hone ka ahsaas apne dil mein jaga nahi payi," mera visvas kijiye.. maine inko pahle kabhi dekha nahi hai... main toh iss shahar ke alawa kabhi kahin gayi hi nahi..."

"main kah toh raha hoon yaar ki ye wo ladki nahi hai.. mujhe galat fahmi ho gayi thi... wo koyi aur hai...!" Rohan se ab chup baitha nahi gaya...

"tu chup ho ja bus.. aaj ke baad teri shakal bhi nahi dekhni mujhe.. ab kounse teele par le jane ki soch raha hai mujhe.. tera toh dimag kharab ho hi gaya hai.. mujhe bhi pagal karke chhodega tu.... Lijiye miss.. Shruti.. Aapka college aa gaya.. yahi hoga na...?"

Sunte hi Shruti ki bhay ke maare sikudi huyi aankhon mein chamak si aa gayi.. apna chehra uthakar usne chounk kar bahar ki taraf dekha..." haan.. aap.. ohh.. par aapko kaise pata mere college ka..." Khidki kholne ki koshish karti huyi wo boli.. par khidki khuli nahi..
"iss shahar mein yahi ek college hai.. mere khayal se... khair.. maaf karna.. main kuchh jaan'na chahta tha.. isiliye mujhe aapko darane ke liye ghatiya baatein kahni padi... pichhli khidki ka lock kholna Rohan..

Shruti kuchh na boli.. uska man ab uchhal raha tha.. bachne ki kam hi ummeed thi usko.. Gadi kholte hi wah teji se bahar nikli aur bina bole road paar karne lagi...

"ye sab kya bakwas thi Nitin... ? chal ab..." Rohan ki aankhein college ke gate ki taraf badh rahi Shruti ka peechha karti rahi...
"abey ruk toh sahi.." Nitin bhi bade gour se Shruti ko dekhe ja raha tha...

Gate par pahunch kar Shruti thithaki aur peechhe mudkar dekha.. Gadi ki aur.. Nitin muskurane laga aur uski aur apna hath hila diya.. Shruti apni najrein jhukati huyi mudi aur seedhi aage badh gayi...

"ye kya tha bhai.. tu aisa bhi hai kya? kya kar raha tha tu...?" Rohan ne Shruti ke najron se aujhal hote huye poochha...

"ek teer se do shikaar.." kahkar Nitin Rohan ki aur muskuraya aur Gadi chala di....

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:36

Update 13

"kya matlab?" Rohan uski baat samajh nahi paya....

"tu ab meri baaton ka matlab poochhna chhod aur apne iss wahyat natak ka manchan shuru kar.. pahle tu mujhe jid karke wahan le gaya jahan aadmi toh kya aadmi ki jaat bhi nahi rahti.. fir wapas aate huye tujhe wo ladki mil bhi gayi.. ab iss ladki ne inkaar kar diya toh tu kah raha hai ki wo ye nahi koyi aur hai.. matlab kya hai teri baaton ka.. yeda samjha hai kya?" Nitin uski aur gurrata hua sa bola..

"nahi bhai.. main tujhse jhooth kyun boloonga.. hamesha maine tujhe bade bhai ki tarah mana hai.. par sach mein, meri khud samajh mein nahi aa raha ki ye sab aakhir ho kya raha hai.. mere sir mein hamesha chakkar sa rahta hai.. ye baatein sochkar.. tu hi bata main karoon toh kya karoon.." Rohan ne seat se sir tika apni aankhein band kar li...

"humm.. par ab ye tu kis aadhar par kah raha hai ki 'wo' ladki koyi aur hai.. fir se fone aaya tha kya...?" Nitin ne uss'se poochha...
"ummm.. haan..!" Rohan ne yunhi kah diya...

"laat maar na yaar baat ko.. ye ladki kitni mast hai.. kahe toh isko patwa doon.. chalegi na...?" Nitin ne sari baat chhod kar Shruti ki baat utha di...

"kaise?" Rohan aankhein band kiye huye hi bola...

"wo tu mujh par chhod de.. sirf ye bata, uske baad toh tu theek ho jayega na.. matlab tere dimag ka fitoor..." Nitin ne gadi rok kar uske kandhe par hath rakh diya...

Rohan kuchh der chup baitha raha, fir bola," nahi yaar.. mujhe uss'se milna hai ek baar.. uske baad tu jo kahega main kar loonga..."
"uss ladki ko dekha hai tune?" Nitin ne sawaal kiya...

"nahi.." Rohan ne fir apni aankhein band kar li...

"yahi baat... isi baat par itna gussa aata hai ki.. kyun apni achchhi khasi jindagi ko gadhe par laadna chahta hai.. tune usko dekha tak nahi hai.. fir kyun uske peechhe pagal hua ja raha hai.. main shart lagakar kah sakta hoon ki wo ladki shartiya iss'se sunder nahi ho sakti.. dekha hai kabhi najar bhar kar isko.. kitni thandak milti hai kaleje ko.." Nitin ne kahte huye dil par hath rakh liya..

