love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 04 Dec 2016 14:33

UPDATE 73-

Subah pahli sahil utha..aarti abhi bhi so rhi thi ...sote me aarti ke chehre ki massomiyat aur badh jati thi ..sahil jab bhi uske chehre ki or dekhta uska dil ,uske dimag ki khilafat karne lagta ....jee chahata duniya ke sare bandhan todakar ,sare rishte nate chhodakar bas uska hokar rah jaye....is riwajo ki duniya se kahi door chalaa jaye ...jaa sirf wo ho uski aarti ho aur unka pyar ho ....


Sahil aarti ke chehre se apni nazre hata leta hai,,,use pata tha unka pyar duniya roopi sagar ki ek aisi kasti par sawar hai jisme sapno ke sundar phool to hai lekin haqiqat ka kinara nhi hai...uske sapno ke phool bas kagaz ke phool ban kar rah jayenge jinse kabhi bhi vastavik phoolo ki khusboo nhi aa sakti ....sahil ek aah bhar kar rah jata hai ...aur muh se bas itna hi nikalta hai ...."KAASH"



Aarti ka exam 9.30 se tha ...bathroom me pani girne ki aawaz se aarti jag jati hai ...aankhe malte huye wo uthkar baithti hai to niche fllor par bistar laga hua dekhkar use samjhte der nhi lagti ki sahil whi niche soya tha ....



" kyu ho aap itne pyare" wo bas itna kahti hai aur apne bikhre balo ko clutcher me kaid karti uth jati hai ....uske chehre par sahil ke liye ijjat thi ,maan tha aur pyar tha ....



Aarti washrroom se nahakar nikli thi aur uske lambe baal peeth par faile huye the jo abhi gile the ......usnme chamakati pani ki boonde kisi moti ki tarah uske khoobsoorati ko badha rhi thi ....bina kisi makeup ke hi uska roop sone ki tarah damak rha tha ....



Sahil ek nazar aarti par dalta hai aur apne dil ki dhadkano ko kaboo me karte huye bolta hai..." chalo jaldi se ready hokar aa jao ..7.30 ho gaye"



Aarti ne sahil ke nazro ki tapish apne chehre par mahsoos ki thi ...aur use achchha lagaa tha ..."jee..bas abhi aayi " aarti bas itna hi bolti hai aur apne room ki or badh jati hai ..


thodi der bad aarti ready hokar niche aat hai....sahil dining table par baitha hua tha ...

toast , chai aur senke huye bread table par rakhe the aur ek juice ka glass bhi...aarti pyar se sahil ki or dekhti hai ....



"chalo time waste mat karo ..fatafat breakfast karo " is se pahle wo kuchh bolti sahil bol padaa.


Aarti sahil ki or dekhe ja rhi thi aur apna breakfast kar rhi thi ...sahil kabhi nazar utha kar aarti ki or dekhta aur use apni hi or dekhta pakar nazre dusri or kar leta...


thodi der bad aarti breakfast finish karke apna bag lekar sahil ka wait kar rhi thi aur wo kitchen me tha .... ....


"ab aap der kar rhe ho ...jaldi se aao na" aarti ne sahil ko mama bolna chhod diya tha .


Sahil kitchen se nikalkar uske pass pahucha ..uske hath me ek chhoti katori thi jisme dahi (curd) thi...


"lo thodi si kha lo ...mummy bolti thi ki exam ke din dahi kha kar jate hai " sahil ne behad pyar se uske hotho ki taraf spoon badhaya.


Aarti ne sahil ke hatho me thame sppon ko muh me le liya ...lekin is bar apne aankho me fanse aansuo ko aazad hone se na rok saki.


" pagal ho kya '''? ro kyu rahi ho ...ab dahi jyada khatti hai to isme meri kya galti " sahil ne use hasane ki neeyat se kahaa...


"dahi achchhi hai buddhu ram" aarti ki aankho me aansu the aur hotho par hasi ...itna bolte huye wo sahil ke gale se lag gayi ....sahil ek hath me dahi aur dusre me spoon pakde khada rha ...samjh me nhi aa rha tha use ki kya kare....


"thank you " aarti ne gale lage lage hi uske kano me sargoshi ki .


"ab ho gya na....chalo ab " sahil se kuchh kahte nhi ban rha tha .



