love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Feb 2017 09:40

UPDATE 89-


Khan baba room me pahuche….......sahil ko dekhkar bole………



“nirash mat ho beta…sarfarz ko phone kar diya hai….wo dekhta hai kya ho sakta hai………”




“thank u khan baba……aap paresan na ho...........juhi ne mera form fill kar diya tha…..to ab koi problem nhi hai……….” Sahil ne pyar bhari nazro se juhi ki ro dekhte huye kaha,....




“shukr hai mere khudaya………..meri beti ha hi itani samjhdar ….aur tum???? Itane laparwah kaise ho gaye sahil?”



“chhode na baba…….ab to sab thik hai na.....…………” juhi ne kaha..



“haan beta….ab bas tum dono dil lagakar padho…………is bar dekhna dono ka ho jayega mera dil kahta hai…………..achchha tum dono bat karo mai jara sarfarz ko bata du…paresan ho rha hoga……aur juhi aadhe ghante me dwa kha lena…………bhoolna nhi….” kahte huye khan baba room se nikal gaye.




Juhi ne haa me sar hilaya…………




“tumne apni kya halat bana li hai……………kaise padh paogi tum batao……” sahil ne uske pas bathte huye kaha.




“fir aap mujhse naraz kyu huye the…….aur ek bar dekhne bhi nhi aaye ki jee rhi hu ya marrrrrrrrrrrr…..” juhi ki bat adhoori rah gayi…sahil ne uske muh par hath rakh diya………



“aisi baten nhi karte…………” juhi ektak uski aankho me dekhe gayi aur fir halka sa muskura di….




“ab mai bilkul thik ho jaungi sahil…….bas aap fir se ek bar lag jao…meri khatir….pllzz…..”




“mai vada karta hu juhi,itani mehanat karunga jitni aajtak kabhi nhi ki…..apni taraf se koi kami nhi rahne dunga……….bas tum jaldi se thik ho jao …fir dono sath padheneg………” sahil ne juhi ka hath apne hatho me lete huye kaha……




Juhi bas haule se muskura di………




“ek bat batani thi aapko…………..”



“kya”



“Sahil aap shayad soch rhe honge ki maine aapki diary tab padhi jab aapke documents lene gayi….lekin maine us se pahle hi padh li thi…………..i m sorry…plz naraz mat hona aap…plz…” juhi ne confess kiya.



“sorry to mujhe bolna chahiye juhi………..maine tumhare sath bahut bura sulook kiya………..” ek pal ko ruka sahil..



“juhi mai bahut bura insaan hu shayad isiliye aajtak zindagi me ek shakhs mera nhi hua…kisi ko nhi jeet paya…” sahil ne kaha.



Juhi ke dil me aaya ki bol de aapne mujhe jeet liya sahil lekin na bol saki………




“nhi sahil …bure wo log the jo aapko mile….aap jaisa insane to khuskisamt logo ko milta hai………….ab ye sab baten mat kiya Karen …mujhe pata hai jo aapke sath hua hai use bhoolna aasan nhi hai..par aapko use aasan banana hoga…………” juhi ne bade apnepan se kaha.



Sahil ki aankh ek bar fir aarti ko yad karke bhar aayi…………lekin usne apne aansu nahi niklne diye…..



“sahil mera dil kahta hai aapke hisse me jitney gham the aapne sab jhel liye…….. ab ek khus-hal zindagi baahen failaye aapka intzar kar rhi hai………………dekhiyega ab aapki life me sabkuchh sirf achchha hi hoga………..”




“achchha baten chhodo ,chalo dawa kha lo.............khan baba bol kar gaye hai na…………” sahl ne pani ka glass uski or badhate huye khaa…




Juhi ko ek anjanai si khusi ka ahsas hua………usne sahil ke hath se pani liya aur dawa kha li…………




“juhi tumhari is halat ka jimmedar mai to nhi hu na……….” sahil ne jane kyu puchh diya.



“nhi” juhi ne dhheere se kaha aur nazre jhuka li…………



“juhi,tum dekhna mai ek bahut achcha insane banunga………...ab tumhe kabhi koi dukh shikayat nhi hogi mujh se .......tum meri zindagi me us pari ki tarah aayi jo kisi ke toote sapne sawar kar unme naye rang bhar deti hai………mai ye din kabhi nhi bhoolunga,.......thnax juhi ..........” aaj sahil ki aankho me ek pachhtawa tha aur ek ijjat thi juhi ke liye...........



“aap baten bahut achchi kar lete hai.............”juhi ne dheere se kaha aur muskura di.




“achcha ab tum aaram karo.....mai jara apen notes aur books doondhta hu ...ab padhna hai na......” sahil ne kaha....



Juhi ke chehre par fir se muskurahat aa gyi aur usne haa me sar hilaya...........




Ab juhi ki tabiyat sambhl gyi thi .........uska rang ropp fir se kisi gulab ki kali ke jaisa khil utha tha......fir se kisi jannat ki pari ki tarah khoobsoorat lagne lagi thi.............sahil ne uski sari jimmedari apne upar le li thi........uski dawa,uska khana peena aur uski padhai..........khan baba ya sarfaraz sahib kisi ko koi aitraz nhi tha....dono ko hi bharosa tha ki sahil ek bahut achcha ladka hai aur kuchh aisa nhi karga jis se unhe sharmsar hona pade..........unhe ahsaas tha ki juhi ko ek dost ki jaroorat hai aur sahil se uska rista dosti wala hi hai...............



Sarfarz sahib jab bhi upar aate dono ko padhte huye pate aur unhe behad khusi hoti............sahil unhe bilkul apne bête ki tarah lagne laga tha...........sahil aur juhi ab din me sath hi padhte the............aur rat ko dono apne apne room me...........




Juhi ko ab lagne laga tha ki sahil aarti ko bhool gya hai.........aur ab wo sahil par apna hak samjhati aur kabhi kabhar use pyar bhari ghudaki bhi deti............ek bar fir se sahil jeene laga tha..............sahil ko bhi juhi ka sath achchha lagta..............




