Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 27 Jan 2016 18:24

UPDATE 19
Next morning

"nahi devi....nahi!"hall mein mojood markandey ne aanchal se kaha - "maha anushthan ka jo bhi saman aana hai, usse laine hamarey chelon mein se koi nahi jayega - mana devi tumne hisaab nahi manga parantu kisi ke dimag mein yeh baat nahi rehni chahiye ki itna paisa kahan kharch huya - issiliye raat mein baith kar saman ki list bana di hai, ussey apne kisi aadmi se mangwa lein !"


"kaisi baat kar rahein maharaj!" aprajita bol uthi - maine sapne mein bhi paison ke barey mein nahi socha - sochne ke liye issse aagey pichey mere pass kuch hai he nahi ki kiran theek ho jaye - kaise hoga sab - kitna kharch aayega - iska sawal he kahan hai ?"


"fir bhi!" markandey ne kaha - "isko hamari jidd samjho devi , samaan koi bhi aapka apna he layega - haan itna jaroor kaheingey insaan samjhdaar hona chahiye - kuch saman mehnga hone ke sath durlabh bhi hai - usske liye kai jagha bhatkna padh sakta hai - himmat haar jane waley aadmi ke liye yeh saaman laana mushkil hai !"


aprajita ne haar maantey huye balraj ki traf dekha, or boli - chacha ji aap he dekho sab !"


"laaiye !" balraj ne kaha - "list dijiye!"


"list do rustam !" markandey ne kaha !!


rustam ne 64 page ki poori copy pakda di - balraj usko kholkar page darr page paanch mint dekhta rehne ke baad bola - "itna saman ?"


"aakhir 50 lakh ka jo hai !" markandey ne kaha !


"ok ok !" balraj copy band karta huya bola - paisa kahan hai ?"


"hazir hai!" hall mein maheesh ki awaaz ghoonji !


monicka or maheesh hall mein aatechi ke sath aatey najar aaye - maheesh ke hath mein aatechi thi or aatechi mein tha balraj ke hissey ka 25 lakh - yeh sara natak iss rakam ko villa se nikalne ke liye kiya gaya tha !


balraj ne yogesh ki taraf ghoomtey huye kaha - "humein tum par poora bharosa hai yogesh... yeh saaman tum laaogey!"


"jaise aapka hukam maalik!" kehne ke sath usne list or aatechi sambhali or villa se bahar nikal gaya - balraj ko maloom tha ki yogesh ko seedha kapaltantar ke pass jana hai,uski rakam deni hai or aagey ki dawai laani hai!"



yogesh ko gaye dus min bhi nahi gujrey the ki ek naukar dauta huya huya hall mein aaya or bola - " driver sahab ek or tantrik ko lekar aaye hai!"


"RUDRA? sabki khodi naach uthi - " or ek tantrik ke sath?"


markandey, rustam, maheesh or monicka ke pairon taley se zameen khisak gayi !


balraj chhalabey ki trha main gait ki traf lapka - RUDRA ke sath KAPALTANTAR ko car se utartey dekh chhakey chhut gaye uske!


vapas bhagha!!!!!


paseene paseene ho chuka tha balraj !!!!


chehrey se rakht ki mano har bhoond nichodh li gayi ho jaise !!!


aandhi toofan ki trha bhaghta huya markandey ke nazdeek pohanch kar cheekha - "dekhna maharaj, kon sa tantrik hai yeh ?"


balraj ka ishara samjh kar maarkandey darwaze ki taraf lapka !


darwaze ke nazdeek le jakar balraj markandey ke kaan mein fussfussaya - "yeh kapaltantar maharaj hain , woh he jinhone kiran "gudiya" ko bimaar kiya orr jinhone gilheri ki moonch ka baal diya, chhachhudar ka pashab diya or bhi bohat sa saman jo maine tumko diya !!!!"


"magar.....magar !" markandey ke bhi chhakey chhoot gaye the bola - "kapaltantar jahan - kaise pohanch gaya , woh bhi shaitan RUDRA ke sath !"


balraj gussey mein - "mujhe kya patta - mujhe kon sa btakar gaya tha"


tab tak RUDRA ke sath hall mein dhakhil ho chuke kapaltantar ne trishul wala hath nara lagane ke andaaz mein uchaaltey huye kaha - "jai chandike!!!!"



"jai maa bhairbhi!" maarkandey ne jawabhi nara lagaya!!!!


kapaltantar dhahaadha - "kon hai balak tu ?"


"areey ..... gurudev ? kehne ke sath markandey jhapta or seedha kapaltantar ke charno mein ja girra, pair pakad kar keh utha " aap kahan se aagaye gurudev - aapke satar ka kaam he kahan hai jahan pe , isko toh aapka chela he sambhal laiga!"


