love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:26

UPDATE 107-

Sahil ki aankhe us tasweer se chipak kar rah gayi...............



“jeevan-vatika” .........use aarti yha lekar gayi thi........use sab yad aa rha tha...........




“Kahi wo sab log shimla to nhi chale gaye..................”achanak sahil ko khyal aaya..........




“par shimla kyu jayenge...........ho sakta hai ki didi ghoomne gayi ho....rohan to pahle se hi ghar par nhi rahta aur aarti vishal ke bich kuchh unban huyi ho.........ho sakta hai aarti ka shimla jana use pasand na ho............lekin fir vishal ki baten............??????” sahil ke soch ke ghode bahut tej daud rahe the lekin wo kisi nateeje par nhi pahuch paa rha tha........thak harkar wo wapas laut aaya juhi ke pas...........dil to chah raha tha ki ud kar pahuch jaye aarti ke pas lekin juhi ko kaise chhod deta.................????????




“kya hua sahil...........”juhi hath me coffee ka cup lekar sahil ke bagal me baith gayi aur use pakadate huye boli.





“kuchh nhi.........juhi aarti ne MBBS nhi kiya tha.............usne jhooth bola tha............aur bhi jane kya kya jhooth kaha hai usne................” sahil bahut dard me tha aaj...........bas itna hi bola .




“kaha hai abhi wo.............”juhi ka dil ro raha tha lekin badi majbooti se usne khud ko sambhal rakha tha.............




“pata nhi ............” sahil is bar bhi itna hi bol paya .........uski aawaz ab bheegne lagi thi.




“sahil,u ok na.........thik ho na aap.............” juhi ne pyar se uske kandhe par hath rakhte huye kaha...........




“nhi juhi !!!!!!!!! Thik nhi hu mai.........mujhe khud se nafarat hoti hai, bahut jyada nafarat...............mai bahut khudgarz insaan ho gya hu juhi.............kisi ke liye life me kuchh nhi kiya maine............bas hmesa apne bare me socha ..........keval apne khusiyo ki parvah ki maine,.................” sahil ke aansu ab aankho me samaa nhi paa rhe the.




“aisa mat kahiye sahil........plz......” juhi ka zabt bhi ab zawab de raha tha.




“nhi juhi kah lene do............plsss.....nhi to mera sar fat jayega...........juhi mai tumhare sath bahut galat kar rha hu .......mujhe ahsaas hai juhi .......kya kuchh nhi kiya tumne mere liye...........meri kismet ke sitare ko gardish se nikalakar bulandi par pahucha diya............meri roti bilakhati zindagi me ek bar fir se naye rang bhar diye...........mujhe sab yad hai juhi..........wo tadpana ,bilakhana aur fir wo tumhara mujhe samet lena..................” sahil ab ro raha tha aur bole ja raha tha................




“juhi mai kuchh nhi bhoola hu.............kis tarah se tumne aur khan baba ne ek marte huye insaan ko nayi zindagi di, kaise bhool sakta hu mai...................khan baba se kiya wada yad hai mujhe juhi...........lekin mai wo wada nibha nhi paa raha ..........ahsaah hai mujhe......................mai kya karu juhi...........sari duniya se takra jaun tumhare liye.........lekin jab us ka nam aa jata hai to mai bahut bebas ho jata hu..............haan juhi mai bahut majboor ho jata hu............meri sari soch mera sath chhod deti hai..........uski muhabbat mujhe kuchh sochane nhi deti.............” juhi ke bhi aansu bah rahe the aur wo sahil ka hath apne hatho me lekar uski baten sun rahi thi.




“juhi tumhe to sab pata hai, janti ho na kya kiya hai usne mere sath.......lekin fir bhi mera dil uski or bhagata hai............use dekhne ko dil karta hai.........juhi main kya karu ..........plsss batao mai kya karu.............mujhe maaf kar do juhi ...........pls maaf kar do yaar.............” sahil itna bol kar chup ho gaya aur niche dekhne laga....aansu tap tap jameen par gir rahe the.




“sahil, maine muhabbat ki is shiddat se hi to muhabbat ki hai..........aapki muhabbat me itani tadap thi ki mujhe aapse muhabbat ho gayi..........aur muhabbat me insaan kitna majboor ho jata hai iska ahsaas mujhe bhi hai..................sahil aap kabhi mat sochiyega ki aap mujhe dhokha de rahe hai..........sahil aap jaiye aarti ka pata lagane................aap jab bhi aayenge juhi aapko aise hi aapka intjaar karti huyi milegi.........” juhi sachmuch ki pari thi kyuki itna badaa dil kisi insaan ka to nhi ho sakta...........




“nahi juhi..........mai nhi jaunga akele.......tum chalo mere sath.......pls.........” sahil ne kaha.



Aur juhi ne ek bar nhi puchha mai kyu jau,kaha jana hai,kab jana hai...........apni muhabbat ki muhabbat dhundane jane ko taiyar ho gayi wo pari.........use dhundhane ja rahi thi juhi , jiske milne se bhi use dukh hona tha aur jiske na milne se bhi use dukh hi hona tha.................





Sahil ne ek bar shimla jane ka faisla kar liya tha.....dilli me jitana pata kar sakta tha kar liya lekin kuchh pata nhi chal paya............sahil aur juhi dusre din shimla pahuch gaye..............




Sahil seedha us hospital gaya jaha use aarti lekar gayi thi...........



Ek bar fir se sahil ko chhan bin karni padi.............hospital ka administration waise hi tha jaise sabhi bade hospital ka hota hai......students aur patients ke sare recorda alag alag jagah maintain kiye jate the............sahil ke puchhane par pata chala ki same aarti singh ka admission waha hua tha lagbhag 6-7 sal pahle aur usne waha se apni MBBS ki degree complete ki thi............



