PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:01

Update 9

"iska matlab tumhe yeh kehna hai ki yeh sab khun koyi dhannalal hai unhone kiye hai...?" Maansi ne pucha...

"nahi...! abhi se yeh sab kehna yogya nahi hai... kyunki dhannalal is gaaon ke ek pratishtit vyakti hai... shayad yeh bhi ho sakta hai ki unke kisi naukar ne yeh kartut ki ho...! shayad unko is chaaku ke vishay mein adhik jaankari ho, isse jyada jaankari shayad hamein wahin milegi..." inspector Ravi khursi par se uthta huva bola... "alex gaadi nikalo hamein abhi ke abhi dhannalal sahab ke paas jana chahiye..."

"par saahab, abhi..? abhi raat hone ko aayi hai... kam se kam ek phone kar ke unse ijajat toh le le..." Alex...

"Alex, kaam bohot hai, chalo tum," apni topi ko uthakar Ravi kab ka baahar nikal gaya... unke piche piche Rahul aur Maansi bhi gaadi mein jaakar baith gaye...

*************************

Dhannalal saahab ki haweli C.F.L. aur tubelights ke safed prakash mein jagmaga rahi thi... gate ke paas 2-4 gadiyan, guards, isse dhannalal saahab ka aan baan shaan dikh rahi thi...

"dhannalal sahab ko milna hai, ghar mein hai kya...?" Ravi ne darwaje par hi guard se pucha...

"woh toh abhi abhi baahar gaye hai, kheton mein chehalkadmi karne ke liye...!" guard ne jawab diya...

"Alex tum idhar ruko, mein dekh kar aata hun.." aisa bol kar Ravi kheto ki taraf nikal gaya, uske piche piche Rahul aur Maansi bhi the...

Dhannalal sahab ke khet haweli se lagte huye mailo dur faile huye the... haal filhal huye baarish ke kaaran achchi khasi fasle ug gayi thi... aakash mein vapas kaale baadal mandrane shuru ho gaye the...

joron ki hawa chal rahi thi aur uski wajah se honewala aawaj se sharir par sirhan paida ho rahi thi.... chandani raat mein agal bagal kisi ke bhi hone ka anuman nahi lag raha tha...

"Dhannalal Sahab..." inspector Ravi ne aawaj lagayi... kuch kshan shanti purvak gaye... lekin aawaj ka koyi bhi pratiuttar nahi aaya...

"Dhannalal Sahabbbb..." inspector Ravi ne wapas aawaj lagayi...lekin isbar bhi pratiuttar nahi aaya...

"Rahul... hum tino alag alag dishaon mein jaate hai aur dhannalal sahab ko dhundate hai... dus minute baad wapas idhar hi milte hai..." aisa bolkar inspector Ravi kheton mein ghus gaya...

us nirjan kaali andheron mein Maansi akeli khadi thi... uski aankhen andheron mein andaza lagane ka prayas kar rahi thi... 5 minute bit gaye lekin kuch bhi aahat nahi huyi... aur usi samay apne ekdam nikat koyi toh hai aisa use mehsus huva... ek sihran uske pure sharir se daud gayi... ridh ki haddi mein thand ki lehar se sikudan paida ho gayi....

Maansi koyi bhi aahat karne ke liye ghabra rahi thi... aahat karne se usko apni gatividhi ka pat chal jaye aur woh apne ko dhardaboche... isliye Maansi ekdam stabdh khadi thi...

uske piche kisi ke toh chalne ki aahat huyi aur woh aawaj uske ekdam karib aane laga... aawaj ekdam najdik najdik aate ja raha tha... aur ekdam najdik uske piche aakar ruk gaya...

Maansi ki saanse jor jor se chalne lagi... gala sukh chuka tha... chalne ka woh aawaj aana ruk gaya tha... koyi aaya bhi hoga toh woh Maansi ke ekdam piche khada tha... Maansi dhire se piche ko ghumi....

