Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story
Posted: 01 Feb 2016 08:31
update 34teeno ke chehrey fakkk the !
sakshaat maut tandav kar rahi thi unn par !
"ab kya hoga ?" maheesh jane kitni baar puch chuka tha !
" hoga kya ?" rustam jhunjhlaya - " yah aalishaan villa hum sabka makbraa baneygi 1"
"kamaal hogaya !" markandey khud se bola - "main tau RUDRA ke bataye jane par iss baat ko korii gapp maan raha tha, vishwas hota tau...........
"tau kya karta tu ?" rustam baat baat par jhunjhlaraha raha tha !
kam se kam usko maarne ke mansoobey kabhi na banata !"
"aazeeb musibat galey padh gayi !" maheesh keh utha - "saley ka ek shreer thanda kiya tau dusrey mein jagussa - iss trha tau hum usko kabhi maar he nahi sakeingey , kiran ka shreer nasht kar daingey tau koi or jism dharan karke samney aa khadha hoga !"
"usko maarne ke tau khawab dekhna chhodh de !" rustam ne kaha - "yeh soch, khud ko bachana kaise hai - D.G.P ko phone kar ke aprajita iss villa ko hamare liye qaidkhana bana chuki hai !"
"QaidKhana nahi, kasaaikhana keh !" maheesh bola - "kasaai ka naam hai, kapaltantar !"
"wohi kyun , villa ki malkin or RUDRA bhi kahan pichey hain - KAPALTANTAR ki ek he dhamki ne unhein chitt kar diya,woh humein yahan se nahi niklne daingey !"
"maine pehle he kaha tha, 1carore se jiyada ke laalach mein ultey seedhey kadam mat uthao !" maheesh kehta chala gaya - "magar tum mane he nahi, ab footi kodhi ko tau chhodho - jaan ke laaley padd gaye !"
vicharmagan rustam ne kaha - "kewal ek rasta hai markandey !"
" woh kya ?"
"villa se frar ho liya jaye !"
"namumkin!" markandey ne bura sa moonh banaya !
"agar marna he hai tau sabko sath lekar mareingey !" maheesh ne kaha - "akele kyun marein ?"
"matlab ?"
"balraj or yogesh bhi tau dhar par rakhey jane chahiye !"
markandey ne kaha - " tab se yehi ek baat soch raha hu , kapaltantar ki hit list mein hum or naqab-posh he kyun - balraj or yogesh kyun nahi - woh janta hai, asli planer woh dono hai fir bhi, aprajita or RUDRA ke samne unka raaz nahi khola usne ?"
"humein yeh bakwaas sochne se kya fayda ?"
"samjhne ki koshish kar rustam - usne balraj or yogesh ke raaz ko ab tak raaz rakha hai, iska seedha matlab yeh hai ki woh ab bhi ussi plan par kaam kar raha hai, jiss par pehle kar raha tha!"
"tau ?"
"hum iss sathiti ka laabh utha saktey hai !" markandey kehta chala gaya - "balraj ko pakadein ussse kahein, ya tau hamein villa se bahar nikaaley nahi tau uska or yogesh ka raaz aprajita or RUDRA par khol daingey !"
rustam or maheesh ko umeed ki halki si roshani nazar aayi !
_________________
____________
__________________
[/size]