love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 11:19

UPDATE 98-

SAHIL ko apni god me chhupaye juhi ka dil bhi bahut bhari ho gya tha...........aaj usne faisla kar l iya tha ki wo sahil ko sabkuch sach sach bata degi..............aur shayad use pata bhi tha ki sahil ka fiasla kya hoga.................

“sahil” usne dheere se pukara.....


Sahil ko rona ab ruk chukka tha usne sar uthakar aarti ko dekha.............


“aaj mai tumhe bta ti hu ki maine aisa kyu kiya..............mai janti hu ki jo kuchh maine kiya wo mafi ke layak nhi hai...........ye bhi janti hu ki meri vajah se tumhari zindagi tabah ho gyi, ........... mai ye bhi janti hu ki tumne bahut dard sahaa hai.............aur sahil ab mere aaj ye kahne ya na kahne se koi fark un baton par nhi padega..............na tumhari zindagi ki wo dardannak raten mai mita paungi na wo dard bhare aansu ponchh paungi........lekin ek bar tumhe batana chahati hu............”


Sahil uthkar baith gya......aur aarti ke chehre ki or aise dekhne laga jaise aaj uski
zindagi ki parikshaa ka result aane wala ho..................aaj faisalaa hona tha ki uski muhbbat ki shiddat me kitna asar tha..........aaj faisal hona tha ki uski aarti bewafa thi ya ba-wafa


AARTI ne bolna suru kiya..............


“mere councilling se thik pahle aap ghar gaye the ........... hai aapko.........” aarti ne kaha..........


Sahil ne bas haa me sar hila diya.............


aarti fir aage bataane lagi...................



“usi din bade mama (DHEERAJ ) yha aaye the , rohan bhi aaya tha.......aur mere Tau ke yha party thi.............tau-tayi ki marriage aaniversary thi.......... bade mama waise bhi jab aate the to Tayi ke yha jaroor jate the...............aur tayi bhi unhe bahut manti thi...........ham sab sham ko lagbhag 7 baje unke ghar pahuche.............sab log bade pyar se mile...........TAU,TAI AUR UNKI BETI VARSHA...........mehmaan bahut jyada nhi the..............bas kuchh bahut karibi log hi the...........kul milakar 10-15 log....


Der rat Sab log kha peekar baithkar baten kar rhe the..........


Sab log the bas VARSHA nhi thi...........



Kuchh der bad bade mama bhi uthkar kahi chale gaye .............hm sab baithe baten karte rahe............



Tabi tau ke phone par varsha ki kisi friend ka phone aa gya............aur tau use bat karwane ka bol kar phone lekar andar chale gaye varsha ko doondhate huye.....................


Thdi der hi samay bita tha ki andar se jor jor se gali dene ki aawaze aane lagi...........Tau kisi ko mar rhe the aur jor jor se galiya de rhe the.............mai mummy ,papa ,rohan sab bhagte huye andar gaye.............


Tau bade mama ko thappad mare ja rhe the..............papa ne jakar unka hath pakad liya.........


“bhai sahib ,ye kya hai.........aapne hath kaise uthaya.............”


“hat ja sale, bahenchod..........salo tum sab ne mujhe badnam karne ke lye is se ye sab karwaya hai na.......aaj ise jan se mar dunga...........puchh kya kar rha tha meri beti ke sath...........” TAU ka chehra gusse se laal tha....



varsha whi khadi aansu baha rhi thi......tau ne un dono ko kisi aapattijanak sthiti {sex karte huye} me dekh liya tha..........”dheeraj kya ye sach hai ,”papa ne puchha.......


bade mama kuchh nhi bole..........

“dheeraj bol na ye jhooth hai.......” mummy rote huye boli...


“didi ham pyar karte hai ek dusre se....”bade mama bole hi the.....



“hat randi....maine apni aankho se dekha hai.......tum sab ab natak mat karo.....salo maine apni beti ki shadi tay ki thi aur is bahnchod ki bhi to tay thi.....fir puchh ki kya kar rha tha yha...........sala mere hi ghar me meri beti ko..............abhi batata hu............ “ TAU gusse se andar gaye......shayad apni pistol lene


“varsha ye kya ho rha hai ........tu kuchh bolti kyu nhi...........” tayi ne kaha...


“mummy .........ye jabardasti kar rhe the.......” varsha boli, uske chehre se saf lag rha tha ki wo jooth bol rhi hai..........aur uska character to vaise bhi sabko pata tha...........lekin usne bat bigdti dekhi to palat gayi........aur aaj to koi bhi aisa nhi tha jo uski bat ka bharosa nhi karta,..........



Dheeraj mama ka chehra ek dam fakk pad gya varsha ki bat sunkar............unke sath to ye hona hi tha.......unhone bhi to kisi ko dhoka diya tha ....unhe dhokhe ke siwa kya milta...........unki shadi tay thi aur unhone kisi aur ke sath..............


Bahut drama hua wha .......lekin mai sab nhi batanaa chahti..........


Tau ko sabne kisi tarah se pakad kar ek kamre me band kiya aur hm wha se bahar nikle.......papa ki aankho me maine pahli bar aansu dekhe the..............wo bahut jyada gusse me the us din...............


Kisi tarah se hm ghar pahuche ...............mama bhi sath me the..........mummy unhe jabardasti le aayi.......unhe dar tha ki kahi wo kuchh aisa vaisa na kar le ...............shayad isiliye akele nhi jane diya unhe..............


Ghar pahuchane par us se bhi bada hangama hua................


Papa bahut gusse me the...........aur wo sara gussa nikla mummy par aur mujh par..........


“Sali .......tum sab bhai-bahno ka khun hi ganda hai...........nikal ja tu abhi mere ghar se ......apne bhai ko liva le............aur ja yha se...........”papa mummy par cheekh rhe the.......


Mummy bas roye ja rhi thi..........


“jeeja didi ko kuchh mat kahe...plz.....sari galti meri............”bade mama ki bat aadhi hi nikli thi.....


“chup sale.........kamien.....tu abhi nikal mere ghar se........aur agar kabhi “ TUM DONO BHAI” me se koi bhi mere ghar ...aaya to goli mar dunga........sale tere jaisa hi tera bhai bhi hoga na.......kya pata wo sala meri beti ko.........tum sab ki nazar gandi hai........ sale aaj teri vajah se mai itna jalil hua hu.......nhi to sala kisi ki majaal nhi thi ki koi meri family ke character par unagali uthaye,...........nikal ja sale..........” papa dahaad rhe the aur har koi chuchap khada tha.............


Dheeraj mama chale gaye.........rat ke ek baj rhe the..............mummy ro rhi thi aur papa ka gussa kam nhi ho rha tha............



“tu bhi nikal ja...............tu bhi to usi ki behan hai.............nikal ja..” papa mummy ko bol rhe the.

Mai aage badhi aur papa ke pairo se lipat gayi............

“papa jane do na plz............mummy ki kya galti ........plz papa” mai jor se unke pairo se lipti ro rhi thi..........


Papa kuchh nhi bol rhe the............


Thodi der bad unhone mujhe uthaya...........


“chup ho ja beta..........” mai papa ke gale se lag gayi aur jor jor se rone lagi......


“Mummy chali jayengi to mai kaise rahungi papa........plz papa..........”


