love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 15 Dec 2016 10:10

UPDATE 87-

Diary me last post ek din pahle ki thi aur uske niche ek dardnak ghazal ki chand panktiya likhi huyi thi…………..



chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala



bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamkte chand………



main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun
na mujhse ban saka chhota sa ghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand...................



mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...................



yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand.........................








Mera anjaam yhi hona tha………..Mai haar gayaa aarti ………ab aur ladne Ka dil nhi karta…..…bahut yad aa rhi hai tumhari……………bas ek baar aa jao na…… plzzzzzzzzzzzzz…

____SAHIL.





Juhi ne poori diary padh li thi aur chupchap band karke wapas usi tarah se rakh diya….sahil ke certificate rakhte huye achanak uski nazar 10th ke certificate par padi…………14 /02/****…….sahil ki date of birth….yani kal sahil ka birthday hai…………par kal to valentine day bhi hai…….life me pahli bar juhi ke dil me ek mithi si kasak uthi thi is VALENTINE DAY ke nam par……is se pahle is khas din ka koi khas value nhi tha uski life me…………juhi ne sare certificates rakhe aur sahil ka room band karke wapas aa gyi………..




Is samay juhi apne room me gumsum baithi thi…………diary ke bare me hi soch rhi thi……………..sahil ne apne bachpan se lekar abhi tak ki kahani likhi thi …………jyadatar baten bachpan se jawani tak aarti aur uski nok jhok aur fir unki dosti aur fir ekdusre se pyaar ki thi…………….sahil ne apni padhai se related bhi kafi kuchh likha tha………aur har din ke ant me ek sawal likha tha…………….. “tumne aisa kyu kiya aarti ????”




“AARTI ?””” kyu kiya usne aisa ?????.....ye sawal to ab juhi ke man me bhi uth rha tha……chahe vajah jo bhi rhi ho aarti , tumne jo kiya hai wo mafi ke layak nhi hai….kabhi nhi.------juhi ke dil ne to faisla bhi suna diya.




“Kitna struggle kiya hai sahil ne…………suru se hi……..sahil deserve karta hai …uske jaise logo ko hi IAS officer ban na chahiye………mai to sirf pre na qualify kar pane par itani dukhi huyi thi….par wo to interview tak pahuch kar wapas aa gya………mere pas to suru se hi har facility thi lekin usne to apni education gaon me puri ki …….koi bhi coaching ya guidance nhi mila hoga use……….….aur fir itani shiddat se ki gayi muhabbat me nakami ??????…….ufff…kitna dard hai sahil ki zindagi me…………uski uadsi me kitna dard hai .??????.........kitani na-umeed hai wo aankhe……….” Juhi ka dil sahil ke liye tadap utha.




“aaj bhi aisi muhabbat karne wale hai is dharti par???? Yakeen nhi hota…………….” juhi socho ke smandar se nikal nhi paa rhi thi ………..






“.sahil ko mai wapas laungi……mai uski aankho ko fir se wo sapna dekhne aur use poora karne ka hausla dungi…………sahil zindagi nhi rookti hai ye mai samjhaungi tumhe…………zindagi me ek insaan bura hota hai lekin puri zindagi ko uski sajaa nhi milni chahiye……….tumne muhabbat ka ek kala rang dekha hai…mai tumhe muhabbat ke sare rang dikhaungi……itna pyar dungi ki tumhe zindagi me kabhi us bewafaa ki yad bhi nhi aayegi….” Juhi ke dil me sahil ke liye bahut hamdardi ho gyi thi………..Tabhi dimag ke kisi hisse se bagahwat ki aawaz aayi…………



“ye mai kya soch rhi hu……sahil aur mai???? Kya mai sahil se muhabbat…………???...nhi…nhi…bas hamdardi hai…………….lekin dil …………..”aur juhi apne hi dimag aur dil ki jung me fas si gyi thi……….




“jo bhi ho insaaniyat ke nate hi sahi….ye farz hai mera ki mai ek bar to kosis karu ki wo fir se jeena sikh jaye……….mai ye kosis jaroor karungi………” juhi ne dil ki bat mani aur dimag ko thodi der ke liye chup kara diya……..muhabbat to ho gyi thi use sahil se bas abhi accept nhi kar paa rhi thi……….




juhi ki duniya abhi tak sirf apni do logo ki family aur kuchh dosto tak hi rahi thi……muhabbat jaisi koi cheej uski zindagi me kabhi aayi nhi thi ……….usne is najariye se na kabhi kisi ke bare me socha tha aur na hi sochana chaha tha…..shayad yhi wajah thi ki wo abhi tak ye maan nhi rahi thi ki use bhi muhabbat ho gyi………..




juhi soch rhi thi aur usne nischay kar liya tha ki wok kam se kam ek bar to jaroor kosis karegi……………par is kosis ki suruwat kaise kare…???.....achanak uske dil me khyal aaya……..kal to valentine day hai……….? Haa To ??????? fir mano usne khud se hi sawal kiya,…….uski aankho jhuk gyi,,,,sharm se……..mai bhi kya sochati hu………..lekin kl sahil ka B,day bhi to hai…………ha yhi thik rahega…………juhi apni soch par khus ho gyi…..jane kyu ek sukoon sa mil rha tha use……






“sahil duniya bahut khoobsoorat hai aur zinadgi us se bhi khubsoorat ………zindagi me har rang hona chahiye aur tumhare zindagi me ab kale rango ka waqt khatm ho gya…….sahil tum bahut achche ho aur tumhare liye khuda ne kuchh bahut achchha socha hoga………..tumhari zindagi me koi aisa aayega jo itani khusi dega ki tum apne sare gham bhool jaoge…dekh lena….” Juhi apne aap se bate kar rhi thi….aur aakhiri bat par na chahte huye bhi wo Sharma gayi aur uske laal gal gulabi ho gaye.



