love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 09:10

UPDATE 95-


sahiil ki mummy apne bête ke kandhe se lagi roye ja rhi thi............kitna struggle kiya tha sahil ne.......govt school me padhan........na koi coaching na tution .........aur fir kheto me bhi papa ke sath hath batana..........kitne hi bar aisa hua tha ki sahil apne school ki fees khud deta.............bachcho ko padhata..........sari umar uske papa apne bhai bahno ko karte rahe aur jab sab ki condition thik ho gaye to sabne unhe chhoda diya.............jo kuchh bhi bacha tha dheeraj ki padhai me lag gya.........sahil sabse chhota tha lekin kabhi koi sukh nhi mil paya use..............na bachpan me na jawani me................ab tak to nhi.,..




“mai tere liye kuchh nhi kar payi mere laal..........mujhe maaf karna beta.........” sahil ki mummy ko aaj apni garibi pe rona aa rha tha.........apne itane kabil bête ke liye kuchh nhi kar payi..........lekin fir bhi wo beta aaj duniya jeetakr apni maa ke kadmo me dal chukka tha...........usne wo kar dikhaya tha jo aas pas ke 50 gaon me kisi ne aaj tak nhi kiya tha...............aur fir apne maa ke gahne chhuda laya tha.................jiski umeed unhone khud bhi chhod di thi.........



“aise mat bole mummy....................aaj mai jo bhi kar paya aap ke aasshirwad se hi kar paya...........kya mujhe nhi pata hai wo halat.,.........mujhe sab yad hai mummy ......aapki kurbani.........papa ki kurbani.................mai kaise bhool sakta hu ...........apno ke liye to sab karte hai .............aapne to dusro ke liye kiya hai............aur dekhiye aaj aapki kurbani rang layi hai...........bas ab kabhi mat royiyega.........kabhi bhi nhi...........” sahil jo khud bhi ro rha tha ...apni maa ko chup kara rha tha..............




“mera bachchaaa....mera laal........” ek maa ki mamta aaj mano phoot padi thi............aaj unhe unka whi 5 sal ka sahil yad aa rha tha jo unki god me baithkar unke aansu ponchhte huye kahata tha....




“maa mat rowo mujhe doodh nhi chahiye ...........bhookh nhi lagi hai mujhe.............”




Sahil ki mummy ne un gahno ki taraf ek bar fir se dekha aur fir se rone lagi.................kais ek ek karke sabkuchh jata rha...........lekin aaj sabkuchh laut aaya tha..........sabkuchh.




“plz........chup ho jao ab.............. .abhi abhi wo aaya hai...........” sahil ke papa ne aage badhkar sahil ke mummy ke kandhe par hath rakha aur unhe samjhate huye bole...............




Sahil bhi maa se alag hua...........aur ek bar juhi ki or dekha ............uski aankhe bhi aansuo se bhari huyi thi.............sahil ne apne aansu ponchhe aur juhi ko bhi ishare me na rone ke liye kaha.................



Sham ho rhi thi lekin garmi hone ke vajah se abhi bhi kafi dhoop thi............din ke 5 baj chuke the aur RENU bhi college se wapas a chuki thi ..........sahil ko dekhakr uske gale se lag gayi...................




Sab bhai bahno me sabse jyada pyar renu aur sahil me hi tha.............renu use se thodi badi to thi lekin hukm hamesa sahil ka hi chalta tha.........aur wo hi bada banta rahta ............renu ye samjhti thi aur use achchha bhi lagta tha............



“kaisa h mera bhai...........ab to collector ban gya hai...........” renu ne uske bal bigadte huye kaha......sahil aur renu baramde me baithe the,............ek hi charpayi par............renu college se aate hi uske pas hi rook gayi.........baki sab log andar the................juhi washroom me naha rhi thi............




“thik hu meri bahanaaaa......... .ha collector to ban gya tera bhai.........tu bata kaisi hai.........”




“ thik hu.......aur jis din se tere result ki news suni hai us din se to kuchh jyyada hi achchhi hu....pata hai pure gaon me charche hai.......aur college me bhi...........tu to star ban gya mere hero............” renu bahut khus thi .........



Sahil bas muskura kar rah gya.........tabhi parda hatakar andar se juhi bahar aa gyi.............



Dhuli-dhuli si, khili khili si...........chhuyi -muyi si , pyari si juhi........badi-badi neeli aankhe, kale lambe bal ...............makhan me chutki bhar sindur mila hua gora sa rang, aur sabse khoobsoorat ---uske lala-lal pyare phadkte se hoth............kisi pari ki jaise khoobsoorat..........yelow colour ke cotton ke suit m wo husn ki mallika kisi ko bhi pagal kar dene ki had tak khoobsoorat lag rhi thi..........RENU ek pal ko use dekhti hi rah gayi jabki renu khud bhi bahut khoobsurat thi...............



“sahilllllllllllllllll !!!!!!!!!! ...tune shadi kar li........bina bataye?????????.........lekni yar bhabhi hain badi khoobsoorat.........” RENU bade hairat ka ijahar karte huye boli,,,ab ye to whi jane ki sachmuch hairan thi ya bas nautanki kar rhi thi...........



JUHI ne nazre juhka li sharm ke mare aur wapas andar bahg gayi........sharm se uske gal lal ho gaye..........the .....kitna achcha lagaa tha use wo sabd...” BHABHI”


Sahil ne renu ke kan pakad liye ...



”renu ki bachchi ...........tujhe to mai abhi thik karta hu.......wo dost hai meri........tu kuchh bhi bolne se pahle kabhi sochati bhi hai..........kya soch rhi hogi wo................hainnnnnnnnnn” sahil ne dheere se uske kan kheenche.......


“mummy........aah........achcha sorry............plz yar chhod na..........mummy dekh lo isko...........” renu jor jor se aawaze lagane lagi ........mummy andar se bahar aa gyi............sath me papa bhi........



“ye dekho in dono ka.........aate hi suru ho gaye............sahil chhod use...bade ho gaye ho ab tum dono........aur tune hi kuchh kiya hoga....” unhone renu ko kaha...........

mummy ko itane dino bad apne bachcho ka pyar dekhkar bahut khusi ho rhi thi aur ek ghudki dono ko de dali.


