PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 20:59

Update 3


Apne room cum office ke ek gandi chair par Detective Rahul soch vichar karta huva baitha tha. Daadhi badhi huyi, gande kapde dekh kar uske paas kaam leke aaya huva client bhi uski dasha dekh kar nikal jata tha. Office ekdam kayi tarahon ke papers se bhara huva pada tha, table par aur idhar udhar khatam ho chuke cigarattes ke buts gire pade the.. ek kone mein aadhe kaate huye news-papers ka puthanna rakha huva tha... bohot dino se saaf-saafayi naa hone se wahan dhul ki jamavat ho chali thi.

Rahul ki detective company shuru karne ki idea puri fail ho gayi thi... shuruvat mein aaye kuch clients chhod kar usko jaisi koyi safalta nahi mili... kuch kaam toh aise hi pending the... par divorce ke case ke liye proof jama karna, kisi businessman ki ladki par najar rakhna, shaki pati ke patni par najar rakhna aise boring kaam kar ke Rahul pura kantaal gaya tha... uske buddhi ko chaalnaa denewali, uski kshamata parakhnewali aur samay samay par yogya paisa denewaali ek case usko chahiye thi, jo usko nahi mil rahi thi.

Table par karjdaaron ki list, aur kuch bills pade huye the... Rahul ne hatbal hokar ekbar unpar apni najar ghumayi... apnaa bhi koyi posh office hona chahiye, dictation lene ke liye aur appointments tay karnewaali secretary honi chahiye, thode bahut clients, car-driver aisi thode bohot sapne uske jo abhi tak adhure the.

Rahul ne apni pant ki jeb mein hath daalkar bache huye paison par ekbaar najar daali... dus rupaye ki ek note aur kuch chillars baaki the... 'chaay yaa cigarette...?' Rahul ne man hi man vichar kiya... aakhikaar ek cigarette leke baaki ke bache huye paise kal ke liye rakhne ka man banakar Rahul lakdi ki sidhiyan utar kar niche aaya.

Corner ke paan ke thele se usne ek cigarette kharedi... us paanwale bhaiyaa ko Rahul ke prati jigyaasa thi.. aur Rahul bhi use kuch bhi kahani banakar, mein ek detective hu aisi chaap chhodne kaa prayas karta tha.

"kyaa... Rahul bhaiyya... kaisa chal raha hai aapka kaam...?", cigarette dete dete paanwale ne pucha.

"thik chal raha hai.., waise aajkal ek bohot important case pe kaam kar raha hun... thoda busy hun..." Rahul ne aisa hi thok diya.

"are chodiye woh case, aap woh case kyun nahi hath mein lete... apne baajuwaala gaav hai naa Shirgaon wahan pe ek ladki kaa khun huva hai.."

"kaunsaa case...?", chehre par kuch bhi bhaav naa laakar usne pucha...

"are wohi... Shirgaon gaav kaa case... ek ladki ka lodge mein kisine katl kar diya... lagta hai koyi sarfira killer hai... ee dekhiye..." aisa bolkar usne apne paas ke paper mein aayi huyi woh ghatna Rahul ko dikha di.

Rahul ne apni tikshna najron se fataafat sab ghatna padh dali... aur woh paper wapas karte huye bola, "arey chhodo yaar..., kya aise chote chote cases lene ka, mein toh kuch bade chij pe kaam karnewala hun..." waapas ek baar thok kar Rahul wahan se nikal gaya.

Office mein waapas aane par usne apni cigarette jalayi... ek do lambe kash lene ke baad woh sochne laga...

'kya kare...? waise bhi kuch kaam toh nahi hai... aise hi khaali baith kar buddhi par jang chadhne laga hai... isse achcha yahi hai ki udhar bhaag-daud karne se kuch haath laga toh prasiddhi toh milegi...' bachi kuchi cigarette khatam kar ke Rahul office ko taala lagakar baahar nikal gaya.