Aarti sahil ke sath bike par baithi thi ..ek man tha uski aankho me sahil ke liye ....sahil ne uska har roop me khyal rakha tha ...aur aaj mummy ke na hone par ek maa ki kami bhi use mahssos nhi huyi thi ....bahut kam kismat walo ko aisa pyar naseeb hota hai ...aarti ke chehre par sharm aur garv ka mil jula bhav tha ..




Sahil ke sath bike par baithkar use lag rha tha ki kash ye zindagi yuhi sahil ke sath ek haseen safar me gujar jaye .


Aarti ka paper kafi achcha hua tha aur use umeed thi positive rsult ki.dheere dheere din bit rahe the aur aarti AIPMT,CPMT.MANIPAL,,jaisi kayi exam me appear huyi thi ...



Aarti ke sare papers ho chuke the ....teen paper me use sahil liva kar gya tha aur baki ke do me papa ke sath gayi thi .....february ke end chal rha tha ....sahil ka result ab aane wala tha aur sahil ko result ki tension hona swabhavik tha...



Dheeraj kabhi kabhi delhi aata tha didi ke yha....wo jab bhi aata aarti ki tayi tau ke yha bhi jaroor jata...unhe bhi wo didi jeeja hi bolta tha.



Aarti din pratidin sahil ki chahat me doobati ja rhi thi whi sahil apni lakho kosiso ke bawzood aarti se door nhi ja paa rha tha ...ab uske pass ek hi rasta bachta tha ...wo aarti se door jane ke liye didi ke ghar se hi chala jaye...ab use bas aaarti ke result ka intzar tha ...qki agar uska result positive aata to ya to aarti kahi kisi hostel me chali jati study ke liye ya fir wo khud wha se chala jata ..qki fir aarti ko study me uski kisi help ki jaroorat nhi padti ...kya wo khood aarti se door rah payegi ???? is bat ka sahil ke as koi jwab ni thi.




Har roz sahil UPSC ki website check karta aur aakhirkar wo din aa hi gaya jab UPSC ki site par block letter me red coloured announcement publish huyi...


" CIVIL SEVICES(MAIN) QUALIFIED RESULT"


Sahil ke dil ki dhadkan badh gayi thi ..usne turant aarti ko aawaz lagaya...




" Aarti,jaldi yha aa...jaldi se"

ghar par sab log the lekin wo dono top floor par the aur baki log niche ....


"kya hua ...itti tej kyu chillaye " aarti daudate huye aayi aur jaise hi computer screen pe nazr padi chup ho gayi ....


" aa gya ????"

"ha"


dono hi nervous lag rhe the ....sahil ne pdf download ki ....mainz me kayi bar role number likhne ke bad use roll no yad ho gya th -029729.


dono hi taktaki lagaye us pdf ko ghoor rhe the jisme sshil ki kathin tapsyaa ka parinam tha ....aur ek barfir se us pdf me wo number maujood tha ...


ek bar fir se sahil ne kar dikhaya tha....aarti sahil ki or aur sahil aarti ki or dekh rhe the .....aur achanak se aarti teji se uchhal sahil ke seene se lag gayi sahil sambhal nhi paya aur pichhe bistar par gir gaya aur aarti uske upar ....



"mujhe pahle se hi pta tha ki aap ye kar jaoge ....." aarti uske pet par chadhi huyi thi aur ye batana muskil tha ki dono me jyada khus kaun hai ....




Sahil ke ankho me kamyabi ki chamak thi aur aarti ki ankho me us chamak ko dekhkar khusi ki chamak. Dheraj aur sahil ke mummy papa bhi is bat se kafi khus the...didi jeeja bhi sahil ki saflta par behad khus the ...sahil ne is bar kisi bhi tarah ki party se manaa kar diya tha ..wo chahata tha ki ab jo kuchh bhi ho final result ke bad ho.....



ab sahil ke samne aakhiri padav tha " INTERVIEW"...sahil ke liye ab tak ka safar kafi kathin rhaa tha ...pahle attempt me hi civil services ke interview tak pahuchacnaa ,wo bhi uske jaise background wale student ke liye ,bahut badi bat thi...



do dino bad interview ka shcedule aa gya ...sahil ka interview 10 din bad tha aur ek bar fir se wo duniya jahaan ko bhoolkar apni taiyari me lag gya tha.