Sahil ne aur kuchh nhi puchha aur juhi ke sath bahar nikal aaya................lekin abhi bhi kayi sare sawal the jinke jawab nhi mile the......khas karke aarti aur vishal ki shadi ka .



Sahil ne ek nazar door bane khoobsoorat JEEVAN VATIKA CAMPUS par dali aur juhi ke sath us or badh gaya.............



Thodi der wha ki khakh chaan ne ke bat sahil bahar nikal gaya.........wha se bhi aarti ka koi surag nhi mila..........sahil ka dil bahut bhari ho raha tha...............




Wha ke staff se pta chala thi ki aarti nam ka koi wha nahi tha.........sahil behad uadas sa bahar aa gya aur chuchap ek bench par baith gya.........juhi bhi sath me thi aur sahil ke dil me chal rahe tut foot ko mahsoos kar rhi thi lekin aaj wo bhi bahut majboor thi.




Sahil kuchh der yuhi chuchap baitha raha fir juhi ki aankho me dekhte huye bola................



“juhi,kaha dhundhu mai use........milti kyu nahi wo mujhe.......aise bhi koi naraz hota hai kya......... Juhi tum ne har kadam par mera sath diya hai...........juhi tum to pari ho na...plss bolo na apne us khuda se ki ek bar mila de mujhe us se ........mai use ek bar dekh lu fir chala jaunga..........plss juhi bola na ki mujhe ek bar aarti se mila de.” Sahil itane yakeen se kah raha tha mano sach me juhi koi pari ho aur uske pas koi jadu ki chhadi ho.




“sahil,aarti aapko jaroor milegi......jaroor se milegi....plsss rowo mat sona.” Juhi ne uske aansu ponchhte huye use apne gale se laga liya aur dil me apne rab se dua mangne lagi..........apni muhabbat ko khud se door karne ki dua............ uske kisi aur ke ho jane ki dua...........wo jan chuki thi ki chahe aarti ne sahil ke sath kuchh bhi kiya ,lekin sahil ke dil me aaj bhi aarti hi dhadakati hai........aur wo sahil ko uski muhabbat mil jane ki dua maang rahi thi............bina apni muhabbat ki parwah kiye.......  Kaisi muhabbat hai ye ???? 




Sahil aur juhi thodi der baad main gate se bahar nikale aur apni gadi ki or badhane lage.........sahil ke hath ek bar fir nirasha lagi thi.................lekin is bar uske sath ek pari thi, jo har pal uski takdeer ki rekhaon se lad rahi thi aur unhe badal rahi thi ............aur is bar bhi aisa hi hua................




“aap sahil hain na............” sahil sar jhukaye bahar nikal raha tha jab ek ladki ki aawaz par uska dhyan toota aur usne sar uthakar dekha.


Samne 3-4 ladkiyon ka group tha......aur unme se ek ladki wahi thi jo sahil ko tab mili thi jab wo aarti ke sath yha aaya tha.......sahil ne dhyan se dekha ...pahchan to gya tha par thoda confuse tha............



“are aapne shayad pahchana nhi.......mai aapse mili thi jab aap aarti ke sath aaye the.........remember?” ladki ne use yad dilaya.



“oh........haan....yad aaya.” Sahil ko umeed ki ek kiran nazar aayi.



“aarti se milne aaye the aap...........?”


“haa....kya hai wo yha par..........??” sahil ne jaldi se puchha.




“haa...cottage no 012 me hai.......shayad mummy ke sath apne..........aap kyu nhi aaye uske sath......she needs u..........zindagi ke ************ ” sahil ne bas cottage no hi suna aur juhi ke sath turant palat gya....aage wo ladki kya bol rahi thi usne suna bhi nahi.




Sahil daudate huye cottage dhundh raha tha......juhi bhi teji se uske pichhe aa rhi thi...............


010,011 and .........012......... sahil ne jor se door khola aur andar ghuste hi chilla pada...............


“aarti , kaha ho tum............mai aa gya aarti.”


Samne mummy bed par baithi huyi thi...............



“sahil?” didi ko jyada aascharya shayad nhi hua........mano wo sahil ka intzaar hi kar rahi thi.............



“didi ,aarti kaha hai...sab thik hai na..........kaha hai aarti........????” sahil ki aawaz me itani tadap thi ki didi ka bhi dil tadap utha...........aaj wo tufan aa hi gaya tha jiski aashanka unhe barso pahle ho gayi thi............


“haa wo bas..........sab thik h, aao.......meri tabiyat kharab ho gayi thi to aarti yha le aayi..............thik h sab kuchh.....are juhi...aa ja beti..........” didi ne juhi ko dekh liya jo darwaje par hi ruk gayi thi..............juhi ka dil bahut udas ho raha tha.........kitni berahmi se usne didi ko daant diya tha unke ghar par aur wo aaj bhi us se itane pyar se bat kar rhi thi...........




“aarti kaha hai didi.......” sahil ka sabr jawab de raha tha....aur uski bechaini un fizaon me ghul gayi thi .........................sahil ki is aawaz ke sath hi washroom ka darwaz khula aur aarti bahar nikal gayi.............sahil par nazar padi aur ek pal ko dono sari duniya bhool gaye...........



Sahil ki nazre us masoom mukhade par ja kar jam si gayi.........


