love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:25

UPDATE 104-

Juhi ki bat se bahut se logo ki aankho me aansu the lekin abhi bhi kuchh aise the jinki aankho me aansu nhi ek nafarat thi ..............juhi ke liye.................itane sab ke bich uska aa kar sahil ko yu le jana aur fir sabko is tarah se dhikkarana –kuchh logo ko pasand nhi aaya..................



“wo sab jo hua wo hamare ghar ka mamala hai .......tum kaun hoti ho isme dakhal dene wali.” Bade chacha ke andar ka insaan shayad bahut pahle hi mar chuka tha.

Juhi ke kan me unki aavaz padi aur uske aansu ruk gaye............



“tum kaun hoti ho “ is bat ka kya jawab de.........wahi juhi jiski dahaad ne thodi der pahle sabki dilo ki mari huyi aatma ko jaga diya tha ,ab kuchh nhi bol rhi thi ............use samajh me nhi aa rha tha ki kya jawab de..........




“haa ...haan..........bikul sahi bat hai ...aur tum to hamari jat biradari ki bhi nhi ho .....tumhe kisne diya itana haq ki hamare ghar ke maamlo me bolo...” chhote chacha ki himmat bhi fir se badhane lagi thi, jaat-paat ,unch-neech –, yahi kiya tha in logo ne poori zindagi.



Juhi kya jawab deti????? Uski aankhe khali khali si kisi ko dhoondh rahi thi ..........kaise batati ki wo kya hai sahil ki....sahil uska kya hai....in zahilo ke bich kaun samjhata un pak rishto ko ..............




“abhi to bahut lecture de rahi thi.............ab kya saanp soongh gya ..........are wo sab bhai behan hai jo chahe ho unme aapas me .....tum kaun hoti ho ..........” dono chacha bari bari se juhi ko ghure jaa rhe the aur ek ke bad ek ilzaam lgayae ja rhe the .



“are mai to kahata hu isi ne koi patti padha di hai sahil ko ............nhi to itana bhala bachcha kya aise bat karta .........sab isi ka kiya dhara hai.........” badi chchachi bhi bina kuchh kahe kaise rah leti.




Juhi sabkuchh chuchap sah rahi thi.........kya kahti wo .......bas dil k ek kone me ek tees si uth rahi thi “sahil,aaj meri muhabbat bemol ho jayegi............meri muhabbat ko bacha lo......plsssss “ juhi ki aankh se ek aansu nikal kar jameen par gira.............aur jab kisi pari ki aankh se aansu nikal jaye to qayamat to honi hi thi.




Bade chacha aage badhe...........juhi ki najuk baah pakad li..............aur jhatke se use khada kar diya..........



“bhai sahib chhodiye use......... nhi to mujhse bura koi nhi hoga.” Sahil ke papa jo ab tak sab sah rahe the ab bardasht nahi kar paye........unke jabde bheech gaye.



“tu chup rah..........bahar ki ek musalman ladki aakar poora ghar fod rahi hai.....teri akal par to patthar pada hai............ab mai dekhta hu kya karti hai ye..........sab isi ka kiya dhara hai jo aaj do bhaiyo me darar pad gayi.........” bade chacha ne badi berahmi se juhi ki baah pakad rakhi thi ..........aur juhi ki aankho se ek aansuo ki dhar nikal kar uske laal ho chuke galo ko bhigoye ja rhi thi..........sahil ke papa aage badhe to unhe bade chacha ke bête ne pakad liya.




Bat ab family ki na rah kar us gande samaj ki kayade kanoon ki ho gayi thi jahaa aaj bhi dusre religion walo ko achhut samjha jata tha................aur ab is baat ko us gande samaaj ke thekedar apni banaye kale kanoon ke hisab se suljhana chchate the.




“bol kya rishta hai tera sahil se .......kya lagti hai tu sahil ki ............” bade chacha ne juhi ki kalai buri tarah se marod di .




“zindagi hai ye meri............” sahil ka tej ghoonsa bade chacha ki nak tod gaya tha..........kab wo hawa ke jhonke ki tarah aaya aur kab uska hath utha kisi ko khabar na huyi........... Uske nathoone fool rahe the...................aankho me aangare dahak rahe the..........mathe ki nase khinch gayi thi....jo sahil thodi der pahle ek toote huye insaan ki tarah bilakh raha tha ,ab ek chattan ki tarah apni pari ki hifazat me aa gya tha..........




“maaf kar dena juhi ........” usne juhi ka matha choom liya.



“oh to ye rishta hai........” bade chacha apni nak tudawa kar bhi kaha man ne wale the...ek khataranak muskan hotho par liye bole.



Sahil ne juhi ko Renu ke hawale kiya aur ek bar fir se unka girebaan pakad liya................



Ek Jordar ghusa unke pet me pada aur unki haddiya tak charmara gayi.............sab sahme se sahil ka ye naya roop dekh rahe the..................wo sahil jisne apne kisi bade se aaj tak juban tak nahi ladayi thi, aaj apne baap ki umar ke shakhs ko buri tarah se peet raha tha............ Sab log chuchap khade dekh rahe the ......sahil ko rok pana ab kisi ke bas me nhi tha.....bade chacha ka bête aur chhote chacha unko chudane ki kosis me apni haddiya tudawa chuke the ............



“sahil ruk jao............” is bar sahil ko utha hua hath ruk gaya,uske papa samne aa gaye the.......



“hat jaiye papa , mujhe jo bhi kaha gaya maine sab bardasht kar liya........lekin meri juhi ko hath laga diya is kutte ne............meri zindagi hai juhi......jaan hai meri...........usko hath laga diya is kamine ne ........”sahil ne papa ko bich se hatana chaha.........lekin wo nahi hate........



sahil ke shabd juhi ke dil me utar gaye.....bhare samaj me usne juhi ke sar par ijjat aur maan ki chadar daal di thi.




“hat jaiye aaj mere samne se papa.....kahi aaj mai ye bhool na jau ki aapka mera koi rishta hai.............meri juhi ko hath lagaya hai is kutte ne .............iske hath todkar juhi ke kadmo me rakh dunga...............”sahil sachcmuch apne aap me nahi tha............uski aankho ki aag mano sabko jalakar bhashm kar dena chahati thi .........kisi ki himmat nahi ho rahi thi sahil ko rokne ki.



Sahil ne khichakar papa ko ek taraf kar diya ............aur ek bar fir se uspar toot pada...........



Niche gire bade chacha par ghuso ki barsat kar rha tha.



“sahil “ kisi ne jhakjhor kar sahil ko upar ki or khicha........sahil ne ek pal ko nazre uthayi .........mummy ka zordar thappad uske galo ko jhanjhana gaya.............


Zindagi me pahli bar uski maa ne sahil ke galo par thappad mara tha..........



Sahil ki aankho me aansu aa gaye...........


Wo bade chacha ko chhodkar utha gya......



“maaro na mummy....maaro mujhe...........aur maro.............jaan se maar do............” sahil ek tak apni maa ki aankho me dekh raha tha.........mummy ki aankhe bhi bhar aayi.




“ye sab kya ho raha hai sahil.............” mummy ne dabadabyi aankho se puchha ..........aaj zindagi me pahli bar apne ladle par hath uthaya tha.




“aapke bête ka ek aur tamasha ho raha hai mummy........... aapke badnaseeb bête ki zindagi me ek aur aazamayish ho rahi hai.............ek bat puchhunga aapse...............mai sach me aapka beta hu na ? “ kya kah diya tha sahil ne aaj .


“Sahil aisa mat kah mere laal...........” mummy ka dil tadap utha....




