Ek Aurat ki Dastaan

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Unread post by rajaarkey » 03 Nov 2014 07:28

"Ab kuch bataogi bhi, ki aakhir hua kya hai..? Yun jaan dene par kyun tuli ho tum..?" Kaafi der tak intezaar karne ke baad ab Ravi ka sanyan jawab de gaya...

"Kya jaana chahte ho tum..? Yahi ki meri zindagi barbaad ho chuki hai.. Ab meri zindagi me kuch nahi bacha hai..? Yahi sunna chahte ho naa tum..?" Riya ne apni aankhon se nikal rahe aansuon ko rokne ki naakam koshish karte hue kaha.

"Ye kya bol rahi ho tum Riya..? Main bhala aisa kyun chahunga." Iss baar Ravi ne haath badha kar Riya ki aankhon se nikal rahe aansuon ko pocha aur uska haath apne haathon me le liya. Uska aisa karte hi Riya ne Ravi ke chehre ki taraf pahli baar dhyaan se dekha..

Uski aankhon se apne liye pyaar hi pyaar chalakta paya Riya ne.. Magar ab afsos karne ka kya fayda jab wo Ravi ke baare me kabhi soch hi naa paayi..

Khair Ravi ke samjhaane par Riya thoda shaant hui, use lag raha tha ki use ek saathi mil gaya hai jisse wo apne dil ki baat share kar sakti thi.. Usne bolna shuru kiya..

"Main aur wo Kuch saal pahle America me mile the.. Ab ye mat puchna ki wo kaun hai, main chah kar bhi nahi bata sakti uska naam..

Wo ek bade businessman ka beta tha jo hamare hi college me padhta tha.. Main bhi usi college me thi..

Mujhe kabhi ladkon me koi khaas interest nahi raha hai.. Ye to tum jaante hi hoge.." Riya ne thodi der rukkar Ravi ke chehre ki taraf dekha jo sehmati me sar hila raha tha.. Phir usne bolna jaari rakhkha.

"Mujhe aur ladkon ki tarah hi usmein bhi koi interest nahi tha jabtak ki ek din usne meri jaan naa bachayi.." Riya aise bol rahi thi jaise saara drishya uski aankhon ke saamne chal raha ho.. Usne aage bolna jaari rakhkha.

"Ek din hamare college me ek bahut bada function tha.. Kya Indian kya American aur African..pura hall khachakhach bhara hua tha..aakhir wo show bhi to America ke sabse prasidh college ka tha.. " Ye bolte hue uske chehre par halki si muskaan aa gayi lekin pal bhar me hi wo muskaan gayab ho gayi..

"khair programme ki shuruat hui.. Ek se ek dance aur gaanon ki barsaat se saare darshak mantramugdh ho chuke the..

Magar ek baat main batana bhool hi gayi ki unn dance programmes me ek program mera bhi tha..

Magar ye ittefaaq hi tha ki mere saathi dancers me ek wo ladka bhi tha.. Haalanki uss dance me hero ka role koi aur kar raha tha.. Aur main heroine ka role kar rahi thi, phir bhi naa jaane kaise ye sab ho gaya.

Uss dance ko karne ke liye ek bada sa ghar ka set banaya gaya tha jismein chhat bhi thi.. 0agar ek galti jo oragnisers ne kar di thi ki wo pura set mote mote lakdi ke takthe ka banwa diya tha jisse kisi ko oopar jaakar dance karne me dikkat naa ho...Aur ek scene ke dauraan mujhe chhat par chadh kar dance karna tha aur usske niche hero ko khade hokar mujhe dance karte hue manana tha.. Khair wo to baad ki baat hai..

Dance shuru ho gaya.. Saab kuch bilkul aaram se chal raha tha aur darshak hamare manmohak nritya ka maza uthate hue taaliyaan baja rahe they.. Magar unhen nahi pata tha ki abhi ek badi ghatna hone wali hai..

Tabhi maine achanak uss ladke ko chhat ki taraf aate hue dekha aur isse pahle ki main kuch samajh paati wo mujhe lekar chhat se niche kud gaya.. Aur phir ek Dhadam ki aawaz ke saath pura set aage ki taraf gir gaya.. Usski chapet me aane se sab bach gaye they aur koi chati nahi hui magar mujhe bachane ke chakkar me uss ladke ki taang jarur toot gayi..