Shadi ke bad pahli bar aarti ko dekh raha tha sahil.................gulabo ke jaisi khili khili rahne wali aarti patjhad ke phool ki jaise murjha gayi thi............kahi se dekhkar nahi lag raha tha ki uski shadi huyi hai......na sindur ,na mangalsootra.......kuchh bhi nahi..............bahut kmajor ho gayi thi wo.........chehra bilkul peela pad gaya tha.......aankhe dhans gayi thi aur unke niche kale dhabbe pad gaye the...........sahil ka kaleja fat raha tha juhi ko is haal me dekhkar.....................na koi shikwa aa raha tha uske dil me na koi sawal...bas ek tadap thi................




“didi ye kaisi ho gayi meri aarti..............aise to nahi chhoda tha maine aapke pas.........yahi khyal rakha aapne meri aarti ka didi......isliye mujhse juda kar diya ise ........”sahil ki aankhe fir barasane lagi.




Didi ki aankhe bhi bheeg gayi, juhi bhi ro rahi thi...........lekin aarti bilkul khamosh thi..................



“sahil aapko yha nahi aana chahiye tha............mummy ko thodi problem thi to mai yha le aayi..........baki sab thik hai......” aarti nishthurata ki moorat bani huyi thi......lekin sahil ko to wo bachapan ki hasti khilkhilati,use tang karti masoom si aarti nazar aa rahi thi.................



“aarti, ye kya haal bana liya apna............”sahil ko uski koi bat buri nahi lag rahi thi..............use bas aarti ki wo bujhi huyi aankhe dikh rahi thi.....jin aankho me kabhi uske liye jeevan ke haseen sapne hote the......sahil ka bas nhi chal raha tha ki wo daud kar aarti ke gale lag jaye............mamooli se suit salwar pahne wo barso ki thaki thaki si lag rahi thi.........aur chehre par sahil ke liye narazagi .....ya shayad naraz dikhane ki ek nakam kosis.





“mai thik hu.........aur agar aap chale jayenge to aur bhi achchhi ho jaungi.........”aarti ka har sabd sahil ke dil ko cheer dene wala tha ..........lekin aaj sahil ko fark nhi pad raha tha............use bas ek bat ki fikar thi........apni aarti ki.




Sahil kuchh nhi bol raha tha bas chupchap use dekh raha tha...............fir wo achanak se chalkar uske pas pahuch gaya..................aur usko jor se apne seene se laga liya..................



“aarti, sab thik ho jayega....mai aagya hu na........ab m sab thik kar dunga........mujhe maaf kar do .....tumhe chhoda ke chala gya na ....isiliye ye haal bana liya hai na...............ab nahi jaunga....chahe tum kitna bhi bhagao..........mai nahi jaunga.............sab thik ho jayegi aarti..............sab” sahil ro raha tha aur pyar se aarti ke balo me hath pher raha tha............didi aur juhi ke bhi aansu bah rahe the.



Lekin aarti abhi ek patthar ki moorat bani huyi thi.




“chale jaiye aap....plsssss........jaiye.........i hate u...........bahut nafarat karti hu mai aapse.......jaiye nahi to mera mara muh dekhenge aap.....” aarti cheekh padi.



Sahil ek dam jhat se us se alaga ho gya..............ye kya kah rahi thi aarti...........sahil ki aankho ke aage jaise andhera sa chha gya................ “mera mara muh dekhenge aap” aarti ke ye sabd uske dil ko kirchi kirchi bikher gaye............jiski khusi ke siwa aaj tak usne kuchh chaha hi nahi, aaj usne kaha tha use jane ko...........




“nahi aartiiiiiiiiiiii....pls......mai ja rha hu .........kabhi nahi aaunga.......kabhi bhi nahi....tum kabhi dubara ye mat kahana.....kabhi bhi mat kahana.........aarti shayad tum sab bhool gayi lekin mujhe mere bachpan ki wo gudiya aaj bhi yad hai aarti.............aur mai apni gudiya se aaj bhi utna hi pyar karta hu...........aisa fir kabhi mat kahana......jaa rha hu mai..............jaa rha hu aarti....is bar nhi aaunga.........khus rahna...” sahil ne apne aansu ponchhe aur teji se bahar ki or badha .


“sahillllll...”didi ne aawaz lagayi.”


“mummy meri kasam plssss......” aarti jaldi se chikhi.......



Sahil ek pal ko thithka ,juhi bhi ruk gayi..............pichhe muda ......poora chehra aansuo se bhiga hua tha..............


“ GOOD BYE AARTI ” bas itna hi kaha aur wapas muda.......kuchh kadam chala tha ki dhadam ki aawaz par wapas muda.............aarti farsh par giri huyi thi aur uski naak se khoon nikal raha tha.



“AARTIIIIIIIIIIIII”” sahil ki cheekh se jarra jarra kaanp gaya tha us fiza ka............



Wo paglo ki tarah aarti ki or badha aur use apn baho me utha liya..................



“aankhe kholo aarti..............mai chala jaunga...........hmesa ke liye ............sach kah raha hu...........tumhari kasam aarti apni shakl bhi nahi dikhaunga........bas aankhe kholo..........aise to mat rutho yar.......pls...............doctorrrrrr.............” sahil uske galo ko thapthapata raha aur fir god me uthaye ward ki or bhagne laga .......


*************************************************************************************

Aarti admit thi ........behosh thi..........aur sahil ka chehra safed ho gya tha............usne ek chuupi sadh li thi kisi se kuchh nhi bol raha tha.............


Jeeja bhi aa gaye the............juhi aur jeeja aarti ke pas the aur sahil chuchap didi ke pas chala gya jo usi cottage me mandir ke samne baithi ro rahi thi.....................


Rat ke 9.00 baj rahe the...............



