Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:49

"Fir sahab maine darwaja dhakaya toh.." Raju ne kahkar apni ungali shruti ki lash ki aur utha di...
"matlab darwaja andar se band nahi tha.. sahi hai na?" Inspector ne Raju ko relax karne ke liye uska kandha thapthapaya....

"ji sahab!" Noukar ne najrein uthakar kaha...

"iska matlab ye khoon bhi ho sakta hai.. hummm!"

Inspector ne Shruti ki lash ke paas baithe Rohan ko dekha hi tha ki wah bol pada," Ek minute sir...... Raju! tumne darwaje ki kundi bahar se kholi thi ya nahi..."

"nahi sahab.. darwaja toh pahle hi andar aur bahar dono taraf se khula tha.. mere khatkhatate hi khul gaya tha.. apne aap!" Raju ne baat inspector ki aur dekhte huye kahi....
"ye bahar se kundi lagane ka kya maamla hai? usko jabardasti rok rakha tha kya?" Inspector ne Rohan ko tirchhi nigahon se dekhte huye kaha....

"main poori baat bataaunga sir! par main raat ko kareeb ek baje ke aaspaas Neeru ko uske kamre mein chhod bahar se kundi lagakar gaya tha... fir kundi kholi kisne..?" Rohan ne aascharya se wahan moujood sabhi logon ko dekha....

"hummm.. agar tumhari baat sachchi hai toh ye ek bahut bada point hai... iska matlab ki tumhare usko kaid karne aur noukar ke aane ke beech koyi aur lash ko pahle hi dekh chuka tha.. ya ho sakta hai ki usi ne iskaka khoon bhi kiya ho..tum sab ke alawa agar ghar mein koyi aur bhi hai toh usko bhi bula lo!" Inspector ne Aman ki aur ishara kiya...

"Nahi.. bus hum 7 hi the ghar mein.. Raju samet!" Aman ne jawaab diya...

"matlab khooni tum hi ho?"

"kyaaaaaa?" Aman uchhal pada...

"mere kahne ka matlab tum mein se hi koyi hai.. ek minute.. Inspector ne mobile nikala aur thane mein fone kiya," Inspector Manav bol raha hoon.. 437 sec. 3 mein ladki ki lash hai.. jaldi se isko hospital lejakar panchnaame ka prabandh karo...!" Inspector ne fone kata aur Rohan ki aur ishara karte huye bola," aa jao mere sath.. baki sab yahin rahenge... !" usko rohan hi Shruti ka sabse najdeeki dikhayi diya... Fir apne mathat ko hidayat dete huye bola," 2 logon ko yahin khada karo aur baki ko poore makaan ki talashi lene ko bolo...!"

"humm.. ab batao, kounsi poori baat bata rahe the..?" Inspector Manav ne rohan ke bedroom mein jakar uske saamne baithte huye poochha....

rohan ne bhawuk sa hote huye apne sapno se lekar teele par jane ki, Shruti ke ghar pahunchane ki, batala aane tak ki aur baad mein Nitin ke sath Shruti ko lekar wahin pahunchane ki, aur Shruti dwara batayi gayi sari dastaan suna di... par ab usne batala mein bhi Neeru milne ki baat ka jikra karna jaroori nahi samjha.. kyunki Shruti ki taantrik wali baat par usko poora yakeen ho gaya tha.. aur maan'ne laga tha ki uske sapno ka karan Shruti hi thi...

"tumhe nahi lagta ki koyi tumhari mangandhat kahani par film banakar achchha paisa kama sakta hai? har kisi ko ye script mat sunaya karo.. samjhe! ab mujhe chutiya samajhna chhodo aur kaam ki baat batao!" Inspector Rohan ki baat band hote hi shuru ho gaya...

"Mujhe bhi yahi lagta tha ki aap visvas nahi karenge.. par yahi sach hai.. kal raat uski harkat se mere uske baare mein vichar hi badal gaye the.. aur main usko jabardasti uske kamre mein chhodkar bahar se kundi laga aaya..!" Rohan apni baat par ada raha...

"tumhara kahna hai ki kal wo khud chalkar tumhare kamre mein aayi thi.. tumse ***** karne ke liye betaab hokar..!" Inspector ne uski baat ka nichod nikalte huye kaha...

"Ji!"

"iss'se usko kya milta.. agar wah ***** ki bhookhi hi hoti toh wo toh usko kahin bhi mil sakta tha.. kafi sundar thi wo!" Inspector ne tark diya...

"Ji.. par jaane kyun uss waqt main ye soch nahi paya..!" Rohan ne kaha..

"wo tantrik koun hai? kabhi mile ho?"

"Ji nahi.. par Nitin mila hai.. usne Ravi ko bataya tha.. kal!" Rohan ne sapast kiya...

"humm.. let'see.. waise tumhe kya lagta hai.. agar tumne usko nahi mara toh fir kisne mara hoga...!" Inspector ne Rohan ke dil ko kuredne ki koshish ki...

