love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 09:09

UPDATE 92-


Juhi kuchh bol nhi rhi thi bas sahil ke chehre ki or dekh rhi thi aur uski aankho se aansu bah rhe the..........sahil ne uske sar se patti hatayi ,pani me dali aur fir uske mathe par rakhne ke liye jaise hi aankhe kholkar dekha to juhi ke aankhe uske chehre ko or hi lagi thi................uski aankho me aansu dekhkar sahil ko samajh me nhi aaya.........



“kya hua..sar dard ho rha hai kya”



Juhi ne kuchh nhi kaha bas ha me sar hila diya....... wo kuchh der aur sahil ko apne pas yuhi dekhna chah rhi thi.......uske hatho ko apne sar par mahsoos karna chah rhi thi...........zindagi me fir y mauka mile na mile.........sahil usske sirhane baith gaya aur dheere dheere uske sar ko sahlane laga...........



Sahil ko apne itane kareeb paa kar juhi ke dil jor se dhadak rha tha aur uska jee chah rha tha ki waqt bas yhi tham sa jaye..........bahut sukoon mil rha tha juhi ke dil ko.........



Juhi ke man me na jane kyu ek dar sa samaa gya tha.............sahil ko khone ka dar..........kya hoga jab kl ko sahil chala jayega,,,,,,,,,,,kaise rahungi mai inke bina “ juhi ka man bahut bechain ho rha tha.............



“maine to sahil se muhabbat kar li lekin sahil .?????????.......wo to mujhse muhabbat nhi karte ........kya karu ki sahil mere ho jayen....sirf mere................”



“mai aapko jane nhi dungi sahil ..........chahe kuchh bhi ho jaye...........” juhi ne apne man me socha aur jhat se aankhe khol di..........aur sahil ka hath apne hatho me lekar choom liya.............



“thank u sahil.....thank u “ sahil juhi ki is harkat se ek dam awaaq rah gya.......lekin bola kuchh nhi............



“Juhi agar dard jyada hai to doctor ko bula du”.juhi ki harkat shayad sahil ko achchhi nhi lagi....aur wo juhi se alag hota hua bola.........




“jee..........nhi m thik hu” juhi ko bhi ahsaas hua ki sahil ko achchha nhi laga .............lekin kya karti wo bhi dil ke hatho majboor jo thi.



“thik hai fir fresh ho jao............ham thodi der me niklenge.............mai driver ko phone kar rha hu..........”



“jee...” ..juhi ne bas itanaa hi kahaa.aur bisatr se uthane lagi............uske pair me thodi soojan ho gyi thi jaha moch aayi thi...dheere dheere chalte huye wo washroom me ghus gayi...............



Karib 1 gahnte bad driver car lekar pahucha.........sahil aur juhi ne breakfast kiya aur ghar ke liye nikal diye..juhi ki tabiyat abhi bhi poori tarah se thik nhi thi..............



sahil juhi ke sath car me baitha tha............



sahil rat me thik se so hi paya tha.........car me baithe baithe hi uski aankh lag gayi..........



thodi der ke bad sahil ka sar ek taraf ko juhk gaya..aur juhi ke kandhe se lag gya..............juhi ko ek anjaani si khusi ka ahsaas ho rha tha...........wo thoda sa sahil ke karib khisak gayi aur uske sar ko apne kandhe par achchhe rakh liya aur pyar se uske sar ko sahla diya..............



sahil ko shayad thodi gahri neend aa gyi thi......aur wo bhi juhi se chipak gya tha...........juhi man hi man msukura rahi thi..........sahil ke hoth achanak juhi ko apne gale se lagte mahsoos huye........juhi ka poora badan jaise sunn ho gya...............use kuchh samjh me nhi aa rha tha ki kya kare..........sahil ke hoth gadi hilane ke sath hi uske gale se chhu ja rhe the aur fir hat jate..............juhi ka poora badan tadap utha jaisa............pahli bar kisi mard ka itna kareebi saprsh tha us najuk si kali ke shareer par..........juhi janti thi ki sahil kabhi bhi janboojhkar aisa nhi kar sakta .........aur wo use jagana nhi chah rhi thi.......use ahsaas tha ki sahil rat me bhi so nhi paya tha.........aur shayad juhi ko ye bura bhi nhi lag rha tha.........



juhi bahut kosis kar rhi thi khud ko sambhalne ki lekin bat uske hath se nikalti ja rhi thi.....achanak shayd koi breaker ya gaddhaa tha road par aur unki car thodi jor se uchhali........... sahil ke honth juhi ke mulayam gore gore gale se chhu gaye..............juhi ke liye to ek pal ko mano sari kayanat hi rook gayi...........sahil ke hoth uske galo se ragad gaye the............



”sahil ke hoth mere galo par....hiii........sahil ne mujhse kiss kiya.............uffffffff.....hii ammiii...” juhi to sharm ke mare dohri ho gayi...usne aankhe band karli........aur usi pal sahil ki aankh khul gayi .........shayad gadi ke tej jhatke ke vajah se .........use bhi pata chal gya ki kya hua aur wo aise chhitak kar door hua jaise kisi bichhu ne dunk mar diya...................



“tum dekhkar gadi nhi chala sakte ...........liscence kisne de diya tumhe.........” apni ki huyi harkat ko chuupne ke liye bechare driver ko jhad diya.......juhi bhi thodi door khisak kar baith gayi aur sharm ke mare gadi se bahar dekhne lagi.............



“sorry ...wo neend lag gayi thi isliye...........” sahil ne dheere se kaha.......



Juhi ko to itani sharm aa rhi thi ki usne sahil ki or dekha bhi nhi ........bahar hi dekhti rahi aur halka halka muskurati bhi rahi.....



poore raste dono ke bich koi bat nhi huyi......sahil se ek do bar juhi ki nazar takarayi aur turant hi dono muh fer lete.......juhi sharm se aur sahil guilty hone ke ahsaas se...........


Lagbhag sham ke 4 baje sahil aur juhi ghar pahcuhe.........sahil ne juhi ko pakad kar andar pahuchaya.......aur fir sabko sari bat batayi.............



“thanx sahil beta........ahsaan rahega tumhara hum par.....”sarfarz khan ne use gale se lagate huye kaha......



“are kaisi bat kar rhe hai uncle.......juhi to meri jimmedari thi........”



“ha beta ..tum par bharosa tha tabhi to bheja tumhare sath...........aur tumne hamara bharosa nhi tutne diya.......tum wakayi bahut achche insaan ho sahil..........”’ sarfarz sahib sahil ke kayal hote ja rhe the......



Thodi der bad sahil apne room me chala aata hai...........aur use juhi ke sath bitaye pal aur juhi ki aankho me apne liye pasandagi ke rang................sabkuchh yad aane lagta hai............



Wo aankhe band kar leta hai..............



