love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 19 Nov 2016 15:29

UPDATE 70-

Sahil Aarti ke samne ab khud ko badalane ki soch chuka tha ....wo man me dridh nischay karta hua apne kamre se nikalta hai ...sham ke 3 baj chuke the ...sahil niche aata hai ...aarti so chuki thi aur rajai uske gale tak ke hisse ko dhake huye thi...



aarti ke masoom chehre par nazar padte hi ek bar fir uska dil jor se dhadkta hai ...."kitni khoobsoorat ho tum...kitna pyara dil hai tumhara ..kyu na tumhe chahane ko dil kare kisi ka " anayas hi sahil ke muh se nikla.



sahil jo thodi der pahle dridh nischay karke niche aaya tha ,fir se aarti ke roop saundarya me khota sa ja rha tha ...use laga agar kuchh der tak aur aarti ke pas rha to fir us se door nhi ja sakega ...wo teji se wapas muda aur seedhiyo se chadhate huye apne room me pahucha ...



sahil ke jate hi aarti ne aankhe kholi...jahir hai wo bas sone ki acting kar rhi thi...



"yesssss !" aarti ne apni awaz ko dabate huye kilkari mari .



"mere bhodu ram ...mujhe pata tha ......kaise masoom bane fir rhe hai hamara sabkuchh loot kar "


aarti ek pal ko muskurayi " aapke chehre ke bholepan ne hi to hame loot liya " aur khood hi sharma gayi .



Aarti ne bed par khade hokar upar dekha ..sahil third floor par ja chuka tha ...aarti ko ab yakeen ho chala tha ki sahil bhi us se pyar karta hai...usne khusi ki bhavo ko geeton ke sahaare vyakt kiya ................



"PAHLA-PAHLA PYAR HAI....PAHLI-PAHLI BAR HAI "



Aarti gaye ja rhi thi aur fir geet khatm karke khud se hi sharma gayi mano ....ek bar fir se uski rajai hi uski sharm ko chuupane ka saharaa bani .

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 04 Dec 2016 14:32

UPDATE 71-


Sahil aur aarti dono is samay ghar me akele the lekin ab dono ke bich sharm aur jhijhak ki deewar khadi ho chuki thi .



Sham ko sahil neeche utar kar aata hai..aarti kitchen me chai bana rhi thi...sahil whi sofe par baith jata hai ....



"chai" apni socho me doobe sahil ka dhyan aarti ki madhur aavaz par toot jata hai ...
aarti us se nazre nhi mila rhi thi ..usko chai dekar dusre sofe par baith jati hai...dono ke bich me ek khamoshi thi ...jise sahil ne toda...


" chai khatm karke apni books lekar aa jana ..chemistry padhenge..aur sham ke khane ke chakkar me mat padna..maine order kar diya hai.."




Sahil apni chai khatm karta hai aur seedhe upar ka rukh karta hai.....aarti ko sahil ka bartav kafi ajeeb sa lagata hai....aaj tak sahil ne us se is tarah se bat nhi ki thi ...sahil to hamesa us se ladne ,use chhedne ke chakkar me rahta aur fir unki ladai aur aarti ki us ladai me jeet ...lekin aaj to mano wo hukm sunakar chla gya tha ....


koi aur din hota to aarti aur uski is bat par jung nischit thi lekin aaj aisa nhi hua ..aarti chupchap uski baten sun leti hai ...use sahil ka aisa bartav sahil ke sharmile nature ki vajah se lag rha tha....use lag rha tha ki sahil us se pyar karne laga hai isliye uske samne sharma rha hai...lekin dheere dheere ye aarti ko apni galatfahmi lagne lagi ...lekin use is bat me koi galatfahmi nhi thi ki uska dil sahl ke pyar me doob chuka tha ..



aarti chupchap apni kitaben lekar sahil ke kamre me chali jati hai ...



sahil aarti ko padhate samay kafi narmi se bat karta lekin koi bhi bat jo study se related nhi hoti usko karne me jaise koi dusra hi sahil ban jata...wo sahil jo aarti se ladta -jhagdata tha mano kahi kho sa gya tha ...ab wo aarti se baten karta to kafi reserve sa rahta....aarti ko sahil ka ye bartav kafi dukh de rha tha..jab bhi wo sahil se bat karna chahati wo koi na koi bahana kar kr wha se chala jata..