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:02

Update 10


Uske piche ek 6 fut lamba kasarati badan, muchchon wala vyakti khada tha... us vyakti ka chehra pasine se tarbatar tha... aankhen baahar ki aur nikli huyi thi, jaise ki abhi baahar ko aa girengi... Maansi ki najar us vyakti ke chehre par se hatkar niche ko jhuki aur usko ek jordar jhatka laga... us vyakti ka sharir khun se lathpath tha... kisi ne toh kam se kam 8 se 10 baar chaaku ghonpa tha... Maansi ke muhn se ek jordar chinkh nikali...

woh vyakti kisi bhi vakt jamin par dharashayi hogi aisa lag rahi thi... us vyaktine dhire dhire apna haat upar uthaya... uski ek ungli pehle maansi ke chehre par sthir ho gayi baad mein baayi taraf ghum gayi... woh vyakti Maansi ke piche kisi ki taraf toh ungli dikha rahi thi... Maansi ne dhire se apni najar piche ko ghumayi piche Rahul khada tha...

"Maansi kya huva...? sahabbb...!!! kya huva dhannalal sahab?" Rahul bhagta huva aage aaya, lekin tab tak dhannalal sahab ka deh niche dharashaayi ho chuka tha...

Maansi ki chikh sunkar inspector Ravi bhi wahan aa chuka tha...

Lekin Maansi abhitak baar baar pehle Dhannalal Sahab ko aur fir Rahul ki taraf dekh rahi thi...

**************************

Dhannalal sahab ki hatya se anek prakar ki pratikriya utpann ho rahi thi...niraasha, gussa, aascharya yahi sab ke man mein aa raha tha... chote se gaanv mein tisra khun hota hai aur qaatil ka koyi sabut tak nahi milta, is vichar se police bhi khij jaate hai...

"Dhannalal sahab ka jab khun huva tha tab inspector Ravi, Rahul aur Maansi wahin par maujud the... parantu Dhannalal saahab ka koyi aah matra aawaj tak sunayi nahi di... Dhannalal sahab jaise balishth aadmi ko eka hath se pakad kar chaaku ghonpna mushkil hai... iska matlab... jisne hatya ki woh dhannalal saahab ka koyi parichit tha..?" Ravi ke dimaag mein vichar chakra chaalu tha...

postmortem report ke anusar ek baar fir usi prakar ka chaaku hatya ke liye istemaal kiya gaya tha...

"Alex, dimaag hi kaam nahi kar raha dekh...!! kuch bhi haath nahi lag raha hai... sab log alag alag kshetra se... waise kisi ka bhi kisi se koyi bhi sambandh nahi.. isliye hatya ke piche ka motive, pattern kuch bhi saaf saaf pata nahi chal raha hai... fir yeh hatya kyun ho rahi hai...? sahi mein woh khuni psycho hai kya...???" inspector Ravi khijte huve bol raha tha... "abhi yahi dekh, dhannalal saahab ka khun kar ke kisi ko kya fayda..? matlab dekho, waise dhannalal saahab bade aadmi the... kisi naa kisi ki to dushmani rahegi hi... par hatya karne tak baat jayegi... aisa kaun rahega...??"

"Munnalal...??" Alex asani se bol gaya...

"kya bak rahe ho Alex, dimag toh thik hai na tera...? agar tu baahar bolta na yeh sab toh ulta log hi apne ko maarne daudte..." Ravi bola...

"nahi matlab... dhannalal ka munnalal ke saath pehli hi jamta nahi tha... haal filhal us jamin ki baat se dono mein khuch jyada hi anban ho gayi hai... logo ke saamne munnalal ne dhannalal ko maarne ki dhamki di thi..." Alex sahajta se bol gaya...

"are lekin Alex, aisa bolna alag baat hai aur karna alag..." Ravi...

"woh toh hai hi... par daulat...!! munnalal apne aap varas ho jayenge dhan daulat, sampatti ke... dhannalal sahab ko na toh beta hai naa beti... patni to kab ki chal basi...!!" Alex...