Sahil ne renu ko chhod diya......renu uthi aur mummy ke pichhe jakar khadi ho gayi..........


“kya kiya hai tune .......” mummy ne muskurate huye kaha,..........


“maine kuchh nhi kiya........basssss...yhi kaha ki.......” renu ek pal ko rook gayi aur papa ki or dekha...


“bol ,kya kaha........”maa ne fir se kaha.


“kiii..ki......bhabhi to bahut khoobsoorat laya hai mera bhai........batao kya galat kaha.........” renu ne mummy ke pichh se thoda sa nikalte huye kaha...........


“mummy .....dekh loo ise....... bas dost hai wo meri.....” sahil bola.........

“are koi bat nhi bhai....abhi bhabhi nhi bani hain to kya..... ban jayengi ........mai hu na ........tu tension mat le..........” renu to aaj pure mood me thi use tang karne ke............


Papa dheere se muskura diye aur mummy muh par hath rakhkar hasne lagi.........



“ chudail.......mummy dekh lo ise............rook ja tu.............aaj gayi tu mere hatho se.......”sahil ne jab kahi se madad ki umeed nhi dekhi to juhi ki or lapaka................aur wo titali ki tarah udate huye dusre darwaje se andar bhag gayi.......sahil wahi bahar rook gaya...........usne pichhe mudakar dekha.........



Mummy papa dono usi ki or dekh rhe the...........aur halke se muskuara bhi rhe the...........sahil bahut confuse ho rha tha bechara............


“kyaaaaaaaaaaaa huaaa???? ” usne hath uthakr puchhte huye kaha.....


“beta.......vaise juhi mujhe bhi bahut pasand hai..........tu kahe to....... ” mummy ne kaha.




“ mummy, wo bas dost hai meriiiiiiiiii...........kabhi gaon nhi gayi thi bas ghumne aayi hai mere sath...........aap sab pagal kar doge mujhe ............mai ja rha hu bahar ghumne ...........” sahil bolta hua bahar nikal gaya........





Parde ke pichhe kahdi juhi sari baten sun rhi thi aur pyar se muskura bhi rhi thi............ek umeed ki kiran uske man me jal rhi thi..........sahil ka pariwar use bahut achcha laga tha....................use lag hi nhi raha tha ki wo bas kuchh ghante pahle hi aayi hai wha...............wo garib the lekin dilo me pyar bahut tha.....apnapan bahut tha............wo sab bahut tha unke pas jo juhi ko kam mila tha.............




Sahil ki aakhiri bat par use thoda sa dukh hua...........




“sahil, aapke sath sirf goomne to nhi aayi hu.....aapke sath ke liye aayi hu....aapke pas rahne ke liye aayi hu...............kab samjhoge aap mere dil ki bat......kab meri nigaho ki chahat aapki nigahe padh payengi............kahi bahut der na ho jaye sahil...plzzzzzzzzzzzzz.” juhi apne aap se bol rhi thi ..........


Ab yhi dekhna tha ki juhi ka payr sahil kab pahchanta hai ya fir shayad kabhi nhi.............

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 09:11

UPDATE 96-


Sham hote hote sahil ke ghar par badhai dene walo ka taanta lag gya tha.............gaon ke sarpanch se lekar Tahsildar aur Thanedar tak sare log aaye the.........sahil ke papa ka seena garv se chauda ho gya ........”har maa baap ko aisi aulad mile” har bar unke dil se yahi dua nikalti apne bête ke liye..............


Juhi ko sahil ke ghar aaye teen din ho gaye the...........aur use pata bhi nhi chala kab wo teen din beet gye ....roj kam se kam do bar baba ya abbu me se kisi na kisi ka phone jaroora aa jata.............ek do bar ghar ke aur logo se bhi baten ki unhone............juhi ko ek bhara poora pariwar mil gya tha...............aur uske man me ek hi khyal aata .............kashhh ye ghar hamesa ke liye mera ghar ho jaye......................kashhhhhhh.




Har Roj ek nayi masti hoti....sahil kabhi kabhi udas dikhta tha........lekin ghar par aakar uski udasi thodi kam jaroora ho gyi thi...............


“hello sahil...RAHUL bol rha hu.................kaisa hai........” rahul ka phone aaya tha......

“mast hu yar tu kaisa hai......”


“mi bhi thik hu..ghar par pahuch gya tu..........”


“Haa yar.......aur tu ???????.......” sahil ne puchha


“mai bhi....achchha sun...allahabad aa na....purani yaden taja karenge .........sath ghumenege...........”



“nhi is bar tu aa.....sale mai kitni bar aaya hu tere ghar...... tu kabhi nhi aata...........?” sahil ne shikawa kiya.....



“thik h meri jaaan.......mai hi aata hu.........adress bhej de............abhi niklata hu...........” rahul ne turant kaha.



Ok......chal aaram se aana........” sahil ne kaha aur rahul ko msg kar diya.........



“Kaun aa rha hai sahil..........” renu ,jo abhi abhi bahar aayi thi keval itana hi sun payi ki koi aa rha hai.......



“rahul..............jab tu Allahabad gayi thi to us se mili thi na...........jisne tera admission karwaya tha........whi...”


“ohh....haan......” Renu ne kaha aur andar chali gayi..........juhi bhi whi thi ..........usne renu ko andar jate dekha.........jane kyo use laga ki renu ke chehre par ek sharmli si muskurahat aa gyi.........




Aur wade ke mutabik sham tak RAHUL sahil ke ghar par pahuch chukka tha.........jane kyu bar bar juhi ko lagataa ki RENU ki aankhe use hi dhundati aur uske samne jakar thoda sa sharmati bhi thi .....lekin juhi jyada dhyan nhi deti..........RAHUL bhi kayi bar isi kosis me rahta ki akele me renu se mulakat ho....pata nhi juhi ka bharam tha ya sach...........




ghar ke sab log , wo dono dost aur pyari si juhi........poora mahol ban gya tha...........juhi kabhi is tarah ke mahol me rahi nhi thi .....lekin use ye bhara poora pariwar bahut hi achcha lag rha tha ..........kab din hota aur kab rat kuchh pata nahi chalta............gaon me sabko pta tha ki wo bhi IAS hi hai..........gaon wale bhi bahut ijjat karte..........aur kahi kahi gaon ke ladke peeth pichhe uski khoobsoorati ke kaseede bhi padhte............jiski aawaz jane anjane us tak ek do bar pahuch hi jati...........lekin itani kisi ki himmat nhi thi ki samne se comment kar de...............