Baad me uss ladke ne mujhe bataya ki ussne set ka base hilta hua dekha tha jaise bas ab girne hi wala ho isliye jaldi se bhaag kar mujhe bachane aa gaya.." Itna bolkar Riya saans lene ke liye ruki.. "Phir kya hua..?"Ravi se ab jyada intezaar nahi ho raha tha..

"Phir..? Phir wo hua jo aaj meri barbaaadi ka kaaran ban gaya.. Dosti aur phit pyaar.." Riya ne sar jhukakar apne aansuon ko rokne ki naakam koshish karte hue kaha.

"Kyun aisa kya kar diya uss ladke ne jo aaj tum iss tarah apni jaan de rahi thi..?" Ravi ne usske kandhe par haath rakhte hue kaha..

"Do you really want to know what he did to me..? He used me.." Riya ki aawaz bahut dhire aa rahi thi..

"He used me sexually.. And I'm pregnant.." Ye baat Ravi ke sar par kisi bomb ki tarah giri aur usne jo haath Riya ke kandhe par rakha tha wo ek jhatke se dur kar liya jaise wo koyi bahut gandi cheez ho jise chune se wo ganda ho jaayega.

"Ravi..." Ravi ko iss tarah dur hote dekh Riya ke muhn se bas itna hi nikal paaya aur baaki to uske rone ki aawaz hi thi..

"Sneha..." Thakur sahab ki kadak aawaz sunkar Sneha ke kadam jahan they wahin ruk gaye. Usne unki taraf dekha jo abhi sneha ki taraf peeth kiye hue khade they.. Yun to thakur sahab kabhi bhi iss tarah Sneha se baat nahi karte the kuch maukon ko chhodkar matlab jab wo gusse me hote they..

"Ji papa.. Kya baat hai..?" Sneha ne dhire se pucha, use darr lag raha tha ki kahin uske pita ji ko pata naa lag gaya ho..

"Ye main kya sun raha hun..? Thakur sahab ne usi kadak aawaz me bolte hue Sneha ki taraf ghumte hue kaha..

"Kya Papa..?" Sneha ne phie darte darte pucha..

"Tum achchi tarah jaanti ho ki hum kiski baat kar rahe hain.. Jaan kar bhi anjaan banne se tumhara jhooth nahi chhip jaayega.." Thakur sahab ne fir se kadak aawaz me kaha.

"Papa mujhe sach me kuch samajh nahi aa raha ki aap kya kehna chahate hain.." Sneha ne sar jhukate hue kaha.

"Tumhein nahi pata.. To kise pata hoga..? Tumhara aur Raj ka kya sambandh hai..?" Thakur sahab ne zor se chillate hue kaha jisse unki puri haweli gunj uthi.

"Papa.. Wo.. Wo..." sneha ke muhn se aawaz aani bilkul band ho chuki thi..

" Kya wo..wo..? Humein jawab chahiye.. Tumhare aur Raj ke beech kya sambandh hain..?"

"Koi sambandh nahi hai papa.. Hum to sirf achche dost hain.." Sneha ne ladkhadati aawaz me kaha jisse uska jhooth saaf pata chal raha tha..

"sirf dost ya kuch aur bhi..?" Thakur sahab ne gunjti hui aawaz me pucha..

"jee kuch aur nahi papa..."

"Jhooth mat bolo humse...kyunki uska koi fayda nahi.." Sneha ki baat puri hone se pahle hi thakur sahab garaj uthe..

"sach sach batao ki tum dono ke beech kya sambandh hain.. Hum wada karte hain ki hum tumhein kuch nahi kahenge.." Sneha jiski aankhon me ab aansu aa gaye they, usse Thakur sahab ne aawaz niche karte hue kaha..

"Papa Main Raj se pyaar karti hun.. We both love each other.." Sneha ne rote hue kaha.. Jise sunkar pahle to Thakur sahab thoda muskuraye lekin phir apni gambhir awastha me aa gaye..

"Tumhein pata hai ki tum kya keh rahi ho..?" Thakur sahab ne pucha..

"Haan Papa.. Main usse pyaar karti hun aur uske bina zinda nahi reh sakti.. Agar aapne mujhe usse alag karne ki koshish ki to main apni jaan de dungi.." Sneha ki ye baat sunkar Thakur sahab ko jhatkat laga.

"Ye tum kya bol rahi ho Beti.. Maine kab kaha ki main tumhein Raj se alag karunga..? Main to bas yun hi mazak kar raha tha.." Thakur sahab jo abhi tak gambir mudra me they ab mazakiya lahze me bol rahe the.

