love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:14

UPDATE 101-

Ek jeeta jagta sahil ek machine ki tarah se hota ja rha tha...............jab bhi juhi use dekhti uske dil me ek tees si uthati..............kis kadar buri hoti hai ye muhabbat.........????????



Aaj sahil office jane ke liye taiyar ho rha tha jab uske phone ki ghanti baj uthi.......usne ek nazar apne wrist watch par dali aur fir phone utha liya............juhi ka phone tha...........



“hello” sahil ne kaha......... Dusri taraf sarfaraz saheb the............




“haa sahil beta ? ”



“jee unlce, kaise hai aap sab log.....khan baba kaise hai............”



“beta wo bahut serious condition me hai........bar bar tumhe bula rhe hai...........ho sake to aa jao.........” sarfarz sahib ka gala bhar aaya kahte kahte.



“kaissi bat kar rhe hain uncle .....mai abhi aata hu.......... aap bilkul tention mat lijiye baba thik ho jayenge.....” sahil ne kaha aur travel agent ko phone karke sabse pahla flight me ticket karne ko kaha.




Sahil lakh patthar banta gya tha to kya ........ahsaan faramosh nhi tha........us shakhs ne aaj use bulaya thi jiski muhbbat ne use ek nayi zindagi di thi, jin logo ne apno se jyada pyar kiya tha use.......sahil ne ek bar bhi apni meetings ya apne jaroori appointment ka nhi socha..........wo shakhs in sab chijo se bahut upar tha sahil ke liye.



Sahil turant delhi ke liye nikkal pada.




Hospital me pahuchte hi sabse pahle juhi ki nazar sahil par padi......aur uski aankhe chhalak gyi.



Jee me aaya ki daud kar sahil ke gale lag jaye lekin apne abba ki maujoodagi ne pair bandh diye uske.




Sahil unke pas pahucha aur juhi ki aankho me aansu dekhkar pyar se uske sar par hath phera..........




“sab thik ho jayega” bas itna kahna hi tha ki juhi sahil ka hath pakad kar apne aankho se laga kar jor jor se rone lagi.............sarfaraz sahib bhi behad bhavuk ho uthe.




“chup ho jao plz, juhi khan baba thik ho jayenge “ sahil ko samajh me nhi aa rha tha ki wo use chup kaise karaye.



Thodi der ke bad juhi badi mushkil se chup huyi.



Sahil khan baba ke pas pahucha......unki halat behad najuk thi.........aankhe band kiye lete huye the............saanse halki halki chal rhi thi...............sahil bed ke pas rakhe stool par baith gya aur unka kamjor sa hath apne hatho me le liya...........hath kafi thanda ho gya tha unka.



“baba” sahil dheere se bola.



Khan baba ki aankho se ek aansu bah kar unke galo ko bhigo gya..............



“aa gya mera beta” unhone sahil ke hath ko apne hatho me le liya aur dheere se aankhe khol di.



“aa gya baba.......aap bulaye aur main na aayu........?????” sahil bola.



“sahil , lagataa hai mera bulawa aa gya hai beta......” khan baba ne dheere se kaha...sahil ke pas me khadi juhi ka dil tadap utha...khan baba ne bachpan se uske liye ek maa, baap, dost........har farz ada kiya tha...........



“baba, khuda ke liye aise na kahe...........plsss” juhi ne rote huye kaha.




“aapko kuchh nhi hoga baba............”sahil bola.



“jana to ek din sabko hai mere bachcho...........sahil ek aakhiri tamanna hai ...ek iltiza thi tumse..........” khan bab ne badi umeed bhari nazaro se dekha sahil ko.



“plzz khan baba , aisa na kahe............sahil nam ki ye kasti to aise bhawar me fasi thi jaha iska doobna tay tha.........aapne us kasti ko kinara de diya.....ye zindagi aap sab ki amaanat hai.........aap iltiza kaise kar sakte hai.........aap hukm dijiye..........” sahil ne unke dono hatho ko apne hatho me lete huye kaha.




“beta , meri juhi bahut masoom hai.....maine kabhi dukh ka ek saya tak nhi padne diya apni beti par..........lekin ab bahut dar lagne laga hai.............zindagi me to bahut kuchh paa liya isne ....lekin duniyadari nhi janti meri bachchi................” khan baba bolte rahe.



juhi ki or dekha, wo chuchap apni aankho me aayi badh ko rokne ki kosis kar rhi thi aur apne hotho ko apne dato se dabakr siskiyo ko roke huye thi...



“sarfaraz ek behad achcha baap hai..........lekin kisi ke aansu ponchhne ki kubbat nhi hai usme........aur shayad wo mere bad bhi is duniya ke bhawar me hi phas ke rah jaye..........juhi ki bahut fikar hoti hai beta.........” khan baba bol rhe the aur juhi ki aankho se aansu nikal rhe the.


“plz baba ,,,,aap jyada baten mat Karen...........doctor ne mana kiya hai na........” juhi ne khud parr control karte huye kaha.



“bol lene de beta,,,fir ye saanse mauka de na de....... jaa jara sarfaraz ko bula la to...” baba ne juhi ko bahar bhejne ke liye hi shayad ye kaha.



Usne ek nazar sahil par dali aur bahar chali gayi.



“sahil beta jo kahne jo raha hu uske bad mujhe nhi pata tum kya sochoge mere bare me, lekin kahunga jaroor..............beta ye mat sochana ki jo thoda bahut tumhare liye kiya us ke badle me kuchh maang rha hu......nhi beta.....wo sab to tumhari jahaanat aur kabiliyat ke age kuchh nhi tha..........aur tumhari vajah se meri bachchi ne mera sapna poora kar diya.......... hamesa dil tumhe duayen deta rahta hai beta..........” khan baba ek pal ko ruke,



“sahil isi liye tumhe bulaya hai beta................meri jane ke bad meri juhi ka khyal rakhna.......ise kabhi udas mat hone dena........sahil mujh budhe ki aankhe itna to dekh sakti hai ki juhi ko bhi tumse bahut lagav hai.......bahut apna samjhti hai tumhe.........beta ye bat iske baap se na kah kar mai tumse kah rha hu......kyuki mujhe pata hai ki tum juhi ko sambhal loge.........beta si duniya ki kadi dhoop me ek saya bankar meri juhi ki hifazat karna ........uski har khusi ka khyal rakhna.... ...uski aankho me kabhi aansu nhi aane dena..............” khan bab ki bat se sahil ka chehra kafi gambhir hota ja rha tha.........aur juhi kabhi khan baba ko dekhti to kabhi sahil ko .