Juhi din b din sahil ki muhabbat me doobati ja rhi thi.............jitna khyal uska sahil rakhta utana to kabhi kisi ne nhi rakha tha..........sachchi muhabbat kya hoti hai iska ahsaas hi use sahil se milkar hua tha...........subah aaakr roj use jagata .........aur fir din me juhi kitna bhi kahe aaj padhne ka mood nhi hai....lekin sahil na manta.....


sahil ke sath sath padhna juhi ko aasan lagne laga........aur ab wo roj koi na koi bahana karke sahil se apne naj uthwati....................aakhir thi to wo bhi ladki hi.......uske man me bhi ek kuwari ladki ke jaise sapne the....koi use pyar kare ...use toot kar chahe...uske nakhre uthaye...............koi ho jo sirf uska ho...




“.......agar ammi hoti to bhi is se jyada pyar mujhe nhi karti” ....juhi ke man me kayi bar ye khyal aata ..........lagta hi nhi tha ki ye whi sahil hai jo kuchh din pahle itna bikhra bikhra sa lgata tha......ye ishq bhi na ........!!!!!!!!!!!!!!!.




“sahil ,aap wakayi muhabbat karne ke layak ho...............”juhi apne dil me sochti ....



“ ........aapki muhabbat ki shiddat se mujhe muhabbat ho gyi hai.....koi kisi ko kaise itna chah sakta hai..........kaise????.......kash aapko mujhse bhi kabhi aarti ke jaisi muhabbat ho jaye.....mai aapko uske jaisa dhokha nhi dungi sahil,,,,bas ek bar.........”juhi ne khud se kaha aur sharm ke mare apna chehra apne hatho me chuupa liya.........




Aaj 19th MAY ka din tha ..........Sahil aur juhi dono ka kal pre exam tha ....................dono subah se hi padh rhe the............sham ke 6 baje gaye the aur juhi ab bahut thaki thaki si lag rhi thi............sahil ne ek bar uski or dekha........





“thak gyai na” dono eksath sofe par baithkar padh rhe the...........




“hmmmmmm” juhi ne book ek taraf rakhte huye kaha..........



“thodi der aaram kar lo.........”


Juhi ne kuchh nhi kaha..aur chupchap sahil ke kandhe par sar tika diya aur aankhe band kar li.........



“sahil” juhi ne dheere se use pukara.



“ha bolo”


“sahil agr mera nhi hua to baba ko kya bolungi..........”



“pagal ho kya........tumhara jaroor hoga dekh lena....aur ek bat bolu ...............jo hamse sachchi muhabbat karte hai unki muhbbat hamari safalataa ya asaflata ki mohtaj nhi hoti.........wo to bas muhabbat karte hai......fir chahe ham zindagi me kuchh hasil kar paye ya na......aur khan baba to tumse babhut jyada muhabbat karte hai............” sahil ne use pyar se samjhate huye kaha....



“sach?????”



“ha bikul sach.......bas insan ko mere jaise badnaseeb nhi hona chahiye............jise kabhi sachchi muhabbat mili hi nhi...jise har muhbbat karne wala khudgarz mila.........” sahil ke labo par na chahte huye bhi ek talkhi ,ek shikwa aa gya.......




“kyu meri muhabbat sachchi nhi hai ?????????” achanak juhi ke muh se naikal gya.........



“kyaaaaaaaaaaa??” sahil ka muh khula ka khula rah gya..........




“meri matalab hamari dosti .......bolo kya sachchi dost nhi hu mai?????? ” juhi bhi apni bat par sann rah gyi ur kisi tarah se bat sambhalte huye boli..........wo sahil ke kandhe se alag hokar baith gyi.





“tum to bahut achchhi ho juhi............tumhari jaisi dosti to na koi kar sakta hai na nibha sakta hai.......kash mai bhi kabhi zindagi me tumhare liye kuchh kar pau..........” sahil ne bhi juhi ki bat ko ignore kar diya..shayad use bhi laga ki achanak juhi ke muh se nikal gya hoga ........




“aap aisa kyu bol rhe hai......aapne to itna kiya hai mere liye........aap jaisa dost koi ho hi nhi sakta...achcha chhode in bato ko...mera kuchh khane ka mann kar rha hai..........pizza order kare.....”juhi jaldi se jaldi topic khatm karna chati thi...use dar tha ki kahi wo galti dubara se na kar de.............




“nhi kal exam hai na...........kuchh ulta pulta nhi khana hai..............” sahil ne kisi bade budhe ki tarah saf mana kar diya..........





“huh...jalim zamanaa ” juhi ne ek shokhi se kaha aur muh fulaa liya...........sahil ke sath ne uske husn ko aur nikhar diya tha...ab wo bhi patar patar bolna ,ladai karna..roothanaa ...sab sikh gayi thi...........ur fir thodi der bad whi hua ...sahil usko manane me lag gya............aur juhi khus ho gyi...........kitni masoom si tamnna hoti thi uske dil ki.




Subah uth kar dono taiyar huye ......aur ek dusre ko all the best bola.......




Sahil aur juhi subah apne apne centre parr exam dene pahuch gaye the.........dono ne dil me ek dusre ke liye dua mangi........aur apne apne exam me lag gaye.,...



Sham ko juhi pahle ghar pahuchi .......sabne puchha exam kaisa hua ........usne simple sa jawab diya........”thik hua hai...result aane par hi pata chalega..”



Juhi apne kamre me baithi besabri se sahil ka intzaar ka rhi thi...........lagbhag 1 hr bad sahil bhi ghar pahucha .......seedha juhi ke room me gya.........




“kaha rah gaye the aap?...paper kaisa hua.........” juhi ne use dekhte hi sawal dag diya..........




“tumhara kaisa hua.........??”



“nhiii...pahle aap bataye........? “juhi kahaa man ne wali thi.