aise hi karib one week beet gya ....didi jeeja bhi wapis aa chuke the ...sahil sabke samne to bikul normally rahta lekin kabhi aarti se akele me mulakat hoti to bikul hi alag rang me lagta ...mano aarti ko janta hi na ho ...sahil ki berukhi aarti ko bahut dukh de rhi thi.... sahil aarti ko akele me keval padhate samay hi milta tha aur koi bhi idhar udhar ki bat nhi hoti ....aarti ko lagne laga ki uska pyar dam todata ja rha tha ...uske aankho ke haseen sapne toot kar uski hi aankho me chubhane se lage the ....



january ka month suru ho chuka tha ...thand apne pure sabab par thi .....aarti ke medical entrance exam suru hone wale the .....isi bich jeeja ko ek mahine ke liye rajsthan jana tha ...kafi bada contractmila tha jise wo chhodana nhi chahte the ......is bar unki tabiyat thodi theek nhi thi ...to didi bhi unke sath jana chahti thi...aaj ghar par whi baten ho rhi thi ....


" mummy aap papa ke sath chali jao..mai ghar par sab sambhal lungi ....." aarti ne kaha.


" sahil tum kya kahte ho" sahil ko chupchap baitha dekhkar didi ne puchha.



sahil akele me aarti ke sath nhi rahna chahat tha...use hamesa dar laga rahta tha ki kahi wo kisi pal kamjor na pad jaye ...aarti ki aankhe jab bhi uski or uthati unme ek sawal hota tha ...pichhle ek mahine me aarti ke chehre ki udasi se sahil ka dar aur badhta ja rha tha ...agar aarti ke dil me uske liye kuch na hota to ab tak kab ki wo use ladai kar chuki hoti aur puchh chuki hoti ki wo aisa bartav q kar rha hai uske sath....lekin aarti ke udas chehre aur sooni aankho ne sahil ko ahsas dila diya tha ki uske man me bhi pyar ke beej phoot chuke hain..aur ab sahil ko aarti ka samna karne me aur dar lagne laga tha ....



Lekin sahil ne aarti ki preparation ko is bich me nhi aane diya tha ...wo din rat aarti ke sath uski taiyari me laga rhata...uske liye notes banata...physics fir se padhne laga tha sahil ...qki 12th ke bad se sahil ne physics ne nhi padhi thi ...lekin aarti ko padhane ke liye usne puri physics fir se padhi thi aur aarti ko chapterwise questions solved karwaye the ....aarti ka aatm vishwas lautne laga tha ..ab use chemistry me jyada problem nhi hoti ...aakhir sahil ne chemstry me graduation me college top kiya tha ...usne sare basics achchhe se aarti ko taiyar karwa diye the ....jeetni mehnat aarti ne ki thi us se kahi jyada sahil ne kki thi ...



lekin jab bhi aarti ke aankhe us se sawal karti sahil paresan ho jata...use yhi dar aaj bhi tha ..



"jee mai kya bolu...jaisa aap log thik samjhe" sahil ne sar jhuka kar dheere se kaha.



"are kaise bate kar rha hai tu??? tu yha hai tabhi to ham aarti aur is ghar ko akela chhodkar kahi jane ki soch sakte hai ....sahil ,beta tujhe koi paresani hai to bta de....kuchh dino se dekh rhi hu tu kuchh udas udas sa rhane laga hai ???" ddi ne behad lagav se puchha.



Sahil kya jawab deta ....


" nnhi di ...aisi koi bat nhi hai ...aap log jaiye ham log sab dekh lenge" sahil ne bat bigadate dekha to tapak se bola.


" sahil, aarti ka exam hai 24 january ko ???" jeeja bole.


" jee mujhe pta hai ....mai dila dunga" sahil ne kaha.


" beta ,tera nuksan hoga ..tu apni padhai kar mai rook jati hu " didi ne uske sar par hath pherte huye kaha.



" are nhi didi , nuksan kaisa abhi to result wait kar rha hu ...aur fir aarti ke kisi kam se mera nuksan nhi hota " kitni dino bad sahil ne apni kisi bat me sabke samne aarti ka jikr kiya tha ...aarti ki nazre uski or uth gayi.



" ha ye bat to sb log jante hai" jeeja haste huye bole.aur fir didi aur jeeja sham ko rajsthan ke liye nikal gaye ...ghar par ab ek khana banane wali Bai aane lagi thi ....



Rat ke 8 baj rhe the ....Bai khana banakar wapas ja chuki thi .....



