गुड़िया

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
raj..
Platinum Member
Posts: 3402
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: गुड़िया

Unread post by raj.. » 12 Oct 2014 21:06

वो अब भी घर में है? वो फिर आई तो? वो बेसमेंट से निकल आई तो? पापा ने तो कहा था के फेंक आए उसे? इसलिए वो कल रात मेरे कमरे में आना चाह रही थी क्यूंकी वो घर में ही है?


मेरे दिमाग़ ने जैसे हज़ारो सवाल उठा दिए और मुझे पापा पर गुस्सा आने लगा.

उस रात मेरे लिए सोना मुश्किल था. लाख कोशिश करने पर भी नींद नही आ रही थी. मुझे बस यही डर सता रहा था के वो गुड़िया अब भी घर में ही थी और कहीं फिर कल रात की तरह मेरे कमरे की सीढ़ियाँ चढ़ने की कोशिश ना करे. पर फिर मम्मी को अपनी बगल में लेटी देख कर तसल्ली हो जाती थी के उनके रहते वो मेरा कुच्छ नही बिगाड़ सकती थी.


डरते डरते कब मेरी आँख लग गयी मुझे पता ही नही चला.


और एक बार फिर आहट हुई तो मेरी आँख खुली. हर बार की तरह इस बार भी मैने बगल में देखा तो डर के मारे जैसे जान ही निकल गयी. मम्मी मेरी साइड में नही थी.

"मम्मी कहाँ गयी?" मेरे दिमाग़ ने फ़ौरन सवाल तो उठाया पर कोई जवाब नही दिया. "शायद अपने कमरे में वापिस चली गयी?"


कमरे के बाहर फिर वैसी ही आवाज़ आ रही थी जैसे की कल रात आई थी. एक घिसटने जैसी आवाज़ जैसे कोई बड़ी मुश्किल से चल पा रहा हो.


मैं जानती थी के वो आवाज़ क्या थी.


वो एक बार फिर उठ आई थी. बेसमेंट से निकल कर मेरे कमरे की सीढ़ियाँ चढ़ कर मुझ तक पहुँचने की कोशिश कर रही थी.


"नौ" आवाज़ आई


वो 9 सीढ़ियाँ चढ़ चुकी है मतलब 3 कदम और और वो कमरे के अंदर आ जाएगी.


क्या करेगी वो मेरे साथ? क्या मार डालेगी मुझे? मम्मी कहाँ गयी? सवाल फिर दिमाग़ में उठे और मैने ज़ोर से चीख मारी जो शायद मैने खुद ही नही सुनी. बुखार से मेरा गला बैठ गया था और आवाज़ ही नही निकल पा रही थी. मैने फिर कोशिश की पर कामयाभी हाथ नही आई. मेरे गले से सिर्फ़ हवा ही निकली, आवाज़ नही.


"दस ....." आवाज़ फिर आई.


कहते हैं के जान पर आ बने तो एक चींटी भी अपने आपको बचाने की पूरी कोशिश करती थी मैं तो फिर भी इंसान थी, छ्होटी थी तो क्या. मैं जानती थी के चीखना चिल्लाना काम नही आएगा. मैने फ़ौरन अपने चारो तरफ देखा के शायद कोई बचाव करने के लिए चीज़ मिल जाए पर कुच्छ भी ऐसा नज़र
नही आया.


"ग्यारह ....."


और इसके साथ ही मेरे कमरे की दूर नॉब घूमी. मैं जानती थी के वो बाहर खड़ी दरवाज़ा खोल कर अंदर आने की कोशिश कर रही है.


"वो गुड़िया तो लंगड़ी है ... चलेगी कैसे ... आपके कमरे की सीढ़ियाँ चढ़ेगी कैसे"


मुझे फिर पापा की कही बात याद आई और इसके साथ ही खुद को बचाने का तरीका भी दिमाग़ में आ गया.