“achchha hua hai...ho jayega pre me to “ sahil ki aankho me gazab ka confidence tha.......



“yesss...mujhe pahle se hi pata tha..........i knew it ...ab to aap MAINS ki taiyari suru kar do....“ juhi khusi se uchhal padi..



“are tum to batao...kaisa hua ??”



“thik hua hai.....umeed to hai...........”juhi ne kaha....



“ho jayega tumhara dekh lena....” sahil ne kaha.....



“I hope so.............chaliye baba se milte hai niche aur fir kahi challenge ghoomne bahut time se sadi huyi books dekh dekh kar mood off ho gya........” juhi ne sahil ka baju apne hath me lete huye kaha......sahil ko thoda ajeeb laga lekin kuchh bola nhi...dono niche chal diye........




Sahil ki zindagi fir ek do rahe par aa rhi thi..........ek taraf bachpan ki muhabbat ,jisne kam se kam uski nazro me use dhokha diya tha, aur dusri taraf ek masoom si pari jiska dil todana kisi paap se kam nhi tha aur sabse jaroori bat ----jiske ahsaano ke tale sahil dabta chala ja rha tha............




Aasan si lagne wali zindagi kitni muskil ho jayegi kisi ko andaza bhi nhi tha..........kash muhaabat na hoti ........
.
.
.
.
.
.
..
.
. to shayad kuchh bhi na hota.


User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Feb 2017 09:41

UPDATE 90-

Lagbhag 2 months hone ko aaye the sahil aur juhi result ka wait kar rhe the aur mains ki taiyari bhi kar rhe the............juhi sahil ko ab apna samjhne lagi thi ...........un dino ke bad se sahil wakayi bikul badal gya tha...........bahut khus to nhi lagta tha lekin ab mayoosi nhi dikhti uske andar ...............ab wo khud bhi bahut mehnat karta aur juhi se bhi karwata.............



khan baba ki tabiyat thodi kharab rahti thi ......aur juhi ko unki chinta hoti thi.......lekin sahil ke rahne se use bahut sahara miilta ............ wo sar se paav tak sahil ki muhbbat me doob chuki thi ....lekin kabhi kahne ka hausla nhi hua..................use lagta tha ki ek na ek din sahil ko ye ahsaas jaroor ho jayega................




Aur wakayi sahil ko ahsaas hone laga tha ki uski aur juhi ki dosti , dosti ke rishte se kuchh aage badh rhi hai lekin wo aisa nhi chahta tha...........uske dil me kya tha koi nhi janta tha ..................juhi ne bhi kabhi use kuredne ki kosis nhi ki........uski muhbabat to ek bahut pak jajba tha jisme khudgarji ka ek ansh tak nhi tha.............



“Sahil “ juhi ne sahil ko pukara, dono sath baithe padh rhe the...juhi apne bed par lete huye aur sahil whi pas me rakhi chair par baithkar..........


“hmmm???” sahil jo ki books me sar gadaye huye the ,dheere se bola..........

“ek bat puchhu??”

“hmmm”



“kya sachmuch muhabbat bahut buri cheej hai????????” juhi ne itani masoomiyat se puchha ki sahil ko hasi aa gyi...........wo uski taraf badi gaur se dekhne laga aur muskurate huye bola..........



“achanak ye kaha se aa gyi.....”



“batao na sahil ..plzzz...” juhi ne kaha.


“...tumhe kya lagta hai??”



Juhi sakpka gayi.........sahil ki aankho me kuchh aisa tha ki use sharm aa gyi.....



“mujhe kya pata.........maine to kabhi............”




“ha ,tumne to kabhi muhabbat ki nhi na.......” sahil ne uski bat puri ki,..



“’ha whi to.........” jui ne tapaak se kaha....



Sahil ne apni books ek taraf rakhi aur juhi ki or mud gaya............



“ha juhi...muhbbat bahut buri hoti hai...bahut jyada.........isme sirf gham milta hai.......jab tak muhaabt nhi hoti achcha hai....kam se kam ek bharam to rahta hai ki ye bahut pyari ,baht khoob soorat hoti hai.....lekin sachchhai aisi nhi hoti..............bahut bura rog hai.......ek bar lag gay to fir kabhi nhi jata............” sahil ne apni hari huyi mhbbat ki kahani ko sare jahaan ki muhaabt bana diya..............




Juhi puchhna chahti thi ki kya wo abhi bhi aarti se pyar karta hai lekin puchh na saki............wo nhi chahti thi ki ek bar fir se sahil udas ho.......lekin use ye puchhne ki jaroorat hi nhi padi..........



“juhi, mai bhi kabhi yhi sochta tha ki muhabbat bahut haseen jajba hai..bahut kismet wali ko naseeb hoti hai...........lekin sab dhokha hai yar.........sach to ye hai ki ye kuchh hoti hi nhi ........rishte,nate..muhbbbat ..sab matalb ki baten hai....life me sirf end matter karta hai.........agr tum life me successful ho to sare rishte hai ,aur agr tumhare paas kuchh nhi to rishte bhi nhi rahenge..........bas maine to itna hi sikha hai...................” sahil ki baten sunkar juhi ko bahut dukh ho rha tha...........




“to ab aap kisliye itna hard work kar rhe ho ............aapko to pata hai na ki sab dhokha hai.........?????? ” juhi ki aawaz me pahli bar talkhi aa gyi......use ahsaas tha ki sahil aisa kyu kah rha hai.........lekin sahil ki baten use apni muhabaat ki tauhin lag rhi thi aur us se bardasht nhi hua...........





“sirf isliye ki us “ BEWAFA” ko dikha saku ki mai uske bina bhi jee sakta hu,apne sapne pure kar sakta hu...”




sahil bol gya,lekin is bat ko bhool gya ki agar waqt rahte juhi ki muhabbat ne uska hath na tham liya hota to shayad aaj wo zinda bhi na hota........isi muhabbat ki wo tauhin kar rha tha usi muhbbat ne ne usko ek nayi zinadgi di thi..........bas is bar muhabbat kaa rang alag tha.....