“thik hai aarti, mai janta hu iski koi galti nhi hai..........sorry.............lekin is ghar me un dono me se koi nhi aayega..............kabhi bhi............agar sahil bhi kabhi yha aa gya to mai pata nhi kya karunga..........mujhe khud nhi pata ...........aur tum us se door rahna............kabhi uski or aankh uthakar bhi mat dekhna...............wo achcha nhi hai beta......wo bhi isi kameene ke jaisa hoga....to bhaut bholi hai meri bachchi............wo tere sath...........tu samajh rhi hai na...........aakhir isi kamine ka bhai hai na...........aur agr kabhi us se mili to samajh lena ki bina baap ki ho gyi ho......” aur papa itna kahte kahte ruk gaye.......



*************************************************************************************


Aarti apni bat kah kar chup ho gyi thi aur sahil uski taraf aise dekh rha tha ki jaise abhi kuchh aur kahegi wo..............jaise sahil ki khata batayegi....................jaise koi aur safai pesh karegi .....lekin aarti chup rhi...........


“fir....?? uske bad..........” sahil ne beyakeeni se kaha........



“uske bad kyaa......aap delhi aaye .....mummy ne aap ko kuchh nhi bataya.......kyuki us samay papa ghar par nhi the...... aur maine aap se doori bana ne ki kosis..........” aarti ki bat poori nhi ho payi thi ki sahil cheekh pada............



“aur tumne faisla kar liya ki tum mujhe chhod dogi...........tumne ye man liya ki mera khoon ganda hai.......tumne ye man liya ki mai apne bhai jaisa hu...........tumne man liya aarti............” sahil ki aankhe bhar aayi.............aarti aage badhi uske kanhde par hath rakh diya............


Sahil ne uska hath jhatak diya..........aur uski aankhe aaj ek bar fir se barasane lagi...............



“tumne maan liya aarti...........tumne man liya...........aur ek mai hu............sari duniya kahti rahi ki tumne mujhe dhokha diya, tum bewafa ho.........sab kuchh sahaa maine............kitni raten tanha tumhari yad me roya..........tumhare liye roya......khuda se tumhare pyar ki bheekh mangi............lekin maine nhi mana aarti..........kabhi nhi maana.......shayad jubaan se kabhi nikal bhi gya ki tum bewafa ho..........lekin mere dil ne kabhi nhi mana..........maine kabhi nhi maana.........par tumne maan liya......??????????.....”

“tumne maan liya ki mere pyar me vasanaa hai........tumne maan liya ki mere pyar me tumhare jism ki chahat hai...........tumne man liya ki meri nazro me hawas hai...........nhi aartiiiiiiiiiiii.........nhiiiiiiiii..........are tum to meri zindagi thi, maine to kabhi tumhare siwa kuchh socha hi nhi..............meri to saanse isi aas me chalti rahi ki meri aarti bewafa nhi ho sakti............bachpan se lekar jawani tak kisi aur ladki ki or kabhi pyar ki nazar se dekha tak nhi.........lekin tumhe mere pyar par aitabar hi nhi aaya...........tumhari muhabbat bahut kamjor nikli aarti , jo halat ke in mamooli thapedo se toot gayi...........”


“aarti meri galti kaha hai isme............????....kya khata hai meri ..............????? ek bar bhi tumne nhi socha.........aarti meri muhbbat aaj se 5 sal pahle nhi hari thi.......aaj haar gayi............” sahil niche gir pada aur bejar hokar bilkhane laga..........


Aarti ki aankhe abhi bhi bikool sukhi thi...........pattharr ki ho gyi thi shayad aarti..................usne sahil ko chup karane ke liye ek bar fir se uske kandhe par hath rakhna chaha...........sahul ne uska hath jhatak diya...........sahil ki aankhe ekdam laal thi ...........


“nhiiiiiiiiiii........chhuna mat mujhe...........juhi sahi kahti thi aarti............tum muhbbat ke laayak nhi ho.......nhi ho tum muhbbat ke layak........... BEWAFA HO TUM ... BEWAFA.........are tum to nafarat ke layak bhi nhi ho.........aur ek mai hu....huhn.... jaan tak dene chala tha tumhare liye.............ek “BEWAFA” ke liye..........”


“aarti mai ja rha hu.........hamesa hamesa ke liye...ab kabhi laut kar tumhare dar par nhi aaunga............aur haan....... is bharam me mat rahna ki sahil ab bhi tum par mar mitega, fir se apni zindagi daaw par laga dega..............meri zindagi bahut keemti hai.........tum jaisi kisi “BEWAFA” par lutane ke liye nhi........”



“jao kar lo apni shadi ,ban jau kisi aur ki..........fir use bhi barbad kar dena.......fir kisi aur ki banna......aur fir use......” sahil mano kise nashe ke se aalam me bol rha tha........


“sahil” aarti ko bura lag rha tha.....



“kya hua bura lag rha hai........haan...........sachchi bat aise hi buri lagti hai.........aarti mai sochta tha ki mai badnasseb hounga agar mujh tum na mili to.......lekin mai khusnaseeb hu aarti..........badnasseb to wo hai jiski zindagi me tum shamil hone ja rhi ho...................ek aakhiri bat jate jate kah rha hu............mujhe koi gham nhi hai............ kyuki maine use khoya hai jo kabhi meri thi hi nhi, lekin tumne use khoya hai jo sirf tumhara tha !!!!! sirf tumhara......”


aakhiri lafz bolte bolte sahil ki aankh thodi si nam ho gyi par is bar wo roya nhi aur wo uthakr teji se bahar nikal gaya.



“sab kuchh sahi kaha sahil......mai BEWAFA hu.............bas itanaa yakeen karna mujh par........ki maine kabhi ye nhi chaha tha , kabhi ye nhi socha tha ki tum jan dene ki kosis karoge.........kabhi nhi sahil......kabhi bhi nhi............ye maine kabhi nhi chaha.” aarti ne kaha aur chauchap uthkar apne room me jakar andar se darwaza band kar liya.



Sahil apne bag pack karke bahar nikal rha tha ......aarti uske samne nhi aayi thi aur wo chahta bhi nhi tha..............


Sahil niche hall me aa gya tha..didi bhi sath me thi.......... ........aur sabse kamaal ki bat to ye thi ki didi ne ek bar bhi us se achanak jane ki vajah nhi puchhi..........na use rookne ke liye kaha............wo bas nikal hi rha tha ki tabhi uske jeeja anadar aate huye dikhe.........aaj kayi salo ke bad unka samnaa ho rha tha..........hospital me accident ke bad wo the lekin tab sahil thik nhi tha.........uske bad se jyadatar unse samnaa nhi hua tha.........ek pal ko sahil ko thoda sa dar laga...........fir usne soch liya ki ab kya dar........... jo apna tha wo to kho hi diya.........



Lekin fir wo hua jiski sahil ko jara bhi umeed nhi thi..................jara si bhi nhi.

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 11:45

UPDATE 99-

Sahil whi khada ho gya apne jeeja ji ko aate dekhkar.............jeeja bhi uske bikul pass pahuchakar khade ho gaye.....................

Sahil ne jhuk kar unke pair chhuye to unhone uthakar use gale se laga liya............

“kaha jane ki taiayari hai” unhone bade apne pan se puchha.



Wah ri duniya !! kya khub matlabi aur swarthy logo ki duniya hai ye..............kal tak mera khoon ganda tha aur aaj mai itna apna ho gya..............sirf isliye ki ab mai ek hara hua insaan nhi hu..........kyuki ab mai ek IAS officer hu... .........sahil apne man me soche jar ha tha aur uske dil ki nafarat badhti ja rhi thi.............


