Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 27 Jan 2016 18:22

UPDATE 16markandey,rustam,monicka,maheesh 1000 1000 k bundle ginn-ney mein busy the k toofan aagaya hall mein.


"maharaj ... maharaj!" hall ki sabse nichli seedhi par khadhi APRAJITA paaglon ki tarha itni jor jor se chillla rahi thi ki saari villa mein uski aawaaz ghoonj uthi! hudhkump machna tha, so macha!


apne apne kamron se nikal kar balraj chacha or yogesh hall mein aagaye!


woh ek he baat chilla rahe the -"kya huya ... kya huya?"


parantu!


aprajita ko kisi k sawaal ka jawab dene ka hosh na tha. woh lagatat maharaj ..... maharaj chillati rahi !


balraj ne najdeek pohanchkar jhanjhodtey huye poocha -"kya huya beti ... kya huya ?"


aanchal cheekhon ne first floor par bhi bhaghdhar macha di thi - markandey, or chele chapatey sb room se bahar nikley....


uper se markandey ne poocha - " kya huya devi ?"


Aprajita cheekh padhi " kiran ko hosh aaraha hai maharaj orr or ... or woh fir se pait dard ki shikayat kar rahi hai !"


"ohh , main aata hu!" markandey teji se neechey utrartey huye monicka, rustam , maneesh se kaha - " apne jholey lete aana sb !"


baat kehne ke baad halaanki aprajita bhi vapas gudiya ke room ki taraf bhaghi parantu balraj uss-se pehle wahan pohanch chuka tha - gudiya sachmuch bistar par dard se chhatpta rahi thi - apne dono hathon se kasskar pait ko bheench rakha tha usne !



moonh se baar baar ek he lafaz nikal rahe the "didi .... didi ... didi .... pait me...re pa..pa..it mein da..r....dddddd!"


markandey kamrey mein dakhil huya - halanki gudiya se uska koi bhawnatmak lagaw na tha, woh ek trha se inn logon ko lootne he aaya tha - parantu jiss assimat aasehniye dung se gudiya dard se chhatpta rahi thi usko dekhkar markandey ki bhi aankhein bhar aayi...!



beinteha dard ke karan uski awwaz tak sapast nahi nikal rahi thi !


"kuch kiziye.... maharaj kuch kiziye!" aprajita ussey pakad kar janjhodhty chali gay -" mujhse yeh dekha nahi jata - meri gudiya ko bacha lijiye maharaj.... meri kiran ko bacha lijiye !"


kamrey mein mojood har shaksh ki rulaai foot gayi !


cheekhty huyi aprajita neechey baithti chali gayi or ab markandey ke pair pakdey gidgidha rahi thi!


tabhi apna apna jhola sambhaley rustam, monicka, or maheesh pohnche 1


markandey ne balraj se kaha - "apni bhatizi ko sambhalo !"


balraj ne roty bilkhty aprajita ko sambhala!


markandey bed k najdeek pohncha - haalanki use pehle se maloom tha ki aise halaat mein kya karna hai - magar natakbazi bhi jaroori thi isiliye ek hath se machal rahi gudiya kki baju pakdi or uski palkon ko utha utha kar aankhein dekhne laga! or fir


palatkar aprajita se bola se bola - "chinta mat kro devi, yeh abhi theek hojayegi!"


aprajita subakty rahi!


"apne jholey se chhachundar ke paishab ki sheeshi nikalo rustam!" markandey bola!


rustam ko maloom tha kya nikaalkar dena hai - so .....usne jholey se ek bohat he chhoty si seeshi nikali or aagey hotey huye markandey ko pakda di!


markandey ne monicka ko hukam diya - " tum khadi kya kar rahi ho.... gudiya ko kass kar pakad lo !"


monicka bed pe chadh gayi or kiran ko kass k pakad liya!


subakti aprajita sthir khadhi sab kuch dekhty rahi!


markandey ne bari bari gudiya ki dono aankhein kholi sheeshi mein se ek ek boond tapkai, sath mein bola- "kasskar pakdey rehna, kuch second tak yeh bohat jor jor se chhatpatayegi!

or huya bhi vaisa he !


kuch seconds baad he gudiya ekdam shaant padh gayi - " bus .... monicka ab pichhey hatt jao !" markandey garja !


monicka ne aadesh ka palan kiya!


gudiya ki palkein holey holey kaanmp rahi thi, jaise khone ka prayas kar rahi ho, aprajita ne pucha - "kya yeh fir se behosh hojayegi maharaj?"