“mummy ,sab puchhte hai mai bade bhai se bat kyu nhi karta,.....aapne bhi puchha us din ...........papa ne bhi puchha ..........us bade bhai se kabhi kyu nahi puchha mummy...............” sahil ki sawal me bahut dard tha.




“ye kamina kahta hai ki juhi kaun hai meri...........kya jawab du mai ...............kya naam du use jisne mujhe ek nayi zindagi di...........kya nam du use jiski baho ke sahare ne mujhe maut ke muh se wapas khich liya ............kya nam du us pari ko jisne mere toot te huye sapno me naye rang bhar diye..............mummy aaj aapke pas aapk sahil hai,kyuki uske pas juhi nam ki ye pari thi.........nahi to kab ka ja chuka hota is duniya se aapka sahil ”




“sahil” mummy cheekh uthi........... Sahil ko koi fark nahi pada.



“Juhi meri zindagi hai ............uski ibaadat karta hu mai ...........aur juhi ke liye mai kisi bhi had tak jaa sakta hu..........apni jaan de bhi sakta hu aur kisi ki jaan le bhi sakta hu.............sari duniya chhod dunga uske liye...........agar koi rishta mere aur meri juhi ke bich aaya , to us rishte ki kurbani dene me mujhe ek pal nahi lagega............aur agr kisi ke hath meri juhi ki or uthe ,to un hatho ko katkar uske kadmo me dal dunga.......chahe wo hath kisi ke bhi ho................apni mummy ke doodh ki kasam hai mujhe” Sahil ne aakhiri bat sab logo ko ghurte huye kahi ................uski aankhe kahar barsaa rahi thi aur ek behad khunkar chetawani thi un laal laal aankho me .




Sahil ke is roop se sab log sann the ...........ek ek karke sab bahar chale gaye.........bade chacha ki aankhe me koi pachhtawa to nhi tha ............ha ek sharmindagi thi .............us sahil ke hatho beijjat hone ki jo sabki ijjat karta tha .................



Ghar ke andar ab bas sahil aur uski family rah gay the..................



Sahil ne juhi ko apne gale se lagaya .............juhi abhi bhi ro rahi thi .............lekin ab sahil ke andar koi jhijhak ,koi sharam nahi thi...............juhi ko khud se lagaye wo chuchap kamre me chala gya.............idhar bahar renu ne mummy ko sari bat suru se lekar ant tak sab kuchh bata diya.



Mummy ki aankho me aansu aa gye.................dheerja bhi kafi gum sum sa tha...use bhi shayad ahsaas ho rha tha lekin bahut jyada der ho chuki thi.



Lekin sabse jyada udasi jis chehre par thi wo thi badi didi...................



Juhi ka har wo shabd “ kaha thi badi bahan us waqt” didi ki dil ko chhalani kar gaya tha......wo to itani majboor thi ki ek sabd apni safai me na bol payi.....didi uthakar apne kamre me chali gayi aur darwaza band kar ke foot foot kar rone lagi...............kathghare me khade kisi gunge mujrim jaisi halat ho gayi thi unki.............bas ro hi paa rahi thi wo. “ye kaisa imtehaan hai mere rab...jisme har taraf meri haar hi haar hai “...... bas itna hi kah payi wo apne rab se , baki sari shikayat aansuo ke roop me tootkar bah nikali.



Papa bahar nikale .......unka man bhi bahot udas ho gya tha......aisa kya hua tha sahil ke sath dilli me ??? ye sawal unka man kachot raha tha.....aaj unhe samajh me aa rha tha ki sahil dhheraj se bat kyu nahi karta tha aur wo yha aane ke liye taiyar kyu nahi ho raha tha..........juhi aur sahil dono ki baten unke dil me ghoom rahi thi............lekin ghar se bahar nikalte hi unhe bahut aascharya hua..............keval bade chacha aur unke bête ko chhodkar sab log bahar hi baithe the............dono bua daudi huyi aayi aur unke pairo se lipat gayi...............




“ hame maaf kar dijiye bhaiya........hamne jane kya kya kah diya...............” sahil ke papa ne khud ko chhudaya aur age badh gaye...........aaj unke inhi apno ki vajah se unka beta unke khilaf bol gya tha.......unhe nafarat ho rahi thi apne in apno se.



Idhar sahil juhi ko kamre me lejkar bade pyar se bed par take lgakar bitha deta hai........aur khud uske samne baithkar uske dono hath apne hatho me le leta hai.............



“plss ab mat rowo sona” sahil ne badi muhabbat se juhi ke aansuo ke saf karte huye kaha jo abhi bhi hichkiyo le lekar sisak rahi thi.



“I m sorry juhi......sab meri vajah se hua............sorry ....maf kar do na yar......”



Juhi ne sahil ke hath apne hatho me jor se daba liya....................



“nahi sahil aap ki vajah se kuchh nhi hua.............aapne kya kiya.............” juhi bas itna hi boli................uske dil me ek sukoon tha..........bhare samaaj me sabke khilaf jakar sahil ne apni zindagi kaha tha use...........usko apnaya tha sahil ne.




“juhi ham yha nahi rukenge............chale jayeenge hum yha se...........” sahil ne juhi ke mathe ko choom liya aur use apni baho me bhar liya.




“thank u sahil....aapne mera maan rakh liya....nahi to aaj mai toot jati...thank u so much sahil ...” juhi kisi bachche ke tarah sahil ke gale se lag gayi.




“kaisi bat karti ho jaan........tumhare liye to mai sari duniya se takaraa jaunga..........sara jahaan chhod dunga tumhare liye........juhi tumhe mujhse koi juda nahi kar sakta .............koi bhi nahi” sahil ne kaskar juhi ko khud me samet liya.




Sham ke 4 baj gaye the aur sahil ki mummy sab logo ko ghar me wapas le aayi thi ....badi bua,chhoti bua,chachi..............sab the lekin ab tewar pahle wale nahi the ............sab badle badle se the aur chehre par ek sharmindagi thi ...............bas bade chacha nahi aaye the.




Sab kcuhh normal sa ho gya tha...........shadi ki sari rashme ho rahi thi lekin juhi aur sahil nahi aaye the bahar.........kaun kya sochata hai ab unhe is bat se koi fark bhi nahi padna tha.........




Sahil aur juhi ekdusre ke baho me jane kab so gaye the aur unki neend khuli jab darwaze par kisi ne khat khat ki aawaz ki.



Juhi ki jaise hi aankh khuli use apni sthiti ka andaza hua......rat ke 8 baj chuke the....shadi wala ghar aur itani der se wo dono akele ek room me ...........ufffff !! log kya soch rahe honge........aakhir thi to wo ek ladki hi na.




Usne jaldi se sahil ko uthaya aur darwaza khola...........mummy thi saamne .......unke chehre par ek muskaan thi .......jaise kuchh hua hi na ho.......mano unhone kuchh faisla kar liya ho.




“disturb to nhi kiya na beta..............” unhone ne muskuar kar bade pyar se puchha .


“nahi aunty...aaiye na.........” juhi ko behad Sharma aa rahi thi ............


Mummy andar aayi aur sahil ke pas baith gayi...............


“I m sorry beta........” unhone sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha...


“aisa mat kahe mummy ...........plss......lekin mai yha ruk nahi sakta “ sahil ne dheere se kaha.



“nahi beta ............dekh renu ne mujhe sab bataya...........jo hua use bhool ja.....mai ye to nahi kahungi ki dheeraj ko maf kar de.....lekin bhai to hai na wo tera...bas isi khatir kal ruk ja fir chale jana............” mummy ki baton me ek iltiza thi....lekin sahil ki aankho me juhi ke sath hua hadasaa ghoom raha tha..............




