PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:00

Update 6


"king, us hathiyar ke barein mein kuch adhik information mili nahi kya...?" Inspector Ravi doctor ne body ke postmortem report dene ke baad hatya karne ke liye use kiya huva chaaku ka ek andaaz lagakar banaya huva chitra dekhte huve bola... 9 inch lambaa, ek side se khaacha tha, chaaku ke ek side mein kadhaai kaam to dusri side mein do sher ke chitra banaye gaye the... aur chaaku ka sirhana thoda sa muda huva tha...

"matlab king, ye dekho..!! is prakar ka chaaku kiske paas reh sakta hai...? flesher, chickenwala, bhangarwala, hotelwala...??? kaun aisa vichitra prakar ka chaaku rakhta hoga...?? thik hai woh sab jane do, gaanv mein us raat ke baad kaun kaun naya aaya hai, iski information nikali kya tumne..." Ravi ne pucha...

"han saahab... matlab gaanv ke jamin ke silsile mein baatchit karne ke liye dhannalal ke paas 4-5 log aakar gaye, dhannalal ke paas toh logon ka aana jaana rehta hi hai baaki sab kul milakar aisa koyi bhi naya vyakti nahi aaya saahab..." aapna sar khujata huva king bola... "han... woh detective Rahul aaya tha, munnidevi ki hatya hone se pahile..." achanak kuch sochkar king ne bich mein hi rahul ke aane ki baat jod di...

"detective Rahul...!! mujhe woh aadmi kuch thik nahi laga... iski maa ki aankh kidhar se achanak aata hai...?? hatyaaon ke barein mein puchta kya hai...??" Ravi kuch sochta huva bola...

"par saahab..., unke papers sab check kiye the naa aapne..?? government certificates hi the naa...??" King...

"are King, aise pachchason papers baahar banake milte hai... kis hisab se woh sahi honge...?? King ek kaam karo, lekar aao use kal idhar, jara thik se janch karni padegi uski..." Ravi apni jagah se uthta huva bola...

-----------------------

Rahul balcony mein dubte huve suraj ko dekhta huva baitha tha... jeb mein se cigaratte ka ek packet nikal kar usne andar ek najar maari... aakhir ki chaar cigarattes bachi huyi thi usne ek lambi saans li aur woh packet wapas apne jeb mein daal diya... fir woh ekdam aaram se khada huva aur room mein gaya... usne khud ke liye ek coffee bana li aur wapas balcony mein aakar baith gaya... coffee ke do kadak ghunt pikar bhi uski cigaratte pine ki tadap nahi jaa rahi thi, aakhirkar usne ek cigaratte jala li aur uska ek lamba kash maarta huva woh chair par aaram se pair pasar kar baith gaya.

din ba din un hatyaaon ki khabar dur dur tak fail rahi thi... bohot dino baad media walon ko bhi koyi masaledaar khabar mil gayi thi joki utni masaledaar nahi thi...

'shirgaon mein sannata...'
'shirgaon mein maut ka darinda...'
'shirgaon huva paagal khunika shikar...'

yeh aur aise anek 'breaking news' tv par dikhaye jaa rahe the aur shirgaon gaanv kaa naam shahron mein fail raha tha...

'is case ko aisi hi publicity milni chahiye...' Rahul khud se hi soch vichar karta huva bola... 'uske liye aur do tin khun ho jaaye toh bhi koyi gum nahi...' is case k publicity se hi apni publicity hogi aur wapas ekbar naye josh ke saath shuruvat kar sakunga...' Rahul man hi man soch raha tha...

cigaratte ka dhunvaa aakash mein choadta huva woh dubte huve suraj ko dekh raha tha... Inspector Ravi ke paas se hi usko khun ki information mil sakti hai yeh use acche se maalum tha...

uske paas se information nikaal ne ke liye pahile use gaajar dikhana padega... apna is kaarya mein sahakarya upyukt hai iski bhaavna uske man mein aa gayi toh shayad woh mujhe kuch information de sakta hai aise kuch khayalat uske man mein aaye...

yehi sab sochta huva uska man bhutkaal mein pravesh kar gaya........

