PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:02

Update 12

"Mr. Rahul, aapke liye phone hai..." lodge ke clarke ne Rahul ke phone par phone transfer kiya....

Rahul kuch der tak hi phone par bola aur fir Maansi ko dekhte huye bola, "Maansi... chal jaldi... Munna saahab ki haweli par jaana hai..."

"are lekin kyun...?" Maansi apni rist watch par raat ke 9 baj rahe hai dekh kar boli...

"tu chal jaldi..." itna kehkar Rahul bhagte huye hi niche ko gaya...

Munnalal sahab ki haweli har samay rahasyon se bhari padi rehti thi... raat ke samay me haweli toh aur bhi nirjan lagti thi... Rahul ne apni
gaadi haweli ke paas naa lete huye haweli se thoda dur munnalal saahab ke farmhouse par mod li...

Maansi ke chehre par ke prashnchinh abhi bhi kaayam the....

Rahul gaadi se utar kar Maansi ki raah dekhe bina hi bhagta huva andar gaya.... Mansi ko pata nahi kyun abhi tak Rahul par vishwas nahi baith raha tha... usne apni purse se mobile nikala aur inspector Ravi ko phone milaya...

farmhouse par andhere ka saamrajya tha...

"munnaalal saahab...?" Rahul ne ekbaar aawaj lagayi...

lekin kisi ka bhi pratiuttar nahi aaya....

ground floor dhundane ke baad rahul upar ke floor par chala gaya....

"munnalal saahab....?" rahul ne ekbaar wapas prayas kiya... lekin uske aawaj ke sivaay kisi ka bhi aawaj nahi aaya...

Rahul andhere mein hi lights ke buttons dhundate dhundate huye aage aage sarak raha tha aur achanak woh kisi se takra kar niche gir gaya... uske haathon ko koyi toh garam, chipchaapa padarth lag gaya... woh kya tha yeh samajhne mein Rahul ko der na lagi... usne turant apne haath apni kamij se saaf kiye aur woh uthkar khada huva... utne mein darwaje par kisi ki toh aahat sunayi di aur do pal mein hi puri room lights se jagmaga uthi...

darwaje par inspector ravi rahul par banduk taane khade the... unke piche piche Maansi bhi andar aagayi aur Rahul dekhte hi woh jor se
chinkhi... Rahul ne ekbaar inspector Ravi aur Maansi ki taraf dekha aur uski najrein jamin par gayi... uske pairon ke najdik hi Munnalal saahab ka mrutdeh pada tha... aur Rahul ke haat aur kapde unke khun se sane pade the...

"Rahul... tu...? tu ne kiya khun...? mujhe laga hi tha Rahul... tu hi khuni hai... us din bhi jungle mein tu hi tha... tujhe publicity chahiye
thi na aur isliye tu serial killer ban gaya na... Rahul...??" Maansi chillaye jaa rahi thi...

"Maansi pagalpanti mat kar... maine ek bhi khun nahi kiya hai... mein tere saath hi idhar aaya tha... tere saamne mujhe phone aaya tha ki
munnalal saahab ki jaan ko khatra hai..." Rahul...

"mujhe pata nahi Rahul tujhe kiska phone aaya tha... lekin mujhe pakka yakin hai ki yeh khun tu ne hi kiye hai... us din toh maine hansi khusi tujhe kaha tha... woh baat tu ne sach kar di... inspector Ravi yahi woh khuni hai... pakdo ise..." Maansi ne kaha...

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:03

Update 13

"Ravi saahab... kuch toh gadbad ho rahi hai... mujhe ismein fansaya jaa raha hai... mein maanta hun, abhi jis condition mein me hun, us hisaab se mein hi khuni hun aisa aapko lag raha hai... lekin aapne acche se tehkiqaat ki toh aapko pata chalega ki, khun karne ke liye jo weapon use huva hai woh mere paas nahi hai... munnalal saahab ka khun mein kyun karunga...? mujhe aakar idhar sirf 10 minutes hi huye hai... post-mortem ki report mein doodh ka doodh aur pani ka paani ho jaayega... ki unka khun mere aane se pehle ho chuka hai..." Rahul gidgidate huye bola...