"Achcha to kab karwa rahe ho..?" Sneha ke aansu ab ruk gaye the aur chehre par khusi aa gayi thi..

"Kya..?" Thakur sahab ne pucha..

"Hamari shaadi aur kya..?" Sneha ki ye baat sunkar ek baar phir se thakur sahab ke chehre par gambheerta aa gayi..jise Sneha ne bhaanp liya aur wo samajh gayi ki wo kuch jyada hi bol gayi..

"Sorry papa.. Main kuch jyada bol gayi.." Sneha ne udaas swar me kaha..

"Are koi baat nahi beta.. Lekin haan.. Itni jaldi shaadi ki sochna bilkul theek nahi.. Abhi to tumne puri padhayi bhi puri nahi ki.. Aur waise bhi pahle mujhe uss ladke ko achchi tarah parakh lene do.. Phir hum tumhari shaadi ke baare me sochenge.." Thakur sahab ne ek hi saans me puri baat keh daali.

"Papa mujhe pakka yakeen hai ki Raj aapki pariksha me jarur pass ho jaayega. Waise bhi aap usse pahle to mil hi chuke hain." Sneha ne chahkte hue kaha..

"Haan beta.. Magaar mujhe ek baar phir usse milna hai.. Tumhare rishte ki baat karne ke liye.." Thakur sahab ne muskuraate hue kaha..

"Oh papa... To main kal hi use bula lun lunch par..?" Sneha ki khusi ka thikaana nahi tha.

"Haan bilkul bilkul bula lo.. Aur usse kehna mat ki humne use kis liye bulaya hai.." Thakur sahab ne sneha ke gaal par haath rakhte hue kaha..

"Oh.. I love you papa" Ye bolkar Sneha thakur sahab ke gale se lipat gayi..

"Achcha beta ab tum jaakar fresh ho jaao.. Tabtak khaana bhi laga diya jaayega.. Jaao.." Thakur sahab ne use apne se alag karte hue kaha..

"Ok papa.. Main abhi fresh hokar aati hun.." Itna bolkar Sneha daudte huye sidhiyon par bhaagti hui apne kamre me chali gayi.. Magar uske jaate hi Thakur sahab ek baar fir gambhir mudra me chale gaye aur naa jaane kis gehri soch me kho gaye....

kramashah.........................


rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Unread post by rajaarkey » 03 Nov 2014 07:28

Ek Aurat ki Dastaan--8

gataank se aage...........................

"Bhooo" Iss aawaz se kinhi khayalon me khoya Raj hadbada gaya. Sar ghumakar dekha to paaya ki Sneha udhar khadi hokar zor zor se has rahi hai.

"Bahut darane ka shauk ho gaya hai Devi ji aapko ?" Raj ne uska haath pakadkar apni aur khinchte hue kaha,Aur use apni goad par baitha liya.

"chhodo mujhe. Koi dekh lega. Ye hamara ghar nahi college hai." Sneha ne usse chhutne ki naakam koshish karte hue kaha.

"Aji..Itni aasani se nahi chhodne wale hum aapka haath. Ab pakda hai to marne ke baad hi chutega ye."

Marne wali baat sunkar Sneha ne uske muhn par haath rakh diya.

"Dobara marne ki baat ki naa to main hi tumhein maar daalungi" sneha ne muhn banate hue kaha.

"Aji maar daliye naa. Aap inn haathon se humein marna bhi manjoor hai.

Pyaar karte hain hum aapse, koi mazak nahi." Raj ne daant dikhate hue kaha.

"Wah kya dialogue maara hai. Kahan se sikha ye ?" Sneha ko bhi ye panktiyaan pasand aa gayi thi shayad.

"Are yaar. Kya bataun tumhein. Mujhe internet kaa bada chaska lag gaya hai. Wahin par XB naam ke site par ek kaahani padhi thi. Usi me thi ye lines. Jahan Raju apni Premika Padmini ko ye panktiyaan bolta hai. Tum bhi jarur padhna ye kahaani." Raj ne muskuraate hue kaha.

"Ok jarur padhungi ! By the way tumhein mujhse ye lines bolne ki koi jarurat nahi hai. Mujhe pata hai ki tum mujhse kitna pyaar karte ho." Ye bolkar Sneha ne ek chumban Raj ke honthon par jama diya.