Sahil kafi rat huye wapas aaya……….main gate khulne ki aawaz se JUHI ne khidki se bahar dekha….sahil ki chaal dekhkar aisa lag rha tha ki usne sharab pee rakhi hai………lekin juhi ke pas koi tarika nhi tha confirm karne ka……..usne chupke se apna darwaza khola aur chalte huye niche aa gyi……..hath me ek book li huyi thi ki agar kisi ne puchha to kah degi ki kuchh puchhna tha…… use fir bhi dar lag rha tha……lekin kya karti dil ke hatho majboor thi…



Juhi sahil ke room me pahuchi...........aur apne bed par leta hua tha……..pairo me abhi bhi shoes the aur uske hath me ek tasweer thi jise wo dekh rha tha…….juhi ke aane ke aahat se uth baitha………..




“aao juhi……..kaisi ho…….…kuchh padhna tha tumhe…kl padh lena ……” sahil ki aawaz se saf pata chal rha tha ki usne pee rakhi hai……….juhi ka shaq sahi sabit hua…




“sahil aapne drink kiya hai???..sharab pee hai aapne???” juhi uske pas bed par baithte huye boli.




“sahil kuchh puchh rhi hu mai” use kuchh na bolta dekhkar juhi ne gusse se kaha…




“haa pee hai maine….tumhe kya…..ho kaun tum………jao yha se ” sahil ne lagbhag chillate huye kaha.





Juhi ka dil chaha uth kar abhi bhag jaye…kuchh palo ke liye wo dar gyi……..lekin use sahil ki halat ka andaaza tha…...wo chahte huye bhi uthkar na ja saki………..sahil ne apni aankhe band karli…………




“sahil plzz…shor mat karo……...mai kuchh khane ko lati hu aapke liye…..” juhi uthate huye boli…



“nhi …ruko”sahil ne uska hath pakad liya…juhi ke sharir me jaise jhurjhuri si daud gyi…….wo mano boot ban gyi…




“kyu kar rhi ho tum ye sab” sahil ko mano hosh aa gya aur usne jhat se juhi ka hath chhod diya…..



“aapko vajah batana mai jaroori nhi samjhti” juhi ne kaha aur fir chuchap room se nikal gyi…..





Thodi der bad wo wapas aayi ……...uske hath me plate me khane ki kuchh cheeje aur kuchh fruits rakhe the……….muhabbat aisi hi hoti hai……..har dar khatm kar deti hai insaan ke andar se…duniya ka samaj ka …zindagi ka aur maut ka bhi…jo juhi thod der pahle book lekar aane me dar rhi thi sahil ke room me ki koi dekh na le…whi ab hane ki plate lekar bekhauf aa gyi thi……..ye bat aur thi ki juhi sab kuchh jante huye bhi maan nhi rahi thi ki use bhi ISHQ ka rog lag gaya hai……………



Sahil uski or gaur se dekh rha tha…….uska sara nasha mano utar gya tha………..



Juhi ne sahil ke aage plate badha di…………




“ab khilana bhi padega kya aapko”usne thoda sa muskurate huye kaha.




Sahil kuchh nhi bola……..aur chuchap khane lagaa……..juhi whi uske paas baith gayi aur use khate huye dekhne lagi…..………kuchh nivale hi khaye the usne ki use jor ki hichaki aayi aur juhi ne pani ka glass uthakr uske hotho se lagaa diya………….sahil ne do ghoont pani piya aur utne hi aansu uski aankho se nikal gaye…………use aarti yad aa gyi …itani care to kkeval aarti karti thi uski…………….




“kya hua….sabji tikhi hai” juhi ne anjaan bante huye kahaa…..




“juhi….…mujhe uski yad aati hai…..bolo na use ki laut aaye” kuchh hosh aur kuchh behoshi ke se aalam me sahil ne kaha aur juhi ke gale se lagkar betahasha rone lagaa…use to ye bhi khabar na thi ki juhi ko aarti ke bare me pta nhi hoga……





Juhi ki samjh me nhi aa rha tha ki wo sahil se kya bole…………..wo chup chap use apne kandhe par tikaye uske sar par hath pherti rahi…..




“sahil chup ho jao aap…plz…..aapko bahut majboot ban na hai….bahut aage badhna hai aapko………..”




“nhi hu mai majboot……..mujhe kuchh nhi chahiye…………mujhe kuchh nhi ban na hai…mujhe bas meri aarti chaiye…mujhe meri aarti laa do juhi…plz…..bolo na use ki aa jaye…..plz….” juhi ke kandho se lagaa wo kisi bachche ki tarah bilakh rha tha…..




Juhi kuchh nhi kar paa rhi thi…..usne sahil ko rone diya…..wo chahti thi ki wo ro le aur uske dil ka dard shayad kuchh kam ho jaye,………..




Thodi der bad sahil sambhala ……juhi k kandhe se alag hua aur kisi mujhrim ki tarah nazre jhuka li………..juhi ne apne hath me ek nivala uthaya aur uske hotho ki or badha diya……..sahil ne muh nhi khola….




“plzzzzzzzzzzz” juhi ne uski aankho me dekhte huye kaha. Sahil chupchap uske hath se khane lagaa.




Sahil kha kar baitha tha juhi ne plates uthaye aur darwaze ki or badhi …





“sorry” sahil ki aawaz uske kano me padi..wo fir pichhe mudi sahil ki or aa gyi………….




“kis bat ke liye…………mai kaun hoti hu jo aap mujhe sorry bol rhe hai” juhi boli.


Sahil chup raha…..



