Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
sexy_parul
Expert Member
Posts: 345
Joined: 09 Dec 2015 18:47

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by sexy_parul » 01 Feb 2016 08:31

update 34teeno ke chehrey fakkk the !


sakshaat maut tandav kar rahi thi unn par !


"ab kya hoga ?" maheesh jane kitni baar puch chuka tha !


" hoga kya ?" rustam jhunjhlaya - " yah aalishaan villa hum sabka makbraa baneygi 1"


"kamaal hogaya !" markandey khud se bola - "main tau RUDRA ke bataye jane par iss baat ko korii gapp maan raha tha, vishwas hota tau...........


"tau kya karta tu ?" rustam baat baat par jhunjhlaraha raha tha !


kam se kam usko maarne ke mansoobey kabhi na banata !"


"aazeeb musibat galey padh gayi !" maheesh keh utha - "saley ka ek shreer thanda kiya tau dusrey mein jagussa - iss trha tau hum usko kabhi maar he nahi sakeingey , kiran ka shreer nasht kar daingey tau koi or jism dharan karke samney aa khadha hoga !"


"usko maarne ke tau khawab dekhna chhodh de !" rustam ne kaha - "yeh soch, khud ko bachana kaise hai - D.G.P ko phone kar ke aprajita iss villa ko hamare liye qaidkhana bana chuki hai !"


"QaidKhana nahi, kasaaikhana keh !" maheesh bola - "kasaai ka naam hai, kapaltantar !"


"wohi kyun , villa ki malkin or RUDRA bhi kahan pichey hain - KAPALTANTAR ki ek he dhamki ne unhein chitt kar diya,woh humein yahan se nahi niklne daingey !"


"maine pehle he kaha tha, 1carore se jiyada ke laalach mein ultey seedhey kadam mat uthao !" maheesh kehta chala gaya - "magar tum mane he nahi, ab footi kodhi ko tau chhodho - jaan ke laaley padd gaye !"


vicharmagan rustam ne kaha - "kewal ek rasta hai markandey !"


" woh kya ?"


"villa se frar ho liya jaye !"


"namumkin!" markandey ne bura sa moonh banaya !


"agar marna he hai tau sabko sath lekar mareingey !" maheesh ne kaha - "akele kyun marein ?"


"matlab ?"


"balraj or yogesh bhi tau dhar par rakhey jane chahiye !"


markandey ne kaha - " tab se yehi ek baat soch raha hu , kapaltantar ki hit list mein hum or naqab-posh he kyun - balraj or yogesh kyun nahi - woh janta hai, asli planer woh dono hai fir bhi, aprajita or RUDRA ke samne unka raaz nahi khola usne ?"


"humein yeh bakwaas sochne se kya fayda ?"


"samjhne ki koshish kar rustam - usne balraj or yogesh ke raaz ko ab tak raaz rakha hai, iska seedha matlab yeh hai ki woh ab bhi ussi plan par kaam kar raha hai, jiss par pehle kar raha tha!"


"tau ?"


"hum iss sathiti ka laabh utha saktey hai !" markandey kehta chala gaya - "balraj ko pakadein ussse kahein, ya tau hamein villa se bahar nikaaley nahi tau uska or yogesh ka raaz aprajita or RUDRA par khol daingey !"


rustam or maheesh ko umeed ki halki si roshani nazar aayi !
_________________
____________
__________________
[/size]
---------------------------------------------------------

Fuck Me if you can

User avatar
sexy_parul
Expert Member
Posts: 345
Joined: 09 Dec 2015 18:47

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by sexy_parul » 01 Feb 2016 08:32

update 35"SOCHO" kiran ke honthon par muskaan thi - "maine tum dono ko akele mein talab kyun kiya ?"


"hukam kiziye maharaj!" dono hath jodkar bole !"


'yeh bhi socho, humne RUDRA or aprajita ko kyun nahi bataya ki yahan jo kuch ho raha hai uske asal jimmedaar tum dono ho - or unn lafango ko tantrik banakar yahan lane wale bhi tum ho - socho aisa kyun nahi kiya humne ?"


"aapki daya-drishti hai maharaj!" balraj uske pairon mein lait gaya - "yeh sab keh dete tau.............


"hum wajha sochne ke liye keh rahe hain balraj ! kiran ke halak se kapaltantar ki kathor awaaz nikali - "socho humne aisa kyun nahi kiya ?"


"hamarey dimag kund ho chukey hain maharaj !" yogesh keh utha - "kuch sujhai nahi de raha, aap he bata de tau kripa hogi !"


"tumein ek ek karke teeno ki hatya karni hai!"