Juhi ko hasi aa jati unki baten sun kar aur thoda sa achchaa bhi lagta..........




Sham ko khana banta to juhi bhi whi rahti ......mummy aur renu ke sath kuchh kuchh karti rahti ........unke lakh mana karne ke bad bhi........usne to kabhi ye sab dekha hi nhi tha.........ghar par bas naukaro ka sath rha tha.....ya phir ek budhe baba ka...........juhi ko mano zindagi mil gayi thi....hasti khilkhilati, renu se chhed chhad karti.........renu se kafi achhi dosti ho gayi thi.............juhi bhi shararte karna sikh gayi thi....................renu se ladti jhagdti aur mummy se apne laad uthawati ...........bas jab bhi akele me sahil se samna ho jata to aankho me ek sharm si aa jati......aur wo khoobsoorat ghaneri palke jhuk jati aur wo narm njuk se lab laraj jate.




Sahil ka ghar purane jamane ka tha....... to ghar me bich me ek bada sa aangan tha jo ki khula hi tha........sab log sham ko ek sath udhar hi baithte......



Aaj ghar par bhutta ( maize or corn) laye the papa aur sahil aur RAHUL dono use bhoon rhe tha......jabki pados me ek shadi hone ki vajah se juhi aur renu apne hatho me mehandi lagaye baithi thi...........



Mummy juhi ke balo me tel laga rhi thi..........juhi bade pyar se sahil ko dekh rhi thi.........IAS officer ban jane ke bad bhi sahil me bachcho jaisi masoomiyat thi,,,koi aatitude nhi tha uske andar .........sada sa , sachcha sa......



Thodi der bad sab log bhutte kha rhe the.........



Mummy andar baithe apne hatho se juhi ko bhutte bade pyar se khila rhi thi renu bhi whi thi...............Juhi unki aankho me dekhne lagi aur uski aankhe bhar aayi.................


“kya hua beta........” mummy ne bade pyar se uske sar par hath pherte huye puchha.......


”ghar ki yad aa rhi hai kya”


“nhi aunty...................” juhi ka gala bhar aaya....


“fir kya hua mere bachche ko..........”


“Aunty mujhe ammi nhi yad hai........jab me bahut chhoti thi tabhi khuda ko pyari ho gayi......lekin lagta hai aapke jaisi hi rahi hongi.........” juhi ne kaha aur unke god me sar rakh diya.........


“tu meri beti hi to hai.......sabse chhoti beti...........udas nhi hote beta.....mai hu na........tera jab bhi man kare tu chale aana mere pas............ “
Juhi ne god me sar rakhe rakhe hi aankhe band kar li.........


“jee aunty mai jaroor aaungi.,”


“mummy kitna achchha hota na agr juhi aur sahil ki shadi ho jati.............phir juhi kabhi yha se nhi jati.............” renu ki suyi abhi tak whi ataki thi.........aur shayad use juhi bahut achchhi bhi lagi thi.....kise achchhi na lagti juhi .........wo thi hi itani pyari..........



“haa...beta ....lekin sab kuchh jo ham sochate hai wo kaha hota hai.......”mummy ne kuchh sochate huye kaha,.


Juhi ka dil jor se dhadka......uske man me aaya ki abhi kah de ki haa.......mujhe yhi rok lijiye..... ..mujhe nhi jana......lekin wo kah na saki..........


Sham ko shadi me juhi aur renu bad me pahuche .........sahil aur rahul pahle hi ja chuke the...........


Aaj juhi ne lahnga pahna tha.....aur renu ne bhi...........aaj juhi pure dil se taiyar huyi thi....apne mahbbob ke liye..........


Aaj wo kisi apsara se kam nhi lag rhi thi........kano me gol gol se jhumke, hotho pe halki si lipstic aur gale me ek patli si chain..............green colour ke lahnge me uska kamsin husn kitno ki aankho ko chaka chaundh kar gya tha......kitno ke hi dil par bijriyaan girii thi.................lekin wo sitamgar nhi dikha tha jiske liye usne ye shingar kiya tha........poori sadi me juhi ki aankhe bas sahil ko dhoondh rhi thi...........



Aur fir jab wo dikha......phone par kisi se baten karta hua......to juhi ka dil hatho se jata lgaa use .......sahil bhi bikul shahzada lag rha tha...........



Green colour ke three piece suit me wo mukkammal mardanagi ka malik lag rha tha............juhi ko sachmuch bahut pyar aa rha tha aur chalta hua sahil uske pas hi aa gya........ sahil ko aate dekh renu whi thodi door par khadi apni saheliyo ki or badh gayii..........shayd juhi aur sahil ko tanhayi ka mauka dene ke liye.......


“achchhi lag rhi ho “ sahil ne bade pyar se kaha.....juhi ke dil me jaise guitar baj utha..........par use abhi thoda chhedana tha..........


“bas achchhi.........” usne muh banate huye kaha....

“bahut achchhi..............” sahil ne kaha.

“ kya sahil.....aapko to tarif karne bhi nhi aata” juhi ne tunak kar kaha...

“achcha ..........phir kaise karte hai tarif............”sahil ne muskurate huye puchha.



Juhi ka dil dhakk se rah gya.........kitna payar lagta tha sahil muskurata hua.........wo apne socho ke bhawar me doobi use dekhe ja rhi thi......tabhi....


“mai batata hu tariff kaise karte hai........”ye rahul bhi galat waqt par pahuch gya tha..........


“to juhi jee.........aap itani khoobsoorat lag rhi hai..............”


“Nhi nhi plz.......wo to mai aise hi bol rhi thi............” juhi ne sharmate huye jaldi se kaha.........

“bhai tu hi tariff kar...............inko hamari tarif karna pasand nhi...ye to tum uh se hi sun na chahti hai............” rahul ne kaha aur muskurate huye udhar chal diya jidhr renu khadi thi..........balaa ki khoobsoorat lag rhi thi wo bhi........



Sahil aur juhi chupchap khade the...........juhi sahil ko dekh rhi thi aur sahil idhar udhar.............