"thik hai... ek baar aisa maan kar chalte hai.. toh fir Savita aur Munnidevi...? khun toh ek hi prakar ki hathiyar se huva hai... tumhara kehna agar sahi mane toh un dono ka bhi khun munnalal sahab ne hi kiya hai aisa kehna hai aapka..?" Ravi...

"Savita ka toh munnalal saahab ki haweli par aana jaana tha... kaisi ladki thi pata hai aapko aur munnalal sahab bhi thehare rangel aadmi aur utne hi sanki dimag... kidhar toh kuch toh sanak gaya hoga... aur munnidev ke baare mein kahoge toh munnalal saahab ke do daaru ke adde band karaye the usne... bina permit vale... gaav ke baahar pipal ke ped ke niche chalne waala matka ka dhandha bhi panchayat mein complaint kar ke band karvaye..." Alex...

"hmmm... Alex, tum keh raha ho usme sachchayi toh hai... par hum jaldi se is nirnay par aakar aarop nahi kar sakte... haath mein koyi thos sabut toh rehna chahiye naa... dhyan dena chahiye... iske viparit, Savita ke khun ke samay mile huve huliye se munnalal saahab ka huliya milta nahi hai isliye woh vyakti milna utna hi important hai..." Ravi...

"par saahab... us huliye par hum kitna vishwas kar sakte hai... jin 4 logo se puch kar humne chitra banaya hai woh toh soye huve the... ya iske viparit unhone us vyakti ko kam roshni mein dekha tha..." Alex

"sahi hai, par munnalal sahab 45-50 ke, usmein sharir se majbut, kam se kam aisi toh woh vyakti thi hi nahi hai na.." Ravi... "thik hai ek kaam karte hai... kal munnalal saahab ke haweli par ek round maar kar aate hai... roj ki puchtaach ke liye aur usme kuch andaaja lagta hai kya dekhte hai... kya kehte ho...?" Ravi...

"thik hai sir..." Alex apni gardan haan mein hilata huva bola...

***********************

munnalal saahab ki haweli dhannalal sahab jaisi nahi thi fir bhi ek achchi khasi badi vaastu keh sakte hai... parantu dhannalal saahab ke idhar jo khushnuma vatavaran rehta tha woh idhar nahi mehsus ho raha tha... gate par guards, aur baahar idhar udhar ghumnewaale log ek prakar ke gundey hi lagte the...

inspector Ravi ne haweli mein pravesh kiya... munnalal saahab supadi fodne mein vyast the... inspector ravi ko dekhte hi khade ho gaye aur baaju mein rakhe huve sofe par baithne ka ishara kiya...

"kya Ravi saahab, aapki puchtaach kahan tak aayi...? koyi sabut haath laga ya nahi...? are gaanv mein tisra khun huva hai...!! kaise rahenge gaanv mein hum log...?" maathe par bal laate huye munnalal aapna kaam chalu rakhte huve bola...

ravi ne ekbaar apne piche khade alex ki taraf dekha aur wapas munnalal saahab ki taraf dekh kar bole, "munnalal saahab jaanch padtal toh shuru hai.. kuch rasta toh dikh raha hai, lekin us vishay mein abhi openly kuch keh paana yogya nahi rahega..."

"kya sabut haath laga hai...? jara mujhe bhi toh batao..." munnalal...

"han han kyun nahi... usi vishay mein bolne ke liye hi toh hum aaye hai..." ravi bola, "alex, jara woh kagaz dena...?"

Alex ne uske paas ka kaagaz nikal kar Ravi ke haath mein thamaya..

"munnalal saahab, is prakar ka chaaku aapne kabhi dekha hai...?" woh kagaz open kar ke Ravi munnalal ko dikhate huve bola, "abhi tak ke sab khun isi prakar ke chaaku se huva hoga aisa hamara andaaja hai..."

munnalal ne ekbaar baariki se us kaagaz ki taraf dekha aur bola, "nahi bhai..!!"

