Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 29 Jan 2016 20:40

Update 28 inspector Ajay first floor ki gallry mein padhi laash ko bohat dhyaan se dekh raha tha,laash ke ek traf woh khadha tha, dusri traf RUDRA - dono ka parichay ho chuka tha - laash chit awastha mein padhi thi - chhati mein teen gehrey jakham the - ghaadey or kaaley padh chukey lahoo se chhati or pait he nahi, farsh bhi sarobar tha!


"laash ke chehrey par kauff ke jabardast bhaw hai mr.RUDRA!" inspector AJAY ne kaha - lagta hai marne se pehle issey apni maut ka ilam hogaya tha!


"kauff ke sath aankhon mein hairani ke bhi bhaw hai!" RUDRA ne izafa kiya - "zahir hai, woh na kewal apne hatyare ko janti thi balki mrityu se pehle kalpna tak nahi kar sakti thi ki woh ussey maar sakta hai!"


"aapki baat mein dum hai!" ajay ka chehra dhamak utha!


RUDRA or AJAY dono ek sath keh uthe - "isko trishool se maara gaya hai!" RUDRA bola - "hmm,chhaty pe teeno jhakham napi tuli doori pe yeh he sabit kartey hai ek hamley se teen jhakham huye !"


"or trishool yahan do insano ke pass the!" RUDRA ne markandey or kapaltantar ki traf ishare se kaha!


investigation chalti rahi !


"kya main jaan sakta hu mr markandey, tumhara trishool kahan hai?" RUDRA ne sawaal kiya !


"kamrey mein hoga!"


"hoga se matlab ?" AJAY KE mastak par bal padh gaye - "pakka nahi maloom tumko, kamrey ki talaashi lena chahein tau aapko aitraj ?"


"mujhe kya aitraj hone laga?" markandey kamrey ki traf lapka!


"trishool hamara gayab hai RUDRA!" kapaltantar ne btaya!


kapaltantar ke kamrey ki traf se na kewal uska trishool gayab tha balki pichey ki traf se khulne wali khidhki ki grill bhi kati hui thi!!


kapaltantar khamosh tha or markandey apni chaal pe khush!


bistar ke nichey note miley tau kapaltantar ka dimg dhanka!


"kisi insaan ke kiye yeh nahi hosakta ki bistar ki note bichha diye jaye or hum sotey rahein ?" kapaltantar ne dhamaka kiya - "kaal bhairvi ka kiya dhara hai sab - uska maqsad villa se humein hatana hai"


DIMAG ghoom gaye sabke!


ajay ne shabdon par jor dete huye kaha "tau sidh kiziye ki yeh kaam kaal-bhairvi ka kiya hai?"


"kaise sidh karein?" kapaltantar ka gussa foot padha!


"aap jano!" ajay gurraya - bus itna samjh liziye, sidh na kar sakey tau majbooran giraftar karna padeyga!


"giraftar, nahi inspector ajay !" ekaek APRAJITA boli - " maharaj ko koi yahan se nahi le ja sakta!"


"samjhne ki koshish karein aprajita ji!" ajay bola - "kapaltantar ke khilaf poorey saboot hain"!


"agar aisa hai tab bhi !chehrey pe kathorta latey huye APRAJITA ne ajay se kaha - " hum maharaj kapaltantar ki jamanat lete hai inspector - bolo, kabool kartey ho ya tumharey officer se baat karin, maharaj ek second ke liye villa se bahar nahi jayeingey!"


"aapki jamanat sawikaar na karu aisa ho he nahi sakta madam.....!" ajay keh utha!


RUDRA ne virodh karna chaha - par APRAJITA USS par he foot padhi !


"MAT BHOOLO RUDRA!" APRAJITA KATHOR SWAR MEIN KEHTI CHALI GAYI- tantar mantar bagair kisi dushman ke karaye nahi hogaye -abhi tak tum patta nahi laga sakey, woh chhatri kis tantrik ne kiske kehne se beji thi - koi tau hai jo nahi chahta hamari GUDIYA theek ho - kya yeh sari saazish uski nahi hosakti ?"


RUDRA KO CHUP REH JANA PADHA !


thodi or chhanbheen ke baad kapaltantar ka khoon se sanna trishool chhat par bani pani ki tanki mein padha mil gaya!


photo or fingure print section ne apna kaam kiya, laash ko postmartam ke liye bej diya!
________
____________[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 29 Jan 2016 20:40

Update 29 Raat ke 2 baj chuke the!!!!


kapaltantar ko neend nahi aarahi thi !!!


jaane kyun usko lag raha tha - idhar woh soya - udhar fir uske khilaaf koi saazish rachi ja sakti hai !!!!


achaanak "-dhappp-" ki awaaz sunkar uchhal padha!!


aisa laga, jaise koi kudhaaa ho !!!


bed par uth kar baith gaya woh !!!!!!!


kaan gallery mein se ubharne wali halki si awaaz ko sun-ney ke liye sajag hogaye!


kaafi time tak koi awaaz na ubhri!!!!


achanak he kisi ki gallery mein chalne ki awaaz ubhri !!!


kapaltantar ka dil dhaad dhaad karke bajne laga !!!


lapakkar darwaaze ke nazdeek pohancha !!


