Page 3 of 5

Re: TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Posted: 03 Mar 2016 14:27
by sexy
Update 4b ....
se

Harry abhi kuch samjh bhi na paya tha ki budha bohat tezi Hall ke pichley gate ki or bhagta nazar aaya !
Ke tbhi........
Ek goli ki awaaz ne wahan tahlka macha diya!

Continue........

Zahir hai -- yeh goli unn Charon mein se ek ne budhey par chalai thi ! Shukar tha -- nishana chukne ke karan goli deewar par lagey ek fancy ko shaheed karne ke sath khud bhi shaheed hogayi!


Bhudaa bhagta huya Hall paar kar ke galley mein Mudd chuka tha !


Woh chahro ussi disha mein lapke !


Ab Harry par raha na gaya !


Ek jhatkey ke sath kursi se khada huya woh ?


Rumaal zaib mein rakha !


Jhuka or farash par bichhey kaleen ko pakad kar jordaar jhatka diya !


Woh Charon Jo ussi kaleen par daud rahe the , santulan khokhar ek-dusrey ke uper ja girrey !


"Harry !" Cristi cheekhi -- yeh kya kar rahe ho tum ?"


Parntu !


Harry ko bhala ab kahan hosh tha !


Logon ne uske jisam ko teer ki trha hawa mei sann-sanatey dekha !


Woh seedha uske uper jakar girra jiske hath mein revolwer tha ! Woh apne baki sathiyon ke muqable kuch jiyada furti se uthne ki koshish kar raha tha ! Revolwer wale ko sapne mein bhi kisi aisi museebat ke barey mein nahi socha tha ! Abhi theek se kuch samjh bhi nahi paya tha ki ---


Ussey laga jaise jabdey par lohe ka hathoda takraya ho !


Halak se cheekh nikli or .... Hath se revolwer nikal kar Jane kahan ja girra ! Woh khud hawa mein lehrane ke baad ek maiz par jakar girra tha ! Harry badhi tezi se palta ! Teeno mein se ek abhi abhi uss par jhapta tha , lekin uske chehrey par Harry ke boot ki aisi thokar paddi ki woh karrahta huya ulat gaya !


Jo do bachey the , woh dono alag alag side se uss par jhaptey !


Lekin logon ne dekha -- Harry ka jisam hawa mein kareeb dus foot uper uchla ! Woh dono gundey aapas mein takra kar kaleen par girrey !


Hawa mein kalabaziyan khata Harry ka jisam seedha wahan jakar sathir huya jahan usne revolwer wale ko fainka tha ! Harry ne palak jhapaktey he ussey sir se uper uthaya or dono gundon par faink diya !


Cheekhon ka bazaar garam tha !


Uske baad dekhne walon ne dekha , Cristi tak ne Dantton taley ungli dabba di ! Iss se pehle woh kalpna tak nhi kar sakti thi ki jiski masoomiyat par woh fiddaa hai, woh itna khtarnak hoga !


Woh chaar ! Harry Akela ! Magar Harry ab Harry kahan tha ! Woh tau maano chhalaba tha -- woh Charon mein se kisi ko bhi, ek bhi aisa mokka nahi de raha tha ki apni marji se ussey chhoo bhi sakey ! Unke sambhalne se pehle he Harry agli chot kar deta tha ! Reh reh kar Hall mein unn Charon ki cheekhein goonj rahi thi !


Ekkaek police sairan ki awaaz goonj uthi !


Iss awaaz ko sunkar Charon ne bhagne ki koshish ki , parntu harry aisa poot kahan tha Jo kisi ko bhag nikalne deta !



Woh reh reh kar Charon mein se kisi ek ko uthata or baki teeno par faink deta ! Iss khel ke chaltey police wahan pohanch gayi ! Charon ko giraftaar kar liya gaya ! Harry par najar padtey he police inspector ke moonh se nikala -- " Harry tum ?"


" yes crush uncle !" Harry ne kaha -- " yeh log ek budhey aadmi ko goli maar dena chahtey the ! Main sehan nahi kar saka !"


Crush ne poocha --" lekin yeh budhey ko marna kyun chahtey the ? Kya iss barey mein tumein kuch maloom hai ?"


Harry ne crush ko taltey huye kaha -- " main iss barey mein kya keh sakta hu uncle or
........ Mere kuch kehne ki jaroorat bhi kahan hai ! Yeh Charon tau aapke kabze mein hai !"


"Magar Harry .....!" Cristi shayad rumaal ka jikar karna chahti thi !


Harry ne dant diya --"tum chup raho !"


Harry ka anokha roop dekhkar Cristi seham gayi !


Cristi ko dhyaan se dekhtey waqt crush ke honthon par halki si Muskaan aagayi or Harry se poocha --"yeh kon hai ?"


"Cristi !"


"Yeh tau naam huya iska ! Tumhari kon lagti hai ?"