"Main hi uski mout ka karan hoon sir!" Rohan fir se bhawukta mein bahte huye bola...," maine uske pyar aur jajbaat ko samajhne mein bhool ki..."

"par wo kundi kisne kholi.. kisine kuchh bataya hai?"

"ji nahi.. Noukar ke chillane ke baad mein hi sabse pahle wahan pahuncha tha.. baad mein Nitin bhai aaye aur sabse baad mein neeche so rahe baki teeno..!"

"ye.. Nitin par kitna bharosa hai?"

"jab bhai hi kah raha hoon sir.. toh bharosa na karne wali baat toh bemaani ho gayi na... wo 'sach' mein hi mere bhai jaisa hai... aur yakeen maniye.. Shruti ne suicide hi ki hai.. kisi ke baare mein bhi aisi baat sochi hi nahi ja sakti...!"

"humm.. panchnaame ke baad sab clear ho hi jayega.. chalo thane chalkar aaram se baat karte hain...baki logon ko bhi sath le lo....!"

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:49

Inspector rohan ke sath room se bahar nikla hi tha ki police walon mein se kuchh kapde uthaye unki hi aur aata dikhayi diya... Manav wahin khada ho gaya!

"Sir! sirf ye ladies kapde mile hain.. ek room se.. baki kuchh khas nahi tha!" Police wale ne aate hi kapde Inspector Manav ko dikhaye...
Rohan kapde dekhte hi tapak se bola," ye Shruti ke hi kapde hain.. kal usne din mein yahi pahan rakhe the...

"humm.. kahan se mile ye?" Manav ne poochha...

"Sir.. wo last wale bedroom ke bathroom se..!"

Rohan aascharya se bola," Kya? par...?" Police wala Nitin ke kamre ki taraf ishara kar raha tha...

"par kya?" Manav ne utsukta se Rohan ki aur dekha...

"nahi.. kuchh khas nahi sir!" Rohan apne man ki baat ko kha gaya...

"dekho.. baat khas hai ya aam, ye main sochunga.. dil mein koyi baat mat rakho.. jo kuchh bhi hai man mein.. Sab Nikal do..."
"Sir, really koyi khas baat nahi hai.. main sirf ye soch raha tha ki Shruti ke kapde Nitin ke bathroom mein kaise aaye.." rohan ne jawab diya..

"yahi toh wo sawaal hain beta, jinke jawaab mujhe dhoondhne hain.. Nitin ne tumhari prem kahani mein itna interest kyun liya? wah wahin rahkar tumhe bulane ki bajay Shruti ko yahan lekar kyun aaya..? Nitin taantrik se kyun mila? kundi kisne kholi? aur ab ye uske kapde Nitin ke bathroom mein kaise pahunche.. khair.. Raat ko jab Shruti tumhare paas aayi toh kya yahi kapde pahan rakhe the usne??" Manav ne poochha...

"Ji nahi.. wo koyi aur dress thi..?" Rohan ne jawab diya...

"matlab? kya ye bhi nahi thi jo uske shareer par ab hai?" Inspector apna sir khujata hua bola...

"Ji nahi.. darasal uss dress ki wajah se hi mujhe gussa aaya tha.. aisi hi ootpatang daal rakhi thi..."

"aao mere sath..!" kahkar Manav ne sipahi ko dress sath rakhne ko bola aur Rohan fir se Shruti wale kamre mein le gaya.. Shruti ki lash ko hospital wale le ja chuke the.. wahan khade sabhi logon ka chehra utara hua tha... sabhi ke chehre peele pad gaye the...

"jare kamre mein dhoondho, wo kapde kounse hain...?" Manav ne rohan ko ishara kiya....

Rohan ko almari mein jyada taakjhank nahi karni padi.. nihayat hi ashleel nighty aise hi beech wale khane mein fainki huyi thi... Rohan usko uthane ko jhuka toh Inspector ne mana kar diya," hath mat lagao tum isko..! aur ek sipahi se usko sawdhani se utha lene ko bola...

"Ab iska bag kholkar iske sare kapde nikalo...!" Manav ne sipahi ko bola.. Sipahi ne bag ulat kar sare kapde bister par ulat diye.. 'uss' ek nighty ke alawa Shruti ke paas iss tarah ka koyi aur uttejak kapda nahi tha.. bulki sare kapde shareer ko lagbhag poora dhakne wale the... Inspector ne iss baat par gour kiya aur sabko sath lekar chalne ka ishara police walon ko kiya.

aadhe ghante baad paanchon Manav ke saamne baithe the...

Inspector ne Nitin ko kursi badal kar beech mein uske saamne aane ko bola.. Nitin ne waisa hi kiya aur Rohan line mein sabse aakhiri kursi par chala gaya...