“sahil beta, mai janta hu ki bahut badi zimmedari tumhe de rha hu.......lekin beta tumse jayada bharosa mujhe kisi par nhi hai..........juhi bahut masoom hai..duniya me use ek sahare ki zaroorat hogi...........tum wo sahar ban jao sahil..........meri juhi ko apna lo beta....”khan baba ne kaha.



“khan baba....mai aapki koi bat nhi talna chahta.......lekinmujhe thoda sa waqt chahiye............” sahil bhi majboor tha.



“waqt hi to nhi hai mere pas beta.............jane kis pal ye saanse sath chhod de...........” khan baba ne thodi nirasha se kaha..



”koi bat nhi beta mai samjhta hu...tumhari bhi apne pasand hai ....apni zindagi hai...........” khan baba bole.badi mayoosi thi unki nigaho me..




Sahil ke muh se khud ke liye gali nikal gayi.............us insan ko inkaar kar diya tha jissne use uske sabse bure waqt me sahaara diya tha...........



”sahil agar aaj apna farz nhi nibha paya to zindagi bhar tu khud ko maaf nhi kar payega” uske dil se aawaz nikli..........ek pal ko aarti ka chehar nazro ke samne aa gya.




“I m sorry khan baba...maine aap ka dil dukhaya...plss maf kar dijiye...........” sahil ne kaha..



“nhi beta .....koi bat nhi mere bachche....”




“mai rakhunga juhi ka khyal khan baba..........mai use duniya ki har khusi dunga........aapse vada karta hu mai.........juhi ki rah me aane wali har musibat ko mujhse gujar kar ustak jana ho ga...........aap koi fikar na kare khan baba...zindagi me aaj tak maine kuchh sahi nhi kiya........koi achchha kam nhi kiya............lekin ye vada mai nibhaunga khan baba.........mai juhi ki aankho me kabhi aansu nhi aane dunga..........vada hai mera “ sahil ki aankho me ek chamak thi .




“jeete raho mere bachche........khuda tumhe duniya ki har khusi de..............ab sukoon se mar sakunga mai...........ek bar gale lag ja beta.......” khan baba ne sahil ko gale se laga liya.




Darwaze ke thik pichhe khadi juhi sab kuchh sun chuki thi.......use sahil ke jawab ka intzar tha isilye wo whi ruk gayi thi.............usne apne aankho ke aansu ponchhe aur bahar chal di sarafarz sahib ko bulane.



Ek patthar ki si sakht thi juhi ke chehre par.......bar bar yhi khyal aa rha tha uske man me ki sahil ne haa sif isliye kaha hai kyuki unhe lagta hai ki humne unpar ahsaan kiya hai..............pyar to aaj bhi wo aarti se hi karte hai.




Sarfarz sahib andar pahuche sahil bahar nikal gya..........khan baba kafi der tak sarfaraz se bat karte rahe ...aur fir unhe apne gale se laga liya..



Do din bad khan baba ki saanso ne aakhir unka sath chhod hi diya........juhi to mano patthar ki ho gyi ..........use apne khane peene ka koi khyal nhi hota.......din bhar aansu bahati ........sahil ne office se 15 din ki leave li aur sachmuch juhi ka saya hi ban gya...........use jabradasti kuchh kuchh khilata ........hamesa uske sath rahta ......pal bhar ko bhi use akela nhi chodata tha...........juhi ko sahil par bahut pyar aata tha.........lekin fi use wo hi bat yad aa jati............”sahil ye sab sirf ek ahsaan utarane ke liye kar rhe hai......mujhse muabbat nhi hai sahil ko”.........is soch kea age nhi badh paa rhi thi juhi.



Sarfaraz sahib ne sahil se bat ki aur khan bab ki kahi sari baten use batayi..........khan baba ne dono ki shadi kar dene ko kaha tha......aur sarfaraz sahib ko bhi koi aitraz nhi tha......unhone khud ek hindu ladki se nikah kiya tha.............to dharm jaat ka koi bandhan pahle se hi nhi mante the...... aur ...sahil ek bahot bada officer ban chukka tha....ek achhha insaan tha............apni beti ke liye is se jyada aur kya chahiye kisi bhi baap ko.




Sahil ne thoda waqt mangaa tha......apne liye nhi, juhi ke liye.......






Juhi bhi ab sambhalne lagi thi lekin sahil ko apni nazro se ek pal ko door nhi hone dena chahti thi....uska dil ek do rahe par aakar khada ho gya tha.........wo nhi chahti thi ki ek al ko bhi sahil us se jud ho lekin bar bar dil me aa jat tha ki sahil mujh se muhabbat nhi karte.




Aur sahil duniya jahaan se beniyaaz juhi ki khusi ke liye sab kuchh karta ja rha tha.............koi bhi use dekh kar nhi kah sakta tha ki wo ek IAS officer hai....juhi ka kisi chhoti bachchi ki tarah khyal rakhta.




Sarfarz sahib ne apni ek business partener se shadi ke liye juhi ki permission mangi .............juhi kyu mana karti bhala.....20 sal se uske abbu akele jee rhe the.........agr aaj unhe koi sahaara mil rha tha to wo kyu mana karti bhala.......usne khusi khusi kah diya ki “ abbu aap nikah kar le mujhe koi aitraaz nhi hai”



Sarfaraz sahib ne ek aur ghar le liya tha..........juhi wha nhi rahti thi .....sarfaraza sahib ne lakh kosis ki par wo nhi gyi aur fir sarfaraz sahib bhi purane ghar me hi aa gye.........apni beti ko akela kaise chhod dete bhala...lekin aaj bhi wo juhi ko bahut jyada waqt nhi de pate the.




juhi udas rahti thi ...bahut udas ...........ek nadi si bahne wali juhi ek thahri huyi jheel ban gyi thi...............



“juhi tum apna transfer lucknow karwa lo.........mere pass...” sahil ne ek din bato hi bato me kaha.........sirf wo tha juhi thi..............




Sahil ki chhutiyan khatm hone wali thi .....par wo juhi ko chhod kar jana nhi chahta tha.



Juhi ne sooni sooni aankho se uski or dekha aur fir nazre jhuka li.




“kya hua” sahil ne pyar se uska hath apne hatho me le liya...........juhi ki kuchh nhi boli bas uski aankhe bhar aayi.




“kya hua babu” sahil bola.




“sahil , aap is liye ye sab kar rhe ho na ki kyuki aap ko lagta hai ki hum sabne aap par ahsaan kiya hai??? Hai na sahil........????” juhi ne aaj wo kah diya jo bahut din se uske dil me tha...jiski vajah se wo chah kar bhi sahil ke karib nhi aa paa rhi thi.