"Waise ek baat puchun ?"Ab dono apni jagah se uth gaye the aur ek garden ki taraf jaa rahe the jaahan wo akele me baithkar baatein kar saken.

"Haan. Ab tumhein mujhse kuch puchne ke liye permission leni padegi ? Khul kar pucho. Kya batana hai. Kahin mere shareer ke kisi ang ke baare me to nahi puchna chahti ?" Raj ne daant dikhate hue kaha. Jiska matlab samajhte Sneha ko der naa lagi aur usne dhire se ek pyaar bhara mukka uske sine par jama diya.

"Main kuch aur puchna chahti thi. Main jab tumhare paas gayi to tum pata nahi kin khayalon me khoye hue they. Bahut baar bolne ke baad bhi tum jab khayalon se bahar nahi aaye to mujhe tumhein aawaz nikalkar daran pada. Kya soch rahe they tum Raj ?" Sneha ka ye sawal sunkar pahle to Raj chaunk gaya lekin phir usne khudko sambhal liya.

"Are aise hi kuch soch raha tha. Jaane do.." Raj ne baat ko taalne ki koshish karte hue kaha.

"Aise kaise jaane dun. Jab tak tum mujhe nahi batate main nahi maanungi." Sneha ne zidd karte hue kaha. Raj ke laakh samjhane par bhi wo nahi maani.

"Achcha to suno. Main Ravi ke baare me soch raha tha." Raj ne sneha se do kadam aage hote hue kaha.

"Kya soch rahe they Ravi ke baare me.?" Sneha Raj ko sawaliya nigahon se dekh rahi thi.

"Kal Ravi aur Riya ko maine ek saath bike par jaate hue dekha. Dono pareshaan lag rahe they. Maine unhe aawaz lagayi lekin usse pahle hi wo dono nikal gaye." Itna bolkar Raj saans lene ke liye ruka.

"To phir kya hua ? Dono apne apne ghar chale gaye honge. Ismein itna sochne wali kya baat hai ?" Sneha ne uske kandhe par haath rakhte hue kaha.

"Ismein sochne wali baat ye hai Sneha ki wo dono ab tak ghar nahi pahunche. Riya ke ghar waalon ko to koyi tension nahi kyunki Riya waise bhi gharwalon ko bina bataye apne doston ke saath kayi kayi dino tak gayab rehti hai.. Magar Ravi. Wo kahan gaya uske saath ?" Raj ne kandhe uchkaate hue kaha.

"Tumne unhe phone karne ki koshish ki." Sneha ne pucha.

"koshish to bahut ki.. Magar dono ka phone band aa raha hai. Pata nahi dono kahan gayab ho gaye. Maine pata lagane ki bahut koshish ki magar kuch pata hi nahi chala.." Raj ke chehre par chintaa ki lakeeren saaf dekhi jaa sakti thi.

"Unn dono ka koyi affair waffair to nahi chal raha tha ?" Sneha ne phir pucha.

"Are affair ki to chhodo dono bas ek dusre ko chehre se hi jaante they. Isse jyada kuch nahi. Magar Ravi ke dil me Riya ke liye kuch tha. Aur maine ye baat bahut baar notice bhi ki thi." Raj ab bhi chintit tha. Uska yun fikarmand rawaiyya dekh kar Sneha ne use dhandhas bandhane ki koshish ki.

"Are wo dono koi dhoodh pite bachche hain kya ? Aa jaayenge.. Are haan, Main tumhein ek baat batana to bhool hi gayi." Sneha ne utsaahit hote hue kaha.

"Kya ?" Raj ne sawaliya nazron se dekhte hue pucha.

"Are yahi ki papa ko hamare affair ke baare me pata chal gaya hai." Sneha ne chahakte hue kaha.

"Kya? Kya bola unhone tab ?" Raj pahle shocked ho gaya lekin phir sambhal gaya.

"Pahle to unhone mujhe dara diya tha lekin phir wo maan gaye aur kal tumhein lunch par bulaya hai. Aa rahe ho naa kal lunch par ?" sneha ne pucha.

"Are haan bilkul. Tum bulao aur hum naa aayein, Aisa ho sakta hai kya ?" Raj ne daant dikhate hue kaha.

"Achcha to kal lunch par milte hain. Abhi main late ho rahi hun. Bye " Sneha ne ghadi dekhte hue kaha.

