तेरे इश्क़ में Hindi Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: तेरे इश्क़ में Hindi Love Story

Unread post by rajaarkey » 07 Nov 2014 22:06


TERE ISHQ MEIN paart--2

gataank se aage.................
Us shaam jab Tehzeeb apne ghar pahunchi toh darwaze ke bahar phoolon ki 5 tokriyan rakhi thi. Vahi phool jo din mein usne khud beche the, Us jeep wale ladko ko ....

Tokri par ek kagaz ka tukda rakha tha jispar likha tha,

"Phool vaapis nahi kar raha hoon, aapko de raha hoon ... Ye aapke liye hain, meri taraf se"

"Kabse mera pichha kar rahe the?" Tehzeeb ne puchha. Vo aur Aditya dono ek park mein bethe hue the.

"Arrey bahut pehle se" Aditya ne jawab diya "Yaad hai 2 saal pehle jab tum vo Tailoring sikhne jaati thi?"

"Haan yaad hai" Tehzeeb ne kaha

"Tab main rozana ...." Aditya ne kehna shuru hi kiya tha ke Tehzeeb ne beech mein uski baat kaat di.

"Haan yaad aaya. Jab bhi main apni tailoring class se nikalti thi, tum bahar khade milte the hamesha"

"Right. Tumhein dekhne ke liye hi vahan khada rehta tha" Aditya ne haste hue jawab diya.

"Aur main hamesha sochti thi ke pata nahi kiske liye khada rehta hai bechara kyunki maine tumhein kisi ke saath dekha nahi tha, bas akele khade intezaar karte rehte the" Tehzeeb uska haath apne haath mein lete hue boli.

"Bechara?" Aditya bhi uske naram haath par apni giraft jamata hua bola

"Haan aur nahi toh kya. Tum yaar dikhne mein itne achhe bhale the aur vahan tailoring class mein ek bhi ladki dhang ki nahi thi. Main tumhein dekhti thi toh lagta tha ke pata nahi kiske saath tumhare naseeb phoot gaye" Kehte hue vo has padi.

"Tumhare saath hi naseeb phodne ke chakkar mein tha main"

"Toh jab main roz tumhare saamne se hokar guzarti thi toh batana chahiye tha na Mr. Adil Rehman"

Aditya aur Tehzeeb ko saath 2 mahine ho gaye the. Ek saal pehle vo roz kuchh din tak Teheeb ke phool usse kharidta aur usi ke darwaze par chhod aata jisse chid kar Tehzeeb ne use phool bechne se hi inkaar kar diya tha. Nateeja ye hua ke Aditya kahin aur se phool kharid kar uske darwaze par chhodne laga.

Dheere dheere roz yun phool dene ka kuchh toh asar hua. Tehzeeb ek aam ladki thi aur uska bartav bhi ek aam ladki ki tarah dheere dheere badal gaya. Pehle sakht gussa, phir sirf gussa, phir chidna, phir normal reaction, phir roz phoolon ka intezaar aur phir usko roz yun shaam ko apne darwaze par phoolon ka milna pasand aane laga. Vo khoobsurat sa ladka jisko dekhkar hi vo kudhne lagti thi use pasand aane laga.

Aur phir jab ek din us ladke ne uska haath pakadkar apne dil ki baat kahi, toh vo inkaar nahi kar paayi. Us ladke ne apna naam bataya tha Adil Rehman jiske Papa ek business-man the.

"Maine tumhein bahut talash kiya tha Tehzeeb. Tum achanak hi gayab ho gayi thi. Bahut bhatka tha tumhein dhoondhte hue. Tumhare padosiyon se puchha, tailoring class ki kuchh ladkiyon se puchha par kisi ko kuchh pata nahi tha tumhara. Shehar ke har kone mein dhoondha tha maine tumhein. Kabhi police files mein, kabhi social services ke offices mein, har jagah tumhara naam talash kiya par tum nahi mili. Aur phir jab main ummeed chhod chuka tha, tab tum mujhe ek din sadak par phool bechti hui nazar aa gayi. Main bata nahi sakta ke kya haal hua tha mera us din. Laga tha ke jaise meri khoyi duniya mujhe mil gayi. Tum vahan khadi phool bech rahi thi aur main apni jeep mein betha tumhein dekh bas khushi ke maare rota raha"

"Oh Adil" Tehzeeb uske kandhe par apna sar rakhte hue boli

"Phir tum phool bechkar apne ghar chali aur main tumhara pichha karta hua tumhara ghar dekh aaya"

"Aur agle din mere phool mujhse hi khareed liye" Tehzeeb ne muskurate hue baat poori ki.