“Subah bat karenge”” juhi ne kaha aur bahar nikal gayi………




Sahil khud par naraz hone lagaa….......itane dino se dil me chhupa dard aaj aakhir bahar aa hi gya tha………usne soch liya tha ki ab juhi se iske bare me aur koi bat nhi karega.


User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Feb 2017 09:39

UPDATE 88A-


Sahil is bat se puri tarah anjaan tha ki juhi ne uski diary padh li hai……ye din bhi roj ki tarah hi bita....juhi nahi aayi …aur sahil ko yakeen ho chala ki shayad jo kuchh bhi hua sham ko juhi uske bare me nhi puchhegi……jane kyu juhi se dar sa lagta tha use……uske apnepan se ,uski sadgi se aur uski massomiyat se ….



Sham ke karib 5 baje the thand ke din hone ke vajah se andhera ho gya tha…sahil yuhi apne bistar par leta hua tha aur zindagi ke achchhe dino ko yad kar rha tha…….
Tabhi darvaze par kisi ne aawaz ki….



“jee khan baba?”



“sahil beta juhi ne bulaya hai tumhe ……..shayad tum aaj padhane jana bhool gaye…”



“jee aap chale mai aata hu…..”



“beta mai to kahi aur ja rha hu…pass me ek rishtedar rahte hai unke yha kisi ki death ho gyi hai…mai driver ko lekar ja rha hu…2-3 ghante me aa jaunga…sarfaraz bhi ghar par nhi hai…tum ho isliye ja rha hu …jara dhyan dena “ baba ne use samjhate huye kaha.




“jee” sahil kabhi bhi khan baba ko na nhi kah pata tha…




Sahil koi 15 minute bad andar pahucha………juhi use apne room ke bahar bani balkani me hi baithi mil gayi …aankho par chasma lagaye ek book ko god me rakhe mano usi ka intzaar kar rhi thi…………





Sahil bhi pas rakhi chair par baith gya…..”suru kare” usne normal se lahje me kahaa.




“jee …aap zara ek minute rooke mai abhi aati hu…”




Sahil chup ho gaya aur juhi room ke andar chali gayi ………..lagbhag 10 minute bad andar se hi uski aawaz aayi….
“sahil plz ek minute andar aayenge??”



Sahil ne kuchh nhi kaha aur door ko halka sa dhakka dekar andar dakhil ho gya……..




Kamre ke bicho bich ek bade se table par ek behad khoobsoorat cake rakha tha aur uske charo or candles jal rhi thi………cake par likha tha ……………..



“Happy B,day,sahil”




Sahil ke dil me ek anjaani si khusi huyi ,,,,use to khud bhi yad nhi tha ki aaj uska janmdin hai…..aarti ko kaise pata chal ye uske khyal me hi nhi aaya…shayad isliye qki sahi mayano me to bahut dino bad use khusi ki ek boond naseeb huyi thi…………lekin usne koi khusi jhir nahi ki…mano khus ho gya to koi paap ho jayega………….




candles abhi jal nhi rahi thi …………



“happy b’day sahil…” juhi jo pas me hi kahdi thi muskurte huye uski or badhi aur use wish kiya.…………uske hath me ek shopper tha.





“ye sab kya hai juhi……mai apna b,day nhi manata” sahil ne bina kisi khusi ka ijhar kiye kaha…..




“koi bat nhi…is bar aap mana le….aur ye lijiye” juhi ne apne hath me pakda hua shopper sahil ko pakda diya.



“juhi ….??dekho mujhe ye sab pasand nhi….plz chhodo ye sab aur chalo study karo…………..”




“Sahil plzz….” Juhi ki aankho me ek iltiza thi …sahil use ab aur manaa nhi kar sakta tha…..chahta to bhi nhi….




“kya hai isme ? ” sahil ne puchha.




“aapke liye dress hai…hamare yha janmdin par naye kapde dilate hai…mujhe baba dilate hai to maine aapke liye le liye…plzz aap pahan kar aaiye na…. fir cake kat te hai….” juhi ne badi hasrat bhari nazro se uski or dekhte huye kahaa.




Sahil attached bathroom m ghus gya…shopper me ek navy blue shirt thi aur ek black jeans…sahil kapde pahankar bahar aaya…uska man to nhi kar rha tha …lekin juhi ki vajah se wo ye sab kar rha tha…use yad tha ki rat me hi usne juhi ke sath bahut galat bartav kiya tha……



“looking very dashing” juhi ne tariff bahri nazro se sarahate huye kaha.



“thank u…plz tum mere liye ab kabhi kuchh mat lana nhi to mai lunga nhi….”




“wo bad me decide kar lenge” juhi ne maje se kaha…”chalo aap cake kato …meri muh me to abhi se pani aa rha hai …”




Sahil ne cake kata…aaj bahut dino bad use kise apnepan ka ahsas ho rha tha……uski aankho me kuchh nami thi lekin usne jahir nhi hone diya…..juhi ne apne hatho se use cake khilaya aur ek gaift pack jabardasti use pakda diya………..






Thodi der bat sahil juhi ke sath bahar baitha tha….sahil jane kyu juhi se nazre chura rha tha…….




“kya hua…..janmdin par udas hona achchhi bat nhi …”juhi boli…





Sahil kuchh nhi bola bas jabardasti muskura diya…..



“padhai suru kare “ sahil ne kaha.




“aaj mood nhi hai…kal thoda jyada padh lenge…….”




“thik hai fir mai a rha hu “sahil ne lagbhag uthate huye kaha.



“thodi der baithiye na…”




Sahil fir se wapas baith gya…………..




Juhi ko samajh me nhi aa rha tha ki kaha se bat suru kare …………….aakhir usne suru kiya…




“sahil kya hm dost ban sakte hai….mera koi dost nhi hai ???? ” juhi ne kaha..