"ki hole" se aankh sataai he thi ki samne se ek kaala saaya gujarta dekh rongtey khadhey hogaye !!


darwaza kholkar udhar dekha jidhar saya gaya tha !!!


aankhein chipak-kar reh gayi !!!


suspence ki jiyadati ke karan uske chehrey he par nahi poorey jism par paseena ubhar aaya !!!


kon hai yeh ?


naqab posh rustam ke darwaza kholtey he andar chala gaya !!!!


"kameeno" kapaltantar budbudaya - "tumi koi khel khel rahe ho, ab tumein bata he du kameeno ki main kya cheez hu ?"!


kapaltantar ne jhuk kar "ki-hole"se aank satta di - naqab-posh ke samne khadhe RUSTAM OR MARKANDEY saaf najar aarahe the !


naqab-posh keh raha tha - "halaanki tumhara kaam theek chal raha hai lekin......


"lekin ?" markandey ne poocha !!!


"tumein jalad se jalad kapaltantar ka ilaaz sochna padeyga "!!!


"soch liya hai !" rustam bola - "woh kal ka sooraj nahi dekh paayega !"


udhar , kuch kehne ke liye markandey ne moonh khola idhar, kapaltantar ki peeth par kisi ke boot ki itni jordaar thokar padhi ki - woh darwaze ko paar karta kamrey ke andar ja girra - abhi theek se sambhal bhi nahi paya tha ki kisi ne pichey se boori trha jakadne ke sath moonh par hath rakh diya !!!


"chhodna nahi maheesh !" markandey hansa - " chhodna nahi warna cheekh padeyga .... or iss baar itni jor se cheekheyga ki awaaz nichey tak pohanch sakti !"


naqab-posh rustam time waist mat karo, maar daalo isko !"


"FIKAR MAT KARO AZGAR !" usko jakdey maheesh ne kaha - "main issi trha pehle bhi RUSTAM ke shikaron ko daboch chuka hu !!"


rustam ne chaaku nikaal liya !!


naqab-posh ka naam sunkar kapaltantar ki aankhon mein hairat ke bhaw bhi ubhar aaye - markandey uske nazdeek aaya, bola - "dekh kamrey mein politheen bichi hai - soch, jara soch ki aisa kyun hai - mujhe maloom hai - maheesh ne tera dimag nahi jakad rakha - soch sakta hai , or samjh bhi sakta hai , yeh saari tyaari isiliye hai taanki - -RUDRA ko investigation me dekhne ke bawjood tere khoon ki kahin ek boond najar na aaye - yeh sari tyaari pehle se hai isiliye tu samjh gaya hoga , apne kamrey se iss kasaaikhane tak tu apni marji se nahi balki hamari marji se aaya hai !!"


naqab posh ne kaha - "yeh bekaar ki baatein chhodo markandey !"


"tujhe yeh laaya hai!" markandey ne naqab-posh ki traf ishara kiya - " jaan-bhooj kar awaaz ki - or tu pichha karta yahan aagaya - mujhe maloom tha , mujhe maloom tha aaj ki raat tujhe neend nahi aane wali - yeh AZGAR hai - asli naam tau hamein bhi nahi patta magar naam se lena bhi kya? - apun ko daam chahiye - so yeh deta hai - pehle badhey badhey kaamon ke kamm daam deta tha - ab chhotey chhotey kaamo ke jiyada daam deta hai !"

kapaltantar jor se machla !


"yeh kya bakwaas hai markandey ?" iss baar azgar gurra utha - "kaam ko khtam kyun nahi kartey?"


"dekhlo , issi ko jiyada bechaini hai.............. aa bhai rustam, mera kaam khtam........... tera shuru!" markandey ek traf hogaya !!


rustam ne ek pal na bekaar kiya - chaaku wala hath hawa mein uth-ta najar aaya - bijli si kondhi or chaaku ka chamchamata hissa kapaltantar ke jigar mein ja dhansa!!!!!!!


maheesh ne ussko tab chhoda jab laga ab chah kar bhi cheekh na sakeyga !!!!


kapaltantar ne antim hichi lene se pehle kaha " yeh aadmi tum sab ko dhokha de raha hai, AZGAR MAIN HU - MAIN HE ISS NAAM SE PHONE KARKE TUMKO KAAM SONPTA THA ................... AZGAR MAIN ........ MAIN AZGAR !


kapaltantar dusri duniya ki traf kooch kar gaya !!
____
_________ kya kapaltantar kisi dusrey ke jism mein guss jayega????
________________ ab kya hoga kon bachayega gudiya ko?