गुड़िया लंगड़ी है और मुझे पकड़ ही नही सकती. मुझे सिर्फ़ भागना है. भाग कर मम्मी पापा के कमरे तक पहुँचना है.

मैं फ़ौरन अपने बेड से उठी और तभी उसी वक़्त मेरे कमरे का दरवाज़ा खुला.

जो हिम्मत मैने थोड़ी देर में बटोरी थी वो दरवाज़ा खुलते देख हवा हो गयी. भागने का मेरा प्लान फ़ौरन दरवाज़े को फिर से बंद करने के प्लान में बदल गया. दरवाज़ा थोड़ा सा खुला ही था के मैं फ़ौरन दरवाज़े की ओर लपकी और झटके से दरवाज़ा फिर बंद कर दिया ताकि वो मेरे कमरे में ना आने पाए.


और इसके साथ ही मुझे 2 आवाज़ें सुनाई दी.

एक तो किसी के गिरने की आवाज़ और दूसरी एक बहुत जानी पहचानी आवाज़.

मेरे भाई की आवाज़.


मैं वहाँ दरवाज़े के पास कितनी देर तक खड़ी रही मैं नही जानती पर वो बहुत लंबा वक़्त था. मुझे समझ नही आ रहा था के हुआ क्या पर फिर उसके बाद कोई दूसरी आवाज़ नही आई.

ना किसी के चलने की आवाज़.

ना घिसटने की आवाज़.

ना गिनती की आवाज़.

कुच्छ देर बाद मैने हिम्मत करके दरवाज़ा खोला और नीचे की तरफ देखा. नीचे सीढ़ियों के पास मेरा भाई गिरा पड़ा था और उसके आस पास बहुत सारा खून था जो उसके सर से निकल रहा था.


अगले दिन सुबह घर में हंगामा मचा हुआ था. कभी मम्मी के रोने की आवाज़ आती तो कभी पापा के चिल्लाने की आवाज़ तो कभी किसी और के आने जाने की आवाज़. कभी पोलीस, कभी आंब्युलेन्स कभी कोई तो कभी कोई, जाने कितने लोग आए और कितने गये. हर किसी की ज़ुबान पर एक ही सवाल था,

"ये हुआ कैसे?"

किसी ने मुझसे नही पुछा, किसी को मैने नही बताया. कभी नही. आज तक नही. घर पर मनहूस होने का लेबल एक बार फिर चिपक गया.


"ऑल राइट" मेहरा घर से बाहर आकर बोला तो मेरा ध्यान टूटा "आइ विल बाइ दा हाउस"

समाप्त

raj..
Platinum Member
Posts: 3402
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: गुड़िया

Unread post by raj.. » 12 Oct 2014 21:06

GUDIYA

.

.

.

"You wanna show me inside?" Mehra ne ghoom kar meri taraf dekha

"You know wat?I would rather stay out. I can give you the keys so you can go in and look" Maine jeb se chaabhi nikalte hue kaha

"Are you kidding me? Aap mujhe ye ghar bechna chahti hai aur khud mujhe ye keh rahi hai ke yahan bhoot rehte hain? You believe that shit about the house? Aapko seriously lagta hai ke ye ghar haunted hai?" Mehra hasta hua bola

"Bhoot or no bhoot, main is ghar ke andar nahi jana chahti" Maine chaabi uski aur badhayi.

Mehra ne chaabi mere haath se li aur haste hue gardan aise hilayi jaise tana maar raha ho.

30 saal se ye ghar meri property hai. Marne se pehle Dad ye mere naam kar gaye the par pichhle 30 saal se yahan koi nahi raha, ya yun keh lijiye ke maine rehne nahi diya. Mere pati ne kai baar koshish ki is ghar ko bech diya jaaye par ghar ki location aisi thi ke bahar ka koi kharidne mein interested nahi tha aur aas paas ke log toh is ghar ke naam se hi darte the, kharidna toh door ki baat thi.