Sab se pehle woh 'muft vachnalay' mein gaya... udhar ke ek-do din purane Shirgao gaav ke news denewaale sab news papers side mein nikal liye aur fir ek corner mein baith kar ek ek karke sab news padh daale... uska dimaag har baat ekdam baarike se padh raha tha aur haath kuch notes likhne mein vyast tha.

Raat ko der tak ruk kar usne aawashyakta purvak jaankari ikattha ki aur ghar waapas aa gaya.

Aate aate hi usne cupboard se kuch achche kapde nikal ke suitcase mein bhare... bohot jyada use kiye huve razor ko ghasit ghasit kar shave ki... fir ekdam swachch saan kar ke aaine ke saamne khada huva...

Utsaah se aur aatmavishwas se bhara huva chehre ka ek naya hi Rahul ka aks use dikhayi diya... 'mere paas yahi aakhri awsar hai...', usne man mein hi soch vichar kiya... is baar agar kaam nahi huva toh utsaah se shuru ki gayi detective company band karne ke sivay uske paas koyi aur chaara bhi nahi bacha tha.

Usne room mein ekbaar najar daudayi... showcase par uska bill naa bhara huva band pada huva mobile pada tha... 'mobile handset bech kar kuch din ke liye paison ka jugaad ho jayega...', usne aisa sochte huye woh mobile apni jeb mein daala aur apne kapdon ki bag lekar woh darwaje ko taala lagakar nikal gaya.

----------------------------

"arey ye Raaju... are idhar toh aa jaraa...", Dhannalal paper mein ki khabar padhte huve bole. Dhannalal 'Shirgao' gaav ke sarpanch aur mahadev sena ke adhyaksh... bolne mein gaav ki bhaasha hai lekin fir bhi bohot bada hoshiyar tha... chaal-chalan mein ek raubdaar vyakti... gaav ke log unse thoda dar kar hi rehte the... gaav ka jhagda aur maaramaari Dhannalal sirf jaane se solve ho jaate the... gaav ke bichobich bohot badi Haweli, gaav ke baahar kayi prakar ke falon ke ped, jwaar ki kheti aur usme kaam karnwaale bohot saare log... gaav mein do petrol pump, baahar aane jaane ke liye gaadiyan, haath mein sone ki anguthiyan, chehre par ek raub aur usi ko suit hoti huyi badi muchyein... sharir par jyadatar kadak istri ka cream shirt, swachcha safed patlun aur charrr-chaarr karnewaali kolhaapuri chappal.

Pepar mein ke us ghatna par apni ungli dikha kar Dhannalal Raju se baat kar rahe the, "arey yeh Savita hai naa...? arey khun huva bolte hai uska gaav ke baahar ke lodge mein..."

"haan saahab..., wohi raand saali... apne karmo se mar gayi... mil gaya rahega koyi psycho..."

"hmm... kyon re raaju... marnewalon ke bishay mein koyi aisa bolta hai kya...?" Dhannalal..

"kshamaa karein saahab, par woh thi hi waisi ladki, puraa gaav bolta hai aisa..." raaju apni gardan jhuka kar bola..

"arey rahegi woh waisi, par ab murdaa ho gayi naa...? thik hai, thodi der baad gaadi nikaal, ek baar apne ko uske ghar jaanaa hoga aur baad mein police station Ravi saahab ko bhi mil kar aayenge... kya...?"

"thik hai saahab... nikaltaa hun gaadi... subah hi ekdam chakaachak dho di hai..." Raju lawn mein se bhaagte bhaagte huye bola.

Dhannalal ne woh ghatna puri ki puri padh daali aur fir saamne rakha huva adrak milaya huva chaay funk maar maar kar pine laga...

To be continued…

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 20:59

Update 4


Dhannalal jab police station pahunche tab Ravi table par rakhe huve postmortem reports padhne mein vyast tha... Dhannalal ko andar aate huve dekhte hi Ravi uth kar khada ho gaya.