“ai mere malik...tu kya chahta hai....?????,..mere pas to jo kuchh tha tune sab le liya ....meri muhabbat mujhse juda ho gyi......... ab plz..is masoom si ladki ko aise sapne mat dikha jo poore nhi ho sakte......juhi bahut masoom hai..........bahut najuk sa dil hai uska......muhabbat ki tadap us se bardasht nhi hogi...........mere sapne chahe to ek bar fir se tod de...............mera jo kuchh bacha hai le le......lekin tujhe teri khudai ka wasta,----juhi ka dil mat todana........ uske dil me kabhi aise khwahish mat panpane dena jo kabhi poori na ho sake............plz...............maine tujhse aaj tak koi shikayat nhi ki...lekin agar meri juhi ka ek bhi sapna toota to ..........zindagi bhar tere dar par nhi aaunga........kabhi bhi nhi...”



Kitna masoom tha sahil ...............use nhi pata tha ki jo sapne dil se jude hote hai uspar kisi ka bas nhi hota ........aur juhi ka dil to ab kisi masoom bachche ki tarah chaand pane ki khwahish karne hi laga tha.........




Kuchh din beet gaye aur juhi aur sahil ek bar fir se apni study me busy ho gaye.bas ek bat thi jo badal gayi thi..ab juhi sahil se sharmati, uski care karti aur uska intzaar karti.........sahil ko dekhne ke liye uska aankhe hamesa lagi hi rahti aur sahil ko ab juhi ki is chahat se dar lagne laga tha...............



Lagbhag one week ho gaye the sahil aur juhi ko wapas aaye lekin aaj bhi sahil ke hotho ki chhuan juhi ko apne galo par jaise mahsoos hoti aur jab bhi aisa hota uska gora mukhda sharm se ekdam gulabi ho jata........



Sahil aur juhi sath sath baithkar padh rhe the........sahil ka phone baj utha..........



Sahil ne phone uthaya aur uthakr bahar jane laga...........juhi ko achcha nhi laga.........



“kiska phone hai...” usne aakhirkar puchh hi diya.......



Sahil thithak gya.......juhi ki or gaur se dekha.......juhi ne nazre jhuka li.........”ek dost ka” usne itna hi kaha aur bahar nikal gya.......RAHUL ka phone tha.........


“kaisa hai yarr” rahul ne chahkate huye puchha....


“thik hu...tu kaisa hai......”


“mai bhi thik hu....pata hai mai bhi delhi aaya hua hu.....karol bagh me hu..........kab mil rha hai bata......????..” rahul bade khus hokar sahil se bat kar rha tha......ek hi to dost tha uska....sahil.



“aata hu kisi din...........aur bata....”



“bas yar sab thik hai..........pata hai mera bhi pre clear ho gya.........sale tune to sare contact hi khatm kar liye.......kitna phone kya maine result wale din par tune phone nhi uthaya,,,,bhool gaya na is dost ko.....” rahul ne shikwa kiya.......us bechare ko bhala kya pata ki kis kis tufan ke thapede sahe the sahil ne pichhle kuchh dino me,..........



“nhi rahul ............tujhe kaise bhool sakta hu mere bhai........bas thoda ulajh sa gaya tha.........khair chhod......... ..aata hu kal ..........kahaa rah rha hai.....?????????” sahil ne puchha.



“mai tujhe address sms kar dunga...........achcha sun yar agr koi WORLD HISTORY ka badhiya note ho to lete aana ........plzz...” rahul ne kaha.....



“ha le aaunga........aur kcuhh” sahil ne kaha..



“waise tu kaha rah rha hai.............didi ke yaha apne.........??” rahul ne kaha



“nhi..........” didi ke ghar ko yad kar k ek bar fir aaj sahil ka gala bhar aaya...........uski aawaz badi dheeme se nikali.....



“sahil kya hua............tabiyat nhi thik hai kya teri.........” rahul ko uski aawaz se laga kuchh gadbad hai....



“nh...wo phone me kuchh kharabi hai....”sahil ne kaha.



“achcha to jab tu rent par hi rah rha hai to fir yhi aajaa......... sath me rahenge.........” rahul ne kaha.



“ dekhta hu.........waise jab bhi tu kahega mai aa jaunga .........kahi bhi rahu.....chal rukunga kuchh din tere pas...” sahil ne juhi ki wajah se aisa kaha..............ab jab juhi ko uski sabse jyada jaroorat thi mains ke exam me, to wo use chhodakr kaise ja sakta tha..........



“wo to mai janta hu meri jaan, ki jab bhi bulaunga tu aa jayega.........abe ek tuhi to hai is poori duniya me jise ye rahul apna kah sakta hai” rahul thoda sa emotional ho gya, jo aamtaur par wo hota nhi tha..........



“chal achcha ..ab dialogbaji band kar aata hu kal.........”sahil ne haste huye kaha...



“chal thik hai yar,,,aana jaroor ..bye..”



“bye” sahil ne kaha aur andar ki or muda............juhi jo darwaje ke pichhe khadi sab bate sun rahi thi jaldi se andar ki or bhagi.........uska sun na jaroori jot ha........... aakhir use bhi to pata chale ki uske “ye:”” bat kis se kar rhe the............



Sahil ne usko duadate dekh liya aur sabkuchh samjh gaya.....ek halki si muskan uske hotho par fail gayi...........dono fir se sath padhne lage...mano kuchh hua hi na ho.............



Rat ke 9 baj gaye the...........Jab sahil juhi ko padha kar uthane laga..to bola...


“juhi kal mai kahi jaunga.......”sahil ki bat adhoori hi rah gayi.........



“ rukna mat wha.... “ juhi tapak se bich me hi bol padi............. .....aur fir apne ungali danto se dabaa li.........apni galti usne khud hi sahil ko bata di ki wo sab kuchh sun chuki hai............sahil uski masoomiyat par ek bar fir se muskura utha........




“dusro ke baten chhup kar sun na bahut galat baat hai....” usne juhi ki or dekh kar kaha.,



“par doosro ki baten na....apno ki to nhi......” juhi fir jhat se boli..aur sahil ko koi jawab nhi sujha........juhi ke liye to sahil ab uska apna tha...........



“padhai karti rahni ......bye...” usne kaha aur bahar nikal gaya........



Sahil Rahul se mila to uski aankhe bheeg gayi.......rahul uske liye bhai se bhadkar tha...lekin waqt ki tej rafter me shayad kahi pichhe chhut ta ja rha tha.............lekin rahul aisa dost nhi tha...........wo to sahil par jaan dene wala dost tha.....sahil ka ek khas mukam tha uski zindagi me ...sahil ne jo uske liye kiya tha rahul use kabhi bhool nhi pata tha.....




“sahil ab tu bahut udas rahne laga hai........koi bat hai kya mere bhai” sahil aur rahul dono padh rhe the jab rahul ne us se puchha ....



uske puchhne ki ek khas wajah thi....jo notes sahil ne se diye the usme kayi pages par kuchh-kuchh likha tha..............jaise....... “ I will not forgive u, kabhi maaf nhi karunga tumhe – BEWAFA...” aur bhi kuchh ...........aur jo kal ka news paper sahil ne padha tha usme isi tarah ka kuchh likha tha............un history notes ke back pages par bhi ...............



“nhi yar aise hi..........” sahil ne talna chaha......



“sahil ,,tu mujhse chuppana chahata hai......?” rahul ko jaise bahut dukh hua is bat ka...........