Meri is ghar se darr aur nafrat ki vajah bas itni hi thi ke is ghar ki har cheez mujhe 30 saal pehle ki vo raat yaad dilati hai jab mere pariwar ki khushiyan is ghar ki kurbani chadh gayi thi. Us raat yahan jo kuchh hua tha uske baad meri Mummy ne apni baaki ki zindagi ek mental instituion mein guzari aur papa ne sharab ki bottle mein.

Kehte hain ke British Raj ke dauran kisi British officer ne England vaapis jaane ke bajay India mein hi rehne ka irada kar yahan pahadon ke beech ek khoobsurat wadi mein ye ghar banaya tha. Logon ki maani jaaye toh ye us officer ki zindagi ki sabse badi galti thi. Kehte hain ke ghar banne ke kuchh arse baad hi ek subah us officer aur uske biwi bachchon ki laashen ghar ke bahar mili thi. Koi nahi janta ke unhen kisne mara tha par laashon ki halat dekh kar yahi andaza lagaya gaya ke ye kisi jungli janwar ka kaam tha.

Ghar ka doosra maalik bhi ek angrez hi tha. Ek mahina ghar mein rehne ke baad vo aur uski biwi aise gayab hue jaise gadhe ke sar se seeng. Bahut koshish ki gayi par un dono ka koi pata nahi chala, laashen tak haasil nahi hui. Ek baar phir ilzaam jungli janwaron par daal diya gaya.

Ghar ke teesra maalik ek Army major tha. Ghar kharidne ke ek mahine baad vo apne kamre ke phanke se jhoolta hua paya gaya. Suicide ki koi vajah saamne nahi aa paayi. Kehte hain ke Major apni zindagi se bahut khush tha aur apne aapko maarne ki uske paas koi vajah nahi thi. Usne aisa kyun kiya ye koi nahi bata paya par uske baad is ghar mein rehne ki kisi ne koshish nahi ki.

Mere pita kabhi bhoot pret mein yakeen nahi rakhte the. Unka maanna tha bhoot, shaitan jaise cheezen insaan ne sirf isliye banayi hain taaki uska vishwas bhagwan mein bana rahe. Ghar unhen kodiyon ke daam mil raha tha aur apna ek vacation home hone ka sapna poora karne ke liye unhone fauran kharid bhi liya. Jab meri maan ne unhen rokne ki koshish ki toh unhone haskar kaha tha,

"Houses dont kill people. People kill people"

Aur phir ek saal garmiyon ki chhuttiyan manane ham log pehli baar is ghar mein rehne aaye. Mere papa ne kaafi kharcha karke ghar ko renovate kiya tha aur us waqt dekhne se lagta hi nahi tha ke ye ghar itna purana tha.

"Saahib meri baat maan lijiye. Vo ghar manhoos hai, vahan jo raha zinda nahi bacha. Kyun aap apne pariwar ki zindagi khatre mein daal rahe hain?" Vo taxi driver jo hamen ghar tak chhodne ja raha tha raste mein bola tha

"Aisa kuchh nahi hota bahadur" Papa ne haskar uski baat taal di "Agar koi marta hai toh uski vajah hoti hai ek. Bevajah kisi ki jaan nahi jaati"

"Aur jo log yahan mare hain uski vajah ye ghar hai saahib. Is ghar mein jo kuchh bhi basta hai, vo nahi chahta ke uske siwa is ghar mein koi rahe" Bahadur ne hamen rokne ki ek aakhri koshish ki thi par Papa ka irada nahi badla.

Meri umar us waqt 10 saal thi aur mere bhai ki 12. Papa aur Bhai yahan aakar kaafi khush the aur Mummy jo pehle ghabra rahi thi ab Papa ki baaten sun sunkar kaafi hadh tak apne aapko sambhal chuki thi. Rahi meri baat toh ek 10 saal ki bachchi ke liye yahi bahut hota hai ke vo apne pariwar ke saath chhuttiyan manane ja rahi hai jahan vo log bahut masti karne wale the. Ghar, bhoot pret in sab baaton se toh mujhe matlab hi nahi tha.