“jee...bas nikal rha hu..........lucknow ja rha hu.........join karna hu duty “ sahil ne bina man ke jawab diya..............


“are yar itande din bad mile ho...............thodi der to mere sath bhi rah lo............chalo kal chale jana.....” jeeja ne uske kandhe par hath rakhte huye kaha.


“nhii jeeja .........jaroori hai ...........kafi time ho gya..........”


“whi to kah rha hu kafi time ho gya...........mere sath tumhe rahe.......chalo aaj ruk jao kal chale jana.........” jeeja ne uske hath se suitcase lete huye kaha.



Sahil ab bikul nhi jana chahta tha wapas...........aarti ka samn a ek bar wo fir se nhi karna chahata tha...........lekin jeeja itane apne pan se kah rhe the ki wo mana bhi nhi kar paa rha tha.......itana jahar ugala tha unhone uske khilaf,lekin fir bhi,,,,,,,,,,,...yhi to zindagi me sahil nhi kar pata tha........usne bina man se hi sahil lekin apne kadam ek bar fir se ghar ki taraf wapas mod liye.



“tum bas do minute baitho mai abhi fresh hokar aata hu......” jeeja use baithte dekhkar bole aur washroom me ghus gaye......didi bhi kuchh bnanane ke liye kitchen me chali gayi.........



Sahil whi baitha is ghar ki daro deewar ko nihar raha tha........aur uske dil me dard ki ek lahar uth jati thi...........aise hi baithe baithe use pata nhi chala ki kab aarti bhi wha aakar baith gayi........uski thik bagal me.............



“sahil” uske muh se apna nam sunkar sahil ne uske chehre ki or dekho..............bikul sapaat chehra , koi emotions nhi,............... koi dekhe to pata na chale ki wo khus hai, dukhi hai ya fir naraz hai.................sahil ko bhi kuchh pata nhi chala.....aur chalta bhi to shayad ab use koi fark nhi padne wala tha..........


“juhi se pyar karte ho.............?...” aarti ne badi himmat juta kar kaha.



Sahil kuchh nhi bola aur nafarat se dusri taraf nazre ghuma li...............



“ wo to aapko bahut chahti hai.............kya aap nhi...” aarti bahut darte darte bat kar rhi thi aur jane kyu kar rhi thi.............abhi to itana kuchh sunaya tha use sahil ne.........



“plz sahil, kuchh to boliye ........kya aap use pyar nhi..............” aari ki bat adhoori rah gayi........



“shut up ..........just shut up............pyar jaise pakh sabd ko apni juban par lakar ganda mat karo................aur juhi............hummmm........uska nam bhi lene layak nhi ho tum.......uske pairo ki dhool ke barabar bhi nhi.............tum kya jano juhi kya hai............mai use pyar karta hu ya nhi, iska tumse koi vasta nhi........lekin mai uski ibadat karta hu,,,,,,poojta hu mai use,......pari hai juhi,jo dusro ke sapne sajanaa janti hai, sabkuchh lutana janti hai............dusro ki khusi ke liye jeeti hai wo............” sahil bahut nafart ki nigah aarti par dalta hua bola.........



“kya is ibadat me muhabbat bhi shamil hai sahil...?” aarti apni har beijjati bardasht karte huye bahut shant bhav se bat kiye ja rhi thi.



“muhabbat ??????............hunh....ek bar m uhabbat karke dekh li..........jis se ki usko bhi dekh liya.........koi muhabbat nhi hoti duniya me.............sab kuchh sirf matalab hota hai.......sirf aur sirf apna swaarth............aur plz tum aur kuchh mat poochhana.............tumse bat karna bhi ek sajja lagti hai ab mujhe.............” sahil bahut gusse me tha lekin apni aawaz dba kar bol rha tha...........jaise koi funfkaar rha ho.



Aarti ne kuchh nhi kaha.......bas ek gahri saans li aur chuchap baithi rahi.........tabhi didi hath me tray lekar andar aa gayi...............chai,kuchh snacks aur kuchh aur nashte ki cheeje thi usme...............



Sahil ne chehra uthakar dekha unki or..............aankho ke kinare geele ho gaye the unke.............shayad unhone sahil ka jawab sun liya tha..........unhone jaldi se tray rakha aur sabse nazre bachate huye apni aankhe ponchh dali..............lekin sahil ki tej nazro se wo bach na payi.............wo kuchh nhi bola............is samay itani nafarat bhar gayi thi uske andar ki use kisi ke aansuo ki koi parwah nhi thi...............



5 sal bahut samay hota hai..........5 sal bina kuchh kahe, bina kisi shikawe- shikayat ke usne aarti ka intazaar kiya tha........sab kuchh harte huye bhi usne apni muhbbat ka daman nhi chhoda tha......apni muhabbat ka bhrosa nhi tootne diya tha.............apne dil me uski muhbbat ka chirag jalaye rakha tha............lekin aaj us chirag ne hi uske dil me hi aag lga diya tha aur us aag me muhbbat ka har sapna , har umeed jalkar rakh ho gayi thi.


Thodi der bad sahil aur jeeja baithkar chay pee rhe the...........sahil unse bhi naraz tha,,bahut naraz lekin kuchh kah nhi rha tha...............wo to mano sari duniya se hi naraz tha.....



“sahil,inassan zindagi me kabhi kabhi kuchh aisa kar deta hai ya kuchh aisa kho deta hai jisko kabhi wapas nhi laya ja sakta..............jiski bharpayi kabhi nhi ho sakti...........maine bhi kuchh aisi hi galtiya ki hai apne past me..........” jeeja bade dheere dheere bol rhe the........sharmindagi ka ek rang unke chehre se jhalak rha tha,


Sahil ne kuchh nhi kaha bas unki or dekhta raha...kya unke chehre ki sharmindagi sahil ko uske wo din lauta sakti thi jo usne tanha ro ro kar gujare the...........nhi........



“mai kabhi itani himmat nhi juta paunga ki apni galtiyo ko bayan karu .......lekin agr ho sake to mujhe maaf kar dena............” aaj usne jeeja ki aankho me pahli bar aansu dekhe the......


Sahil kuchh nhi bol rha tha................itan bada nuksaan hua tha uska , kaise maf kar deta wo...........


Sahil whi baitha rha ...........jeeja bhi baithe the lekin koi khas bat-cheet nhi ho rhi thi...............



Sahil ka phone ghanghanaa utha............

Juhi ka phone tha............



“sahil , wo.... .wo..........babaa.........aap jaldi se aa jao sahil plz............”



“juhi kaha ho tum .......ro kyu rhi ho .....mai abhi aata hu..............chup raho rowo mat .......mai abhi pahuchata hu..........” sahil ko juhi ki aawaz ke bich uski siskiyan sunai de rhi thi


“sahil aap jaldi aa jao mai bahut akeli hu ............abbu bhi yha nhi hai........baba ki tabiyat bahut kharab hai................”


“mai abhi aaya juhi.......achhha wha kisi ko phone do............”


Juhi ne ek ward boy ka phone thamaa diya .............sahil ne whi pas me pade paper par address note kiya hospital ka aur turant nikal pada.............


“sahil mai bhi chalta hu.........” jeeja bole.



“nhi aap rahne de............abhi aaye hai.......mai dekh lunga.........” sahil bas itna hi bola.


