Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story
Posted: 02 Feb 2016 08:44
Update 43"tau kiran ka dard, woh cheekh chillahat ?"
kapaltantar :deil2: ki awaaz goonji - "sab gudiya ki acting thi, warna uske sweet sweet dost kya apni gudiya ka hall bhi na poochne aatey kya ? yeh master plan tha he gudiya ka, jo uske sab dost jaantey the ! abhi 10th mein sochta hu baad mein kya kareygi shaitan gudiya ha ha ha !"
"fir doctors ki report ?"
kiran ke moonh se kapaltantar ki gurrahat nikli - "bewkoof jab kiran thi he theek tau report bhi theek he aani thi na .........
yogesh ne pucha "aap dhokhey mein kaise fanss gaye fir maharaj, aapko tau maloom tha anushthan se aisa kuch hone wala nahi hai !"
" yogesh yeh ek bhidhamna hai !" kiran ke halak se ghambheer awaaz nikli - "hum jaise tantrik dusron ko dhokha dete dete ek din khud apne he dhokhe mein fans jatey hai - wohi huya, aakhir anushtan hum kartey tau ussi mutabik hain jaisa tantar ki kitabon mein likha hota hai - jab tum dono ne aashram mein aakar bimar gudiya ka haal byaan kiya tau na kewal khud apne bhramjaal mein fanss gaye balki yeh sochkar man he man khush bhi huye ki tantar ki kitabon ne humein sach-much kisi ko bimar karne ki power ka vikaas kar diya hai- kitabon ke likhey mutabik he tumein dawaiyan di - lagne laga ki ab markandey jaise logon ki jaroorat nahi padha kareygi.....
....... ek baat or tumhare mana karne ke bawjood balraj markandey ke addey par pohncha - ek carore ka laalach dekar tantrikon ke roop mein unko yahan laaya - darasal hum sabko iss kasaikhane mein ikhatha karna he inka udeshyaa tha !"
__________
_____________ ab aagey ---------
___________________
lekin aapko tau rudra itefaq se le aaya !
"ussi karan inki yojna thodi ghadbdha gayi !" kiran ne kaha - "yojna mein humein yahan lana shamil tau tha parantu tab jab daulat ke laalach mein markandey, monicka, rustam or maheesh ka murder kar chuktey - rudra ki mehrwaani se hum yahan aa pohnche - markandey group ko tantrik ke roop mein dekhkar chownke - humein tab bhi haqiqat ka ilam na tha, yehi soch rahe the ki mohak tyre udhyog ki daulat hadpne ke liye tumhara or balraj ka sanyukat plan chal raha hai- mission par khud ko hawi hone ke liye humne balraj se markandey group ko villa se daffa karne ke liye kaha !"
yogesh ne pucha - "aapne unko bataya kyun nahi ke aap he azgar hain ?"
"koi fayda na tha balki unki najar mein apna kadd he chhota karne wali baat ho jaty !"
"oh!"
"magar balraj AZGAR ban-kar double game khel raha tha - isne unnse hamari hatya ka sauda kiya, unki jaroorat bhi hamara khatma thi - markandey ke pass ek tej dimag tha - pehli raat usne monicka ka katal karke hamarey 'gayab' hone ki ground tyaar ki or agli raat apni samjh ke mutabik hamari hatya - humne unhein or balraj ko bharamit rakhne ke liye kaha tha sooksham shreer (atma) ke mujhe naqab-posh ki haqikat patta nahi hai - par asal mein har cheez ka patta tha - balki BALRAJ ne unki madad se hamarey bhoodey shareer ko uthaya or ground floor par aagaya - markandey aadhi na jaan sakey yeh hamarey jisam ko kahan le gaya - parantu humne dekha balraj ne hamarey jisam ko apne kamrey ke freez mein thoons diya !"
yogesh "maharaj aapne yeh sab kab jana ki asali sazish humse mohak ki hatya ka badla lene hetu chal rahi hai ?"
" tab, jab apne shuksham shreer ko KIRAN ke shreer mein parvrisht karana chaha - humne paya, na kiran par bramrakhshash kaabiz tha, na kaal bhairvhi - ismein kewal kiran ka sukhsham shreer tha - samjhtey dair na lagi ki kiran ab tak acting kar rahi thi - uske baad hum iss ke shreer mein guss gaye, iske mann ko padna hamarey liye kathin na tha - or mann ko padne ke baad sari sazish khuli kitab ki trha thi magar batane ka sahi waqt nahi aaya tha - uske baad jo huya, tum jantey he ho..... humne tumharey hathon maheesh,rustam or markandey ke murder karwaye !"
"or or ab yeh jhoothi kahani sunakar mere or yogesh mein foot dalni chata hai!" dhahaadh ke sath he balraj ne jaib se rivolver nikaal liya - goriley ki trha jhapat kar usne kiran ke baal pakad liye - aprajita or yogesh thaggey se khadey reh the ki rivolver kiran ki kanpati se sataye woh gurraya - "agar tumne aagey badhne ki koshish ki tau main kiran ki khopadi udha dunga aprajita !"
"balraj" aprajita cheekh padhi ! (chachu ko balraj ke naam se pukara )
""kapaltantar bohat kameena hai yogesh !" balraj cheekhta chala gaya - " jhoothi kahani sunakar yeh meri sathiti saanp chhchundar wali bana dena chata hai - ek taraf aprajita janti hai ki yeh sab jhooth hai, dusri traf tumein mere khilaaf bhadka raha hai - yeh iss waqt bhi ussi mission par kaam kar raha hai - yogesh - patang ki sari dor par khud apna niyantran sthapit karne wale mission par - yeh hum dono ke hathon ek ko marmana chahta hai - zahir hai, yeh sun-ney ke baad dusrey ko aanchal maar daaleygi !"
yogesh ka dimag chakkra gaya !
[/size]