Aur ghar mein aane ke pehle hi din vo mujhe store room mein padi mili thi. Kareeb 2 ft ki vo gudiya jo us waqt meri kamar tak aati thi aur dekhne se hi bahut purani lagti thi. Uski ek aankh nahi thi aur ek taang tooti hui thi.

"What an ugly doll" Mere bhai ne mere haath mein vo gudiya dekhi toh kaha.

"I like it" Maine usko uthakar dhool jhaadte hue kaha aur lekar apne kamre mein chali gayi. Kaash mujhe khabar hoti ke aane wali kuchh raaton mein sab kuchh kis tarah se badal jaane wala tha.

Agle takreeb ek hafte tak sab kuchh normal raha. Aisa kuchh nahi hua jiska meri maan ko darr tha. Vo har raat sone se pehle kuchh padhkar hamare uper phoonk maara karti thi. Baad mein mujhe pata chala tha ke vo kisi peer baba ki batayi hui dua tha jisko padhkar phoonk maar dene se bhoot pret ya koi gair-insani koi nuksaan nahi pahuncha sakti thi. Vo pehli kuchh raaton mein mere sone tak mere kamre mein rehti aur raat mein bhi kai baaar aakar dekhti ke sab theek toh tha.

Unhein kya khabar thi ke jis museebat se mujhe bachane ke liye vo itna kuchh kar rahi thi, us museebat ko toh main apne apni bagal mein hi lekar soti thi.

Us gudiya ko dekhne se hi maalum hota tha ke vo kaafi purani thi. Jis tarh ki gudiya aaj kal banayi jaati hain, vo us tarah ki nahi thi. Baal bhi kisi purani zamane ki film ki heroine ki tarah banaye hue the.

Vo kam se kam 2 foot oonchi thi ar us waqt badi aasani se meri kamar tak aati thi. Chehre par kai jagah se ghisi hui thi aur un sab jagahon par kaale rang ke dhabbe bane hue the. Right hand ki 2 anguliyan is tarah se kati hui jaise chaaku se kaati gayi hon.

Pyaar se maine uska naam rakha Guddo.

Maine ghar mein kaafi dhoondhne ki koshish ki thi par us gudiya ki ek aankh mujhe mili nahi. Jab Papa ne dekha ke mujhe vo gudiya kuchh zyada hi pasand hai toh unhone aankh ki jagah ek button chipka diya jo uski doosri aankh se kaafi milta julta tha. Plastic ki uski taang kaafi buri tarah se tooti hui thi par phir bhi unhone use bhi koshish karke kaafi hadh tak theek kar diya.

Ek tarah se kaha jaaye toh vo gudiya kaafi badsurat thi jise shayad koi bachcha apne paas na rakhna chahe par na jaane kyun maine rakha aur har raat bistar mein apne saath hi lekar soti thi.

Hamein aaye ghar mein ek hafta ho chuka tha. Us raat bhi hamesha ki tarah main bistar mein gudiya ke saath leti, meri maan ne kuch padhkar mere uper phoonka aur mera matha choom kar apne kamre mein chali gayi.

Unke jaate hi maine gudiya ko khinch kar apne se sataya aur usse lipat kar so gayi.

Der raat ek aahat se meri aankh khuli. Keh nahi sakti ke aawaz kya thi par ek pal ke liye aisa laga jaise koi hasa ho. Main aadhi neend mein thi isliye aawaz par dhyaan na dekar phir se sone ke liye aankhen band kar li aur phir gudiya ke saath lipat gayi.

Doosri baar jab meri aankh khuli toh mujhe poora yakeen tha ke maine kisi ke bolne ki aawaz suni thi. Main fauran apne bistar par uthkar beth gayi aur night bulb ki roshni mein aas paas dekhne ki koshish karne lagi.