"meri baat suno Mr. Rahul, aap jo keh rahe ho woh sahi bhi hoga... lekin aapko mujhe arrest karna hi padega... mere paas aur koyi option nahi hai..." Ravi... "Ms. Maansi ne humhein phone kar ke sab kuch bata diya aur aapke upar unka shaq vyakt kiya, isliye hum turant idhar aaye... chalo... hum iske baare mein adhik police station mein baat karenge..."

Rahul ke paas aur koyi option nahi tha.. "Maansi...!! kyun kiya tu ne aisa...? tera mujhpar vishwas nahi Maansi...??" parantu Maansi ne apna chehra dusri taraf fer liya...

---------------------------------------------

Ravi ko shaq nahi pura yakin tha ki ye khun Rahul ne nahi kiye hai... parantu gaanv mein chautha khun hone par bhi police ke haathon kuch nahi laga is baat par gaanv waale police ka jina mushkil kar denge... Rahul toh aasani se is fande mein fans gaya tha aur kuch samay ke liye hi sahi, is case par parda gir chuka tha... jab tak aage ka khun nahi ho jaata...

post-mortem ke reports aur kuch jaanch puri hone tak toh Rahul ko jail mein rahna padega... 'agar nasib ne saath diya toh is mein se sahi
sahlaamat baahar pad sakta hun...' Rahul soch raha tha...

'parantu munnalal sahab ka khun usi samay huva hoga toh maatra bohot mushkil hai... munnalal sahab ki body waise toh us samay garam hi thi iska matlab khun bohot pehle ho chuka hai aisa nahi lagta...'

'lekin Maansi...? usne aisa kyun kiya hoga...?? sahi mein uska mere upar shaq tha... bhaavna mein fans kar agar usne aisa kiya hoga ya fir...??' Rahul reh reh kar Maansi ke baarein mein hi soch raha tha... 'aisa kyun kiya hoga Maansi ne...? kyun...???'

Rahul ye sab soch hi raha tha ki utne mein inspector Ravi uske cell ke paas aakar khade huye... "kya Rahul saahab kaunsa vichar kar rahe
ho...??"

Rahul ne ekbaar Ravi ki taraf dekha... "Ravi saa'b, aapko pata hai naa maine ye khun nahi kiya hai, fir kyun pakda hai mujhe...?"

"arey... detective hai na tu... vichar kijiye jara... tu ne khun nahi kiya toh fir kisne kiya...? are... aage ka dimaag kaam nahi kar raha hai
toh ... piche ke dimaag ko jara kaam do..." Ravi...

"aage ka kya, yaa fir pichla kya... agar aaju baaju mein bhi dimaag rehta toh woh bhi kaam karna band ho jaate..."

do pal shaant gaye aur uske baad achanak Rahul utsaahit hota huva bola, "yess Ravi saahab... yess... mein saabit kar sakta hun ki maine khun nahi kiya hai..."

"Alex... Rahul ko baahar nikalo..." itna kehkar Ravi apni jagah jaakar baith gaya, "bolo Raahul saahab kya saabit karna chaahte hai aap...?"

"saahab, mujhe sirf woh chaaku ka sketch wala kaagaj aur mrut vyaktiyon ke ghaav ke sketches chahiye..." Ravi ke saamnewaali chair par baithta huva Rahula bola...

Ravi ne table par ke file se papers nikale aur Rahul ke saamne rakh diya....

Rahul ne woh sab sketches ulta pulta kar ke dekh liye... uske baad uske chehre par samaadhan ke bhaav umad pade... usne ek lambi saans li aur woh Ravi se bolne laga... "Ravi saahab, mere nirdosh hone ka sabut in sketches mein hi hai... dekho... dhyan se dekho jara..."

Ravi ne woh kaagaz ulat pulat kar dekhe lekin usko kuch samajh mein nahi aaya...

Rahul ne pura waqt liya... Ravi ko un sketches se kuch samajh nahi aa raha yeh confirm hone ke baad usne Ravi ko kaha, "ye dekho Ravi
saahab... is chaaku ko dhyaan se dekho... uske ek taraf suraj hai aur dusri taraf sher ka chitra hai... adhik saaf tarike se kahu toh daayen
baaju suraj aur baayen baaju sher... barabar...?"

"hmmm..." Ravi ne haami bhari...