"Are ruko to sahi" Raj ne use rokna chaha magar tabtak wo jaa chuki thi aur Raj muskurata hua uske hilte hue nitamb dekh raha tha.


rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Unread post by rajaarkey » 03 Nov 2014 07:29

"Haan beta.. To batao.. Kaise ho..?" Thakur sahab ne Dining table par apne saamne baithe Raj se pucha.

"Theek hun uncle.. Aur aap..?" Ye puchte hue Raj ko Thakur sahab se pichli mulaakat wali baat yaada aa gayi jab wo apna khaana beech me chhodkar hi uth gaye they kyunki Raj ne unke saamne apne naukar Jaggu kaka ki taareef kar di thi. Use buraa to bahut laga tha lekin usne Sneha ki khaatir kuch nahi bola tha.. Usne sar ko jhatkat dete hue uss baat ko apne dimaag se bahar nikala aur Thakur sahab ki taraf dekhne laga..

"Main bhi theek hun beta, tumhein to pata hi hoga ki humne tumhein yahan kyun bulaya hai ?" Thakur sahab ne sidha kaam ki baat par aate hue kaha. Sneha bhi wahin par baithi thi aur Thakur sahab ke ye sawal karte hi usne sharm ke maare apna chehra jhuka liya. Uski chehre ki laali bata rahi thi ki uski kya haalat ho rahi hai.

"Ji uncle mujhe pata hai." Raj ne Sneha ki orr dekhte hue jawab diya jo ab sharm ke maare gadi jaa rahi thi.

"To beta ye batao, ki tumhare mummy daddy to hain nahi to phir tumhare rishte ki baat kisse ki jaaye ?" Thakur sahab ne sawal kiya.

"Uncle rishte ki baat karne ke liye main hun naa." Raj ne sidha sa jawab diya.

"Magar beta, ghar me ek bade aadmi ka hona jaruri hai naa.. Dahej me kya loge aur anya sabhi jaruri baaton ke liye ek bade ka hona to jaruri hai, tum akele to pura kaam nahi sambhaloge na..? Thakur sahab naa jaane kyun baar baar kisi bade ko laane ki baat kar rahe they..

"Uncle Dahej to main kabhi lunga nahi kyunki main Sneha se pyaar karta hun aur main dahej ke liye isse shaadi nahi kar raha, aur agar aapko kisi bade se baat hi karni hai to Jaggu kaka hameshaa aapki khidmat me haazir honge." Raj ek saans me puri baat bol gaya.

"main ek naukar se baat karunga apne damad ke liye..? Kabhi nahi." Thakur sahab jo ab tak narmi se baat kar rahe they, achanak unka lehza kadak ho gaya.

"Uncle aap baar baar unhein naukar naukar bolkar unka amaan kar rahe hain, aur ye main hargeez bardasht nahi karunga, wo hi meri maa hain aur wo hi mere pita.." Raj ka para ab saantwe aasman par chadh gaya. Aur wo khana choddkar uth gaya aur Thakur villa se bahar chala gaya jahan uski bike lagi huyi thi, usne bike start ki aur wahan se chala gaya.

Sneha ka muhn ye sab dekh kar khula ka khula reh gaya.. Use kuch samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare, apne Pita ke khilaaf wo jaa nahi sakti thi aur Raj kaa saath wo chhod nahi sakti thi.. Ajeeb si kashmakash me phans gayi thi wo.

"Papa, ye aapne achcha nahi kiya.. Iss tarah aapko Jaggu kaka ki beijjati nahi karni chahiye thi Raj ke saamne.." Sneha ki muhn se achanak ye bol phoot pade aur uski aankhon se aansu chalak uthe.

"Uss naukar kaa naam mat lo mere saamne." Thakur sahab ne garajti hui aawaz me kaha..

"Theek hai papa main nahi leti uska naam, lekin agar meri shaadi Raj se nahi hui to main apni jaan de dungi aur ye mera aakhiri faisla ye.." Ye baat Thakur sahab ke oopar bomb ki tarah giri.. Unhe apni beti se pyaara kuch naa tha.. Wo bhi sochne lage ki kyun maine bekaar me itni nautanki kar di.. Agar ek naukar se apni beti ke rishte ki baat kar hi leta to kya fark pad jaata.. Waise bhi Saara paisa to Raj ke naam hai aur wo daulat bhi arbon(billions) me.. Kyun main apne hi haathon se apni beti ki zindagi ka gala ghotun, ye sochte hue usne uss taraf dekha jidhar Sneha kuch der pahle baithi hui thi..