“gadi le jao sahil...........jaldi hoga.....” jeeja ne chabhi uski or badhate huye kaha.......sahil ek pal ko thithaka fir gadi ki chabhi tham li.........


Sahil ghar se nikal chuka tha............


Thodi der bad wo city hospital pahucha aur teji se us ward ki taraf badh gya..........



Juhi bahar corridor me bathi thi jabki baba andar the aur shayad so rhe the.........dawa ke asar se........jaise hi usne sahil ko dekha bhagti huyi uske seene se lag gayi aur phoot phoot kar rone lagi..............



“chup ho jaye juhi......mai aa gya hu na ......plz chup ho jao.......khan baba ko kuchh nhi hoga...........” sahil use apne seene se lagaye lagaye uske sar ko sahlate huye use chup karane ki kosis karne laga........juhi abhi bhi bahut masoom thi ...........usne kabhi ye sab situation dekhi nhi thi........aur achanak baba ki tabiyat kharab hone se wo bahut dar gayi thi .....sahil ki baho ka saharaa pakar uska dil tadap utha aur wo rone lagi thi.........


Thodi der me doctor se bhi sahil ki bat huyi .....unhone bataya ki baba ki halat stable hai aur shayad kal tak discharge ho jaye agar aaj raat me thik rahte hai to.............



Sahil bahar se kuchh khane ko laya,,,,,jabardasti usne juhi ko thoda sa khilaya aur khud bhi khaya....rat ke 9 baj gaye the...........sahil ne lakh kosis ki par juhi use aur baba ko chhodakar ghar jane ko raji nhi huyi........aur dono baba ke room ke bahar baithe rahe........



“sahil baba thik ho jayenge na......?????? .” juhi bachpan se hi apne baba se bahut attached thi, uski koi bhi farmayish hoti aur baba muh se nikalte ke sath hi poori kar deti.............ab unhe khone ka dar juhi ko satane laga tha.,



“ha juhi,bilkul thik ho jayenge........” sahil ne bade pyar se kaha.


“sahil wo aaj subah jo kuchh kaha maine ......uske liye sorry.........” juhi ne badi masoomiyat se apne hatho ko apne kan se laga liya.



Sahil ko bahut pyar aa rha tha us par...........



“pagal ho tum poori............sorry kis bat ki..........aur aise bhi koi sory kahte hai kya ” sahil ne halka se muskurate huye kaha.



“ha jinhe hum muhbbat karte hai unse ........” juhi ke muh se achanak nikal gaya aur fir usne apni nazre juhka li.


Sahil ke dil me kisi ka chehara ghoom gaya..........wo bhi to aise ho sorry bolta tha apni aarti ko manane ke liye..........aur fir usne apne sar ko jhataka.....us bewafa se ab kya rishta.


“thank u sahil ....” juhi ne dheere se kaha.......



“tum pagal ho.....poori pagal.........ye kya kabhi sorry ,kabhi thank u......juhi tum mere liye in sab bato se bahut upar ho............bahut jyada upar.........kabhi sorry mat bolna aur kabhi thank u bhi nahi............samjhi............” sahil ne uski aankho me ektak dekhte huye kaha.............aur juhi bas halka sa muskura kar rah gayi.............



Rat ke 11 baj gaye the aur sahil chupchap baitha apne khyalo ki duniya me gum tha.........juhi uske ek baju ko apne hatho me liye huye us se chipki thi aur apna sar sahil ke kandhe par rakhe so rahi thi...................sahil ki nazar uske masoom chehre ki or barbas hi chali gayi............aur aaj zindagi me pahli bar na chahtte huye bhi aarti ko kisi se compare kar rha tha.......kyuki aaj tak kabhi usne aarti ki tulna kisi se ki hi nhi thi........aaj tak to uske liye aarti har shakh se se upar thi..............bahut upar.



Lekin aaj wo compare kar rha tha..............”AARTI Vs JUHI”




‘aarti ki muhbbat ,ek dhoka......juhi ki muhabbat ek kurabni.............juhi ne mujhe tab bhi pyar kiya jabki use pata tha ki mere pass kuchh nhi hai........use pata tha ki mai aaj bhi kisi aur ko chahta hu...........use pata tha ki mai har baji har chukka hu...........lekin fir bhi usne mera hath tham liya......mujhe bikharne nhi diya...........itani pak muhabbat hai juhi ki.........”



Aaj sahil ko juhi aarti se milo aage khadi dikh rhi thi.............aur aarti aur uski muhbbat “bewafayi” ke daldal me fasi kahi bahut pichhe chhootti nazar aa rhi thi............bahut jyada pichhe..........



“tumne sahi kaha tha juhi........... agar ab bhi mai apni sachchi muhbbat ko nhi pahchan paya to mai bahut badnaseeb hounga.............lekin kya mai tumhe wo muhabbat de paunga......” sahil ne ek bar apne aap se sawal kiya aur bina jawab ka intzar kiya juhi ke mathe ko pyar se choom liya aur use apne aap me samet kar khud bhi us se lag kar aankhe band kar li.


Sahil ne aankhe band kar li aur shayad palak jhapakte hi ek neend ka jhoka aa gya.........................




“kya hua sahil...........sari kasme ,sare wade,,,wo sari muhabbat ki badi badi baten.....kya hua un sabka...........tumne to kaha tha ki muhbbat sirf ek bar hoti hai ......fir kya hua....dusri bar kaise ho gayi sahil..........muhbbat ek bar hoti hai aur fir wo ya to haar jati hai ya jeet jati hai.......yad hai, tumhi ne kahi thi na ye bat.......to kya hua......tumhari muhbbat har gayi kya sahil...........ha ha ha........muhbbat karna aasan hai, kahna ki tumse muhbbat hai , aur bhi aasan hai............lekin muhbbat nibhana nhi aasaan hai.........jane do sahil tumse na hogi ye muhbbat......” sahil ne jhat se aankhe khol di.....aisa laga jaise aarti uski muhbbat ka majak uda rhi hai, has rhi hai usi muhabbat par.......




“nhiiiiiiii” sahil ke munh se ghuti ghuti si chikh nikali..........juhi chaunk kar uth gayi...........



“Kya hua sahil aap thik hai na” usne hairat se sahil ki or dekhte huye kaha..........



Sahil ne ha me sar hilaya.....



“bas kuchh baten aisi hoti hai jo kabhi peechha nhi chhodati.......kabhi yaden bankar aur kabhi sapne banakr darati hai..........” sahil ne khoye khoye se andaz me kaha............



“mai samjhti hu sahillllll......sab thik ho jayega.......mai hu na.........” juhi ne pyar se kaha aur sahil ne apna sar uske kandhe par rakh diya..........



Baba ko subah discharge kar diya gya tha.............sahil juhi ke sath uske ghar aa gya .......baba ko chhodkar wapas lucknow ke liye nikal rha tha.........



“sahil kuchh din rook jao.....ek bar baba poori tarah se thik ho jao fir aap chale jana nhi rokungi..........ya fir jaise hi abbu aa jaye...........

Sahil ne ek bar uski or dekha..............



“Thik hai.........mai dekhta hu......apni chhuti extend karwani hogi mujhe..........”sahil ne kaha.......



“yha se ho jayegi ya jana hi padega..........” juhi ne kaha.



“mai dekhta hu shayad ho jaye......rahul se bat karta hu............achchha mai kahi ja rha hu isi chakkar me ....koi jaroorat ho to phone kar dena...............” sahil ne kaha.......juhi bas haa me sar hilakar rah gayi...........