Sahil jakar didi ke samne khada ho gya...............didi ne use dekha to apne aansu ponchhe aur wo bhi khadi ho gayi...............sahil ki aankho me ek sawal tha.............aur us sawal se didi ko dar lag raha tha.............



Sahil ne apne back se pistol nikali aur apne sar par laga li....................


“sahil ye kya kar rha hai..........pls....nahi beta.......plss...ise rakh de.......sahil plss..........” didi ek dam sann rah gayi............



“bataiye mujhe sab sach sach..........aap sabne mujh se hamesa jhooth bola hai...........lekin agar aaj mujhe ek bhi bat jhoothi lagi to mai khud ko shoot kar lunga.............mummy ki kasam hai mujhe.” Sahil bahut thahar thahar kar bol raha tha....bahut dard tha uski aawaz me.


“mai sab sach bataungi...........plss ise dur rakh de..........plsss beta................aarti ki kasam sahil plsssssssssssss................mai sab sach bataungi...................” didi gidgida rahi thi....sahil ne pistol door phenk di aur didi ki or dekhne laga.........



“sahil itani himmat nahi hai mere andar..........aa mere sath...............”didi bilakh bilakh kar ro rhi thi aur room me rakhe ek suitcase ko khola ........usme dher sare papers the......didi ne ek 3-4 pages ki file nikali aur sahil ko pakda di..................




Didi buri tarah ro rahi thi .......sahil ke hath kaanp rahe the......usne patthar ka kaleja karke file ka cover palat diya.............




FRONT PAGE----

PATIENT NAME - AARTI SINGH.
DISORDER- LEUKAEMIA (BLOOD CANCER)
DIAGNOSIS DATE- 20/0*/20**



Date wise lagbhag 6-7 sal pahle se...................sahil ke hath se file gir gayi ,uski aankho ke samne andhera chha gaya ,use jor ka chakkar aaya aur wo wahi dhadam se farsh par gir gaya aur behsoh ho gya.



Didi jor se chillayi.........”sahilllllllllllll”




Aaj aur kuchh nhi kah paunga dosto......... SORRY. 










(dosto aarti ko bimari bahut pahle se thi uske symptoms bhi the lekin is story me maine mention nhi kiye nahi to story behad predictable ho jati............jaise jab sahil ke accident ke bad wo aati hai to bhi kayi sari prblms face karti hai lekin chunki ye sab sahil se chhupaya gya tha to mai wo mention nhi kar sakta tha......baki sare sawalo ke zawab kal khud aarti degi ... bas do update aur door hai ye dard apne anjaam se .........thank u  )

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:27

UPDATE 108-

TUNE MERE JANA ,KABHI NAHI JANA



Sahil ko hosh aa chuka tha jabki aarti abhi bhi behosh thi......aarti hospital me thi ........sahil didi ke sath whi bahar gumsum sa baitha tha..............kuchh bhi nahi bol raha tha..............



Didi ne pyar se uske kandhe par hath rakh diya..............





“sahil tumhe kuchh batana hai........mai is sthiti me to nahi hu lekin agar aaj nhi bata payi to shayad kabhi nhi bata paungi...........tumhara ye jan na bahut jaroori hai..............” didi ke aankhe bhari thi aur wo dheere dheere bol rahi thi.....jeeja kahi gaye the aur juhi cottage me thi...........





“sahil yad hai jab tum apne interview ke bad ghar gaye the.............uske dusre teesre din hi dheeraj aur varsha wala case hua ......tumhare jeeja bahut gusse me the aur unhone ne bahut kuchh kaha dheeraj ko bhi aur tumhe bhi........us din aarti poori rat roti rahi ......dusre din bhi usne kuchh nhi khaya aur apni papa se bat bhi nahi kar rhi thi........usi din tumhara call aaya aur usne tumse thik se bat nhi ki.......gussa to wo kisi aur parr thi....lekin jaisa ki hamesa hota aaya tha, nikla ek bar fir se wo tum par.................





“Uske kuchh do din bad aarti achanak behosh ho gyi aur uski nak se blood aane laga.....hm use hospital lekar gaye..................hme laga ki use koi chhoti moti problem hogi lekin use...............”didi itna kahkar rone lagi.........sahil chuchap unki or dekh raha tha................





“hamne aarti ko har jagah dikhaya ...AIIMS ke chief doctor ne bhi dekha lekin sabka yhi kahna tha ki iska koi ilaaz nhi hai..........aarti se hmne chhupana chaha lekin jane kaise wo jaan gayi..............aur fir ek din wo rat me mere kamre me aayi..................”





Didi batate huye ateet ki dhundhali yado me kho gayi..............





“mummy ,aap soye nahi........”aarti ne room me aakar didi ko pichhe se gale lagate huye kaha....





“haan beta wo neend nahi aa rhi.......aa baith “ ...didi aarti ko lekar apne bed par baith gayi.




Aarti ne didi ke god me sar rakh liya.....didi dheere dheere uska sar sahlane lagi ....anayas hi unki aankhe bhar aayi...................




“mummy ,” aarti ki aawaz me bahut dard tha.





“haan meri jaan”didi lakh kosis ke bad bhi apne aansu na rok saki.




“mai marne wali hu na mummy............” aarti ne bahut mayoosi se kaha, didi ka kaleja fat gya uski bat par.





“nhi meri jannnnnnnnnnn......kuchh nhi hoga tujhe meri bachchi........tu bilkul thik ho jayegi...bilkul thik....aisa kabhi mat kahna .....mummy kaise jiyengi tujhe kuchh ho gaya to .....haan???” didi ne jor se use apne seene se laga liya aur foot footkar rone lagi.




“mummy kuchh kahna hai aapse.............”