“sahil ko laga kisi ne ukse jakhmo ko kured diya………….tadap sa gya wo…….



“nhiii…nhi ban sakte ham dost ..mai kuchh nhi ban sakta kisi ka…..mujhe nafrat hai rishto se …bahut jyada nafarat….mai sirf nafart karna janata hu……sabse….…duniya se …tumse bhi ….samjhi tum….” Sahil lagbhag dahadta hua bola.



“sahillll”juhi mano dar gyi …




Sahil ne uske dono kandho ko pakad liye…..uski aankho me aansu the aur chehre par nafart ..juhi ko samjh me nhi aa rha tha ki yakeen kiska kare …aankho ke aansuo ka ya chehre ki nafrat ka…………….




“dosti,pyar ,rishte- nate…sab dhokha hai…sab kuchh bas dhokha hai…sab matlab ki duniya hai…..samjhi tum …samjhi????” sahil ne usko pichhe ki taraf dhakka diya aur niche chal diya…..




Juhi thodi der sakte me rahi ….use sahil se dar lagne laga tha un kuchh palo me…..lekin use samjh me aa rha tha ki jab insane tootane ke bahut karib hota hai tab wo majboot dikhne ki kosis karta hai…sahil ab doobane hi wala tha…agar wo thode din tak aur isi hal me rha to fir shayad kabhi sambhal nhi sakega….juhi ko uski tanhai ka andaza ho rha tha…..use sahil ki condition par bahut chinta ho rh thi….kya karu mai sahil ke liye……





“aarti ! ek bar ko allah tumhe maf kar de lekin mai to poori zindagi tumhe maf nhi karoongi….ek mukammal insaan ki zindagi tabaah kar di tumne …””” …aaj dusri bat juhi ke dil se baddua nikli thi aarti ke liye….




Juhi niche jakar dekhna chahti thi sahil ko …lekin use thoda dar bhi lag rha tha……… tabhi uski nazar us gift pack par padi ….karib 20 minute bad juhi niche sahil ke room ki taraf chal di…uske hath me whi gift pack tha jo sahil andar hi chhod aay tha………




Darwaze pa pahuch kar juhi rook gyi…..andar ekdam andhera tha aur kuchh aawaze aa rhi thi…………………juhi dhyan se sun ne lagi ………….uska shaq sahi tha ……shil sachmuch tootkar bikhar rha tha…….wo kisi bachche ki tarah bilakh bilakh kar ro rha tha ……



bahut mehnat karni padegi tumhe sambhale me sahil …lekin mai karoongi….tumhe is tarah tadapta to nhi chhod sakti….juhi ne apne man me socha aur kamre ki light jala di………..sahil ka chehra aansuo me dooba hua tha …usne juhi ki taraf dekha aur dudkar us se lipat gya……………..




“mujhe bacha lo juhi ………mai mar janunga”





Juhi ke dil me aaya ki sare jahaan ka pyar lakar sahil ke kadmo me dal diya……….usne sahil ke sir ko apne seene se lagga liya……………





“mai tumhe kuchh nhi hone dungi sahil…….vada hai mera” usne kaha aur uske sar par pyar se hath pherne lagi.



Kash ek bar tumhare hotho ki hasi wapas aa jaye..mai apni har khusi har sapna chhod dungi tumhare liye …juhi ne apne man me socha aur sahil ko aur jor se beench liya….




Kaisi ajeeb hai na ye zindagi …aur us se bhi ajeeb hai ye muhabbat …ek achche bhale insane ko awara bana deti hai……

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Feb 2017 09:40

UPDATE 88B-


Sahil ki halat dekhkar juhi khud ko kuchh der ko bhool hi gyi………use ahsaas ho rha tha ki kis kadar wo toot gya hai…………wo sahil ko apne gale se lagaye chup karane ki kosis kar rhi thi………….lekin sahil ke aansu nhi rook rhe the………..



“juhi mai aisa nhi tha………….bahut majboot tha mai…lekin ab mai bahut akela pad gya hu…..na koi rasta nazar aata hai an koi apna………….har rishta jhootha lgata hai ab …………I m sorry …..i m sorry yar…plz maf kar do” inhi sabdo ke sath wo ek bar fir se juhi ko pakadakr jor se rone laga.



“mai hu na sahil…………….mai bhi to akeli hi hu…….lekin mai tumhe kabhi akela nhi chhodungi……sahil kuchh log bure hote hai………rishte bure nhi hote……….” wo sahil ko samjhane ki poori kosis kar rhi thi………..




“sahil plz chup ho jao….mujhe bhi rona aa rha hai…plz…” juhi khud bhi uski halat dekhkar bahut emotional ho gyi thi……….





Thodi der bad aakhirkar sahil sambhal gya………juhi uske pas hi bed par baithi thi …sahil neeche ki or dekh rha tha …..wo chah kar bhi juhi se najre nhi mila paa rha tha………..juhi sab kuchh samajh rhi thi………….





“sahil,duniya me aisa koi nhi hai jise life me sahare ki zaroorat na pade………..aur agr ek sahara aap ko chhod de to iska ye bilkul matlab nhi hota ki aap baki baki sare saharo par yakeen karna chhod de………plz….ek mauka do……ek bar bharosa karo mujh par …mai kabhi tumhara bharosa nhi todungi…..” kahte huye juhi ne sahil ke kandhe par halke se hath rakha …sahil ne aankh uthkar uski jheel si neeli aur khoobsoorat aankho me dekha…………un aankho me ek vishwas tha, hamdardi thi aur dher sara pyar tha………itna apnapan tha un nigaho me ki mano kah rhi ho ki aao mere pass mai hu na…sab kuchh thik kar dungi…………





Sahil ne kuchh nhi kaha bas halke se juhi ke kandhe par sar rakh diya aur aankhe band kar li……………


Thodi der dono ke bich khamoshi rhi fir is bar sahil ne is khamoshi ko toda………….