"Friend hai !"


"Jacky guru ko maloom hai ?"


Ab Harry bhi holey se muskuraya ! Bola -- " mamla wahan tak nahi pohncha hai !"


"Ok !" Usne Harry ke kaan par jhukk kar kaha --" sunder hai !"


Harry chupp raha !


"Khair !" Crush bola -- " filhaal chalta hu ! Budha hath aagaya tau shinakhat ke liye bula lunga !" Kehne sath woh palta or main gate ki traf badh gaya !


Sipahi unn Charon ko jakdey uske pichey the !


Harry ab dhyaan se uss rumaal ko dekhna chahta tha ! So tezi se bathroom ki or badha !


Cristi uski or lapakti hui boli --"Harry , kahan ja rahe ho ?"


Harry rukka ! Bohat he rukhey swar mein kaha usne -- " ab tum ghar jao, kal mileingey !"


Kuch kehne ke liye Cristi ka moonh khula magar... khula he reh gaya ! Kuch keh na saki woh !


Kehti bhi kis se ? Jis se kehna tha woh bathroom ke darwaze ke pichey gum hochuka tha !


Darwaza band karne ke sath Harry ne jaib se rumaal nikala !


Dhyaan se dekha ! Kuch bhi nazar na aaya ussey ! Woh ek simple sa rumaal tha !


Tabhi budhey ke shabd yaad aaye Jo bhagtey huye bola tha -- " aag dekhtey he rumaal ka raaz khul jayega !


Harry ne jaib se lighter nikala !


Or lighter ki roshni mein rumaal par brown color ke akshar najar aane lagey !

Re: TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Posted: 03 Mar 2016 14:27
by sexy
Update no 5 ..


Ek month baad !


Rajnagar mein Harsharan shastri ka abhinandan samaroh tha !


Tha kya , Harsharan shastri ne apne chamcho se Kehkar khud rakhwaya tha ! Protocol ke mutabik samaroh mein D.M or s.s.p bhi the !



Program ke baad circuit house mein Harsharan ne Ajeet se poocha --" kaise ho mr. Ajeet ?"


"Theek hu !"


"Kaisi chal rahi d.m girri ?"


." theek he hai "


"Ukhdey - ukhdey kyun ho?" Harsharan muskuraya - -- " araam se baithi !" Ab mujhse batein karne mein bhi parhaij hai kya ?"


"Aisi koi baat nahi hai ?"


" dekho mister Ajeet !" Harsharan ne usey samjhane wale lehje mein kehna shuru kiya -- " humne uss din bhi kaha tha aaj fir kehtey hai -- Jo huya , galatfehmi ke tahat huya or tumne khud kaboola hamarey dil mein woh galat fehmi tumhari he chhoti si bhool ki vajha create hui thi ! Woh galatfehmi door huye aaj ek mahina gujar gaya ! Humne kisi madhyam se tumse samparak tak nahi kiya ! Kiya ..... kya?"


"Ajeet chup raha !"



"Jawab do Bhai !"


"Ji nahi kiya !"


" seedhi si baat hai , Jo humne uss din bhi kahi thi ! Shokeen aadmi tau hum hai magar jabardasti karne ka sidhant kabhi nahi raha ! Duniya mein or bohat hain , issiliye muddkar tumhari traf nahi dekha or ek baat tumne bhi kahi thi uss din ! Yeh ki Jo huya usey hum teeno ko wahin ka wahin bhool Jana chahiye !

"Main usey bhool chuka hu !"


"Jhooth bol rahe ho !"


"Yeh sach hai !"


"Sach hota tau yunn moonh na failaye hotey ?"


"Aap bhool gaye hotey tau topic nahi chhedtey !" Ajeet bhi chidtey huya bola !



"Topic tumhara moonh fooley hone ke karan chhedna padda !" Harsharan ki Muskaan gehri hoti ja rahi thi -- " political log jantey hai ki tumhara transfer humne Karaya hai or Rajnagar mein tum hamarey aadmi ho ! Aisi awastha mei. Hum rukhey rukhey miley kya yeh baat logon mein charcha paida nahi kar daigi ?"


Ajeet ko jawab dena jaroori nahi laga !


"Humein ek-dusrey se dost jaise mail jol rakhna chahiye !"


"Itna he keh sakta hu ki mujhe aapse koi shikayat nahi hai !"


"Humein hai !" Harsharan ne fataak se jawab diya !


" j......ji !"



"Dinner abhi tak adhura hai !"


Ajeet ne jhatkey se uski traf dekha ! Aankhon mein kathorta ubhar aai !


" dekho ! Dekho ! Fir naraj hone lagey tum !" Harsharan ne kaha -- " arrey Bhai ! Humne dinner ki baat kahi hai ! Siraf dinner ki ! Peene pilane ka koi daur nahi chaleyga ! Yakeen mano , koi badniyati nahi hai hamarey dil mein ! Balki sachai tau yeh hai ki nisha Behan se hum apne kiye ki mafi mangna chahtey hai !"