User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 04 Dec 2016 14:33

UPDATE 74-

Do din rah gaye the sahil ke interview ke liye …aaj rat ke khane ke bad aarti aur sahil ek sath baithe the….



“Aarti tum chalogi ne mere interview wale din???”


“jaisa aap kaho “ aarti ne jawab diya.



“ye meri zindagi ka sabse badaa din hoga ..mai chahata hut um mere sath raho …bahle hi andar na chal sako”



“to fir puchh kyu rahe ho…aap chahte ho to mai jaroor chalungi….aap jab bhi life me mujhe jahaa bhi chalne ke liye bologe,mai chal dungi “ aarti ne apne dil ke emotions ko sabdo ka roop diya.



Sahil use dekhta rah gayaa…pta to use bhi sabkuchh tha bas wo samjh nhi paa rhaa tha ki kya kare…wo chup rah jata hai …



Sahil aarti ka samnaa karne se katrane lga tha….pahle jaisi aarti se baten bhi nhi kartaaa aur aarti ko achchhi tarah se samjh me aa rha tha ki wo aisa kyu kar rha hai…
aaj sahil ka interview tha..sahil ne blue colour ka suit pahna tha aur behad handsome lag rha tha ....aarti ne ek bar pyar se uski or dekha aur mano khud hi sharma gayi " bade aaye " muskurate huye usne khud se bas itn ahi kaha.did jeeja bhi sahil ke sath UPSC aaye the ..sahil ne andar jane se pahle unke pair chhuye aur gate ki or badh gya ...tabhi pichhe se aarti ki aawaz aayi ....



" ek minute...mummy mai All d best bolna bhool gayi " aarti mummy ko bolti uyi sahil ki or badh gayi aur wo gate se thik bahar khada tha...aarti uske pas aayi ....



"aap jao ,pure confidence se apna interview do ....result ke bare me mat sochate rahna nhi to nervous lagoge ..bas ek bat sochana ...zindagi me kchh rishte aur kuchh insan kabhi nhi badalte ....wo aapki saflta asafalta se bahut upar hote hai......aur aap kuchh dino bad is gate ke andar ho ya bahar us se koi fark nhi padta ....mai aapka hath kabhi nhi chhodungi ... ALL THE BEST " sahil ko aarti ki baten behad pyari lagi thi usne ek halki si mukurahat di aur thanx bolta andar ki or chal diya .




Sahil ka interview ho chuka tha ..aur ab wo final result ka wait kar rha tha ….bas ek bar uska nam aur us list me aana tha aur sahil IAS ban jata…lekin use dar lagtaa tha….interview to achchha hua tha lekin fir bhi ….



Idhar aarti ke result bhi aane suru ho gaye the ,,,aaj uska UP-CPMT ka result aaya tha ..aarti ka fir se nhi hua tha …..



Sahil kahi bahar gya hua tha ..ghar aay to didi ne bataya ki aarti ka result aaya aur uska fir se nhi hua ….



Sahil ko ye sunkar kafi dukh ho rha tha ..wo teji se upar ki or chalaa jata hai….aarti apne kamre me hi tha ..door khula tha ..



“Aarti?” sahil ne sar jhuka kar baithi aarti ko aawaz di .



Aarti ne sar uthakar uski or dekha …uske chehre se lag rha tha ki wo ro rhi thi …


“ I m sorry…mai kisi layak nhi hu ….mere se kuchh nhi ho sakta….aap ne kitni mehnat ki thi mere liye…maine sab barbad kar diya ….i m soryy..i m really sorry “ aarti fir se rone lagi .


Sahil teji se aage badha aur aarti ka chehra apne dono hatho me tham liya..