....juhi ko behad dukh hua uski bat sunkar...........




“ meri dosti bhi dhokha hi hai na sahil ??” juhi ne bade bujhe man se kaha....aur apni nazre fer li.......




Sahil ne uski or dekha ...juhi ki neeli aankho me aasnu bhar aaye the.....aur uske gulabi hoth fadfada rhe the....aansuo ko rokane ki bepanaah kosis kar rhi thi...........




juhi janti thi ki jo kuchh sahil kah rha hai sachchai uske bahut alag hai .......sahil abhi sirf wo kah rha tha jo aarti ki “ BEWAFAI” ” us se kahlwa rhi thi..........uske man me aisa nhi tha..........lekin fir bhi uski baton se juhi ko bahut dukh pahucha tha...................



sahil ko ahsaas ho gya ki juhi ko uski baton se dukh pahucha hai....... wo chair se utha aur juhi ke pas bed par baith gya...............


“I m sorry ...mera iradaa tumhe hurt karne ka nhi tha............” sahil ne uski najuk si kalai apne hath me lete huye kaha.............juhi ka jabt jawab de gya aur uski aankh se ek aansu bistar par tapak gya..............



“I m sorry juhi...........” par juhi ne uski or palat kar nhi dekha..........



“tum bhi rooth jaogi to kaise jiyunga yar.............bas ek tumhi to bachi ho mere pas.........mujhe fir se akela mat karna.....” sahil ko bhi ab dukh ho rha tha....taza taza jakhm tha fir se ubhar gya............usne bade jajbati lahje me kaha.....




Sahil ka itana kahna tha ki juhi ne use kheench kar apne gale se laga liya..............wo to thi hi muhaabt ki pari................sahil ki jajbati baten kasie bardasht kar pati........



“nhi sahil mai aapse naraz nhi hu........i m sorry.......mai aapko kabhi akela nhi choodungi .........kabhi bhi nhi ...” juhi sahil ke gale se lag kar rone lagi aur sahil pyar se uske reshmi balo me hath pherta raha.....thodi der bad sahil ne juhi ko alag kiya.....




“juhi.sorry yar.......kisi aur ke liye....nafarat thi dil me...............tumhari dosti dhoka kaise ho sakti hai...tumhari dosti ne to ek nayi zindagi di hai mujhe...ek maksad diya ..........meri ye puri zindagi hi tumhari dosti ki amaanat hai..........” sahil ne uske hath ko pakde pakde pyar bahre lahje me kaha....



Juhi ke chehre par ek sukoon tha............




“sahil, rishte bure nhi hote.....log bure hote hai..........”




“haan.......tum itani samjhdari ki bate kaise kar leti ho......achcha chalo ab padhai karo.......”




Sahil ki bat par juhi halka sa muskurayi ...use pata tha ki sahil ke andar abhi bhi whi pyar bhara dil hai aur bas tamanna yhi thi ki kash wo dil ek bar mere liye bhi dhadke ......use poori umeed thi ki ye jaroor hoga...............usne apni books pakdi aur fir se dono padhai me lag gaye.............




Lagbhag 1 week bad prelims ka result aa gya...........baba,sarfarz sahb ,juhi aur sahil sare log ek hi kamre me maujood the..........poora parivar computer screen par nazre jamaye huye tha.................



Sahil ne site kholi aur result downloada kiya.......pahle sahil ka rol no dala gya..................




“05534” sahil ka ho gya tha...jiski ki sabko umeed thi ...............juhi khusi ke mare jhoom gayi...lekin sahil ne sabko chup karaya aur juhi ka roll no feed kiya.............uske liye juhi ka hona apne hone se jyada mayne rakhta tha.........



“05670”




Aur is bar sabke muh se khusi bhari kilkari nikal gayi .....juhi khan baba se lipat gayi aur sarfarza khan ne sahil ko gale se laga liya....




“sabash meri bachchi ............mujhe pata tha ki tu jaroor pass ho jayegi” khan baba ne uske mathe par choomte huye kaha.......



Sarfaraz saheb ne bhi juhi ko gale se lagaa liya...........



“jeete raho beta...allah tumhe lambi umar de..............” khan baba ne sahil ko gale lagate huye kaha...........



“chalo sarfaraz jara sabko pata to chale ki hamari juhi ne apne sapne ki pahli seedhi par kar li hai.........” khan baba ne sarfarz sahab ke shaane par hath rakhte huye kaha......




“jee abaa” sarfaraz sahab bhi behad khus the........aur dono niche chal diye....room me sirf sahil aur juhi bache .........



“thanx sahil” juhi ne bade payr se uski or dekhte huye kaha..........



“are pagal ho kya...thanx to mujhe bolna chahiye.............aur agar tumhara nhi hoga to paap nhi lagega UPSC walo ko...............itani pyari si ladki ka dil todane ki gustakhi kaun kar sakta hai bhalaa.......”sahil bhi aaj bahut samay ke bad behad khus lag rha tha..............




Juhi ko sahil ki bat bahut achchi lag rhi thi........




“sach sahil ....baba kitne khus the.........aur abbu bhi................sachchi khusi to tabhi hoti hai jab apno ke labo par muskurahat aa jaye..............mai aaj bahut khus hu sahil ...i m really happy.............ye sab tumhari vajah se hi hua hai.......thanku ...thanku...thanku......” jhui bolti huyi sahil ke gale lag gayi..........




Sahil ko ahsaas hi nhi hua mano...........wo to juhi ki usi bat me ulajh gya tha ki.. “apno ke labo par muskurahat” ...............kash koi mera bhi apna yha hota aaj..............kash aaj wo yha hoti jo meri sabse jyada apni thi..............kashhhhhhhhhhh...