Rahul ne saamne pade huye ek blank paper ko chaaku ka aakar de diya... uske daayen baaju mein suraj aur baayen baaju mein sher ka chitra banaya...

"abhi ye dekho Ravi saahab... samajo agar mein khun rehta toh... mein jab chaaku ko pakdunga toh aisa pakdunga..." itna kehkar usne woh kaagaj kaa chaaku Ravi ke saamne pakda... "dhyaan se dekho... is position mein jab yeh chaaku saamnewale vyakti ke sharir mein ghusega tab tilt position mein chaaku ki daayi baju upar rahegi aur baayi baaju niche... iska matlab mrut vyaktiyon ke ghaav ko dekha jaaye toh upar ke side mein suraj aur niche ke side mein sher aana chahiye... barabar...?"

"hmm..." Ravi...

"abhi chaaro vyaktiyon ke ghaav ke sketches dekho... usmein ye barabar ulta hai... ye dekho..." itna bolkar Rahul ne Ravi ko woh sketches wapas dikhaye...

"toh fir...? isse saabit kya hota hai...?" Ravi ko abhi bhi kuch samajh nahi aa raha tha...

"batata hun..." itna bolkar usne woh kagaj kaa chaaku apne daayen (left) haath mein liya... "iska matlab khun lefty hona chahiye... yeh sabhi khun lefty haath se kiye gaye hai Ravi sahab... aur mein lefty nahi hun..." apni baaju majbut karta huva Rahul bola...

Ravi ne woh sketches wapas ek ek baar wapas dhyaan se dekhe, "interesting... tu bol raha hai usmein sacchayi toh hai... lekin isko
pukhta sabut nahi maan sakte... aur aakhirkar main sawal adhura hi rehta hai na... fir khuni kaun...??"

"arey Alex... Matroo aaya kya mumbai se...?" Ravi ne pucha...

"han saahab, dopahar ko hi aaye hai... ghar par soye honge... kal aa jayenge..." Alex...

"are kya yaar.. jaa... lekar aa unko... mumbai mein Aaditya ke baarien mein kya kya jaankari ikattha ki hai mujhe jald se jald chahiye..." Ravi ne kaha...

lagbagh ek ghante mein Matroo police station mein Ravi ke saamne khada tha...

"baitho Matroo... aaram huva hoga toh jara kaam ki baatein karein...?" Ravi ne jhallate huye kaha...

"haan saahab... Aaditya ki bohot si jaankari ikattha ki hai... 'kumaar' saahab ka iklauta beta... kumaar saahab ki chemical factory hai... apne ladke ne factory mein haath batana chahiye isliye unka roj usse jhagda hota tha... Aaditya ki buri aadatein Kumar saahab ko maanya nahi thi... aur isiliye unhone apne iklaute bete ko ghar se baahar nikal fenka...

Niharika aur Aaditya ki pehchaan 1-1.5 saal purani hai... Aaditya ki uske pehle koyi ek girl friend thi... saahab... bolte hai 'maal' thik
ekdam, lekin dono mein kya anban huyi kisi ko pata nahi aur usko chhodkar Aaditya ne Niharika se najdikiyan badhayi.." Matroo keh raha
tha...

"Matroo, us dusri ladki ke baarein mein adhik jaankari mili kya...?" Ravi...

"nahi saahab, us ladki ke baarein mein adhik jaankari nahi mili, lekin ye ek important mila hai..." itna kehkar Matroo ne apni jeb se ek kaagaj nikal kar Ravi ko diya...

"kya hai ye..?" itna kehkar Ravi ne woh kagaz kholkar dekha... aur uske chehre ke bhaav badalte gaye...

"shaadi ka certificate... Aaditya aur Niharika ke register shaadi ka... ek mahine pehle hi inhone court marriage kiya hai... aur idhar is baat
ki kisi ko bhi kaanokaan khabar nahi hai..." Matroo...

"ohh my god... abhi dhyaan mein aa raha hai sab mere... Alex us Rahul ko chhod de... sahi mein nirdosh hai woh bechara.. Matroo, chalo gaadi nikalo..."

-----------------------------------------

"i m sorry Niharika... ab tere jaane ki baari hai... dhannalal saahab aur munnalal sahab teri raah dekh rahe hai..." ek aalishaan khursi par
aaram se baithte huye Maansi ne kaha...