"chela!" kapaltantar gurraya - kon sa chela..... kon hai tu ?"


markandey hath jodtey huye bola - " main markandey hu gurudev "


"kon markandey ?"


"aapka chela ..... magar aapko kahan yaad hoga - do chaar chele ho toh yaad bhi rahe apko - mere jaise hazaaron chelon ko apne taley se nikaal kar tantrik bana diya, fir bhi ...... yaad kijiye ..... gurudev - jab meri samajh mein koi baat nahi aaty thi tau saarey saarey din ke liye aap mujhe pipal se baandh dete the !


"ohhhh .... woh hai tu..... woh markandey jo aaj se dus saal pehle aashram mein tha......!" kapaltantar ne bhi natak shuru kar diya - "uss waqt ka hamara sabse nalayak chela tu he tha!!"


"haan gurudev - main wohi hu - aap mujhey pehchaan gaye !" markandey uthta huya bola!


rudra azeebh najron se iss drame ko dekh raha tha!!!


"kamaal hai !" kapaltantar ne kaha - "jab RUDRA ne tumhara naam liya tau yaad he nahi aaya ki markandey naam ka koi hamara chela bhi hai !!!"


"chelo ko guru yaad rehtey hai gurudev, guru kon kon se chele ka naam yaad rakh sakta hai?"


jinki sitti pitti gumm thi unke hosh theekane aane lagey kiun ki samjh chuke the ki kapaltantar yahan unke chehron se naqab nochne nahi balki kisi or maksad se aaya hai, parantu apne sapno ke udtey parkhchey woh apni aankhon se dekh rahe the !!!!!!!!!!!!!!!


************

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 27 Jan 2016 18:24

UPDATE 20 "hairat ki baat RUDRA!" aprajita keh uthi - "tumharey sath or tanrik ?"


"hai tau hairat ki baat !" RUDRA bola - "markandey ne jo chamtkar kiye ussse hairan hone ke bawjood yeh manta raha ki sab natakbazi hai or aapko thagne ki chesta ki ja rahi hai - tantar - mantar se kya kya hosakta inn sawalon ki khoz mein nikla khozbeen ki, tab maharaj kapaltantar ko mila, inke chamatkar dekhe or unki karya-vidhi ko samjha tau samjh mein aaya ki tantar-mantar koi mantar nahi balki ek science he hai !"


"aisa kya dhikha diya maharaj kapaltantar ne tumein?" BALRAJ ne pucha!


"maafi chahta hu maalik, main aapki niyat pe shak karta raha! kehne ke baad RUDRA ne saari ghtna suna - shareer badal lene wali kisi ko hazam nahi ho rahi thi!


"ISHWAR shayad hamarey sath he hai maharajjo RUDRA AAPKO YAHAN LE AAYA!" APRAJITA ki shardha markandey se hatt kar kapaltantar par kendrit hogayi thi - "aap KIRAN ko dekh liziye jo jaroori ho kiziye!"


"ab tak kya kya hochuka hai ?" kapaltantar ne pucha!


markandey ne shuru se ab tak ka sab bata diya, sun-ne ke baad kapaltantar ki muskaan gehri hogayi, bola - "yani jo masala tumhare pass tha uss sab ko istemaal kar chuke the, ab aagey agar gudiya ko kuch hojata toh?"


"maha anushthan ki tyaari thi maharaj, yogesh saman lene gaya huya hai!" balraj ne sanketik shabdon mein ussey samjh diya ki yogesh rakam (paisa) lekar ussi ke aashram mein gaya hai!


*************


udhar yogesh kapaltantar ke aashram mein!!!!!!

"k-kya?" yogesh ke pairon taley se mano zameen khisak gayi - "kya kaha tumne?"


"wohi ... jo tumne suna ! chakarwat ke hothon pe rahsaymay muskaan thirak rahi thi - "kapaltantar - maharaj RUDRA ke sath gaye hain!"


gjaanan hansa, bola - "woh RUDRA he tha jo tum samjh rahe ho , aaya bhi ussi gudiya kiran ke chakkar mein tha jiske khilaaf tumne anushthan karwaya tha!"


yogesh ne fir ghbratey huye poocha - "orr maharaj uske sath chale gaye ?" kuch tau bata ke gaye hongey , kab tak aayeingey ?"


"keh gaye hain , hum fikar na karein - dus din baad lot aayeingey !"


"hafta - dus din!" yogesh ka dimag goom gaya - "lekin RUDRA ko TAU TANTAR-MANTAR PAR vishwash he nahi tha!"



"aise logon ko vishwas dilana kapaltantar maharaj ke baayein hath ka khel hai!" chakarwaat muskurata huya sab btata chala gaya !


yogesh ka chehra nichoodey huye nimbu ke jaisa lag raha tha !


sara plan chopat hota saaf najar aaraha tha usko !!!!