Juhi jo khusi ke mare sahil ke gale lag gayi thi...........use jald hi apni galti ka ahsas hua............aur wo tejise sahil se alag ho gayi.......uski nazre sahlil ke chehre ki taraf gayi..............ek dard tha uske chehre par..........juhi ko kuchh kuchh samjh me aa rha tha...........




“kya hua sahil.....”usne sahil ka hath apne hatho me lete huye kaha...............



“kuchh nhi.......”sahil ne apni halat sambhalane ki nakam kosis ki............



“aarti ki yad aa rhi hai????????? “ juhi ke dil me ek dard utha........



Sahil chup rha............



“yad aa rhi hai uski ???” juhi ne fir puchha.......




“haa juhi.....mujhe yad aati hai uski..........bahut yad aati hai................jab usne mujhe chhod diya to uski yaden bhi mujhe kyu nhi chhod deti...kyu mer sukoon barbad karti hai................kyu mai use bhool nhi pata hu juhi...kyu????????” sahil juhi se lipat gya..............





juhi ko laga jaise kisi ne uske sapno ka gharonada kirchi krichi bikher diya.........wo gumsum si sahil ko gale lagaye room ke bicho bich khadi thi............



“mai tumhe nhi jeet paungi sahil.............. kabhi nhi.......”juhi mano har mante huye khud se kah rhi thi...........




“lekin sahil zindagi bhar muhabbat to tumse hi karungi.......chahe tum mujhe kabhi na milo........muhabbat pana ya na pana- ye to kismet ki bat hai....... lekin muhbbat karne se to mujhe koi nhi rok sakta,,,,tum bhi nhi..........” usne apne man me soch liya tha....




“sab thik ho jayega sahil mai hu na....” juhi ne sahil ko pyar se bahlate huye kaha..........




thodi der bad pure ghar me ek jashn ka sa mahol tha...............sahil lakh samjhataa ki abhi do exam aur pas karne hote hai................lekin khan baba ke liye har chhoti khusi bhi badi khusi hoti thi .............ek zindadil insaan the wo...



Rat ko lagbhag 9 baj rhe the ....mid july ka mahina tha aur mansoon ne delhi me dastak de di thi...............bahar halki halki barish ho rhi thi............sare log rat ka khana kha kar ek sath baithe the.............




“sahil beta,khuda ne mujhe sabkuchh diya ............bas ek bête ki kami lagti thi......tumhe pakar lagta hai wo kami bhi poori ho gyi.........bahut apne se lagte ho tum.........” sarfarz khan jo apni masroofiyat ki vajah se sab ke sath kam hi rah pate the,aaj kahi nhi gaye aur sabke sath sath baithe baithe apne dil ki bat bolte rahe...sahil unke pas hi batha tha............



“bilkul sahi kah rhe ho sarfaraz.......sahil apna hi to hai......” khan baba ne bhi hami bhari....




“baba,ye to aap logo ka pyar hai.........” sahil ko kuchh kahte na bana.



Juhi bas chupchap baithi thi ..aur kabhi kabhi chor nazro se sahil ki or dekh leti..........




“juhi beta tum ek bar ajmer sharif ho aao........fir dekhna tumhara baki ke exam me bhi aaram se ho jayega.........” baba ne kaha.



“par baba.....mai akele kaise.......???” juhi boli.




“aree akele kyu jaogi........sarfaraz le jayega........kyu bhai..time hai aapke pas..........” baba ne puchha.





“abbaa wo..wo....sahil hai na ....sahil beta agar tum thdoa sa time nikal sako to............” sarfaraz sahib ne sahil ko aage kar diya..........




“nhi...har bar bachche ko pareshan karte ho............tum khud jao...........”




“abba ..wo bahut important client se meeting hai..............”



Ek pal ko sab log chup ho gaye...........



“baba ,agar aapki ijajat ho to mai le jata hu...agar aap is layak samjhe to...........”sahil bola..




“are kaisi bat kar rhe ho sahil beta...........tum par to hum aankh band karke bharosa karte hai.....hum tumhe beta kahte nhi mante hai sahil.........mai to bas isliye kah rha tha ki tumhe lagega ki har bar ye nalayak tumhe paresan karta hai..........agar tum ja sako to is se jyada achchhi bat kya hogi...............” khan baba ne bade apnepan se kaha.



“beta mante hai to fir kaisi taklluf.......mai chala jaunga...........”



“khus raho beta” khan baba ne kaha


“thanx beta...mujhe pata tha tum mana nhi karoge.........” sarfarza khan ne kaha.


“chalo bhai ab tum dono baten karo ya padho.............mai to chalta hu ab..............”


“aayen abba.............aapko room me chhod deta hu........”


Khan baba aur sarfaraz ke jane ke bad juhi aur sahil hi rah gaye the............



“”aapko to koi aitraaz nhi hai mere sath chalne me........” sahil ne juhi ko chheda.


Juhi thodi Sharma si gayi..............aur naa me sar hila diya..



“Thik hai fir kl taiyar rahna...........good night” sahil bolta hua bahar nikal gaya......


“good night” juhi ne kaha..



“tum ek bar kah kar to dekho mai zindagi bhar ke liye sath chal dungi sahil “ juhi ne uske jane ke bad dheere se kaha.........




Dusre din sahil aur juhi ajmer sharif pahuche........khud ki car se aaye the........driver sath me tha lekin ajmer sharif me wo kisi jan pahchan wale ke yha chala gya tha aur juhi aur sahil dono dargaah par aa gye the.........



Juhi ne sahil ke liye aur sahil ne juhi ke liye dua mangi..........



“ye mere maula..........sahil ko sachchi muhbbat mil jaye...........bas itna karam karna..........” juhi ne dua ki .



.......dua usne sachchi muhabbat ki mangi thi .........apni muhabbat ki nhi.............kitna payar aur sachcha jajba tha uske dil me...........