"bohot prachin kaal ka yeh chaaku hai... mujhe laga tumhe toh purane vastu jama karne ki utsukta rehti hai, shayad aapke purane vastu ke sangrah mein rahe toh..." Ravi...

"matlab, tumhe yeh kehna hai ki yeh khun maine kiye hai...? oye inspector, sarkari aadmi hai tu isliye ijjat deta hun, nahi toh laat maarkar yahan se bhaga deta..." munnalal gusse mein bola...

"nahi dhannalal ji aapko kuch galatfehmi ho rahi hai... aapne kahin dekha hoga aisa puch raha hun... aakhirkar puchtaach karna hi toh hamara kaam hai...?" Ravi...

Ravi aur Dhannalal baat hi kar rahe the ki andar ki room se ek 25 saal ki ladki aur ek 31 saal ka ladka baahar aaya...

Ravi ke chehre par ka prashnachinh dekh kar dhannalal sahab bole, "yeh niharika, meri beti hai, mumbai mein rehti hai aur ye Aaditya mere honewale daamad... ye bhi mumbai mein rehte hai, munnalal saahab ki maut ho gayi isliye idhar aaye the... 4-8 din mein chale jayenge..."

"Niharika...?!! han yaad aaya mujhe, college mein sikhne ke liye jo ladki gaanv se baahar gayi woh aaj aayi!!" Ravi bola... aur uska dhyan Aaditya par chala gaya... gora chittha handsome sa ladka Aaditya kahin aur hi dekh raha tha...

"namaskar Aaditya ji..." Ravi bola...

"namaskar..." Aaditya thoda hichkichate huve bola...

"mumbai mein aap kya karte ho...?" Ravi...

"mere papa ki ek chemical factory hai..." Aaditya aur thoda hichkichahat bhare swar mein bola...

"nope... woh thik hai, aap kya karte ho, factory toh papa dekhte honge...?" uski aankhon mein aankhen dalte huve ravi bola...

"hmmm... mein unko madat karta hun..." aaditya...

"matlab kya karte ho...?" ravi apna prashn chhodne ke liye taiyyar nahi tha...

aaditya ke chehre par khij dekhte huye dhannalal saahab apni jagah se uth khade huve..." oye inspector sahab... kyun pareshan kar rahe ho inko...? jaav niklo tum... apna kaam karo... beta tum jaao..."

Aaditya turant baahar nikal gaya...

Munnalal sahab ka yun achanak chale jaana niharika ke chehre par saaf dikh raha tha... chehre par thoda bohot hansi laakar woh aaditya ke saath baahar nikal gayi...

"thik hai dhannalal ji, aate hai hum... wapas kabhi garaj padi toh wapas chakkar lagaunga... kya samjhe...?" aisa bolkar ravi aur alex baahar nikle...

gaadi mein baithate samay ravi bola, "Alex us aaditya ka background check karo, kidhar rehta hai, sab jaankari ikattha karo... gaanv mein sab naye aaye huve log mere culprit hai...!"

"thik hai saahab..." alex bola...

*********************************

"Maansi...!! tu abhi tak mere upar shak kar rahi hai...??", Rahul...

Maansi khidki ke baahar dekh rahi thi...

"arey mein kyun khun karu Munnalal saahab ka...? mera usme kya fayda...?" Rahul maansi ko hatash hokar puch raha tha...

"fir us din Munnalal saahab ne kyun tere upar ungli dikhayi...?" Maansi abhi bhi khidki ke baahar dekh kar bol rahi thi...

"ab mein woh kaise batau... Munnalal saahab agar jinda hote toh wohi sab kuch hamein batate..." rahul...

"aur us din...??"

