Ek Aurat ki Dastaan

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Unread post by rajaarkey » 03 Nov 2014 07:51

Ek Aurat ki Dastaan--12

gataank se aage...........................

"Ma'm sahab.. Aapse koi milne aaya hai..!!" Sneha apne kamre me aayi tabhi ek naukar ne aakar kaha..

"Kaun hai..?"

"Koi Ravi sahab hain.."Naukar ne jawab diya..

Ye naam sunkar Sneha ko ajeeb laga.. Use achanak Ravi ka chehra yaad aa gaya..

"Theek hai tum chalo.. Main aati hun.." Itna kehkar Sneha ne apne kapde theek kiye aur hall ki taraf chal di jahan Ravi baitha hua tha..

"Ravi tum..?" Hall me aur koi nahi balki khud Ravi baitha hua tha aur uske bagal me Riya bhi thi.. Aur Ravi ke baad Sneha ka dhyaan usi ke taraf gaya..

Use dekhkar Sneha ne Daudkar use gale laga liya..

"Kahan chali gayi thi Riya tum..? Aur ye kya tumhari maang me sindur..?" Sneha ne achraj se pucha..

"Hum dono ne shaadi kar li hai.." iska jawab Ravi ne dete hua kaha..

"Magar tum dono ko bhaag kar shaadi karne ki kya jarurat thi.. Shaadi yaahan bhi to ho sakti thi.. Kuch problem thi to mujhe batana tha naa..?" Sneha ne Riya ki taraf dekhte hue kaha..

"Are Sneha ab jaane bhi do.. Hum yahan sirf tumse milne aaye hain.. Batao tum kaisi ho..?" Riya ne baat ko badalte hue kaha..

"Main bilkul achchi hun aur maa banne waali hun.. Magar mere papa.." Ye bolte hue uske chehre par udaasi chaa gayi..

"Haan padha tha unke baare me.. Sad to know that.. Anyway congrats for your first pregnancy.." Sneha ne Riya ko gale laga liya..

Inn sab baaton ke beech Sneha ne ek baat notice nahi ki..wo ye ki Riya ki nazar hall me lagi Raj ki tasveer ki taraf baar baar jaa rahi thi aur uske chehre par ghrinaa ka bhaav saaf dekha jaa sakta tha.

Inhi sab baaton me puraa din guzar gaya aur shaam ko Raj se milne ke baad Riya aur Ravi apne ghar chale gaye..

"Hmm.. To ab batao tum log.. Kisne maara Thakur sahab ko..?" Inspector Thakur villa ke andar sabhi naukron se puchtaach kar raha tha..sabhi naukar ek kataar me khade hue sar jhukaye hue they..

"Iss tarah sar jhuka kar khade rahne se kaam nahi chalega.. Batao kisne maara Thakur sahab ko..?" Iss baar Inspector ki aawaz thodi unchi thi.. Magar phir bhi ek bhi naukar ne apna sar nahi uthaya..

"Achcha.. Lagta hai tum log aise nahi bataoge.. Mujhe hi kuch karna padega.." Ye bolkar Inspector ne hawaldaar ko ishaara kiya aur wo hawaldaar bahar chala gaya.. Phir kuch hi der me wo andar aa gaya magar iss baar wo apne saath ek kursi lekar aaya tha jismein bahut saare buttons lage hue they aur kuch hare laal screens lage hue they.. Wo use chakkon ke sahare chalate hue andar laa raha tha.. Andar laane ke baad usne wo machine ek plug me lagayi aur machine on ho gayi..

"Abhi bhi mauka hai.. Kaatil khud saamne aa jaaye warna agar phir baad me maine use pakad liya to uska wo hashr karunga ki wo zindagi bhar yaad rakhega.." ye bolna par bhi unmein se koi hilaa tak nahi naa hi apna sar uthaya..

"To theek hai.. Ye kursi dekh rahe ho naa..?" Sab uss kursi ki taraf hi dekh rahe they..