“haan bol na meri jaan”


“mummy mai kisi se pyar karti hun...” aarti ka chehra bilkul shant tha.



Didi ek pal ko chakit ho gayi,



“kis se “ didi ne kaha


“sahil se” aarti ne bade garv se kaha.




“kaun sahil.........kahi apna sahillllll to...........” didi ko is bat ka gumaan to pahle se hi tha ,bas aaj us bat ki pushti ho rahi thi.





“haa mummy,mere sahil se, aapke sahil se..........mujhe pata hai ye sahi nahi hai..........lekin ho gaya mummy.....maaf kar dijiye.........” aarti ki aankhe bhar aayi.





Didi is samay use kya samjhati....chup rahi...........aur use ek bar fir gale se laga liya..............





“sahil hai pyar karne ke layak , mujhe naaj hai teri pasand par.......lekin beta duniya samaj ........aur fir tere papa........... aur kya sahil bhi...” didi ne dil ki bat kahi.





“haan mummy sahil bhi mujhe se beintaha pyar karte hain.......lekin iski shuruwat maine ki thi....sahil ko maine propose kiya tha...............sahil ki koi galti nhi hai mummy..........” aarti aaj bhi apne sahil ko bacha rhi thi.




“galti to teri bhi nhi hai meri jaan.............”mummy bas itna hi bol payi.




“mummy kitna waqt hai mere pas............”aarti ka sara dard uski un jheel si kali aankho me utar aaya tha................aur didi se wo dard bardasht nhi ho raha tha............





“ kaisi baten kar rahi hai aarti......tu thik ho jayegi beta......bilkul thik....aur fir mai tujhe tere sahil se mila dungi........chahe duniya kuchh bhi kahe.......aur agar koi nahi mana to mai tum dono ko yha se door bhej dungi........mera yakeen kar................” didi apne lado ke laad me bole ja rahi thi...........jabki unhe achchhi tarah se pata tha ki aarti ab kabhi bhi normal life nhi jee payegi.





“plss mummy sach bataiye na........mujhe sab pata hai mom...........kitna waqt hai mere pas............aapko meri kasam ............bahut jaroori hai ye jan na mere liye .................pls.........”




Didi rone lagi aarti ki bat sunkar......aur rote rote hi kaha.........




“doctor ne kaha hai ek do sal ya fir maximum 5-6 sal ...severety par depend karta hai.....meri jaan tujhe kuchh nhi hoga.........mujhse kabhi mat puchhna ab..........tu thik ho jayegi beta.........sabkuchh doctor hi to nhi hote..............bhagwan bhi to hota hai na kuchh..............dekhna tu thik ho jayegi.............” didi ki aankhe baras rahi thi aur unhone aarti ko gale se lagaye huye uske gal choom liye.





“haan mummy mai thik ho jaungi...........mummy aapse kuchh mangu.............” aarti boli.




“kya beta???? ...mummy se mangne ke liye ijajat mangte hain koi........” did boli.






“mummy, sahil ko ye bat kabhi pata nhi chalni chahiye................plss...aapko meri kasam .........meri aakhiri tamnna samjh lijiye ise...........wo bardasht nhi kar payenge...........bahut jyada chahte hain sahil mujhe...........un aankho ke sapne tut jayenge...........mujhe bahut dard ho raha hai mummy.....maine apne sahil se bewafai kar di............mai “ BEWAFA “ ho gayi mummy.........mai bahut buri hu..........mera sahil bahut masoom hai......kaise bardasht karenge wo.........mujhe jeena hai mummy ...........mai marna nahi chahti............mujhe bacha lijiye maa....pls...........boliye na apne bhagwan se.......plss mummy bacha lijiye apni aarti ko...........” pahli bar aarti tutkar royi thi apni maa ki bahon me.......did bhi buri tarah se ro rahi thi , kitna majboor kar diya tha kissmat ne aaj us maa ko.






Didi bata rahi thi aur sahil patthar ki moorat bane sun raha tha.........didi ro rahi thi lekin wo chup tha.........





“sahil uske bad aarti ne jo kuchh kiya wo sirf ek natak tha ....wo tumhe khud se door karna chahti thi..........wo shadi ka card jo dekh kar tumne suicide attempt kiya ,aur fir wo jhoothi shadi........jo kabhi huyi hi nahi.”






“jante ho ,jis din maine tumhe phone kiya ki aarti ki shadi tay ho gayi hai aur tumhe aana hai us din aarti mere bagal me baithi thi ....us samay juhi tumhare pas pahuchi hogi aur usne tumhe yha shadi me aane se mna kiya hoga........kyuki aarti ne use wha bheja tha........ ...use dar tha ki tum fir se aisa kuchh na kro .....lekin juhi ko wajah nhi pata thi ....use bas ye pata tha ki aarti ki shadi ho rahi hai ...........aur tumhe sambhalane ke liye use bhej rahi hai aarti.”





har bat par sahil ka dil ro raha tha ...........kya kay nahi kiya tha aarti ne uske liye aur kya kya nahi saha tha us masoom ne.





“sahil shayad tumhe pata nhi hoga..........jab tum yha se gaye to aarti saye ki tarah tumhare pichhe thi ....tumhara jis institute me hua tha wha tumhara resume aarti ne send kiya tha.......wo uske kisi dost ke uncle the jo wha ke director the..............usne tumhe akela nhi chhoda tha sahil kabhi bhi............lekin uske bad aarti ki tabiyat jyada kharab ho gayi aur wo shimla chali gayi....wha se usne MBBS bhi kiya aur jeevan-vatika me uska ilaaj bhi hota raha.......”