"us din kya Maansi...?? us din kya...?? tujhe kitne baar samjhaau...? us din jungle mein main nahi tha... aur gobar ka kya lekar baithi hai...! agar raat ko tubhi kabhi gaanv mein chakkar laga kar aayegi toh kidhar na kidhar toh tere bhi pair mein gobar lagega hi..! isliye kya tu khuni ho gayi kya...?"

"i dont know Rahul...! mujhe bohot dar lag raha hai...!", Maansi...

"dar..? kiska...? mera...?? ohh come on Maansi, dont act stupid," aisa bol kar Rahul pair patakta huva wahan se nikal gaya...

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:02

Update 11

"tujhe pata hai Aditya, munnalal sahab se jyada mujhe dhannalal sahab pasand the.. bachpan se mein unke paas hi jyada rehti thi... 'baby doll' thi mein unki... bachpan me woh mujhe 'baby doll' bulate the... lekin ab sab kuch khatam ho chuka hai...!! unka aise achanak chale jana se mujhe bohot bada dhakka laga hai..." Niharika ki aankhon se chalak aaye aansuon ko usne pochte huye kaha...

"mujhe tera dukh samajh nahi aata kya Niharika...!! lekin idhar kitne din tak hum rukenge...? hum ko wapas toh jana hi padega na...?" Aditya Niharika ko samjhane ka prayas kar raha tha...

"han Aditya, lekin mujhe lagta hai ki hum dhannalal sahab ka qaatil jab tak pakda nahi jata tab tak rukte hai...!! mujhe us qaatil ka chehra
dekhna hai aur usse puchna hai ki, dhannalal saahab ne tera kya bigada tha jo tu ne unka khun kar diya...?"

"ye dekh Niharika, woh sab kaam police ka hai... unka kaam unke karne de... waise bhi idhar adhik samay tak rukna dhoka hai... woh hatyara agar sahi mein psycho raha toh..."

"Niharika didi, munnalal sahab ne aap dono ko baahar bulaya hai..." ek naukar ne aakar munnalal ka hukum suna diya...

Niharika ne apni aankhen rumal se saaf ki aur Aditya ke saath munnalal sahab jidhar baramde mein baithe the wahan chali gayi...

munnalal sahab har samay ki tarah isbaar bhi supaari fod rahe the... agah lagne par, upar na dekhte huye munnalal ne unhe saamne ki khursi par baithne ka ishara kiya...

do pal shanti se jaane ke baad munnalal saahab ne apna gala khankhaar kar kaha, "Aditya, Niharika, jo huva bohot bura huva... dhannalal saahab ke jaane se bohot dukh huva dekho.... lekin woh dukh ab kitne dino tak aise leke baithenge...? subah ek pandit aaya tha...! unka kehna hai ki dhannalal sahab ke jaane se ek ghar par ek kaala saaya ghir aaya hai... agle ek saal tak is ghar mein koyi bhi accha kaam nahi hona chahiye... nahi toh woh kaam bhi fail ho jayega... jo kuch karna hai woh kaam is 15 din mein pura kar lena aisa woh keh rahe the... mujhe lagta hai aap dono ki shaadi jald se jald kar di jaaye..."

"lekin munnalal saheb... dhannalal saheb ke dehant ke baad aise jaldi jaldi shaadi matlab..." Niharika ne kaha...

"han munnalal saaheb... mujhe bhi woh sahi nahi lag raha hai.." Aditya ne niharika ki baat par jor dete huye kaha...

"ye dekho..., dukh toh hamein bhi hai... humein gaanv ki aadmi kahiye yaa fir aur kuch, lekin pandit ki baaton ko hum dehadi log bohot maante hai... aur unka shabd matlab last word... abhi nahi to aage ka ek saal tak aapki shaadi ko mera virodh rahega... bolo... soch vichar kar ke mujhe jo bhi baat hai jald se jald batao..." itna kehkar munnalal saahab nikal gaye...

Aditya ne niharika ki aankhon mein aankhein daalkar dekha... uski aankhon mein abhi bhi dukhon ka pahad tha...

Post Reply