“nhi yar...bataunga tujhe bas abhi nhi...mains exam hai na...pahle ise de lete hai...........bas itna jan le ki kisi ki- BEWAFAI - yad aa jati hai tabhi ye lines likhta hu...........” sahil ke chehre par ek dard ki lakeer ubhar aayi...........



“sahil,idhar dekh meri aankho me...kaun hai wo....bata mujhe kaun hai wo.......tu janta hai na mujhe.........tu to sab janta hai,,,,bas bata de kaun ho wo kamini........” rahul ka chehra gusse se bhabhak utha.......




“nhi rahul !!!!! Plz...kuchh mat kahna use.....plz...aur ek wada kar ..tu kabhi nhi puchhega mujhse.........wada kar” sahil ne use kuchh bhi kahne se rok diya.......



“yar aaj tak teri koi bat taali hai maine....,,.........,ja kiya wada..........nhi puchhunga.........waise bhi us badnaseeb ke bare me kya karungaa jan ke jise tujh jaise heere ki kadr nhi pata.......nhi puchhunga.,......bas agr kisi din meri jaroorat pad jaye to ek bar aawaz dena.........jaan de dunga tere liye........tu to janta hai na ki rahul tere liye kuchh bhi kar sakta hai kuchh bhi.........” rahul ne use gale se lagaa liya......



“haa mere yar..........janta hu mai.........thanx yar tu aa gya... ... bahhut akela pad gya that tera bhai..........”sahil bhi jor se uske gale se lag gaya.........



“saale ek bar bol nhi sakta tha......tere liye sabkuchh chhodkar aa jata mai........” rahul ne kaha...



“mujhe pata tha tu jaroor aayega...........” sahil ne kaha ur uski aankh bhar aayi.




******************************************************************************



Aaj sahil ko gaye teen din beet gaye the aur juhi ko ye teen din jaise salo ke barabar lag rhe the............na uska padhne me man lag rha tha na kuchh karne me...............wo room me idhar udhar tahal rhi thi.............hath me book thi lekin nak par gussa bhi bahut tha..............




“jane kya samjhte hai khud ko.........bola tha ki rookna mat ........lekin meri sunta kaun hai.....kise fikar hai meri....mat aayen...... ...mar thode hi jaungi...........” wo badbada rhi thi aur bar bar darwaje ki taraf dekh rhi thi.............




“mai bhi pagal hu........ kyu itana paresan hu......nhi aate hai to mat aaye ...mujhe kya.......aane do is baar bat nhi karungi....” juhi ne kaha aur darwaje ki or dekha.....sahil darwaje par ek hath rakhe khadaa muskura rha tha...............juhi to mano sharm se gad gayi..........



“uff khuadaya.... suna hoga to kya socheneg...........kuchh bhi soche.....huuuuunnn.....muskurate bhi aise hai jaise mujh par ahsaan kar rhe hai........” usne kaha aur book me aise dekhne lagi jaise sahil ke aane ka pata hi na ho.



Sahil ko uski har masoom ada par hasi aati thi.....adaye bhi aisi ki koi chhoti si bachchi ho.....wo muskurata hua room ke andar aa gya............



“kaisi ho juhi............?” usne andar aakar thodi doori par khade hote huye bade pyaar se puchha.......



“nhi bolungi” juhi ne man me scoha aur books me dekhti rahi....jabardast ignore mar rhi thi wo masoom si pari...........aur gusse ke mare ekdam shoal lag rhi thi.........




Sahil ka hasi ke mare bura hal tha...lekin use pata tha ki agar galti se bhi has diya to ye “shole” phat padenge.......wo dheere se aage badha aur juhi ki najuhk si kalayi tham li...................



Juhi ki to mano jaan hi nikal gayiiiiiiii...........

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 09:10

UPDATE 93-


Juhi ne sar uthakar sahil ki or dekha par kuchh boli nhi aur apne dusre hath me pakdi book ko bed par fenk kar apna hath chhudane lagi..............

Sahil ko thoda sa maja aa rha tha use tang karne me to usne hath nhi chhoda...............juhi poori kosis kar ke thak gayi aur ruansi hote huye boli..........



“chhodiye hamara hath.............”



“achchha aur agar na chhodu to ........” sahil ko sach me majaa aa rha tha use tang karne me.........


“to...to..to hum chillayenge ...........” juhi ne badi masoomiya se kaha.



“achchhaaaaa.....aur chilla kar kya kahogi,.........” sahil ne muskurate huye kaha.......



“kahenge ki...kiiii...ki............” aur juhi chup ho gayi........use samajh me nhi aaya ki kya bole. Sahil ko fir se hansi aa gyi......



“naraz ho mujhse...........”sahil ne is bar bade pyar se puchha............



Juhi ne nazre jhuka li.......kuchh nhi boli.......sahil ne apne hath se uski thodhi pakadkar uska chehra upar kiya.............



“bolo na naraz ho ??????............”



Juhi ne is bar haa me sar hila diya................




“achchha sorry.......” sahil ne uska hath chhoda aur uske samne ek ghutne ko moadkar jameen se lagate huye apne hatho se kan pakada liya aur muskurate huye uski neeli,khoobsoorat aankho me dekhne lgaa........




Juhi ko bahut ppyar aa rha tha sahil pe....uske dil me aaya ki abhi uske gale se lipat jaye.lekin wo aisa nhi kar sakti thi....itana haq shayad use nhi tha abhi...........




Juhi ne aage badhkar uska hath uske kano se hata diya....aur naa me sar hilaya...ki aise mat kiya karo............



“itane hi dino me hi gungi ho gayi kya........” sahil ne fir se jala diya use ..aur is bar juhi fat padi.........



“ha mai gungi hu....pagal hu...befkaaof hu.............aap to bahut sayane ho...........itane din gaye ho gye the..........ek bar phone tak nhi kiya...........aur jab maine kiya to uthaye bhi nhi........aur fir puchhte hai naraz ho???.. are naraz to houngi hi na...” juhi aise daant rhi thi jaise koi bivi apne shauhar ko dant ti hai...........sahil ke chehre par ek bhav aaya lekin sirf chand lamho ke liye kyuki fir usne khud ko sambhal liya...................




“sorry bola na ....achcha chhodo in baton ko.......chalo taiyar raho ..mai abhi aata hu fir padhenege dono............” sahil ab sulah karne ke modd me tha ,lekin juhi ka abhi aisa koi irada nhi lag rha tha...............




“mujhe nhi padhana” usne fir se muh bichkate huye kaha.....




“padhana to padega na babu...........” achcanak sahil ke muh se nikal gayaa............juhi ka to mano din ban gaya.........kitne pyar se sahil ne use ‘ babu’ kaha tha...........kitna apna pan tha us lahje me........uska sara gussa kisi jhag ki tarah baith gya...........whi sahil ko apni galti ka ahsaas hua........



“ab aap nhi jaoge na........” juhi ne puchha........sahil ke pyar se uski narazgi to khatm ho gyi thi lekin ab use guarantee chahiye thi ki ye galti dobara nhi hogi............




“yar wo akela hai delhi me ............dost hai mera” sahil ne kaha........




“to aap use yhi bula lena......mai kuchh nhi janti..........” juhi thode se jid karne wale lahje me boli..........