“ai malik ,juhi ka sapna poora kar dena..........uska sapna nhi tootna chahiye,,,mere hisse me agar koi khusi ho to wo bhi is masoom si pari ke hisse me kar dena ...........ek aur rahmat karna..meri aarti ko salamat rakhna...use mafi de dena..........bas mujhe aur kuchh nhi chahiye......” sahil ke dil se aaj bhi aarti ke liye dua hi nikli thi .........wo lakh kahe use bewafa...............lekin muhabbat itani aasani se nhi marti .....



Sahil aur juhi bahar nikla rahe the ki ek faker ne hath faila diya..........




“parwar digar aap dono ki Jodi banaye rakhe beta.....bahut khoobsoorat joda banaya hai upar wale ne aap dono ka............zindagi phulo si mahke aap dono ki.........bal bachche salamat rahe aapke...fakeer ki kuchh madad kar beta......” juhi to mano sharm ke gad si gayi....par use achchh laga tha...dil chah rha tha juhi ka bas ye pal yhi rook jaye...........usne dil me soch kash fakeer baba aapki bat sach ho jaye...aur kuchh paise nikal kar fakeer ke hath par rakh diye.........




“sada sukhi raho beta.....allha aapke shouhar ko lambi umar de.......... aapke pariwar me barakkat de..........babu sahib, bachcho ke nam ki dua karwa lijiye....... “ faker ne kaha..




Sahil ke bardasht se ab bahar ho rha tha...........aur idhar bachcho ka nam sunkar juhi ka gal ekdam se lal ho gaye..........wo jaise khud me hi simat si gayi...........
“ye chupchap nikal idhar se........kisne kaha ki hum shadi shuda hai.....” usne gusse se kaha .



“babu sahib, nikah nhi hua to ho jayega...........meri duaaaaa....” uski bat adhoori hi rah gayi....



“band kar apni bakwas....hmmmmm....chal nikal..”usne buri tarah se jhad diya ...bechara fakeer apnsa muh lekar aage badh gya..




Juhi ko bada majaa aaya tha ye jhadap sun kar ...sahil ka gussa hona use aur bhi majja de rha tha..........par dil ke kisi kone me ek halki si tees uthi thi.....kashhhhhhhhhhhhhhhhhh.




Sahil ne ek bar juhi ki or dekha...wo niche ki taraf dekhte huye muskura rhi thi..........sahil ko samjh me nhi aay ki kya bole.........kafi bhid thi us jagah par...




“chalo ............jane kaha kaha se aa jate hai.. ’ usne juhi ki kalai pakdi aur age badh gaya.........





“sahil aap is tarah gusse me hote ho to bahut cute lagte ho.” Juhi ne zara sa use chhed diya.......





“hummm...usne pahle hi bahut mood kharab kar diya hai ..ab tum aur mat karo..............” sahil ne kaha aur juhi ka hath pakde aage badhta raha....



Jahaa bhid jyada hoti sahil juhi ka hath chhodkar use dono or se hath failakar apane baho ke ghere me le leta aur age badhne ki kosis karta........juhi ko bahut achcha lag rha tha.....wo khud ko bahut mahfooj mahsoos kar rhi thi............kash ye safar kabhi khatm na ho............uske dil me bas yhi aawaz uth rhi thi...............





Kashhhhhhhhhhhhhhhhh.............juhi ka dil is kashh ki kahani se aage nhi badh paa rha tha.......ya shayd uski kismet use aage badhne nhi de rhi thi.........




“mai tumhe pane ki har kosis karungi sahil.........agar meri kismet me hi tum na huye to apni kisamt se to nhi lad sakti na.”””

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Feb 2017 09:43

UPDATE 91-

Juhi ko sahil ke sath chalnaa bahut achchha lag rha tha......

“zindagi kitni aasan ho jaye agr in majboot baho ka sahara meri kismat ban jaye........” juhi ke dil me ek kasak si uth rhi thi..........


Sahil in ab socho se door juhi ko bachate huye bhhed se nikalne ki kosis kar rha tha..........


Achanak ek jor ka shor hua aur bheed me bhagdad mach gayi..............sab log teji se idhar udhar bhagne lage.....shayd kisi ne koi afwah faila di thi ...lekin ek bar jo log bhagna suru huye to fir kise parwah thi ki sachchai hai ya afwah..........


Sahil ka hath juhi se chhut gya aur juhi pichhe chhutne lagi....log teji se aage ki or bhag rhe the aur sahil pichhe ki or daudane ki kosis kar rha tha............juhi pichhe hi rah gayi thi................kisis tarah se sahil pichhe badh rha tha...lekin juhi kahi nazar nhi aa rhi thi..................

Idhar juhi ek kone me dubki ro rhi thi..........uske left pair me chot aayi thi aur wo chal nhi paa rhi thi bhagne ki to bat hi bahut door thi..............

“sahil ...kaha ho aap...........sahil............plzzzz....” wo ro rhi thi aur sahil ko pukar rhi thi...........juhi ka phone bhi bheed me kahi gir gaya tha..............


sahil bhi badhwas sa use dundh rha tha.........bheed bahut jyada badh gayi thi aur puri afara-tafri jaisa mahaul ban gaya tha.........sahil ka dimag bhi kam nhi kar rha tha aur wo juhi ko dhundhata hua dusri or nikal gya............


sahl ki aankhe bhi bhar aayi ..........”plz god aisa kuchh mat karna ki mai fir se kise apne ko kho du.......agar juhi ko kuchh ho gya to kaun sa muh lekar jaunga mai khan baba ke pas ...........nhi .use kuchh nhi hoga........ek dost to mai pahle hi kho chukka hu...ab fir se nhi kho sakta........” sahil paglo ki tarah idhar udhar juhi-juhi pukar rha tha........

“kaha ho sahil aap...plzz aa jo mujhe bahut dar lag rha hai..........khuda plz..mere sahil k mila do........sahil...sahl...kaha ho aap.........” juhi ab bahut tej tej ro rhi thi aur bheed me chillate bhagte log ghur ghur kar uski or dekh rhe the............