Kuchh der tak dono khamosh rahe.

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: तेरे इश्क़ में Hindi Love Story

Unread post by rajaarkey » 07 Nov 2014 22:07



"Us ek raat ne sab kuchh badal diya tha Adil" Thodi der baad Tehzeeb boli "Hindu-Muslim ke beech lagi aag ne un dino jaane kitne ghar phoonke the aur unhi mein ek ghar mera bhi tha. Mere maan baap aur mera chhote bhai, teeno ko zinda jala diya gaya tha. Bach gayi thi bas ek main. Bahut din tak yun hi bhatakti rahi rishte-daaro ke yahan. Kabhi kisi ke ghar toh kabhi kisi ke ghar. Par ek jawan ladki ko yun koi nahi chhodta. Jiske yahan bhi rahi, vahan par yahi koshish ki gayi ke kyunki main unke yahan ek bojh bankar reh rahi hoon toh mera farz banta hai ke main ye karz kisi ka bistar garam karke utaroon. Kisi ne khud apne jism ki pyaas mujhse bujhani chahi toh kisi ne koshish ki ke main kahi kothe par jaanakr beth jaoon. Thak haarkar main phir isi shehar mein laut aayi jahan main paida hui thi aur jahan maine apna sab kuchhh khoya tha aur yahan mil gaye mujhe tum ......"

"Toh ye hai vo ladki?" Nikhil aur Aditya dono bethe chaai pi rahe the.

"Haan" Aditya ne Nikhil ki baat ka jawab diya "Yaad hai main kaise roz shaam ko Jeep lekar gayab ho jata tha?"

"Haan yaad hai. saare kaam ek taraf karke Mr. Aashiq roz shaam bina kisi ko kuchh bataye jaane kahan nikal jaate the"

"Iske chakkar mein hi jata tha. Us waqt ek tailoring school mein jaati thi vo aur main shaam ko use dekhne vahin pahunchta tha"

"Badhiya hai, purana pyaar mil gaya. Vaise naam kya hai hone wali Bhabhi ji ka?" Nikhil ne puchha toh Aditya chup ho gaya

"Tehzeeb Khan" Kuchh der baad usne jawab diya.

Nikhil ke haath se chaai ka cup girte girte bacha

"Tera dimag kharab ho gaya hai?" Nikhil jaise chilla hi pada "Jo tu keh raha hai us baat ka matlab samajhta hai?"

"Haan samajhta hoon yaar par ....."

"Nahi tu nahi samajhta" Nikhil ne baat kaat di "Bilkul nahi samajhta. Tehzeen Khan? Ek Muslim? Saale tere baap ko pata chal gaya to gala kaat dega tera? Aur log kya kahenge?"

"Mujhe logon ka farak nahi padta" Aditya ne jawab diya

"Padna chahiye. Tera baap Hindu Gathan ka president hai balki ye group shuru hi unhone kiya hai. Kya kahenge log jab sabko ye pata chalega ke jo aadmi Hindutva ki badi badi baaten karta hai uska apna beta ek musselman ladki ke
chakkar mein pada hua hai?"

"Maine kaha na Nikhil" Adita ne phir aaram se jawab diya "Mujhe logon ka koi farak nahi padta"

"Apne baap ka toh padta hai na ya unhen bhi bhool gaya tu choot ke chakkar mein?" Nikhil gusse mein bola

"Nikhil" Aditya itni zor se chillaya ke Nikhil 2 kadam pichhe ko ho gaya "Dosti mein bhi ek hadh hoti hai. Main us ladki se pyaar karta hoon. Tameez se baat kar"
Kuchh der tak dono phir chup ho gaye.

"I am sorry yaar" Aditya thodi der baad bola.

"Ab samjha" Nikhil ne apna sar pakadte hue kaha "Saala vo masjid mein jaake namaz padhna, Dharam ko chhod kar insaaniyat ki baaten karna. Gathan ki meetings mein tera na aana .. ye sab us ladki ke chakkar mein kar raha hai na
tu?"

"Uske saath jo hua uska zimmedar main hoon Nikhil. Aur barabar ka zimmedar hai tu saale. Vo muslim colony jahan vo rehti thi, us colony par us raat hamla tune aur maine lead kiya tha. Main aur tu vahan aadmi lekar gaye the. Us raat jitne ghar jale, jitne bhi log mare, sab tere aur mere ishare par hua tha. Uska ghar mere kehne par jala tha. Mera kehne par uske gharwalo ko zinda jala diya gaya tha"

"Unke baare mein soch raha hai tu? Aur unhone hamare ghar nahi jalaye? Unhone hamare Hindu bhaiyon ki jaan nahi li?" Nikhil bola

"Usne nahi li" Aditya chehra sakht karte hue bola "Vo bechari ek masoom ladki thi jo tailoring seekh rahi thi, apni ek tailoring shop kholna chahti thi. Usne kisi ki jaan nahi li, kisi ka ghar nahi jalaya"

Kuchh der ke liye kamre mein sannata chha gaya.