“juhi ek din to jana hi hai na.................” sahil ne kaha aur bahar nkal gya.



Juhi whi khadi use jate dekhti rahi.............. “main hi jane dungi sahil aapko.......chahe kuchh bhi ho jaye.....kuchh bhi........dekh lena aap........” usne dabdabayi aankho se kaha.




Sahil apne room me aate hi bistar par pad gaya..............juhi ke bare me sochne laga.........Use kuchh to andaza ho hi gaya tha ki juhi ke man me uske liye pyar ke jazbat hai ...aur wo apne kadam pichhe khichna chah rah tha......koi bhi aisa kam nhi karna chah rha tha jis se juhi ko koi galat signal mile...lekin har bar uske sachche dil aur uski masoomiyat se maat kha jata tha..................koi banawat nhi thi juhi ke dil me....koi paap nhiii.




“kya karu is masoom ka......kaise samjhau ise...........”sahil juhi ke bare me soch soch kar paresan ho rha tha......use juhi ki chahat se sachmuch dar lagne lagaa tha...........




Dheere dheere fir sabkuchh pahle jaise chalne lgaa ...........sahil rahul se milne jata tha par jyada rukta nhi tha........juhi bhi dil lagakr padhai kar rhi thi.........din rat padhne me pata nhi chalta ............aur bahut teji se din beetene lage.................




December ka mahina suru ho chukka tha aur joro ki thand padni suru ho gayi thi....................Mains ka exam ho chukka tha aur ab feb ke end tak result aana tha...........sahil ke papaers achchhe huye the lekin UPSC aur civil services ki anischitata se sabhi wakif the .......to koi kah nhi sakta tha ki mera jaroor ho hi jayega..........




Sahil ne ek do bar is bich ghar par phone kiya a.............mummy papa se bat ki.......aur kabhi kabhi renu ka phone bhi aa jata.......lekin na to kabhi uske bhai ne phone kiya na didi ne ...........aur na kabhi us “ BEWAFA” ne ................lagbahg 2 sal ho gaye the sahil ko didi ke yha gaye aur un logo se bat kiye.............use lagta hi nhi tha ki koi uska apna bhi hai delhi me............





Sahil ab bhi uski yado me rota tha lekin ab itana to sambhal gaya tha ki wo aansu band kamre me nikalte the...............



Agar koi delhi me sahil ka apna tha to wo thi wo masoom si pari.............. ***JUHI***




Juhi ab thodi udas rahti thi..........wo jitna sahil ke dil ke pas hona chahti sahil utna hi us se door bhagta..........use lagne laga tha ki uski muhabbat dam todati jaa rhi thi..............




kahne ko to sab kahte hai ki chahe muhabbat mile na mile........lekin muhabbat nhi marti ........shayad ye sach bhi hai .lekin ek sach ye bhi hai ki na-umeedi ka daman jyade der thamna aasan nhi hota......... juhi ko dil ab dheere dheere tutne laga tha.........uski muhbbat uske dil me ghut ghut kar mar rhi thi........lekin juhi ne har nhi mani thi...........





“sahil aap sirf mere ho ...........aur mai itani aasani se apni kisi chij ko nhi chhodati........” usne apne man me than liya tha ki ek aakhiri kosis wo jaroor karegi aur sahil ke samne apna dil kholkar rakh degi...............use apni muhabbat ka yakeen dilayegi aur use jane nhi degi................




Lekin sab kcuhh hone ke bad bhi wo himmat nhi juta paa rhi thi.................




Din beet te rahe.......sahil roj UPSC ki site check karta......juhi nahi karti............use ab IAS ban ne ki shayd itani khusi nhi thi jitna is bat ka dar tha ki......... “ sahil mujhe chhodakar chale jayenge” aur uska man bahut udas ho jata..........




Aur fir ek din result aa gya...............CS(MAINS) QULAIFIED-201*......upsc ki site par red color me chamak rha tha...............ghar par aaj sirf juhi aur sahil the ............juhi kucchh padh rhi thi jab sahil ne site kholi aur jaise hi dekha......jor se chillaya......



“juhi aa gya...........result aa gya”




“sach?” juhi bhi bhagkar sahil ke pas pahuchi.sahil ne page download kiya aur juhi thik uske piche chair par tek lagaye uske pichhe se jhuki thi.....dono ka dil joro se dhadak rha tha...........sahil ne ek pal ko apne aankhe band ki...juhi ne bhi............



Dono ne ek dusre ke liye dua mangi................




“Mera sapna chahe toot jaye bhagwan..par juhi ka dil mat toadana.......plzzzzz”




“aye mere khuda.........mere sahil ka sapna poora kar dena..mera kya hai....jee lungi”




Sahil ne roll no dala.pahle juhi ka fir apna .....dono ki dua kubool ho gayi thi...............




“Sahillllllll” juhi mare khusi ke uchhal padi..............




Ek pal ko sabkuchh bhool gya sahil...wo chair se utha aur juhi ko apne baho me jakad kar hawa me utha liya aur teji se ghumane laga..............




“juhi ...i m sooooooo happyyyyyy...tumne kar dikahya..............thank u juhi......thank u......”sahil behad khus tha aur use khus dekhakr juhi bhi ..sahil ke seene se lage use sharm bhi aa rhi thi aur pyar bhi bahut aa rha tha...............




Sahil ne use niche utara aur uske galo ko jor se choom liya.................
“I m so happy juhi........ummmmmmuuaaaaa” sahil ne uske dono galo ko choom liya........




Juhi to mare sharm ke pani pani ho gayi jaise............lekin use pata tha ki sahil khusi me ye kar rha hai............usne sahil ko jara bhi ahsaas nhi hone diya ki usne kuchh kiya hai............lekin ek bar uska dil fir se bahut jor dhadka tha.........kashhhhhhhhhhhh..




“mai bhi bahut khus hu sahil....thank u....... .thank u so much...........”




“chalo baba ko phone karte hai.............”sahil schmuch bahut khus tha use khud bhi pata nhi tha ki usne kya kiya..........




Fir thodi der bad khan baba ur sarfaraz sahb bhi aa gaye..........wo dono bhi behad khus the.............khan baba ne juhi ko apne baho me bhar liya..........unki aankho me aansu aa gye the........khusi ke aansu....



Sahil ko rahul ka phone aaya........... usne bhi INTERVIEW ke liye qualify kar liya tha..................ab bas ek aakhiri padav rah gya tha.............INTERVIEW.




Kuchh dino bad intervie ki dates aa gayi..............sahil ka interview pahle tha ............fir rahul ka aur fir juhi ka............sahil kyoki ek bar interview de chukka tha isliye use thoda bahut pata tha............usne jo kuchh bhi use pata tha wo sabkuchh juhi aur rahul ko samjhaya................





Kahte hai interview me 90% luck hota hai aur 10% knowledge...........shayad ye sach bhi ho...to ab sahil ko kismet aajmana tha.........wo kismet jisne ab tak sirf use dhokha diya tha........lekin ab uski zindagi me kuchh badal tha.........uski zindagi me juhi thi .............ek dost tha..........aur ek vishwas tha..........




