PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 20:58

Image
Mein Rahul aapke saamne ek Short 5-6 updates ki story pesh karne jaa raha hun... jo ki mere ek mitra ne marathi mein likhi huyi hai.. usi ko mein hindi mein convert karke aapke saamne pesh kar raha hun... aasha hai ki aapko pasand aayegi...

Original writer: - Aniket Samudra
Translator: - Rahul

Disclaimer:
All the postings of mine in this whole story is not my own collection. All are from internet posted by some one else. So none of these are my own story. Am not violating any copyrights law or not any illegal action am not supposed to do. If any problem pm me i deleted all my posts regarding this story... Thank you

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 20:58

Update 1

Mumbai se ravaanaa huyi us Private Bus ke driver, Dayaaram ne highway par dur ek caar ke paas hathon kaa ishara karnewale us vyakti ko dekh kar apni bus ki gati kam ki, aur gaadi raaste ke kinare rok di. Waise Dayaaram aise andheri raat ko kisi ke liye bhi gaadi nahi rukaata tha, par band giri gaadi aur suit boot mein khade vyakti ko dekhkar uske man mein koyi sandeh paida nahi huva aur usne gaadi rok di.


"Saahab, gaadi band ho gayi hai, aage kisi bhi gaanv mein chhod doge kya...? kisi garage se kisi ko toh leke aato hun aisa socha...", woh vyakti Dayaaram se bola.

"thik hai... chalo chhod deta hun, andar jagah rahegi toh dekh lo, nahi toh idhar cabin mein hi baithna padega..." Dayaaram ne us vyakti ko kaha.

Us vyakti ka nasib achcha tha, gaadi mein use ek seat khaali mili. Usne bagal mein kaun baitha hai yeh dekhne ke liye bus mein ke deam light mein dekhne ka prayas kiya. Bagal mein ek laghbagh 22 ya 25 baras ki ek yuvati apni aankhen munde baithi thi.

Handbag se usne apni shawl baahar nikali aur pure sharir ko lapetkar woh wahin par baith gaya, baahar ki thand se achcha andar ki garmaahat use achchi lag rahi thi.

Thodi hi der mein bus ne apni puri raftar pakad li. khidki se baahar ki thandi hawayein aa rahi thi, us yuvati ke baal us haawaon se baarbaar uske chehre par aa rahe the. Jab thandi jyada sehan nahi ho payi tab 'usne' 'us' yuvati se kaha, "kripaya, khidki jara band kardein toh meharbani hogi...? bohot thand lag rahi hai..."

Us yuvati ne uski taraf dekhe bagair khidki band ki aur wapas so gayi.

Bus ke lights abhi purnatah band ki gayi thi. Laghbagh bus ke sabhi yaatri so gaye the. gaadi kaa aawaz, bich mein se hi jalad gati se jaanewale Truck kaa aawaj, aur unke Headlights ki roshni, ekdam halki si khuli huyi khidki ke daararon se aanewaali thand haawaon kaa aawaj sab kaise ek taal se taal milaakar chal rahe the.

Bus mein abhi ekdam mast garmaahat nirmaan ho gayi thi. Woh vyakti bhi apne sharir par shwal ekdam tight lapet kar so gaya.

3 se 4 ghante ho gaye rahenge usko soye huve, itne mein uske haath ko thandaa sparsh lagne ki vajah se achanak uski nind tut gayi . Uske haath par bagalwaali yuvati ka haath tha.

Usne dhire se uskaa haath uthaakar side mein rakh diya.

Thodihi der baad punhah uske ungliyon ko uske thand haathon kaa sparsh huva. Usne apni aankhen kholkar uski taraf dekha, woh abhi tak soyi huvi hi thi.

Usne apna haath baaju mein kiya.

Thodi der baad fir se wohi sparsh, usne fir se uski taraf dekha, bagal se gujaranewaale ek gaadi ki roshni uske chehre par padi aur woh ek kshan ke liye achambit huva.

'woh' uske taraf hi dekh rahi thi.

Matlab yeh sparsh jaanbujh kar kiye jaa rahe the toh...