"arey... baitho baitho.. aap kyun uth rahe ho...?" Ravi ke cabin mein ghuste hi Dhannalal bol pada... "are... aap toh DCP saahab ho... hamein aapke saamne khada rahna chahiye... barbar naa..?"

"hamara kyun majak uda rahe ho sir...? pura gaav jhuk jaata hai aapke saamne... aur hum apke saamne baithe rahe kya... aao baitho..." saamne ki khursi ki taraf haath dikha kar Ravi bola.

"Ravi saahab... kal ki ghatna paper mein padhi... kal raat se aap idhar hi ho kya...?" Dhannalal..

"nahi toh.., kal panchanaama khatam kar ke ghar chala gaya tha, subah jaldi aaya..." Ravi

"thik hai...! kya huva tha jara silsilevar tarike se batayenge...?" Dhannalal ne apne muchon ko taav dete huve pucha...

"aisa hai Dhannalal ji... yeh reports thode confidential hai... puri information mile bagair jyada kuch nahi bata sakta... par aap ho isliye bata raha hun, gaav ke hi ek ladki kaa 'Samarpit Lodge' mein krur katl huva hai... Savita naam hai uska... aap pehchante hai use...?" Ravi

"arey usko kaun nahi pehchantaa...? sab ghar ke bed usne garam..." Dhannalal ke piche hi khade Raju ke vaakya ko todte huye Dhannalal bole...

"Raju... puche bagair bich bich mein nahi bolne kaa...!!"

aur fir Ravi ki taraf dekhte huye bole, "Ravi saahab... vaise aisa kuch khaas sambandh nahi hai mera uske saath... par... ladki gaav ki hi hai... matlab thi... isliye maalum hai bas itna hi...!!"

Dhannalal ki baat Ravi badi gaur se sun raha tha... unka bolna khatam hone par Ravi ne bolna shuru kiya, "aisa kya...! toh uska kal chaaku ghonp ghonp kar katl kiya gaya hai... ek baar nahi, do baar nahi aath baar chaaku ghonpaa gaya hai uske sharir mein... isse pata chalta hai ki killer ko usse bohot chid thi aur dusra matlab yeh hai ki usko khatam hi karna hai yahi ek uddeshya se uske upar hamla kiya gaya hai yeh ekdam pakka hai... par katl ke piche abhi tak koyi karan spasht nahi huva hai... uske upar balatkaar nahi huva, aur uske purse mein ke thode bahut paise aur sharir par ke gehne vaise ke vaise hi the...!"

"hmmm..." Dhannalal bola, "thik hai... vaise koyi suraag mila kya...?"

"kshama karen saahab..., abhi adhik kuch nahi bata sakta... time aane par puri jaankaari bataunga..." Ravi

"Thik hai ... thik hai... aapka kehna bhi barabar hai..., aap gire sarkari aadmi, hum gire isi gaav mein chote se bade huye, rehne do... chalu rakho aapka kaam..." aisa bolkar Dhannalal khade huye aur darwaje se baahar nikal gaye...

Dhannalal jaane tak Ravi unko khade rah kar dekhta raha... unke jaane ke baad waapas apne saamne rakhi report ki file usne apne paas khinchi aur padhne mein magn ho gaya...

Saamne Alex ka purvabhaav lagte hi Ravi dekhe bagair bola, "bolo Alex kya jaankari laay ho...?"

"saahab, us car ka maalik mil gaya hai... woh car dusre hi kisi ki thi. Shri. Kamesh, us car ke maalik hai. car band giri isliye ek dusri car ki madat se baajuwale nikat ke gaav gaye the... us killer ne us band gire car ka sirf lift maangne ke liye use kiya huva dikh raha hai.." Alex...

"us... Shri. Kamesh ke sab references check karo... konsi car se woh gaav mein gaye, udhar koyi garagewala yeh baat bata sakta hai kya woh dekho... usne batayi huyi har baat baariki se jaanch karo..." Ravi...