"Soch Nikhil" Thodi der baad Aditya bola "Ham dono ke kehne par us raat kitne log mare the. Kitni auraten mari thi. Kitne masoom bachcho ko halal kiya gaya tha"

"Aisa hi kuchh hamari auraton aur bachchon ke saath bhi hua tha" Nikhil bola

"Nahi" Aditya ne kaha "Un dango mein na koi tere ghar se mara tha aur na hi mere ghar se. Dono taraf se mare the aam log jinko hindu-muslim se zyada 2 waqt ki roti se matlab tha. Aur is desh mein 100 crore hindu rehte hain, sab
tere apne hain kya? Agar aisa hai toh jakar lad un sabke liye. Un sabko 2 waqt ki roti de, rozgar dila, naukriyan dila, kisi ke saath na-insafi mat hone de. Sab tere apne hain na?"

"Usko pata hai ke tu Hindu hai?"Nikhil ne jaise uski baat suni hi nahi thi

"Nahi. Maine usko bataya hai ke main ek Muslim hoon. Adil Rehman"

"Wah" Nikhil ne zor se taali bajayi "Hindu Gathan ke president ka beta ek muslim. Adil Rehman. Shabash mere yaar. Ab aage kya plan hai? Apna lund bhi katwaoge kyunki lund to tum usko dikhaoge hi kisi na kisi din?"

"Nikhil" Aditya phir gusse mein bola

"Aur kitna time lagega?" Aditya ne receptionist se puchha

"Bas thodi der aur sir" Reception par khadi ladki ne jawab diya Vo aur Tehzeeb dono ek clinic mein bethe hue the.

"Baar baar reception par pahuch jaate ho" Adtiya vaapis aakar betha toh Tehzeeb boli "Vo ladki bahut pasand aa rahi hai kya?"

"Shut up" Aditya ne haste hue jawab diya.

Kuchh din pehle dono saath mein the jab Tehzeeb ko achanak chakkar aaye aur vo behosh hokar gir padi. Us waqt dono ne socha ke shayad garmi ki vajah se aisa hua par phir ye baar baar hone laga. Tehzeeb achanak kuchhh karte karte
chakkar khakar gir padti aur behosh ho jaati.

Aur phir uske sar mein dard rehne laga jo dheere dheera badhta ja raha tha. Sehat rozana girti ja rahi thi.

Aankhon ke neeche kaale dhabbe banne shuru ho gaye kyunki sar mein dard ki vajah se vo so nahi paati thi. Aditya usko lekar ek doctor ke yahan pahuncha. Kuchh tests karaye gaye aur aaj unko results lene ke liye aana tha.

Dono lobby mein bethe doctor ke saath apne appointment ka intezaar kar rahe the.

"Adil tumne kabhi koi sapna dekha hai?" Achanak Tehzeeb ne puchha

"Haan dekha hai. Roz raat ko aate hai ajeeb ajeeb se khwaab"

"Arrey vo nahi" Vo khisak kar uske kareeb hote hue boli "Mera matlab ke zindagi ka khwaab. Jo tum apni zindagi mein haasil karna chahte ho"

"Haan hai na. Tum" Aditya ne muskura kar kaha
kramashah.....................

..................


rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: तेरे इश्क़ में Hindi Love Story

Unread post by rajaarkey » 07 Nov 2014 22:09

तेरे इश्क़ में पार्ट--3 Hindi Love Story

गतान्क से आगे.................
"ओफहो. मौका मिलते ही फिल्मी हीरो की तरह डाइलॉग मारना शुरू कर देते हो. अर्रे फस गयी मैं ऑलरेडी तुमसे, हो चुकी इंप्रेस, पटा लिया तुमने मुझे ऑलरेडी, तुम्ही से करूँगी मैं शादी, अब तो चैन से जीने दो. मेरे कहने का मतलब के कोई ऐसा ख्वाब जो तुमने बचपन से देखा हो. जैसे मेरा ख्वाब है के कहीं समुंदर के किनारे मेरा अपना एक बड़ा सा घर हो जहाँ से मैं रोज़ शाम सूरज को समुंदर में डूबते हुए देखूं"

"वाउ... बीच हाउस हाँ?" आदित्य ने कहा

"हां. मैं चाहती हूँ के रोज़ शाम को मैं बाल्कनी में तुम्हारी बाहों में बैठू और सामने सूरज धीरे धीरे समुंदर में समा रहा हो. मेरा ख्वाब है के मेरा अपना एक घर हो, बड़ा सा, सुंदर सा. मैं हमेशा एक किराए के मकान में रही हूँ. समुंदर किनारे एक बड़ा सा घर और हमारा अपना प्राइवेट बीच, बचपन से हर रात
मैं यही सोचती हुई सोई हूँ"

"प्राइवेट बीच भी?" आदित्या बोला तो तहज़ीब ने खुश होते हुए हां में सर हिला दिया.