Thodi der me stage par programme suru ho gya.........dulha dulhan stage par baithe the...................juhi aur sahil dono ki hi aankho me ek sapna tha...........




Juhi ki aankho me wo stage tha ......... dulha bana hua sahil tha aur dulhan bani wo khud thi..........lekin sahil ke sapno ki dulhan juhi nhi thi..........aaj bhi uski dulhan to shayd wo “ bewafa “ hi thi.......
sahil ne stage ki or dekhte dekhte apne aankho me bhar aaye aansuo ko saf kiya aur dusri or chal diya.......juhi whi khadi ki khadi rah gayi.........sahil ki aankho ke aansu us se bahut kuchh kah gaye the.........




“Kaise kar sakte ho aap itna pyar us se jisne aapko jeene layak bhi nhi chhoda.......kaise sahil...........kaise hoti hai itani shiddat is muhabbat me sahil?????............mai bhi aapse aisi hi muhabbat karoongi sahil ..........aapse hi to sikha hai muhabbta karna....... ” Aur juhi ki aankhe bhi bhar aayi.........ab uske samne na shadi ka stage tha na dulha aur na dulhan.......na koi sapna......sooni sooni viran aankhe......




Kuchh der bad ek bar fir renu juhi ko jabardasti khane ke stall par khich layi....sab log whi the........mummy ,papa, sahil ,rahul.....aur gaon ki kuchh aauraten jo sahil ki mummy ko ghere unse kuchh kuchh bol rhi thi...........aakhir ab unka beta IAS tha...........


“ye renu ke sath kaun hai sahil ki mummy??????” ek ne kaha.




“ lagta hai beta bahu bhi pasand kar laya hai..........waise hai bahut khoobsorat.....bikul chand ka tukada......” doosari boli.......
“ bahut achchhi jodi hai dono ki....” teesri boli
“are nhi.........wo to sath me hi padhte the aur bas ye gaon ghoomna chahti thi..........waise hai bikul mere beti jaisi hi.........” mummy ne bade pyar se uske sar par hath rakh diya...........



Juhi ko ab ye baten dukh de rahi thi........uski aankho ke sapne toot rahe the aur wo toote huye sapne aankho me chubhane lage the ..................usne jaldi se kuchh kuchh khaya aur wapas aa gayi.........



(“mai kya karu sahil......... kya karu mai..........aapke siwa mujhe kuchh nhi soojhta.........aapke ishq me diwani huyi jaa rhi hu......dil us chaand ki khwahish karne lagaa hai jo mera nhi hai ........kya karu mai..........kaise aapko batau........kaise sahil ......kaise.....” juhi darwaza band karke bilakh rhi thi aur sahil bahar khadaa sun rha tha........uska dil bhi tadap rha tha.)




Juhi apne dil ki bat sahil ko bol nhi paa rhi thi.........shayad iski vajah yhi thi ki use pata tha ki jawab kya hoga.........use sahil ki aankho me aaj bhi aarti ka aks naza aata tha........Aaj bhi muhbbat ki bat par sahil tadap uthata tha.........jab tak juhi ijahar na kar rhi thi tab tak kam se kam ek bharam to tha na ki shayad sahil use haa kah de, shayad sahil kabhi laut aaye, shayd sahil ko kabhi uski muhbbat ka bhi ahsaas ho jaye..................lekin agar wo bharam bhi toot jaye to........fir to shayad ye sanso ki dor bhi toot jati..........




“Aur fir ham kuchh dino bad gaon se wapas aa gaye aur fir sahil chale gaye.............apni training par.....aur mai apni training par ..” -
Aarti ko batate batate juhi ka gala bhar aaya aur uski aankho se aansu bahne lage................



“Tumne sahil ko bataya nhi ki tum us se muhabbat karti ho........” Aarti ne puchha.



“sahil ko shayad pata tha......... jab hum gaon se wapas aaye to aane ke teen din bad sahil apni training par jane wale the.........maine soch liya tha ki ek bar jaroor bolungi, ek bar jaroor kosis karoongi..sahil ko jane nhi doongi khud se door....... lekin jis sham ko maine bolne ka socha tha usi sham ko sahil ne mujhe ek letter diya.......” juhi jaise sapne ki duniya me thi.........wo bolti rahi aur apne purse se nikal kar ek kagaz ka tukda aarti ki or badha diya...............
“us din se lekar aaj tak mai is kagaz ke tukde ko apne seene se lagaye baithi hu.........ek jhooti umeed ki aas me ...........aapse kya chhupana lijiye..........yhi meri muhabbat ki kul jama punji hai.aur kuchh nhi aaya mere hath........” aarti ne wo letter le liya aur padhne lagi.......





“PYARI JUHI,

Dil me bahut si baten hai jo kahna chahta hu...........lekin jab bahut kuchh kahne ko ho to aksar juban sath nhi deti........isiliye is kagaj ke tukde ka sahara lena pad rha hai........maf karna......

Bachpan me kahniya suna karta tha...........pariyo ki ,rajao ki, rajkumaro ki........achcha lagta tha...........in kahniyo me sapne hote the..........kuchh adhoore adhoore, kuchh poore..........aur kuchh aise jinhe poore Karen ke liye koi farishta aata .......koi pari aati..........aur wo sapne poore ho jate.........kisi ke sapne ka rajkumar use mil jata,kisi ko rajkumari aur kisi ke man ki murad poori ho jati...............
Mai bhi inhi sapno ki duniya me jeene laga............maine bhi sapne dekhe aur mere sapne me bhi rajkuamri thi.........mere sapno ki rajkumari.........kuchh pane ka bhi sapna tha........jaise jaise bada hota gya ye sab jhooth lagne laga....lekin sapne abhi bhi bade nhi huye shayad aur abhi bhi sachche lagte............meri rajkumari mujhe miilti,mujhse baten karti mujhe pyar karti..............aur mai khus ho jata......bahut jyada khus........ kabhi kisi aur ki jaroorat mahssos hi nhi hoti...........uske sath hasta ,rota. Roothat,use manata.......mera sabkuchh thi meri rajkumari.