"nahi devi" marakandey ne jawab diya - "bus devi dekhti raho"


OR dekhtey he dekhtey gudiya ne aankhein khol di - peedha ka koi bhaw ab uske chehrey pe door door tak na tha, aankhein kholtey he uski najar aprajita par padhi or bahein pasaar kar keh uthi "didiiiiiiiii"!


"gudiya, meri behan meri betu!" nihaal hokar aprajita kiran se ja lipti !"


" didiii .... didi - tum ro kiun rahi ho ?" kiran ne pucha - " kya baat hai ?"


"kuch nahi gudiya betu, kuch nahi !" aprajita na chahtey huye bhi ro padi! balraj ne kaha beti khud ko sambhalo!


"arrey chachu ?" gudiya bed se neechey utarti huyi - " didi kiun ro rahi hai?"


"kuch nahi beti !" balraj ne kaha - "khushi ke aansoo hai!"


"khushi ke aansoo... magar khushi ki kya baat hai chachu?" gudiya ne masoomiyat se pucha..


balraj ko kuch soojha nahi , so bola- "tum so-kar uthi ho na ?"


"mere sokar uthne mein itni khushi ki kya baat hai?" khud he swaal kiya gudiya ne or fir khud he mastak par ball-daalkar keh uthi "arrey haan , aisa kiun lag raha hai ki main bohat din baad so kar uthi hu,kya main kai din baad uthi hu chachu ?"


"arrey yeh log kon hain chachu ?" uski najar monicka rustam or maheesh par padhi !


"maharaj ke chele hai gudiya"!


"maharaj ?"


"bhool bhi gayi, yeh rahe !" balraj ne ek traf khadey markandey ki traf ishara kiya or uss par najar padtey he kiran ki aankhein sthir hogayi!


chehra drawna sa hota chala gaya gudiya ka ! gussey se aankhein laal, baaju fadakne lagey!


"kiran ..... kiran !" aprajita ne use jhanjhoda - " kya huya gudiya?"


" haaattttttttt " ( ek shaitan k jaisi awaaz nikli gudiya k moonh se) bohat jor ki hunkaar ke sath gudiya ne aprajita ko itna jor se jhtka diya ki woh ek cheekh ke sath bed par ja girri - achanak woh itni drawani lagne lagi ki sabhi seham kar pichey hatt gaye jabki markandey ki aankhon mein aankhein daal kar gurraa uthi gudiya "tuuuuuuuuuu?"


"haan main!" markandey isiliye muskra saka kiun ki ussey maloom tha ki ab kya hoga!


"tau tuuuu he hai jisne meri aankhon mein dhool jhonki?"



"haan main hu!" markandey cheekha - " kya kareyga mera?"


" main tujhe andhey kuyein mein latka kar faansi dunga !" gudiya ke moonh se ek shaitan ki awaaz nikli!


" tu....ha..ha...ha... !" markandey hasta raha kuch pal - " tu mujhe latkayega andhey kuyein mein ?"


gudiya ne daant kitkitaye - " abhi tu mujhe janta nahi hai marrdood !"


"toh bta de kon hai tu?" markandey hansa huya bola!


" teri maut " kehne k sath he gudiya ne jump lagayi tau markandey ko sath liye farsh par ja girri - dono mein yudh chhidh gaya bhayanak yudh!


markandey ek khooni darinda tha tau doosri taraf ek masoom c gudiya !


gudiya ne tau markandey ko footbaal samjh kar khelna shuru kar diya iss time markandey hall mein padha huya chilla raha tha! rustam sheeshi ki boondein daalo iski aankhon par , yeh hum pe bhari padd raha hai, rustam or maheesh ne dhokhey se gudiya ki aankhon mein sheeshi se kuch boondey girra di!


gudiya iss se pehle zameen pe girty aprajita ne bhagtey huye usko apni bhahon mein jhakad liya ! gudiya na kewal shant thi balki aisa lag raha tha saalon se apni didi ki bhahon mein so rahi ho !



gudiya ko aprajita or monicka ne ander bed pe litta diya !


aprajita " maharaj yeh sab kya huya ? achhi khasi gudiya aapko dekhtey he shaitan mein kaise badal gayi! " aisa kb tak chaleyga maharaj ?!"


"sthai ilaaz ek he hai , MAHA-ANUSHTHAN hai, or uski tyaari mein hum lagey huye hain !" kehne ke sath markandey ne charon or dekha, or bola - " kya baat hai - woh maha-paapi najar nahi aaraha jisko mantar-tantar shakti par baal-brabar vishwash nahi hai ! kahan hai RUDRA!


sab hairat mein the RUDRA gaya tau gaya kahan!

RUDRA ?
************

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 27 Jan 2016 18:23

UPDATE 17
RUDRA ne kaha - "mujhe aapse nahi, kapaltantar se milna hai !"