Sahil aarti ko koi form online fill kar rha tha aur aarti whi pas me baithi thi ...aarti ke form bharne se uske admit card aur exam ,har cheej ki zimmedari sahil ne le rakhi thi ...aarti ko bas jakar exam dena tha ....aarti ko samjh me nhi aa rha tha ki wo sahil se kaise bat kare...


Sahil uska har kam kar rha tha ,uska pura khyal rakhta ,uski padhai ke liye sabkuchh kiya tha ....lekin fir bhi sahil ab use uska puana sahil nhi lagta tha ....wo sahil jo us se ladta tha,jhagdta tha ,us se roothata tha ,use manaata tha ...aarti ke dil me sahil ke is badlaw ko lekar kafi dukh tha ...lekin uski padhai me sahil ki lagan dekhkar use samajh me nhi aa rha tha ki sahil ke dil me kya hai .kaun sa sahil sachcha hai ...uska kaun sa roop asli hai ?????



Sahil aarti se koi koi detail puchh puchh kar form bhar rha tha ...aarti bhi bas utna hi bolti jitni jaroorat hoti ...lekin aankho me ek sawal tha abhi bhi jo sahil ko darataa tha ..qki us sawal ka koi jwab nhi tha uske pas.

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 04 Dec 2016 14:33

UPDATE 72-

Isi tarah din gujar rhe the ...aarti ka exam pas aa gya tha...do din bad uska exam tha ....aaj sahil subah utha to dekha aarti ke kame ka door bahar se band tha ...aam taur par aarti der tak soti thi ..qki rat me kafi der tak padhti ...lekin aaj wo pahle hi jag gayi thi ......


sahil jaldi se niche aaya to dekha aarti taiyar hokar kahi jane wali thi ...sahil ko thoda ajjeb laga..


"kaha ja rhi ho???"


mera admit card nhi aaya hai AIPMT ka ...jakar centre se lana hai ...whi lene ja rhi hu " aarti ne jawab diya ..



"maine kal hi liya diya the ...." sahil ne dheere se kaha....aarti ne nazre uthahakr uski or dekha ....


" kya samjhte ho aap apne aapko??" aarti gusse me boli.



"kyaaaa??? maine kya kiya hai ??" sahil ne badi mushkil se kaha...jabki use bhi pta tha ki aarti kyu aise bol rhi hai...



"ha...aapne kuchh nhi kiya hai...aap kabhi kaha kuchh karte ho ....koi jaroorat nhi hai mujh par ahsan karne ki " aarti ki aankhe bhar aayi thi ...


" mai ahsan karta hu tum par " sahil ne udas chehre se uski or dekhte huye kaha.



" ha ..ahsan hi to karte ho ....mujhse bat nhi karoge lekin mere liye sabkuchh karoge....mere sare kam karoge,lekin kabhi pyar se do bol nhi bologe ...aapke liye mera exam clear karna jaroori hai jiske liye aap mera sath de rhe ho ...mai to aapke liye kuchh nhi hu ......padhai se alag to aapka aur mera koi rishta hi nhi hai ....meri koi ahmiyat nhi hai aap ki nazro me ???" aarti ke jabt karne ke bawzood ab uski aankho ke aansu palko ka darwaz todkar bahar niklne lage the ..



"aisa kuchh nhi hai " sahil ne badi muskil se apna chehra dusri or karte huye kaha..aarti ke aansu dekhne ki himmat nhi thi usme.



" ha ..mai hi pagal hu ...mujhe hi lagta tha ki aisa kuchh hai ....aap bas khud ke bare me sochate ho..kabhi mere bare me bhi socha karo ...mujse lade jhagde bina aapka ek din nhi gujarataa tha aur ab........aap ko koi fark nhi padta ,pta hai mujhe ....lekin mujhe padta hai ...aapke tang karne ki aadat pad chuki hai mujhe ......aapse ladai ki aadat pad gayi hai mujhe ...samjhe aap ....kya kar diya hai maine aisa...kyu kar rhe ho aap aisa mere sath.." aarti sahil se sawal par sawal kiye ja rhi thi ....aur sahil ke pas koi jawab nhi tha ...



" aarti plz chup ho jao.... tum apne exam achche se de do ...fir ham is bare me bat kar lenge..plzz....dekho abhi tumhare liye sabse jaroori shant dimag se ye exam dena hai ...nhi to ham dono ki sari mehnat bekar jayegi ....fir mai vada karta hu tumhare har sawal ka jwab dunga ...plzzz...meri khatir...??"" sahil use samjhate huye uske aansu ponchh rha tha ...aarti ka rona rook gya tha lekin wo abhi bi sisak rhi thi ...sahil use pakde huye pas me rakhe sofe par baitha tha .