“chupppp….tu kya samjhti hai???…maine teri help isliye ki thi ki tu apne sapne ko pura karne ki puri kosis kar sake na ki isliye ki mere padhaane se koi guarantee thi ki mai tera entrance clear karwa dunga…zindagi me agar kuchh pane ka zunoon ho to apne dil se puri Imandari se kosis karni chahiye aur wo tune kiya ……kyuki fir kabhi life me ye pachhtawa to nhi rahega ki yar ek bar aur kar liya hota ..ya yar ek bar dil se padh liya hota ……bas itna hi chhataa tha mai ki teri life me tujhe kabhi wo pachhtawa na ho ….…result positive aana na aana hamare hath me nhi hota ….aur tera to abhi ye first result hai ,,,abhi aur kitne result aane hai …aur kya kahaa tune……maine mehnat ki thi???? Ha ki thi ,to ??? Tu meri kuchh nhi lagti kya jo mai tere liye kuchh kar na saku ???? kya maine tujhe padhate samay ye shart rakhi thi ki tujhe exam clear hi karna ha ….nhiiii….mai bas ye chahta tha kit u apne pure potential ke sath apne aim ko pane ki kosis kar …samjhi”



Aarti ke aansu rook gaye the ….use sahil ki kuchh bate samjh me aa rhi thi kuchh nhi …ha ek bat jo samjh me aayi thi wo ye ki agar life me kisi chij ko pane ka zunnon ho to dil se puri imandari se kosis karni chahiye ,….aur ab aarti wo kosis karne wali thi ….---sahil ko dil se pane ki kosis.



“thank you ,,,thank u so much….aap meri zindagi ki andhero raste par ek ujale ke tarah aa jate ho …jab bhi kuchh samjh me nhi aata ki kya galat hai kya sahi ,kya karu kya na karu ,aap roshni ki ek kiran ki tarah mujhe rasta dikhate ho …..aap se is zanam me mera jo rishta ho wo to sab log jante hai …lekin kisi zanam ka aur bahut gahra rishta rahaa hai hmara ??”



Sahil chup ho jata hai …aarti ki baten use samjh me to khub aa rhi thi ..lekin un bato ka wo kya zawab de use khud pta nhi tha ….



“kuchh jyada bol gayi mai”



“nhi..wo…mai ja rha hu..aurrr..ab rona mat ..plzzz.. “ sahil se jab kuchh bolte na bana to wo uthkar jane lagaa.



“ agar fir roungi to aap wapas aaoge na ?” aarti ke is bat par sahil kekadam mano zam se gaye ,usne palat kar aarti ki or dekha…uske aankho me sahil ke liye pyar ka sagar hilore mar rha tha…sahil ko dar sa lagne lagaa tha us pyar ka anjaam sochkar …




“Aarti plzzz” wo bas itna hi bol paya.


Aarti chalte huye uske pass aa khadi huyi .



“kyu itna kuchh apne dil me rakhte ho aap…kah do jo kuchh bhi aapke dil me hai ….wada hai aapse.. mujhe har kadam par apne sath khada paoge …chahe rasta kaise bhi,chahe manjil koi bhi ho …mai hamesa aapke sath chalungi “



“aarti plzz samjhne ki kosis karo….”


“samjha do “ aarti ne uske aakho me dekhte huye haule se kahaa.


Sahil fir se chup rah jata hai …aur teji se chalet huye room se bahar nikal jata hai ….


Sahil neeche aaya to didi ko baitha hua paya..


“didi mai kuchh dino ke liye ghar jana chahata hu…abhi result aane me bhi time hai …bhaiya ko bol deta hu ticket karwa denge”


“ ha beta mai khud bolne wali thi …jao kafi time ho gayaa…sab se mil aao “

“ jee..”


Sahil ne bas itna hi kahaa aur dheeraj se bat karne lagaa…usne bataya 4 din bad ka ticket confirm mil rahaa hai…aur sahil jane ko raji h jata hai ..
Wo ab jaldi se jaldi aarti se door chale jaana chahta tha …kyu ki use ptaa tha ki agar wo yha rahaa tu kabhi na kbhi dil ki bat hotho se na sahi ankho se bayaan ho hi jayegi aur fir aarti ko chhod kar jana bahut kathin ho jayega….



Sahil muhabbat se bhag rha tha ….kitna nadaan tha becharaa ???????



Sahil didi ko bolkar kisi friend key ha chala jata hai …delhi me allahabd ke kafi ladke the aur sahil ye char din ghar se door bitana chahta tha….