Sahil bahar nikla hi tha ki jeeja ka phone aa gya.........usne beman se phone uthaya.........


“haa sahil ....kaise hain ab wo............”


“jee ,thik hai,ghar par aa gye hai............”


“tum rukoge ya jana hai...”


“jee abhi dekhta hu....shayd rukunga.....”


“kaha ho is waqt........”


“abhi to bahar aaya hu .............sham tak juhi key yha pahuchunga” sahil har bat ka sankchhipt sa jawab de rha tha............



Aur fir thodi si bat karke phone cut kar diya....




*************************************************************************************



Door bell bahut der se baj rhi thi............juhi ne jaldi jaldi jate huye darwaza khola samne aarti khadi thi............udas si ,bujhi bujhi si, hari hari si aarti.................



“kya chahiye” usko dekhte huye juhi ne badi nafarat se kaha.



Aarti ne bilkul bhi aisa nhi show hone diya ki use zara sa bhi bura laga hai uski bat ka.............



“andar aa sakti hu....???????...thodi der bat karungi fir chali jaungi.............” aarti ne dheere se kaha.............



“jee to nhi chahta ki tumhe apne ghar me aane du.........lekin sahil jaise shakhs ne muhbbat ki hai tumse.........isliye majboor hu ,mna nhi kar sakti..........” juhi jo har kisi se bahut narmi se bat karte thi , aarti ke samne aate hi mano shole ugalane lagti..............wo darwaza chhodkar hat gayi aur aarti ko andar aane diya.............



Aarti juhi ke room me bathi thi..........bed ke thik pas me sahil ki ek khobsoorat si tasweer rakhi thi........pahle ki aarti hoti to ye bahut jalaane wali bat hoti , juhi se ladayi bhi ho jati shayad.........lekin ab wo aarti thi hi nhi.....kahi nhi.......


Usne juhi ki aankho me dekha......siway nafart ke kuchh nhi tha uski liye.........



“bolo jo bolna hai....mere pas itna faltu time nhi hai ki tum jaisi ladki par barbad karu...........” juhi ne ek aur teer chhoda..........jo aarti ko bahut andar tak laga lekin wo in sab ko bardasht karne ke liye taiyar hokar aayi thi............



jab bhi juhi aarti ko dekhti thi use wo rota bilkhata, toota hua sahil yad aa jata tha......... aaj bhi uska wo ro ro kar kahna ki “ juhi mujhe uski yad aati hai......juhi use bolo na ki wapas aa jaye............” ........aaj bhi use yad tha .....sab kuchh yad........aur fir nafart ki siway kuchh nhi aata tha uske dil me aarti ke liye...........



“juhi maine sahil ka hath us samay chhod diya jab use meri sabse jayda jaroorat thi............vajah chahe jo bhi rhi ho ................”aarti itna hi bol payi.........



“nhi aaj tumhe wo vajah mujhe batani hogi............nhi to mujhe aur kuchh nhi sun na............” juhi ne sahi mauka dekhkar kaha......



“thik hai batati hu..........” aur aarti ne wahi sari story juhi ko bata di jo usne sahil ko batayi thi...........


Uski bat sunkar juhi ka chehra thoda shant sa dikhne laga........wo ek ladki thi ......shayad aarti ki majboori ko jyada ache se samjh sakti thi.........



“aarti ..fir bhi tumne jo kiya wo galat tha............poori tarah se galat..........agar sahil ko kuchh ho jata to.............” juhi ne pahli bar thodi narmi se kaha.



“janti hu.........meri galti ki koi mafi nhi hai..........lekin mera vishwas karo maine kabhi ye nhi socha ki sahil apni jaan dene ki kosis karenge.....ye bat us samay mere jehan me nhi aayi.........shayad mujhe sahil ko sab bata dena chahiye tha...............”aur aarti kuchh kahte kahte achanak ruk gayi............



“janti ho insan ko sabse jyada dukh kab hota hai.......... tab jab “ wo shahs” uski baho me apni muhabbat ke liye ro rha ho , jise wo sabse jyada pyar karti ho........haa aarti.........mai bhi sahil se bahut muhbbat karti hu.....aur meri baho me sahil tumharre liye rote the.....mera dil har bar tutkar bikhar jata tha.........”



Juhi bolti chali gayi............




“sahil ne tumse baut gahri muhabbat ki hai aarti.......kaun karta hai itni muhbbat .......sahil jaise shakhs pe to hazaro ladkiya mar mite............maine bhi sahil ko jee jan se chaha lekin unhone kabhi ek bar bhi muhabbat ki nazar se dekha tak nhi .............kyuki wo sirf tumse muhabbat karte the............itna sab kuchh hone ke bad bhi , kabhi unke muh se ek lafz tumhare khilaf nhi suna maine........kbahi tumhe koi dosh nhi diya unhone................wo aaj bhi sirf tumse muhabbat karte hai...........laut jao unke pas ho sake to..........” juhi ne apne dil par patthar rakh kar kaha.



“nhi jjuhi ...........ab wo mujhse muhbbat nhi karte........ab hamare raste alag hai......mai kahi aur shadi kar rhi hu, apni marzi se ..........” aarti ne jabardast kosis ki apne aansuo ko control karne ki aur wo safal bhi ho gayi.



Juhi ne ek taras bhari nazar us par dali.............kahi aur shadi apni marzi se............???????/uski kuchh samjh me nhi aa rha tha .....aarti ki juban kuchh kah rhi thi aur uski aankhe kuchh aur.........



“mujhe samjh me nhi aa rha ki tumhe khusnaseeb samjhu, jise sahil jaisa muhbbat karne wala shkahs mila -ya badnseeb jise us muhbbat ki kadar hi nhi thi...........”





“juhi, meri galti bahut badi hai.....aur mai koi safayi bhi nhi dena chahti hu........” aarti boli.


“bas ek vinti hai tumse...........”aarti ne thoda sa ruk kar kaha........



Juhi kuchh nhi boli............



“ sahil tumhe pari kahte hai.....sabki wish pariyaan poori kati hai........ek meri bhi kar do........sahil ki muhabbat ban jao........sahil ko itna pyar dena ki use kabhi kisi ki yad hi na aaye,,,,,,,,,..bas yahi kahne aayi thi ........” aarti ne kaha aur turant uthakr pichhe mudakr jane lagi..........



Aarti darwaze ke pas jakar mudi..........



“ unhe bahut khus rakhna juhi.........jo pyar main na de saki tum dena.......bahut masoom hai mera sahil...apne sahil ko tumhare hatho me saup kar ja rhi hu..........kabhi use hurt mat karna........mere sahil ka khyal rakhna juhi..........” aarti ne kaha, usne chehre par kuchh nhi aane diya lekin uska dil ro rha tha.........cheekh cheekh kar.


Juhi ko uska “mera sahil” kahna achcha nhi laga........shadi kisi aur se aur haq abhi bhi sahil par......


“mera sahil.......????????” na chahte huye bhi uske lafjo me tanj aa gya,



“sorry, tumhara sahil ...........sirf tumhara sahil........ab kabhi nhi kahungi mera sahil........apne sahil ka khyal rakhna juhi......” aarti ne kaha aur teji se bahar nikal gayi.




Juhi ko khusi nhi ho rhi thi......jane kyu use lag rha tha ki kuchh galat ho rha hai....kuchh bahut jayada galat..........kal sahil uske pas nhi tha is liye khus nhi tha, aaj sahil uske pas tha fir bhi wo khus nhi thi..........jane kyu use aisa lag rha tha ki usne sahil ko paya nhi hai.........chheen liya hai.