“please mummy ..........i m sorry “ sahil ne kaha aur uthkar bahar aa gya ....pichhe pichhe mummy bhi aa gayi.........



“rook ja sahil ........tujhe aarti ki kasam “ mummy ke muh se achanak nikal gaya.




Uffffffff!!!!!!!!!kya kah diya tha mummy ne...............jab sahil chhota tha to aksar us se koi bat manwane ke liye renu aur dheeraj use aarti ki kasam de dete the .......aur sahil kabhi bhi aarti ki kasam nahi todata tha .................ye sab ko pata tha.......kabhi kabhi didi bhi bol deti ..............lekin aaj itane salo ke bad use mummy ne aarti ki kasam de di thi............. Sahil ka dil ro raha tha........usne mummy ki or se muh fer liya aur apni aankhe ragad dali...........aansu rook nahi rahe the.....us se bardasht nahi hua aur wo teji se aage badh gaya.......bas itana bolta gaya............




“thik hai ,aap juhi se puchh lijiye”




Mummy ne anjaane me aaj us jakhm ko hawa de di thi jo kabhi nahi bharne wala tha.........sahil lakh aarti ko bewfa kahta,lakh wo use bhoolne ki kosis karta ,lekin wo to uski nas-nas me basi thi, masoom bachpan ki wo msoom yaden uske rom rom me rachi thi........kaisi nikalti bhala wo bahar...........iska ahsaas khud sahil ko bhi nahi tha.



Mummy juhi ke pas pahuchi ............


“juhi” bade pyar se uske sar par hath pherte huye unhone kaha.


“jee” juhi ne sar jhukaye bas dheere se itna hi kaha.



“beta mujhe nahi pata sahil ke sath kya hua............dheeraj ne aur uski didi ne uska sath kyu nahi diya........aur abhi shayad sahi waqt bhi nahi hai ye puchhne ka............lekin tumne jo mere sahil ke liye kiya hai wo mujhe sahil ki aankho me nazar aata hai...............agar sahil ko kuchh ho jata to mai bhi jee na pati..” mummy bade pyar se juhi se bat kar rhi thi.



Juhi bas chuchap sun rahi thi...........



“lekin beta dheeraj ka to mai maan bhi lu, par uski didi.........dil nahi manta .........wo sahil ko mujhse jyada pyar karti thi ........sahil uska dulara tha.........aur .aarti me to sahil ki jaan basti thi..........aur aarti bhi use itna manti thi.................mujhe nahi pata ki kya hua ..........aur abhi mai janna bhi nahi chahati..............ek bar ye shadi ho jaye fir sab kuchh puchhungi............lekin tab tak ke liye tumse ek vinti hai........”sahil ki mummy ne juhi ke age hath jod diye.




“aisa na kahe aunty ...maine aapko maa ki tarah samjha hai....bole kya hukm hai.........” juhi ne unke hath tham liye.



“beta jo kuchh tumhare sath hua uske liye maaf kar do....aisa ab kuchh nahi hoga......., bas is shadi tak yha ruk jao.....sahil ko bhi mana lo.......agar sahil chala gaya to uske papa bilkul toot jayenge..........plsss...ek maa ki prarthana hai tumse............”mummy ki aankhe bhar aayi.




“hum nahi jayenge aunty ...aap koi tension mat lijiye............us bat ka jikar bhi nahi hoga ab shadi tak yha ....sab kuchh achche se hoga....mujh par bharosa rakhiye...” juhi bade atmaad se bol rahi thi.




“jug jug jiyo meri bachchi.......khus raho....”



“ juhi ek bat puchhu........” mummy ne uske mathe ko choom liya aur fir halki si muskan ke sath puchha.



“jee ,puchhiye na” juhi ke to khwabo me bhi nahi tha ki mummy kya puchhengi.



“mai tere abbu se bat karu kya..........” mummy ne kaha.



“ jee kaun si bat” juhi samjh nahi payi .........itti bholi thi ya fir shayad use is samay ummeed nahi thi........



“teri aur sahil ki bat ........bol na ...............banegi mere sahil ki dulhan................hummm..” mummy ne pyar se uske chin ko pakad kar uske gulabi ho chuke mukhade ko upar uthaya.




Juhi to sharam ke mare laal ho gayi....kuchh nahi boli...bas muskurati rahi sar jhuka kar ......




“bol na beta...mujhe duniya samaj , kisi ki parwah nahi hai....tu to mujhe pahli nazar me hi bha gayi thi...tabhi maine socha tha ki apne sahil ki dulhan tujhe hi banaungi...........pasand hai na sahil tujhe....pyar karti hai na use se?” mummy juhi ki khamsohi se hi samjh chuki thi uske man ka haal ....aur is bar juhi ne dheere se ha me sar hilaya aur unke gale lag gayi.




“meri bachchi......bas ye shadi ho jane de.........fir teri doli bhi yahi aayegi.......” mummy ne uski peshani choom li aur use gale se laga liya.




Renu jo sabkuchh sun chuki thi andar aa gayi.................



“mummy aapne to meri dusri bhabhi bhi pasand kar li............ummm...........maine to pahle hi kaha tha..........” aur ab renu juhi ke sar par sawar thi..........dono ke bich nanad-bhabhi wali nok jhok suru ho gayi thi aur mummy haste huye bahar nikal gayi.




Renu ,mummy aur papa , sabke man me ye sawal tha ki sahil ke sath kya hua tha aur kyu hua tha ....lekin kal shadi thi aur aaj wo is bat ko uthana nahi chahte the ....isliye sabne jitna ho sakta tha sab kuchh normal karne ki kosis ki thi ...aur sabkuchh normal ho bhi gaya tha.......bas do log udas the ..........ek sahil,aur dusri didi.....lekin dono hi apni udasi ekudsre se chhupa rahe the.




Sahil ko mummy ki bat bar bar yad aa rhi thi........kaise bachapan me sab log aarti ki kasme dekar use majboor kar dete the aur wo khusi khusi majboor ho jata ......kabhi uske man me ye nahi aata ki aarti ki kasam dekar sab uska fayada uthate ....usne aarti ke liye haar janaa sikha tha.......aarti ke nam ke liye bhi haar jata tha.......jab bhi kabhi wo mana karta to sab yahi kahte-- “kya tu aarti ko bas itna hi manta hai,uske liye itna sa kam nahi kar sakta “ aur sahil kaise man leta ki wo aarti ko “itna sa “ hi “ manta “ hai......wo har bat maan leta .................sirf is bat ke liye ki mai aarti ko kitna mantaa hu wo sabkuchh haar jane ko taiyar ho jata...........lekin aaj to wo us apni jaan se pyari AARTI ko hi haar chukka tha ....fir kyu log uske naam ki duhaayi dete the......... Sahil kis se karta ye sawal ?????.............aur jiske pas iska jawab hota wo to khud uske paas nahi thi.





Sahil bahar kuchh kuchh kam hota dekh raha tha aur kam karne walo ko instruction de raha tha ...........ghar ke samne bade se lawn me sabke khane peene ki vyawastha thi...........gaon me shadi k ek din pahle sare gaon walo ko khana khilaya jata hai ...wahi ho raha tha.




Sahil ke aankhe bar bar nam ho rahi thi ...use aaj shiddat se AARTTI yad aa rhi thi .......... wo lakh kosis kar rha tha ki use yad na kare lekin yadon par kiska jor tha.




Khud ko kamo me uljhaye huye wo apni aankhe bar bar ragad deta ....

”ek bar aa jao ,ek bar dekh lu tumhe” aaj fir se sahil ke hotho se ye sabd nikal gaye...... Us se control nahi hua aur wo chuchap ek kamre me ghus gaya aur aankhe band karke bistar par let gaya............