Rahul maansi ke air-conditioned bedroom mein bed par soya huva tha... uske haat par apna sar rakh kar Maansi uske bagal mein soyi huyi thi... uske gore gore badan ke pithe par uske kaale baal lehra rahe the... hathon par jyada jor lagne par usne apna haath uske sar ke niche se dhire se nikal liya...

Rahul ke hilne se Mansi ne apni aankhen halke se kholi... usne pyaar se ek baar rahul ko dekha... Rahul ekdam ghode bechkar so raha tha... apne upar ki chaadar side mein kar ke woh wardrobe ke bade se shishe ke saamne khadi hokar khud ke saundarya ko nihar rahi thi...

apne baal ko sanvarne ke baad, room mein pade huve apne kapdon ko samet kar woh nahane ke liye bathroom mein ghus gayi... koyi ek aadh ghante baad baahar nikal ke baad samne Rahul ko kapdon mein dekh kar uske maathe par bal pad gaye...

"kidhar jaa raha hai..."

"ek do ghante mein aata hun mein... Ms. Singh ka phone aaya huva tha... unko unke kaam ke reports chahiye abhi ke abhi..."

"par Rahul...!!"

"Maansi... tumhein toh pata hi hai naa woh buddhi kitni khusat hai...! ek toh pehle se hi clients kam hai mere, jo hai unka toh khayal rakhna hi padega na..."

"par Rahul...!! tum yeh sab choad kar koyi office kyun nahi join kar lete...? i really love you rahul, and i want to get married with you...!!"

"Maansi... please abhi nahi..."

"Rahul... mujhe pata hai ki tumhein detective jobs pasand hai... fir tu thomson agency join kar naa... unka clients base bhi bohot bada hai... regular paisa toh milta rahega..."

"kaun...! woh harami thomson...! Maansi please... teri yeh faaltu idea tu apne paas hi rakh... meri professional life mein dakhal mat diya kar..."

"Rahul...? teri life...? teri life kya meri life nahi hai...?"

"mujhe waisa nahi bolne ka tha Maansi..."

"Rahul... mujhe lagta hai ki apna isi vishay par bohot baar jhagda huva hai... aur aage bhi hota rahega... Rahul tujhe ek ko chunna padega..."

"Maansi... please abhi nahi, mujhe kaam hai, shaam ko baat karte hai..."

"nahi Rahul... shaam ko nahi abhi..."

"thik hai fir Maansi... mein mera profession kisi ke liye nahi choad sakta..." lambi saans choadta huva Rahul bola aur wahan se nikal gaya....

nirash hokar Maansi piche mudi aur wardrobe ke saamne khadi hokar sajne sanvarne lagi, lekin uski aankhen bhar aayi thi... isi kaaran usko apni chavi aayne ke saamne dhundali najar aa rahi thi.. gaalon par se ashruon ki dhaar ko rokne ki naakam koshish karte huve woh dhaddaam se bed par gir gayi aur takiye mein apna muhn chupakar subakne lage...

..... hath mein pakde huye cigaratte ka garam chatka lagne par Rahul apne bhutkaal se waapas aaya... "Maansi... yess...!!!, Maansi is kaam mein meri madat kar sakti hai..." haath mein pakda huva cigaratte ka tukda fenkta huva Rahul uth khada huva...


novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:00

Update 7



"ravi saahab mein jara aapka ye fax machine istemaal kar sakta hu kya...? nahi... waise matlab ki is chaaku ke baarein mein hi jyada jaankari haasil karne ke liye istemaal kar raha hun..." Ravi ke jawab kaa intezaar kiye bina hi Rahulne haath mein pakde huva chaaku ka sketch fax machine mein dala... side mein ek note likhi huyi thi 'adhik jaankari chahiye...' aisa adhi tuti huyi pencil se likh kar usne woh kagaz Maansi ko fax kiya...