" hahaha main he kapal tantar hu bacha !" karoop mahila jor se hastey huye boli!


RUDRA chakit reh gaya, bola - " main soch bhi nahi sakta tha yeh naam mahila ka hoga !"


karoop mahila fir se ho..ho..ho.. hahaha karke bhadhe andaaz mein hasne lagi - tehkhane mein agarwation se aarahi badwoo k dhuyein se RUDRA ka pehle he bura haal tha, uper se mahila k hasne se k bhadhey andaaz ne RUDRA ko bechain kar diya !


rudra ka zee chah raha tha jahan se bhaagh jane ko orr khuli hawa mein jakar jor jor se lambhi sansein lene ko , magar jiss kaam se aaya tha usko bhi aadhura nahi chhodh ke ja sakta tha , isliye mahila k bolne ki wait kar raha tha -



mahila ke moonh se bhayanak aawaz nikali _ " yeh mahila hai, woh purash - waah , kitna sundar bhram paaley huye hai sansar k log jabki bastav na koi mahila hai na purash - jaise main - na mahila hu , na purash - jab jiss shareer mein jana chahu chala jata hu - abhi mahila keh rahe ho , shreer badal li tau tumhi mujhe purash kahogey !


" kya bakwas hai?" RUDRA ne bura sa moonh banya - " main aapse kuch kaam ki baatein karne aaya hu mr kapaltantar!"


najdeek khadey chakarwaat ne kaha - " kapaaltantar nahi maharaj kaho vtas .. maharaj kaho!!"


"achha maharaj he sahi !" RUDRA BOLA - "kya aap mere kuch sawalon ka jawab dogey?"


karoop mahila "tab.... jab tumein tantar mantar vidhya par vishwas ho!"


RUDRA ne saaf saaf kaha - meri tantar mantar mein koi aastha nahi hai !


"yeh he tau dukh hai" aurat ne kaha - "mulk ki yuva peedhi tantar mantar mein vishwas he nahi karty... "


bore hogaya RUDRA , bola " main aapki bakwas sunney nahi aaya hu , apne kuch sawalon k jawab lene aaya hu.... - aap nahidena chahtey tau jau ?"


aurat boli " beta hum dhikhatey hai chamatkaar fir tau maanogey tantar mantar , uske baad tumharey jawab bhi daingey " - kehne k sath he RUDRA KO Lagbhagh jabardasti khinchti hui hawan kund ke dusri taraf le gayi - zameen par padey ek shreer ki traf ishara kartey huye fir boli - " jantey ho kiska shreer hai yeh ?"


rudra naa mein sir hila deta hai....


karoop aurat utezit thi - " hamara shreer hai yeh"


"tumhara shareer hai ?" RUDRA ko hansi aagayi !


"haan hamara , tum hanss rahe ho ?" uss ne drawani aankhein RUDRA ke chehrey par gadha di - "hamari batein majak mein le kar hass rahe ho na - ab jb tum sab apni aankhon se sab dekhogey tau hass nahi sakogey !"


RUDRA kya dhikhana chahti hai aap?


" iss jism ko check kro ! " aurat ne kaha - " nabaj - naadhi - saansein - dhadkan aadhi check karke batao ki tumharey mutabik iss jism mein jaan hai ya laash hai yeh ?"


RUDRA ne check kar k kaha " laash hai yeh"


"pakka" or "bhi kuch check krna chaho tau kar saktey ho kiunki ... " aurat chupp kargayi !


"kiunki?" kya rudra ne pucha!


"kuch dair baad iss laash ko khadhi hotey dekhogey!" aurat muskra di!


"kya bakk rahi ho tum? RUDRA uchhal padha - "yeh kaise hosakta hai?"


"dekho!" aurat ne samadhi laga li!


RUDRA ne sab woh he dekha jo pehle yogesh , balraj aadhi sab dekh chuke the !!!


or KAPALTANTAR ko uth-ta dekh RUDRA ke dimag ka fuse he udh gaya ! or or jb woh bola! jo awaz pehle aurat k moonh se sunn raha tha rudra woh he awaaz kapaltantar k moonh se sunkar dimag ghoom gaya tha RUDRA ka!


"yeh kaise hosakta ?" rudra bola!


"sciece tumne jaroor padhi hogi !?" bola kapaltantar !


rudra ne haan mein sir hila diya!


uske baad tarak bitark ! bohat lambha bhashan diya kapaltantar ne! (uffffffff main bore hogi koi bachao kapaltantar k bhashan se 4update ka bhashan apko bore nahi karungi )


RUDRA "jiss dung se aapne samjhaya shreer badalne ka main samjh gaya or maan bhi gaya yoga se kuch bhi aasan hai"


rudra aagey bola - " kya koi tantrik apne sthan pe baithey baithey meelon dhoor mojood kisi ko bhi bhimar kar sakta hai?"