Sahil aankhe band karta to wahi bachapan ki nanhi si hasti khilkhilati, uske kandhe par chadhi aarti nazar aa jati.......aaj use aarti ki itani yad aa rhi thi ki aarti ki wafaa-bewafai ...sabkuchh bahut door thi.......aaj yad thi to bas aarti...sirf aur sirf aarti..................aaj sahil ka dil is kadar uske dimag par hawi ho gya tha ki use ye bhi yad nahi tha ki juhi bhi koi hai............kitna galat tha kitna sahi,ye kahana to bahut muskil hai lekin is samay sirf dil tha ,dimag kahi nahi tha aas pas.




“ek bar apni aawaz hi suna do “ uske dil se aawaz nikali thi.........sahil aaj fir se haar raha tha.......uske man ka dwand aaj ek bhayanak shakl le raha tha....use nahi pata tha ki ye kyu hai....kyu ek “ BEWAFA “ ke liye wo tadap raha hai.........lekin wo tadap rahaa tha ...bahut buri tarah se.




Wo aise hi bistar par pada tha ...shadi ka ghar hone ke vajah se sab saman idhar udhar bikhara tha ...kuchh hi minute beete the ki usi bistar me lipta kisi ka phone ghanghana utha....do bar ring aa aakar cut gayi ...........sahil ignore kar rha tha .......lekin is bar sahil ne phone dhunda ................bed sheet me lipta hua wo phone didi ka tha.............aur screen par nazar padi to sahil ki aankho me bhare aansu palko ke darwaze tod kar bahar nikalne lage...........screen par jagmaga raha tha ---------- AARTI CALLING.




Sahil ke dil ki aawaz aaj fir aarti ke dil ne sun li thi..................Sahil ne kaapte hatho se phone uthaya aur call reciceve kar li................



“hello” .............uffffffffff ...kitni dino bad aaj aarti ki aawaz uske kano me padi thi............lekin us aawaz me ab wo pahle wali khanak nahi thi............sahil phone kano se lagaye the aur aansu aankho se bah rahe the ..........kuchh bol nahi paa raha tha wo...........bas us aawaz ki thandak apne dil me mahsoos kar rha tha.



“hello...hello.............kaun?????.........s..sa...sahil” aarti ne sahil ki khamoshi bhi sun li thi..... sahil ke dil ka rom rom tadap utha ...uska bas nahi chal raha tha ki aarti ke seene se lag jaye...........bas aansu bah rahe the aur wo chuchap aarti ki saanse mahsoos kar raha tha.



“sahil aap thik ho na.............kuchh bolo sahil.........kaise ho aap ” aarti ka ek ek sabd khanjar ki tarah sahil ke kaleje ko cheer raha tha.



Usse aur bardasht nahi hua....usne phone band kar diya aur jor jor se rone laga..........wo aaj 5 sal pahle wale sahil ke jaise ro raha tha ..........tab jab aarti ne use thukaraya tha............sahil jo ek chattan ki tarah apne farz aur desh ke liye taiyar rahta tha,jiske hausle par pure department ko naaz tha,ek ladki ke liye aise tadap raha tha jaise pani ke bin machhli............jab bhi aarti ki bat aa jati wo chattan tut jati ,wo patthar pighal jata ....aaj bhi wahi ho raha tha.




Wo buri tarah se bilakha raha tha ....achanak apne kandhe par use kisi ke hath ka ahsaas hua........usne aansuo se bhari aankhe uthakar dekha.............didi khadi thi aur unki aankho me bhi aansu the...............sahil ko kuchh samajh me nahi aaya ........usne didi ki kamar ko jor se pakad liya aur unse lipatakar buri tarah se rone laga.




“use wapas laa do didi.......plss......use wapas la do..........plssssssssss didi...plsss...” sahil ko khud pata nahi tha ki wo kya kah raha hai...wo aaj hosh me hi kaha tha..................muhabbat aaj use rula rahi thi aur wo muhabbat ke hatho majboor ro raha tha.



Juhi ki muhabbat sahil ki khuskismati thi, lekin aarti ki muhabbat uski majboori thi.........ek aisi majboori jise na sahil kisi ko samjhaa sakta tha aur jise na koi samajh sakta tha.


Ufffff!!!!! kash ye muhabbat na hoti,to shayad samandar itna khara na hota.

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:25

UPDATE 105-

Sahil didi ko pakad kar roye ja rha tha.............didi uske balo me hath pher rhi thi lekin use chup nhi kara rahi thi..........bahut der tak rota raha sahil us bich kayi bar aarti ka phone aaya lekin didi ne nhi uthaya....aakhir kisi tarah se sahil ne apne aap ko sambhala aur bahar jane laga.........didi ko kuchh nhi kaha............lekin didi ko shyad uske kuchh kahne se pahle hi sab samjh me aa chukka tha. Sahil door ke pas pahucha hi tha ki didi ki aawaz uske kano me padi.......



“aarti se bat kar lo sahil.......”didi ne phone uski or badhate huye kaha.........sahil chand kadam andar aaya,didi ki aankho me dekha aur fir wapas mud gaya...............saHil ke upar ek nashaa sawaar tha .......wo kya kar rha tha ,kyu kar rha tha wo khud nhi janta tha.........lekin usne aarti se bat nhi ki aur bahar chala gya........



Sahil ki aankhe laal ho gyi thi ek dam ............wo apne kamre me chala gya jis me wo kuchh der pahle tha.......juhi ke sath.........juhi use dikh nhi rahi thi aur waise bhi abhi us par aarti ki khumari chhayi thi .............



Sahil chuchap bistar par let gya.....kuchh hi pal beete the ki juhi sahil ke kamre me aa gayi............sahil ko leta dekh wo paresan ho gyi...........



“sahil aap thik ho na..........” usne sahil ke mathe ko chhute huye kaha.


Juhi ke hatho ki chhuwan se sahil ki aankhe khul gayi.......



Juhi ne sahil ki aankho me dekha .........sahil ki laal aankhe dekh kar juhi tadap uthi......usne turant pas rakhi oil ki bottle li aur sahil ka sar dabane lagi..............




Juhi ke chehre par dard ki rekhaye saf dikh rhi thi...........sahil ki halat dekh kar wo samjh gyi thi ki fir se kuchh hua hai.............juhi jo mummy se bat ke bad se kafi khus thi is waqt sahil ki halat dekh kar udas thi ....sahil ek tak use dekhe ja rha tha..............



Ab tak sahil ko wo yad aa rha tha jo uske aur aarti ke bich tha.............wo bachpan,wo muhabbat .........lekin ab juhi ke wo hath aur juhi ka wo udas chehra use kuchh aur hi yad dila raha tha.............



Sahil ko juhi ka har karam yad aane lgaa..........




“kya nhi kiya is masoom si jaan ne mere liye.............mai iski baho me tadap kar roya .....isne mujhse muhabbat thi, fir bhi mera sath us waqt diya jab mai apni muhabbat ke liye rota tha...........kitna bada dil hai iska jo apni muhabbat ko kisis aur ke liye rota dekhkar bhi use apne seene se laga leti thi..........aur aaj yha......mere liye sare jamane se lad gayi................kitna neech insaan hu mai ..........iski muhabbat ko bhi dhokha de rha hu.............aarti meri muhabbat thi ......aur mai sirf apne swarth ke bare me soch rha hu..........iske bare me nhi soch rha.......kyu aayi hai ye yha........kiske liye................” sahil ka man bahut bhari ho gya.............khud se nafarat hone lagi use........usne juhi ka hath apne hatho me le liya...............