Aaj sahil ko gaye dusra din tha ..wo delhi me hi tha lekin aarti se door tha…sahil ka mann bikul nhi lag rha tha ..aarti ka masoom chehara bar bar uski aankho ke samne aa rha tha ….uska dil bahut bechain tha lekin sahil sab bardasht kar rha tha …..is waqt sahil apne kuchh dosto ke sath ek coofee shop me baitha tha …pas ki table par baithe kuchh ladke ladkiya kisi exam aur result ki bat kar rhe the….



Sahil se rha na gya ..usne palat te huye puchha ..”excuse me…kaun sa result declare hua hai ??”


“bhaiya wo AIPMT ka, mera selection ho gya hai ….” Ek ladke ne chahkate huye jwab diya .


“oh…great yar,,,congratulations…”


“Thnk you bhaiya”



Sahil ki bechaini aur badh gayi..pta nhi aarti ka kya hua…usne phone bhi nhi kiya….jab se aaya hu ek bar bhi phone nhi kya …na koi msg ….shayad naraz hai mujhse …koi bat nhi ..kuchh dino ki narazagi zindagi bhar ki tadap se bachaane ke liye jaan. Sahil dil me soch hi raha tha ki tabhi uska mobile par “beep” ki tune baji ….usne phone nikal kar dekha ….aarti ka msg tha ….



“aap mujhse door rahne ya paass rahne ka faisla kar sakte ho , mere jeene marne ka nhi ,BYE”



Sahil ki to jaise saanse hi rook gayi…


“vipul bike ki chabhi de “ sahil ne lagbahg chhekhte huye kaha.


Sahil ke is tarah cheekhne se wha baitha lagbhag har shakhs uski taraf dekhne laga…uske dost bhi hairan the ..sahil badi narmi se suljhe huye tarike se bat karne wala ladka tha …lekin aaj uska rang uda hua sa tha….vipul ne bina kuchh puchhe bike ki chabhi uski or badha di ..




Sahil ne phone nikalkar aarti ko kayi bar phone kiya par wo phone nhi utha rhi thi ,,,usne jeeja ko phone kiya to pta chala ki didi aur wo aaj subah se hi kahi bahar hai …ab sahil ka dil aur joro se dhadkane lagaaa.


Wo teji se bike chalate huye didi ke ghar ki or badh chalaa….



“kahi aarti ka result fir se negative to nhi aaya???? …kahi usne kuchh kar ‘’’…..???? nhi..nhi …aisa kuchh nhi karegi wo “ sahil apne dil ko tassalli de rha tha lekin uski aankhe baras rhi thi .



Koi 40 minut ki tej drive ke bad sahil didi keghar phucha …bike bahar hi patak kar wo teji se andar bhaga…”aarti…aarti..kaha ho tum ….???” Ghar me pahuchate hi wo tej tej aarti ko aawaze dene lagaa…par aarti ko kahi na pakar wo teji se upar ki or bhaga…
Third floor par pahuchte hi usne dekha ki aarti ke room ka door andar se band tha …..



“aarti darwaza kholo …plzzzz…” wo teji se door peetne laga…



Kuchh hi palo bad darwaza khola aarti ne ……sahil ke nazre uske chehre par jam thi ,,,use dekhkar aisa lag rha tha ki bahut der se roti rahi thi …aankho se ratjagi saf pat chal rhi thi …uski halat dekh kar kisis ki bhi uspar taras aa jata,,,par sahl ko nhi aayaa….. aaj nhi ….



Sahil ka ek jordar chata uske galo par pada….aarti ka chehra sunn ho gya …uski aankh se aansu nikal gaye …lekin wo waise hi khadi rahi …..


“kya sabit karna chahti ho tum ???”



Sahil khud bhi ro rha tha ….aarti ko chup dekhkar jhunjhala gya …



“bolo damn it …jawab do “



“kuchh sabit nhi karna chahti ,,,bas dekhna chahti thi ki jis tarah mujhse door hone se aapko koi fark nhi padta ,kya vaise hi mere jeene marne se bhi nhi padta “ aarti ke aankho se aansu nikal rhe the aue wo ektak sahil ki aankho me dekhe ja rhi thi.


Ab sahil se bardasht nhi ho rha tha …



“fark padta hai damn it…..tumse door hokar kaise raha hu mai hi janta hu …..agar tumhe kuchh ho jata to tumhari kasam mai bhi nhi jeeta …kaise soch liya tumne ki mujhe koi fark nhi padega …ha..bolo….” sahil ne khichkar use apne gale se lagaa liya ..