Didi yad karke ek ek bat sahil ko bata rahi thi ...jaise ki apni beti ka case lad rahi ho....au dar ho ki kahi wo case haar na jayen.........






“yad hai jis din tum hame mall me mile the , jab ham kapde aur lahnga kharid rahe the ............sahil wo aarti nahi kharid rahi thi ................uski ek dost ki shadi thi jo us samay sath hi thi................. aarti kahi bahar nhi aati jati thi isliye us din ham sab use jabdasti bahar le gaye the ...aur wha tum aur juhi mil gaye...........”





“sahil aarti bahut ghut ghut ki jee hai ye 6 sal ....ek ek bat mujhse kahti thi aur har rat sone se pahle tumse maafi mangti hai ...aaj bhi ..........”






Didi sab kuchh bata kar chup ho gayi thi...........itane me jeeja bhi aa gaye.........wo bhi wahi aakar baith gaye aur sahil ki or dekhne lage.




Sahil ki or dekhte dekhte achanak foor foot kar rone lage............





“meri aarti ko bacha lo sahil........plss....tumne to use har mushkil se nikala hai.......har kadam par uska saaya bane rahe ..........aaj ek aakhiri bar........pls............apni muhabbat ko bacha lo sahil...............plssssss............mai har gunaah ki maafi mangta hu.............bas use bacha lo..............kuchh bhi kar ke............” jeeje jaise majboot insaan ko is kadar toot kar rote dekh sahil ka dil bhi dahal gaya.......dil to pahle se hi tar tar ho chukka tha............ unki baton se saf lag raha tha ki unhe bhi sab pata hai dono ki muhabbat ke bare me.......





Wah ri muhabbat ! wah ri kismat! Aaj jab sabne unka pyar sweekar kar liya tha to unka pyar chand sanso ka mohtaj ho gaya tha






“sahil doctor ne kaha hai ki bas kuchh din bache hai meri beti ke pas...........plsss..sahil .......bacha lo apni aarti ko ...bacha lo..........” jeeja sahil ka hath apni aankho se laga kar ro rahe the.




Piche aakar khadi juhi dhamm se farsh par gir gayi.......uske pair kaanp rahe the ye sab sunkar ......use ab pata chal tha ki aarti itnai jyada bimar hai...........sahil ne fauran use uthakar apne pas bitha liya aur uska sar apne kandhe par rakh liya.............




Juhi sooni sooni aankho se sabki or dekh rahi thi.............





“ Mai dua karoongi ki tumhe muhabbat ki ek boond bhi naseeb na ho............” aarti ko usne yahi baddua di thi ...................aur aaj uski baddua use ek gali lag rahi thi khud ke liye...........





Juhi chuchap baithi rahi.............use khud se nafarat ho rahi thi......kya nahi kaha tha usne aarti ko ........kitna bar beafwa kahkar gali di thi .....ek ek khusi ke liye tarasane ki baddua di thi .....aur aaj uski har bat uske kaleje ko chher rahi thi .





juhi ne jo kuchh kiya halat ne karwaya tha us se ..........uska koi, koi dosh nhi tha lekin wo fir bhi khud ko gunahgar maan baithi thi.......uski aankho me ek kabhi na jane wali virani dikh rahi thi..........aansu nahi the.....................kyuki jo dard is samay uske seene me uth raha tha use bayaan kar pana aansuo ke bas me nahi tha.........






“juhi plss sambhalo khud ko beta........” didi ne uske sar par hath phera aur juhi unke gale lag kar rone lagi...........





“I m sorry didi, mai bahut buri hu...........maaf kar dijiye.............” sahil chup tha ....kuchh nhi kah raha tha......tabhi ward boy ne aakar kaha..........






“patient ko hosh aa gya...........aap chahe to mil sakte hai” sab ek sath uthe aur ward ki ro chal diye......bas sahil pichhe rah gya..........aur uske sath the jeeja................






“sahil doctor ne kaha hai aarti ke pass bas kuchh din hain.............plsss use bacha lo sahil.....meri beti ko bacha lo..............” jeeja aaj bahut dard me the ..............beti ki muhabbat ne unhe sab kuchh bhoola diya tha....duniya-samaj ,parmapara-maryada.....kuchh bhi yad nhi tha........bas aaj unhe unki beti yad thi.





“use kuchh nhi hoga.........mai jane nahi dunga use .....chahe kuchh bhi ho jaye......” sahil ki aawaz me ek majbooti thi ,ek sakhti thi aur ek jid thi.





Sab log aarti ke pas the.....rohan bhi aa gya tha..........bas juhi andar nhi gayi thi ...uski himmat nhi ho rahi thi aarti ko face kar pane ki .............sahil chuchap ek kone me khada tha.........aarti leti huyi mummy papa se kuchh kuchh bol rahi thi aur kabhi kabhi halke se has deti.......lekin uski nazre sahil par tiki huyi thi.................






Sahil bhi uski or dekh raha tha.....sari duniya se naraz-naraz sahil aarti ko bahut pyara lag raha tha..........ek tees uth rahi thi uske dil me.............kash wo sahil ko mana leti........us chhote se bachche ke jaise naraz tha wo jiska koi pasndida khilona chhin gya tha us se........sahil ke chehre par saadiyon ki udasi thi lekin un aankho me ek jid thi .........





wo aankhe bol rahi thi--

“aaj sari duniya se takaraa jaunga ,lekin tujhe jane nahi dunga.”





Aaj kismat ka takraw hona tha muhabbat se,aur unki muhabbat ke liye shayad qayamat ka din aa gya tha.