"haan saahab... kaam chalu hai... Kaamesh 30-35 ke aaspaas ke vyakti hai... unkaa varnan bhi us killer se match nahi khaa raha hai..." Alex...

"Hmm... thik hai... unka contact number lekar rakho aur jarurat lagi toh bata dena phone kar ke..." aisa bol ke Ravi wapas apne kaam mein vyast ho gaya...

"thik hai saahab..." aisa bol kar Alex nikal gaya.

----------------------------

Savita ke ghar par dukhon ka pahaad tud pada tha... uske budhe maa-baap aikele pad gaye the... yahan tak ki agar unko malum tha ki unki ladki kya 'kaam' karti hai, tabhi bhi unhone us baat ko najarandaj kar diya tha... kyonki aakhir kuch bhi ho jaye unka ghar Savita ki kamayi par hi chalta tha...

Savita ke jane ke baad unko milnewaala paison kaa ek yahi maarg band ho gaya tha... usi mein ek hafta bit jaane par bhi chalu rahnewaale police, aur patrakaron ke naa-naa prashno se woh budhe log tang aa gaye the... mrit vyakti ke chaaritrya ki chirfaad karne mein unko kyaa maja, anand aata tha kisi ko pata nahi...?

Un budhe maata-pita ko ab bas ek hi majbut sahara laga raha tha woh tha Munnidevi ka... 35 ki 'Munnidevi' Shirgaon gaav ki samajsevika thi... logo ke, bache huye kaamo ke liye sadaiv bhaag-daud karti thi... isbaar ki ghatna bhi usko apvaad nahi thi... apne yogya uttar aur chatur sambhaashan kaushalya se unhone patrakaron ki bolti band kar di thi... woh chalaa rahi NGO se kuch madat nidhi nikaal kar unhone Savita ki maa-baap ko kuch praman mein aarthik aadhar dene ka prayas kiya tha... aur unke jakhmo par dhire se funk maari thi...

"Munnideviji, kaise aabhar maane aapke...? sahi mein agar aap nahi rahti toh kya hota hamara...?" Savita ki maa ne bhar aaye gale se Munnideviji se baat kar rahi thi...

"are aabhar kaisa ismein...? mein bhi aapki beti jaisi hi hun naa...? fir beti ke kaise aabhar maan rahe ho...? jitna ho sakta hai utna karna mera kartavya tha...!"… Munnidevi

"kaisi bhi rahe akhirkar Savita hamari bachchi thi... aajtak usi ne hamein khilaya pilaya tha... gaav ke log kuch bhi bole, hum ko uske jaane ka dukh hai hi...!" Savita ki maa

Savita ki maa ki aankhon se ashru tapak rahe the... mand prakash ki us room mein sannata pasra tha... shabd gunge ho gaye the...

kuch kshan shantimay jaane par Munnidevi boli, "thik hai... nikalti hun mein... bohot der ho gaya... aur kuch jarurat pade toh hak se bataiyega..." maa-baap ke pair chukar Munnidevi baahar nikal gayi...

harbaar Shirgaon gaav ki ekta, bhale ke liye ladnewaali Munnidevi ke man mein isbaar aisa hi kisi ke liye toh vichar shuru tha... andhere mein fatafat woh aage chale jaa rahi thi... achanak unko kisi ka toh purvaabhav huva... unhone do kshan wahan par ruk kar purvaabhav lene ka prayas kiya par koyi dikha hi nahi...

unhone fir se chalna shuru kiya... jarur koyi na koyi toh unka picha kar raha tha...

Munnidevi ke piche bohot se log pade huve the... usme se kuch logo ko toh unhone ekdam thik sabak sikha diya tha..., unhi mein se koyi toh unhe darane ki koshish kar raha hoga aisa samajh kar Munnidevi aage aage chalti rahi... unke piche piche aanewale pairon kaa aawaj abhi bhi usi gati se unke piche piche aa raha tha...

