Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 26 Jan 2016 18:06

UPDATE 13
"aapne mujhe yaad kiya hai maharaj?" aprajita hath jodey khadhi thi, uske nazdeek khada tha balraj!!!


kamrey k bicho - beech , farsh par palthi maarey baitha markandey balraj ko ghoor raha tha - jaise aankhon he aankhon mein pooch raha ho ki woh sath kiun aaya hai - balraj ke honthon par mojood shararty muskaan ko dekhkar woh sakpka gaya, bola - "haan devi baitho!!"


harey rang ki saarhi ka pallu sir par daaley aprajita pooran shradha ke sath uske samney baith gayi!!


balraj khadha raha!!


rustam or monicka maarkandey k right or left baithey the, maheesh ek kone mein!!!!!


markandey ne baat shuru ki - "hum ekaant mein baat karna chahtey hain devi!"


aprajita ne kaha - "balraaj chacha ji begaane nahi hai maharaj!"


markandey samjh gaya balraj ka aprajita pe pooran shikanja hai, bola "fir bhi ekaant ka arth pooran ekaant!"


"aap bahar jao chachaji" ekaek aprajita ne kaha!


"par" balraj ne kuch kehna chaha par aprajita ne sune bina kaha - " maharaj ki kahi baat ko pura karna hamara farj hai!"


balraj ne mar kandey ko aise ghoora jaise kacha chbha jayega, par aprajita k aadesh k baad ab baaki kuch na reh gaya tha, kamrey k darwaze ki taraf badha - markandey vijeta ke se andaaj me monicka se bola - "tum log bhi bhahar jao!"


"hhh hum bhi maharaj ?" monicka hairan hotey huye boli!"


markandey ne shahi andaaz mein kaha - ekaant matlab .... pooran ekaant!"


na chahtey huye bhi monicka,rustam or maheesh ko isiliye bahar jana padha kiun ki aprajita ki nazar mein woh markandey ke chele the!


kamrey mein markandey or aprajita reh gaye!


kareeb ek mint ki khmooshi k baad markandey bola -jaisa ki humne kaha tha - devi humko daulat ka koi laalach nahi hai, magar iss duniya ne paise ko itna jiyada mahtav dediya hai ki uske bagair saans tak nahi lee ja sakty - ab dekho na, gudiya ko bramrakhshash ke kabze se nikalne ke liye humein anushthan karna hoga or ussmein jo saamgri, bagair paise ke nahi aa sakty! maamla paanch dus lakh ka nahi balki 50lakh ke aas paas ka hai, aakhir bramrakhshash se chhutkara.......



"crore... 2crore..... 10crore ka bhi ho toh bhi aap hicke nahi!" uski baat puri hone se pehle he aprajita ne kaha - "kiran ke samney iss sab ki hasiyat na hamarey liye hai, na balraj liye - paisa hath ka maiyll hai, hamari gudiya ko kuch hogaya tau...........


"hum gudiya ko kuch nahi hone daingey!"


"theek hai maharaj!" woh khadhi hoty hogayi - "main 50 lakh bejti hu!"


"ruko devi" markandey ne baithne ka ishara kiya! or bola - " yeh tau sunn lo itna paisa kaise or kahan kahan kharch hoga!"


"mujhe nahi jaankari chahiye maharaj" aprajita boli - " kewal itna janti hu mujhe sirf gudiya chahiye, paisa paani ki trha behta hai beh jaane do! - or aap mein mera vishwas hai - aap he gudiya ko musibat mein se nikal saktey hai , kiun ki doctor bhi kuch na kar sakey - woh aapke ek chhotey se baal ne kar dhikhaya !"


markandey k pass bolne ko kuch na bacha tha, woh aprajita ko jatey huye dekhta reh gaya!

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 26 Jan 2016 18:07

UPDATE 14
"kamaal hogaya!" marey khushi k pagal huya ja raha markandey kehta chala gaya - "apun ne socha tha ki 50 lakh jhatakne k liye lambhi chauri bhumika bhandni padeygi - samjhana padeyga ki kahan kya kharch hoga or samjhane ke liye apun ne khopdi mein vicharon ko bhar bhi liya tha parantu woh aprajita kuch sunney ko tyaar nahi hui, bus keh kar uth gayi ki 5o lakh bej rahi hu!"


rustam,maheesh,monicka mein se koi kuch na bola!


sb khamosh khadey ussey ghoor rahe the!


"kya huya - tum log yeh sunney k bawjood khush najar nahi aarahe ki kuch time baad hum 50 lakh k maalik ban jayeingey!" markandey apni dhun mein bolta chala gaya!


rustam aagey badha or laghbhag gurratey huye poocha usne - "tumne hum sab ko bahar kiun beja!"


"ohh, issliye mood ukhadey huye hain - markandey bola majboori thi friends - balraj ko kamrey se bahar nikalne ki dhun mein apun apne he jaal mein iss kadar fans gaya ki woh kadam uthana padha !"


"ab se tu kabhi iss trha apne jaal mein nahi faseyga !" yeh baat maheesh ne gussey mein kahi!


"kiun , kya matlab?" markandey pehli baar chownka - " iss andaz mein apun se baat karne kya matlab huya?"