Aarti sahil se kaskar chipak gayi …dono ki aankho se ansuo ki barsat ho rhi thi ….


“ agar aaj aap na aate to kal aapko aarti na milti ,,,aapki kasam jan de deti mai apni “ aarti roye ja rhi thi .


“nhi…aisa kabhi nahi karna…tum to jaan ho meri …haa aarti pyar karta hu mai tumse …baut pyar …aaj se nahi barso se …tumhare bina kaise jee paunga kabhi socha nhi ….” Aakhir sahil ke sabr ka bandh toot hi gaya..aur aarti ko to mano man ki murad mil gayi .



“ mai bhi aapse bahut pyar karti hu …bahut jyada pyar …mujhe kabhi chhod kar mat jana …jee nhi paungi mai “ aarti aur jor se chipak gayi sahil se .



Aaj dono ke pyar ka Milan to ho gaya tha…lekin sangam abhi bhi baki thi …aur baki tha abhi bhi niyatee ka ek ganda khel .


User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 04 Dec 2016 14:34

UPDATE 75-


Sahil aur aarti kuchh der yuhi ekdusre se lage rahe aur fir jab alag huye to dono ke dilo me khusi thi ,sukoon tha aur dher sara pyar tha …..lekin kuchh aur bhi tha jo dono ke dilo me tha ….aarti ke dil me sharm ki ek nayi lahar aur sahil ki dil me ek chinta ki unke is naye “ RISHTE “ ka anjam kya hoga…lekin aarti ko is bat ki mano koi parwah nhi thi …



Sahil aur aarti ek dusre se alag ho chuke the …ab dono khamosh the…rishte k ek naye rang ne un dono ke bich jhijhak ki ek nayi deewar khadi kar di thi …jise door hone me thoda waqt to lagna hi tha …aakhir us khamoshi ko sahil ne hi toda…



“tumhara result aa gya hai na AIPMT KA…????”



“hmmm” aarti ne kuchh sochte huye kaha….


“kya hua??” sahil ka dil jor se dhadaka…



“ ho gya hai” aarti ne aise kaho mano kuchh hua hi na ho…


“whatttt??? Aur tum ab bataa rhi ho ?? phone nhi kar sakti thi…??? Itni khusi ki bat….pagal ho kya tum…didi ko bataya…????” sahil ki khusi dekhne layak thi…lekin aarti shant thi …


“kya hua?” sahil ne puchha.



“kya phone karti ??? aap to naraz the ….…jisne in aankho ke sapne ko udane ke liye pankh diye,hausla diya ,jab wo hi sath na tha to us sapne ke poora hone ki khusi kya manati ????? …. aur ek bat bolu aapse…manjil par pahuchane ki khusi tabhi hoti hai jab hamsafar sath ho” aarti ne sahil ki aankhe me dekhte huye kaha fir nazre jhuka li.



Sahil ka dil pyar se bhar gya …kitni badi bat kah di thi aarti ne…sahil ne aarti ko ek bar ifr se gale lagaa liya …



“pagal ho tum …chalo mujhe bhi to result dikhao”



Sahil aur aarti computer ke samne baithe result check kar rhe the……

Aarti ki 860th ALL INDIA RANK THI ….aur usko MBBS milna tay tha …



“tumne kar dikhya aarti …thank you …tumne mere vishwas ka maan rakh liya …” sahil ne pyar se uske najuk gore hath apne hatho me lete huye kaha…


“ kaisi bat kar rhe hai aap…aapko mera upar itna bharosa tha jitna shayad mujhe khud par nhi tha …aapne mere sapne ko pura karne ke liye kya nhi kiya…apne itne tough exam ke sar par rahte aapne mere liye fir se padhai ki…...mere liye notes banaye ...maine to us sapne ke pura hona ka sochana bhi chhod diya tha ...agar aap mere sath na hote to mai zindagi bhar ye nhi kar pati …lekin mai aapko thank you nhi bolungi….kyu ki…..”



“kyu ki???” sahil ne jhuk kar sar jhukaye aarti ki aankho me dekhte huye bola …



“ kuchh nhi ” aarti Sharma gayi…



Batao na “ sahil ab use chhed rha tha …tabhi door bell baji ….