"Hmm.. Hum iss kursi par ek ek karke tum sabko baithayenge aur jo bhi sach bolega to ye hari wali screen jalegi aur agar jhooth bola to ye laal wali.. Samjhe ?" Iske baad Inspector ne ek nazar sabke chehron par daali.. Sab ke chehron par darr ki bhaavna saaf dekhi jaa sakti thi..

"To yahan se shuru ho jaao.." Ek constable ne line ki ek chhor par khade naukar se kaha..

Wo darte darte kursi ki taraf badhne laga..

"Hum nai baithenge babu ji.. Humka darr lagat hai ee kursiyaa se.. Agar kahin current maar diya to humri gaand jal jaayegi.." Usne rukte hue ye kaha to wahan khade sabhi police waalon ki hansi chhot gayi..

"Are daro nahi.. Ye current nahi maarti.. Ye bas ye check karegi ki tum sach bol rahe ho yaa jhooth.. Aur haan agar jyada nautanki ki to abhi sidhe Police station le chalenge tumhein.." Inspector Jawed ne kadak aawaz me kaha..

Jise sunkar uss naukar ke chehre par paseene aa gaye aur wo jaldi se jaakar kursi par baith gaya..

"Age maiyya ge maiyye.. Humri gand me kaa ghus gawa.." Jaise hi wo naukar baitha waise hi uth gaya.. Sab ne uske pichwade ki taraf dekha to ek wire uski dhoti ko faadkar uski gand ke chhed me ghud gayi thi.. Jise dekhkar wahan ke sab logon ki haste haste haalat kharab ho gayi.. Wo kisi bandar ki tarah uchal raha tha.. Magar Inspector Jawed apne kaam ke waqt bilkul serious rehta tha... Usne aage badhkar uski gaand se wire ko bahar nikaal liya..aur use khinchkar phir se kursi par baitha diya..

"Ab sach sach Bata tune Thakur sahab ko maara hai..?"Inspector ne tez aawaz me pucha..

"Nahi hum nahi maare hain.."Uss naukar ne darte hue kaha..

Aur uske aisa karte hi Hari screen par blinking hone lagi jisse pata chal gaya ki ye sach bol raha hai..

Aise hi dhire dhire saare naukaron ki baari aa rahi thi.. Magar jaise hi uss naukrani ki baari aayi to wo wahan se bhaagne lagi..

Isi kaam ke liye Jawed ne pahle se lady constable ko laaya tha jinheone bina der kiye uska picha kiya aur jhapat kar use pakad liya aur do thappad uski gaalon par jadd diye..

"Jaggu kaka.." Kisi ne kamre par dastak di to Jaggu kaka ki tandra tooti jo kinhi khayalon me khoye hue they..

"Are Deepak beta tum..? Aaw aaw.. Andar aaw.. Kaho kaise aana pad gaya aaj ghar hamre..?" Jaggu kaka ne Darwaze ki taraf dekha to paaya ki wahan unke office ka manager Deepak khada tha..

Wo aaj tak kabhi ghar nahi aaya tha magar pata nahi pahli baar kyun use unke ghar aane ki jarurat pad gayi thi..

"Main Theek hun Jaggu kaka.. Idhar se guzar raha tha to socha ki aapse milta chalun.." Deepak ne paas hi padi kursi par baithte hue kaha..

"Aafice me sab theek thaak to chalat hai naa..?" Jaggu kaka ne office kaa haal chaal pucha to Deepak ke chehre par thode bhay aur thoda bahut asmanjas ki mili juli bhaavnaayen aa gayi..

"Kaka.. Agar aap mujhse puchen to kuch theek nahi chal raha office me.." Deepak ne dheere se kaha..jaise uski baat koi sun raha ho..

"Kyun Beta aisan kaa ho gaya..?" Jaggu kaka ne ascharya chakit hote hue pucha..

"Are kaka.. Ye puchiye ki kya nahi hua.. Aaj kal Raj sahab bilkul badle badle hue se lagte hain.. Jab mann tab kisi par bhi haath uthaa dete hain.."

"ee kaa kahat ho tum..? Oo aafice ke logan par haath utha detaa hai..?" Jaggu kaka ki hairaani ki seema naa rahi..