“juhi ,plz aap mujhe maf kar dijiye…maine bahut galat sulook kiya aapke sath…hamesa hi ….sorry ……”





“aree…aap mujhe aap kyo kah rhe hai….tum hi bola kare …achcha lagta hai mujhe……aur dosto me--- no thanx and no sorry …….samjhe…………” juhi ne muskurate huye kaha…..





Sahil ko ahsaas ho rha tha ki duniya me aaj bhi sachmuch kitne achche log hai…………..aur juhi???...wo to shayad koi pari hi hai…….jise khuda ne galti se dharti par utar diya tha…….aaj sahil ka etmaaad fir se bahaal ho rha tha………thodi der bad juhi chali gayi aur jate jate kuchh aisa bol gayi jo aaj tk sahil ne dusro ko bola tha lekin kabhi use kisi ne nhi bola…………





“sahil ,chahe life me kitni bhi badi muskil aa jaye, chahe kuchh bhi ho,,,tum galat ho ,sahi ho…koi fark nhi padta …………..mai hamesa tumhare sath rahungi………..aaj hi nhi kabhi bhi……….agr meri kabhi jaroorat pade to bas ek aawaz dena ………………………juhi ko hamesa har kadam par apne sath khadaa paoge……jab tak mai hu,kabhi khud ko akela mat samjhana….”





“aur haa ise kholkar jaroora dekh lena………..”kahte huye juhi ne wo gift pack whi rakh diya tha.





Rat ko halka sa dinner karke sahil apne bistar par leta hua tha……………..bar bar jhui ke alfaaz use yad aa rhe the……”juhi tum wakayi bahut achchi ho ….god tumhe is duniya ki har khusi de” usne dil me dua ki aur aankhe moond li…………achanak use juhi ke diye gift ka khyal aaya…………wo utha aur wrapper kholne laga………..




Us wrapper me pichhel 6 month ke current affairs ki magazine thi ……aur ek chhota sa khoobsoorat golden pen tha…………….aur sath me hi ek chhota sa khat bhi tha…………sahil ko aise gift ki umeed nhi thi…wo to kab ka har man chukka tha……………usne to apne sapne ko ek toota hua sapna samjhkar poora karne ki kosis karna bhi chhod diya tha,….lekin juhi us sapne ko sakar karna chahti thi….…..sahil ne khat khola aur padhne laga…..




“Dear sahil,
khuda kare ki aap hazaro sal jiyo ………aapko kadmo me duniya ki har khusi ho……….
Mujhe nhi pata ki aisa kyu hai….lekin jis din aapko pahli bar dekha use din se aap bade apne apne se lage…………jane kyu aisa lagaa ki bahut dino se janti hu aapko………pata nhi kisi janam me koi gahra rishta tha shayad aapse …….lekin jab bhi aapse mili aapko udas dekha…….aapki aankhe bahut sooni sooni si lagi…………..mai in aankho ka wo soona pan door karna chahti thi………..aapke chere ki udasi door karna chahti thi …….


mera pass bachpan se hi sari facilities thi lekin fir bhi ek khalipan sa hai……koi aisa nhi rha life me jise apna dost kahti…….koi bhai behan bhi nhi tha….dost the ,lekin bas kahne ko ……….baba hai lekin ek generation ka gap hai……..aapko dekha to laga ki shayd aap ek sachche aur achche dost ho ,,,,,,,maine isiliye aapse dosti ko kaha……….lekin shayad aap mujhe apni dosti ke layak nhi samjhte………..

aur rhi bat nafart karne ki????? Aapne kaha ki aap sirf nafart karte hai………..sabse ……mujhse bhi………..sahil zindgi bahut chhoti hai ……..…ise nafarat ke sahare nhi gujara ja sakta………..kuchh baten aisi ho jati hai ki hum kisi se nafart karne lagte hai…….lekin muhabbat ke bina life me koi khusi nhi hai……….. aur nafarat aap bahut dino tak nhi kar sakte………..ek bar muhabbat ka daman tham kar dekhiye zindgi fir se khoobsoorat ho jayegi…………..

mai hamesa aapki dosti ko taiyar hu……ho sakta hai kisi ne aapki dosti ka majak banaya ho lekin ,sahil, agar duniya me kisi ek ke kiye ki sajaa har shakhs ko milne lage to ye sari duniyo chand dino me khatm ho jayegi….

plz ek bar apne aap par bharosa karo……….khud ko ek mauka do………..mujhe ek mauka do....mai kabhi tmhara bharosa nhi todungi……..promise.


..sahil kuchh sal hai sirf hamare pass…ek bar ye din nikal gaye to aap fir puri life chaho to bhi kabhi IAS ban ne ki kosis tak nhi kar sakoge,….ek bar over-age hone ke bad sirf pachhtawa hath lagea….ho sakta hai ki hum IAS na ban paye lekin ye sukoon to rahega na ki hamne poori kosis ki……….ye malal to nhi rahega ki kash ek bar aur try kar lete……….

sahil zindagi me kuchh log selfish bhi hote hai…unke liye apni life barbad mat karo……..plzzzzzzzzzz..


ye pichhle kuch dino ka study material hai….…mujhe pata hai ki aapne nhi liye hai……plz ek bar fir se apne sapne ko poora karne ki kosis kare………..aur ye pen………..mai chahti hu ki isi pen se is sal aap IAS academy me pahli signature kare…..agar meri thodi si bhi ahmiyat hai aapki zindagi me, to plz ek bar jaroor sochiyega…………
-- Aapki dosti ki muntazir – juhi
.



