Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
sexy_parul
Expert Member
Posts: 345
Joined: 09 Dec 2015 18:47

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by sexy_parul » 01 Feb 2016 08:29

update 31 Subha kapaltantar ki gumshudagi ki khabar failtey he villa mein hangama hogaya!!!!


RUDRA hairaan APRAJITA tau mano pagal ho uthi - aisi awastha hogayi jaise kisi gareeb ki jindagi bhar ki kamaai lut gayi ho - bhagti hui kapaltantar ke kamrey mein pohanchi - iss trha talash karne lagi - jaise sui dhoond rahi ho magar kapaltantar he kya, uska poora samaan gayab tha - APRAJITA kbhi kisi se poochti tau kbhi kisi se ki kya kapaltantar ko jatey dekha magar jawab dene wala koi na tha, ant mein dono hathon se balraj ka girebaan pakad liya usne, cheekhi - "aap kya kar rahe the ?, aapke 10 10 guard kya kar rahe the jo villa ki chauksi karne ki tankhwa lete hai ?"


kya kehta balraj ?


guards ke pass gaya, unko daanta-fatkara or vapas aagaya!


"tum ................ tum aakhir kar kya rahe ho yahan ?" paglaai si RUDRA pe he toot padhi - "villa mein ho kya raha hai - pichli raat katal hogaya , aaj maharaj gayab hogaye hain!! - kahan gaye woh - kisne gayab kar diya , kya tum patta nahi laga saktey ?"


uss waqt woh sab first floor pe he the jab yogesh villa mein pohncha or kapaltantar ki gumshudagi ke barey mein suntey he chownk utha - BALRAJ ne usko aankhon he aankhon mein samjhane ki koshish ki ke sab theek hai !


jab yogesh ne bataya moorti teen din mein tyaar hojayegi tau APRAJITA mano pagal he ho uthi - "kya hoga ab moorti ka, jab maharaj he...................... RUDRA, unko dhoondo - unke aashram mein jao , main bhi tumharey sath chalungi - abhi chalo , meri GUDIYA KO WOH he theek kar saktey hain!"


"mere khyaal se maharaj aashram mein nahi mileingey ! balraj ne kaha !


"kyun ?" aprajita bhadak uthi - "wahan nahi jayeingey tau kahan jayeingey ?"


"samjhne ki koshish kro aprajita ! police ke darr se woh wahan nahi jayeingey, monicka ke katal mein police pakad laigi!


"tau meri GUDIYA theek kaise hogi ?" bhokhlaai si woh apne charon taraf khadey BALRAJ, YOGESH, RUDRA, MARKANDEY, RUSTAM, MAHEESH ko dekhne lagi, achanak markandey ke samne hath jod ke boli - "ab aap he patta laga saktey hain maharaj ki aapke guru ji kahan gaye - unko dhundo, ek baar ........... sirf ek baar mujhse mila diziye unko -main yakeen dila dungi , police sari jindagi unko hath nahi laga sakti!"


"unko dhoondne mein kaafi waqt nikal jayega devi !" markande bola!


"tau.............


"itna bechain hone ki jaroorat nahi hai!" aagey badhkar markandey ne ghambhir swar mein kaha - "bimari ko pehchan-ney mein bhool bhaley hogayi lekin ab ............ jabki patta hai ki GUDIYA kaal-bhairawi ke panje mein hai tau koi samasya nahi hai, hum usey mukkat kara daingey!"


"aaaa aaap ?"


"kya aap bhool gayi ? rustam bola - "gurudev ne maharaj ko gaytri anushthan ki dheeksha di ha!"


aprajita ke chehrey pe aasha ki halki si kiran najar aayi boli - "magar ......... gurudev he mil jatey tau achha hota!"


markandey ne apni chaal chali - "agar humne dhoondne mein time barbaad kiya tau GUDIYA marr b sakti hai!"




"GUDIYA NAHI MAREYGI,NAHI MAREYGI GUDIYA" ekaek wahan KAPALTANTAR KI AWAAZ Ghoonji !!!!!!


sab ne hairaan hokar awaaz ki disha ki traf dekha !!!!
_____
________
__________

bhaagho kaplu ka bhoot aagaya hehe!![/size]
---------------------------------------------------------

Fuck Me if you can

User avatar
sexy_parul
Expert Member
Posts: 345
Joined: 09 Dec 2015 18:47

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by sexy_parul » 01 Feb 2016 08:30

update 32 Sabne hairan hokar awaaz ki disha ki mein dekha !


wahan GUDIYA KO KHADHA dekhar uchhal padey !


kamrey ke darwaze par khadhi muskura rahi thi !


"GUDIYA!" cheekhti hui aprajita uski traf lapki !


"nahi devi !" gudiya ke moonh se kapaltantar ki awaaz foot rahi thi - "hum aapki gudiya nahi hai !"


APRAJITA jahan ki tahan thithak gayi !


hairat ki jiyadtike karan aankhein palkon ki koronse kood padna chahti thi, yeh haal akeli aprajita ka nahi tha !