Magar ab wahan koi nahi tha.. Sneha roti hui wahan se apne kamre me bhaag gayi thi.. Thakur sahab ko apne kiye par pachtawa ho raha tha.. Wo uthe aur apna haath dhokar darwaze ki taraf mude aur Driver ko gaadi nikaalne ka aadesh diya..

Kuch hi der me gaadi bahar aa gayi aur Thakur sahab usmein chalkar baith gaye. Aur Driver ko "SINGHANIYA MANSION" ki taraf gaadi ghumaane ka aadesh diya aur wo chal pade apni beti ke rishte ki baat karne...

Pura sahar kisi dulhan ki tarah saja hua tha.. Har taraf khusiyaan hi khusiyaan thi. Har taraf logon ki bhaag daud ho rahi thi. Geeton ki madhur aawazen pure vatavaran me jaise khusiyaan hi khusiyaan bhar rahi thi. Aisa lag raha tha jaise koi bahut bada mela laga hua ho.

Aakhir hota bhi kyun naa..?Rajnagar ke sabse bade gharane ki ladki ki jo shaadi thi.. Mehmaano ki bheed aisi ki jaise kisi Raja mahraja ke yahan shaadi ho aur waisi hi unki aawbhagat ho rahi thi. Pura mahaul aisa lag raha tha jaise aaj koi bahut bada utsav ho.

Uss din Thakur sahab ne Jaggu kaka se milkar Raj aur Sneha ka rishta pakka kar liya tha.. Haalanki unhone dil par paththat rakhkar Jaggu kaka se milne ki chesta ki magar ant me unhe ek baat ka sukoon mila ki unki beti ek bade ghar me jaa rahi hai, magar unke mann me kya tha ye baat shayad koi nahi jaanta tha. Aur ant me ye faisla hua tha ki mahine ke ant me jaise hi unn dono ki padhayi khatam hogi aur Raj apna business sambhal lega to unn dono ki shaadi karwa di jaayegi.

Pahle to Jaggu kaka ke apmaan se kshubd Raj ne thodi naa nukur ki magar phir Kaka ke samjhaane par maan gaya.

Tabhi Band baaje ki aawaz aati sunayi di aur isi ke saath wahan khade sabhi logon ke beech hulchul badh gayi, sneha ke koi apne bhai bahan to they nahi isliye uske rishtedaaron ne hi saara bojh sambhala hua tha.

Jaise jaise baarat nazdeek aati jaa rahi thi waise waise darwaze par shor badhta jaa raha tha..

Tabhi Sneha apni saheliyon ke saath balcony me aakar khadi ho gayi.. Aur Baaratiyon ke beech Raj ko dhundhne lagi magar iss kaam me use der naa lagi kyunki Raj beech me hi ghodi par baitha hua aa raha tha.

Tabhi Raj ne apna sar utha kar oopar ki taraf dekha. Sneha ko dekhte hi uska dil zor zor se dhadakne laga.. Ab main iss kaahani me aur kya bataun doston.. Pahle hi Sneha ke baare me kitna kuch bata chuka hun ab wo pure makeup aur gehno me kaisi lag rahi hogi ye kalpana aaplog khud kar lo..

Raj ki haalat kharab ho gayi aur pant me uska lund zor maarne laga.. Usne kaise bhi apne pappu ko samjhaya ki dekh Beta.. Abhi baith jaa waise bhi ye maal ab teri hi hogi..

Sneha bhi Raj ko dekh kar uski taarif kiye bina naa reh saki.. Kitni maasumiyat thi uske chehre par.. Magar kuch mahino se Ravi ke saath naa hone ke kaaran bahut udaas rehta tha wo.. Unn dono me bahut baar iss baare me baat bhi hui thi magar Sneha ne har baar Raj ko ye kehkar samjha diya ki Ravi kabhi naa kabhi wapas jarur aa jaayega.. Magar koi nahi jaanta tha ki Ravi aur Riya kahan they aur kis haalat me they.. Mar gaye they ya zinda they..

Khair jo bhi ho, baarati naachte gaate darwaze par pahunch gayi. Saare rishtedaaron ne Ladke walon ka dhoom dhaam se swagat kiya aur saare rasam nibhaane ke baad ladke ko andar le aaye.. Ladke ke piche sabhi baarati bhi andar chale aaye..

Har taraf khusiyan hi khusiyan thi magar Raj ke dimaag se ab bhi Ravi ka khayal nikal hi nahi raha tha...

kramashah.........................


Post Reply