"matlab seedha hai markandey!" rustam ka lehja hinsak ho utha - " dramey mein mukhya tantrik ki bhumika nibhane ka matlab yeh nahi ki tu sach much humein apne chele chaapatey samjhne lagey - ab se aprajita ya balraj se jo baat hogi sabke samne hogi!"


"aakhir.... aakhir tum log soch kya rahe ho?" maarkandey cheekh padha - "kya tum sab ko apun pe vishwas nahi raha?"


maheesh bola - "jab tumne he hum par vishwas nahi kiya toh hamara vishwas kahan se reh jata?"


"offofoho .... tum pagal hogaye ho!" markandey mano apne baal noch dalna chahta tha - "jara si baat ko itna tul de baithey - samjh kiun nahi rahe ki apun ne balraj se kaha tha ki aprajita se akele mein baat karni hai - iske bawjood woh uske sath chipak k aagaya - sath he muskura bhi raha tha jaise apun ko chhidha raha ho - sabak sikhane ke liye khud aprajita dowara bahar nikalwaya - uss halat mein bhala tum logon ko......."


rustam markandey ki baat ko katey huye bola - "hum kewal yeh chahtey hain ki aisi bhool aainda na ho!", or paison ki jo bhi baat hogi sabke samne hogi, warna hum yeh drama nahi chalne daingey!"


"kamal ki baat kar rahey ho yaar, - woh baat paida kar rahe ho jiska koi aastitav he nahi hai" markandey naraj hota huya bola!


"nahi hai toh achha hai!" maheesh ne kaha "sabki bhalai bhi issi mein hai, sab mil k raho!!

Continue... 2pm next[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 26 Jan 2016 18:08

UPDATE 15

Halanki markandey , rustam , monicka , maheesh ke beech abhi tanaav tha, parantu kamrey mein dakhil hotey balraj par najar padtey he sb samaanay najar aaney lagey!!!


balraj k mastak par paseena ubhra huya tha!


aatechi ko kamrey k bichobeech patak kar woh lambhi lambhi sansein lene laga!!!


markandey ne kaha " kaafi bhari maloom padty hai"


"bhari toh hogi he!" monicka boli -"aakhir 50 lakh hain!"


balraj ekaek gurraya - "tum bewkoof ho mr markandey!"


markande "lo.... aatey he tamgon se nawajne lagey sahab, aisi kya galti hogayi apun se?"


"tumne aprajita se 50 lakh mangey, kewal 50 lakh - moonh faadne se pehle tumein mujhse baat karni chahiye thi!"


markandey bhi taish mein aatey huye bola - " tum kya kartey?"


"tumein batata ki kya manga jana chahiye?" balraj poori trha ukhdha huya tha - "magar tum .... tum tau jaise khud ko duniya ka sabse akalmand aadmi samjhtey ho - mujhe he kaatne chaley the, ab dekh lo ..... kon lekar aaya hai paisa aatechi mein?"


"sidh ho chuka hai balraj, aprajita par tumne achha kabza jama rakha hai" monicka ne jawab diya!!!


rustam ne pucha - " vaise tumharey khyaal mein kitna maangna chahiye tha?"


"kam se kam 2 crore!" balraj ne jawab diya!


"2 2 2 2 2crore ?" sab ke halak se siskari si naikal gayi!


" haan markandey, par tumne akalmandi dhikhane k chakkar mein bewkoofi kar ke nuksaan kara diya!" balraj kehta chala gaya - " tum .... tum saaley gandi naali ke keedey,andaza tak na laga sakey ki APRAJITA jo arbon kharbon ki malkin hai, usski nazar mein apni masoom gudiya ki kya kimat hosakty!"


"aee balraj!" markandey ne chetawani di - "apun ko baar baar gali mat do!"


"tau aarti utaaru tumhari, sara plan chopat kar k rakh diya!"


"kaisa plan ?" sb chownk gaye!


"50 lakh tumein dekar, 50 lakh kapatantar ko bhi toh dene the,aakhir kar toh sab woh he raha hai, ek crore apne pass rakhna tha - mujhe bhi kuch chahiye ya nahi..... ya sab tum ko khilane ke liye he kar raha hu...?" balraj gussey mein bola


bolraj chhup hone ka naam he nahi le raha tha fir bola - "aagey se mujhse poochey bina koi baat nahi karogey aprajita se, hoshiyari se kaam laingey toh hum sab mala mal hojayeingey - aprajita ke dilo-dimag ke har koney mein yeh baat ghar bana chuki hai ki KIRAN GUDIYA ko agar koi theek kar sakta hai tau woh tum ho or isi kaaran jo tum maangogey, woh usko jiya nazar nahi aayega!"


"galti maan li balraj, kaan pakadta hu - aageyse se apun ussse kuch mangeyga he nahi- jo mangna ho , apun ke naam se tum khud maang lena!" haar mantey huye markandey bola!!!


kamrey mein sanaata chhaa gaya!!!!


balraj ne sanaata todtey huye kaha - "RUDRA ki traf se laparwah mat ho jana - woh sab khojbeen mein mashgool hai ki main tumein kahan se laya hu - or sab kiska kiya karaya hai" uski paini najron se bach k zara,woh deewaron k paar horahi harkaton pe nazar rakta hai,achha ab chlta hu!


Post Reply