TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Contains all kind of sex novels in Hindi and English.
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Unread post by sexy » 03 Mar 2016 14:28

Update no 6B


"AI.....aise kaise ho sakta hai?" Buri trha bhokhlaye Ajeet ne bainaame ki photo copy uthai or jaise jaise padta gaya vaise vaise marey hairaani ke aankhein failti chali gayi uski !



Continue .............


Nisha ne kaha --" aisa nahi hosakta Bhai sahab , hota tau yeh mujhse jikar jaroor kartey !"



" iska Matlab Ajeet ne yeh baat aapse bhi chhupai !"



" yeh halat hai ! jhooth hai !" Ajeet halak faad kar cheekh padda --" Maine chander parkash se koi zameen nahi khareedi !"



" kyun jhooth bol rahe ho yaar ? Ragistri mojood hai !" Harsharan bola !



Nisha ne hairat se Ajeet ki traf dekha !



" yakeen maniye sir ! " mujhe iss bainaame ke barey mein kuch nahi patta !"



"Dekho Ajeet !" Harsharan ne kaha -- " nisha patni hone ke karan or main dost hone ke karan shayad mai bhi tumhari baat par yakeen kar lu magar kanoon ke samney kya kahogey ? Ye baimaana sari kahani saaf saaf suna raha hai !
.
.
.
.
Ek din pehle tumne tumne chander parkash ki 20lack ki zameen do lack mein apne naam likhwai or agley uske swtantarta sainani hone ki pushti kar di ! Yeh kanooni kagaj hai ! Registered ! Duniya ki koi court issey jutha nahi maan sakti ! Swaal siraf D.M ki post chheen Jane ka nahi hai balki iss post par rehkar itni motti rishfat lene ka hai ! Iss aarop mein tumhari sari zindagi jail mein chakki peestey peestey nikal jayegi !"



" magar iss par tau mere sign nahi hai !" Ajeet hosh smbhal kar bola !




" D.M ko agar yeh batana padey ki bainaame par khareeddar ke balki gawahon or bechne waley ke sign hotey hai tau badhi sharam ki baat hai !"




"Wohi tau keh raha hu main !chander parkash ne mere naam jhuth baimaana kiya hai !" Ajeet bola !



" nisha ! Tum smjhao issey ! Kya bachon jaisi batein kar raha hai ? Bhala duniya mein koi aisa hoga Jo apni 20lack ki Zameen free mein mere naam likh de or mujhe patta bhi na ho ? Chander parkash ke sir par kya foda nikla tha ?"





Ajeet hakbakaya -sa Harsharan ki traf dekh raha tha !




Harsharan ne kaha -- " baat woh karo dost Jo halak se nichey utrey !"




"Yeh sab chander parkash ne mujhe fasane ke liye kiya hai !" Ajeet bola !



"Fir woh he baat ! Tumein fassa kar ussey kya mileyga ? Ulta nuksaan he hoga ussey ! Woh gas agency tau jayegi he Jo mili hai ! Tumhare sath sath woh bhi chala jayega jail !" Harsharan samjhatey huya bola !




Ajeet par kuch kehtey na ban padda !


Nisha gidgidda uthi ---" kuch kiziye Bhai sahab ! Inhein iss musibat se bachaiye !"



" wohi tau kar raha hu !" Harsharan bola -- " darne ki koi baat nahi hai ! Mamla abhi mere kaboo mein hai ! " main issey court tak nahi pohanchne dunga ! Chander parkash apni he party ka chhota karya karta hai ! Chela hai apna mere hukam ke baad choo -- chaa tak nahi kar sakta !"



" ab main samjha ! Main samjh gaya haramzade !" Azeet halak faad ke cheekh padda -- " yeh sari sazish Teri hai ! Tune he jaal mein fansaya hai mujhe !"



" or suno bhabhi !" Harsharan ne nisha se kaha -- " pattha mere he mathe madne laga apni kartoot ! Arey Bhai , jab keh raha hu ki itna bhokhlaye ki jaroorat nahi hai ! Main sambhal lunga tau ........ !"