[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 29 Jan 2016 20:41

Update 30 kamrey mein sannata chha gaya!!!


aisa sannata jo apne aap mein jabardast tanav liye huye tha!


yeh khamoshi kapaltantar ki hatya ke karan nahi balki marne se pehle uske moonh se nikle antim shabdon ke karan thi - jahan iss waqat sabki najrein apne he khoon ke talab mein narjeev padhe kapaltantar par sathir honi chahiye thi wohin , MARKANDEY,RUSTAM OR MAHEESH ki najrein naqab-posh par tikki hui thi,or naqab-posh ki unpar!!!!


maheesh or rustam ne markandey ki traf dekha !!


dono ka ek he sawaal tha kya kiya jaaye?


"yeh kya keh gaya dost ?" markandey ne ajeeb sawar mein naqab-posh se pucha - "marta-mata kya gajab kar gaya kapaltantar ?"


naqab-posh ne sabhi ki soch ke ulat jawab diya - "MARTA HUYA AADMI JHOOTH NAHI BOLTA"!


"yani ke AZGAR ke naam se sach-much humein yeh-he kaam sompta tha ?" RUSTAM gurraya!!!


"100% correct"


"tau tum kon ho?" maheesh gurraya - "AZGAR kyun bane ?"


markandey ne kaha - "pehle ghoonghat he utha do !"


"yeh lo !" kehne ke sath usne apne hath se naqab utaar liya !


"BALRAJ ????????" teeno uchhal padey!!!!!


"tum tau ghuti huyi cheez nikle balraj!" markandey keh utha - "apun se kai hath jiyada ghuti hui!"


"kyun ?" balraj muskuraye ja raha tha !!


"baraj ke roop mein khoon khrabey se inkaar kartey rahe or AZGAR ke roop mein kapaltantar ke murder ka sauda kar daala humse, uske baad puchtey ho kyun?"


RUSTAM ne poocha - "kapaltantar ne humein marne se pehle apna rahsya kyun nahi bataya jabki AZGAR ka zikar bhi aaya tha!!!"


"jahir hai apni kamjori tumhare hath nahi lagne dena chahta tha!"


"kamjori?"


"jab patta lagta ki tantrik hone ke bawjood yeh ek gangster ki trha kaam saumpta tha tau tum iske baarey mein kya sochtey ?"


"patta nahi kya sochtey magar sochtey jaroor"


"or iska raaz khol dene ki dhamki dekar laabh bhi uthatey!"


"yakinan"


markandey bol padha "tab tau tumein yeh bhi maloom hoga ki 1saal pehle he................


balraj baat kaat ke bola - "kisi ki janam patri jaane bagair uska roop dharan nahi kiya ja sakta !"


"KYA WOH KAAM BHI TUMNE KAPALTANTAR KO DIYA THA ?"


"jahir hai!" balraj ne kaha - issi-liye main yahan par iska aagman nahi chahta tha lekin RUDRA ki meharbaani se aa dhmka or woh he kaam shuru kar diya jiska darr tha - mujhe dhamkane laga - main samjh gaya , yeh jinda raha tau mere hath kuch nahi lagne dega!!!


"or tumne kalyaan karwa diya ?"


"dekh he rahe ho" balraj kapaltantar ki laash ki or ishara kartey huye bola - "yaad rakhna sab" - balraj ne chetawni di - "jo bhool isne ki woh tum log mat karna !"


"yani ?"


"mission khud apne hathon mein lene ki bhool!"


"agar lein tau......... tau apun ka bhi yeh he haal karogey ?" rustam kheez ke bola!


balraj ka sawar khushak ho utha - "main khokhli dhamkiyan nahi diya karta !"


"teri tau........" rustam bhadak utha !


"apne iss pyaadey ko bhi smjha lo!" balraj ne rustam ko ghoortey kaha- " isska chaaku mere jism mein nahi guss sakta !"


" ok ...... ok ......... ok .......... apun samjha laiga, tum fikar mat karo balraj !" markandey ne teji se palatkar rustam se kaha - "iss malwe (kapaltantar) ki ghadri banakar balraj ko dedo,apun ko badboo aata !"


jaane kya soch kar rustam chup reh gaya !


charon ne polytheen ke charon kono ko sawdhani se se ghadri banai taanki ek bhi boond farash par na girrey!!!
_________
_____________
______________________

[/size]

Post Reply