Niharika dar ke maare diwar se sat kar khadi thi...

"bechari Niharika... pehle dhannalal saahab ka aur abhi munnalal sahab ki mrutyu hajam nahi kar payi... aur usne faansi lagakar aatmahatya kar li..." saamne se ek vyakti Niharika ke paas haathon mein rassi lekar aage aage badh rahi thi... "bye Niharika... good bye my dear wife..." chehre par ka raakshasi haasy banaye rakhte huye aaditya ne kaha...

"ruk jaao Aaditya... u are under arrest..." Ravi saahab ke aawaj se Aaditya aur Maansi ke chehre ka rang hi ud gaya... dono ne chaunk kar
Ravi ki taraf dekha...

darwaje par apni service revolver liye Ravi aur unke saath mein Rahul khada tha.... Maansi aur Rahul ki aankhein ek dusre se takraayi... is
baar Rahul ne use dekh kar ghrunaspad apni gardan ghuma li...

----------------------------------------------

Mr. kumar aur Mr. Parera ek dusre ke business partners... Aadity aur Maansi in dono ki iklauti auladein... bigadi huyi... business ke
silsiley mein honewaale parties mein ekdusre ko baar baar milne se dono mein physicial sambandh nirman ho gaye the... parantu aage chalkar kumar sir ne aaditya ko apni zindagi se nikal fenka tha... aur aaditya achanak kidhar gayab gaya tha...

akele padi huyi aur vaasna ki bhuki Maansi ko Rahul ke rup mein ek naya partner mil gaya tha... lekin bechare Rahul ke paas se usko sharir sukh ke alaawa kuch na mil saka... aur achanak uski mulaqat aaditya se fir huyi...

itne mein aaditya ne Niharika naam ki machali apne jaal mein fansa li thi... sirf awashakta thi ki woh machali ko gatak jaane ki... Maansi aur aaditya wapas ekbaar eksaath mil gaye...

unke drushtikon se saamne dikhnewala paisa matlab Niharika... uske naam par dhannalal sahab ki bohot saari jaaydad thi... dhannalal sahab ko khatam kiya toh woh saari jaaydad Niharika ki hi thi... aur fir uske baad niharika se shaadi karne ke baad uska kaata nikal kar puri ki puri jaaydaad uski... ye ek simple sa vichar tha... lekin fir munnalal saahab...? unko bhi maara toh...? kyun nahi...??

dhannalal saahab ko koyi vaaris nahi tha... unke paschat sab jaaydaad munnalal saahab ki hi honewali thi... dhannalal saahab ka kaata pehle nikal kar uske baad munnalal saahab ko udaya toh... yeh toh bada jackpot hi tha aaditya ke liye...

lekin gaav ke do bade vyakti ka aise achanak khun huva toh police toh jaydad ke liye khun huva hai aisa hi sochegi... aur isiliye fir aditya
ne naya plan taiyyar kiya... psycho killer banne ka... usi uddesh se woh private bus se ganv mein aaya... uska nasib samjho yaa fir savita ka durbhagya un dono ki gaadi mein mulaqaat huyi... aditya ko uske nasib ne saath diya aur savita ne khud ki jaan jokhim mein daalte huye use lodge mein lekar gayi...

munnidevi ko bhi maarne ka koyi iraada nahi tha... uski jagah par dusra koyi bhi reh sakta tha... parantu us raak ko, andhere galiyon mein
baithe huye aaditya ko munnidevi khalipili mil gayi...

uske baad is pyscho serial killer ne hi dhannalal saahab aur munnalal sahab ki jaan li aisa bhram nirman karna tha... fir is serial killing
mein kisi ko toh fansana tha...

Maansi ne Rahul ko is case mein fansane ki supari li... jang pakad chuke detective agent ko naye sarike se udne ke liye prasiddhi ki jarurat
rehti hai... aur isliye Rahul ne hi ye sab khun kiye hai aisa jhuta sabut pesh karne ka plan tha...

lekin aditya ne ek galti kar di thi ki woh lefty tha... aur wohi baat rahul ne saabit bhi kar dikhayi thi... Maansi aur aaditya ko police
hirasat mein le liya gaya...




THE END

Post Reply