(maaf kijiyega dosto,bas ek aakhiri update aur,, aap sabka sath chahunga ek aakhiri bar )

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:27

UPDATE 109


Sahil chuchap kone me khada aarti ki or chor nazro se dekh raha tha.....mano us se sadiyon se naraz ho aur us se kah raha ho ki mana lo mujhe nhi to fir kabhi nhi milunga..........aarti bat to mummy papa se kar rahi thi lekin nazren uski sahil par bar bar ja rahi thi.................



Dheere dheere sab log bahar chale gaye aur sahil aur aarti room me rah gaye..............aarti ne ishare se sahil ko apne pas bulaya.............




Sahil chalta hua uske bed ke pas pahucha aur chupchap uske karib baith gya........bahut jyada narazgi thi uske chehre par..............




“sahil” uffffffffffffff! Itana pyar tha us sahil lafz me ............sahil ke andar ki sari narazagi hawa ho gayi.......wo chuchap uski aankho me dekhta raha................



“naraz ho mujh se..............”aarti ne apna ek hath badhakar uske gaal par rakhte huye kaha.




Sahil kitna bardasht karta...............tut gaya..........




Jor se aarti ko gale laga liya...............





“koi kuchh bhi kahe mai tumhe kuchh nahi hone dunga..........kuchh bhi nahi.....tum meri ho.....meri gudiya ho tum....koi kaise le sakta hai tumhari zindagi ke faisle ............sirf mujhe hai ye haq......sirf mujhe.” Sahil ka har lafz sukoon pahucha raha tha aarti ko.




“uffff.............muhabbat ka ye kaun sa rang hai sahil jo itana gahra hai........kya kya nahi kiya maine is rang ko chhudane ke liye , lekin ye rang chhutta kyu nahi sahil........ Kyu itana chahte ho mujhe ....kyu...........” aarti aaj wo sawal puchh rahi thi jo pichhle 6 salo se uske dil me uth raha tha.....aur sahil ne jawab me wo sawal puchha jo uske dil me bhi pichhle 6 sal se tha..............






“kisne de diya tumhe ye haq aarti????????....kisne diya ye hak ki mere pyar ka rang chhudawo tum...............kya khata hai meri........ye ki mai deewano ki tarah tumhe chahta hu ya fir ye ki maine bachpan se lekar aaj tak sirf tumhari khusi chahi.............bolo aarti..........kya muhabbat karte samya ye wada liya tha maine ki jab tak tum aisi hi rahogi tab tak hi muhabbat karunga.............kya meri muhabbat bas achchhe dino ke liye thi............kya meri muhabbat par yakeen nahi tha tumhe ??? ......bolo.......kya tum me koi kami aayi, tumhari muhabbat me koi kami aayi.............. muhabbat to tab kamjor ho jati jab in aankho me kisi aur ka aksh nazar aa jata...........lekin in me to aaj bhi meri muhabbat aabad hai.........fir kyu mujhe khud se door kiya...........kyu di mujhe ye saja.......jo bhi hota uska samnaa hum sath sath karte ..........apni muhabbat ki taakat se us se ladte............lekin tumne to mujhe itana haq bhi nahi diya...........ye galat kiy aarti......ye galat kiya.” sahil kahte kahte rone laga..






“nahi jaan .............plss..........aapki aarti itani samjhdar nahi thi..........usne to aapko is dard se bachana chaha...........ek nakam si kosis ki...........bhool gayi ki aarti ki rooh to sahil se judi hai fir kaise us se kuchh chhupa sakti hai...........sahil maf kar do apni aarti ko ........mere antim palo ki khatir please.................”aarti bhi rone lagi.





“nahi aarti, ye kabhi mat kahna............tumhare antim pal mai aane nahi dunga........aarti chahe kuchh bhi ho jaye, mai tumhe kuchh nahi hone dunga............kuchh bhi nahi....” sahil aur aarti aaj barso bad ekdusre ke seene se lage huye ,ek dusre ki rooh ko sukoon pahucha rahe the......aarti ko aaj bhi sahil ki masoomiyat par pyar aa raha tha............kismat se ladane chala tha uska sahil.





Aarti ko wapas cottage me laya ja chuka tha.........wo normal to nahi thi lekin fir bhi wo apna jyadatar samay hospital ki Kothari se bahar apno ke bich bitana chahati thi..............shayad use ahsaas tha ki uske pas kuchh pal hi bachen hain aur har ek pal me wo ek zindagi jeena chahati thi............




sahil ka dil tadap raha tha lekin kuchh kar nahi paa raha tha ....usne abhi tak ek sakhti ka mukhouta pahan rakha tha jo sirf ek hi aawaz bol raha tha.........




“ chahe kuchh bhi ho jaye ,mai use jane nahi dunga”





Uska dil dimag par bahut jyada hawi ho gya tha....aur wo kuchh sochane samjhane ki halat me nahi tha........sab log sahil ki is halat se wakif the lekin koi kuchh bol nahi raha tha..........sahil ki deewanagai pagalpan ka roop le rahi thi...........





Aur ek thi juhi ! mason juhi ! kya nahi kiya usne sahil ke liye........apna sabkuchh ,sabkuchh uske nam kar diya..........aur aaj bhi uski muhabbat me uske sath yha tak aa gayi thi........lekin aaj sahil ki halat dekhkar use dukh ho raha tha.............koi nahi ye soch raha tha ki juhi kaun hai , kya hai...........kitna kuchh kurban kiya hai usne sahil ke liye............aur wo masoom bhi khud ko gunahgaar man baithi thi.............use ab ye bhi lagne laga tha ki wo sahil aur aarti ke bich aa gyi............ye bhool gayi thi wo pari ki agar wo na hoti to aaj sahil bhi na hota.............