"Tum itne thake huye kyun lag rahe ho? raat bhar jaage ho kya?" Manav ne Nitin se poochha..

"Ji nahi toh.. main theek hoon bilkul.. aur jo thoda bahut tanav aap mere chehre par dekh rahe hain.. wo 'bechari' Shruti ki lash dekhne ke karan hai.. uske sath sach mein hi bahut bura hua?" Nitin ne safayi ke sath jawaab dete huye khud ko sambhala...

"tumhi Shruti ke katil ho!" Manav ne tapak se kaha...

"kkkya bakwas kar rahe hain aap? usne khudkushi ki hai.. sabhi jaante hain.. Rohan ne uske sath sambandh banane se inkar kar diya.. iss'se wah hatash ho gayi..." Nitin ek baar toh sakpaka gaya tha..

lagbhag yahi expression Rohan ke chehre par bhi aaye the," Sir aap bewajah Nitin par shak kar rahe hain..!"

"mujhe kisi pagal kutte ne kata hai kya jo main iss par bewajah shak kar raha hoon.. maine tum par nahi kiya.. halanki, tum uske sath sabse jyada der tak the.. main ye bhi kah sakta tha ki tumne hi jabardasti karne ki koshish ki aur jab nahi mani toh usko maarkar faansi par taang diya.. par maine nahi kaha na? hamara roz ka yahi kaam hota hai bachchoo.. hum katil ko najron se pahchan lete hain.."

Inspector bolte bolte uttejit sa ho gaya tha.. table par rakha pani ka gilas khali karte huye wah fir bolna shuru ho gaya..

"Mere kahne ka ye matlab tha ki agar tum usko yahan lekar nahi aate toh uske sath ye sab nahi hota.. hai na?

"Jji.. ye toh hai.." Nitin ne najrein jhuka li...

"toh kyun lekar aaye usko? tumhara kya fayda tha ismein..?" Manav ne jor dekar poochha...

"Mera kya fayda hota bhala.. maine toh jo kiya, Rohan ke liye kiya..!" Nitin ne safayi di..

"aisa kya kar diya tumne, Rohan ke liye..." Manav ne fir poochha....

"Ji.. wo Rohan yahan kisi ladki ke chakkar mein hi aaya tha.. Shruti ne jab mujhe ye bataya ki... darasal rohan ko pichhle kayi mahino se sapne aa rahe the.. toh isne mujhe sath lekar uss ladki ke paas jane ka fainsla kiya.. ladki ne hamein teele.." Bolte huye Nitin ko Manav ne beech mein hi rok diya..," ye sab bakwas mein sun chuka hoon... ye batao shruti ne tumhe kya bataya?"

"ji yahi ki sab usne hi kiya tha.. ek taantrik ke sath milkar... usne mujhe batay ki.........." Nitin ne wahi baatein dohra di jo pahle din Shruti ne Rohan ko aur aaj Rohan ne inspector ko batayi thi....

"tumhe ye sab Shruti ne kaise bata diya.. batana hota toh usi din bata deti jis din tumne usko college chhoda tha... ya tumne baad mein uske sath koyi jabardasti ki thi...?" Manav ne poochha...

Sawaal par ek baar toh Nitin baglein jhankne laga.. fir sahaj hote huye jawab diya," ab ye toh wahi bata sakti thi ki unhone mujhe kyun bata di.. maine sirf usko ye bataya tha ki Rohan kisi 'Neeru' ke chakkar mein Batala gaya hai...

"kkya? kya naam bataya tumne?" Inspector achanak chounk pada..

"Ji Neeru!" Nitin ne jawab diya...

"ohh.. achchha!" Manav ne ghoor kar Rohan ki aur dekha aur saamne dekhte huye bola," Fir?"

"ye sunkar wo bechain si ho gayi aur usne Rohan ne baat karwane ko kaha.. par jab Rohan ka fone nahi mila toh usne mujhe hi sab kuchh bata diya..." Nitin ne itni der mein hi baat bana li thi....

"par tum uske paas dobara karne kya gaye the?" Manav ne fir poochha...

"Ji.. wo main sachchayi ka pata lagana chahta tha.. aur jo kuchh bhi ho raha tha.. mujhe kisi sajish ki boo aa rahi thi..." Nitin ne lambi saans lekar apne aapko agle sawaal ke liye taiyar kiya....

"taantrik se mile ho tum?" Manav ne poochha..

"jji.. nahi!" nitin ke aisa kahte hi uske sath baithe Ravi ne usko hairat se dekha.. Nitin ne uska hath dabakar chup rahne ka ishara kiya toh wah bifar utha," mera hath kyun dab rahe ho bhai.. jo sach hai.. wahi batao na.. kal tumne mujhe bataya tha ki....."

Nitin ne sakpaka kar uski aur dekha.. ," wo maine yunhi kah diya tha yaar.. taki tumhe uski baat par visvas ho jaye..."

Post Reply