Kamra kaafi thanda ho rakha tha aur thand se main kaanp rahi thi. Kuchh pal baad jab meri aankhen halki roshni ki aadi hui toh mera dhyaan kamre ki khidki ki taraf gaya jo ki poori tarah khuli hui thi. Mujhe achhi tarah yaad tha ke jaane se pehle maan khidki band karke gayi thi kyunki pahadi ilaka hone ke karan raat ko sardi kaafi badh jaati thi aur thandi hawa chalne lagti thi jabki us waqt na ki sirf khidki khuli

hui thi balki parda bhi poora ek taraf khiskaya hua tha.

Main uthkar bistar se utri aur khidki tak pahunchi. Vo ghar kaafi purana tha isliye purane zamane ke ghar ki tarah hi us kamre ki khidki bhi kaafi badi aur thodi oonchai par thi. Height mein chhoti hone ki vajah se mere haath khidki tak nahi pahunch rahe the. 2-3 baar maine uchhal kar khidki tak pahunchne ki koshish ki magar kar na saki.

Haar kar maine apne chaaro taraf dekha. Kamre mein bed ke paas ek chhota sa stool rakha tha. Maine andaza lagaya toh uspar khade hokar mere haath bahut aasani se khidki tak pahunch sakte the. Main stool uthane ke liye bistar ki taraf badhi hi thi tabhi mera dhyaan apne bistar ki taraf gaya.

Sote waqt jo gudiya mere saath mere bistar par thi vo ab vahan se gayab thi.

Maine ek nazar neeche zameen par daali ke shayad vo sote hue mere haath lagne se neeche gir gayi ho par gudiya ka neeche bhi koi nishan nahi tha. Main apne ghutno ke bal neeche bethi aur bistar ke neeche dekhne lagi.

Gudiya toh nahi mili par tabhi mere kamre ke darwaze par halki si aahat hui jaise koi darwaza kholne ki koshish kar raha ho. Us ghar ke darwaze kaafi bade aur bhaari thi, itne ke kabhi kabhi toh mujhe bhi koi darwaza kholne mein pareshani hoti thi. Darwaza kamre ke andar ki taraf khulta tha aur Us waqt aa rahi aawaz ko sunkar aisa lagta tha jaise koi darwaze ke us paar khada kholne ki koshish kar raha ho.

Ek pal ke liye meri jaise jaan hi nikal gayi aur par phir agle pal dhyaan aaya ke vo shayad meri Mummy thi jo aadat ke hisab se raat ko kai baar mere kamre mein mujhe dekhne aati thi. Main rahat ki saans li aur khisak kar bistar ke neeche se nikal hi rahi thi ke darwaza ek jhatke se poora gaya.

Main ab bhi bistar ke neeche hi thi jab maine darwaze ki taraf dekha. Darwaza poora nahi khula tha, sirf thoda sa jitna ke andar dekhne ke liye kaafi ho. Aur darwaze ke pichhe se ek jana pehchana chehra kamre ke andar jhaank raha tha. Guddo ko chehra. Jaise vo kamre ke andar jhaank kar ye tasalli kar rahi ho ke main ab tak so rahi hoon.

Mujhe achhi tarah yaad hai ke vo poori raat maine yun hi bistar ke neeche rote hue guzari thi aur agli subah mujhe sardi se bukhar chadh gaya tha.

Agle din maine puchha toh mujhe bataya gaya ke gudiya neeche ke kamre mein sofe par bethi hui mili.

Drawing room mein TV on tha jiske liye Papa uske lakh inkar karne par bhi mere bhai aur Mummy ko hi zimmedar maan rahe the.

"Raat ko 9 baje ke baad koi TV nahi aur jaane se pehle TV band karke jaya karo" Maine Papa ko Bhai par chillate hue suna.

Doctor aaya aur mujhe dawai dekar chala gaya. Bukhar kaafi tez tha aur main poori subah apne kamre mein bistar par hi rahi.

"Aur ye hai meri pyaar gudiya ki guddo" Kehte hue Papa gudiya haath mein liye mere kamre mein daakhil hui.