Sahil ne uski aankho me dekha.......aansuo se bhari wo badi badi aankhe sahil ko bahut dukh de rhi thi....chah kar bhi wo jui ki aankho me aansu aane se nhi rok paya tha.




Sahil chuchap uski aankho me dekhta rha aur fir use khinch kar apne seene se laga liya............juhi bilakh bilakh kar rone lagi..........



Aaj fir se wo patthar pighalne lagaa tha.



juhi ke muhbbat jeet ki dahleez par pahuchti nazar aa rhi thi lekin sahil ki muhabbat ? shayad use khud nhi maloom tha ki uski muhabbat har rhi hai ya jeet rhi hai........aur aarti ki muhabbat .....shayad har chuki thi.

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:24

UPDATE 102-

Juhi yuhi sahil se lagi roti rahi .........sahil samajh nhi paa rha tha ki wo kya kare.............ek taraf uske bachapan ki muhabbat thi tha jo use chhodkar chali gyi aur dusri taraf wo ladki thi jis ne bina kisi swarth ke use apni baho me panah di thi.............. wo bhi tab jab sath wo zindagi ka daman hi chhodne wala tha



Faisla karna shayad itna mushkil nhi hna chahiye tha......lekin “” bachpan ka pahla pyar !!!!!” Sirf wahi samjh sakta tha jisne kiya ho aisa pyar.bahut mishkil yha bachpan ki pahli muhabbat ko bhool pana.



“hai na sahil ...aap nhi karte na mujhse muhabbat.............?????” juhi ki aankho me aansoo the aur un aansuo me ek mayusi thi....... Sahil se uski sooni aankhe bardasht nhi ho rhi thi..........



Sabkuchh to kiya tha juhi ne sahil ke liye aur aaj khan baba ke jane ke bad use sachmuch ek majboot sahare ki jaroorat thi ........sahil ne pyar se uske balo me hath phera .........



“I m sorry juhi....maine tumhe bahut rulaya hai na...........ab kabhi nhi rulaunga........chalo tum yha se .....ab hum sath rahenge.........hamesa sath rahenege.......hamesa hamesa ke liye...” sahil ne uski aankho me dekhte huye kaha.



Juhi ne dabdabayi aankho se sahil ki or dekha ............mano puchh rhi ho sach me ???????



Sahil ne haan me sar hilaya......



“tumhari kasam juhi “ bas itna hi kaha aur uske mathe ko pyar se choom liya.




Juhi sahil se lipat gayi ........uski aankho me ek bar fir se aansu aa gye.....lekin is bar ye aansu khusi ke the.



Doosre din hi juhi ne apne transfer ke liye apply kar diya....aur apne abbu se permission lekar sahil ke sath LUCKNOW aa gyi............



Sahil ko official residence mila hua tha...... juhi ko alag se milna tha par usne lene se inkar kar diya aur sahil ke sath ek hi ghar me rahne lagi.




Juhi aur sahil ka rishta ek vishwas ka rishta tha.............juhi sahil ko apni jaan se jyada chahti thi aur sahil juhi ko apni zindagi se badhkar manta tha.......juhi uske liye muhabbat se bhi upar thi........wo sachmuch hi uski ibadat karta tha apne dil me .........lekin ab shayad juhi ko iabadat nhi, muhabbat ki jaroorat thi..........



Sahil juhi ka har tarah se khyal rakhta..........uske liye juhi se badhaker kuchh nhi tha........lekin abhi bhi ek deewar thi un dono ke bich me jo gir nhi pa rhi thi.................aur sahil chah kar bhi muhabbat ke kadam uski or nhi badha paa rha tha.......... .juhi bahut masoom thi........wo khud bhi sahil ki or nhi badh paa rhi thi . ek hi ghar me rahte huye bhi dono aaj bhi dosti ki had se aage nhi badh paa rhe the.........lekin use yakeen tha ki ek na ek din saahil ki muhabbat uka daman tham legi aur wo us din ka intzar kar rhi thi.........



NOVEMBER ka month start ho chukka tha ........zabardast thand pad rhi thi........sahil aur juhi ko sath rahte almost 2 month ho chuke the .....par abhi bhi dono muhabbat ke haseen safar ki suruwat nhi kar paye the..............



Lagbhag 6 baj gaye the sham ke ....Juhi abhi office me hi thi ..........IT department ki head hone ka bhi apna hi headache tha............wo behad imandar aur efficient thi .......lekin chehre se masoomiyat nhi jati ...kahi se bhi ek robile chehre wali INCOME TAX OFFICER nhi lagti thi ....




juhi, office se ghar aur ghar se office.... yhi routine tha uska...........salary bhi kafi achchhi thi lekin life me koi charm nhi tha...........sahil ke sath rahna apne aap me ek khusi thi ........aur wo to bas itane se hi khus thi.......aur isiliye juhi ko zindagi se koi shikayat bhi nhi thi......sarfarza sahib bhi kabhi kabhi milne aate rahte the.



Sahil ko rahne ke liye jo ghar mila tha wo kafi bada tha.........do bedroom the .......aur dono me attached washroom tha......ek juhi use karti thi ek sahil .



Roj ki tarah aaj bhi juhi office se ghar pahuchi.........sahil ki gadi bahar nhi thi iska matlab wo abhi nhi aaya tha.............juhi chalte huye seedhe apne bedroom me pahuchi..........jab sahil nahi aaya tha to vaise bhi bahar rukne ka kya fayada.




Usne room ki light jalayi........par light jali nhi...........juhi ko thoda ajeeb laga......usne off karke fir on kiya....fir bhi nhi jail..........juhi ko thodi si gusaa aa gyi..........usne apne phone ki flash light on kiya aur pichhe mudkar darwaje ki or badhi......darwaza bahar se band????? Juhi ne khicha parr koi asar nhi...........



Ye kya ho rha hai sab..........juhi ko ab thoda thoda dar lagne laga.........usne ek do bar aawaz lagayi ki bahar khade security guard shayad sun le......par koi fayada nhi hua..........wo gate ke bahar hote the.......fir uske bad chhota sa lawn tha......fir ek baramada type hall aur fir rooms.......to aawaz pahuchana mushkil hi tha...........usne apna phone nikala aur sahil ko call karne lagi.......juhi apne phon ko kan se lagaye hi thi kiiiiiii......achanak kisi ne use pichh se baho me utha liya..............




“aah...........k..kk...kaun hai......”juhi ne jaldi se khud ko chhudaya aur mobile ki roshni us sakhs ke chehre par dal di..........



“sahill...........aapppp” sahil halke halke muskkura rha tha........



“aap bahut gande ho.......pata hai mai kitni dar gyi thi ........” juhi ki aankh me sach me aansu aa gye the



“sorryyyy” sahil ne kan pakad kar kaha.... .juhi ko hasi aa gyi.