"tujhe thandak milti hai toh tu hi le aa na bhai..!" Rohan uski baaton se tang aa gaya.. uska dimag toh ab wahin ghoom raha tha.. Batala!

"aur tu kya samajhta hai.. aaj bhi main isiliye chup raha ki ye teri hai.. warna main toh ticket kaat kar rahoonga.. kum se kum ek baar..." Nitin ne visvas ke sath kaha..

"hunh.. bada chup raha tu aaj.. baaton hi baaton mein balatkaar kar daala bechari ka.. aur kah raha hai.. main chup tha.. apne sath meri bhi dheeli karwa di...tujhe lagta hai ki ye ladki ab teri taraf dekhna bhi pasand karegi...?" Rohan ne vyangya kiya..

"tune mujhe kya apni tarah lalloo samajh rakha hai.. ek ek din mein do do ladkiyan patayi hain maine.. aur fir ye toh bechari bahut nadan hai.. iska toh ghante bhar ka bhi kaam nahi.. ladkiyon ki psychology, geography, chemistry.. sab jaanta hoon main.." Nitin ne seena fulate huye kaha...

Rohan Nitin ki iss baat par hanse bina nahi rah saka.. Nitin ne galat nahi kaha tha.. Rohan ke nature ke ulat wo ekdum T-20 style ka khiladi tha.. jis ladki par man aa gaya, usko bister par laye bina nahi chhoda.. aur fir agle match ki taiyaari.. yahin par Nitin aur Rohan mein jameen aasmaan ka farq tha..

"chal tu jo marzi kar lena.. par mera toh kuchh hal kar..."

" ab wo ladki kahan milegi..?" Nitin turant serious ho gaya...

"batala!" Rohan ne turant jawab diya...

"batata? ye kounsi jagah hai? aur wo tujhe kaise janti hai...?" Nitin ne shayad naam dhang se nahi suna tha...

"batata nahi Batala.. aur hum kabhi mile nahi hain.." Rohan ne baat spast kar di...

"ye le.. toh kya sapna aaya tha?" Nitin ne majak mein kaha..

"sach bataaun ki jhooth..?" Rohan ne aankhein kholkar uski aur dekha...

"ab bhi jhooth bolega toh kaan ke neeche doonga.. samjha kya hai mujhko..? chal shuru ho ja..." Nitin ne usko pyar se jhidki di...

"haan.. sapna aaya tha...!" Rohan ne bina ruke kah diya...

"what..?" Nitin ko uski baat majak lagi thi..

"sapna hi aaya tha bhai.. tumhari kasam...!" Rohan ko aakhirkaar kisi na kisi se toh apni vidambana share karni hi thi.. so apne sabse achchhe dost se kar li..

"lagta hai tujhe nasha ho gaya hai.. chal aa.. beer peete hain.. baad mein baat karenge.." kahkar hanste huye nitin ne gadi start karke wapas shahar ki aur ghuma di...

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:42

Update 14

"ye sab kya hai yaar..? tune mujhe pahle kyun nahi bataya? tujhe uss ladki ki nahi kisi achchhe psychologist ki talash karne ki jarurat hai..." Sari baat chupchap sun'ne ke baad Nitin ki yahi pratikriya thi.. Wo aur Rohan baar mein baithe beer pi rahe the...

"tu aisa bol sakta hai bhai.. kyunki tere sath aisa hua nahi hai.. tu nahi samajh sakta.. agar ye sab mere dimag ka fitoor hota toh bata wahi ladki jo mujhe dikhayi deti thi sapnon mein, wo asliyat mein kaise mil gayi.. jabki hum dono ne kabhi ek dusre ko dekha tak nahi hai.. fir uncle ji ne jo kuchh purane teele ke baare mein bataya.. uss ladki ne bhi toh mujhe wahin bulaya tha.. hamari gadi ki apne aap hawa nikal gayi.. subah apne aap bhar gayi.. sapne mein usne mere saamne apni kameej fadi.. aur subah wo bhi sach tha... sabse badi baat toh maine tumhare munh se bhi Neeru ki pukaar suni.. jab ham teele par gaye the.. kya ab bhi tu kahega ki ye sab waham hai..?" Rohan ne apni baat ko pukhta tareeke se pesh karne ke liye inn baaton ko fir se dohraya...

"hummm.. tabhi toh mujhe lag raha hai ki ismein baap beti ki sajish ki boo aa rahi hai.. har sapne ka isi ladki se talluk hai... jisne kahani sunayi.. wo uska baap hai.. teela bhi unke gaanv ka hi hai.. bachcha wo khada kar sakte hain wahan... aur tyres ki hawa bhi nikal sakte hain.. kyunki unhe vishvas hoga ki wapas aate huye hum unka hi darwaja khatkhatayenge... subah jaagne se pahle tyres mein hawa bhi bhar sakte hain.. tumhe yaad hai.. jab hamne unka darwaja khatkhataya toh Shruti ne kya kaha tha.. 'baapu' wo aa gaye....' kya matlab tha iska? yahi na ki wo hamara intjaar kar rahe the... shartiya ye inki hi sazish hai.. tu maan ya na maan.." Nitin ne nishkarsh nikala...