Aaj sahil ka interview tha aur aaj sahil behad udas tha ...........sarfarz sahib khud use apni car me lekar aana chahte the lekin sahil ne mana kar diya........par juhi nhi mani aur wo bhi uske sath aayi thi.lagbhag 7 din bad uska apna interview tha..............




Auto me baithe baithe sahil ko aaj bahut kuchh yad aa rha tha......use aarti yad aa rhi thi...........aise hi ek din wo bhi aayi thi ..............ek aansu uski aankh se bah gya ..........juhi ki najro se na wo aansu bach saka aur na sahil ka dard........usne sahil ka hath apne ek hath me liya aur apne dusre hath se uska aansu saf kar diya............sahil ne dheer se apna sar uske kandhe par rakh diya...........jaha duniya bhar ka sukoon tha..........bharosa tha............





Sahil UPSC ke gate se entry karne ke liye taiyar tha.........juhi ne dheere se uska hath pakda..........





“sahil, mai tumhe kabhi akela nhi chhodugi.....chahe kuchh bhi ho jaye.....tumhari kasam !!!!!!!! ........pure confidence se interview dena............mai hamesa tumhare sath hu..........ALL THE BEST.”




Sahil ki nazro ne uska shukriya ada kiya aur wo andar chal diya.........juhi ke un sabdo ne jadu ka sa asar kiya tha,,....sahil ka man aatm-vishwas se bhar gya ............




Sahil ka interview ho gya tha aur wo juhi ke sath wapas ghar aa gya......interview achcha hua tha......





Juhi aur rahul ka interview bhi khatm ho chuka tha..............unke interview bhi thik huye the........aur ab bas intzaar tha final result ka.................




Sahil ko ab apna yha rahna thik nhi lag rha tha...........aur ek din usne ye bat kah di............ sare log sath me hi baithe huye the........juhi bhi............




“khan baba , ab mai sochta hu ki mujhe chalna chahiye.......” juhi ka dil dhakk se rah gya........




“kaha sahil beta.........” baba ne bade lagav se puchha...




“jee mera matlab, hamesa ke liye ....ab kahi aur rahna chahta hu..........aur ab to juhi ki padhai bhi ho gyai hai...............to ab yha rahna thik nhi lagta...........” sahikll ne saf saf apni bat kah di.......





Juhi ki aankhe bhar aayi thi.... usne sabse chhup kar sahil ki or dekha......un khoobsoorat aankho me aansuo ke moti chamak rahe the aur ek sawal tha sahil ke liye........




” mujhe chhodakar???????????”




Sahil jayda der tak uski nazro ka samnaa nhi kar saka aur ankhe fer li...........




“sahil.......tumhe yha koi dikkat hai beta.........kaun sa ham tum par ahssan karte hai.....kiraya dete ho tum.........yhi raho beta ...........dil laga rahta hai tumhare rahne se...........koi dikat ho to batao............”




“jee...nhi baba koi dikkat nhi hai.........bas ab soch rha hu ki.........” sahil kuchh bol bhi nhi paya.tabhi sarfarz khan bich m bole........




“sahil kahi na jaoge tum.....yar itane din se sath ho.....ek dam sage bête ki tarah lagte ho........kaise jane de tumhe..........aur vaise bhi kuchh din me to chale hi jaoge...jab IAS ban jaoge.........”




“jee uncle......par kya pata?” sahil ne sar jhukaye jhukaye kaha...




Juhi ne pyar se apne baap ko dekha aur dil me hi unka shukriya ada kiya..........sahil ko rok liya tha unhone ............kuchh din ke liye hi sahi...........lekin juhi ke dil me apne abbu ki wo bat baith gayi..........




” kuchh din me to chale hi jaoge..........” wo uski aankhe dabdaba gayi aur wo uthakar andar chali gayi...........



Aaine ke samne khadi jhui ne apne aansu saf kiye aur ek bar fir se boli............



“mai tumhe nahi jane dungi sahil ..................chahe kuchh bhi ho jaye.”

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 09:10

UPDATE 94-


Sahil ke dil ka dard ab dheere dheere nafarat ka rang leta ja rha tha...........use nafart ho gayi thi sabse ....is matlabi jahaan se .........lekin fir dil me khyala aata ki isi jahaan me to juhi jaise aur khan baba jaise log bhi hai............kaise nafart kar sakta hai koi use se.........sochana bhi shayad paap hai.........aur sahil ke liye to jo juhi ne kiya tha, wo to apni jaan dekar bhi shayad uska ahsaan nhi chuka sakta tha.............


Lekin apno se nafarat ho gayi thi sahil ko.....shadeed nafarat.............


Final result ke liye ab din gine ja rhe the kisi din bhi aa sakta tha...................


(ek bat aap sab ko bata du dosto.....jayadatar logo ko pata hoga....jab bhi koi final result aata hai to har candidate ka poora nam mention hota hai.....jabki baki result me sirf roll number...to jo bhi result dekhta hai use pata chal jata hai..........)



Pta nhi rumaors thi ya sachchai par news fail gayi thi ki aaj IAS ka result aane wala tha.............




Sham ke 7 baj rhe the.....juhi aur sahil uske room me baithe idhar udhar ki baten kar rhe the.............juhi jyada se jayad time sahil ke sath rahna chahti thi.....juhi ka sath achcha to sahil ko bhi lagta tha...........juhi ne soch liya tha ki esult aane ke bad wo sahil ko apne dil ki bat saf saf bata degi.....aur use yakeen dilayegi ki uski muhabbat sachchi hai.........




Juhi ke phone ki ghanti baji,.....................usne phone nhi uthaya....tabhi sahil ka phone bhi ghanaghan utha........ usne bhi apna phone nhi uthaya............sahil ne juhi ki aankho me dekha..........juhi turant samjh gayi..............dono ne jaldi se apane phone switch off kar diya.....aur teji se computer ki or lapke..............jahir tha ki logo ko result aane ka pata chala hoga aur fir se whi taane shayad sun ne ko mile jo pichhle bar mile the nakam hone par...............


Sahil ka dil jor jor se dhadak rha tha........usne upsc ki site kholi .......aur result aa chukka tha.............




“ CIVIL SERVICES (FINAL) RESULT-201* ”


Sahil ne juhi ki or dekha.....sahil ki aankho me ek dar tha.......haar ka dar.........juhi ne uske kandhe par dheere se hath rakh diya.........




“mai hamesa tumhare sath hu sahil.........hamesa.....” juhi ne kaha.uski aankho me itana pyar tha ki sahil ka gala bhar aaya.............sahil ne juhi ka hath apno hatho me liya aur result par click kar diya..................



PDF download ho chuki thi aur sahil ne teji se end ka button daba diya............page ekdam niche pahucha gya aur dheere dheere sahil upar badhne laga..............






RANK ROLL NO NAME


1126 00321 SAILJA
1127 05632 RESHAM SHARMA
1128 - 67341 PANKAJ SINGH





Jaise jaise sahil upar badh rha tha higher rank ke students ka nam aata ja rha tha..............


List 200 tak pahuch gayi thi lekin na to sahil ka, na rahul ka aur na hi juhi ka ...kisi ka bhi nam nhi aaya tha...........sahil ka dil baithta ja rha tha..........