Sahil ne khat padha aur chuchap band karke wapas usi wrapper me dal diya…………….




“kya se kya bana diya tumne mujhe aarti……….ye bat sari zindagi nhi bhoolunga ki jab mujhe apno ki sabse jyada jaroorat thi to mai blikool akela tha…………….” Use fir se ek bar us “ BEWAFA “ ki yad aane lagi…………




Uski yado ke bhawar me doobe sahil ko jane kab need ne apne aagosh me le liya……………




In sab bato ko lagbahg one week beet gya…sahil fir se dheere dheere kosis karne laga tha padhne ki………au rise dekhkar juhi kafi khus thi …use lagne laga tha ki sahil fir se ek bar compete karega……….juhi ko padhaane roj jata lekin study ke alawa aur koi bat nhi hoti ……juhi janti thi ki ye itna aasan nhi tha sahil ke liye aur wo use thoda waqt dena chahti thi………….



sahil ab use achcha lagne laga tha aur use is bat ka bhi yakeen ho gya tha ki sahil dheere dheere aarti ki bewafai aur aarti dono ko bhool jayega…………uski aankho ne sahil ke sath zindagi ke haseen sapne dekhne suru kar diye the…………….





Sahil aaj bahut dino bad diary likhne ke mood me tha …………usne suitcase khola….suitcase me rakhi cheeje us sequence me nhi thi jisme usne rakha tha …….sahil ko juhi ki bate yad aane lagi ….juhi ki bato se use thoda shaq to hua tha ki juhi ko uske bare me itna kaise pata….aur ab use yakeen ho gya tha ki juhi ne uski diary padhi……………sahil ke dil ko thes pahuchi is bat se ……….usne darwaz khula hi chhoda ur teji se chalta hua juhi ke room ki or badha……..



din ke 2 baj rhe the aur sab log apne kamre me the ……sahil kafi gusse me lag rha tha……………juhi ke room par pahuchakr usne darwaza khtakhataya………….juhi ne darwaz khola …bikhre bikhre se bal aur thaki thaki si aankhe…agar sahil thode bhi dhyan se dekhta to use ahsaas ho jata ki juhi thik nhi hai………….lekin use to gusse ke aag me kuchh sujh hi nhi rha tha……….




“are aap…aaj jaldi aa gaye …chaliye padhate hai……….” Juhi ne khud ko sambhalte huye kaha.




“tumne meri diary padhi ?????”sahil ne ekdam uski halat aur tabiyat ka galat andaza lagaya tha……….gusse me chillate huye puchha.




“jee” juhi ne nazre jhukate huye kaha…




“himmat kaise huyi tumhari…………..bina meri ijajat ke tumne chhua kaise use………..khud ko kya smajhti ho tum …….koi ahsan nhi kar rhe tum log mujh par ………..” sahil gusse me jo kuchh bhi uske man me aa rha tha bole ja rha tha…wo apneaap me nhi tha is waqt….




“sorry” juhi ki aankh se ek aansu tapak pada….




“what the hell sorry………….tumne bhi whi kiya…maine tum par bharosa karna chaha aur tumne mera bharosa tod diya…………ab samjha….……..isiliye mujhpar itna taras aa rha tha…….. mujh par taras kha kar hi tumne mujhse dosti karne ki sochi na……..achcha kiya juhi …bahut achchha kiya…….mai to kisi ke dosti ke layak hi nhi hu……………ek ne meri akele pan par taras kha kar dosti ki aur dost banakr meri sari khusiya chheen li , sare sapne tod diya……….aur tumne dost bankar mujhe meri hi nazro se gira diya……………..sab samjh gya mai…………daya aati hogi na tumhe mujhpar…..haan………. isi layak hu mai………..mujhe nhi chahiye tumhari hamdardi…….koi jaroorat nhi hai tumhe mujhpar taras khane ki……….ja rha hu mai yha se…….ab kabhi nhi aaunga…kabhi bhi nhi……………..” sahil aanakho me umad aaye aansuo ki badli ko rokte huye nafarat se juhi ki or dekha aur bahar ki or chala gya……….…juhi ki aankho se lagatar aansu bah rhe the aur wo darwaze ko pakdakr baith gayi aur bilakh kar rone lagi……….





Sahil apna saman pack kr rha tha aur ek hath se apne aansuo ko saf kar rha tha……..aaj use lag rha tha ki zindagi ne fir se ek bar uske sath ek bhadda majak kiya hai….bahar se khan baba ki aawaz aayi…………”sahil”



Usne teji se apne aansu ponchhe aur bahar nikala………..




“jee khan baba” rone ki wajah se uski aawaz me thoda bhari pan tha……….




“ kya hua beta ,tabiyat thik nhi hai kya?”



“jee nhi thik hu…bas thoda jukam lag rha hai…”



“achcha-achha..wo mai kah rha tha ki juhi ne tumhe kuchh bataya………”



“jee…jee nhi to”




“beta tum use kuchh din tak mat padhana….mai to mana karke thak gya manti nhi hai……use typhide hua hai….lagbhag ek week ho gya…..dekha nhi kaisi kamjor hoti jaa rhi hai…..”



“jee” sahil ko sunkar bahut dukh hua…………shittttt……….kya kar diya maine ….usne ek bar apne man me socha ….lekin meri kya galti…typhide hua hai to?????……usne fir se apne sar ko jhatka..



“beta jab se tum rahne lage ho ghar achcha lagne laga hai……..…bade apne apne se lagte ho………………juhi bhi ab khus lagti hai………..nhi to pahle hum dono hi hote the..sarfaraz to bahar hi rahta hai…………aur mai bhi budha ………………..juhi badi akeli si pad gyi thi……….lekin tumhare rahne se kafi khus rahti hai………bas ab is bar khuda kare tum dono hi select ho jao………..juhi ka sapna toot ta hua dekhne ki himmat to nhi hai…….….bin maa ki bachchi hai na..isliye bahut emotional nature ki hai……..” khan baba bol rhe the aur sahil ek bar fir se socho ke bhawar me fasta ja rha tha……..