Juhi ruk gayi .......sahil ki aankho me bade pyar se dekhte huye boli.........



“kya hua sahil .......koi problem hai”



Sahil uski or dekhta raha...............aur fir uth baitha............





“juhi mere sath kya hua hai sab janti ho tum................juhi mai kayi bar kuchh kamjor lamho ka shikar ho jata hu...........us samay mujhe yad nhi rahta ki kya sahi hai aur kya galat...........lekin juhi mera bharosa karna......sahil sirf tumhara hai..........mai zindagi bhar tumhara hi rahunga.” Sahil jaane juhi ko bata rha tha ya khud ko.




“sahil hmne aapko apna sabkuchh man liya hai........aur hum us muhabbat me yakeen rakhte hai jisme rishte ek aazadi ka ahssas dete hai us muhabbat me nhi jisme ghutan ka ahsaas ho.....hme apni muhabbat ki shiddat par yakeen hai sahil..........jo hamara hai wo hamare pas aayega........isliye hum uske pichhe nhi bhagte ...................bas apni muhbbat nibhate jate hai............agar wo hamara hua to hamre pas laut aayega...........” juhi bol kar chup ho gyi aur sahil ko lag rha tha jaise har sabd usko sharminda karta ja rha tha.........





“kitna kamjor nikla re tu sahil” sahil ki antar-aatma use dhikkar rhi thi.




“nhi mai kamjor nhi hu.......mai juhi se pyar karta hu.....aur poori zindagi usi se karta rahunga...........” sahil ne ek bar fir pran kiya apne man me .




Wo rat aakhir beet gayi..........dusre din Rahul bhi aa gya..........rahul aur renu ka wahi luka-chhipi ka khel chalta raha.......rohan ab kabhi renu ke aas pas bhi nhi dikhta.............dusre din shadi hokar dulhan bhi aa gyi.



Juhi ne ghar ke andar shadi ki har jimmedari sambhal li thi...............mummy jitni bar use dekhti apne bête ki pasand par unhe naaj hota aur juhi ke liye dua nikalti.




Aakhir himmat karke rahul ne sahil se bat kar hi li..............sahil ne rahul ke sab batane par renu ke sath uske rishte ke liye papa se bat ki aur rahul aur renu ka rishta bhi tay ho gya...........mummy papa ne delhi jakar sarfaraz sahib se milkar sahil aur juhi ki bat bhi tay karne ki planning kar li ......................vaise phone par sari bat ho chuki thi ..............sarfaraz saheb ko kya aitraaz hota bhala .......to sahil aur juhi ka rishta bhi tay ho gya bas kuchh ek formality rah gyi thi ....................aur is rishte ke tay hone me sabse bada role khud sahil ka hi tha..............mummy ke puchhne par usne saf saf kah diya ki wo jald se jald juhi se shadi karna chahta hai. ................Wo nhi chahta tha ki wo kisi kamjor chhad me koi aisa kadam uthaye ki juhi ke dil ko thes pahuche.





(*** Dosto hmne rahul ki story ko skip kar diya. ek bar bich me hamne likha tha ki sahil ko bahut gussa aaya rahul aur renu ke affair ka soch kar, lekin agr hum wo kahani likhne lage to fir kam se kam 10 udate lag jayenge usme.......isliye use chho rahe hai***)





Sahil ne khud ko badalane ki kosis aur tej kar di ................is kosis ka ek aham hissa tha har bat me juhi ke liye muhabbat ................aur juhi ke liye jitni shiddat se muhabbat hoti aarti ke liye use se kayi guna jyada nafarat hoti............sahil ke samne koi aarti ka nam le leta to wo wha nhi rukta.............pta nhi ye sachmuch nafarat thi ya fir sahil ki aarti se door bhagne ki ek kosis.





JYOTI, dheeraj ki wife,aur sahil ki nayi naveli bhabhi......hasmukh,khubsoorat aur seedhi sadhi ladki thi...............sahil unse bahut pyar se bat karta lekin jaise hi dheeraj se samanaa hota wo khamosh ho jata.





Aaj bhi sahil, juhi, didi aur renu sab whi jyoti ke aas pas baithe hasi majak kar rhe the....didi baithi to thi lekin ekdam khamosh thi..............jabki baki sab chahak rhe the ................renu to bahut hi khus thi.................aakhir use uski muhabbat jo mil gayi thi.





Dheere dheere karke sab log chale gaye .........juhi ke papa ka phone aa gya aur wo bhi bahar chali gayi..........sirf sahil aur uski bhabhi rah gaye the...............




“sahil aapse kuchh bat karni hai............” jyoti boli.




“jee bhabhi boliye na” sahil ko guman bhi nhi tha ki jyoti kya bat karegi.....





“sahil aap jante hain hamare papa ne mana kyu kiya tha yha shadi ke liye jabki ek bar sab tay ho chukka tha to”



Sahil janta to sab tha,lekin chup raha.......



“jee nhi” sahil apne bhai ka maan rakhne ki kosis kar rha tha .



“sahil aapke bhaiya ne dilli me ek bahut ghinauni harkat kar di thi...............wo....is se aage ham nhi bata sakte..............” jyoti thodi si mayoos lag rhi thi..........



“aur fir hamne hi papa ko phone karke kaha ki hme inse shadi nhi karni...........” jyoti boli.




“to fir aapke papa ne ab kyu phone karke haa kiya yha par shadi ke liye..............” sahil ke man me ye sawal aana normal tha.




“sahil kuchh din pahle hamare yha aarti aayi thi................” jyoti bolti gayi, aur na chahte huye bhi sahil sunta gaya.




“sahil aarti ne hme samjhaya ki tumhare bhaiya ki galti utani badi nhi thi jitni hme laga.............papa to kiya tha inhone ..............lekin us paap ko karwane wali ne bhi inhe faansa tha.........aarti ne hme samjhaya ki jab kisi se muhabbat kar li to ek mauka to dena banta hi hai.............aapke bhaiya ko us din hamne do sal bad phone kiya to ye bhi bahut sharminda the, ro rhe the.............hmne pyar kiya tha sahil .........kya karte pighal gaye.”




Sahil chuchap sunta raha.......aarti ka jikar use achchha nhi lag rha tha .............lekin abhi bhabhi se kuchh kah nhi sakta tha.




“bhabhi aap ye sab mujhe kyu bata rhi hai....” sahil ne bade ukhade huye lahje me kaha.




“sahil aarti ne hme samjhya muhabbat kya hai.........aur uski baton me bahut dard tha,aisa laga hame..............sahil ye to sab log jante hai ki aarti ko aap se jyada pyar koi nhi karta........bachpan me hum sab yhi sunte the ki sahil-aarti ke jaise raho....... mai to ye soch ke hairan hu ki aarti ko koi takleef hai aur sahil ko pta nhi hai........aisa kaise ho sakta hai sahil.. khair, ho sake to kuchh kijiye aarti ke liye.....use jaroor koi takleef hai sahil......plzzzzzzzz..............use aapki jaroorat hai sahil .............help kijiye uski.” jyoti sahil ke door ke rishte me aati thi aur kayi bar wo pahle bhi sahil ke gaon aayi thi chhote par ....sahil aur aarti ka pyar sablo pata tha.




Sahil jitna aarti se door bhag rha tha takdeer utna hi uska imtehaan le rahi thi.........sahil kuchh nhi bola...........chuchap uthkar bahar chala gya.





Uske dil me ek jwalamukhi foot rha tha........kya karta wo aarti ke liye ..........kaise bhabhi ko batata ki aarti ne use nikal fenka apni zindagi se, sahil ke sare haq chhin liye khud par se......thukra diya uski bachpan ki muhabbat ko ........sahil se hath chhuda kisi aur ka daman tham liya usne..........kaise batata ki kitna tadpa hai use bewafa ke liye.