“juhi agar mera nhi hua to tum bhi mujhse dosti tod logi..............tum bhi mujhe akela chood dogi...........” sahil ke dil me sari purani baten ghoom rhi thi.............usne computer ka mouse chhod diya aur juhi ki taraf dekhakr bola..............




“ sahil??????.......juhi tadap si gayi uski is bat par.........aur aaj teesri bar uske dil se aarti ke liye badddua nikli......... .”bewafa,tujhe kabhi muhaabt naseeb na ho...........” usne apne dil me kaha.




“bolo na juhi “ sahil uski aankho me dekhte huye bola........juhi ki aankhe bhar aayi sahil ke chehre ka dard aur masoomiyat dekhkar..........




kitni bar ye yakeen dila chuki thi juhi............lekin sahil ke dil ka zakhm itna gahra tha ki use aitabbar nhi aata tha........aarti ne bhi to kitni bar yhi kaha tha ...lekin kya kiya usne............




“mai aapko kabhi nhi chhodungi sahil........chahe kuchh bhi ho jaye ...” juhi ne kaha aur apne hath mouse par rakh diye........



Juhi ab dheere dheere mouse scroll kar rhi thi aur sahil chuchap screen par najre lagaye the.....wo shayad har man chukka tha...uski aankhe to us screen par thi lekin uska dhyan wha nhi tha..........




“RAHUL SHARMA” juhi ki nazar is nam par rook gayi.....




RANK 195--- JUHI ne nam padha fir pas me rakhe paper jisme teeno ke roll ne tha, Us se roll no milaya...........wahi roll number tha................



“sahill..sahil” juhi ne sahil ka kandha hilaya.sahil ne aankhe khol di........



“haa,” aur jaise hi screen par nazar padi...........



“ho gya rahul ka........????..” sahil ke chehre par chamak aa gyi ...........



Juhi ne haa me sar hilaya aur fir chuchap aage dekhne lagi...........



Sahil ne juhi ka hath fir se apane hath me le liya jaise ki mano dar rha ho...............



Aur fir ............



“RANK -167, JUHI KHAN”


sahil ka chehra khil utha....kuchh pal ko use sabkuchh bhool gya..........juhi ke chehre par bhi ek chamak thi...............sahil ne juhi ko gale laga liya..............





“tumne kar dikhaya juhi...........mujhe pata tha..........bahut fakr ho rha hai aaj tum par..........vaise tum par fakr hone ke liye is result ki jaroorat nhi hai............tum ek pari ho..........” sahil ki bat se juhi ka dil jhoom rha tha ....use khusi bhi ho rhi thi ki usne apne baba ka sapna poora kar diya ............lekin uska dhyan abhi bhi sahil ke result par hi tha..........use pata tha ki sahil na aata to shayad wo bhi apna sapna poora na kar pati...........sahil ke aane se use bahut bada sahar mila tha......itane apne pan se sahil use padhata tha ki use sabkuchh aasan lagta......aur aaj result bhi usi ka fal tha..........




“aye khuda ..........bass ab mere sahil ka nam bhi dikha de...........”juhi ne dil me ek aarzoo ki.......




Juhi sahil se alag huyi aur ek bar fir se screen pe nazre jamma di..................




har gujarte nam ke sath sahil ka dil toot ta ja rha tha ........jab rank 50 tak pahuch gayi to sahil ki aankh se ek aansu nikal kar juhi ke hath par gir pada aur wo uthkar jane laga......JUHI ne jhat se uska hath tham liya ........aur na me sar hilakar use baithne ko bola......sahil ko bharosa to nhi tha ki uski rank 50 ke above bhi kabhi hogi...lekin juhi ki aankho me aansu dekhkar wo baith gaya wapas..........




juhi ne ek aakhiri umeed ke sath niche ko scroll kiya aur screen par nazar dali............



“RANK-38. SAHIL SINGH”



juhi ki nazar us nam par jakar chipak si gayi.........sahil bhi ektak dekh rha tha.............ROLL NO par ek nazar dali ...same.....!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!...............juhi ne sahil ki aankho me dekha..........aur sahil ki aankho se jhar jhar aansu bahne lage...............usne jor se juhi ko apni baho me bhar liya aur buri tarah se tadap kar rone laga.................



Juhi bhi ro rhi thi ..........sahil uski god me sar chhupaye buri tarah se ro rha tha................aaj use sab kuchh yad aa rha tha.............sabkuchh.




Sahil ko apni padhai ka sangharsh, college cycle se jana (jabki ghar par bike thi) , papa ka karj lekar uski fees dena ....aur coaching ke liye papa ka jameen bechana aur mummy ka apne gahne girvi rakhna............dheeraj ka use paiso ke liye saf mana karna..........aarti ke liye bachpan se uska pyar......bachpan me uske liye sabse ladna, ........ apne hisse ki cheeje uske liye chhupa kar rakhna ........., apne peeth par use ghumana...........nadi par uske sath ghumne jana.......wo kheto me ghumna.........ladna-jhagdanaa.........roothan-manana.....fir uski dosti............uska pyar........aur uski bewafayi..........akele dilli ki jhopad patti me gujari wo kali raten.........ro ro kar akele aarti ko bulana..use mafi mangna ..........us galti ki jo usne kabh ki hi nhi..........aarti ki yad me bhukhe-pyaase din rat tadapna....... ...aur sabse jyada yad aa rha tha use aarti ka kahna “ sabko jalan ho rhi hai mujhse”...........sabkuchh yad aa rha tha.......sahil apne pair mode huye juhi ki god me kisi bachche ki tarah dubaka hua jar jar ro rha tha........




“thank you juhi ....thank u juhi...................thank u.....”usne sar uthakr juhi ki or dekha aur bas yhi bolta rha .........aur ek bar fir se sar uski god me chhupakar rone laga.......




Sahil kitni buri tarah se hurt hua tha iska andaza tha juhi ko aur aaj uska sara dard aansuo ki shakl lekar bahar aa rha tha..........juhi ne use rone diya aur khud bhi roti rahi........




sahil ka role uski zindagi me bahaot bada tha ......bhale hi usne sahil ke liye bahut kiya lekin sahil ke aane ke bad se uski zindagi ka ek khalipan khatm ho gya tha...........juhi ko ahsaas tha ki sahil na hota to shayd wo itni mehnat na kar pati aur na hi is teen stage wale, INDIA me sabse tough kahe jane wale is exam ke liye itna lamba patience rakh pati...............sahil ne use anguli pakadkar chalaya tha is raste par............aur ab wo use khona nhi chahti thi....




Juhi ko sab soch soch kar sahil par bahot pyar aa rha tha..........usne juk kar sahil ke sar ko choom liya..........




“chup ho jao sona.......plz..............” juhi ko ab sahil ka rona bardasht nhi ho rha tha..........kitna roya hai sahil , kitni tadap hai uske dil me..............juhi ka man sahil ke liye tadap rha tha...........




“juhi mai mar jata tum nhi milti to.............mai marne wala tha juhi...........” sahil ne ek bar phir se sar uthakar bas itna hi kaha.........uska poora chehra aansuo se bhiga hua tha.........