Lekin fir wo rooth gayi.........meri rajkumari mujhse rooth gayi..........mai rota raha ....use rokataa raha............apni khata puchhataa raha.............us se mafi mangta raha............lekin wo chali gayi..............aur mai mano sapne se jag gaya..........aur jab sapne se jaga to meri hatheli bikul khali thi.........kuchh nhi tha mere pass..........na koi rajkumari thi ..........naman me koi murad thi.........aur na koi mera apnaa tha mere pas ...........meri zindagi me kuchh nhi bach tha .........bachi thi to bas ek kali rat........bahut lambi rat.........aur un toote huye sapno ke chand tukde........jo meri aankho me us rajkumari ki yad bankar chubhate the............mai rota tha us kali rat me.........aur mujhe apne aansuo ko bahane ke liye ek kandhe ka sahar tak nhi milta tha .............pahle mujhe sapne jhoote lagte the ab mujhe duniya jhoothi lagti thi.............lekin jane kyu kabhi wo rajkumari jhoothi nhi lagi.......jane kyu...........????? kabhi bhi nhi.


Mere man me bas yhi aata ki zindagi ki ye saja aur kitani lambi hai.........kab mai is duniya ke mele se niklunga.........mai ek tinke ki tarah se hi tootne laga......bikharne laga........maut ki duayen maangne laga.........



Lekin fir meri kahani me bhi ek Pari aayi..........sabke sapne me aati thi meri zindagi me aayi...........shayad us se mera dard dekha nhi gya tabhi jannat se utar kar mere pas chali aayi...............
Usne mujhe ek bar fir se samet liya..........mai reza-reza bikhra tha usne ek katra-katra mujhe sameta..........
Mere sapne me naye rang bharne lagi aur mujhe apni baho ka sahara de diya..........mai jab bhi tootne wala hota wo mujhe apne seene se laga leti.......aur mai rota ........bahut rota ..........lekin usne mere aansuo ko pee liya.........mere hisse ke gham usne apne seene se laga liye..............us pari ne mujhe fir se jinda kar diya.........aur meri murad mujhe de di............usne sirf mujhe diyaa.......kabhi mujhse kuchh liya nhi........aur mai bhala use kya de pata........wo to thi hi pari,jisne is dharti par kadam hi bas dene ke liye rakha tha..........


Juhi, muhabbat ke bahut se rang hote hai......bahut se roop hote hai.......aur jo sabse gahra rang hota hai wo IBADAT hota hai..............mai bhi us pari ki ibadat karta hu.........jee chahta hai uske kadmo me apna sar rakh du aur sari zindagi aise hi bita du..........lekin juhi kya ye sahi hoga,...........??????????


Meri rajkumari ne mujhe dhokha diya...........lekin ye dil aaj bhi usi ki yad me dhadkta hai.......aaj bhi dil ke har tukde me uski ek tasweer hai.........fir mai kaise us pari ke kadmo ki dhool banu........kya mai apni pari ko dhokha du juhi........kya mai ye paap karu............ ??????



Meri pari tum ho juhi.........tum hi ho mere sapno ko poora karne wali wo pari.........Mujhse ye paap nhi hoga juhi........mujhse ye paap mat karne ko kahna.


Agar tum ye jaan maang lo to tumhari kasam ek pal me tumhare kadmo me rakh dunga.........lekin is dil ka kya karu jo aaj bhi use yad karta hai...................kya karu juhi tumhi batao???.



MAI shayd is layak nhi hu ki tumhare pairo ki dhool bhi ban saku...............tumhara mukam bahut unchaa hai meri nazro me...........us khuda se bhi uncha..........fir mai tumhare bare me kabhi koi paap kaise sochu ..............aur ye paap hoaga aagr mai tumhe apne dil ki sachchai nhi batau to.


Juhi wo meri pahli muhbbat hai......mai use bhool nhi pata..........kya karu in aankho ko aur kuchh dikhta hi nhi......... lekin tum meri devi ho jiski mai zindagi bhar apne man mandir me rakhkar pooja karunga.......jiski ibadat karunga.



Juhi mujhe poora bharosa hai ki jab bhi jindagi me ladkhaunga ye meharban bahe mujhe tham lengi...........aur ise bahrose ke dam par aaj ye sachchayi byaan kar rha hu.........kyuki mujhe pata hai ki meri pari mere jism ke har hisse ki aawaz sunti hai , samjhti hai ........ to fir wo jaroor meri rooh ki is aawaj ko samjhegi.


Mai janta hu ki jo mai tumse maang rha hu wo bahut jyada hai.........aur uske badle me mai tumhe kuchh nhi de rha..........lekin juhi mai kya de sakta hu tumhe.......dil apna raha nhi..........ek jaan hai, jab chahe maang lena.

---TUMHARA BADNASEEB SAHIL.



Letter khatm ho chukka tha aur aarti ke chehre par chattano si sakhti thi............



“Sahil se bat hoti hai......?” aarti ne juhi se puchha...


“ha kabhi kabhi.....lekin idhar bahut lamba time ho gya...............kayi bar phone kiya lekin unhone ne nahi uthaya...sahyad nayi nayi posting hai to time nhi milta hoga.............” juhi ne dheere se kaha.


Aarti ko samjh me aa gya ki juhi ko sahil ke accident ki bat nhi pata hai..........


“juhi meri shadi tay ho gayi thi aur sahil ko pata chala to.........” aarti ne dheeme se kaha.......


“to kya........bolo.” juhi ka dil dhakk se rah gya.......


“to sahil ne shayad ......shayad suicide attempt ...................” aarti ki bat adhoori rah gayi........juhi ka jordar thappad uske galo ko lal kar gya............

.

“you bitch !!!!! ............kaisa hai mera sahil .......agar mere sahil ko kuchh ho gya to mai jan le lungi teri...........mujhe pata tha teri muhabbat mere sahil ko chheen legi......are kuchh to taras khaya hota us devta par jisne tujh jaisi bewafa se itani muhbbat ki............” juhi ne zindagi me pahli bar kisi par hath uthaya tha aur fir farsh par gir kar jo jor se rone lagi..........
“kaha hai mera sahil ............kaha hai mera sahill ........mujhe abhi jana hai unke paas..................sahil kaha ho aap............plz aisa nhi karna jaan.........apni pari ko chhodakr nhi jana...mai kaise jyungi sahil,....plz..........” juhi boori tarah se ro rhi thi lekin aarti ki aankh se ek aansu tak na nikla...........