Aarti apne gadi me baithi aur itani der se ruke aansuo ko aur na rok saki...............buri tarah se cheekh cheekh kar rone lagi..............aaj usne kya khoya tha sirf whi janti thi...



Jane kaun sa mod lene wali thi ye chahato ki dastaan.........na sahil khus tha, na juhi khus thi aur na hi aarti khus thi...........kya diya tha un sabki muhabbat ne unhe ???????......sirf aur sirf aansu.............



Kya fyada aisi muhabbat ka??????????????????????????

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 11:45

UPDATE 100-

Juhi ko ek anjaane se dukh ka ahsaas ho rha tha...........aarti ke wo sabd ki “ mere sahil ka khyal rakhna” ...use bahut dukh de rhe the............


“aisa kya ho gya ki aarti kisi aur se shadi kar rhi hai..........mana ki uski ek majboori thi jab wo sahil se door huyi ...........lekin ab..........ab to sab kuchh thik ho jana chahiye............sahil to use ab bhi utna hi chahte hai.............ya ho sakta hai wo bat sunkar ab sahil ke dil me muhbaat na rhi ho..............” juhi apni hi socho ke bhawar me doobti chali ja rhi thi...............
Use kuchh samjh me nhi aa rha tha.................



Sham ke 6 baj chuke the aur sahil juhi ke pas wapas aa gya tha...............baba ki tabiyat kafi had tak sambhal chuki thi aur sarfaraz sahib do din bad aane wale the...................


Rat ka khana khakar juhi ne baba ko dawaye di aur fir unke room me unhe pahuchakar sahil ke sath dining room me baith gayi..............



Sahil kisi gahri soch me dooba tha............dono sofe par ek sath baithe television par nazre jamaye the ......lekin sahil ka dhyan kahi aur hi tha............juhi uske bikul pas baithi thi.................usne sahil ke chehre ki or dekha........................


“kya hua sahil...............aap kuchh soch rhe ho............” juhi ne badi muhabbat se uska hath apne hatho me le liya.



“aaww...haan.........wo ..............juhi usne mujhe kuchh bataya............” sahil bola.



“kisne ? “ juhi janti thi fir bhi usne puchha.



“aarti ne............”


“kya bataya............?????.” juhi ne fir puchha.


Sahil ne whi sari baten bata di....................



Juhi ko sab pta to tha hi lekin usne kuchh nhi kaha..............usne nhi bataya ki aarti aaj uske pas aayi thi.........




“tumhi batao juhi......isme meri galti kaha hai............jo galti maine nhi ki uski sajaa fir mujhe kyu ???????????............4 sal ki aisi sajaa jo mere saanse tak mujhse chheen leti, agar tumhari ye meharbaan bahen mujhe tham na leti...........thank u juhi..........” sahil ne uski aankho me badi muhabbat se dekhte huye kaha............



Juhi ki samjh me nhi aa rha tha ki kaun galat hai aur kaun sahi.............



“sahil kya pata koi aur bat rhi ho .......jo usne na batayi ho.............”juhi ne apne dil ki bat kah di...........ek kosis to karna banta tha aarti ke liye.



Sahil khamosh rha is bar.......




Sahil ne apna sar juhi ke kandhe par tika diya.................”



“mai bahut thak gya hu juhi............bahut thak gya hu mai.............” usne dheere se kaha aur aankhe band kar li...........



Juhi abhi bhi khamosh thi bas apne hatho se halke halke sahil ke balo me hath pherte huye sochti ja rhi thi..............


Aur thodi der bad sahil aur juhi dono apne apne kamre me neend ke aghosh me samaa gaye.



“sahil ek bar kal chalenge ham aartii ke yha.......sabse puchhenge ......kya pata aur koi bat bhi ho.............” subah juhi ne chay peete huye sahil se kaha...........kitna pyara dil tha juhi ka...jis sakhs ko itana chahti thi sue bhi khone ko taiyar thi........bas isliye ki aarti ki muhbaat agar sachchi ho to fir use hi mil jaye sahil.



Sahil kuchh nhi bol rha tha..........lekin uski aankho me sahmati thi.



“ thik h ...jaisa tum kaho........juhi mai do din bad yha se chala jaunga........kal uncle bhi aa jayenge aur ab baba ki tabiyat bhi thik hai.......chalo aaj kuchh shopping kar lete hai.............mummy ke liye kuchh le lunga...............fir lucknow se hi gaon chala jaunga kuchh din ke liye......... jaise hi time milega..” sahil sham ko juhi ke sath baitha tha ,jab use kahi bahar jane ka mood hua aur wo bol pada.



“thik h.......mai bas do minut me aati hu...............” juhi ne dheere se kaha.......sahil ke chale jane ka sunkar uska man udas ho gya........lekin wo kuchh boli nhi.



Yu to aarti use bol kar gayi thi ki sahil ko wo pyar de, use apnaa banaa le........lekin juhi ki himmat nhi ho rhi thi.....jene kyu bar bar dil me aata ki kisi ko dukh pahucha rhi hai, kisi se kuchh chheen rhi hai.......aur juhi to pari thi.......usne to dena sikha tha..........fir wo kisi se kaise kuchh chheen leti.



Thodi der bad juhi sahil ke sath market ko nikal gayi.



Juhi aur sahil ek mall me ghoom rhe the........sahil ka dil ghar par bhi nhi lag rha th isi liye wo yha aaya tha ..........lekin ab use lag rha tha ki yha aana bhi bekar hi hai.........uska man nhi lag rha tha kahi.


Sahil juhi ko lekar ek kapdo ke showroom me ghus gya aur mummy ke liye kuchh sadiya select karne laga..........



“aarti...! wo dekh sahil “ whi kuchh doori par dusre counter par aarti apni mummy aur kuchh ladkiyon ke sath baithe kuchh kapde dekh rhi thi .............jab uski ek friend ki nazar sahil par padi aur wo dheere se aarti ke kan me boli.



Aarti ki nazar sahil par padi ..........khus to nhi lag rha tha sahil.........uske chehre par ek gahri udasi ka saya tha,,,,,,aarti ne apni nazre hata li uske chehre se..............aur saamne rakhe dher sare lahngo me hath pherne lagi...........


“kya bhaiya, aapke pas kuchh latest ho to dikhau nhi to hum ja rhe hai.............” aarti ke sath wali ek ladki boli.



“are kya bat kar rhi hai madam ...........ye green wala dekhiye.........ekdam jabardast item hai............abhi mangaya hai...........” salesman bola.


Aarti ne wo wala joda uthaya aur apne sar par pallu rakh kar sabko dikhane lagi.............



“wah madam ......khuda kasam bahut khubsoorat lag rhi hai aap......ekdam dulhan........” salesman is bar khusi me aakar shayad jyada hi tej bol gya..........aur thodi hi door par khade sahil aur juhi ki nazre us or uth gayi.....................



Sahil juhi ko dekhta hi rah gyi...........sachmuch bahut khubsoorat lag rhi thi wo...............aur bahut khus bhi........



“Sahil , aari ” juhi ne kaha.........


“hummm .............dekh rha hu...........” sahil behad udas lahje me bola.



“kya kar rhe hai wo log” juhi ne ek bevkoofi wala sawal kiya.