‘chal mai le chalta hu tujhe....ae police hai udhar ..chal unke pas.......wo pahucha denge tujhe.......” ek gunde se dikhne wale aadami ne uska hath pakda......juhi ki to mano jan hi nikal gayi.......wo buri tarah sse dar gayi ....hath chuddane ki nakam kosis kar rhit hi...lekin us kale kaloote aadami se chhut pana us najuk kali ke liye impossible hi tha..............koi bhi uski or dhyan nhi de rha tha aur sab jidhar jagah mil rhi thi bhag rhe the...............

Juhi ab buri tarah se ro rhi thi aur chilla rhi thi..........”sahil ..plz bacha lo .....sahillllll” uske gale se jor ki cheekh nikli ...aur mano uski dua khuda ne sun li...........


Wo gunde jaisa dikhne wala aadmi lagbhag use ghassetane hi wala tha ki

“juhiiiiiiiiiiii” sahil badhawas sa bhagta hua use aata dikha............


“sahillll” juhi jor jor se rone lagi sahil ko dekhkar........

Sahil pas pahucha hi tha ki ..........wo gunda cheekhte huye bola...........


“sale zinda rahna chahta hai to chuchap nikal le...........”

Sahil to use juhi ko daboche dekhkar hi mano pagal ho gaya .........usne us gunde ki bat suni bhi nhi shayad ...dan-danaate huye uske pas pahucha aur sahil ka jordar ghunsa uske jabde ko tod gaya.............


Sahil ke sar par jaise khoon sawar ho gya tha ,aur wo gunda uska jabardast ghunsa kha kar ek taraf ludhak gaya...sahil ne ghunso aur laton ki barsata kar di............

“kamine teri himaat kaise huye meri juhi ko chhune ki............chhua kaise tune ise........”


Wo gunda bhi sahil se tagada hi tha lekin sahil ke gusse ke age uski ek na chali....use sambhalane tak ka mauka nhi diya sahil ne..........

Buri tarah se peet rha tha sahil use...uski nak aur muh se khoon nikalne laga tha...sahil ka ye roop dekhkar juhi whi pas me padi huyi kaap rhi thi...........

“sale meri juhi ko chhua tune, teri jaan le lunga mai.........” sahil ke hath nhi rook rhe the,.

“Sahil chhod do use...mar jayega ........plz....” juhi sachmuch bahut dar gayi thi............aur bahut tej tej ro rahi thi.........wo gunda sachmuch adhmara ho chukka tha................aur shayad behosh bhi........

“sahil plz.....tumhe meri kasam ...chhodo use............”juhi lagbhag cheekhte huye boli....sahil ne juhi ki or dhokha...gunde ke chehre par ek jor ki lat mari aur juhi ki or badh gya.................

Sahil ne jhuk kar juhi ke sar par hath rakha aur juhi us se lipat kar buri tarah se bilakh kar rone lagi..............

“chup ho jao juhi plz.....mai aa gya hu na ...kuchh nahi hoga tumhe........plzzz chup ho jao.......”sahil dheere dheere uske balo me hath ferta hua use tasalii de rha tha aur juhi uske chaude seene me muh chhupaye buri tarah se bilakh rhi thi..........


“sahil aap nhi aate to.............”...juhi ne sar uthakar sahil ki or dekha..........aur ek bar fir se rone lagi......

“kuchh nhi hota tumhe...........aag laga deta mai jamane ko aur is khuda ko bhi agar tumhe kuchh ho jata to”” ........... sahil ne usko apne bajuo me bheenchate huye pyar se uske sar ko chum liya........juhi ka dil ek pal ke liye bahut jor se dhadka.......


Bheed ab chhat chuki thi aur kafi sari police aur CRPF us jagah pahuch chuki thi..........condition abhi bhi bahut tanav poorn thi......


Juhi sahil ko pakad kar khadi huyi lekin us se chala nhi ja rha tha...........usne majboor hokar sahil ki or dekha......sahil ne bhi uski aankho me dekha aur fir use apne bajuo me utha liya...........juhi thoda jhijhak rhi thi fir usne dheere se sahil ke gale me bahe dal di...............


uske dil me sahil ki whi bate chal rhi thi......”aag laga deta mai jamane ko agar tumhe kuchh ho jata to” .........sahil ki har bat par juhi ka dil uski or jhukta ja rha tha........”.thank u sahil “ usne man hi man kaha aur halki si muskurahat uske labo par aa gyi..........

Juhi lagatar sahil ke chehre ki or dekh rhi thi ...............lekin sahil uski or nahi dekh rha tha....wo use uthaye aasani se aage badhata ja rha tha...........lagbhag 10 minute chalne ke bad sahil juhi ko lekar road par pahuch gaya................

Sahil ne ek taxi wale ko roka aur kisi hotel me chalne ko kaha.............karib 30 minute ki drive ke bad sahil aur juhi ek thik thak se hotel ke kamre me the...............dono ke bich koi bat nhi huyi thi.....juhi abhi bhi sadme me thi aur sahil ko apni galti lag rhi thi...........jabki reality me to uski koi galti thi hi ni..........


Sahil ne juhi ke liye juice order kiya ......aur reception se bat karke ek doctor ko bhi bulaya..........Dr ne juhi ko dekha aur bataya ki koi khas problem nhi hai bas kuchh hi dino me khud hi sahi ho jayegi............aur kuchh medicine dekar chala gya.............

Din ke lagbhag 3 baj rhe the ...........juhi dawa khakr bed par leti thi aur sahil whi pas me rakhe sofe par baitha tha.............usne apna phone nikala...........sarfaraz sahib ki 16 missed calls thi ....usne fauran hi unhe phone lagaya........

“sahil ,kaha the tum ...phone kyu nhi utha rhe the..juhi ka phone band ja rha hai...thik to ho tum dono...wha kya hua hai...television par dikha rha hai ki curfew lag gya...”sarfaraz sahib ne phone uthate hi sawalo ki jhadi lagaa di..............