“wo thik hai.............biikul thik ..........ye bahut purani bat hai ........ab wo bulkul thik hai......” aarti ne use samjhana chaha.



“kamini hath mat lagana mujhe......chali ja yha se.........chali ja nhi to mai tumhe shoot kar dungi.......get out..............” juhi garzati huyi boli.........aur usne daraz me se pistol nikal li...........aarti chupchap mudi aur darwaze ki or badh gayi............


Darwaze ke pas pahuch kar mudi...............


“juhi dua karoongi ki tumhe tumhari muhbbat mil jaye” aarti ne kaha.


“aur mai dua karoongi ki tu muhabbat ki ek boond ke liye tarase............kabhi pyar ka ek katraa naseeb na ho tujhe” juhi ne rote huye behad nafart se kaha........aarti ki aankh se pahli bar ek aansu tapaka aur wo bahar nikal gayi.


Juhi usi tarah se bilakh bilakh kar ro rhi thi............ usne apna phone nikala aur number dial karne lagi.


Muhbbat ka takraw ho gya tha...........pata nhi ek aur muhbbat se ya fir ek bewafa se.........

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 22 Feb 2017 09:11

UPDATE 97-


Juhi buri tarah se bilakh rhi thi..............usne rahul ka number milaya aur sahil ka address liya.....Rahul ne bhi use bataya ki sahil bikul thik hai............juhi ke dil ko kuchh sukoon to mila lekin ab bina sahil se mile us se raha nhi ja rha tha .............wo bhi tab jab ki sahil whi delhi me hi tha...........sahil to abhi bhi aarti ke ghar par hi tha.......rahul ne use aarti ke ghar ka address de diya..................



“Aarti,mai to tumse badi muhabbat se mili..........apne andar ke gusse ko peekar mili tumse........keval ek aas me ............badi chah thi tumse milne ki............ek bar dekhna chahti thi ki kaun hai wo ladki jiski muhbbat me sahil jaisa mukamal sakhs itna toot gyaa..........socha tha kuchh to tum me bat hogi jo sahil is kadar deewane hai tumhara.........lekin juhi tum to nafarat ke layak bhi nhi ho..............muhbbat to bahut badi bat hai..........i hate u..........duniya me sabse jyada nafarat karti hu mai tumse................ ” juhi gadi me baithi thi .....driver gadi chala rha tha aur juhi apne man me aarti ko kose jaa rhi thi.................wo apne sahil se milne ja rhi thi................





Idhar aarti juhi ke office se nikli.............chuchap gadi me baithi aur driving karne lagi..........kuchh door aakr usne gadi roki .............aur foot foot kar rone lagi.



“juhi mai itani buri nhi hu...................mai majboor thi................” uska hath apne galo par pahuch gya jaha abhi bhi juhi ke thappad ki lali thi............ Aarti aage ko jhuki huyi ro rhi thi.



Aarti bahut der tak roti rahi...............aur fir apne aansu pochhe....ghar par phone karke mummy ko kuchh bola aur chuchap ghar ki or chal padi...............


Juhi aarti ke ghar pahuchi.........uski mummy ne darwaza khola..........

“namste ....mera nam juhi hai.......sahil se milna hai........”


“jee namste,mai sahil ki didi......aaiye.........” didi ne kaha........juhi ke man me bahut nafarat thi in sab logo ke liye.........BHAI , behan aur muhabbat ...........sabne uske sahil ko akela chhod diya tha..wo bhi tab jab wo har raha tha.....jab use apno ki sabse jyada jaroorat thi. .............juhi ne jyada kuchh kaha nhi aur chuchap andar aa gyi............agar aaj sahil yha na hota to wo kabhi yha na aati.........in sab logo ki shakl se nafart si ho gyi thi use........



“aap baithe mai kuchh thanda - garam lati hu.........sahil ko abhi bula deti hu............”didi kahti huyi mudi hi thi ki juhi boli...........



“jee koi jaroorat nhi hai...........mai bas sahil se milne aayi hu.........aur vaise bhi mujhe koi shauk nhi h gairo ke ghar...........” juhi ne bahut control kar liya apne gusse par.........


Didi chup rahi...........kuchh jaise bolne ko tha nhi unke pas..............


“kaha hai sahil ,,,mai unke kamre me hi jakar mil leti hu...............” juhi ne kaha.


“Third floor par hai room aaye aap mai le chalti..............”ek bar fir se didi ki bat adhoori rah gayi...........


“jee koi jaroorat nhi hai.........m chali jaungi...............” juhi boli aur seedhiyo se chadhte huye upar chali gayi...


Didi ko bahut beijjati mahsoos ho rhi thi.............lekin wo kuchh nhi boli.........bas aanchal se apne aankh me aaye ek aansu ko ponchhane lagi.....................aarti darwaze par khadi sabkuchh sun chuki thi................wo aage badhi aur apni maa ke gale se lag gayi..............


“I m sorry mummy....meri vajah se aapko itani insult sahni padi ......sabkuchh sun na pad rha hai.............mai bahut buri hu na mummy,,” aarti maa ke gale lage lage rone lagi.......


“nhi meri bachchi............tu to jan hai meri................aisa mat bol..........” mummy ne pyar se uska matha chhom liya.



“sahil” juhi ki koyal se aawaz sahil ke kano me padi...........sahil jo ki abhi abhi leta tha bistar par juhi ko dekhakr behad khus hua............


“juhi.......tum........what a pleasant surprise.........” sahil ne uthkar use gale se laga liya............juhi jor se us se chipak gayi............lagbhag ek sal bad mil rhe the wo ekdusre se..............juhi ke dil ko jaise sukoon aa gya .............


Aur fir wo alag hokar ek sath baith gaye bed par...............


“aapka accident hua tha..........hai na......aur mujhe batana jaroori nhi samjha aapne..........haan kyu batayenge........., mai kaun hoti hu.........juhi to koi hai hi nhi na aapki.............” lakh jabt karne ke bad bhi juhi ki aankhe dabdabaa gayi.............


“nhi juhi..........ye kaise soch liya tumne......tumhi to ek ho jise maine kabhi batane ki jaroorat nhi samjhi ki tum meri kya ho...........juhi soory yar...............maf kar do.......plz........” sahil ne uska hath apne hath me le liya.........