Munnidevi ek jagah aakar ruk gayi... piche pairon ke aawaj abhi bhi aa rahe the... najdik ….najdik aur najdik... unke aur nikat aakar ruk gaya...

Munnidevi ko apne ekdam piche koyi toh khada hai iski anubhuti huyi... unkaa rom rom khada ho gaya tha... pure sharir par kaante aagaye the... pura sharir pasine se naha raha tha… unki ridh ki haddi aage ko sikud gayi thi, dil jor jor se dhadkane laga tha... gale mein se ek bhi shabd nahi fut raha tha... jor se chikhne ke liye unhone apna muhn khola, par unka chikhna unke gale mein hi ghunt kar rah gaya... unke piche se ek badaa sa chaaku aarpaar ho gaya tha... us chaaku ka thandaa sparsh unke ridh ki haddi ko chirta chala gaya... Munnidevi piche ko huyi... tabhi samne ke vyaktine woh chaaku wapas baahar khinchaa aur wapas ekbaar jor se pet mein ghonp diya, aur ek do tin najane kitni baar ghonptaa raha aur Munnidevi murdaa laash bankar jamin par girti chali gayi....

To be continued...

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:00

Update 5

Savita ko abhi mare huye ek hafta bhi nahi bita tha ki Shirgaon gaanv ko unki sabse priy vyakti Munnidevi ka bhi mrutyu dekhna pada.

Savita ke jaane se shayad kisi ko itna dukh nahi huva hoga... lekin Munnidevi ke jaane se pure gaanv mein khalbali machi huyi thi...

'Shirgaon' gaanv par ek prakar kaa sannataa faila huva tha... gaanv ke aur baahar ke school ko chuttiyan mil gayi thi... gaanv ke kaamkaaj aur vyavhaar thand pade the... har aadmi ek dusre ko shak ki najronse dekh raha tha... gaanv ke konse bhi lodge, yaa dharmshala mein koyi anjaan vyakti aaye toh uski jaankari police station par batayi jaaye aisi vyavastha unhone kar ke rakhi thi... gaanv ke nirjan sthal, gaanv ke baahar ke kheton mein, purane haweli mein gaanv waalon ko jaane ke liye pratibandh laga diya tha... gaanv mein aisi anjan vyakti abhi tak dikhayi nahi di thi... gaanv ke baahar ki khaali haweliyon mein, aur aas paas ke parisar mein bhi dhundaa gaya, lekin wahan par kisi ke rahne ke nishaan nahi mile...

"kaun hoga yeh khuni...? kya motive hoga uska...? jo katl huve hai usmein dono ka aapas mein kuch bhi dur dur tak sambandh nahi tha... khuni sahi mein psycho hai...?" aise anek prashno se police waalon ka sar chakraa jaa raha tha... lekin uske jaawab kuch kar ke bhi abhi tak mile nahi hai...

Jilha ke vedshala ne diye huye andaaj ke anusar kuch din tak baarish ki aashanka thi aur uske atirikt baadal bhi aa gaye the... dinbhar baadal ghir aane se hawamaan bhi thoda ajib lag raha tha... saare kaale baadal jaise ki Shirgaon ko hi bhigone aaye huye ho...

-------------------------

'Shirgaon' gaanv mein sansani fail gayi thi... gaanv ke baahar ke lodge mein ek yuvati ka khun hoke kuch din hi bitein the ki kal hi gaanv mein ek aur bali di gayi thi... police station ke saamne gaanv ke patrakar aur masala news ki khoj mein shahar se aaye huye patrakaron ka jamav huva tha...

'ye dekho... tum log khalifokat yahan par halla mat karo..., jaanch puri ho jaane par tumhe puri jaankari de di jaayegi...' Ravi patrakaron ko baahar nikalte huye bola...

'kab hogi tumhari jaanch puri...? pehle hi do logon ka katl huva hai, ab aur kitne logon ko apni jaan gawani padegi...?' ek reporter...