“mai aapko kaise marne deti sahil...........plz aisi baten mat karen...........plzzzzzzzz.....mai aapko kabhi kuchh nhi hone dungi......”” juhi ne sahil ke mathe ko choom liya aur use apne seene se laga liya...........juhi bhi buri tarah se rone lagi .



Sahil ko aaj apno ki kami bahut khal rhi thi..........apne mummy papa k kami...............jab bhi sahil rota tha use maa bahut yad aati .......ghar par hota to kabhi ek aansu nhi nikalta......maa kabhi uski aankh me ek aansu dekh leti to pure ghar me bawal ho jata aur jo bhi uska jimmedar hota uski khair nhi........unka sabse ladla tha sahil............ dilli aane ke bad jaise aansu uske naseeb ban gaye the.................kisi ko parwah nhi thi sahil ke aansuo ki............jiske liye aaya tha, jiske bahrose aaya tha...sabne chhod diya tha..........




Sahil aaj sachmuch bahut jyada dard me tha........har dard aaj ek aansu ki shakl lekar bah rha tha..............juhi ke kahne ke bawjood ,lakho kosiso ke bawajood uske aansu nhi rook rhe the,,,,,,,..seedhiyo par kisi ke aane ki aawaz huyi ...........





“sahil.........plz.........chup ho jaiye sahil,,,,,,,,,baba aa rhe hain ” juhi ne uske balo me hath pheret huye kaha.......




Sahil ne muskil se apne aansuo ko roka aur juhi ki aankhio me dekhne laga.......juhi ne jaldi se apne duppate se uska chehra saf kiya ............aur thodi door hatkar baith gayi .....sahil ki aankhe lal ho gayi thi............




Baba jaise hi andar aaye juhi daudati huyi unke seene se lag gayi..............




“mera ho gay baba, sahil ka bhi..............” juhi ne bas itna kaha...khan baba ne uski peshani choom li.............




“meri beti.........khus raho ...allah tumhe jamane bhar ki khusi de,........tumhe nhi pata tumne is budhe ko kitani badi khusi di hai...........jeeti raho....”khan baba ki bhi aankhe nam ho gyi........



Sahil bhi uthkar aage badha....khan baba ne use bhi gale se laga liya......ek taraf juhi ek taraf sahilll......




“jeete raho mere bachcho............aaj bahut dino bad is “KHAN VILA” me khusi aayi hai...........” khan baba ne mano elan kiya ho....



Sarfarz sahib bhi anadar pahuche.........



“abbu “juhi daudkar unke gale se lag gayi..........



“sarfarz mere dono bachcho ne kar dikhaya........dono pass ho gaye” khan baba ne unke aate hi kaha..........




“mujhe poora bharosa tha in dono ki mehanat par......i m proud of u beta..........” sarfaraz sahab ki aankhe khusi se chamak rhi thi...........



Thodi der ke bad khan baba aur sarfarz niche chale gaye aur sham ke liye ek chhoti si party ki palnning hone lagi............ aarti bhi unke sath niche chali gayi.sahil akela rah gya room me........




Sahil ne apna phone switch on kiya.......56 missed call thi..........wah ri duniya .......aaj tak jis sakhs ko koi puchhne wala nhi tha usko 2 ghante me 56 phone aaye the.............sahil ke chehre par fir se ek dard ubhar aaya..............kuchh jan pahchan wale the aur bahut sare unknown numbers se call the..............




Aaj sahil ko wo din yad aa rha tha jab uska do sal pahle interview ka result aaya tha aur uska nahi hua tha..........kitni naseehaten di thi sabne use...



“bank ki taiyari karo, tumse nhi hoga............

“are isme bahut ghoos chalta hai....

“are college top karna aur bat hai ..IAS ban na aur.........

“kaha tum iske chakkar me pad gaye ....koi chhoti moti naukri kar lete..........





Ek sakhs ne phone karke nhi kaha ki koi bat nhi sahil phir se karna........aur to aur uske apne bhai ne use chhod diya..............sahil har iljaam apne seene par chup chap sajata chala gya..........aur aaj ?????????..............ek bar phir se sahil ki aankhe nam ho gyi...tabhi juhi ne uske kandhe par hath rakha............aur naa me sar hila diya......sahil ne jabardasti muskurane ki kosis ki.........



“mummy papa ko bataya????” juhi ne bade pyar se puchha...........



Sahil ne naa me sar hilaya...........



“sahil?........chlo abhi phone karo..........” juhi ne bade hak se kaha...........sahil ko bahut achcha laga...........



“mummy mai sahil...........” sahil ne phone kiya..........


“kaise hai mera beta........bahut dino bad maa ki yad aayi...........tu bhi bhool gaya kya sahil ??” sahil ko sach much is bar kafi time ho gya tha phone kiye........



“mummy, tumhara beta IAS ban gya mummy.....”sahil ne kaha aur lakh kosis ke bawjood uski aankho se aansu nikal gaye.........




“mera bachcha,jug jug jiyo mere lala.....bhagwan ne ham bhudho ki sun li.......teri tapsya safal ho gyi mere laal........bahut dukh uthaye tune apne sapne ke liye ....mera dil kahta tha tera ho jayega.........mai aaj bahut khus hu.........meri umar lag jaye mere bête ko......” sahil ki mummy bhi ro rhi thi




Sahil ke papa ghar par nhi the..........sahil bahut bahvuk ho gya tha.........usne jyada bat nhi ki aur fir phone karne ko bolkar phone rakh diya.............



Sahil ne phone rakha hi tha ki RAHUL ka phone aane laga.........sahil ne phone receive kiya.........




“sahil , mubarak ho dost.........ham jeet gaye sahil.......mere bhai , mai bhi kuchh ban gya yar..........tera rahul bhi kisi layak ho gya mere yaar....”rahul ki aawaz bahut bheegi huyi lag rhi thi........




“tujhe bhi Mubarak ho meri jan..........haa mere yar ham jeet gaye,.......”sahil ki aankhe bhi nam ho gyi...............




“sahil,tu to meri maa bhi ,behan bhi, bhai bhi........aaj teri vajah se mai kuchh ban gya yar...thanx yar.” rahul jo bahut hi majobot hua karta tha aaj ro rha tha........emotion jaise aaj sare darwaje tod kar bah nikle the...........




“maine kya kiya rahul.......sab teri mehant hai mere yar.....plz tu to mat ro ...plz” sahil ne badi muskil se kaha.




“sab janta hai tu............aur hai hi kaun mera..........thanku sahil...”



Thodi der bat karke sahil ne phone rakh diya.......kal subah rahul se milne ja rha tha........Juhi ne sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha...........




“ab mat ro sahil,,,aapki ksimat me jo kali badli thi wo chhat gayi..........plz......bahut aansu baha liye...”




Sahil ka sar juhi ko dekhakr juhk sa gya.....uske dil me aa rha tha ki apna sar us pyari si ladki ke kadmo me rakh de aur ek bar uske kadmo se lipat kar ro le.........



“juhi ,tumne to jo kiya hai mere liye.............


“kuchh mat kaho aap....aur maine kuchh nhi kiya.....sab aapke patience aur aapki mehant ka inaam hai..........ab chalo thoda fresh ho jao aap .......” juhi ne bade muhbbbat se kaha.