RUDRA ne apne matlab ka sawal pooch he dala!!


"yakinan!" kapaltantar ne kaha - "aadmi ki mirtyu bhi karwai ja sakti hai" !!!!


RUDRA ne jo mehsoos kiya ussey khuley dil se swikaara bhi - main tantar - mantar mein vishwas nahi karta tha - magar aapse baat karne k baad maanney laga hu ki yeh bhi ek trha science ka he part hai, ab main apne yahan aane ka karan batana chahunga!


"bolo"


rudra "ek bohat pyaari c gudiya hai kiran, usko kisi dust tantrik ne bimar kar diya hai!" kya uska ilaz hosakta hai tantar mantar se?


rudra sab btata chala gaya shuru se end tak ..


balraj ka naam sunn k chownka kapaltantar " balraj kon?"


rudra btata hai kiran ka chacha hai!!!!!!!!!!!


kapaltantar "ohhh ... magar hoshiyaar rehna, sab ko hoshiyar bhi kar dena - tantar vidhya darasal isiliye badnaam hai kiuki koi bhi aira gaira tantrik ban ke baith jata hai jisko tantar - mantar ki a.b.c.d nahi aati - khud socho beta koi doctor ki degree liye bina he doctor ban k ilaaz kareyga tau ? jeevan daiga ya maut ????


RUDRA " KIUN NAHI AAP HE EK BAAR CHALKAL DEKH LETE?"


wohi huya jo kapaltantar chahta thaparantu kuch samya sochta rehne ka natak kiya fir bola - "yehi uchit raheyga, aakhir gudiya ka mamla hai, ek masoom bachi ki jindagi ka sawaal hai"!



********** kal aayega kapaltantar bachaaaaaooooooo gudiya ko rudra bhi khel khrab karne pe tula hahaha

ab hoga yudh kapaltantar or markandey main hahahahahahahaha




User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 27 Jan 2016 18:23

UPDATE 18 first floor kafi badha tha - bohat sarey rooms the wahan, markandey, rustam maheesh ne teen kamron ka jo set chuna tha woh balcony mein teeno darwaze alag alag hone ke bawjood andar se ek tha - center k room mein rustam tha, uss kamrey se do bathroom attached the - ek right side dusra left side !!!!! right side wale bathroom MARKANDEY OR MONICKA k room se attached tha ! or left side wala bathroom maheesh k room se attached tha !!!! matlab teen rooms k beech do bathroom the....... or agar sab darwaze khol diye jayein toh set andar se ek he tha!!!!!


raat ke 1bje maheesh bathroom ke darwaze pe dastak deta hai jiss se rustam ki aankh khul jaty hai, maheesh rustam ko apne room mein lejata hai!!!


rustam ne maheesh ko thodha jhunjhlahat bharey swar mein kaha - " kya baat hai ?"


"neend nahi aarahi!"


"toh main kya karu?" rustam naraj hotey huye bola!!!


"tujhe kaise aarahi hai?" maheesh ne pucha!!


befazool ki batein lekar baith jatey dono!!!


"sunn!" maheesh iss trha bola jaise bachey ko padha raha ho - "shayad tumne dhyan nahi diya aprajita markandey ko 50 lakh bejne ka bol k gayi kuch time baad he balraj ne 50 lakh markandey ko de diye!"


"tau?" rustam chidhta huya bola!


"yani maal issi jagha mein kahin hai" maheesh ne utsukta se kaha - "balraj ne kaha tha 2 carore maangey jane chahiye the!!!" maheesh rustam ke chehrey pe nigha daal k bola - jahan se 50 lakh aaye. wahan 1 ya 2 crore or hongey!


"kya tu 2crore chura ke raffuchakar hone ke barey mein soch raha hai? rustam aankhein faadta huya bola !!


maheesh "sari ramayan ke baad kya yeh swaal puchne ki jaroorat thi ?"


"aisa karna bewkoofi hogi!" rustam boltey huya khadha ho he raha tha !


raat ke sanaatey mein kisi darwaze par dastak di gayi, dastak ghoonj uthi, jiss se dono uchhal padtey hain!!!


maheesh fussfusaya - "balcony mein koi hai"


kon tha ? kon kisey cross krna chata hai !!! kya huya iss raat !! Iss raat ki baat baad mein ...

Chlo agli subha dekhtey hai kya huya...
[/size]

Post Reply