'hamari jaanch chaalu hai... adhik...'

'kyaa jaanch chaalu hai...? kya jaankari aapke haath mein lagi hai...?' dusra reporter...

'yeh kaarya ek serial psycho ka hi rehne chahiye...' Ravi...

'kaise...?', reporter...

'kaise nahi batao...?', Ravi khijte huva bola, 'ye dekho dono hi khun mein katl karnewaale ka koyi motive nahi dikh raha hai... yeh dono khun ek ke piche ek huye hai... aur katl ke liye upyog huva chaaku yeh ek hi banavat ka tha aisa doctoron ka kehna hai...'

'isse jyada adhik jaankari filhal toh hamare paas nahi hai... adhik jaankari aage ki jaanch ke baad hi khulaasa kar sakenge...' Ravi...

'iska matlab tumko yeh kehna hai ki is gaanv mein ek psycho killer sare-aam ghum raha hai... aur filhal toh tumhare haath mein koyi saboot / jaankari nahi hai...? aur jab tak tumhari jaanch puri nahi ho jati tab tak gaanv ke logon ko us psycho killer ke haathon marte rehna padega...?' khijte huye reporter log Ravi se saawal puche jaa rahe the..

'ye dekho mujhe aisa kuch bhi bolne ka nahi hai, hamari jaanch shuru hai, adhik jaankari mili toh tumhein khabar di jaayegi...' aisa bolkar Ravi ne un reporteron ko baahar nikalne ki shuruvat ki...

-----------------------------

"hello inspector...", apne chehre par sadaiv rahnewali impressive smile laate huye Rahul bola...

"hello...", kuch khijte huye aawaj mein Ravi bola, "aap...?"

"mein Rahul... detective Rahul..." apni jeb se aapna detective agency ka card nikal kar woh Ravi ke hath mein dete huye Rahul bola...

Ravi ne woh card le liya aur Rahul ko baith ne ka ishara kiya...

Rahul ne baithte samay hi aapne paas ki file jismein detective agency ka government certificate, najdik ke police station ka maanyata prapt letter, aur kuch kaagaz patra the woh Ravi ki taraf sarka diye...

Ravi ne woh sab kaagaz-patra dhyanpurvak dekhe aur fir bola, "bolo detective Rahul, mein aapki kya madat kar sakta hun...?"

"mujhe gaanv mein haal-filhal huye katl ke baarein mein adhik jankari chahiye..." Rahul...

"Alex, Rahul saahab ko case paper dikhaav..." Ravi chidhte huye bola...

"Ravi saahab, mujhe aapke case paper nahi chahiye... usmein bohot si jaankari meine akhbaar mein padhi huyi hai... mujhe aisi jaankari chahiye jise abhi tak aapne reporteron ka ya aur kisi ko bhi di nahi hai...", Rahul apne chehre par ki smile kaayam rakhta huva bola...

"kshama karein Rahul saahab, lekin usse jyada adhik jaankari hamare paas nahi hai..." Ravi ka Rahul mein se interest chala gaya tha, aur woh fir se apne kaam mein magn ho gaya tha...

"all right, meine toh sirf puchne ka kaam kiya... jaankari kaise aur kahan se milegi yeh mujhe achchi tarah se pata hai Ravi saahab... fir milenge..." chair par se uthkar Rahul ne apna haath aage kiya... Ravi apne kaam mein magn tha... Rahul ne kuch der tak apna hath aage hi rakha aur fir woh jidhar se aaya tha wahin par wapas mud gaya...

-----------------------------

"are Dhannalal yeh mein kya sun raha hun...?", Munnalal pair patakta huva Dhannalal ke room mein aaya...

Munnalal Dhannalal ka chota bhai, parantu swabav se Dhannalal ke bilkul viparit... Dhannalal shant, soch vichar karnwale toh Munnalal matlabi, chidhnewala, aage piche ka naa soch kar jo man mein aaya woh karnewala...