Aur us gudiya ko dekhte hi fauran mere dimag mein kal raat ki yaad taza ho gayi ke kis tarah vo darwaze ke pichhe khadi mere kamre mein jhaank rahi thi. Darr ke maare mere munh se cheekh nikal padi aur main paas bethi Mummy se lipat gayi.

"Arrey kya hua?" Kehte hue Papa fauran haath mein thaame meri taraf badhe aur main is tarah se cheekhne lagi jaise vo koi saanp haath mein la rahe ho aur munh mummy ke pallu mein chhupa liya.

Thodi der ke liye kisi ko kuchh samajh nahi aaya par mera bartav dekh kar Mummy samajh gayi aur papa ko ishare se gudiya door karne ko kaha.

"Kya hua beta? I thought you liked it" Papa ke jaane ke baad unhone pyaar se mere sar par haath pherte hue kaha.

"She is alive" Maine subakte hue kaha "I saw her walking last night"Aur uske baad maine kal raat ki poori baat unhein batayi. Ke kis tarah mere kamre ki khidki khuli hui thi, aur kaise vo gudiya darwaza khol kar kamre se bahar nikal gayi thi.

"TV usne on chhoda tha mummy" Maine unhein samjhana chaha "Vo mere kamre se nikal kar bahar gayi aur TV on karke khud TV dekh rahi thi. Aur kamre ki khidki bhi usne kholi thi"

Meri baat sun kar maan has padi.

"Aisa kaise ho sakta hai bachche? Vo chhoti si gudiya itni badi khidki kaise kholegi? Us khidki tak toh aapna haath bhi nahi pahunchega"

"Toh khidki kaise khuli?" Maine puchha

"Main bhool gayi thi khidki band karna. Aise hi apne kamre mein chali gayi aur meri pyaar bachchi bimar pad gayi. Aur vo Gudiya TV dekh kar kya karegi?" Unhone haste hue kaha par main jaanti thi ke vo mujhe behlane ke liye jhooth bol rahi hain.

raj..
Platinum Member
Posts: 3402
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: गुड़िया

Unread post by raj.. » 12 Oct 2014 21:07

Thodi der baad Papa mere kamre mein aaye aur unhone bataya ke vo Gudiya ko ghar se bahut door phenk kar aa gaye hain.

"Ab aapko darne ki koi zaroorat nahi"

"Vo vaapis aa gayi toh?" Maine phir bhi darte hue puchha

"Ham use vahan door khaayi mein phenk kar aaye hain" Papa ne kaha "Aur vo gudiya toh vaise bhi langdi hai, Chahe bhi toh itna door nahi chal sakti. Aur phir aapke kamra bhi toh 1st floor par hai na. Aapke kamre ki sidhiyan vo langdi gudiya kaise chadhegi bhala?"

Main unki baat sunkar has di par phir bhi dil ko jaise tasalli nahi hui.

"Maine aapke saath so jaoon please?" Maine unse puchha

"Mummy yahan aapke kamre mein aapke saath soyegi" Mummy ne bed par mujhe apne kareeb khinchte hue kaha

"Aur vaise bhi toh aapki tabiat kharab hai na bachche. Ham aapko akela kaise sone de sakte hain?"

Poora din mere bukhar mein koi tabdeeli nahi aayi jiska nateeja ye hua ke main bistar se uth hi nahi paayi. Dawaiyan khaaye main bed par padi poora din soti rahi.

"Aap aaj mere saath soyengi na?" Maine dinner table par maan se puchha. Shaam hote hote mera bukhar kaafi kam ho chuka tha isliye raat ke dinner ke liye Papa mujhe uthakar niche hi le aaye the. Mujhe darr tha ke kahin ye soch kar ke mera bukhar utar gaya hai, Mummy mere saath sone ka apna irada badal na den.