Aakhirkar usne soch liya ki juhi ko padhate rahega lekin bas us had tak hi………zindagi me koi kam to poora kar du kam se kam ……yhi sochkar wo rook gya……….…lekin juhi se narazagi khatm nhi huyi………….




Lgabhag 15 din ho gaye the…………….sahil ko khan baba ke jariye pata chalta rhata ki juhi ki tabiyat thik nhi ho rhi hai…………aur wo kafi major hoti ja rhi hai…leekin sahil ek br bhi use dkhne tak nhi gya………..





Aaj kafi dino bad sahil cyber café aaya hua tha…….…usne UPSC ki site kholi…….chalo form fill kar hi deta hu …….. exam du ya na du bad me dekhunga……………usne socha ..


Lekin site kholte hi sahil ke dil ko ek bahut bada dhakka laga… aaplication ki last date ko beete 10 din ho chuke the…usne apne sar par hath rakh liya ……….rahi sahi umeed bhi khatm ho gyi thi….juhi ki kahi batn use yad aa rhi thi …ek bar over-age ho gaye to fir chakar bhi ye sapna poora nhi kar paoge……aur ye sahil ke apply kar pane ka aakhiri sal tha……….qki next year ke liye uski age nhi thi………….sahil ki aankho me aansu aa gaye………uski zindagi aise mod par aagyi thi jaha use koi rasta nazar nhi aa rha tha……………..wo itana disturb tha ki use pataa bhi nhi chala ki kab last date nikal gayi……sahil sabkuchh har chukka tha…sabkuchh.




…”.to aakhir mera sapna toot hi gya……….tujhse koi shikwa nhi hai upar wale……..…main kosis hi pure shiddat se nhi ki ….” Sahil ka dil ro rha tha….kya jawab dunga mai papa ko….unse to ab shayd kabhi mil nhi paunga…….3 salo ki meri tapsaya ka koi fal nhi mila………sahil ki aankho se ab jhar jhar aansu bh rhe the aur wo dheere dheere apne room ki or badh rha tha………





Room me pahucha kar sahil bed par baith gya……….exam ko 2 mahine rah gye the par wo to bina lade hi har gya tha…..uska dil uchat hone laga tha…har cheej se….sahil ne man me socha ki ek bar khan baba se mil lu…fir ye shahar hi chhod dunga hamesa hamesa ke liye……………




Usne khan baba ke room me dekha wo wha nhi the………ek mulazim ne bataya ki wo juhi baby ke room me hai…………sahil usi or chal pada……….aaj lagbhag 17 -18 din bad wo juhi ke room ki taraf ja rha tha……………..




Khan baba aur juhi dono balkani me hi baithe the aur khan baba jabardasti juhi ko kuchh khila rhe the………..sahil ki nazar juhi par padi…..ekdam murjha si gyi thi wo……..juhi ne sahil ko dekha to ektak uski or dekhti rahi ……….




“are sahil beta aao baitho….dekho ise kisi chhote bachche ki tarah khilana padta hai…….itna muskil imtehaan sar par hai…bina khaye peeye kaise chalega…………tumhi samjhao ise “




“jee khan baba…wo mai ja rha hu……….” Sahil ne mano ek dhamaka kiya….juhi ne uski aankho me dekha………….. ek request thi uske nazro me ek sawal bhi…………mano kah rhi ho ki…. .plz mat jao…sahil ko un aankho ki tapish bardasht nhi huyi……..usne nazre pher li….




“q beta??? Exam sar par hai…koi pareshani hai kya sahil?” khan baba ne uske kandhe par hath rakhte huye bade apne pan se puchha ……..



“jee..nhi khan baba…….wo darasal main form submit karna hi bhool gya…last date nukal gayi….…to ab kaisa exam??” sahil ki aankho me aansu aa gae..



“kya……….sahil tum ye galti kaise kar sakte ho….ye kya kiya tumne ? ab kya karoge…”khan baba ko uski bevkoofi par kafi sadma sa laga.




“jee, chala jaunga apne gaon wapas” sahil ne kaha……..uske lakho jabt karne ke bawzood ek aansoo bagawat karke bahar nikal hi gya……….




“areee…ye kya kiya tumne….ruko mai dekhta hu kya ho sakta hai…sarfaraz ke kafi contacts hai” khan baba bahar ki or lapke……sahil janta tha ka kisi ka koi bhi contact UPSC me nhi chalega……………ek nazar usne juhi ki aankho me dekha……….sahil ke aansoo teji se palko ka darwaz todakr bahar ane lage….juhi sachmuch behad kmajor ho gyi thi……………uski aankho ke niche kale dhabbe pad gaye the …….aur uska chehra blikul sukh sa gya tha………..juhi kisi tarah se dheere se uthi aur apne kamre me chali gayi………………






Sahil whi baitha rha…….juhi ka chale jana use samjh me aa rha tha …….…wo abhi bhi us se naraz thi …usne bartav hi aisa kiya tha………sahil chupchap uth ek bar juhi ke room ki taraf dekha fir thake tahke kadmo se bahar ki or chal diya…kuchh kadam hi chala tha ki uske kano me juhi ki pyari si aawaz padi……aawaz bahut dhhemi thi …..sahil rook gya…..