"Kaka.. Ye to bahut kam hai.. Kal unhone hamare sabse bujurg employee sharma ji ko dhakke maarkar office se bahar nikal diya.. Bechaare rote rote ghar gaye.. Isliye mujhe aaj naa chahte hue bhi yahan aana pada.. Kyunki unki roz roz ki kich kich se saare worker kaam choddkar bhaag rahe hain.. Aur pata nahi agar aisa hi chalta raha to hamara business rahega bhi yaa nahi.." Deepak ke chehre par chintaa ki bhaavna saaf dekhi jaa sakti thi..

Ye sab sunkar Jaggu kaka ko bahut afsos ho raha tha aur gussa bhi aa raha tha..

"Ek baat aur kaka.." Ye bolte hi Jaggu kaka Deepak ki orr dekhne lage..

"Hamare company ke accounts me bhi bhaari bharkam ghaple ho rahe hain.. Aur saare paise kisi American based company ke accounts me transfer ho rahe hain jo ki kisi Veer singh naam ke NRI ki company hai.."

Ye sab sunkar Jaggu kaka ko chakkar aane laga.. Unhen samajh nahi aa raha tha ki aakhir ye sab ho kya raha hai.. Ab unhen samajh aaya ki Raj ne achanak unka office jaana kyun band karwa diya..

"Ee ta bahut buraa ho raha hai betaa.. Raj ko aane do . Hum khudd ookra se baat karenge aur ee sab ke kaaran kaa pata lagayenge.." Jaagu kaka ne kaha to Deepak ke chehre par thodi santosh ki bhaavna dekhi jaa sakti thi kyunki wo jaanta tha ki Jaggu kaka ki baat Raj kabhi nahi taalta aur naa taalega.. Magar hone to kuch aur hi wala tha..

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Unread post by rajaarkey » 03 Nov 2014 07:52

"Achcha kaka ab main chalta hun.."

"Are betwaa itna jaldi kahan chal diye.. Tani chaai aur oo kaa kahte hain coffee haan coffee ta pee ke jaao.." Deepak ko uthte hue dekhkar Jaggu kaka ne kaha..

"Are nahi kaka.. Rehne do.. Phir kabhi.." ye bolkar Deepak ne unse izazat li aur wahan se chala gaya..

Magar apne piche chhod gaya ek aane wala toofan jo sab kuch tabha karne wala tha.. Aur naa jaane iss toofan me kitni zindagiyan tabah hone waali thi..

"Chal bata ab.. Kyun milaya Zeher Thakur sahab ke khaane me.." Ek lady constable uss naukrani se sakthi se puchtaach kar rahi thi..

Chaaku par abhi tak kisi ungli ke nishaan nahi mile they isliye ye bata paana mushkil tha ki wo dusra aadmi kaun tha jo Thakur sahab ko maarna chahta tha isliye police walon ne asli kaatil tak hi pahunchne ka plan banaya..

"Mujhe nahi pata.." Uss naukrani ke aisa bolte hi chataak ki aawaz se pura Police station gunj utha..

"Batatai hai ki nahi.. Warna tujhe aaj itna maarungi ki tu bolne laayak nahi rahegi.." Uss lady constable ne uske baalon ko khinchte hue kaha jiske kaaran uss naukrani ko bahut dard ho raha tha aur uski aankhon se aansu nikal gaye they..

"Theek hai theek hai.. Batati hun main.. Mere baal chhod do.." Uss naukrani ne antatah haar maan hi li..

"Theek hai chal bata ab.." Ye bolkar lady constable ne uske baal chhod diye aur wahin kuch door baithe Inspector Jawed ko gardan hila kar ishara kiya jiske baad wo dhire dhire chalkar unke paas aakar khada ho gaya..

"chal ab jaldi tote ki tarah bolna shuru kar.." Lady constable ne fir kaha..

"Ji maine ye kaam paison ke liye kiya tha.. Iske liye mujhe kisi ne 5 lakh rupaye(Rupees) Diye they.." Naukrani ne ye baat boli to wahan khade police wale muskarane lage kyunki unhe pata tha ki ye kaam kisi dusre ne hi karwaya hai..