“ye kya ho rha hai sahillll......” juhi ne muskurate huye puchha.......



“ummm...kya ho rha hai.......tum dar gayi thi aur kya........” sahil ne bade maje se jawab diya......




“mera matlab....ye ye...ye light bhi nhi jal rhi... “ juhi thoda sa Sharma gayi



“tum bolo to jalne ko .......dekhe jara kaise mana karti hai........”sahil bola...juhi ko samjh me aa gya ki sahil ki hi sharart hai kuchh...lekin ye sharart use bahut achchi lagi thi........




Usne halke se muskura kar sahil ki or dekha..........



“sahil plzz...” juhi ne kaha.



“maine kucchh nhi kiya..........aaj ye sirf aapki hi bat sunegi.........boliye to ek bar............” sahil ne kaha.



“kya bolu...........” juhi boli.




“yhi ki lighit on ho ja.......” sahil aaj mood me lag rha tha.



Juhi ko aaj sahil ka ye masoom sa roop bahut pyara lag rha tha.......aur usne bas sahil ki khusi ke liye hi bol diya...........



“light on ho ja.........”



Kuchh nhi hua aur kamre me abhi bhi gupp andhera tha bas juhi ke phone ki roshni me dono ek dusre ke chehre ko dekh paa rhe the...



“kuchh bhi nhi hua........dekha aap ne.......ab bas naaaa ...plss” juhi ne sahil ki aankho me dekhte huye kaha.




“Bas ek bar aur...........”



Juhi ne fir se kaha .......fir kuchh nhi hua.............



“sahillll.” Juhi ko ab thoda thoda gussa bhi aa rha tha aur sahil par dher sara pyar bhi.



“bas ek aakhiri bar..............plsss” sahil ne kaha aur juhi ne uska dil rakhne ke liye fir se kaha.........



“light on ho ja.......”


Fir se kuchh nhi hua..........abki bar to juhi ko gussa aani hi thi.............



“enough is enough,...maine kaha na kuchh nhi.............”juhi ka gussa dil me adhoora rah gaya aur uski bat juban par....



Kamre ki wo light to nhi jali lekin kamre ke bicho bich tangaa hua bada sa jhoomar jal utha......aur poora kamra uski neeli roshni me naha gya.... ye jhoomar aaj se pahle to nhi tha is room me.....sath hi room ke bich me ek table par rakhe bade se cake ki sari lights jal uthi aur room me slow music “ happy b’day to you “ chalne laga........



Aaj 16 november tha juhi ka B’DAY.



Juhi ko laga jaise wo kisi aur duniya me hi aa gyi......poora room balloons se aur stickers se sajaya gya tha..........ek bada sa aquarium rakha hua tha ek kone me jisme rang birangi fish tair rahi thi.........



Juhi ko khud bhi yad nhi tha ki aaj uska B’DAY hai ...........har bar khan baba yad dilate the aur is bar.............sahil ne.



JUHI ki aankhe bhar aayi..........



“thank u sahil........” juhi ne uski aankho me pyar se dekhte huye kaha aur apne aansuo par kabu pane ki kosis karne lagi........aaj use khan baba ki yad aa rhi thi.



“nhi..plz rona mat yar...abhi bahut se progrmme soche hai maine plz...........rona mat” sahil ne uske ek aansu ko apne hatho se saf karte huye kaha.........juhi sahil ke gale lag gayi.......


“thank u sahil ......aapko yad tha ...thank u so much sahil.... ........” juhi ke dil me ek nayi umeed ne janm liya tha mano.



“jinhe ham pyar karte hai unki chhoti chhoti khusi ka khyal bhi hame rakhna padta hai ...............” sahil ne dheere se uske kan me kaha.



Juhi jhat se us se alag ho gyi............ ye kya kah diya aaj sahil ne........... ...jo sun ne ke liye uske kan taras gye the aaj wo bola diya tha uske mahboob ne............juhi ke dil me jaise naye phool khil uthe the.........uska man jhoom jhoom ke nachne ko kar raha tha.........par wo kuchh na kar saki.............bas nazre jhuka kar sharmane lagi............abhi ek khusi bhi hazam nhi ho payi thi ki sahil fir se bol utha...............



“juhi , mai kuchh laya hu tumhare liye............” sahil ne juhi ke hath me ek shopper rakh diya......



“kya hai ye sahil.......” juhi ne kaha.


“dekh lo kya hai.........” sahil ne kaha.


Juhi ne shopper khola..........ek green colour ki sadi thi usme ...
bahut hi lazwab pasand hai sahil ki , juhi apne man me sochne lagi....sahil mere liye sadi laye hain........hayeee


Juhi ko lag rha tha ki aaj wo sharm se mar hi jayegi............



“kya hua .......pasand nhi aayi.” Sahil use chup dekhkar bola ...



“nhi ye to bahut khoobsoorat hai......” juhi ne kaha



“nhi, ye khubsoorat tab ho jayegi jab tum ise pahan logi.........” sahil eka-ek bol gya....... Aur fir khud bhi thoda sa sharminda ho gya...juhi to sharam se gadi ja rhi thi.......lekin use sahil ka yu ijhaar karna behad achchha lag rha tha..........



“sahil mujhe nhi aati sadi pahnne.............” usne bahana kiya...........kaise aayegi sahil ke samne sadi pahan kar .....use bahut sharm aa rhi thi.



“juhi mera dil kiya mai le aaya...............agar tumhara bhi dil kare to pahan lo .........ab jao jaldi se change karke aao fir cake kat te hai.........” sahil ne apne dil ki bat kah di.



“Sahil aap bahar jaiye jab mai bulau tab aaiyega.........” juhi ne kaha ...


“kyu ..”



“matlab??????...mujhe change karna hai to ????????? .......” juhi ki aankhe hairat se bad ho gayi sahil ke kyu kahne par..


“haan...m..mera matlab tha ki washroom me change karogi na.....ok mai jata hu........” sahil sakpka gya aur fir chuchap room se nikal gaya.


“ekdam hi buddhu hai.........lekin bahut pyare hai..” juhi ne sahil ke jate hi khud se kaha........aur muskurane lagi.



Usne apna ward rob kholo aur ek matching colour ka blouse nikala aur sadi se match karke dekhne lagi...
Blouse ekdam matching hi tha..........