Juhi chup chup si ,khoyi khoyi si idhar udhar rahti.......na sahil ke samne jyada jati na aarti ke samne..............sabse badi saja de rahi thi wo khud ko....jabki uske hisse me koi jurm to tha hi nahi.........usne to bas muhabbat ki thi ............sahil se............aur aaj sahil bhi shayad use bhool gaya tha..........lekin koi aisa tha jise juhi nahi bhool thi, jise ahsaas tha ki juhi kaun hai, jise ahsaas th ki aaj sahil hai , kyuki uske sath kal juhi thi........aur wo thi aarti.aarti ko juhi ka yu gumsum aur us se door door rahna bahut khal raha tha..........





6 din beet gaye , sahil ne apna poora dam laga diya is bich aarti ka ilaaz karwane me..........3 foreign doctor aaye .......lekin sab ki report yahi thi ki is type wale blood cancer aaj ki advanced medical science me bhi la-ilaaz hai.................kuchh nahi kiya ja sakta tha...........kisi ne ye ummeed bhi nahi dilayi ki kahi foreign le jaye to kuchh ho sakta hai..........lekin ye baten aarti se chhupayi ja rahi thi.........





( friends blood cancer 3 type ka hota hai, first 2 ka kuchh had tak ilaaj sambhav hai lekin leukaemia ka nahi )






sahil ka dil buri tarah se toot chuka tha lekin abhi bhi usne ek jhoothi aas ka daman tham rakha tha .......is sach ko wo kabhi accept kar hi nahi sakata tha ...........kyuki ye sach ek bahut bhayanak sach tha ......itna bhayanak ki sahil sochta bhi nahi tha uske bare me..........chehre ki sakhti dil ke jakhmo par parda dale huye thi.........lekin ye sakhti jaan lewa hoti ja rahi thi...............aur iska ahsaas sabko ho raha tha......sirf sahil ko nahi..........is sakhti ka tootna bahut jaroori ho gya tha.





Gaon se renu rahul , sahil ke mummy papa ......sab log aa chuke the..


Shayad jeeja ne bulaya tha.......unke hatho se ab umeed ka daman chhut raha tha .




Aaj subah se hi aarti bahut khus thi..............usne aaj juhi ko bulawaya tha mummy se kahkar.................




Juhi chuchap ek mujarim ki tarah uske pass jakar khadi ho gayi...........usne nazre jhuka rakhi thi......mano kah rahi ho bahut sharminda hu mai.....room me aur koi nahi tha.aarti ne us se akele milna chaha tha.




“juhi pass aao na............”aarti bade pyar se boli.



Juhi jakar uske pas baith gayi............aarti leti huyi thi.



“juhi ,kitna pyar karti ho sahil se” aarti ne puchha.



“pta nahi, par aapke jitna to nahi..........mujhe maaf kar dijiye .......please” juhi khud ko doshi maan rahi thi aur aarti ki halat use aur rula rahi thi.




“juhi , tumhari jaisi muhabbat to koi kar hi nahi sakta .........mujhe pata hai mere pas waqt jyada nahi hai.........suno......” juhi ne aarti ke muh par hath rakh diya.



“nhi,plss aisa mat kahe....aapko kuchh nahi hoga..........”




“kah lene do juhi .........bahut jaroori hai ye kahna............sahil meri aatma se jude hain ..........wo chah kar bhi khud ko mujhse alag nahi kar paye.............aur na mai unhe khud se door kar payi...........hamari muhabbat hmare har faisle par bhari padi........hum kuchh nahi kar paye...majboor ho gaye.”





“lekin juhi tumhari muhabbat............mai apne sahil ki kasam khati hu, bahut mahaan lagti ho tum mujhe................agr zindagi ne sath diya hota to hum dono ek sath bahan bankar rahte ...........sahil par tumhara mujhse jyada hak hai juhi.....bahut jyada..........janti ho jab mai sahil ko dusri bar mili to mai unke samne khus rahti lekin akele me roti thi.......har pal yahi sochti kya hoga sahil ka mere bad...........lekin fir rab jee ne tumhe bhej diya........jis din mai tumse mili aur tumhari tadap dekhi usi din dil ko sukoon aa gya.....haan juhi, mujhe tum mil gayi ,jo mere sahil ko tutne se bacha legi.........ab mai sukoon se mar sakti hu.................”





Aarti bol rahi thi aur uska dil baith raha tha........juhi chupchap sun rahi thi aur aansu uske gallon ko bhiga rahe the....................






“juhi tumne mere sahil ko nayi zindagi di..........ye mat sochana ki sahil ki muhabbat koi khairat hai.............sahil ki muhabbat tumhara haq hai............tum se jyada muhabbat use koi kar hi nahi sakata............juhi mere bad mere sahil ko sambhal lena...........please........use kabhi rone mat dena..........bahut bhola hai wo juhi........tum to janti ho na............bas use ahsaas dila dena ki juhi uski aarti hi hai...............juhi tum ho ,ab mai sukoon se mar sakungi......thank u juhi.........agle janam me bahan banungi tumhari.........” aarti itna kahte kahte rone lagi aur juhi ko gale se laga liya...........juhi bhi bilakh bilakh kar ro rahi thi..................





Aarti aur juhi ek dusre se lage roti rahi ...aaj dono ke dilo me ek dusre ke liye maan tha, ijjat thi aur ek dusre ki muhabbat ki shiddat ke liye nadamat thi.




Sab log aarti ke room me the ...wo sab se baten kar rhi thi .........sab ki aankhe nam thi............bas ek sahil tha jo ek dam shant tha......mano kuchh hua hi na ho..........

Post Reply