BALRAJ, RUDRA, YOGESH, MARKANDEY, RUSTAM OR MAHEESH tak GUDIYA ki traf iss trha dekh rahe the jaise sansaar ke 9 ajoobey ko dekh rahe ho, uss ajoobey ke moonh se fir KAPALTANTAR ki awaaz nikali - "aap log itne hairaan kyun hai, kya RUDRA ne apko parkaya pravesh ke barey mein bataya nahi tha or RUDRA .............. tum tau itne chakit ho - unhein dekho, unn teen murkhon ko!" kiran ne RUSTAM,MAHEESH OR MARKANDEY KI TRAF ishara kiya - " raat ko yeh sochkar khush horahe the ki inhone KAPALTANTAR ko maar daala - inn bewkoofon ko yeh nahi maloom, jeevan or mrityu mein farak he kuch nahi hota - insaan chaaku se nahi marr sakta - chaaku se kewal shareer nasht ho saktey hain - so RUSTAM ne hamara shareer nasht kar diya !"


aisa sannata fail gaya wahan jiske liye koi example nahi !


saans tak lena bhool gaye sab !


hairangi - or khaufffff ke bhawon ne KIRAN ke alawa har chehrey ko jakad rakha tha - KIRAN ne fir chamkili muskaan ke sath kaha - humne bohat chaha ki bhudey shareer ko chaaku dowara nasht kiye jane se pehle he tyaag de, magar uske liye reedh ki haddi par baithna jaroori tha, maheesh ne mokka nahi diya - kyun maheesh, galat tau nahi kaha, apni majboot pakad se tumne hamarey shareer ko tab tak mukat nahi kiya jab tak bhudha shreer nasht nahi hogaya !"


maheesh ko kaato tau nahi !!


RUDRA ne bohat dhyaan se markandey , rustam ,maheesh ke chehron ko read kiya or iss nateeze par pohncha ki sachmuch wohi sab huya tha - rudra ne kiran ki or dekhtey huye pucha - "kya aap sachmush kiran ke andar hai maharaj ?"


"tumein shakk kyun hai RUDRA ?"


aapne kaha tha , iss parkriya dowara kewal dead body mein he pravisht huya ja sakta hai !"


"kiran ( gudiya ) ko kya tum jeevat samjh rahe the ?"


"matlab ?"


"nahi RUDRA !" kiran usey samjhane wali mudra mein aagayi - "tantar vigyan ke mutabik kiran ussi din se mrit hai jiss din is villa ke lawn mein chhatri fatti!" - kapaltantar ki awaaz fir ghoonji - ussi din kaal-bhairvi ne gudiya ke shareer par kabza kar liya tha - tantar vigyaan ke mutabik gudiya ussi din marr gayi - iss shreer mein kaal bhairvhi jeevat thi !"



"kaal-bhairvhi se yudh karke kiran ka shareer chheen liya !"


"yani ?"


"ab kiran ke shareer mein kaal-bhairvhi nahi, hum hai !" kehne ke baad markandey ki traf palti kiran or boli - "suna tumne, ab uss shiv ki moorti or gaytri anushthan se kuch nahi hoga kyunki tumein kaal-bhairvhi se nahi humse takrana hai ................. humse !"


ek baar fir kabristaani sannata chhaa gaya !


iss baar ussey APRAJITA ne toda, boli - "agar aapne kaal-bhairvhi ko harra ke meri gudiya ke shareer ko uss-se mukat kara liya hai maharaj - tau iss dukhiyaari ko or dukh kyun de rahe hai - iss shareer ko mukat kar diziye - meri kiran ke suksham shreer (aatma) ko vapas pravisht hone diziye iss mein !"


"ghbra mat devi !" kiran ne kaha - "hum ek din tujhe teri gudiya jaroor lota daingey parantu -


"prantu kya maharaj ?"


"uss se pehle dharti ko inn dushton ke bhojh se mukat karna hai !" kehne ke sath uski khoonkhaar najrein MARKANDEY, RUSTAM, OR MAHEESH PAR tikk gayi - innse poochna hai hai ki hamara CHOTHA-HATYARA yanike woh naqab-posh kon hai, jisko yeh AZGAR samjhtey the - innhone hamarey shareer ko nasht kiya hai devi, uska dand inko bhogna hoga !"


"nahi maharaj !" RUDRA ka rivolver wala hath kiran ki traf ghoom gaya - "main iss villa mein ab or jiyada khoon khraba nahi hone dunga - agar inhone sachmuch katal kiya hai, kanoon inko apki hatya ke jurm mein saza daiga !"


"kanoon !" kiran ke moonh se kapaltantar ki aag-ugalti awaaz ghoonji - "nahi RUDRA, yeh kanoon ke nahi .......... hamarey mujrim hain or saza bhi hum he daingey !"


"hargis nahi !" RUDRA garja - "main kisi ko kanoon apne hath mein nahi lene dunga - aapko bhi nahi maharaj!"



kiran kauffnaak hasi hasti hui - "rokeyga kaise humko, iss gun se ? - tu goli chalakar bhi jiyada se jiyada iss kiran ke shareer ko nasht kar sakta jiss mein hum iss waqt hain"


"nahi ...... nahi RUDRA!" aprajita cheekh padhi - "tum aisa nahi karogey !"