" samjhne ki koshish karo nisha !" Ajeet dhadaa -- " badha haramazada hai yeh ! Ab sari kahani theek se meri samjh aa rahi hai ! Chander parkash issi ka aadmi hai ! Ek din usne meri jankari mein laaye Bagair yeh ragistri karwai ! Agle din papers par mere sign le liye ! Uffffffffff itni gehri chaal ! Itni khtarnak sazish !"


Nisha uljhkar reh gayi !



Ajeet ki bhokhlahat ka poora aanand loot raha tha woh ! Bola --- " chahu tau apni acting zari rakh sakta hu dost kyunki tere farishtey tak chander parkash ko mera aadmi sabit nahi kar paayeingey magar ............ Magar sochta hu kisi ko jaroorat se jiyada satana theek nahi hota ! Vaise tum jaldi samjh gaye ke gehrey fanss gaye ho ! Shatranj ke khel mein jab mere jaisa khiladi shah or maat deta hai tau samney waley ke paas apne Baal noch lene ke alawa koi rasta nahi bachta !"


" dekha ! Dekha nisha ! Kitna kameena hai yeh ?"

____


" main tau khair hu he kameena ! Ab tujhe faisla karna hai ki tu kya hai ?"



"M....Matlab ?" Chownka Ajeet !



" baat ab bhi woh he hai ! Jor jabardasti karna mera sidhaant nahi hai ! Faisla tujhe karna hai ! Jaldi bol ! Sari jindagi jail mein rehna manjoor hai ya fir...... Bedroom mein le jauuu iss imaarti ko !"


" tu kamyaab nahi ho sakta kuttey ! Mujhe jail Jana manjoor hai !"



Continue .... Sorry friends itna he likh pai .. aap sab ke sweet review ka intzar raheyga! Kya kamyab hojayega Harsharan? Picture abhi baki hai sath baney rahiye !



User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Unread post by sexy » 03 Mar 2016 14:28

"Tu kamyaab nahi hosakta kuttey ! Mujhe jail Jana manjoor hai ! "


"Aise faisley jaladbazi mein nahi lene chahiye ! Dil se liye gaye faisley theek nahi hotey !" Harsharan bola !



Daant bheench kar bola Ajeet --"Matlab ?"

" dimag hai tau soch -- jab iski raksha ke liye tu bahar raheyga he nahi tau mujhse kab tak bacheygi yeh ! Uss waqt tak naha - dho kar iske pichey padda rahunga , jab tak mil nahi jayegi ! Bechari akeli ! Lachar abla kab tak khud ko mujh jaise rakshsh se bach sakeygi ? Hoga yeh ki udher tu jail ke pathron se sir takra - takra kar apni jindagi gawa raha hoga , idher yeh mere changul mein fans-kar apni izzat ! Bistar tau issey mera garam karna he hoga ! Yeh Teri marzi hai ki apni khushaal jindagi ko bachaye rakhne ki samjhdaari dikhata hai ya jail mein sadne ki bewkoofi !"



Seetiyannn si baj rahi thi Ajeet ke kano mein !



Woh samjh sakta tha -- sachmuch uske baad nisha khud ko Harsharan se bacha nahi sakeygi !



Tau kya karey woh ?


Kya karey ? Ajeet faisla nahi kar PA raha tha !


Harsharan ne uski mansik awastha read ki ! Kaha --" jaldi faisla kar dost kyunki mere jatey he yahan tujhe giraftaar karane waley aa dhamkeingey !"



Ajeet ki zubaan talu se ja chipki !



" kya kehta hai ?" Harsharan ne zehreeli Muskaan ke sath kaha --" jau ?"



Ajeet ne jawab na diya , uski muthiyan or daant bhinchey huye the !



Harsharan ne fir se kaha --" jawab de warna main samjhunga tujhe jail Jana manjoor nahi hai !"


Ajeet ne gardan jhuka li !


"Gud !" Harsharan jhoom utha !



Nisha chilai --" Ajeet !"


" s........sorry ! Sorrryyyyyy nisha !" Daant bhench kar kehne ke baad Ajeet tej kadmo ke sath drawing room se bahar chala gaya ! Buri trha gabrai roti hui nisha 'Ajeet ..... Ajeet ' kehti uske pichey lapki magar apne najdeek se gujartey waqt Harsharan ne uska baju pakad liya !



Jhatka diya or woh Harsharan ke uper ja girri !