Vaise to juhi sach me sadi nhi pahnati thi par ek do bar usne apne training ke time par music function me pahni thi aur , ek do bar kisi kisi marriage function me bhi....to uske pas ek do sadiyan thi aur use pahnna bhi aata tha.......lekin aaj sahil ke samne pahnne me use sharm aa rhi thi......par sahil itane pyar se uske liye laya tha .......kaise mana kar deti bhala.



juhi ne sadi pahna aur aainne ke samne khadi hokar khud ko niharne lagi......
“sahil mere liye ye le aaye.........aur wo bhi to kahaki jinhe ham pyar karte hai unki khusi ka khyal rakhna padta hai.......sahil mujhse pyar karte hai...muhabbat hai unhe mujhse........par bade badmash hain...ijhar bhi kiya to kaise......seedhe se nhi bol sakte ki juhi tumse muhabbat ho gyi hai.........hmm ...koi bat nhi sahil jee ......ek din ham aapse bulwa hi lenge........aap hamse pyar karte hai itna hi bahut hai hamare liye to............” juhi aaine ke samne khadi khud se hi bate kar rhi thi aur halka fulka make up bhi kar rhi thi........



Lagbhag 30 minute bad juhi ne door open kiya aur sahil ko aawaz di...do bar bulane ke bad bhi sahil nhi aaya aur unka home servant bhagta hua aaya........



“Mem sab, wo sahib kisi se phone par bat kr rhe hai...bole hai ki abhi aate hai........”



“thik hai....kaka wo, saheb aaj office se jaldi aa gye the kya ?? ” juhi ne puchha.




“jee mem sahib , sahib to aapke jane ke turant bad hi aa gye the... ...lagbhag 11 baje subah ko” naukar ne kaha.



“thik hai aap jao........ghar chale jao ......aaj hme kahi bahar jana hai........” juhi ne kaha .



“Iska matlab sahil ne aaj chhutti ki thi.....aur ye sab kuchh khud kiya hai..........” juhi man me sochne lagi aur uske man me sahil ke liye aur jyada muhabbat badhne lagi.




“thank u sahil......maine aapko bilkul sahi pahchana hai.....aap wakayi muhabbat karne ke layak ho......jee chahta hai aapko duniya se churakar apne dil me chhupa lu.” Juhi man hi man soche ja rhi thi jab sahil darwaje par nazar aa gya.......


Sahil ki nazar juhi par padi aur wo palke jhapkana hi bhool gya..............


Juhi khubssorat to hamesa hi lagti thi lekin aaj to wo qayamat hi lag rhi thi........green colour ki sadi aur full sleeve blouse me uska gora rang khub khil raha tha......kalaiyo me hari hari chudiya aur hotho par halki si lal lipstic.......gale me ek patli si chain aur un badi badi aankho me kajal.....khule huye lambe kale bal aur chehre par aati un balo ki kuchh laten.........aur un sabke bad us masoom se mukhde par ek pyari si muskan........ufffff.........


yauvan ke rang se poori tarah rangi huyi wo haseena aaj sachmuch itani khubosoorat lag rhi thi ki menka jaisi apsara bhi sharma jaye uski khubsoorati dekhkar .



Sahil ek tak dekhe jaa rha tha use...



aur juhi uske is tarah dekhne se sharam ke mare pani pani ho rhi thi.......lekin aakhir uske liye hi to saji sawari thi wo........to dil me kahi ek haseen si tamnna ne bhi angdayi li.


“kya hua sahil?” juhi ne kaha.


“umm..aaaw..wo..wo...kuchh nhi chalo cake kaate.........”



Juhi ko hasi aa gyi sahil ki halat par.......


“hummm..bade aaye ......aankhe phad ke dekh rhe hai .......aur ek lafz tarif ka nhi bol sakte ....koi bat nhi sahil jee, dekh lenge aapko....”juhi ne apne man me socha aur dheere se muskura di.



“jee....” juhi ne bas itna hi kaha aur dono cake ki or badh gaye.


Juhi ne ek pal sahil ke chehre ki or dekha...........



“bahut dukh jhela hai tumne meri jaan ....tumhe itani muhabbat dungi ki tum har dukh bhool jaoge......apne maajhi ki yad bhi nhi aayegi tumhe.........mai tumhe bataungi ki muhabbat buri nhi hoti ...bas insaan achchhe-bure hote hai...”


“Kya soch rhi ho.. kato ne cake.........” sahil ne kaha.



“umm haa...aap bhi sath me ...plss..” juhi ne kaha.



Sahil kuchh nhi bola ......... juhi ne sahil ka hath pakad kar apne hath par rakh diya.....sahil ne dheere se uske hath me pakde huye knife ko uske hath ke sath hi pakad liya aur dono ek sath cake par jhuke hi the ki sahil ke jeb me pada phone ghanghana utha.........


Sahil nhi utha rha tha ......



“sahil dekh le shayad koi important call ho......” juhi ne kaha aur dono alag ho gye.....


Sahil ne phone recieve kiya........kisi naye number se phone tha.........



“hello, jee kaun ???” sahil ne kaha.



“hello sahil, mai dheeraj bol rha hu............” dusri or se aawaz aayi..........


Ufffffffffffffff............DHEERAJ , bada bhai........aaj 4 sal bad chhote bhai ki yad aayi thi.......aur wo bhi tab jab aaj bahut dino bad sahil thoda sa khus hone ki kosis kar rha tha.

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by sexy » 23 Feb 2017 10:25

UPDATE 103-

Sahil ne apni saanso ko niyantrit kiya aur phone utha liya.............


“hello sahil, kaise ho beta “ papa ne hamesa ki tarah phone uthate hi puchha.


“thik hu papa aap kaise hai, mummy kaisi hai ??? ”


“ham sab bhi thik hain.............wo kuchh bat karni thi.......”



“jee kahiye.........” sahil ne kaha .........papa ki awaz thodi gambheer thi ..



“wo dheeraj ki shadi tay ho gyi hai....jyoti {dheeraj ki fiancée jaha uski shadi pahle tay thi lekin bad me un logo ne mana kar diya} ke papa ka kal phone aaya tha.............khud hi unhone mana kar diya tha bina koi vajah bataye aur ab khud hi fir se shadi ke liye kah rhe hain..............mujhe to bahut gussa aayi par tumhari maa ne haa kar di................” papa ek saans me hi sab kah kar chup ho gye..............mano sahil ka reaction jan na chah rhe ho.


“jee...........” sahil ne bas itna hi kaha..............juhi bhi sahil ke kano se kan lagaye uske gale me bahe dale sari baten sun rhi thi.


Sahil chah rha tha ki jald se jald bat khatm ho.....dheeraj ke bare me bat karna use achchha nhi lag rha tha .


“to beta date kab ki rakhen......?????” papa ne puchha.



“jab aap log thik samjhe “ ssahil ne sankshipt sa jawab diya..


“matlab tumhe kab chhutti mil payegi..........” papa ne fir se puchha.