Swabhav ke isi farak se Dhannalal uske maa-baap ke aur jyadatar school aur baad mein gaanv mein sab ke priy the... unke viparit Munnalal kam umra se hi jugaar, cigaratte, daaru, lafenge dost inki sangat paa kar sabse dur hote jaa raha tha... toh wahin par Dhannalal bachpan se jawabdaari sambhal kar gaav ke ek pratishtit vyakti ban gaye the... isi vajah se dono bhaiyon mein jhagde badhte gaye aur iske parinaam swarup Munnalal dusri haweli mein rahne laga...

"are Munna... jaraa... shant ho jaa..." Dhannalal gaanv ke hi kuch manyavaron ke saath baithkar charcha kar rahe the... Munna ko aise gusse se aate huye dekh kar unko sab ke saamne thoda ajib laga... "are kyaa huva jara batayega bhi...?"

"Dhannalal tum bol rahe the ki apne dakshin ki jamin mein se 25 acre jamin daan denewale ho..." Munnalal khade khade hi bol raha tha...

"han Munna... tumne barabar suna hai...", Dhannalal.

"are pitaji kya tere akele ke hi the kya...? mujhse kuch puchne ki rit hai ki nahi...? are us jamin par mein factory bananewala hun bataya toh tha tujhe...?", Munnalal...

"are 25 acre ka ek tukda toh tujhe de hi raha hun naa baaki ki jamin padi hai baaju mein... tu le lena...!", Dhannalal...

"nahi... mujhe kuch nahi sunna...! mera virodh hai isko... mujhe woh puri jamin chahiye... company ko vaisi jaban di hai maine...!" Munnalal...

"jaban toh hamne bhi di hai... Munna saahab...!", Dhannalal...

"are puchta kaun hai teri jaban ko...? us jamin ka har kona kona mere liye mahatva rakhta hai, bada nuksaan hoga mera... tujhe jamin batne ki masti hai na, toh apni yeh kharab haweli de de..., lekin us jamin ko hath bhi mat lagana...!!!", Munnalal...

"yah dekho Munna, us jamin ke najdik nadi hai, kunwein ko pani laga hai, agar garib logon ko woh jamin mil gayi toh unke pine ke paani ki badi samasya dur ho jayegi... hamne apni jaban di hai, usko wapas nahi le sakte..." Dhannalal apni baat par adig the...

"toh fir thik hai... aaj tak bohot sun liya tera.... bada bhai hai isliye bohot sehan kar liya... abhi mein bhi dekhta hun us jamin par factory kaise nahi khadi rehti.." Munnalal...

"Munna... meri jaan bhi chali gayi toh bhi chalega... par mera vachan mein kabhi nahi tod sakta..." Dhannalal gusse se bol pade...

"aisa kya…, thik hai.., teri jaan jane se udhar factory khadi rehti hai toh woh bhi mujhe manjur hai...!!" aisa bolkar jaisa Munnalal aaya tha waise hi pair patakte huye nikal gaya...

---------------------

'Shirgaon' gaanv ke ek saste se saste hotel mein Rahul ne room le li thi... arthat tabhi bhi apne paas bache huye paison ko sochkar ek hafte se jyada vakt woh idhar reh sakega aisa use nahi lag raha tha... use jaldi hi kuch pehal karne ki aawashyakta thi... haath mein pakde huye cigarette ke kash lete huye sab ghatnakram ka shuruvat se vichar kar raha tha...

"jidhar woh killer pahilbaar bus mein baitha tha woh jagah basti se vaise thodi dur hi hai... iska matlab woh aadmi kaun se toh gaadi se wahan pe aaya raha hoga athva usne khud ki gaadi laayi hogi...

agar woh vyakti gunahgaar rahega aur gunah karne ka hi hai isi uddeshya se udhar aaya rahega toh udhar tak aane ke liye who aisa nahi lagta dusre par tik kar rahega ya adhik se adhik logo ke sampark mein aayega... iska matlab yah hai ki woh khud ke gaadi se hi wahan par aaya hoga... aur aisa rahega toh usne jarur apni gaadi wahin aajubaaju kidhar toh chupaa kar rakhi hogi..."