“rahne dijiye.....aapko kya pata kya beeti hai mere dil par ye sunkar.......aap to bas................”


“juhi ...tumhe kaise pata chala.......” sahil ko samjh me nhi aaya.


“kaise bhi pata chale.............aapko kya.............”juhi thodi naraz naraz si bahut pyari lag rhi thi.............


“sorry bola na yar......manta hu bahut badi galti ho gyi..........ab maf kar do ...... plz batao na .........kaise pata chalaa tumhe..............” sahil bola.


“aaj aarti aayi thi mujhse milne.............”juhi ne dhamaaka kiya.


“what? Uff ye ladki......kuchh kaha to nhi na usne tumhe.......” sahil bola.


“uske pas kya tha kahne ko............kaha to maine sabkuchh...........sahil aapne to kaha tha ki aap yha fir kabhi nhi aayenge ..............” juhi ne puchha.


“ha juhi ...kuchh mahine pahle ek din mummy ka phone aaya.............did ki tabiyat kharab thi wo admit thi........... ...aur us samy mai delhi me hi tha................mai mummy ko mana nhi kar paya........aur fir yha chala aaya...............tabse kabhi kabhi aa jata hu...........” sahil bola.



“aap ka accident kaise hua tha sahil..............” juhi boli...........aur badi gahri nazro se use dekhne lagi...........



“pata nhi .......koi sharabi tha shayad jisne thok diya.....chhodo na..........” sahil ne talna chaha.



“aapne suicide attempt kiya tha na???” juhi ki aankh ek bar fir se bhar aayi..........



“nhii to..........kk...k...kaun kaun bola...” sahil ke juban ki ladkhadahat se hi pata chal rha tha ki wo thik se jhooth nhi bol paa rha.........


“sahil meri kasam .....sach sach boliye...............” juhi ki aankhe chhalak padi.


Sahil chuchap sar jhukaye baitha rha...kya bolta........


“plzzzzz” juhi ab bas ro dene ko thi


“kya karta juhi...............wo kisi aur ki ho rhi thi..............mai kya karta.....kaise dekhta use kisi aur ka hote............bachpan se lekar jawani tak aur kuchh sujha hi nhi uske siwa........sabkuchh janta hu... lekin ye dil kuchh nhi samjhata.............kya karta juhi...........” sahil ki aankhe bhi bhar aayi.....


“ aur mai kaun hu sahil...........????? ..........kaun hu mai aapki.........” juhi ke aansu ab uske galo par bahne lage the lekin uske chehre par patthar ke jaisi sakhti thi........



“juhi ye kya.........” sahil ne apne hath se uske aansu ponchhne chahe......aur juhi ne uska hath jhatak diya..........


“aaj mujhe jawab chahiye sahil........mai kya lagti hu aapki...........kaun hu mai sahil .......” juhi ek kadam se pichhe hatate huye boli...........

“tum ye kya kah rhi ho....tum ...tum meri pari..........” sahil ki bat adhoori rah gayi..........



“nhi.........nhiiiiiiiiiiii.......nahi hu mai koi pari..........koi pari nhi hu mai sahil.......mai ek masoom si aam ladki hu.......... jiske seene me bhi ek dil hai aur us dil me aapki tasweer hai...........mai pari nhi hu..........aapne mujhe pari bana diya.........kya mila mujhe pari bankar........haan.......bataiye........aapne mujh se hamesa ke liye door jane ki taiyari kar li aur mujhse ke bar bhi kuchh nhi puchha ........kabhi aapke dil me ye khyal aaya ki juhi bhi koi hai.......kaise jeeti mai.?????..........kya karti mai agar aapko kuchh ho jata.............kya karti mai sahil.......... .kya karti............” juhi farshpar gir kar apna chehra apne dono hatho me chhupakar rone lagi.......



Sahil ki aankhe bhi bhar aayi.................


Usne juhi ke kandhe par hath rakha..........jise juhi ne jahtak diya.......



“ mai pari nhi hu sahil.......... mai ek aam si ladki hu...mere andar bhi dil hai .,..kabhi socha aapne ki mai bhi pyar kar sakti hu............aapne mujhe pari bana diya aur mera sabkuchh mujhse chheen liya........meri muhabbat ,mere armaan ,mere sapne....sabkuchh cheen liya.......




“.aap khudgarz ho sahil............. aapne sirf apne bare me socha apni muhabbat ke bare me socha.........jiye to apni muhbbat ke liye aur ab apni muhbbat ke liye marne chale the........meri muhabbat ka kya ...........??????? kabhi socha aapne..............mai bhi muhhabt karti hu sahil.............bahut muhbbat karti hu..............meri muhabbat ki koi keemat kyu nhi hai sahil...... .... aapne meri muhbbat ka gala ghont diya..............ek mauka tak nhi diya mujhe apne pyar ke ijahhar karne ka..........” aaj juhi bol rhi thi aur sahil sun rha tha ............har jagah use apni hi galti nazar aa rhi thi.........har jagah.........




“aapne to apni muhbbat ke gham me marne ka faisal kar liya aur mai.......??????? mai kya kar payi..........mujhe to muhbbat ki ek boond tak naseeb nhi huyi..........sahil aajtak mai chup thi sirf is liye kyuki mujhe thoda sa yakeen tha ki shayad aapki muhbbat me sachchayi ho...........shayad aapki muhbbat aapko mil jaye...........shayad wo aapke pas laut aayee...............lekin wo to muhabbat ke kabil hi nhi hai.............” juhi siskiyo ke bich bole ja rhi thi......aaj use koi nhi rok sakta tha..........bahut dino se dil me daba drd aaj bahar nikal rha tha...............



Sahil ko juhi ki halat par bahut dukh ho rha tha..........aur iska jimmedar bhi shayad wo khud tha....... lekin juhi ki aakhiri bat ”ki wo to muhbbat ke kabil hi nhi hai” shayd use achchi nhi lagi.........




”juhi plz......aage kuchh mat bolo.....plz..........” sahil use chup karana chah rha tha.......