"To tune paison ke liye ek insaan ki jaan le li.. Khair ab jaldi bata de ki wo tha kaun warna abhi tere saare daant tod dungi" Lady constable ne ghunsaa dikhaate hue use dhamkaya..

"Ji mujhe iske liye Raj ji ne paise diye they.." uss naukrani ne darte darte kaha.. Jise sunkar wahan khade sabhi policewalon ke chehron par ek aascharya ki bhaavna chaa gayi jaise kisi ne unke oopar ek bomb phod diya ho..

"Tum jaanti ho ki tum kya keh rahi ho..?" Iss baar Jawed ne apni jubaan kholi..jise sunkar naukrani aur darr gayi..

"Ji main bilkul sach bol rahi hun.. Mera yakeen kijiye.." Naukrani ne haath jodte hue kaha aur phir muhn chupaa kar rone lagi..

"Constable iss aurat ko hawlat me band kar do aur gaadi nikaalo.. Humein abhi nikalna hoga.." Ye bolkar Jawed ne apni tpoi pahni aur police station se bahar nikal gaya..

****************************

Jab Police station me ye sab ho raha tha usi dauraan Raj ke ghar me..

"Are betwa tum aa gaye..?" Raj jaise hi apne ghar ke andar ghusaa waise hi wahin par hall me baithe hue Jaggu kaka ne kaha..

"Are haan kaka.. Main to aa gaya.. Aaj office kaa kaam jaldi ho gaya to maine socha ki jara ghar chala jaaun.." Raj ne wahi sofe par baithte hue kaha aur apne shirt ke oopar ke do button kholkar sofe par hi ludakh gaya..

"Aur betwaa.. Aafice me sab kaisan chal raha hai ?" Jaggu kaka ab sidha mudde ki baat par aane wale they..

"Are kaka sab kuch ek dum first class.. Humari company jald hi top par hogi" Raj ne alsaaye dhang se kaha..

"Par oo Deepakwa to kuch aure keh raha tha..?" Jaggu kaka ne teer nishaane par lagate hue kaha..

"Kaun Deepak kaka..?" Raj ne usi tarah alsaaye dhang se kaha..

"Are betwaa tohaar dimaag ko kaa ho gaya hai..? Deepak wohi hamare company ka manager.. Aaj oo hamre ghar par aaya raha.. Kahat raha ki tum aajkal company me bahut ghapla karat ho aur sab employee ke saath maar peet karat ho ?" Jaggu kaka ne pucha to Raj ke chehre ka rang udd gaya..jise Jaggu kaka ne bakhoobi bhaanp liya..

"Bakwass karta hai wo.. Saale ki dekho kal kaise band bajata hun.." Raj ne gusse me kaha to Jaggu kaka ne use shaant karne ki koshish ki..

"Betwaa hum aaj Sharma ji se bhi baat kiye.. Bade dukhi lagat rahe.. Aur tohaar kaarname ke baare me humka batawat rahe.. Ek bujurg ke saath aisa vyavahar..?" Jaggu kaka ne kaha to achanak naa jaane Raj ko kya ho gaya aur usne apni jeb me haath daala aur ek Pistol nikaal kar Jaggu kaka par taan di..

"Ee kaa karat ho betwa.. Hum tohaar kaka hain.." Jaggu kaka ke pasine chootne lage... Naa jaane Raj par kaun sa bhoot sawar ho gaya tha..

"Abe budhe kahe kaa kaka be..? Saale naa main Raj hun aur naa tu mera kaka.. Aur haan maine company me ghaple kiye aur employees ko maara bhi.. Bol tu kya bigaad lega mera buddhe..? Aur waise bhi ab tu marne wala hai kyunki tu wo jaan gaya hai jo tujhe nahi janna chahiye tha.. Tu ye jaan gaya hai ki main Raj nahi hun.." wo bole hi jaa raha tha aur isse pahle ki Jaggu kaka kuch samajh paate, bandook se goli nikal chuki thi aur sidha Jaggu kaka ke sar me lagi...