Gaanv ki panchayat, kuch patrakar, kuch nayi news nahi thi isliye gade mudde khodne ke liye 'breaking news' karnewale channelswalon ke prashno se inspector Ravi khij gaya tha... nayi jaankari ka kuch bhi strotra hath mein nahi lag raha tha... aani usi samay Rahul ne unki mulakaat lekar usko kuch mile huve sabuto ki jaankari di thi... unko usne us jagah par le gaya tha... aur khet mein paaye gaye tyre ke nishaan aur uspar nikala huva tark unko bataya tha...


arthat woh jaankar kuch jyada upyukt nahi thi aisa nahi tha, aur ispar jyada kuch haasil nahi huva tha, parantu in mandaliyon ko kuch thoda bahut dene ke liye Ravi ko kuch mil hi gaya tha... kuch samay ke liye toh inke muhn band ho gaye the... aur isi vajah se Ravi ne bhi uske paas ki kuch jaankari Rahul ko de di thi...


khun ke jakhmo se taknishiyan ne ek chaaku ka chitra banaya hota tha aur wohi kuch khaas jaankari mein se ek Ravi ne woh chitra Rahul ke diya huva tha...


pichle 3 mahino se Maansi Rahul ke saath nahi thi, par yeh fax usko milte hi woh mujhe jarur kuch madad karegi aisa usko dridh vishwas tha...


is chitra ki sahayata se Maansi internet se is chaaku ke barien mein kuch na kuch toh jaankari jarur nikal sakegi aisa usko lag raha tha aur isliye jyada naa sochte huve usne woh kagaz Maansi ko fax kar diya tha...


*****************


Maansi apne office ke kaamo mein vyast thi utne mein side mein rakhe huye fax machine ka 'incoming fax' tone bachne laga... Maansi ne 'accept' ka hara button daba diya aur fax ka paper roll ghumne laga... us fax ke paper par vichitra chitra ko dekh kar uske maathe par bal pad gaye... usne woh paper ulat pulat kar dekha fir usko side mein chote akshoron mein Rahul ne likha huva note dikhayi diya...


Maansi ne woh kaagaz dhaddam se ek side rakh diya aur wapas apne kaam mein vyast ho gayi...


shaam ko ghar nikalte samay table par ke paper achche dhang se rakhte samay achanak uska dhyan us fax paper par gaya aur woh use wapas dhyan se dekhne lagi...


"Rahul ko kyun chahiye rahegi iski jaankari...? itne din ke baad Rahul ko wapas koyi nayi case mil gayi kya...?" Maansi ke dimaag aise anek prashn ghumne lage... usne us kagaz par fax kahan se kiya gaya hai woh phone number dekha... fir baaju mein rakhi huyi telephone diary kholi aur jilhaa-taalukaa ke yaadi mein usne woh number dhudna shuru kiya...


"shirgao..." dhundte dhundte usko ek jagah par us gaanv kaa code mila... kuch hi kshano mein use kuch din pehle paper mein aur news mein breaking news diye huye do khun yaad aaye...


aakhirkar usne ek lambi saans li aur apne haath ka kaam side mein rakhkar usne google naamak site open ki aur chaaku vishayi adhik jaankari denewali websites search karne lagi...
bohot der ke baad khojne par use jo chitra chahiye tha woh mil hi gaya... wohi nakshikaam, wohi chinh, wohi aakaar...


Maansi ne side mein ek kaagaz nikala, chehre par aanewale apne kaale kajrare baalon ko apni ungliyon se piche kiya aur pencil se us kaagaz par website par ki jaankari likhne lagi..


**************


Maansi ke man se Rahul kabhi gaya hi nahi tha aur ab Raahul ko apni garaj hai aisa use rah rah kar lag raha tha... aur isliye usne 'shirgaon' jaane ka nirnay liya... kaam pura hote hi woh ghar gayi aur do-chaar din ke kapde, thode paise aaur kuch saaman lekar woh 'shirgaon' ke liye ravana ho gayi... Rahul ko phone kar ke 'mein aa rahi hun' aisa moh usne taal diya tha...


aisa achanak jaakar use surprise dena aur us din ke liye kshama mang kar sidha uske gale lagna, yahi sab sochte huye woh apni gaadi speed mein bhaga rahi thi...