“apne shadi ki shopping kar rhi hai..........” sahil ki aankhe bhar aayi ye bolte bolte............



Juhi ne ek bar uske chehre ki or dekha.........aur dheere se uska hath apne hatho me le liya.......jabki aarti unki or nhi dekh rhi thi...............aur badal badal kar lahnge apne sar par rakh kar check kar rhi thi.............aur badi khusi khusi sabko dikha rhi thi........”kaisi lag rhi hu”



“chalo juhi .........” sahil bahar ki or nikalta hua bola.



Juhi kuchh samjh nhi pa rhi thi ki kya kare,,,,,,,,,,


“juhi plzz...chalo yha se.........”sahil cheekhte huye bola..........sabki nazre udhar uth gai aur juhi sahil ke sath bahar nikal gayi.............



Poore raste sahil ne juhi se koi bat nhi ki..........uska chehre par ek sakhti thi......... na koi dard tha , na koi aansu..........



Sahil juhi ke sath khana kha kar baith tha........dono me jyada kuchh baten nhi ho rhi thi..........



“sahil , “ juhi ne dhhhere se uska kandha hilaya..........



“umm........haaaaan..”sahil jaise kisi khwab se jag gya.



“mai hamesa tumhare sath rahungi..............” juhi ke man me jane kyu yhi bat aa gyi..


Sahil kuchh nhi bola...................


“juhi mai bhi hamesa tumhare sath rahunga,.....hamesa...........” sahil ne bas itana hi kaha.




Juhi ki himmat nhi pad rhi thi ki aarti ki koi bat kare................aur shayad ab bat karne ko kuchh bacha bhi nhi tha.............



“juhi ek vada karogi............” sahil ne kaha.



“boliye........” juhi boli.



“mummy papa ke bad, ek tum hi ho jise mai ab apna manta hu............tum kabhi aarti se mat milna ......mujhe achcha nhi lagega............tumhe meri kasam ............” ye kya bol diya tha sahil ne...........juhi ka muh khula ka khula rah gya...........



“nahi milungi sahil....” juhi ne uske chehre ko apne dono hatho me bhar liya aur sahil uske gale lag kar rone laga............sari sakhti toot kar un aansuo me bah gayi...........uff ye muhbbat kiyna majboor kar deti hai insan ko.


Dusre din sarfaraz sahib aa gaye aur sahil chala gya wapas lucknow..............apni duty par........dil ka dard ab bahut jyada badh gya tha ........dilli me aur rukta to jane kya ho jata............


Lagbhag ek hafte ho gaye the sahil ko aaye........aaj didi ka phone aaya tha.......sahil ne bujhe man se phone utha liya.........



“ sahil,kaisa hai beta.......” aaj didi ki aawaz me sahil ko na jane kyu pahle wala pyar lag rha tha........aur jab bhi kuchh use pahle jaisa yad aata uski aankhe bhar aati.......



“thik hu didi, aap kaisi hai............” sahil ko unki aawz bahut udas udas si lag rhi thi............


“mai bhi thik hu...........wo..wo..wo.beta...........”didi kuchh kahna chah rhi thi par kah nhi paa rhi thi.......


“jee kahe...........”



“beta ...wo.....aarti ki shadi ki date pad gayi hai ......to...wo......mai chahti thi ki tum aa jao...........sab jaldi jaldi me hua hai.......ladke wale simple tarike se karna chah rhe the to.....isiliye kisi ko bhi nhi bulaya............25 ko hai.......10 din rah gaye hai........” didi ne mano darte darte kaha...........


Sahil ko laga kisi ne uske seene me khanjar mar diya..........”aarti ki shadi”.......meri aarti ki shadi ......



Sahil ne phone kat diiya aur farsh par gir kar rone laga............



“kya kar diya tumne aarti......?? maine kabhi nhi socha tha ki tum kisi aur ki ho kar bhi jee logi.......kya huye wo bade bade vade........kahaan gayi wo kasme........tumne to kaha thi ki tumhari doli sirf mere nam ki uthegi.......kya hua un baton ka aarti..........kya karunga mai tumhare bad..........” sahil ki sari narazagi ,aur aarti ki sari bewfayi , abhi kahi door door tak nazar nhi aa rhi thi.......... abhi to bas sahil ka dard tha jo use tadpa rha tha..........wo bachpan ki muhabbat use rula rhi thi .........aarti ka kisi aur ka ho jane ka ahsaas ,use kho dene ka ahsaas......sahil bardasht nhi kar pa rha tha............. aaj fir se wo bachcho ki tarah bilakh rha tha........


wo rota rha ..........didi ka phone bar bar aa rha tha lekin wo utha nhi rha tha......bas sisak-siasak kar roye ja rha tha............


Bahut der tak rota rha..........aur jab sambhala to ek bar fir dil par dimag hawi hota chala gya........usne apne aanssu ponchh dale..........




”thik hai aarti mai tumhari khusi ke bich kabhi nhi aaya ,to ab bhi nhi aaunga............jaa “bewafa” khus rahna”



Usne phone uthaya aur didi ko call lagaya......



“jee didi , mai jaroor aaunga...........” sahil ne bas itana hi kaha aur phone rakh diya........



whi pas me rakhe sofe par baith gya.......is se pahle wo kuchh aur soch pata bahar pahra de rhe guard ne aa kar kaha...........



“sir koi madam aayi hai....bahar baithaya hai.....juhi nam bata rhi hai.............”



“abe tum pagal ho kya......juhi ko bahar bithaya hai..............” sahil ek pal ko sab kuchh bhool gya...........aur daudat hua bahar nikala.


Bechara guard kya jane kaun hai juhi...........



“are juhi tum...........what a pleasant surprise.......ek phone nhi kar sakti thi..............” sahil ne use gale se lagate huye kaha........bahar khade gaurds ko dekh kar juhi thoda sharma gyi.



Sahil ko bhi feel hua............



“aao andar chalo “ sahil fir bhi uska hath pakde use andar le aaya.



“ab batao kaise aana hua........” sahil ne jabardasti ki muskurahat apne hotho par lane ki kosis ki.


“aise hi .......aapki bahut yad aa rhi thi so chali aayi............aa nhi sakti hu kya mai???” juhi ne bade haq se kaha.



“kaisi baten karti ho juhi........sahil ka sab kuchh tumhara hi to hai...........” sahil ne kaha.



“sabkuchh?????? Soch lijiye..... fir mukar mat jayega apni bat se ” juhi ne thodi sharara t se kaha.........sahil ke chehre ka rang badal gya...........uske dil ki udasi chehre par aa gyi.............




“chhodo ye baten....baba kaise hai.........” sahil ne poori koisis ki apne dard ko chhupane ki lekin juhi to uski rag rag se wakif thi..............



Tabhi sahil ka cook ,jo ki sare kam bhi karta tha ghar ke ,unke liye chay lekar aaya..........samne rakhe table par chai aur kuchh khane ki chije rakhkar wapas mud gya.............



“lo chay.....ha batao na kaise ha khan baba” sahil dar rha tha ki juhi puchhegi fir se ........uski uadasi ki vajah.


“thik hain.....par kabhi kabhi bahut serious ho jate hai..............aajkl abbu ghar par hai to maine socha kyu na mai hi thoda ghoom lu..............hamesa wo ghumte hai............” juhi sahil ki aankho me dekhte huye halka sa muskura kar boli.


“achchha kiya chali aayi.....kal tumhe lucknow ghumata hu..........”sahil bola.