"aur tu jo mujhe Dev.. Dev karke pukar raha tha.. wo?" Rohan uski sari baat sun'ne ke baad bola...

"ab teri dimagi halat hi aisi ho gayi hai toh ye tera waham bhi ho sakta hai.. mujhe toh yahi yaad aa raha hai ki peepal ke ped ki thandi chhaya dekh kar ek baar latene ka mann hua tha.. fir tu mujhe wahan se kandhe par uthakar bhag liya...." Nitin ab bhi Rohan ki poorvjanam aur aatma wali baat par vishvas karne ko taiyaar nahi tha...

"tujhse iss baare mein baat karna hi bekaar hai.. isiliye toh maine itne din tak tujhe kuchh nahi bataya.. sirf Rocky ko hi bataya tha.. par wo darr gaya aur sath aane se inkaar kar diya...."kuchh ruk kar Rohan ne fir bolna shuru kiya," chal teri baat maan bhi leta hoon.. par ek baar Batala jakar uss ladki ka pata lagane mein kya harz hai.. agar koyi Neeru wahan mil gayi toh fir toh tujhe yakeen ho jayega na..." Rohan usko samjha samjha kar thak chuka tha.. par Nitin isko ab tak Sazish hi maan raha tha...

"dekh.. albatta toh koyi ladki tujhe wahan milni nahi hai.. inhone socha hoga ki bus tu ek baar yahan tak aa jaye.. uske baad sharafat aur najakat ka chola pehan kar Shruti tujhe apne aap fansa legi.. par agar koyi ladki wahan mil bhi gayi toh kounsi badi baat hai.. itna bada natak karne walon ke liye.. bol.. ho sakta hai ki wahan baithi Neeru bhi iss sazish mein shamil ho.."

"par tu ye kyun bhool raha hai ki sapne toh khud mujhe aate hain na... ab mera sapna bhi kya kisi ki sazish ka nateeja ho sakta hai? ya tujhe kahin ye toh nahi lag raha ki main bhi sajish mein shamil hoon.. aur jhooth bol raha hoon, sapne ke baare mein..." Rohan ne jhallate huye kaha...

"na.. tu sajish ka hissa kaise ho sakta hai.. agar ye sazish hai toh tere hi khilaaf hai.. par mujhe lagta hai ki sapna sazish ka hissa ho sakta hai.. hamein kisi neurologist se baat karni padegi..." Nitin ne ek aur tark thonk diya...

"shit yaar.. tu baat ko baar baar wahin lakar chhod deta hai.. aakhiri baat ye hai ki kisi ko.. khas tour se inn baap beti ko mere khilaf sazish se milega kya?" Rohan ke sabra ka bandh toot'ta ja raha tha...

"teri akoot doulat.. tujhe pyar ke jaal mein fansakar ye ya wo Neeru tujhse shadi kar sakti hain.. aur fir aadhi jaydaad ki maalik ban sakti hain.. ismein kisi aur ka hissa bhi ho sakta hai.. maslan tere kisi khas dost ya rishtedaar ka.. kyunki inn logon ke vash mein nahi hai itni badi planning.. hamein inki jadein tatolni hongi.... koyi na koyi toh jaroor hai.. iss sab ke peechhe... aur main aaj hi pata lagakar rahoonga..." Nitin ne beere ki cane khatam karke ek aur faink di..

Rohan ne apna matha peet liya," achchha.. aaj hi pata kar lega? poochh sakta hoon kaise?" Rohan ne vyangya sa kiya...
"kya time hua hai?" Nitin ne poochha...

"1:30 ho gaye.. kyun?"

"shruti aate huye bol rahi thi ki wo 4 baje tak aayegi.. ghar bus se jaane mein usko 1:30 ghanta toh lagta hi hoga.. jaldi se ek ek aur mangwa le.. fir college ke saamne chalte hain?" Nitin ne waiter ko ishara kiya...

"aakhir kya karne ki soch raha hai bhai tu?" Rohan ajeeb tareeke se usko dekhta hua bola...

" Shruti ko sab kuchh batan hi padega..." fir waiter ki aur munh karke bola," 2 chilled aur......."

“tu kya fir se Shruti ko jabardasti gadi mein daalne ki soch raha hai?” Rohan ne aascharya se poochha…

“shhhhhhhh..” Nitin ne apne honton par ungali rakh di…

Rohan ke sochkar hi rongte khade ho gaye,” aur agar wo bekasoor nikli toh?”

“toh kya? Subah usko wapas college chhod denge.. hamein koun jaanta hai?” Nitin ne sahajta se kah diya.. mano koyi baat hi na ho..

“teri gadi ka no.?” Rohan kisi tarah usko iss khurapaat se door karna chahta tha..

“maine aaj tak apni gadi par original no. plate lagayi hai kya?” Nitin shaitani se muskurane laga………

To be continued...

Post Reply