raat ke 9.30 baj kar gaye the... bohot der se gaadi chalate chalate woh thak gayi thi isliye gaadi ko side mein lekar woh gaadi se baahar nikali aur pahadiyon ke thandi hawa uske sharir par padte hi usne apni aankhen mund li... ladkiyon mein 'sixth sense' rehta hai aisa suna hai... koyi toh idhar hai... ya fir tha...!


ek kshan ke liye use aisa laga ki turant gaadi mein baith jaaye, par us samay jo use laga woh bhram tha ya fir koyi sach mein idhar tha yeh maalumaat karne ke liye woh dhire dhire aage chalkar gayi... aur saamne ki jhaadiyon ko halke se side mein kiya lekin saamne andhere mein kuch dikhayi nahi de raha tha... baahar se andar ka kuch bhi dikhayi nahi de raha tha... par andar se, jo koyi rahega use Maansi spasht dikh rahi thi... dar ki ek sanvedana Maansi ke sharir se behne lagi... Maansi turant baaju mein ho gayi...


thoda bohot dhundane par use kuch haasil nahi huva isliye Maansi wapas aayi... gaadi ka darwaja khol ke andar baithne hi waali thi ki uski najar ek jagah par sthir ho gayi... gaadike thoda aage ek gobar kaa dher pada huva tha... aur ek side mein... haan pakka... kisi ke toh... maanvi paav ke nishan the...


'pahile se hi yeh aisa hai ki...? abhi...' Maansi ne bohot yaad karne ki koshish ki par use kuch yaad nahi aaya...


'kisi gaavwale ka rehna kam hai, kyunki woh juton ka nishan tha... aur gaav ke log jutein pehnte rahenge...' yahi Maansi soch rahi thi...


idhar jyada der tak rukna thik nahi hai aisa soch kar woh turant gaadi mein baith gayi aur sidha Shirgaaon mein ruki...


dhaai-tin haajar ke lokvasti mein base huve Shirgaaon mein Rahul ko dhunde mein use koyi kadhinayi nahi huvi...


counter boy ne ekbaar Maansi ko upar se niche tak nihaar kar Raahul apne room mein nahi hai aisi jaankari di...


thodaasa khijte huye hi Maansi ek khurji par baith gayi... aaju baaju kuch nahi tha isliye usne side mein rakha huva ek junaa newspaper uthaya aur gaav mein ghatit huyi ghatna woh paper mein padhne lagi... jyadatar ek ghanta beet gaya hoga... darwaja ka aawaj sunkar usne upar dekha...


Maansi ko dekh kar aascharyachakit huva saa Rahul darwaje par khada tha... rahul ke dekhte hi haath mein pakda huva paper fenkar bhaagte huye jaakar woh rahul ke gale lagi...


"surprise..." lagbhag chillate huye hi woh boli... par uska aanand jyada der naa tik paya


"shi... kitna ganda baas aa raha hai tere sharir mein se... naahati nahi hai kya...? chal pehle room par aur naaha le, baad mein baat karenge..." aisa bolkar usne apna saaman uthaya aur woh Rahul ke piche piche chal padi...

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 21:01

Update 8


Rahul jab fresh hokar aaya tab Maansi bed par silky nighty pehankar soyi huyi thi... Rahul ko dekhte hi woh uthkar uske paas aayi aur uske gale par apni baahein lapetkar ek chumban uske honto par diya...


"missed you dear... and i am so sorry..." Maansi pyaar se boli...


"no... i m sorry Maansi... and let me also confess it..." aisa bolke usne bhi usko usi garmjoshi ke saath apne se aur sata liya aur dirgh chumban uske honto par diya...


... chumban toad kar "par tu idhar kaise...?? aur tujhe kaise pata chala ki mein idhar hun...??" Rahulne pucha...


"ek detective ki girlfriend hun... toh uske thode bahut gun toh mujh mein rahenge hi naa...?" prashnatmak mudraa mein Maansi ne jawab diya, "ye... par kya yaar... kaun saa yeh gandaa hotel dhundaa hai...? koyi achcha hotel nahi hai kya idhar...?"