“sahil ek bat batau, abhi bhi aap mujhse kuchh chhupa nhi sakte............bataiye kya bat hai........” juhi se ab bardasht nhi hua.



“jab kuchh nhi chhupa pata to pooch kyu rahi ho........khud hi jan lo....” sahil ne badi berukhi se kaha.....shayad use juhi ki bat achchhi nhi lagi.



“achchha sorry baba, ab bata do...........itana to mujhe pata hai ki kuchh bat jaroor hai..........aapki aankhe bata rhi hai............” juhi ne bade pyar se kaha.



Sahil kuchh nhi bola..........



“plz sahil..........” juhi ne uska hath apne hatho me lete huye kaha.



“uski shadi hai 25 ko, did ne mujhe bulaya hai...” sahil ne bas itna hi kaha aur chup ho gya.



“wo to hame pata hi hai ki uski shadi tay ho gayi hai.................” juhi ne kaha....



Fir thodi der chup rahi, sahil bhi chup rha................


“aap abhi bhi use chahte ho na sahil.........” juhi ki aankhe bhar aayi..........




“nhiiiiiiii.............. us bewafa ko ???????........nhi juhi.......bikul nhi............maine itanaa kuchh saha........sabkuchh bardast kiya......lekin kabhi us ki muhabbat par shak nhi kiya......lekin usne meri muhabbat par shak kiya...........uske papa ne kaha aur wo man gayi...........mera bhai vahshi tha to usme mera kya kusoor tha.........ek bar mujhe bol ke to dekhti khusi khusi uski zindagi se chala jata.......... leki usne mujhe kuchh nhi kaha .....bas chuchap apna daman mere hath se chhuda liya.......aur kisi aur ki hone ka faisla kar liya..........mai ab kaha hu uski zindagi me juhi.....????....mai kabhi tha, kyuki tab use meri zaroorat thi.........ab nhi hai.......jis muhbabat par usko aitbar hi nhi rha us muhbbat ki kadar kya hogi use............” sahil bolte bolte ruk gya..........ab uski aankho me aansu nhi the.........gussaa tha, nafarat thi.......



“mai jaunga uski shadi me ......jaroor jaunga......mujhe koi fark nhi padta .......” sahil ne nafarat se kaha



Juhi samjh rhi thi uski nafrat ki vajah .....aur jo halat usne sahil ki dekhi thi, us sochkar use sahil ki nafart zayaj bhi lagti thi...............


“nhi sahil..........aap wha nhi jaoge..............plz........” juhi ne kaha.



“nhi juhi mai jaunga..........jaroor jaunga............”


“kya milega aap ko wha jakar.............” juhi ne kaha.



“kuchh nhi milega.......bas us bewafa ko dikhane jaunga ki mujhe koi fark nhi padta.............mar nhi jaunga mai agar wo kisi aur se shadi kar legi to................yhi batane jaunga use...........mai jaroor jaunga.............” sahil ka chehra nafart ki aag me bhabhak rha tha.



“nhi sahil plzzz............aap nhi jaoge ............aapko meri kasam ...........agar juhi aapki life me kahi exist karti hai to aap plz mat jana.............plzzz .” juhi ne apne sar uske pairo par rakh diya.......



“juhi ??????? ye kya kar rhi ho............” sahil ek dam sann ho gya aur uthkar sofe se khada ho gya......



Juhi ne sar uthakar bheegi aankho se uski or dekha.........juhi ki aankho me ek iltiza thi...........sahil ne use uthaakar apne seene se laga liya.......



“nhi jaunga juhi..............nhi jaunga........tumne ye kya kaha.........ki agr juhi kahi exist karti h meri life me ?........... are Is juhi ki vajjah se hi to aaj mai jinda hu............pari ho tum meri......tum ek bar kah kar to dekho, tumhare liye mai jan de.........” juhi ne jaldi se apna hath uske muh par rakh diya.........



“plz........akbhi aisi baten mat karna aap..........” juhi ne kaha aur fir uske seene se lag gayi.



Sahil ne uske mathe ko choom liya....



“nhi jaunga juhi ...........nhi jaunga mai.”



Juhi ek din ruk kar fir wapas delhi chali gayi...........lekin sahil ne wada kar diya ki wo nhi jayega aarti ki shadi me.....juhi ki kasam kaise tod deta.????



VISHAL nam tha us ladke ka..........ji se aarti ki shadi fix huyi thi.....dekhne me smart ..achchhi kad kathi..gora rang...... wo aarti ke sath ek garden me baitha tha is samay ...............doctor tha profession se.



“aarti kal mujh se tumhare chhote mama sahil milne aaye the.........sab puchh rhe the ..............kya karte ho , family me kaun kaun kaun hai........papa kya karte hai.....” VISHAL ne kaha.



Aarti ki dil jor se dhadak utha......uski aankhe vishal ke chehre se hat gayi..... wo dusri or dekhne lagi aur uski aankhe bhar aayi.............



“ I m sorry sahil” usne apne dil me kaha aur uthkar dusre or chal di...............ek aansu palko ke por se tapak kar un hari hari ghaso me kahi gum ho gya.



Dheere dheere kuchh mahine beet gaye.............. Sahil ki aarti kisi aur ki ho gayi thi ............aur sahil nafarat ki chingari apne dil me liye ek patthar banta chala gya..........jise na ab kisi ke aansu nhi pighla pate the aur na khud uski aankho me kabhi aansu aate the. Ab Wo bas nafarat karne laga tha ....bahut nafarat ....har kisi se nafarat.




Sahil na kahi phone karta na kisi se bat..........bas chuchap apne farz ko nibhata chalaa ja rha tha...............sari nafarat aur sara gussa dil me liye wo safalta ki nayi bulandiya chadhta ja rha tha......apni honesty aur strictness ke liye kafi famous ho gya tha wo. Pure department ki shan banta gya sahil.




Lekin is duniya se apne liye sare nata tod liye the usne ........kabhi kabhi didi ka phon aa jata ,juhi lagbhag roj phone karti thi.............rahul bhi dusre teesre din phone kar deta tha.........lekin sahil ka ab kisi se bhi bat karne ka man nhi karta..........wo khud kisi ko bhi phone nhi karta tha...........jaise duniya me use kuchh apne liye dikhta hi nhi tha...............





Aarti ka phone kbhi nhi aaya ........aur sahil ise uski bewfai ka ek aur rang samjhkar us se aur jyada nafarat karne laga tha..................juhi jab bhi sahil se milti kuchh pal ke liye sahil khus ho jata ...........lekin jane kyu aaj bhi juhi ko lagata ki sahil aarti se nafarat karne ki sirf kosis karta hai.......... nafarat kar nhi pata............aaj bhi use aarti se jalan hoti thi .........wo sahil ke pas na hokar bhi , uske pas lagti thi............bhale hi sahil kabhi uska jikar nhi karta tha...bahle hi uske jikar par nafarat se muh fer leta tha.




Jane kyu use lagta ki sahil ko ab bhi aarti ke laut aane ka intzar hai...........aaj bhi use sahil ki aankho me aarti ke liye dard dikhta .......kabhi wo dard uski bewafai ka lagta aur kabhi use khone ka........Juhi ne bhi soch liya thi ki wo bhi muhabbat sahil ke jaise hi karegi .......wo bhi apni muhabbat ke laut aane ka intzaar karegi......chahe ye intzar sari umar hi kyu na karna pade..........

Post Reply