“kyuki mummy aa gayi “ aarti haste huye darwaza kholne bhagi aur sahil bas muskura kar rah gya …



Jahir hai darwaza kholte hi aarti ne mummy papa ko sabkuchh bataa diya tha aur ab mummy use pyar se khud se chipkaye kamre me pahuchi ….aur aaj sahil ki bari thi party mangne ki………….



“ab party to banti hai” sahil ne muskurate huye kahaa..


“haan,haan bhai party jaroor hogi aakhir hamari bitiya rani MBBS jo ban gayi hai ” jeeja pichhe se aate huye bole.”



“lekin aaj party bahar hogi,ghar par nhi …aaj party ham denge …chalo sab log taiyar ho jao” unhone apni bat ko aage badhaya..




“nhi papa..abhi to aap aaye hai ..thake honge ..kal ar lenge ..jane dijiye …” aarti ne kaha..



“ ha beta ,thake to the lekin ab sari thakaan mit gaye ...aapne hamara sar fakr se uchaa kar diya ...i m proud of you ...…chalo ab fatafat taiyar ho jao….aur aaj ki party sahil ke nam…thank u sahil …” jeeja ne sahil ke kandhe par hath rakhte huye kahaa.



“are jiju aap kaisi bat kar rhe hai…maine kuchh nhi kiya …ye to aarti ki himmat aur mehnat ka fal hai “ sahil ko un sabke khile huye chehre dekhkar kafi khusi ho rhi thi ….




“nhi beta,tumhare jeeja thik hi to kah rhe hai …aarti ne mehnat ki hai lekin us mehnat ka vishwas use tumne hi dilaya …ek maa baap ke dil k khusi puri kar di tumne …meri dua hai ki tumhe bhi apna lakshya mile ..zindagi me har khusi mile..….jug jug jiyo” didi ke aankhe bhar aayi itna bolte bolte..



“ oooffho mummy aap bhi na ….chalo sab ready hote hai kahi papa ka mood change na ho jaye “ aarti ne mahol ko badalte huye kaha.



Sham ke lagbhag 4 baj sablog ghar se nikle ..aaj aarti ne ek patiyala suit aur pajama pahna tha …yello blue suit me uska roop nikhar sa gya tha …...usne bahut apne mathe par ek chhoti si bindi bhi lagayi thi aur hatho me red aur green chudiya ..thodi si hi ... aaj bahot dino bat aarti behad khus lag rhi thi …aakhir ho bhi kyu na …uski umeed se jyada mil gya tha use... use bhi pyar ho gya tha aur uska pyar uske pas tha ...kam se kam abhi to tha hi ...




Jeeja aage ke seat par baithe drive kar rhe the ..unke bagal me didi baithi thi aur pichhe ki seat par sahil aur aarti …sahil aarti ko apne itne pass pakar thoda nervous feel kar rha tha …vaise to wo hames hi sath rahte the padhai ke time apr lekin ab bat alag thi ..tab wo dost the ab wo premi the…aaj aarti behad pyari lag rhi thi …na chahte huye bhi sahil ki nazre bar bar aarti ki or uth rhi thi ..kayi bar aarti ne use apni or dekhte paya aur bas muskura kar rah jati …dil me khusi ho rhi thi …hoti bi kyu na aaj uske liye hi to saji sawari thi …aur wo kahte hai na …. “jab tak na pade dilbar ki nazar ,shingar adhura rahta hai” …sahil ki uthati nazre uske chehre par hayaa ki lali bikher rahi thi aur sachmuch uska shingar pura ho rahaa tha .



Raste me jeeja ATM se paise nikalne ke liye utare ..thodi der hone apr didi bhi nikli…sahil aur aarti ko kuchh akele pal mil gaye …



“aap mujhe bar bar aise kyu dekh rhe ho ??” aarti ne sahrmate huye puchha.



“kahaan…nhi to” saf saf mukar gaya paththaa is bar.


“achchha…jyada na jhooth mat bola kijiye …” aarti boli.



Sahil thodi der chup rhaa…fir uske kan ke pas apne hoth lejakar bola “tujhe jee bhar ke dekhu mai , mujhe haq hai “



“bade aaye “ aarti ka sharm se buraa hal tha ..bas itna hi bol payi.

Post Reply