Goli ki aawaz sunkar uss ghar ke saare naukar daude chale aaye aur dekha ki Raj ne Jaggu kaka ko goli maar di hai jise dekh kar sab daar gaye..

"Tum log bhi nikal jaao iss ghar se warna tum sab bhi maare jaaoge.." Raj ne apni bandook uski taraf karte hue kaha jise sunkar wo log darwaze ki taraf bhaage aur puraa ghar khaali ho gaya.. Koi wahan tha to sirf Raj aur goli ki aawaz sunkar wahan aayi Sneha..

"Ye kyaa kiya tumne Raj..? Maar diya apne baap saaman insaan ko...? Tumhare dimaag ko aaj kya ho gaya hai..?" Sneha ne wahan padi Jaggu kaka ki laash ko dekhte hue kaha jo uski aankhon ke saamne tadap tadap kar mar chuke they..

"Abe kaahe kaa kaka aur kaahe kaa Pitaa...? Ye sirf ek naukar tha aur naukar ki maut mara.." Raj ne apni Gun hawa me lehraate hue kaha jise dekh kar Sneha ko bahut darr lag raha tha..

"Par Raj.."

"Bas.." sneha bolne hi waali thi ki Raj ne use haathon ke ishaare se bolne se rok diya..

"Kaun Raj..? Kaisa Raj..? Kahan ka Raj..? Wohi Raj jise maarkar maine uski laash jala di..? Kutte ki tarah tadpakar maara use... MAIN THAKUR VEER SINGH HUN.." Usne garajti huyi aawaz me kaha jiske kaaran puraa ghar gunj utha..

"Ye kaise ho sakta hai..? Tum Veer nahi Raj ho.. Aakhir tumhein ye achanak ho kya gaya hai Raj..?" Sneha ne chikhte hue kaha...

"Kutiya.. Jab ek baar kaha ki main Raj nahi hun to maan le.." Ye bolkar uss Raj urf Veer ne uske lambe baal pakad liye aur jor se khichne laga jiske kaaran Sneha ko dard hone laga...

"To phir tumhari shakal Raj jaisi kaise hai..?" Sneha ne dard ko bhulaate hue kaha..

"Ye bahut lambi kahani hai meri Rani.. Bas tu itna jaan le ki maine plastic surgery karwakar apna chehra tere uss chutiye pati Raj ki tarah banwaya hai.. Ab chunki ab tu ye sachchai jaan chuki hai to ab waqt aa gaya hi ki tujhe bhi uss Raj aur iss naukar ke saath oopar pahuncha dun.. Hahaha..." Veer ne shaitaani hansi hanste hue kaha...

"Magar ye to bata to ki tumne ye sab kiya kyun..?" Ye bolte hue ab Sneha ki aankhon me ab aansu aa chuke they jo ruk hi nahi rahe they..

"Tu janna chahti hai ki maine ye sab kyun kiya..? Bol kutiya..? Janna chahti hai..? To sun.. Maine ye sab sirf aur sirf daulat ke liye kiya.." Veer ne apne dono haath hawa me lehraate hue kaha..usne ye sab bolte hue apna haath Sneha ke baalon se alag kar liya tha jiska faayda uthaakar Sneha dhire dhire piche ki taraf jaa rahi thi...wo uss drawer ki taraf badh rahi thi jismein Raj ki bandook rakhi huyi thi..

" Kya daulat hi tumhare liye sab kuch hai.. Kisi insaan ki jaan se badhkar hai Daulat tumhare liye..?" Sneha ne use baaton me fasana jaruri samjha aur baat ko aage badhati rahi jisse use uss drawer ke paas pahunchne ka mauka mil sake..

"Haan haan.. Mujhe sirf daulat se matlab hai.. Daulat nahi to insaan adhura hai.. Wo gana to suna hi hoga tumne.. Naa biwi bada naa bachcha, naa baap bada na bhaiyya... The whole thing is that ki bhaiyya sabse bada rupaiyya.. Hahaha.." Aisa lag raha tha ki prithvi par ek daitya ke avtaar me usne janam liya ho.. "Are daulat ke liye to main kuch bhi karunga... Fir khoon karna kaun si badi baat hai..? Jis daulat ke liye maine khud apne baap ko maar diya uske liye tu kya cheez hai..?" Ye bolkar wo fir hansne laga..