************
[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 28 Jan 2016 15:07

Update 21

Bistar par leti GUDIYA ko dekhtey he kapaltantar uchhal padha - iss trha chownkawoh jaise bijli ke nangey taar par pair rakh diya ho, halak se ghuti ghuti si cheekh nikali - "arrey ...yeh kya ?"


"kya huya maharaj ?" ek sath sabne poocha !


darasal kapaltantar chownka he itni buri tarha tha ki sabke dil dhadh dhadh karke bajne lagey !


saaf najar aaraha ki kamrey mein dhaakhil hotey he usne aisa kuch dekha tha jisski usko swapan tak mein umeed na thi - uss waqt bhi bhonchaka sa balraj ke chehrey ki traf dekh raha tha - jab markandey ne pucha - "kya huya gurudev , aisa kya dekh liya aapne ?"


" t tu tum ?" kapaltantar gussey se uski or palta - "tumein apna shishya sawikaar kartey sharm aa rahi hai hamein !"


"kiun gurudev ?" markandey ka dil jor jor se dhadhkne laga!


"tumne kaha tha ki bachey pe bramrakhshash kaabiz hai !"


"k-kya aapke khayal se....?"


"khaamoshhhhhh !" markandey ka bakya pura hone se pehle he kapaltantar garj utha - "hamari shiksha ka apmaan kiya hai tumne - dekho dhyaan se dekho - gudiya kitni shanti ke sath so rahi hai - kya tumein uske chehrey par kahin koi shikan , koi vikriti ya peedaa ka bhaw najar aa raha hai ?"


"nahi gurudev !"


"tau kiss aadhar par iss natize par pohnche ki gudiya bramrakhshash ke kabze mein hai ?"


"wo woh woh .... " markandey kewal hakla kar reh gaya, tantar mantar ke barey mein jab kuch janta he na tha tau bolta kya ?"


"agar yeh bramrakhshash ke kabze mein hoti toh chehrey par itni shanti or masoomiyat na chhai hoti balki shaitaniyat ke bhaw hotey..!"


"tau fir ?"aprajita ne kampit swar mein me poocha - " iss par kon kabiz hai mahara ?"


"hum saaf batane mein kbhi nahi hichaktey devi !" kapaltantar ki aankhein dekhkar iss waqt har shkhash ka dil kaanmp raha tha - "gudiya ko shakshaat 'KAAL-BHAIRBHI" ne jakad rakha hai!"


"k k k k kaal-bhairbhi ne?"


"or chhotey mottey maha anushthano se kuch nahi hone wala hai!"


RUDRA NE PUCHA - "kya kaal bhairbhi bramrakhshash se bhi uper ki cheez hai ?"


"bramrakhshash ?" kapaltantar jor se garja - "bramrakhshash hota kya hai - kaal bhairbhi... kaal bhairbhi hai - shakhshaat kaal -teri gudiya ko kaal ne matlab maut ne jakad rakha hai devi, hazar bramrakhshash ki shakti bhi iske samney shoonya (zero) samjhi jaty hai!"


"iss se chutkaarey ka koi upaay maharaj?"


"ek he upaay hai, taandvarat shiv sanmukh gaaytri aanushthan !"


"tau kiziye ! aprajita ro padhi - "jo bhi upaay ho kiziye maharaj!"


"uske liye TAANDAV ki mudra mein GOLD ki bani 2 feet unchi SHIV ki aisi murti chahiye jiss par heerey, panney , maanik or pukraaj jadhey ho!"


"banwaiye.... jiss cheez ki jaroorat ho banwaliziye mahara, magar mujhe meri behna lota diziye!!!!!"


kapaltantar ke bhawktey chehrey ki tapish kamm nahi padhi thi............


jabki BALRAJ KE honthon pe muskaan ubhar aai!!!!



MARKANDEY - MONICKA - RUSTAM - MAHEESH - KI samjh ab kahin jakar aai ki villa mein unse badha dramewaaz (madaari) pohanch chuka hai or yeh sari natakbaazi unka mahtav kamm karne ke sath sath lakhon ki hair-fair mein chal mission ko croron tak pohanchane ke liye ki gayi hai!


sab ki aankhon ke samne 2feet ki tandav krtey shiv ki beshkimaty moorty tandav karne lagi !


markandey or uske sathion ko ilam hogaya ki kapaltantar unko hero se zero bana kar he damm laiga!!!!


kapaltantar balraj se bola - "jaisi moorti humein chahiye vaisi moorti tyaar karne wale india mein ginney chuney shilapkaar hai!"


"ji! ji! maharaj !" balraj hakla k bola!


jane kya soch kar kapaltantar ne balraj se kaha - "ekaant mein milo!"


markandey and party ko laga , unka patta saaf ho chuka hai........


***********

Post Reply