Aarti ki aankho me dekhte huye sahil ne uska sar apne kandhe par dba diya ...ajeeb si sthiti me fas gya tha sahil...aarti ko agar abhi kuchh samjhata to wo samjhati nhi aur iska asar uske exam par padna swabhavik tha .........isliye use kuchh din tak aarti ke sath pahle jaise hi pesh aana tha ...lekin use ye bhi dar tha ki wo dono jitna ekdusre ke sath rahenge,utne hi pass aate jayenge aur fir door hona utna hi muskil hoga.




Sahil ko kuchh samajh me nhi aa rha tha ...kuchh dino ke liye usne sab kuchh waqt par chhod diya...is bat ko mante huye ki exam ke bad wo aarti ko sab saf saf bata dega ki un dono ke rishte ka koi future nhi hai aur use bharosa to nhi lekin ek umeed jaroor thi ki aarti uski bat ko samjh jayegi .... ab wo puri kosis kar rha tha ki aarti pahle ke jaise normally rahe aur kafi had tak wo kamyab bhi ho chuka tha ...



whi aarti ko aaj ki ghatna ke bad is bat ka ahsas ho chuka tha ki sahil aaj bhi whi sahil hai ,uska apna sahil aur wo ek na ek din use jaroor jeet legi...dekhna ye tha ki waqt ka faisla kya tha.????



Rat ke 11 baj rhe the ...kal aarti ka exam tha...aur aaj rat wo thodi tension me thi...sahil uske kamre me chala jata hai..aarti samne botany ke notes khole kuchh dekh rhi thi ..sahil ko dekhkar usne books band ki aur uthakar baith gayi,,,



" are abhi bhi padh rhi ho ...sham ko bola tha na maine ki ab 10-10.30 tak so jana ...8 ghante ki need bahut jaroori hai ...."



Aarti kuchh nhi bolti ....bas uski or dekhti rahti hai..


"kya hua...???" sahil ne pyar se puchha.


"neend nhi aa rhi " aarti ne dheere se kaha.


" nervous ho ??" sahil ne uske bagal me baith te huye puchha.




Aarti ne haa me dheere se sar hila diya.



"are ye to natural hai ..exam ke pahle sablog nervous hote hai ..."


"aap kal chaloge na mere sath?" aarti ne bas itna hi pucha.jane kyu..jabki use pta tha ki sahil jaroor jayega.



"ha...ye bhi koi puchhne ki bat hai "


Aarti ne muskrate huye sahil ka hath apne hatho me le liya.


"fir thik hai "


" chalo ab so jao " sahil ne uske bed par se sari kitabe samet te huye kaha...


Aarti dheere se muskurayi ..


"aap bhi mere kamre me hi so jao"


"pagal ho ???"


"fir mujhe need nhi aayegi...exam se pahli wali rat mai mummy ke sath soti hu " aarti ne kaha.


sahil bura fasa tha ...use samjh me nhi aa rha tha ki aartisach bol rhi hai ya use tang kar rhi hai



"chalo tum so jao ...mai yhi hu tumhare pas" sahil ne uske sirhane baithte huye kaha.
fir idhar udhar ki bate karne laga aarti kadhyan exam se hatane ke liye aur jald hi aarti neend ke aagosh me thi...usne abhi bhi sahil ka hath pakad rkaha tha.



sahil ne dheere se apna hath chudaya...dusre kamre se ek chatai le aaya ...whi niche farsh par bichakar uspar bistar lagaya...fir aarti ka admit card ,pen etc sabkuchh uske bag me rakha..aur light off karke night bulb on kar diya ...



Aarti so chuki thi ...lekin sahil ki aankho me neend kahi nhi thi ...


"hey bhagwan , maine kabhi nhi socha tha ki zindgi aise dorahe par lakar khada kar degi ...tum to sab jante ho ..mere man me is pyari si ladki ke liye koi paap nhi hai ...mera rasta bahut kathin hota ja rha hai ...plzz mera sath dena aur meri jaan ko uski manjzil " sahil ne aarti ke msoom mukhde par ek nazar dalte huye dua ki ...night bulb ki doodhiya roshni me uska husn chaudahvi ki chaand ki tarah damak rha tha ..sahil ne aankhe band kar li aur let gaya.

Post Reply