"Mujhe maarkar bhi tujhe meri jaydad nahi milegi kamine.. Main to mar jaaungi par tujhe faansi hogi..."Wo cheekhte hue boli..

"Bahut chillati ho tum kutiya.. Thoda volume kam karo.. Tum janna nahi chahogi ki maine apne baap ke saath kya kiya..?" Veer ne ek baar fir hanste hue kaha..

"Kya kiya.." Sneha ne darte darte hue pucha par wo lagatar piche hatti jaa rahi thi.. Aur wo ye bilkul dhire dhire kar rahi thi jisse Veer ko pata naa chale..

"Maar daala maine use.. Saala kehte tha ki main aiyyash hun, sharabi hun.. Aur mujhe apni jaydaad se bedakhal karne ki baat kehta tha.. Pahuncha diya saale ko oopar.." Usne hanste huye kaha..

"Veer tum ek kaatil ho khooni ho.. " Sneha ne phir chillate hue kaha..

"Haan hun main khooni.. Hun main kaatil aur ab tujhe bhi oopar pahuchaunga..." Aur ye bolkar usne Sneha ke oopar bandook taan di aur isse pahle ki wo trigger dabata.. Ek goli sidha uske seene me ghuss gayi..

Raj ne Sneha ki taraf dekha to paaya ki uske haath me ek bandook hai.. Aur goli usi me se chali hai.. Isse pahle ki wo kuch samajh paata, wo gir chukaa tha aur uski aatma uske shareer se nikal chuki thi..

Sneha kisi buutt ki tarah ek haaath me Gun pakde wahan khadi thi jo kuch hi der baad uske haathon se chuut gayi...

kramashah.........................


rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Unread post by rajaarkey » 03 Nov 2014 07:54

Ek Aurat ki Dastaan--13

gataank se aage...........................

"Aye. Utho aur chalo hamare saath. Adaalat ki sunvaayi ka time ho gaya hai." ek lady constable ne aakar darwaza khola to Sneha apni soch se bahar aayi. Usne ek nazar idhar udhar daali aur fir constable ko dekh kar khadi ho gayi..

"Aao mere piche piche." constable ne ishara kiya to Sneha uske piche chal di.

Uske aas paas kareeb 5 police wale they jinmein do lady constable thi. Use Police station se bahar laaya gaya aur wahin khadi ek Police van me baitha diya gaya aur phir Van chal padi.

Kareeb aadhe ghante ke safar ke baad wo log court ke saamne khade they.. Court ke saamne logon ki bhaari bheed thi jise control karne me police ko kaafi mashakkat karni pad rahi thi. Sab log ye janne ke liye utaawle they ki aakhir court kya faisla karti hai.

Use Van se utaarkar courtroom me le jaaya gaya aur wahin ek katghare me khada kar diya gaya.

Wo pura room logon ki bheed ke kaaran puraa bhara hua tha. Sab aapas me yahi baatein kar rahe they ki aakhir court ka faisla kya hoga.

Logon ne jahan tak suna tha uske anusaar court ko Sneha ko bekasur maan kar riha kar dena chahiye tha.. Maga kanoon ki nazron me ek khooni to khooni hi hai aur Sneha ne Veer singh ka khoon kiya tha isliye use aaj yahan khada hona pada tha..

Tabhi Judge ke andar aane ki announcement hui aur ye sunkar sabhi log khade ho gaye.. Kuch der baad hi Judge bhi undar aa gaya..

Wo ek 50 saal ke kareeb ka naata sa aadmi tha ya yun keh len ki buddha tha.. Wo aate hi apni kursi par baith gaya aur sabhi logon ko baithne ka ishara kiya..

"Adaalat ki kaarwayi shuru ki jaaye.." usne buland aawaz me elaan kiya jise sunkar dono pakshon ke vakeel apni apni kaali court sidhi karne lage..

"My lord.." Vipakshi vakeel ne khade hote hue kaha..