"hmm... thik hai..." aisa bolkar Rahulne abhi tak ki puri detail use bata di... "toh aisa hai dekh sab kuch... is case ko kitni publicity mil rahi hai tujhe toh pata hi hai... kal agar jaanchpadtal mein police logo se bhi jyada progress kar saka toh is case ke sath sath hi mujhe bhi kitni publicity milegi... fir case solve huva ho ya naa huva ho... khuni pakda jaye yaa naa jaaye.. ekbaar agar meraa naam aaya toh city mein jaakar pure jor shor ke saath wapas shuruvat kar sakunga..."


"woh thik hai yaar... lekin police bhi kya so nahi rahi hai... tujhe bohot kasht uthane padenge police ko pichche choadne ke liye..." Maansi apne baal sidhe karte huye boli, "ye... tu aisa kyun nahi karta...? tuhich aur ek do khun kar de naa...! aur tuhich sabh kuch sabut ikattha kar ke police ko de de... us spiderman jaise..."


"spiderman...?" Rahul...


"han.. matlab dekh naa... 'piter parker' the photographer rehta hai aur wohi spider-man... khud hi khud ke photos nikal kar paise kamaata hai... waisa hi..." aisa bolkar Maansi jor jor se hasne lagi...


Lekin Rahul kuch bhi nahi bolke khidki ke baahar dekh raha tha...


"ye... mein maskari kar rahi thi han nahi toh sahi mein khun-bin karega... chal abhi sote hai, mujhe bohoto nind aa rahi thi..." aisa bolkar Maansi ne bulb band kar diya...


... rat ko kuch bhi kar ke Maansi ko nind nahi aa rahi thi... baar baar hildol rahi thi... isliye khijte huve Maansi uthkar baith gayi... Rahul baju mein gehri nind mein tha...


"kyun nind nahi aa rahi hai...?" Maansi ne khudse hi sawal pucha, "shayad, badli huyi jaga, shayad aisho-aaram, malmali bed ke bajaye yeh ekdam kadak gaadi ka bed..., nahi wajah kuch aur hi thi, jhunjhlaahat... kholibhar kisi praakar ka ek gandh aa raha tha, kaisa gand...? shayad gobar kar...???"


Maansi teji se uthi, "gobar ka gandh..!!, us road par, udhar, pakka koyi toh tha, udhar ke gobar mein kisi ke toh pair nishan bane huye the meine dekha tha..."


Maansi bed par se niche utari, chupchaap woh darwaje ke najdik pahunchi... woh gandh aur bhi tej ho gaya tha... Maansi ne dhire se Rahul ke shoes uthaye... uska shak sahi nikla, Rahul ke ek juta ke niche gobar chipka huva tha...


"Rahul...!! udhar Rahul tha..? nahi, aisa sambhav nahi... woh udhar aaya bhi hoga toh mujhe dekh kar chhup kyun gaya...? usko toh pata bhi nahi tha ki mein aanewali hun...? yaa fir yeh ek sanyog tha...? ki...!!!"


******************


Subah subah Rahul Maansi ko pura gaav dikhane ke liye lekar gaya... shaam ko Rahul aur Maansi dono police station gaye... Rahulne Maansine laaye huva chaaku ki information ke papers Ravi ko diye...


"yeh kaun..?", haath mein pakde huye kaagaz ko dekhte hi Ravi bola...


"yeh Maansi...! meri asistant... isne hi chaaku ke sambandhi adhik information nikaal kar layi hai..." Rahul bola...


"1836? is year ka yeh chaaku hai aisa bolna hai kya aapka...?" Inspector Ravi abhi bhi woh kagaz ki information padhta huva bola...


"han Ravi sahab... us chaaku par ke chitra, hight, width sab ek jaisa hi hai.... 1836 mein Jaipur ke maharaja ne uske vishwasu nokar ko yeh chaaku bhent di thi... parantu uske baad woh kis ke paas kidhar se is gaav mein aaya iski information nikalna thoda kathin hai..." Rahul


"hmm.. lekin tum jaisa bata rahe ho, us hisaab se yeh chaaku khandaani logo ke paas hi rahne ki sambhavna hai... aur yeh agar sahi hai toh shirgaon mein khandaani parivar matlab..."


"munnalal...?" inspector Ravi aur Rahul ekdam eksath bole...

Post Reply