Ajeet ne chehrey par sarey jahan ki hairani latey huye Harsharan ki traf dekha !


"Agar ab bhi dinner dene se inkaar ho tau .....!"


"N.... Nahi ! Nahi sir !"


" yani aaj raat ka pakka !"



"Yes sir !"

Re: TRICK NOVEL IN HINDI ( By Ved Parkash Sharma)

Posted: 03 Mar 2016 14:28
by sexy
Update no 6a


Dinner ke waqt !


Apni silver color ki esteem mein Harsharan shastri D.M house pohncha !


Nisha or Ajeet dono ne hath jod kar muskura kar swagat kiya !


Nisha ke byvhaar se jahir tha Ajeet ussey circuit house mein hui sab batein bata chuka hai !


Uss waqt banarai sarhi me thi !


Mottey kapdey ke blouse or sarhi ke pallu se apne aap ko poora chhupane ki koshish ki thi !


Harsharan ne uski traf aankh nahi uthai ! Balki bhavuk swar mein bola -- "apradhi hu aapka ! Maafi mangne aaya hu ! Magar dinner ke baad !"


Harsharan ne kaha he iss trha ki dono hass paddey !


Mahol samnya he nahi, balki halka fulka hogaya !


Kareeb 30 min baad Harsharan ne kaam ki baat ki --" dost ! Sab jantey hai ek I.A.S officer D.M kyun ban-na chahta hai ! D.M bhi Rajnagar jaise sona ugalne waley jilley ka !


Magar ....... Kamaai iss tareeke se karni chahiye ki aadmi kam se kam kanoon ki giraft mein na fanse ! Yeh kanoon sala aadmi ko kahin ka nahi chhodta !"



"Kya kehna chahtey hain sir ?" Main kuch samjha nahi !"



"Na darne ki jaroorat hai na bokhlane ki ! Mamla mere kaboo mein hai ! Bus ek baat keh raha hu --- aaj ke jamane mein kon hai Jo rishfat nahi leta ? Sab lete hai magar saboot nahi chhoda chahiye ! Saboot aadmi ke galey mein fanda bankar padd jatey hai !"


" kya aap kehna chahtey hai ki Maine........ Maine kisi se rishvat li ?"


"Main fir kahunga, yeh koi gunah nahi hai !" Harsharan bola !


Laghbhagh cheekh padda Ajeet --" kiss se ,kiss se li hai maine?"


"Dus din pehle tumse chander parkash naam ka aadmi mila tha, gas agency ke regarding ?"



Harsharan ruka nahi fir shuru hogaya !



"Woh gas agency swtantarta sangram saink ke kottey ki thi ! Shashan ne tumse clearness mangi ki chander parkash sainik hai ya nahi ? Tumne uss application par sign kar diye jiske mutabik woh ab swtantarta sainani hai , jabki haqiqat mein woh paisa he year 1955 mein huya tha !"



"Aisa nahi ho sakta ! Uski file mein sabhi jaroori kagjaat mojood the !"



"Woh nakli the !" Harsharan ne muskura kar kaha!


"Main jail vijwa dunga usko ! Apni manjoori cancel kar dunga ! Balki case kar dunga ki usne nakli kagjaaton se dhokha dekar sign liye hain !" Ajeet gussey mein bola!




"Woh kuch or he kehta hai ?" Harsharan bola !


"Kya bakta hai woh ?"



"Ki tumein kagjaat nakli hone ki jankari thi or sab kuch jantey bujhtey iss frod me tumne uska sath diya !"


"Bakta hai woh , kya saboot hai woh sach bol raha !"



Harsharan shastri ne woh suitcase khola jisey apne sath lekar aaya tha !


Uss mein se bond paper ki ek photo copy nikali or bola -" city ke bohat mehngey ilaake mein chander parkash ka ek flat tha !
Bajar bhaw ke mutabik uski keemat 20lack ! Yeh papers uss flat ke bainaame ke hai ! Inke mutabik chander parkash ne apna flat kewal do lack mein tumein bech diya !"


" mujhe...?"/Ajeet uchhal he paddaa ---" mujhe bech diya ?"



" bainaame uss tareekh ke theek ek din pehle ki tareekh ka hai jiss din tumne uske swtantarta sainani hone ki pushti ki thi ! "


"AI.....aise kaise ho sakta hai?" Buri trha bhokhlaye Ajeet ne bainaame ki photo copy uthai or jaise jaise padta gaya vaise vaise marey hairaani ke aankhein failti chali gayi uski !



Continue ............. Harsharan ki trick mein fanss gaya lagta Ajeet .. Picture abhi baki hai dosto... sath dene ke liye shukria !!!!! all

Next jaldi he