Sahil kuchh nhi bola,bas apne aansu chupke se ponchh liye............lekin aaj shayad uske sabar ka imtehaan tha.......


Dheeraj mil gya baramade me...........aur koi nhi tha wha...........




“sahil .....ek minute meri bat sun le please..................plsss sahil” dheeraj ne hath jod diye chhote bhai ke samne ,sahil ruk gya ............



“aa idhar bas kuchh der baith ja mere pas............”



Sahil na chahte huye bhi baith gya dheeraj ke sath...........





“sahil jo kuchh maine kiya uski saja tujhe mili.......iske liye mujhe kabhi maaf mat karna..........lekin teri aur aarti ki batchit band hai,itna pata hai mujhe.........in sab me aarti ka kya kasoor hai.............wo to teri ladli thi, us se kyu naraz hai tu.............”dheeraj ne itana hi bola aur sahil gusse se khada ho gya....




“kah liya aapne jo kahna tha ........”sahil aage badhne ko hua to dheeraj ne uska hath pakad kar fir baitha diya.





“sahil sun kuchh bataana hai tujhe.......we sab kuchh hone ke lagbhag 1 mahine bad aarti ne mujhe bulaya apne ghar .......jeeja ne mana kiya tha ki mai wha kabhi na jau....lekin aarti ne jabrdasti ki aur mai wha gaya..........”dheeraj bolta gya aur sahil sunta raha..............




“jaise hi mai ghar ke andar pahucha...............





“ tu yha ?????....himmat kaise huyi teri yha aane ki............sale jaan se maar dunga aaj tujhe .....” jeeja use ghar me dekhte hi nafarat se garaz kar bole.



“nikal ja abhi ke abhi............” jeeja ne dheeraj ka baju pakad liya aur bahar nikalne lage.




“rukiye papa, maine bulaya hai unhe..............”aarti ki aawaz par sab chaunk gaye.





Jeeja bhi aarti ko dekh kar thode thande ho gye................





“wah beti wah............baap ke bat ki koi keemat nhi...sahi kiya tune..........” jeeja behad nirash lag rhe the.jabki didi aur rohan wahi sar jhukaye khade sab dekh rahe the.




“aarti....in sab ka khoon ganda hai....sale jis thali me khate hai usi me chhed karte hain...........ye bhi aur iska bhai bhi..........ha aarti, sahil bhi isi gande khoon ka hissa hai............uska khoon bhi ganda hai...bol ise nikal jaye....nhi to aaj mai sab kuchh bhool jaunga.” Jeeja ka gussa dekh dheeraj sakte me aa gya......




“papa,ek bat puchhu.............”aarti ne bade dheeme kintu thahre huye lahje me kaha.



Jeeja kuchh nhi bole...................




“iske andar kiska khoon hai papa..........” aarti ne Rohan ko aage kar diya jeeja ke samne.




Jeeja sann rah gaye............ye kya puchh rahi thi aarti.............unhe yakeen nhi aa raha tha ki unki laadli aaj ye sawal kar rhi hai.




“boliye papa kiska khoon hai iske andar, aapka to nhi hoga....kyuki aapka khoon to ganda nhi hai na............” aarti ki bat poori huyi hi thi ki jeeja ka ek jordar thappad uske gaal laal kar gaya.



Zindagi me pahli bar jeeja ne aarti par hath uthaya tha..........rohan kaanp gaya............lekin aaj aarti ka ek naya roop dekh rahe the sab.....




“maariye papa.........jaan se mar dijiye.........lekin agar ek bhai ka khoon ganda ho jane se dusre bhai ka khoon ganda ho jata hai ,to ek bête ka khoon tabhi ganda hoga jab uske baap ka khoon ganda hoga.........haan papa...........aapke bête ka khoon bhi ganda hai..........aapka khoon bhi ganda hai...........kyuki jo galti bade mama ne ki hai, wahi galti aapke bête ne renu mausi ke sath bhi ki hai.......puchh lijiye is se............” aarti ki aankho se aansu bah rahe the aur uska chehra gusse se laal tha.use sab kaise pata chala koi nahi janta tha.




Jeeja aage badhe............”rohan bol ki ye jhooth hai” .......rohan kya bolta.




Jeeja ke thapaddon ne uske chehre ka haal bigada diya............mummy na pakad leti to shayad aaj rohan ki jaan le lete papa.



Aarti chuchap ro rahi thi...........papa sar jhukaye jameen par baith gaye...............




“gussa aaya na papa...........i m sorry papa.............mujhe maf kar dijiyega is badtamiji ke liye.............lekin papa mujhe bhi gussa aaya tha.............jab aapne sahil mama par yahi ilzaam lagaya tha........papa sahil mama ka khoon kaise ganda ho gya...........wo to aapke hero the............kya nhi kiya unhone mere liye.......jante hai kyu kiya............kyuki wo sapana dekhne wali aankhe meri thi ,lekin wo sapanaa aapka tha....unhone aapke sapne ke liye sab kiya tha papa...... ..aur aapne kisi aur ki galtiyo ki sajaa suna di unhe..............ek dewata ke gale me fansi ka fandaa dal diya........aapne galat kiya papa.........bahut galat kiya aapne..............sahil ro kar gaye yha se...............mera kaleja chhalani ho gya papa.” Aarti bhi whi papa ke pas baith gayi aur unke kandhe par sar rakhkar rone lagi.





Jo aarti kabhi papa ke khilaf ek lafz nahi bardasht karti thi, kabhi unse unchi aawaz me bat nhi karti thi,, aaj usne papa ko aayina dikha diya tha...........kyuki is bar kalank uske devta par laga diya tha unhone, jiski wo apne man mandir me rakhkar pooja karti thi.




“jeeja galti meri thi ...........mai ek bahkave me aa gya.........” dheeraj ne wo sare love letters jeeja ke samne rakh diye jo varsha ne use likha tha........lekin antim palo me saf mukar gayi ki dheeraj us se jabardasti kar rha tha.




Jeeja aaj zindagi me pahli bar foot foot kar ro rahe the ....aarti ko gale laga liya unhone..............





“mujhe maaf kar de meri jaan.........i m sorry beta................” aarti bhi papa se lipat gayi aur wo dono bilakh bilakh kar rone lage.




Dheerj kah kar chup ho gya.............uski aankh me aansu the..............lekin sahil abhi bhi patthar ki ek murat bana hua tha............





“sahil, aarti tere liye jeeja se takraa gayi bhai.............wo aaj bhi tujhe bahut manti hai.....fir kyu nhi bat karte tum dono................aisa kya ho gya yar.......” dheeraj ne aaj shayad zindagi me pahli bar koi achcha kam kiya tha....




Sahil kuchh nhi bola....uske andar ke jwalamukhi ka lava foot gaya tha aur ab wo sahil ke dil ko jhulsa raha tha.




Sahil juhi ke liye apni muhabbat ko sabit karne me is kadar gum tha ki use kuchh samajh me nhi aaya ....uske dil me bas yahi chal raha tha ki aarti ki muhabbat dhokha aur juhi ki muhabbat nishpaap.........aur wo ise sabit karna chah raha tha...............zindagi ke rahe itani kathin ho gayi thi ki sahil sahi galat ka faisla nhi kar paa rha tha.





Sahil juhi ke sath lucknow wapas aa gya tha .....papa ko bhi sath laya tha...unhe kuchh heart problem thi ....lucknow ke doctor ne delhi refer kar diya tha aur aaj sahil aur juhi dono papa ko lekar delhi ke ek famous hospital me admit the...............