“papa aap jo bhi kahenge mai kar dunga par mai aa nhi paunga.......” sahil ne juhi ki aankho me dekhte huye kaha.....


“kaisi baten kar rha hai beta....tu nhi aayega to shadi kaise ho sakti hai.............dheeraj ne phon kiya tha bata rha tha ki tune us se bat nhi ki....beta chhoti moti baten hoti rahti hai....bhai hai wo tumhara..........” papa ne kaha.


“sorry papa main hi aa paunga....mujhe chhutti nhi mil payegi ..............” sahil ne fir kaha.


“sahil log kya kahenge .........baut badnami hogi beta.........bade bhai ki shadi me chhota bhai nhi hoga to kaisa lagega.........”



“mai nhi aa sakta papa........mai sara arrangement kar dunga...sare kharch aap mujh par chhod dijiye ....mai sab dekh lunga..........lekin please mujhe aane ke liye force mat kare.........” sahil ko papa ko na bolna achcha nhi lag rha tha...........lekin wo haa bhi nhi kah paa rha tha.


“thik hai beta ........lo apni mummy se bat kar lo..........” papa ki aawaz me ek nirasha thi jo sahil ko chubh rhi thi....



“sahil aaja beta ...........apne budhe maa baap ke liye hi sahi........”mummy ki aawaz thodi bheegi bheegi si lagi sahil ko .....wo kaise rula deta apni maa ko.



“thik h mummy kosiss karunga ...aap log date fix kar le ...mujhe bata dijiyega.....” sahil ne thodi der bat ki aur fir phone rakh diya.



Sahil ne phone rakha aur juhi ki aankho me dekhne laga ...mano kah rha ho ki dekho ,tum to sab janti ho na....kaisi aazamayish ho hi hai mere dil ki..........juhi bhi un aankho ki bhasha samjh gayi.....usne apne dono bahen faila di aur sahil un baho me sama gyaa......sahil ko apne seene me chhupaye juhi pyar se uske balo me hath ferti rahi..........


Sahil ko hamesa hi in bahon ka shara mila tha ...........jab bhi dil udas ho jata ,ye bahen hamesa use apne aagosh me panaah deti .....aur kuchh pal ko sahil har fikar se beniyaaj ho jata.



Sahil ne nazre uthakar juhi ki aankho me dkeha..............



Juhi ne aankho hi aankho me puchha kya hua............



“kya karu mai juhi ....mummy ko rota nhi dekh sakta na.........” sahil ne badi masoomiyat se kaha.



“mai janati hu sahil ..........aapne thik kiya...........” juhi ne uska sar apne god me rakh liya.



“tum chalo gi na mere sath............” sahil ne badi umeed se kaha.



“mai kya karungi wha chalkar sahil ...aur fir mujhe to kisi ne bulaya bhi nhi..........” juhi ne uske balo me hath ferte huye kaha.



“mere liye chalo..............nhi to apno ke bich bahut akela ho jaunga mai.............” sahil ne uski najuk si kalayi ki hari hari chudiyo ko chhedte huye udasi se kaha..



“aapke liye mai kuchh bhi kar sakti hu...jante hai na aap...............chalungi mai aapke sath” juhi har pal sahil ko yhi ahsaas dilate thi ki wo uske sath hai ,uske pas hai....hamesa hamesa ke liye.



“Thank u juhi” sahil ne kaha aur juhi ne pyar se uska matha choom liya.


Lagbhag do din bad fir papa ka phone aaya ...........



“beta, 5 feb ka din rakh rhe hai ............thik hai na............” papa ne sahil se kaha.


“jee” sahil bas itna hi bola.....



“beta ...wo juhi beti ko bol dena.........tumhari ma kah rhi thi ....ya to number de do hum khud hi bol denge .....” papa ne kaha...sahil ne phone loudspeaker par rakha hua tha aur pas me baithi juhi ki or dekh kar muskuraya.......wo bhi khil uthi.


“papa mai bol dunga.....aap koi tension mat lijiye.... mai sab dekh lunga.....”


“jeete raho beta.......tumhari jaisi aulad bhagwan har ma baap ko de.” Papa ke dil se apne bête ke liye dua nikli.



“Lijiye madam aapka bulawa aa hi gya” sahil ne phone rakh kar juhi ki or dekhte huye kaha.



“hum to jate hi ...bulawa na aata to bhi..........”juhi ne bade maan aur apne pan se kaha.


“achcha ji , badi jaldi hai sasural jane ki ....” sahil ne use chhed diya.


“sahillllllll” juhi ekdam se lajaa gayi.


“ dekha mummy tumhe nhi bhooli.........aakhir hone wali bahu ko kaise bhool sakti hai............”sahil ko sharamayi si juhi bahut pyari lagti thi aur ab to wo sharam se ek dam gulabi ho gyi thi...



“sahil...mat kariye na aisi baten pls.............” use achchhi lag rhi thi sahil ki chhed chhad lekin sharm bhi bahut aa rhi thi.




Sahil aur juhi ka pyar dino din badhta ja rha tha ...........juhi ke bina sahil ko ek pal bhi achcha nhi lagta...........jab juhi ghar par ni hoti to wo bhi ghar na aata ..............sahil ghar se bahar ek behad imandar aur sakht IAS Officer tha lekin ghar ke andar ek chhote bachche ki tarah zid karta ,apne nakhre juhi se uthawata aur hamesa use tang karta rahta....



Juhi ki duniya bhi sahil me simat kar rah gyi thi....wo office ke bad sara waqt sahil ko deti .......sahil ke sare najo nakhre wo kisi chhote bachche ke jaise lad se uthati..........sahil ne use itna pyar diya tha ki use kabhi apne maa ya baba ki yad nhi aayi...........juhi jara si bimar ho jati aur sahil sab kuchh chhodkar uske sath lag jata ........jab tak wo thik na ho jati sahil ko kisi chij ki parwah na hoti.........uski har chhoti badi khusi sahil ki zinadgi me bahut ya shayad sabse aham hoti .........



Juhi aur sahil ke liye ab ekdusre ke bina jeena shayad sambhav hi na tha.



Sahil ne khud ko juhi ke liye badal liya tha ...............use khan baba ko diya vada, aur juhi ka wo be-intaha pyar yad tha...........sahil badal gya ,halat badal gaye bas ek bat nhi badali.............aaj bhi sahil ko wo “bewafa “ yad aati thi ................jab bhi yad aati ,to sab kuchh yad aa jata.........wo kisi kone me ek aansu gira leta aur chuchap aage badh jata..........sahil ka in yadon par koi jor nhi tha..........sahil chah kar bhi un yadon ko nhi rok pata tha............iske liye kabhi kabhi wo khud se khafa bhi ho jata ........use apna-aap doshi lagta ...lekin wo majboor tha shayad ..........aarti ki yaden aa hi jati..........aur ab un yadon ke siwa us rishte ka uske pas bacha hi kya tha.