"My lord.. Jaissa ki yahan khade sabhi log jaante hain ki katghade me khadi ye masoom surat wali ladki dekhne me jitni maasoom hai utni hai nahi.. Iski masoom surat ke piche ek khooni chipa hua hai.." Ye bolkar wo kuch der rukaa aur phir bolna jaari rakhkha..

"Jaisa ki sab jaante hain.. Iss ladki ne apne pati Raj Singhaniya ka khoon kiya hai aur aisa karte hue wahan khade naukrone ne dekhaa tha..jo iss khoon ke chasmadid gawah hain..isliye meri adaalat se darkhwast hai ki mulzima ko kadi se kadi saza di jaaye.. Thats all."

ye bolkar wo vakeel wapas apni seat par aakar baith gaya..

"Mere kaabil dost ne bahut kuch bol to diya my lord.." Sneha ke vakeel ne khade hote hue kaha..

"Magar ye nahi bataya ki Sneha ne use kyun maara.. Sachchai to ye hai My lord ki wo aadmi Raj tha hi nahi balki uski shakal me chipaa Veer singhaniya tha.." Ye baat sunkar pure court room me shor hone laga.. Sab yahi pooch rahe they ek dusre se ki aakhir ye ho kya raha hai..

"order order" Judge ne sabko shaant karne ke liye bagal me rakhkha hathoda baja diya..

"iska koi saboot hai aapke paas ki wo Raj nahi tha..?" Judge ne pucha to uss vakeel ke paas koi jawab nahi tha..

"Without evidence, you can't do anything Mr. Lawyer" Judge ne muskuraate hue kaha..

"Kya mulzimaa ko apna gunaah kabool hai..?" Judge ne ab apna sar Sneha ki tarah karte hue kaha..

Jiske jawab me Sneha ne apni gardan hilakar haan ka ishara kiya..

"Ek minute Sneha.. " sabki nazar uss aawaz ki taraf ghoom gayi.. Ye aur koi nahi balki Ravi tha aur uske piche piche Riya bhi thi..

"Judge sahab main kuch bolne ki izazat chahta hun.." Ravi ne aage aate hue kaha jispar judge ne sahmati de di..

"thanks my lord" Katghade me aate hi Ravi ne judge ka dhanyawaad kiya jise judge ne gardan hilaakar swikaar kar liya..

"my lord Sneha bilkul bekasoor hai.. Aur iske saare saboot mere paas hain.." ye bolkar Ravi ne apni jeb se ek Pen drive nikaal li..

"My lord.. Ye hai wo saboot hai jo Sneha ko bilkul begunaah saabit kar dega.." judge ne ishara kiya to niche me baithe aadmi ne wo Pen drive Ravi ke haathon se le liya..

"Judge sahab, iss Pen drive me ek video hai jo Sneha ko bilkul bekasoor saabit kar dega.. Ye video maine tab liya tha jab uss din main Raj ke ghar ke aage se guzar raha tha.. Maine wahan bahut shor sharaba suna aur uss taraf chal pada par wahan pata chala ki andar Raj pagal ho gaya hai aur Jaggu kaka ko maar diya hai.. Main andar jaane hi wala tha ki mujhe laga ki kahin meri jaan par khatra naa ho jaaye isliye maine ek khidki se ye sab dekhne ka plan banaya.. Jab main khidki ke paas gaya to paaya ki Raj ne Sneha ke oopar gun taan rakhi hai aur use apne Veer hone ki sachchai bata raha hai.. Isliye maine socha ki ye video le lun kyunki agar Sneha marti to main Veer ko blackmail karke paise aenth sakta tha.. Par wahan to ultaa wo hi mar gaya tha.." Uski ye baat sunkar phir pure court me shor hone laga..

"Mr. Ravi.. Kya aap jaante hain ki blackmailing karna kanoonan jurm hai..?"

"Judge ne pucha to Ravi ne haan me gardan hilaa kar maafi maang li.. Iske baad judge ne ishara kiya aur wo video pure court ke saamne chalaya gaya jismein Raj apne Veer hone ki baat kabool raha tha aur Sneha par gun taane khada tha.


Post Reply