"Haan ji beta" Maan ne jawab diya "Mummy aapke saath hi soyegi"

Aur aisa hua bhi. Us raat jab main soyi, toh mera sar maan ki bagal mein tha. Main poora din soyi thi isliye maan ke sone ke baad bhi kaafi der tak jaagti rahi thi. Aur jab soyi, toh aisi kachchi neend ke halki si aahat par bhi meri aankh khul jaati thi. Aur jaise hi meri aankh khulti, main sabse pehle Mummy ko dekh kar ye tasalli karti ke vo ab bhi mere saathi hi hain aur uske baad doosri tasalli ye karti ke

darwaza khula hua nahi hai.

"Vo langdi guidya bhala kaise aapke kamre ki sidhiyan chadhegi?" Mujhe papa ki kahi baat yaad aati toh thoda hausla aur mil jata.

Raat yun hi aankhon aankhon mein aur jaagne sone ka khel karte hue guzar rahi thi.

Aisi hi ek aahat par meri aankh phir khuli. Har baat ki tarah is baar bhi sabse pehle maine mummy aur phir darwaza band hone ki tasalli ki. Phir mera dhyaan us aawaz ki taraf gaya jiski vajah se meri aankh khuli thi.

Aawaz darwaze ki taraf se aa rahi thi. Main darr se seham gayi aur Mummy ka haath thaam liya. Aahat ek baar phir hui toh mujhe yakeen ho gaya ke aawaz darwaze ki bahar se aa rahi thi.

"Ek ......"

Aawaz phir aayi toh is baar mujhe saaf sunai di. Badi ajeeb si aawaz thi jaise koi haanfta hua bol raha ho.

"Do ......"

Aawaz ke saath saath saans ki aawaz bhi saaf sunai de rahi thi jaise koi bahut bhaag kar aaya ho aur badi mushkil se chal pa raha ho.

"Teen ......."

Aur iske saath hi Papa ki kahi baat bhi jaise ek baar phir mere kaan mein goonj uthi.

"Ham use bahut door phenk kar aaye hain beta ..... aur vaise bhi, langdi gudiya aapke kamre ki seedhiyan kaise chadhegi?"

"vo MERE KAMRE KI SEEDHIYAN CHADH RAHI HAI .... VO VAAPIS AA GAYI HAI !!!!!" Mere dimag mein jaise bomb sa phata.

"Chaar ......"

Aur iske saaath hi maine bagal mein leti apni maan ke kandhe ko pakad kar zor zor se hilana shuru kar diya.

Thodi der baad hi subah ki halki halki roshni chaaro taraf phel gayi par hamare ghar mein sab log jaag chuke the.

"Maine kaha tha na ke yahan mat aao. Kuchh hai is ghar mein" Bahar Mummy Papa ke saath jhagda kar rahi thi.

"Oh come on !!!" Papa ne jawab diya "Tum bhi kya bachcho ki baaton mein aa gayi. Vo ek chhoti bachchi hai aur dari hui hai"

"Jo bhi hai par kya tumne nahi dekha ke darr ke maare us bechari ki halat kaisi ho rakhi hai? Bukhar mein kaanp rahi hai vo. Darr ke maare uska gala beth gaya hai. She can barely speak"

"Doctor ko bula bheja hai maine" Papa ne jawab diya

"Baat Doctor ki nahi hai. I dont wanna stay in this house anymore. Lets go back"

"And ruined our vacation?"

"Is your vacation worth the life of your daughter?"

Is baat ka shayad Papa ke paas bhi koi jawab nahi tha. Kuchh pal ke liye khamoshi chha gayi.

"All right, we will head back tomorrow" Unhone Mummy ki zid ke aage hathyaar daalte hue kaha.

Main badi mushki se apne bed se uthi aur darwaze tak aayi. Darwaza kholkar maine apne kamre ke bahar ki seedhiyan gini. Poori 11 seedhiyan.

Raat ki aawaz ki taraf maine phir se dhyaan diya. Seedhiyon par koi nishan toh nahi the par mujhe yakeen tha ke vo aawaz us gudiya ke ghisatne ki thi. Vo langdi thi aur apne ek paon ko khinchte hue seedhiyan chadh rahi thi.