"humein maloom tha, kiran ke shareer ko na yeh devi nasht hone daigi, na tum !" or ab yeh teeno villa se bhagne ki koshish kareingey - magar dhyaan se suno RUDRA - har pal yaad rakhna, yeh tumhari duty hai - inn mein se ek bhi villa ki chaar-diwari paar na kar paaye - agar aisa hogaya tau kiran ke shareer tumein kabhi nahi mileyga, hum khud isko nasht kar daingey!"


"nahi ........ nahi maharaj !" aprajita tadapkar kiran ke kadmo mein girr padhi !"


"agar apni gudiya ko vapas chahti ho villa ke chaaron traf kadha pehra lagwa do devi !" hinsak swar mein kiran kehti chali gayi - "koi yahan se fraar nahi hona chahiye, villa se bahar inki laashein jayeingi !"


"main tujhe nahi chhodunga kameene,dowara marne ko tyaar hoja !" paglaya sa rustam hath mein chaaku liye uss par jhapta magar tabhi -


RUDRA ka pair bijli ki si gattti se chala !


boot ki thokar seedhi rustam ke chaaku waley hath par padhi !


chaaku rustam ke hath se nikal kar door ja girra !


kiran chhat ki traf moonh kar ke thahake pe thahake laga rahi thi ........ hehe hehe hehe .............!
______
__________
__________________

[/size]
---------------------------------------------------------

Fuck Me if you can

User avatar
sexy_parul
Expert Member
Posts: 345
Joined: 09 Dec 2015 18:47

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by sexy_parul » 01 Feb 2016 08:31

update 33"APRAJITA here !" phone par kehtey waqt uske lehje mein mohak tyre udhyog ki malkin wali kadak awaaz thi - "D.G.P sahab se baat karao !"


"o.k mam dusri traf se sammaan poorvak kaha gaya !"


aprajita ne ek najar najdeek khadey RUDRA PAR daali !


RUDRA ke chehrey pe dubhida ke bhaw gardish kar rahe the,bola - "soch liziye aprajita ji, aap theek nahi kar rahi !"


"tau kya karu ?" vivash aprajita boli - "tumhi batao,kya koi or rasta hai?"



RUDRA lajwaab hogaya!


"woh kiran ke body mein hai - jis pal chahe hamari gudiya ko khtam kar sakta hai, kya tum khud iss trha kiran ka ant chahogey ?"


"nnnn nahi !" RUDRA keh utha - " mm..... magar .....


"magar ?"


"woh murder karne ke udeshya se unko villa mein rokey rakhna chahta hai - jo aap kar rahi, aisa karne par aap bhi hatyare ka sath de rahi ho..... kanoon apko bhi........


"unki hatyari maneyga !" aprajita ne baat poori ki - "main kanoon dowara di gayi har saza bhogne ko tyaar hu RUDRA magar kiran ko nahi kho sakty - gudiya ka chehra samney hoga tau fansi ke fandey ko bhi hanstey hanstey choom lungi main !"


"hello, boliye aprajita !" phone par dusri traf se D.G.P ki awaaz ubhri !


"villa ke charon traf police ka aisa kadda intzaam kara diziye ki parinda bhi par na maar sakey !"



"hojayega !" D.G.P ne kaha - " magar vajha ?"


"kuch samya pehle kisi anjaan shaksh ne 48 ghantey mein kiran ke kidnap ki dhamki di hai !"


"oh - magar .........


"kahiye !"


"humein kuch or report milithi !"


aprajita ne dhadktey dil se poocha - "kya report mili thi apko ?"


"ki aap tantrikon ke jaal mein fansi hui hain !" D.G.P ne kaha - "ek tantrik ne villa ke andar sadhvi ki hatya bhi ki hai or ...........


"yeh sab inspector AJAY ki upaz hai!" aprajita ne baat taali - "jaldi he aapse milkar detail mein sab bataungi magar aap intzaam krwa do jalad se jalad - na koi villa ke ander aa sakey - na he bahar nikal sakey !"


"o.k !" D.G.P ne kaha - plz RUDRA se baat karayein !"


"ji !" kehne ke sath aprajita ne phone RUDRA ki traf bdha diya - "D.G.P sahab tumse baat karna chahtey hai !"


RUDRA bohat mushkil se "hello" keh paya !


rudra or dgp mein monicka case ko lekar batein hoty rehty hai !


ant mein D.G.P ne kaha - hum villa ke chaaron traf police ki diwaar khadhi karwa rahe hain - villa ke andar ki kamaan tumharey hathon mein hai - tantrikon par najar rakhna, mumkin hai unhi mein se koi uska aadmi ho jo baar baar kiran ke kidnap karne ki dhamki de raha hai !"


"iss point par bhi kaam kar raha hu si !"


"very-good!" - kehne ke sath d.g.p baat khtam kardeta hai !


RUDRA sochta reh gaya ki usne D.G.P ko haqikat na bata kar sahi kiya ya galat !
_________
____________
__________________
[/size]
---------------------------------------------------------

Fuck Me if you can

Post Reply