Harsharan ne ussey bahon mein bhartey huye kaha -- " baat uski samjh mein aagayi magarrrrr Teri samjh mein shayad ab tak nahi aayi hai ! Samjhdari se bharpoor faisla wohi hai Jo usne kiya !"



" kamine ! kuttey ! Jaleel ! " nisha uske bandno mein chhatpatati cheekhi -- " kaisa aadmi hai circuit house mein tune mujhe Behan tak kaha tha !"



" na kehta tau woh dinner par bulata ? "



" tau kya tu apni Behan sath soyega ?"



" mere hazar baar kehne se jab koi aurat meri biwi nahi ban sakti tau ek baar kehne se Behan kaise ban sakti hai !"




" chhod ! Chhod mujhe ! "



" yeh le !" Harsharan ne ussey chhotey huye kaha -" hazar baar keh chuka hu jabardasti mera sidhaant nahi hai !"


Nisha ne darwaze ki traf lapkna chaha !



Harsharan ne uska bazoo pakap kar roktey huye kaha -- " bus ek baat sunti ja !"



Aankhon se uss par bijliyan girati nisha ne daant peesey !



" apne Patti ka bhala chahti hai ke bura ?"



Nisha ussey ussi trha ghoorti rahi !



" tune kaha tha tu ek pativarta bhartiya nari hai ! Pativarta nari woh ..... Jo har Hall mein apne pati ka bhala chahe ! Uski bhalai ke apna sab kuch kurbaab kar de or tere pati ki bhalai kis mei hai ..... Tujhe bata chuka hu !"



Nisha ke moonh se bol na foot saka !


Harsharan ne loha garam dekh kar ek or chot ki --- " baat agar iss chardiwari se bahar nikli tau soch kya hoga ? Kya kaheingey log ? Kya izzat reh jayegi tere pati ki ? Shor macha kar , hath pair patak kar kya tu apne pati ki izzat ka kachra nahi kar daigi ?"



Baat nisha ke samjh aane lagi !



Harsharan ne ussey bahon mein bhartey huye kaha -- " badhi bawli hai tu ! Arri bigdeyga he kya iss se ? Aaj ki duniya mein kai jodey iss rah par chalkar shaan ki jindagi basar kar rahe hain !"


" arrey ruko bhi !" Nasheeli aankhon mein nasha bhartey huye boli nisha -- " kuch peene ka intzam karty hu !" Kehtey huye rasoi mein guss gayi !



Harsharan khushi se jhoom utha !



Ke tabhi ............ nisha ki dard bhari cheekh goonji !


Harsharan ke tau dekh kar chhakkey chhoot gaye ! Rasoi ke farsh par khoon he khoon faila huya tha!



Ajeet bhi daud kar rasoi mein pohncha par Harsharan tau nisha ke hath mein khoon se sanna chaku dekh kar kuttey ki trha dumm dabba kar bhaagh chuka tha! 'Aakhir Jo kuch kiya siraf nisha ko pane ke liye he tau kiya tha !



User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Unread post by sexy » 03 Mar 2016 14:29

Update no 7_____


Harry ne rumaal par ubhrey brown color ke akshron ko padne ki koshish ki, parntu kamyaab nahi hosaka !



Itna tak nahi jaan saka woh akshar kon - si bhasha ke hai !



Dheerey dheerey karke sarey rumaal ko lou ( lighter ki aag) ke uper ghuma diya ! Rumaal par kisi anjani bhasha ke akshron ke beech ek naksha bna najar aaya !



Nakshey mein ek joker bhi bana huya tha !



Harry samjh gaya yakinan rumaal par gupat sandesh ankit hai , magar kya ? Yeh woh lakh dimag ghoomane ke bawjood na samjh saka ! Lighter ko off kar ke pehle he jaib ke hawale kar chuka tha ! Rumaal ko bhi jaib mein daala!


Uske dimag mein kuch swaal ghoom rahe the ! Jaise -- kon tha woh budha ? Kahan chala gaya ? Kya likha tha rumaal mein ? Budhey ne kaha tha --" yeh desh ki aamaanat hai ! Kya usne sach kaha tha !



Ussey laga -- har sawal ka jawab wahan mil sakta hai jahan budhey ne rumaal ko pohanchne ke liye kaha tha ! Kya patta bataya tha usne ?