"सर?" अचानक रिसेप्षन पर खड़ी लड़की ने आदित्य को पुकारा

"वाउ. अब तो ये भी तुम्हें बुला रही है. शायद इंप्रेस हो गयी" तहज़ीब चहकते हुए बोली

"शट अप" आदित्य ने घूर कर उसकी तरफ देखा और रिसेप्षन पर पहुँचा

"ये आपकी रिश्ते दार हैं?" रिसेप्षन पर खड़ी लड़की ने पुछा

आदित्य ने एक पल के लिए पलट कर तहज़ीब को देखा. वो अपने बालों से खेलती किसी बच्ची की तरह जाने क्या सोच रही थी.

"मेरी बीवी है" पलटकर आदित्य ने जवाब दिया

"ओके तो आप प्लीज़ अंदर जाकर डॉक्टर से मिल लीजिए. उन्होने कहा है के आप अकेले आएँ, मेडम को साथ अंदर ना ले जाएँ. बल्कि डॉक्टर साहब चाहते हैं के आप कोई बहाना बनाकर अंदर जाएँ, बिना आपकी वाइफ को ये बताया के आप
डॉक्टर से मिलने अंदर जा रहे हैं"

"क्यूँ?" आदित्य ने पुछा

"आइ डोंट नो" उस लड़की ने मुस्कुराते हुए कहा.

आदित्य फिर तहज़ीब के पास आया.

"क्या कह रही है? शादी करना चाहती तुमसे?" तहज़ीब फिर चहकी.

"शट अप. कह रही है के डॉक्टर को 15-20 मिन्स और लगेंगे. तुम बैठो मैं ज़रा बाथरूम होकर आता हूँ"

कुच्छ देर बाद वो डॉक्टर के साथ अंदर अकेला बैठा था.

"ये कैसे हो सकता है? इट्स इंपॉसिबल"

"आप चाहें सिर तो किसी और डॉक्टर से कन्सल्ट कर सकते हैं पर मुझे यकीन है के सबका जवाब यही होगा. आपकी बीवी के सर पर कुच्छ अरसा पहले चोट लगी थी जिसकी तरफ इन्होने ध्यान नही दिया. धीरे धीरे उनके दिमाग़ में उस जगह एक ब्लड क्लॉट जमा हो गया है जो अब इलाज की हद के बाहर जा चुका है. यही वजह है के उनके सर में दर्द रहता है, चक्कर आते हैं, बेहोश हो जाती हैं" डॉक्टर ने कहा.

"उस रात एक आदमी ने मेरे सर पर किसी चीज़ से वार किया था जिसके बाद मैं बेहोश हो गयी थी. होश आया तो मेरा घर और मेरे माँ बाप भाई, सबको जला दिया गया था. तभी से मेरे सर में हल्की हल्की सी चुभन रहती थी" आदित्य को तहज़ीब की कही बात भी याद आ रही थी.

"कितना वक़्त?" उसने डॉक्टर से पुछा

"ऐसे केसस में शर्तिया तौर कुच्छ कहा नही जा सकता. होने को आज कुच्छ हो जाए पर ज़्यादा से ज़्यादा 6 महीने"

"क्या आप सब मेरी बात से सहमति रखते हैं?" देवराज चतुर्वेदी ने हॉल में मौजूद तकरीबन 100 लोगों से पुछा.

"हाँ हम सब सहमत हैं" जवाब में आवाज़ आई

"क्या तू भी अपने बाप की बात से सहमत है आदित्य?" हॉल में खड़े निखिल ने अपने साथ खड़े आदित्य से पुछा आदित्य ने कोई जवाब नही दिया.

"सालों तक, सालों तक हमने इनका बोझ सहा है, इनके साथ कंधे से कंधा मिलाने की कोशिश की है पर अब और नही. अब हद हो चुकी है" देवराज की आवाज़ फिर गूँजी

"हद हो चुकी है" पीछे पिछे सामने खड़े लोगों ने दोहराया

Post Reply