Maine fauran darwaza band kiya aur aakar bed par let gayi.

"We will head back tomorrow" Papa ki kahi baat ne mujhe tasalli toh di thi par ek bada sawal ab bhi baaki tha. Aaj ki raat kuchh hua toh?

"By the way, vo gudiya hai kahan?" Mummy ki bahar se phir aawaz aayi

"I threw it in the basement"

Vo ab bhi ghar mein hai? Vo phir aayi toh? Vo basement se nikal aayi toh? Papa ne toh kaha tha ke phenk aaye use? Isliye vo kal raat mere kamre mein aana chah rahi thi kyunki vo ghar mein hi hai?

Mere dimag ne jaise hazaro sawal utha diye aur mujhe Papa par gussa aane laga.

Us raat mere liye sona mushil tha. Lakh koshish karne par bhi neend nahi aa rahi thi. Mujhe bas yahi darr sata raha tha ke vo gudiya ab bhi ghar mein hi thi aur kahin phir kal raat ki tarah mere kamre ki sidhiyan chadhne ki koshish na kare. Par phir mummy ko apni bagal mein leti dekh kar tasalli ho jaati thi ke unke rehte vo mera kuchh nahi bigad sakti thi.

Darte darte kab meri aankh lag gayi mujhe pata hi nahi chala.

Aur ek baar phir aahat hui toh meri aankh khuli. Har baar ki tarah is baar bhi maine bagal mein dekha toh darr ke maare jaise jaan hi nikal gayi. Mummy meri side mein nahi thi.

"Mummy kahan gayi?" Mere dimag ne fauran sawal toh uthaya par koi jawab nahi diya. "Shayad apne kamre mein vaapis chali gayi?"

Kamre ke bahar phir vaisi hi aawaz aa rahi thi jaise ki kal raat aayi thi. Ek ghisatne jaisi aawaz jaise koi badi mushkil se chal pa raha ho.

Main jaanti thi ke vo aawaz kya thi.

Vo ek baar phir uth aayi thi. Basement se nikal kar mere kamre ki seedhiyan chadh kar mujh tak pahunchne ki koshish kar rahi thi.

"Nau" Aawaz aayi

Vo 9 seedhiyan chadh chuki hai matlab 3 kadam aur aur vo kamre ke andar aa jaayegi.

Kya karegi vo mere saath? Kya maar daalegi mujhe? Mummy kahan gayi? Sawal phir dimag mein uthe aur maine zor se cheekh maari jo shayad maine khud hi nahi suni. Bukhar se mera gala beth gaya tha aur aawaz hi nahi nikal pa rahi thi. Maine phir koshish ki par kamyabhi haath nahi aayi. Mere gale se sirf hawa hi nikli, aawaz nahi.

"Dus ....." Aawaz phir aayi.

Kehte hain ke jaan par aa bane toh ek cheenti bhi apne aapko bachane ki poori koshish karti thi main toh phir bhi insaan thi, chhoti thi toh kya. Main jaanti thi ke cheekhna chillana kaam nahi aayega. Maine fauran apne chaaro taraf dekha ke shayad koi bachav karne ke liye cheez mil jaaye par kuchh bhi aisa nazar

nahi aaya.

"Gyarah ....."

Aur iske saath hi mere kamre ki door knob ghoomi. Main jaanti thi ke vo bahar khadi darwaza khol kar andar aane ki koshish kar rahi hai.

"Vo gudiya toh landgi hai ... chalegi kaise ... aapke kamre ki seedhiyan chadhegi kaise"

Mujhe phir Papa ki kahi baat yaad aayi aur iske saath hi khud ko bachane ka tarika bhi dimag mein aa gaya.

Gudiya langdi hai aur mujhe pakad hi nahi sakti. Mujhe sirf bhagna hai. Bhaag kar Mummy Papa ke kamre tak pahunchna hai.

Main fauran apne bed se uthi aur tabhi usi waqt mere kamre ka darwaza khula.

Post Reply