Koi serious issue nhi tha par ahtiyat ke liye admit ho gaye the wo.




Sahil aur juhi papa ke room se bahar nikle, canteen ki or ja rhe the.......tabhi sahil ki nazar kisi par padi.................





“VISHAL” sahil ke muh se nikla.




“aap jante hai use...........” juhi ne sahil ko kuchh dur par khade ek young doctor ki or ghurate huye dekhkar puchha...........wo kisi lady doctor se bat kar rha tha..............




Sahil ne juhi ka hath pakada aur unke opposite direction me chal pada..............




“sahil kaun hai wo.........” juhi hairan thi ............sahil ke chehre par ek sakhti thi .......wo kuchh nhi bol rha tha.........



Juhi ko kuchh dar sa lag rha tha..............



“sahil meri kasam, kaun hai wo............” juhi ruansi ho gayi........



“aarti ka pati.............”sahil ne badi muskil se kaha.




Juhi ka muh khula ka khula rah gya ..........usne chalet chalet hi pichhe palat kar dekha............uski aankhe aur badi ho gayi...............wo ladka us lady doctor ko kiss kar rha tha ........tanhayi dekhkar ek kone me dono ek dusre me buri tarah se lage huye the.




Juhi ne sahil ka hath pakad kar jor se khicha aur dono palat gaye..................



Wo kafi door the ...............lekin corridor ekdam seedha tha to sab saf saf dikh rha tha..............




Sahil ne dekha ..............aur fir wapas chal diya, jaise kuchh hua hi na h................juhi ko bahut hairani ho rahi thi sahil ke behavior par.





“sahil wo aarti ka husband hai..............kya kar rha hai wo...........sahil apni aarti ka husband...............” juhi bolti rahi lekin sahil uska hath pakde chalta raha............ab wo dusri or se chalakar canteen me pahuch gaye................sahil ke dil me kya chal raha tha wahi jane, lekin chehre se yahi dikha raha tha ki kuchh hua hi nahi....




Sahil ne kuchh order kiya aur wait karne laga..................juhi ka chehara gusse se bhabhak raha tha.........





“sahil ye kya hai..........” juhi ne kaha.




“kya hua” sahil ne jabrdast ignore kiya.


“aap se ye ummeed nhi thi sahil.............”


“kya kiya maine...........”




“damn it!! Kya kiya aapne??????? jo kuchh aapne dekha uska matlab nhi jante aap.................”juhi rone lagi.




“ wo dhoka de raha hai aarti ko...............aapki aarti ko dhokha de raha hai sahil........aapki aarti ki zindagi se khel raha hai............aapki aarti ki zindagi barbad kar rha hai............aapne kaise bardasht kar liya sahil...........apni aarti ko barbda hote kaise dekh liya aapne............ap wo sahil nhi ho jise hm jante hai, jis se hum muhabbat karte hai,,,...wo sahil nahi ho jiski ham ibadat karte hai........” juhi foot foot kar ro rahi thi aur sahil sunn ho gaya tha..............




Uske kan me juhi ke sabdo ne tufan macha diya tha............wo jaise kisi jadu ke prabhav se bahar aa gya tha........juhi ke wo sabd uske dil ko aaj ek bar fir cheer gaye...............





“aapki aarti ko barbad kar rha hai sahil, use dhokah de rahaa hai sahil.......aapne kaise bardasht kar liya sahil ” ye sabd jaise sahil ke rom rom me aag laga rhe the...........



Sahil tufan ki tarah canteen se uda tha ..............gallery se bhagta hua wha pahucha jaha vishal tha.........




Jab tak sahil wha pahuchata wo car me us lady ke sath baithkar nikalta dikh gya............sahil us car ke pichhe paglo ki tarah bhagne laga.........uski aankho se jhar jhar aansu bah rhe the..........





“meri aarti ko dhokha de raha hai, meri masoom aarti ko..........uski zindagi ke sath khel raha hai..........meri aarti ki zindagi barbad kar rha hai.............duniya ko aag laga dunga usko kuchh kiya hoga kisi ne to”




Sahil paglo ki tarah daud raha tha.....aaj use fir se wahi bachapan ki aarti nazar aa rhi thi, aaj fir uski aarti par aanch aa gyi thi..............aaj fir mano use aarti bahe failaya apni or bula rahi thi, aa jao mujhe bacha lo................us aarti ki poori zindagi ki khusiya daw par lagi thi jiski ek chhoti si khusi ke liye sahil kisi se bhi lad jata tha ..........kuchh bhi kar jata tha......aaj to sawal uski zindagi ka tha.........aaj sahil ko kaun rok sakta tha........aarti ki zindagi me lage grahan ko door karne ke liye aaj fir uska sahil sabkuchh pichhe chhodkar aarti ki khusi ki pichhe bhag raha tha.




Pyar ka ye rishta hi aisa tha...............aarti ki khusiyo par kisi gham ka saya mandraye aur sahil na aaye, aisa to shayad kudarat ka kanoon hi nhi tha.............sahil aaj apni jindagi ke liye bhag raha tha..........bas use ahsaas nhi tha is bat ka....dekhna bas itna tha ki is bar aarti ki khusiya use laakar de pata hai ki nhi uska sahil.



Kahaan hoti hai aisi muhabbat ?............juhi jaisi muhabbat, jisne aaj sahil ko uski aarti ki khusi ke liye bhej diya tha,- aarti jaisi muhabbat jisne apne pyar ke liye apne papa se unke khoon ka rang puchh liya tha ....sahil jaisi muhabbat ,- jo har kadam par tootne ke bad bhi apni “bewafa” muhabbat ki khusi ke liye paglo ki tarah bhag raha tha.


Dosto muhabbat ho jaiye kisi ke sath, to aise hi nibha dena, dil ko sukoon mil jayega.

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:26

UPDATE 106-

Sahil paglo ki tarah us car ke pichhe bhag rha tha jisme uski aarti ki khusiya luti ja rhi thi.......lagbhag 1 km bhagta raha...............aur fir wo car ruk gayi.............shayad chalane wale ne use bhagte huye dekh liya tha.........




Sahil teji se car ke paas pahucha aur jaise hi gate khula vishal ko bahar khich kar us par toot pada .........sahil ro raha tha aur vishal ko mar rha tha .............




“meri aarti ko dhokha diya tune...........us masoom ko.......”sahil bar bar bas itna hi bol raha tha......aansu to jaise uski kismat ban gaye the..............




“rukiye aap.........plssssssss” vishal ke sath jo ladki thi wo sahil ko rokane ki poori kosis kar rhi thi.........lekin sahil ek junoon sawaar tha..........





“rukiye plsss.......”is bar wo ladki vishal se lipat gayi aur sahil ke hath apne aap ruk gaye...........ladki badi dardanak nigah se uski or dekh rahi thi..........sahil ki aankho ke aansu use bahut kuchh sochane par majboor kar rhe the................




“ye kamina hai....ye aapko bhi dhokha de raha hai ..........................jaise isne meri aarti ko diya......ye married hai..............meri aarti se shadi ki hai is kamine ne.............meri aarti se..............” sahil khud ko bahut majboor mahsoos kar raha tha......




“nhi aapk ko koi galatfahmi huyi hai......ye mera fiancé vishal hai.........isne kisis ko dhokha nhi diya......” ladki ne bade bharose se kaha.




“kutte chup kyu hai ????? bata ise ki jo mai kah raha hu sach hai......bata nhi to aaj sahil apni aarti ke liye har had par kar jayega............” sahil garajate huye bola



Vishal kuchh nhi bol raha tha lekin uske chehre par sharmindagi ka koi bhav nhi tha...........na hi sahil ke liye koi nafarat.............