“aapko sun na hoga ............aaj aapko sab kuchh sun na hoga...........aapki aarti muhbbat ke kabil nhi hai sahil.....usne to kisi aur ke sang jindagi zeene ke sapne dekh liye...............kisi aur ki ho jana chahti thi wo.........kaha gayi aapki aarti ki muhbbat sahil............bada yakeen tha na aapko uski muhbbat par...........boliye sahil ,kaha hai aapke bachpan ki muhabbat..........”




Sahil chuchap sun rha tha..............kisi bahut apne ke hatho hara tha bolta bhi to kya.........



“sahil , muhabbat ka ek rang wo bhi hota hai jisme ek dulhan ke hatho me mehandi ki jagah uske mahboob ka khoon hota hai...........aur aapki muhabbat????.......are aapki muhbbat ne to aapko kuchh diya hi nhi ......aapse aapki zindagi tak chheen leni chahi...............aur agr aap ab bhi apni sachchi muhabbat ko pahchan na paye .........to bas yhi kahungi ki aap bahut badnaseeb ho sahil........aarti se bhi jayada badnaeeb..........”



Juhi mudkar wapas bahar jane lagi...............ek bar bhari huyi aankho se mudkar tanha tanha se baithe sahil ko dekha...........ek bar fir se dil tadap utha juhi ka......



“ sahil aaj bhi aapke pas apna koi nhi hai.........aaj bhi aap akele ho.........juhi aapki hai aur aapki rahegi ........zindagi ke kisi bhi padav par agr kisi aapne ki jaroorat pad jaye to bas ek aawaz laga dena, aapki juhi hamesa aapka intzaar karti milegi.........khuda hafiz sahil ”


Juhi apne aansuo ko ponchhati teji se bahar nikal gayi.............




Aarti bahar darwaje par khadi mil gayi ......shayad sabkuchh sun liya tha usne..........juhi ne ek nafarat bhari nigah us par dali............



“agr mere sahil ko kuchh bhi ho gya na..............to tumhe koi nhi bacha payega mujhse” aarti sun kar rah gayi.



“ maaf karna jan..........aaj tumhari juhi ne tumhara dil dukhaya.....lekin kya karu mai....tumahri aankho se wo muhabbat ka jhootha parda hatana chahti hu jisne tumhe andha kar diya hai............mere sahil ki hifazat karna mere khuda” juhi apni gadi me baithi abhi bhi ro rhi thi.




Aarti ne chuchap juhi ko bat ko sun liya apne aansu ponchhe aur room ke andar chali agyi.......kamre ke farsh par bed se laga baitha sahil ............aansu uski aankho se bah kar farsh par gir rhe the.........aur wo chuchap apne dono hatheliyo ko dekh rha tha...............



Ek aisa hara hua zuari jisne zindagi bhar jua khela aur aaj dono hatheliya khali............aise apni hatheliyo ko nihar rha tha, jaise abhi abhi kuchh bahut keemati fisal sa gya un hatheliyo se..........




Sahil ki halat par aarti ko bahut dukh ho rha tha.............uska jee chah rha tha ki abhi kahi doob kar jaan de de...............wo dhhere se sahil ke pas gayi aur uske kandhe par hath rakh diya..............sahil ne sar uthkar uski or dekha aur uske pairo ko pakadkar lipat gaya...............aarti ki to jaise jan hi nikal gayi...........
“ye aap ky kar rhe hai sahil....plz............” aur wo niche baith gayi ...........sahil ne jor se use pakad liya aur jor jor se tadap tadap kar rone laga...............




“aarti mujhe meri muhabbat lauta do....plzzzz..............aisa kya galat kar diya maine jo ye sajaa mil rhi hai........har koi kahta hai ki meri muhbbat jhoothi hai.......sab kahte hai ki mai pagal hu ............maine kya galat kiya......sirf muhabbat hi to ki ............ab agar us muhbbat ne mujhe apne layak nhi samjha to mai kya karu,.............agar usne mujhe chhod doiya to mai kya karu............aagr mera dil aaj bhi uske liye dhadakta hai to mai kyaa karu ............mai kya karu aarti.............maine to aaj tak sirf pyar nibhaya hai....fir mai galat kaise hu aarti......?????? ”




Sahil aarti ke gale se lage roye ja rha tha aur uske aansuo ke sath sath uske lab bhi shayd ro rhe the aaj...........aarti ki aankhe bilkul sookh chuki thi shayad ek aansu tak nhi nikal rha tha..........lekin sahil ka har “kyu” uske dil me teer ki tarah chubh rha tha..........




“ wo juhi kahti hai ki meri aarti muhabbat ke layak nhi hai.......lekin mujhe agar aaj bhi uske siwa kuchh nhi nazar aata to mai kya karu............agar aaj bhi un aankho ke aansu mujhse bardasht nhi hote to mai kya karu..............sab kahte hai ki meri aarti mujhe dhokha de rhi hai.........meri aarti bewafa hai.....mai kaise maan lu...........plz aartiiiiii ..........sabko bata do ki meri aarti bewafa nhi hai...............bata do ki aaj bhi wo mujhse muhbbat karti hai...... tumhare sahil ki muhbbat haar rhi hai aarti.......use haarane mat do..........meri muhbbat ka bharam rakh lo aarti.......plz meri muhaabt ka bharam rakh lo”




sahil aarti se lipate huye ro rha tha aur aarti uske balo me hath pherti chuchap baithi thi.....uske chehre par chattan ke jaisi dridhta thi............jane kyu aarti sachmuch ek patthar ki moorat si ban gayi thi jiske andar na koi khusi dikh rhi thi aur na koi gham..........sahil ke itane bilakhne par bhi uske aankh se ek aansu nhi nikla tha ab tak.





“ Sahil ek din tumhe ahsaas hoga ki tumne kya muhabbat ki aur hamne kya muhabbat ki” aarti ne apne dil me socha aur aankho ke kinare par chale aaye ek aansu ko chupke se apne dupatte ke pallu se ponchh liya........mano kisi ko pata chal gya to qayamat aa jayegi.......




Par agar qayamat aani hogi to aayegi hi kaun rok sakta hai use..........aur sahil ki muhabbat me itani shiddat thi ki agar use “ bewafayi” mili to qayamat to nischit hi thi...........ab to bas itan hi dekhna tha ki sahil ka pyar jeet ta hai ya aarti ki “ bewafayi”.

Post Reply