"kya ?" dono uchhal padhey !


kiran ke halak se kapal tantar ki gurrahat - "unhone monicka ki hatya karke humein fasane ki koshish ki, hamrey budhey shareerko nasht kiya - inn papon ki saza unko jaroor mileygi or saza dogey tum - kyunki unhein tantrik banakar yahan laney waley tumhi the !"


"magar maharaj.................


"jisne jitna jitna gunah kiya hai, ussey utni he saza mileygi!" yogeshwar ki baat kaat kar kiran kehti chaley gayi - laaye tum the, tumein he maarna hoga magar darro mat tumhara kuch nahi bigdeyga !"


"hum samjhey nahi maharaj !"


"humne tantar vigyaan dowara unki hatya karne ka samya baandh diya hai - iss beech AZGAR kon bana huya tha, uska paat lagana bhi tumhara kaam hai, woh hamara antim shikaar hoga!"


"magar ! yogesh ne himmat karke pooch he liya - "iss khoon khrabey ka kya fayda hoga maharaj ?"


kiran ke moonh se gurrahat uthi - "hum apna shareer nast karne walon ko jinda nahi chhodeingey !"


"kya hum apne mukhya lakshya se bhatak nahi jayeingey maharaj ?" balraj ne roni soorat banatey huye pucha!


"tum murakh ho , lakshya tak pohnchane ka ek yehi marg hai !"


yogesh ne poocha - "woh kaise maharaj?!"


"yeh teeno or naqab-posh khatam!' kiran ne samjhaya - "ant mein RUDRA dowara chaar murder ke juram mein kiran or aprajita ki giraftaari - socho uske baad mohak udyog tyre ki sampati ka varis kon bacha ?"


"baat tau theek hai maharaj lekin rasta bohat kathin hai, apne hathon se murder.............


"yeh tau tumein karna he hoga balraj warna hum aprajita par tumhara raaz kholne par majboor hojayeingey!" kiran ke moonh se nikle kapaltantar ke shabadon ne unko din mein taare dhikha diye the ![/size]
---------------------------------------------------------

Fuck Me if you can

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 01 Feb 2016 21:27

update 36dono ke chehrey par hwaiyan udd rahi thi !


kafi dair se aai khamoshi ko balraj ne toda - "aazeb musibat mein fanss gaye hum - chandaal chowkdi kehti ,agar unko bahar nikalne ka intzaam nahi kiya tau RUDRA OR APRAJITA par raaz khol daingey - udhar issi raaz ko khol dene ki dhamki dekar kapaltantar humse inke murder karwana chahata hai !"


"main fir kahunga malik !" yogesh ne kaha - "yeh aap ke he dowara boye beezon se upzi fasal hai , na aap chandaal chowkdi ko tantrik bana ke latey na ...............


"tum samjhtey kyun nahi yogesh, har haal mein yehi hona tha - "dekho na kapaltantar ka budha jisam tak nasht hogaya , magar usne aakash par udh rahi patang par apna niyantran karne ke mission par kaam karna nahi chhodha , kiran ke shreer mein baitha bhi woh issi plan par kaam kar raha hai !"


"matlab ?"


"hamarey hathon inn teeno ka katal karane ke baad woh kiran or aprajita ko kanoon ke daayerey mein fans jane daiga - sari property mere naam hojayegi tau inn murders ke juram mein fasane ki dhamki dekar jo chahe mujhse hasil kar sakta hai, sara jeevan uske gulaam ban kar gujana hoga humein !"


"jabki uska kaha na man-ney par jeevan he samaapat hojayega !"


"yeh-he tau musibat hai !" balraj daant baachkar bola !


"iss waqt sawaal yeh hai kiski baat maane, kiski nahi ?"


"kapaltantar ka hukam man-ney ke ilawa hamare pass koi chara nahi !" kaafi soch vichar ke baad balraj ne kaha - "vaise bhi, hum nahi kar saktey jo markandey aadhi chahtey hai - maut ke khauffff se door hotey he woh saari duniya ko bata daingey ki villa mein kya horaha hai ?"


"unko nikalne ki koshish ka jo ashwaasan dekar aaye ho ?"


"aashwasan na deta tau woh abhi hamara bhandaa fodne par aamaada hojatey !"


"jab aashwasan poora nahi hoga tau .........


"humein talwar ki dhaar par chalna hai yogesh !" balraj bola - "khel iss trha khelna hai ki kapaltantar ko apne haq mein kheltey najar aayein , unhko apne haq mein!"
_______________
_____________________ khel shuru hone wala kon jayega aaj raat ko pehle... dekhtey hai kaise khela jata ...
___________________________

Post Reply