Harry ne apne dimag ko khangala ! Patta yaad aaya -- Bangla no 64 r , monga Street !


Correct ! Yehi address tha !


Woh fauran bathroom ka darwaza khol bhahar nikal aaya !



Najar Cristi par paddi !



Woh jahan ki tanha khadhi thi !


Harry ke halak se gurrahat si nikli --" tum abhi tak yahin ho ?"


Cristi chup chap khadi rahi !


" Maine tumse kaha tha na, jao yahan se ! Kal mileingey ! " Harry ne rukhey swar mein kaha !



Cristi cheekh he paddi --" kaan khol kar suno , ab main tumse kabhi milne wali nahi hu ! "


" ok ! Mat milna ! Ab jao !" Woh laparwahi se Kehkar aagey badd gaya !



Harry ke jawab ne Cristi ko poori trha Tod diya ! Woh sadaran si ladki bhala kaise jaan sakti thi ki ladke ke dimag mein ab kewal or kewal rumaal ka raaz janney ka bhoot sawar hai !




Harry bahar nikla ! Parking mein pohncha ! Wahan khadhi apni motor cycle nikali ! Kick mari or agle kuch he Minton baad motor cycle monga Street ki traf udhi chali ja rahi thi ! Bagla no r 64 dhoondne me koi khaaa dikkat paish na aai !



Harry ne bike gurad ke paas roki or pucha -- " iss bangle ke malik ka naam kya hai ?"



" aap Harry hai kya ?" Guard ne ulta sawal kiya !




Or ! Yeh sawal he aisa tha jisne Harry ki khopdi ghuma kar rakh di !


Matlab saaf tha -- uske yahan aagman ki aapeksha pehle he se he ki ja rahi thi !


Harry ne Poocha -- " tum mera naam kaise jantey ho ?"



" oh yani aap Harry sahab he hain ! Aaiye ! Aaiye ! Hingley sahab aapka he intzar kar rahe hain !" Gate kholtey huye guard bola !


"Tumein kaise maloom tha main yahan aane wala hu ?" Harry ne poocha !


" hingley sahab ne kaha tha -- ek khoobsoorat se sahab moter cycle par aane waley hai ! Agar woh apna naam Harry bataye tau unhein seedha unn ke paas le aau !"


" yeh baat unhone kitni dair pehle batai thi ?" Harry ne poocha!


" bus aapke aane se 5mint pehle !"



Azeeb uljhan ka shikaar hogaya Harry ! Hingley kon hai or ussey kaise mere aane ki jankari ! Inn sab sawalon ke jawab hingley se mil ke he patta chalne the !



Guard main gate ka darwaza kholtey huye bola -- " sahab ab aap ander ja kar mil saktey hain !"


Darwaze paar kar Harry ek lambey chaudey haal mein pohncha ! Charon taraf najrein ghoomai ! Khoobsoorat furniture se sajje Hall mein azeeb sa sannata tha ! Jab samjh na saka kiss traf badna chahiye tau awaaz lagai -- " mister hingley !"


" hum tumhari awaaz sunn rahe hain Harry !" Yeh awaaz sarey Hall Me goonji !


" aap kahan hai ?"



" tumharey right side ek darwaza hai !" Awaaz ne kaha -- " ussey paar kar ke ander aajao !"


Harry ne right side mojood darwaze ko dekhne se pehle ek roshandaan par mojood uss Mike ko bhi dekh liya tha jis-se awaaz nikal rahi thi or ek chhotey se camrey par bhi najar padd gayi thi !



Woh samjh gaya -- ussey close-circuit t.v par dekha ja raha hai !





Woh darwaze ki taraf badha ! Darwaza paar kiya or........ Woh pehla pal tha jab uske dimag mein badhi tezi se khyaal kondha --" shayad main kisi jaal mein fanss gaya hu !"


Karan tha -- uss darwaze ka band hojana jis-se andar aaya tha !


Usne badhi tezi se ghoom kar darwaze ki traf dekha --- woh kisi tilismi darwaze ki taraf deewar mein fix ho chuka tha !



:continue......... Aap samjh he gaye hongey dushmno ne Harry ko jall mein fansa liya.. Kon the woh next update mein clear hoga all

Post Reply