*************************************************************************************



Sahil aur juhi 30 january ko gaon ke liye nikal liye..............sahil ne hi wha ka sara intzaam kiya tha.........uska man nhi tha jane ko ......dheeraj ke wo sabd yad the use ........lekin apne mummy papa k liye use jana pada.



Sahil ghar pahuch chuka tha .......juhi sabse milkar bahut khus huyi ........RENU se to vaise bhi uski achchai banti thi .....mummy papa bhi uske aane se kafi khus the ...........bas usne dheerej se koi bat nahi ki ..........na sahil hi dheeraj se koi bat kar rha tha ......juhi chup thi sirf sahil ki wajah se ...............jab bhi sahil ki didi ya dheeraj ka jikar aata tha juhi ki aankho me shole utar aate...........use wo rota bilkahta,akela sahil yad aa jata tha..........kitna akela kar diya tha use uske apno ne .....lekin wo chup thi –sirf apne sahil ke liye.




sahil ke ghar par is samay kafi bheed thi .......uske dono uncle uski dono bua aur un logo ki family –sare log aaye the ....ye sab sahil ke papa ke bhai bahen the..............wo bhai behan jinhone unhe gareebi ke samay bilkul akela achhod diya tha ............aaj sab log aaye the ............qki ab unka beta IAS tha ........ab wo garib nhi the..........kafi bheed ho gyi thi lekin shail ne sara arrangement pahle se hi kar diya tha...........isliye koi paresani nhi thi .



papa jitni bar bhi sahil ko dekhte seena garv se phool jata ...........lekin ek kasak thi unke man me ...sahil aur dheeraj ka aapas me na bolna............



aaj shadi k ek din pahle didi ke yaha se did aur rohan aaye ......na jeeja aaye thi aur na hi “ AARTI “ ....sahil didi se kuchh kuchh bat kar leta lekin juhi nhi karti thi.........use sab sahil ki kasoorwar nazar aate .


sahil aur dheeraj ka aapas me na bolna mahsoos to sabko ho rha tha aur fir badi bua ne ye mudda utha hi diya............



Bua dheeraj ke sath baithi thi....sahil whi samne se gujara..........



“are sahil jara ek pal ko mere pas to baith ...........tu to dikhta hi nahi” badi bua ne kaha aur jane kaha se tahalte huye choti bua bhi wha aa gyi.....


sahil na chahte huye bhi jakar unse thodi doori par rakhi chair par baith gya.......dheeraj ne ek bar sahil ki or dekha fir nazre jhuka li.............



“aur sahil kaisa chal rha hai sab ........bada afsar ban gya re tu to.......ittu sa tha jab mai yha se gyi to.......”




“jee bua ban to gya..........mere apno ka aashirwad jo tha....”sahil ne kaha aur dheeraj ki or dekha ......sharam se sar nhi utha rha tha wo.


Bua apne aadat ke mutabik hi bhoomika bana rhi thi .......aur dhhere dheere baton hi baton me sahil ke dono chacha ,chachi unke bachche aur kuchh aur bhi relatives wahi baramde me ekatthe ho gaye..........


Aur ab bua ne jab dekha ki achchhi khasi bheed ho gyi hai to apna Ram-ban chhoda.........



“tum dono aapas me bat kyu nhi karte..........jab se aayi hu dekh rhi hu.........” badi bua ne sahil ki or dekhte huye kaha.



“bua mujhe bahut kam hai aap log baithiye “ sahil ne uthana chaha.



“are lallaa jara baith to sahi.... kaam to hote hi rahenge.........” chhoti bua bhi maidan me aa gyi.



”are babu,IAS ho gye ho wo thik hai...par bhai to bhai rahega na..........”ye bade chacha the...jinhone shayad aaj pahli bar sahil ka jikar apni juban se kiya tha.........aaj tak sahil kaun hai wo jante bhi nhi rahe honge......... Sahil ko unki bat chubh gayi...........lekin wo kuchh nhi bola....kal shadi thi aur aaj wo koi tamasha nhi karna chah rha tha.....



sahil ki khamoshi uski kamjori ban rhi thi aur dheere dheere logo ke muh khul rahe the.............



“are bada bhai hai...............kuchhh bol bhi diya to bhool jao.....bhale ketne bade afsar ban jao ...rahoge to us se chhote hi.............” chhoti chahchi kyu pichhe rahti...unhone bhi aag me ghee dal diya.



Sahil sabke bich me baitha kathgahre me khade gunahgar ki tarah sar jhukaye sab sun raha tha .....usakaa mukadama lada ja rha tha lekin uske paksh me koi nhi tha....




“aree bhaiya jab paise aa jate hai to kaun apan aur kaun paraya.........kaun bhai aur kaun bhaujai.............sab paise ka rang hai aur kuchh nhi” ye kaun bola sahil pahchan nhi paya........lekin us se baradast nhi hua.



“dekhiye ................ye hamare ghar ka mamala hai.............pls aap log isme dakhal na den..........” sahil ne thode sakht hone ki koisis ki........... ....lekin uske andar ki sakhti gayagb ho gyi thi .........use fir se sabkuchh yad aa rha tha....dheeraj ki har bat, apni har asafalata..........aarti ko use thukaranaa........sahil ek bar fir se usi daur me pahuch gya tha....whi kamjor sa sahil..........udas sa sahil....majboor sa akela sahil........apni sakhti aur kabiliyat ke jhande gadne wala sahil aaj ek bar fir apno ke hatho haar rha tha.



“haye ...haye...ham sab bahar wale hai.....to ham aaye hi kyu hain ....jaroorat hi nhi hamari............” badi chachi ko ek bat mil gayi ...


“Sahi kah rhi hai bhabhi....hamari kya aaukat ...bade logo ke bich....ham to gair hai.” Chhoti bua ne to bakayda rona bhi suru kar diya....



Sab kuchh na kuchh kah rhe the .......achcha khasa hungama ho gya......sahil ke papa market gaye the aur mummy ghar par nhi thi ..... jaise hi papa ghar me ghuse sab un ki or lapke...sahil chupchap whi baitha rha...............



“bhai sahib ham gair hai to kyu bulaya ...are bas yahi to samjha rhe the ki bade bhai se kyu bat nhi karte ...aur hame gair kah diya...haa hm to gair hi hai........” dono chachi aur bua ...sab milkar ek sath bol rhi thi ....yhi unka charitra tha hamesa se hi .



