Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story
Posted: 01 Feb 2016 21:28
Update 37"RAAT KAAFI HOGAYI HAI RUDRA !" bistar par laiti kiran ke moonh se kapaltantar ki awwaz nikali - "JAAO.......... JAAKAR AARAM KARO !"
"kyun ?" RUDRA holley se muskuraya - "mere baithe rehne se aapko ky dhikkat hai ?"
kiran ke honthon par rahysamay muskaan ubhar aai - kapaltantar ki awaaz nikali - "TUM SHAYAD HAMARI CHOKASI KAR RAHE HO ?"
"chokasi ?" ne ek najar aprajita par daal ke kaha !
" TUM GALAT JAGHA BAITHE SAMYA waist kar rahe ho !" kapaltan ki awaaz eek ek shabad par jor dety kehty chali gayi - " chokasi (matab nigarni) unki karni chahiye jinko marna hai kyunki hum yanhi baithey raheingey or aaj raat unmein se ek marr jayega !"
"aaa aap aisi batein kyun kar rahe maharaj ? " uski baat sunkar aprajita ke chehrey par kauff najar aane laga tha - " yeh khoon kharaba , yeh katal ............
"hum kewal batein nahi kar rahe !" kiran ke moonh se nikali awaaz ne visfot kiya - "MAHEESH aaj fansi laga kar marne wala hai !"
"kya aap unko maaf nahi kar saktey maharaj ?"
"maaf kar du ?" kapal ki gussey bhari awaaz ghoonji - "kya woh papi maaf kar dene layak hain ?"
"bhale he na ho !" RUDRA NE KAHA - "mujhe dukh horaha hai , aakhir aap unke star par kyun utar aaye - aapka star maaf kar dene par banna reh sakta hai!"
"papion ka sarvnaash he tantar vigyaan ka sandesh hai !"
"parntu maharaj !" aprajita ne kaha - "jiss masoom ke shareer mein aap hain, usko kanoon ki najar mein hatyari kyun banatey hain - agar yehi sab karna hai tau kisi or ka shareer istemal kyun nahi kar lete ?"
"tum khud janti ho devi !" kiran ke moonh se awaaz nikali - agar hum kisi or ke shreer mein hotey tau na tum villa ke charon taraf police ka jaal bichhaty , NA RUDRA shant baitha hota - iss waqt kewal ek he vaada kar saktey hai, yadi tumne koi gadbad na ki tau kiran ka koi baal baanka nahi kar sakeyga !"
_____________
_________________
______________________
BISTAR par padhey maheesh ki aankhon mein neend ka naamo nishaan na tha !
halaanki apne kamrey ka har khidki darwaza usne kai-kai baar check karke khud band kiya tha !!
"iske bawjood dilo - dimaag se maut ke khauff ko nikal nahi paaya - jiss pal se kiran ke jisam mein mojood kapaltantar ne yeh kaha tha ki woh ek-ek karke unn sabki hatya kareyga tab se na jane kyun usey lagraha tha, sabse pehle ussi ka no hai- aisa shyad issiliye tha kyunki yeh baat kehtey huye kapaltantar (kiran) ki aankhein ussi ki traf dekh rahi thi !!!
halki si aahat hotey he bed par uth kar baitha !!
usko laga koi hai !!
aahat dowara huyi or iss baar woh na kewal bed se uchhal kar farsh par khadha ho , balki bed ke neechey jhankta huya bola - "kon hai ?"
"shhh shhhiii!" bed ke nichey honthon par ungali rakhey ussey chuup rehne ka ishara karta yogesh najar aaya !
"tum ?" halak se ghuti ghuti si cheekh nikal gayi maheesh ki !!!
"farar hone ke liye iss se achhaa mokka nahi mileyga !"
"maheesh ne dekha, bed ke neechey yogesh ka kewal chhaati tak ka jism chamak raha raha tha - baaki hissa farsh mein ghum tha - maheesh ko yaad aaya, yogesh ka kamra, iss kamrey ke theek neechey hai !
BALRAJ or YOGESH dowara unhein yahan se faraar karane ka vaada yaad aaya !
yehi karan tha yogesh raingta huya maheesh ke kareeb aagaya, or maheesh ne apne moonh se chooo-chaan tak ki aawaz tak na nikali!
yogesh ke kandey par latak rahi rassi ka arth nahi samjh saka tha !!!!!
_____
_________
_____________ khel shuru
_________________
[/size]