Isbaar woh vyakti pich hatnewaala nahi tha, usne apne haath uske haath ke niche sarkaya aur uska haath pakad liya, dono ne ek dusre ke haath majbuti se pakad liya aur haathon ki garmaahat mehsus karne lage.

Thodi der baad us yuvatine apne haath ki pakad dhili ki, us yuvati ne apne haath se us vyakti ke haath ke niche se lekar shoulder tak halkse firaa rahi thi.

Uske sparsh se us vyakti ke andar ek romanch aur, pure sharir mein kaante aane lage, uske kaan garam ho gaye the, uski ungliyon ke sparsh se uske sharir ka har ang ang uttejit ho utha tha.

Achanak bus ko ek jordaar jhatka laga aur ek ajib saa aawaj karti huyi gaadi raste ke kinaare aakar khadi huyi.

Bus kaa akseltryk tut gaya tha.

Bus ki saari lights prakashit huyi toh uski tandraa bhang huyi, usne apna haath turant khinch liya.
Cleaner ne bus mein aakar ghoshnaa ki, 'Bus repair hone mein samay lagega...'

Apni aadhi nind se jaage huye yaatri waapas so gaye, aur baaki ke yaatri 'bidi-cigaratte' ke liye niche utar gaye.

Bagalwaali yuvati baahar nikli, baahar nikalte samay uske sharir ka usko huva sparsh uske sharir par uttejana ki lahar de gaya, uske sharir se aa rahe mand sugandh se uska man prafullit, romanchit ho utha.

Woh khidki se jhuk kar baahar dekhne laga ki woh yuvati kidhar jaa rahi hai.

Raaste ke side mein kuch duri par kuch roshniyaan chalak rahi thi. 'Samarpit Lodge' tube lights ki roshni se usne board par ke akshar padhe.

Us yuvatine ek baar piche mudkar uski taraf kuch kshan dekha, aur waapas piche mude bagair woh aage chalne lagi.

Us vyakti ke man mein hadbaadahat utpann huyi... woh apni jagah se uth ke khadaa raha.

'takriban kitna samay lagega...?' usne cleaner se pucha.

'ek ghantaabhar toh jarur lag jayega...' cleaner ne jawab diya.

'thik hai... mein idhar hi hun...' itna kahkar woh vyakti us yuvati ke piche piche chalne laga.

Baahar thand jyaada thi parantu haawaayein maatra band thi, usne upar aakash mein ek najar daali. Chaand baadal ke piche chupaa huva tha. kale ghane baadal ghir aaye the, jaisa ki use lagne laga tha ki abhi barsaat shuru ho jayegi aur usko bhigo degi.

Woh yuvati abhi bhi piche dekhe bina aage aage chal rahi thi.

Lights ki roshni mein uski najar us yuvati ke purn sharir par se fisal rahi thi, waah kyaa figure thi, ekbaar dekhnewaalon kaa dil lalchaa jaye, sharir ke yogya jagah par ekdam satik aakar uska man uski taraf khinch rahe the. woh khinchaa saa uske piche piche chala jaa raha tha, jaise ki koyi lohchimbak ho.

Woh yuvati lodge mein ghusi aur counter ke saamne khadi ho gayi.
Kaan-topi, maflar lapetkar counter par baitha huva yuvak usko dekh kar muhn tedhaa kar ke utha.

"bhaiyya, meri bus band ho gayi hai aur aisa mujhe nahi lagta ki ek do ghante mein shuru ho jayegi. Meri tabiyat bhi thik nahi hai, kuch ghante ke liye room chahiye..." dur band gire apni bus ke taraf ungli kar ke ishara karte huye woh yuvati boli.

Us counter boy ne drawer mein se ek chaabi nikali aur uske saamne fenk di. Uski adhik information lene ke liye usne saamne kaa register apne saamne khola hi tha ki uski najar darwaaje se andar aanewaale vyakti par padi. Woh counter boy gaalon gaalon mein hi muskuraya aur usne waapas register band karke punhaa rakh diya aur apne chehre par shawl odhkar so gaya.