“sahil ye kya kah rhi hai beta..........”papa ne dheere se puchha



Sahil chuchap chair par baitha jameen ko ghur rha tha...............uske aankhe bhar aayi thi lekin kisi ko nazar nhi aa rha tha....



“aaye haye.....itani akada????? baap ki bat ka zawab nhi diya........bhai se nhi bolata......IAS hi bana hai na.................are baap bhai ki ijjat to bhagwan bhi karte hai...hunnnhh” badi bua sabse aage the..........



Sahil ke papa ko apne bête ke bare me aisi baten sun kar dukh ho rha tha ....lekin kal shadi thi ...unhe pata thi ki ye sab kitna bakheda karenge agar unhone kuchh nhi kaha to..


“sahil sorry bol do beta.........sab apne hi hai ........koi gair nhi hai” papa ne sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha.....kitni badi galti kar di thi aaj papa ne.



Sahil chup rha ................sar tak ni uthaya usne .....




“batao...jo apne baap, bhai ki ijjat nhi karta , wo hamari kya karega.....are IAS bhi insan hote hai, koi bhagwan nhi ..” sab tarah tarah ki baten bol rhe the ..........RENU aur DIDI bhi wha pahuchi...lekin unhe samjh me nhi aaya ki kya ho rha hai...........




“jab bade bhai se bolna hi nhi tha uski shadi me aane ki kya jaroorat thi .........sab akada hai aur kuchh nhi .....jab tak kuchh nhi the,tab tak bhai-baap ki jaroorat thi .........ab kya jaroorat......ab apno ki kya jaroorat” badi chachi ne kaha.



Aur fir wha wo pahuchi jisne sahil ko us bhyankar tufan se nikal liya tha , ye to halat ke mamooli thapede the, ye uska kya bigad lete ...........jee ha ....juhi wha aa gyi thi........... -SAHIL KI JUHI- aur chachi ki bat sun bhi li thi usne .



Juhi ne kisi ki bat par koi dhyan nhi diya .....teji se sabko hatate huye sahil ke karib pahuchi auer uske kandhe par hath rakha ........ “ sahil” usne bade pyar se use pukara.



”juhi !! tum aa gyi juhi.....dekho maine kaha tha na ki apno ke bich mai akela pad jaunga.......” sahil ki aankhe aansuo se bhari huyi thi....... Juhi ka dil tadap kar rah gya ...sahil ke aansu khanjar bankar chubhe use .......kitni muskil se sameta tha usne apne sahil ko aur aaj ek bar fir se uske apne apno uske jakhm kured diye the.



“nhi sahil , aap akele kaise ho.....mai hu na......” sahil ne jor se juhi ko pakad liya ...sab log dekhte rahe lekin aaj juhi ko kisi ki parwah nhi thi.



“lo bhai ye to hai hi , ab hamari kya jaroorat .............” chhoti bua boli ...ek tanj tha unki aawaz me..........



“vaise kaun hain ye.........????????” badi bua ne badi gahri aur taane wali ada se kaha.


Juhi ne sabki bat unsuni kar di ....sahil ke aansu poche .....use chair se uthakar apne sath lagaye le gayi .... pas wale room me sofe par sulaya........darwaza band kiya aur wapas aa gyi, sahil jis chair par baitha tha us par jaka baith gayi.



“pucchiye mujhse jo puchhna hai aap sabko ..........” juhi ke aankhe aangaro se dahak rahi thi.




Kisi ki himmat nhi padi kuchh kahne ki .................juhi ke chahre se, ankho se , uske haw-bhaw se ek gussa,ek nafarat jhalak rha tha .......sab ko mano saanp sungh gya.........



“puchhiye ?????? kya puchh rhe thi aap sab mere sahil se ??? ” aaj juhi ko kisi ki parwah nhi thi , parwah thi to bas apni muhabbat ki , jiske liye wo kisis bhi had tak ja sakti thi .........shant-shant si , hasamukh , khili-khili si rahne wali juhi aaj kisi sherni ki tarah dahad rhi thi .............dahadti bhi kyu na ...aaj uski muhbbat par aanch jo aa gayi thi................



“aap sab kya puchhenge......kya puchhenge aap sab ............kisi ki aaukat nhi hai mere sahil se koi sawal karne ki ........... “apne” ??????? kaun se apne ? sahil ke apne ????? sahil ne chhod diya .........??????? “ juhi aaj nhi rukne wali thi.


“aap sab sahil se sawal puchhte hai ki wo apno se bat kyu nhi karta ..........use apno ki kadar kyu nhi hai...........hunnnhhhh ...........aur aap sab hote kaun hain ye sawal puchhne wale .........aur agar kuch haq samjhte hai apna sahil par ,agar sachmuch sahil kuchh lagta hai aapka........to puchhiye uske apno se --- kaha the wo apne jab sahil ek ke bad ek har jhel rha tha aur uske pas koi apna nhi tha ..........sahil ke sapne ek ek karke toot rhe the aur uske pas uska bhai nhi tha ......wo bikhar rha tha aur uske pas uski badi behan nhi thi............sar rakhkar rone ke liye bhai ka kandha nhi tha...... aansu poonchhne ke liye bahan ka aanchal nhi tha...............” juhi bol rahi thi aur sab chuchap sun rahe the.




“jante hai aap sab sahil ke pas kya tha ......diili ki ghuti huyi galiyo me ek chhote se kamre ka kala andhera tha ........... us kamre ki seelan aur badboo bhari deeware thi ........sahil un deewaro se lipat kar roya –tab kaha the ye apne , jab sahil un tang galiyo me bhatakta raha –tab kaha the ye apne .......tab kyu nhi aaya koi ye kahne ki sahil tu mera apna hai, tera mera rishta teri safalta asafalta se nhi juda hai ....tu jaisa hai achchha bura –mera hai..... aaj itne log hai hai jo sahil ke apne hai ..............tab kaha the aap log ..............kyu nhi kabhi puchha ki jee rha hai ya mar gya sahil ........kaha the aap sab ....kaha tha ye bhai ...???...kaha thi ye badi behan ?????.........puchhiye aap sab apne aap se , puchhiye in sab se .......puchhiye .....please ek bar puchhiye ...mere sahil se mat puchhiye .........kuchh mat puchhiye ...khuda ka wasta aap sab ko .” juhi kahte kahyte buri tarah se bilkah kar rone lagi




Sabki aankhe aansuo se bhari thi ....didi baithkar ro rhi thi ....aaj juhi ne sabko aayina dikha diya tha ...........mujrim ki kursi par baithkar sabko mujrim bana gyi thi aaj wo PARI--- SAHIL KI PARI.

Post Reply