“ek miute plz andar aayenge……………” fir se juhi ki aawz aayi…sahil aaj kuchh bolne ya mana karne ki halat me nhi tha ..chuchap chalte huye kamre ke andr pahuch gya…juhi ne kisi file me se ek paper nikala aur sahil ko pakda diya………..sahil ne paper nhi dekha bas ek sawaliya nazro se juhi ki aankho me dekha………..




“maine aapka aaplication form fill kar diya tha….” Juhi ne halke se kaha aur uski aankhe bhar aayi.




Sahil ko jaise apne kano par yakeen hi nhi hua…………..usne apne hath me pakde huye kagaz par nazar dali…uske aaplication form ka print out tha…………….sahil ka hath kaapne laga…..usi samjh me nhi aa rha tha ki kya kare……………




“jaiye sahil aaj aapko nhi rokungi…….bas ek aakhiri kosis karne ka dil kiya so kar di……….ise lekar jaye……...wha chale jaiye jahaa se aapko lage ki aapka sapna poora ho jayega……….plz ek kosis jaroor kijiyega…….aapki kismat aapke raste ki rukawat mere rahte to nhi ban sakti……..jaiye…agar ho sake to mujhe maf kar dijiyega……khuda hafiz sahil ” juhi ki aankhe dabdabaa rhi thi ……..





Sahil to mano jam sa gya tha……….kya kar diya maine………juhi ne mere documente lete samy hi shayd diary dekhi hogi…….kitna kamzarf insaan hu mai….…….sahil ki aankho se aansu aur teji se bahne lage……kitna dikh diya maine is masoom si pari ko………..aur sahil juhi ke kadmo me gir pada…………….




“I m sorry juhi…………….mai to mafi maangne ke layak bhi nhi hu………..mujhe kuchh samjh me nhi aata juhi……..tum kya ho…insaan ho ya koi pari ho……….maf kar do yar………….mujhe maf kar do juhi” sahil uske pairo se lipta bas yhi bole ja rha tha aur jar jar roye jaa rha tha….aansu to mano sahil ki ksimat ban gaye the.,aur udhar juhi bhi mano boot ban gyi thi……….uski aankho se bhi aansu bah rhe the………..sahil farsh par pade juhi ke pairo se lipta roye ja rha tha…..aaj use uski har bat yad aa rhi thi……….





“’kitna bura sulook kiya hai maine is masoom ke sath……iski kya galti…isne to har kadam par mera bhala hi chaha………kitni bar maine iska dil dukhaya aur isne to kabhi ek lafz nahi kaha…..aaj jab mere hath se har manjil har rasta nikal gya tha to isne fir se mera hath tham liya……..………,,mere sapno ko ek bar fir se udane ke liye hausala de diya…..….sahil is janm me tujhe sukoon ki maut bhi nhi milegi agr is ladki ka karj na chukka saka to….”




Jitni sahil ko apni jadati yad aa rhi thi utna hi dard uske seene me uth rha tha……………ur wo utna hi roye ja rha tha……………..juhi bhi uske pas farsh par hi baith gayi …sahil ka cherhra usne apne hatho me tham liya…………………




“sahil plz aap mat rowo …plzzz…..mujhse tumhare aansu ab bardasht nhi hote…………..mai tumse naraz nhi hu sahil………kitne aansu likh diye khuda ne tumhari kismat me………plz mat rowo sahil……..”juhi jo khud bhi ro rhi thi…..use chup karane ki nakam kosis kar rhi thi….




Sahil ke aansu nhi rook rhe the….use juhi ke sath apna har atyachar yad aa rha tha…..aur har bat yad karke aur jyada rona aa rha tha…..kitna galat kiya hai maine…kisi aur ki galtiyo ki sajaa is masoom ko kyu????????





“tum aisa kaise kar sakti ho juhi,,,,,maine to aaj tak kabhi tumse pyar se bat tak nhi ki aur tum………meri har nafart ka jawab tumne muhabbat se diya…………itani achchhi kyu ho tum………kyu ho tum itnai masoom…….”sahil juhi ki god me sar rakh kar ro rha tha…ab dhhere dheere uske aansu tham gye the…lekin abhi bhi uski siskiya nhi rook rhi thi…………



Achanak juhi ka sar sahil ke sar par pada……….usne juhi ka sar pakad kar uthaya aur uske galo ko thapthapaya………..uski aankhe band thi……………juhi shayd behosh ho chuki thi……………..kamjori ki vajah se aur bahut der rone ki vajah se ……




Sahil ne jaldi se use uthakar bed par litaya aur pas me pade pani ki chand boonde uske chehre par mari……..thodi der me hi juhi ne aanke kholi…………..bahut dino bad sahil use itane kareeb se dekh rha tha……….sachmuch behad kamjor ho gyi thi juhi…………sahil ki aankho me abhi bhi aansu the……….





Usne pyar se juhi ke sar par hath phera……..juhi ke chehre par halki si muskurahat aa gyi…badi bejaan si muskurahat thi……………..





“kya hal banaa liya tumne apna..” sahil ko aaj sachmuch khud se nafart ho rhi thi………….use pta tha ki juhi ki is halat ka jimmedar kuchh had tak wo bhi hai……………..




Juhi ne sahil ka hath apne hatho me le liya aur uske kap-kapate hotho se chand sabd nikle………….



“aapko jeetna hai sahil”




Sahil ne apane hatho me kaid uske najuk se hath ko halka sa daba diya……....uski aankho me ek nischay dikh rha tha aur juhi ke chehre par ek khusi, ek sukoon tha.




“Hum sath jeetenge juhi.”” Sahil ne kaha aur usi waqt kisi ke aane ki aahat huyi aur sahil juhi ke bed se uthkar pas rakhi chair par baith gya.





Juhi abhi bhi uski or dekhkar muskura rhi thi …uski bujhi bujhi si udas aankhe chamak uthi thi.

Post Reply