Rahul turant apni jagah se khada huva...

Naasik exit par jab Rahul pahuncha tab shaam ke 4 baj gaye the... Rahul ne aajubaaju najar daudayi... najdik koyi bhi basti nahi thi... aajubaaju bade bade ghaas bade huye the... Rahul ne saadharan andaaj lagakar aajubaaju kaa parisar dhudne mein shuruvat ki... parantu ek ghantaa ho gaya tabhi bhi use aisa kuch mila nahi... takriban 1 kilometer piche jaane par Rahul ko raaste ke kinare se khet mein jaa rahe tyres ke nishan dikhe... Rahul un tyres ke maarks kaa picha karte huye ghaas mein ghus gaya... ghaas kaa ek bhaag ek baaju se daba huva dikh raha tha... jarur koyi naa koyi toh ek car idhar tak aakar gayi hai... ek jagah ki ghaas puri dab gayi thi, jaise ki koyi vajandar gadi bohot der tak vahan khadi rahi hogi...

"shayad yahi woh jagah rahi hogi, jidhar us vyakti ne apni gaadi chupa kar rakhi hogi...", wild gues...!!, par sanyog janch kar dekhne jaisi hogi... Rahul ko apne instincs par pura bharosa tha...

matlab aisa ho sakta hai, gunahgaar ne raste ke kinare Mr. Kaamesh ki band giri huyi gaadi dekhi rahegi, usne apni car ghuma kar idhar piche laayi aur ghas mein chupa di... fir woh band gire Mr. Kaamesh ke car ke paas aakar khada huva... bus driver ko laga ki usi ki gaadi band giri hai... usne uska fayda uthakar bus mein pravesh kiya...

jidhar bus band giri udhar ke lodge mein woh us yuvati ko kisi karan se lekar gaya, udhar uska katl kiya... aur fir woh wapas idhar aaya aur apni gaadi lekar nikal gaya... gaya... lekin kidhar...? jidhar se aaya tha udhar...? yaa jidhar jaa raha tha udhar...?" Rahul ka vicharchakra shuru tha...

Rahul ne waapas ekbaar dabe huye ghaas kaa nirikshan kiya... tyre maarks jis dishaa se andar aaye usi dishaa mein baahar gaye the... "... iska matlab... gunahgaar naasik se Shirgaon ya fir aage kidhar toh jaa raha tha... usne Kaamesh ki gaadi dekhi... udhar usne apni gaadi ghumake wapas piche li... aur ghaas mein lakar rakh di... isliye tyre marks daayi aur se daayi aur gaye huye hai...

gaadi ki disha thi naasik ki aur... aur usi dishaa mein gaadi reverse mein baahar nikli... iska matlab gaadi ka muhn abhi bhi naasik ki hi disha mein tha... aur iska matlab yeh ho sakta hai ki woh jidhar se aaya usi disha mein wapas gaya...

bas... isse jyada Rahul ko adhik kuch bhi nahi mila... usne kuch sabut aur kuch nishan dhudne ka bohot prayas kiya parantu 'clue' jisko bola jaye aisa kuch bhi nahi mila tha...

"chalo... aaj kaa din kuch kharab nahi gaya... jidhar se shuruvat kar sakte hai itna kuch toh mil hi gaya hai...", aisa soch kar Rahul wapas aa gaya...









aage ke update mein padhiye... "aisa bolte hai ki kabhi bhi kisi ke baarein mein galat nahi bolna chahiye... apne aajubaaju niyati ghumti firti hai... kabhi kisi ke muhn se nikla aur niyati ne 'tathastu' bol diya kuch bol nahi sakte... Dhannalal ke vishay mein aisa hi kuch galat toh nahi huva hoga naa...??? padhte rahiye... psycho..."

Post Reply