Sahil bas dheere se muskura diya......use pata tha ki juhi ne kya kiya hai uske liye..........lekin wo to pari thi ............apne ahsano ka ahsaas kaise hone deti.........




Sham hote hote khan sahb ke ghar par poora huzoom pahuch chukka tha.......saare jan ne pahchane wale ,colony ke sab log ......sab Mubarak bad dene aaye the............bas sahil ka apna koi nhi aaya tha.......




Der rat tak party chalti rahi aur fir sab log so gaye............aaj bhi sahil ko neend nhi aa rhi thi......aaj bhi use aarti ki bahut yad aa rhi thi............aaj uske zindagi ka sabse bada din tha aur wo uske sath nhi thi.......sahil uski yado me khoye huye neend ke aaghosh me sama gya.......




Dusre din subah hi media aur sahil ke coaching institute ke senior members aaye the........aaj tak sahil gum naam tha lekin ab nhi.............aur fir ab wo ek hara hua insaan nhi tha....media ke liye to ye ek badi khabar thi....”ek kisan ka beta IAS”





Sahil ko aaj uske coaching me request karke bulaya gya...........sahil juhi ko sath lekar gya tha............sahil ko Rs 3 lakh ka prize diya gya tha coaching ki taraf se aur ek chhota sa lecture bhi diya usne...........sahil ke din lautne lage the..................




Usi din sham ko sab log baithe the jab sahil ne kaha........




“baba mai kal ghar ja rha hu........mummy papa se mile bahut din ho gaye.......”


“haan,haan jao beta........fir kab tak lautege..........” khan baba ne kaha...


“jee....kuchh kah nhi sakta.......fir shayd training suru ho jayegi......1 month bad .....to shayd whi se chalaa jau.........”


“sahil yha ho ke jaana beta......hame bhi tumhari yad ayegi........” khan baba bole.



“jee,jaroor aaunga........khan baba aapne to ek baap se badhakr pyar kiya hai mujhe...... .pata nhi aapke ahsaan kaise..............”sahil ki bat adhoori rah gai....sarfaraz sahib ne dant diya ......




“khabardar sahil, jo kabhi ahsaan kaha to..........ham sirf beta kahte nhi mante hai tumhe.........jao ghar........jab chaho aa jana..........apna hi ghar samjh karo..........aur kabhi koi bhi jaroorat pad jaye zindagi me to ek bar aajma lena hame..........”



“mai janta hu uncle...........thank u....” sahil ka dil bhar aaya unki bat par....aaj bhi aise insaan hai is dharti par...........



“abbu.....” juhi ki jo ab tak chup thi boli..


“”ha bolo gudiya............”srfaraz sahb ne pyar se kaha..


“jee wo....”

“bolo beta kya bat hai........”


“jee abbu mai aaj tak kabhi gaon nhi gayi......agar aap ki ijaajat ho to mai bhi sahil ke sath........” juhi ne darte darte kaha............



Sarfaraz sahib ka chehra thoda sa gambhir ho gya........unhone khan baba ki or dekha..........




“jao beta...jao ghoom aao ....gaon bahut pyari jagah hoti h.” khan baba ne kaha.


juhi fir bhi sarfaraz sahib ki or dekhti rahi .............



“jao bhai,jab abba ne kah diya to...vaise bhi kahaa kabhi tumhe ham kahi ghuma pate hai..............tumhari ammi ke jane ke bad tumhare liye kuchh nhi kar paya beta...........” sarfaraz sahib ne sar jhuka liya bolkar.



“plz abbu aisi bat na kare...........aapne kya nhi kiya hamre liye.......mai nhi janugi jane de...........” wo apne baba ke kandhe se lag gayi...........



“are jao meri gudiya......jao apne saman pack kar liyo...........sahil beta tumhe to koi problem nhi hogi na..............”



“jee....jee nhi uncle.............” sahil bola................juhi ka chehra khil utha...........wo daudkar andar chali gayi apni packing karne............wo gaon ja rhi thi..............apne sahil ke gaon ..................apne sahil ke sath............

***********************************************************************************



Sahil juhi ke sath apne gaon ke station par utar chukka tha.............aur wha sa seedhe market gaya............




Thodi der ke bad sahil juhi ko liye huye ghar pahucha.........june ka mahina tha aur wo dophar ko pahuche the jyada log nhi dikh rhe the.............sab apne apne gharo me the..............




Juhi gaon ke khule mahol ko dekhakr bahut khus ho rhi thi.............sahil use kuchh cheeje batata ja rha tha apne gaon ki .......




Sahil ghar pahucha ..............kisi ko pahle se pata nhi tha ki wo aa rha hai............



Darwaje par dastak ki aur papa ne darwaja khola..............




“sahil.......”wo khusi se jhoom uthe...........




Sahil ne unke pair chhuye to unhone use pakad kar apne gale se lagaa liya................




Mummy ke bhi pair chhuye ...........juhi ko dekhakr maa ne puchha,..........




“ye kaun hai beta.............”



“mummy ye juhi hai...meri dost.......”


“achchaa......”maa ne badi gahri nazro se use dekhte huye kaha...........



“Mummy kuchh laya hu aapke liye...........” sahil ne kaha aur bag se nikalalr ek chhota sa box rakh diya unke samne ..........



“kya hai isme......chhod ........pahle tum dono hath muh dho lo ...kuchh kha lo fir dekhenge.........” maa ne kaha..



“nhi ....dekho aap pahle........” sahil ne jid ki.



Mummy ne ek bar uske chehre ki or dekha........aur fir box khol diya..............




Box me mummy ki whi gahne ( jwellery ) thi jo unhone girvi rakh di thi sahil ki study me aur dheeraj aur renu ki study me .....lagbhg sabkuchh ke ek karke giirvi rakha gya tha...........unke pas srif ek magalasootra bacha tha,,,,,,,sahil station se utar karke sabse pahle wahi lene market gya tha...............




Sahil ki mummy ki nazar jaise hi apne jewar par padi .......wo bhabhak kar rone lagi......aaj unke bête ne unhe wo tohfa diya tha jiski koi keemat nhi laga sakta tha............ wo unke mummy papa ke diye huye jewar the jinhe majboori me unhone girvi rakha tha... .................




Mummy ne sahil ko jor se apne gale laga liya aur phoot phoot kar rone lage................kitne dino bad ..kitno dino bad .........aur laya bhi to unka ladla........




“tujhe sabse pahle mere jewar yad aaye.........jeeta rah mere laal....” mummy fir se us se lipat kar rone lagi...




“plzz mummy aap rowo mat................maine dekhe hai wo majboori wale din jab ek ek kar ke sab meri aankho ke samne se jate rahe..........aapki aankho ke wo aansu main dekhe hai..........tab mai majboor tha maa...ab nhi hu..............” sahil ne unhe chup karate huye kaha..




“are mera gehnaa to tu hai mere laal.......” mummy ne kaha aur sahil ke sar ko choom liya.......



Sabki aankhe bheeg gayi thi ..............juhi ke dil me sahil ki ijjat aur badhti ja rhi thi.

Post Reply