Sahil ne unhe sari bat detail me batayi...bas ladai wali bat ko chhodakar...............

“tum log thik to ho na beta.....juhi kaisi hai.........kaha ho tum log....”

“jee uncle hum bikul thik hai...aap paresan mat ho..........hm ek hotel me ruke hai.............juhi abhi abhi soyi hai...............kahe to bat karau............”

“nhi rahne do,,,, achcha suno..........mahol thik nhi hai.........agar wo jagah thik ho to aaj whi rook jao.....tum kya kahte ho......”

“jee , jaisa aap kahe..........”

“sahil aaj whi rook jao beta, .....”

“ jee uncle...........”

“ meri juhi ka khyal rakhna sahil ............”

“jee uncle aap paresan na ho...............”

Sarfaraz sahib ne use kuchh aur hidayate di aur phone rakh diya..............sahil whi sofe par pada pada late gaya.............

Sahil ke aankh kab lag gayi use pata hi nhi chala...........lagbhag 8 baje rat ko uski needn khuli........sahil ne dekha juhi abhi bhi so rhi thi.........usne khane ka order kiya aur juhi ko jagane laga............

“juhi...juhi .......”do bar bulane ke bad bhi usne aankhe nhi kholi.....

Sahil ne dheere se uske sar par hath rakha..........juhi ka badan bahut garam tha.....use tej bukhar tha...........sahil ne ek bar fir se reception par phone karke doctor ko bhejne ko bola..............

Juhi ne muh par pani ki chheeten padne par dheere se aankh kholi...uski aankhe ekdam lal ho rhi thi...samne sahil aur whi Dr khade the................

“tumhe thoda fever hai juhi...isiliye dr ko bula liya.......” sahil ne kaha.


Thodi der bad dr use kuchh medicine dekar chala gya...........juhi ko sahil ke sath ek khusi ka ahsas ho rha tha....lekin uska sar bahut bhari bhari sa tha aur us se bikul bhi utha nhi ja rha tha............

Thodi der bad khane ka order aa gya.........

“chalo kha lete hai..mujhe bahut tej bhookh lagi hai............”sahil ne pet pakdte huye kaha.....

“sahil aap kha le....mera man nhi kar rha hai...........” juhi boli.

“thoda sa kha lo....dawa khani hai na...........”

Juhi kuchh nhi boli.........sahil juhi ke pas hi baith gya aur dono dinner karne lage...........

Sahil ne apne khane me hath lagaya hi tha ki ek aah si nikli uske muh se..........

Sahil ke hath me ladai karte samay chot lag gayi thi aur hath kayi jagah se chheel gya tha...lekin tab use pata nhi chala tha...jaise hi shayd mirch lagi chot par ,wo karah utha..........

“kya hua....”

Sahil ne apna hath pakad liya..........”kuchh nhi.......”

“dikhaiye idhar..........oh khuda..........aapko to bahut chot aayi hai...mai abhi doctor ko phone karti hu........”

“nhi rahne do..........mai thik hu.......”

Sahil badi muskil se thoda thoda uthakar kha rha tha...........

“mai khila deti hu......”

Juhi ne ek nivala liya aur uske muh ki taraf badha diya...sahil ne uski or dekha...

“nhi ..mai khud kha lunga.........”

“plzzzz...” juhi ne request ki.......

“maine kaha na kha lunga mai..........” sahil ne thode gusse se kaha.....juhi chup ho gayi .par hath usne abhi bhi badhaye rakha............sahil ne bebas hokar uski or dekha...mano puchh raha ho ki kyu kar rhi ho ye sab........... fir usne muh khola aur juhi ke hath se khane laga.........juhi ke man me ek ajeeb si khusi ho rhi thi.........

Khane ke bad juhi ne dawa khayi aur bed par baith gayi...kamre me bed ek hi tha..........to use samjh me nhi aa rha tha.........

“kya hua let jao..mai yhi sofe par so jaunga...........”sahil ne kaha aur sofe apr baith gya...

Juhi ne shukriya bhari najro se uski or dekha aur fir dheere se letakr aankhe band karli..............


Sahil bhi let gaya....rat me sahil ke needn khuli...use kise ke karahne ki aawaz aa rhi thi.............sahil ne time dekha....rat ke 2 baj rhe he...usne uth kar night bulb on kiya............juhi ke muh se dheere dheere karahane ki aawaz aa rhi thi..............


Sahil dheere dheere chalta hua uske pas pahucha........juhi ke chehre par ek msoomiyat bikhri thi.......wo thi hi itani najuk aur aaj ki ghatna ke bad se bahut dari dari si lag rhi thi aur fever bhi isi vajah se shayad hua tha.............sahil ne aage badhakr uske mathe ko chhua ..........juhi ko fir se bahut tej bukhar tha................aur isi vajah se wo karah bhi rhi thi...................


Sahhil ko kuchh samjh me nhi aay ki iatni rat ko kya kare..........fir usne apna hanky nikala aur pani me bhigo kar uske mathe par rakhne laga..............juhi kuchh hosh aur kuchh behoshi ke se aalam me thi......use fir bhi itana to pata chal gya tha ki ye sahil hai....... aur itana hi kafi tha..............


Subah ke 6 baj chuke the ............juhi ki neend khuli to usne dekha ki sahil ki aankhe band thi aur abhi bhi whi baitha uske sar par pattiya rakh rha tha.............uski aankho se aansu nikal gya.................

“kaise koi itna sachcha aur itna achchha ho sakta hai.........aye khuda is farishte ko meri kismet me likh de ......tujhse aur kuchh nhi mangungi...”juhi ne aansuo ki ladi ki bich ek dua mangi....


kahte hai subah ka dekha hua sapna aur subah ki mangi huyi dua – dono sach ho jate hai..............kya juhi ke sath bhi asia

Post Reply