“bolo vishal, batao inhe ....batao sach kya hai..............” ladki ne vishal ki aankho me dekhte huye kaha..........bada maan lag raha tha use vishal par............





“Sorry sir, aapki kisi bat ka jawab nhi hai mere pas.........aap ek rishte ka farz nibha rhe hain............samjhta hu mai...............lekin dosti ka ek vada hme bhi nibhana hai...............chahe to jaan le lijiye ..........chal suman ................” vishal ladki ke sath chuchap wapas car me baith gya.........




“aarti mere pas nhi hai sir , I m sorry ” vishal ne jate-jate bas itana hi kaha aur sahil ki aankho se car ojhal ho gayi...........kuchh aisa tha vishal ki aankho aur baton me ki sahil kuchh kar na paya....na us se aur kuchh puchh paya na use rok paya...




Wo chuchap hospital laut aaya........ek gahri mayoosi thi uske chehre par..........juhi ne use dekha aur bina kuchh kahe hi shayad sab kuchh samjh gayi..............




Sahil ke dil me ek toofan chal raha tha........




“ye kya ho raha hai mere sath ....kyu ho raha hai.......kya chahti hai ye kudarat mujhse...........ab jab mai use bhool jana chah raha hu to kyu wo bar bar meri raah me aa rhi hai................”




“kya hua sahil.........kya kaha usne.......aapne use chhod kyu diya..........” juhi se raha nahi gaya sahil ki khamoshi dekhkar.............use lag pata tha ki is khamoshi ke pichhe ek bahut bada toofan daba pada hai.




“kuchh nhi bataya usne aur wo kuchh batayega bhi nhi.............” sahil ne sar jhuka kar dheere se kaha.




“to fir ????” juhi ne badi masoomiyat se puchha............




“kya karu mai juhi........” sahil aaj bahut udas ho gya tha........bas itna hi bola aur juhi ke kandhe par sar rakh diya.............ek kmajor ho rahe insaan ko khuda ne ek bahut majboot sahara de diya tha...........




“sahil aaj aarti ko aapki jaroorat hai, jane aisa kyu lag raha hai mujhe..........”juhi ne kah hi diya jo uske dil me tha, apne dil par patthar rakh kar hi sahi, ..........kaisi thi uski muhabbat ????????...shayad kisi insaan ke bas ki bat to nhi thi is kadar muhabbat karna.




Sahil kuchh nhi bola................




Thodi der bad sahil ke papa ko discharge kar diya gaya..........unhe lekar sahil juhi ke purane ghar pahucha....wha par ek do mulazim rahte the.............juhi ke papa ne use becha nhi tha aur kabhi kabhi wha rahne aa jate the............




Papa ki tabiyat ab thik thi..........sahil tha to unke sath lekin uska dil to kahi aur hi laga hua tha.............




Juhi sahil ki halat achchhi tarah samajh rahi thi.........lekin use bhi nhi samajh me aa rha tha ki kya kare...........




Sahil ne bari bari se didi ke yha sabka phone try kiya lekin kisi ka phone nhi lag rha tha...............didi ke phone par bell ja rhi thi par koi utha nahi raha tha.........aur aarti ka number to tha hi nahi sahil ke pas...........kitne dino se nahi tha ........na uske sasural ka address tha...........fir vishal ne jate jate kaha tha ki aarti mere pa nhi hai to wha jane ka koi matlab bhi nhi tha.................




“Juhi mai thodi der me aata hu.................” sahil ne kaha aur bahar nikal gaya............




Juhi chuchap use dekhti rah gayi.........kya kar rha tha sahil wo janti thi ...............kitna majboor tha ye bhi janti thi.......lekin fir bhi sahil mujarim tha juhi ka.





Sahil didi ke ghar pahucha ..........lekin waha pe lock laga hua tha.........pas-pados me puchhne par kuchh khas pata nhi chala...........bas itna hi ki koi 4-5 din pahle aarti ke mummy papa yha se gaye aur rohan aur aarti to pahle se hi nahi yha rahte the..................




Hazaro khyal aa rhe the uske man me..................sahil ka dimag kam nhi kar rha tha...........sahil bike se dilli ki galiyo ki khak chhan raha tha.......kuchh samjh me nahi aarha tha ki kya kare...............




Kuchh bahut keemati kho gaya tha uska aur use hi shayad dhundh raha tha.............





Aaj tak kismat ne sahil ka sath kabhi nahi diya tha, lekin aaj shayad dene wali thi.............sahil baawra sa bhatak raha tha ..............bheed me idhar udhar dekh raha tha..........lekin uski nigahe jise dhundh rahi thi wo chehra nhi tha us bheed me.......... achanak sahil ki nazar us college par padi jaha aarti ka admission hua tha MBBS ke liye......sahl ne jhat se bike roki aur andar pahuch gaya...............




Sidhe DEAN ke pas pahucha apna parichay diya aur apna issue bataya..........sahil ko turant ek clerk ne attend kiya aur wo use lekar ek room me pahucha................




Sahil ke samne computer screen par aarti ki tasweer aur uski academic profile thi......year of admission ....form no....candidate ID....... aur uske hath me aarti ka admission form............




“Par sahib, in mem sahib ne to yha se sirf ek sal hi study kiya hai.......” us clerk ne kaha.




“hummm...........ha usne apna transfer karwa liya tha shimla me..............first year ke bad hi...........” sahil ne kaha...




“sahib shimla me isi college se afilliated ek college to hai ................ lekin yha se koi transfer nhi karwa sakta wha............aisa to koi system nhi hai...............” clerk ne jaise hi kaha ,sahil ko mano hazar volt ka current laga..





“kyaaaaaaaaaaaa??????? Nhi nhi tumhe pata nhi hoga........usne karwaya tha transfer......”sahil ke samne ek aur uljhan aa khadi huyi thi....




“maloom nhi sahib ...par rules to allow nhi karte............” usne bas itna hi kaha.




Sahil wha se bahar nikla aur ek bar fir se dean ke room me pahucha.........DEAN ne clerk ki bat ko confirm kiya........rules yhi the ki last year me hi koi student transfer karwa sakta tha...........to fir aarti ne first year me kaise karwaya.............





“sir iska kya matlab hua?” sahil ne dean se puchha.




“sir iska matlab yhi hai ki first year ke bad student ne study chhod di..............kam se kam hamare yha se to nhi ki............haa kahi aur se ki ho to hum nahi kah sakte “ dean ne sahil ko bataya.





Sahil ka dimag jaise fatne ko tha........



”ye sab kya ho raha hai............aarti ne jhooth kyu bola.............kis se puchhu mai..”




Sahil ko kuchhh bhi samajh me nhi aa rha tha, pahle vishal aur fir ye sab.......




Lekin aaj kismat har mod par sahil ka sath dene ko taiyar hi khadi thi mano.............



Wo dean office se nikla aur jaise hi bahar ki or badha uski nazar ek bade se frame me lage huye photo par padi..............



Sahil ki dil dhakk se kar gaya............uske muh se anayas hi nikla




“JEEVAN-VATIKA”



Sahil ki uljhane sulajh nhi rahi thi aur use ab ek “BEWAFA “ka samna karna hi tha.........aur dusri taraf thi wo masoom juhi , jiski muhabbat ki kasti to aise majhdar me fasti ja rhi thi jiska koi kinara nhi mil raha tha...........kya kar sakta tha koi.......sab majboor the ...kuchh kismet ke hatho aur kuchh muhabbat ke hatho.




ufffffffff kash ye muhabbat na hoti.

Post Reply