Woh yuvati sidhiyaan chandhne lagi, woh vyakti bhi uske piche piche upar gaya.

'103', woh darwaje ke saamne hi khadi thi aur usne apne paas ki chaabi se darwaja khola.

Donohi andar aane par us vyakti ne darwaja andar se band kar diya, us room ki roshni mein woh pahili baar use dekh raha tha. Us yuvati ki aankhon mein ek kasak thi, ek ajib saa nasha tha, woh bhi itna ki us vyaki ko apne sharir mein ka aatma uske sharir ko faad kar us yuvati se baahar milne ko aaya huva ho aisa lag raha tha. Uska gala sukh chuka tha, dil ki dhadkane badhne lagi thi…, us yuvati ne apna haath aage kiya.

---------------------

"chalo... fataafat baitho gaadi mein... aa gaye kyaa sab ke sab...?" cleaner ne ek baar aawaj de kar andar najar ghumayi... nikal ne se pahile usne ekbaar sab logo ko gina... seat number D 5-6 khaali the.

"abhi yeh dono kidhar gaye...?" khijtaa huva cleaner waapas bus se utar gaya, yahan wahan sab jagah par dhundaa lekin use woh dono kahin bhi dikhayi nahi diye.

'are... woh log thodi der pehle us lodge mein jaate huve dikhe... jara dekho udhar hi honge..!!', ek yaatri bich mein hi bol pada.

Cleaner khijtaa huva man hi man gaali badbadataa huva lodge mein ghusa, counter boy ekdam gehri nind mein soya huva tha.

"iski maa ki aankh... mar gaya kyaa ye...?" cleaner ne jor jor se hila hila kar use jagaya.
"idhar ek ghantebhar pahile koyi aaya tha kya...?" cleaner ne us 'yatri' ka varnan bataya.

'haan, woh aaya huva tha aur uske saath ek ladki bhi thi... upar hi honge dekho room no. 103 mein' sidhiyon ki taraf haath dikhakar woh fir se apni aankhon par shawl odhkar so gaya.

'lo kar lo baat... udhar andheron mein hum inko dhund rahe hai aur yeh dono idhar mauj masti kar rahe hai...' cleaner badbadata huva do-do sidhiyan chadh kar upar aa gaya... room no. 103 ke andar ki lights abhi bhi jal rahi thi.

'o saahab.. agar ho gaya rahega toh chalo, gaadi taiyyar hai...!' cleaner ne aawaj lagakar darwaja thapthapaya.

Lekin andar se kuch aawaj ya pratiuttar, aur halchal nahi mehsus ho rahi thi.

'o saahab.. aa rahe ho kya...? yaa fir chhod du gaadi...?'

'o maadam... aa rahi ho kya...? ki jaayen yahan se... aakhri baar puch raha hun...!' cleaner nikal ne ke hi taiyyari mein tha.

'maro tumhari maa ki aankh... jaata hu mein' aisa bolkar cleaner jaane ke liye nikla.... usi waqt counter boy khijtaa huva upar aaya... aur bolne laga, ' kyaa huva...? kyun chillaa rahe ho...? aap jaao naa nahi aane kaa rahegaa unko...'

usne dhire se darwaje se kaan laagakar dekha... andar se koyi bhi aawaj sunayi nahi de rahi thi, aur halchal bhi mehsus nahi ho rahi thi.

usne bhi do-tin baar darwaja pit pit kar dekha... fir baad mein uske man mein shak paida hone laga.

'iski maa ki... bhaag gaye kyaa jab mein so raha tha...?' us counter boy ne apne maathe par haath maarte huve bola.

'aise kaise jaayenge... bus toh idhar hi hai..!!', cleaner bola.

'kuch toh gadbad hai...' itna bol kar woh counter boy niche bhaagta huva aaya aur drawer mein se room ki duplicate chaabi nikal kar wapas bhagta huva saa upar aaya.

Dur se Bus ke horn kaa aawaj sunaayi de raha tha...

Counter boy ne laaye huve duplicate chaabi se room khola. saamne kaa drushyaa dekh kar dono ki hi saans upar ki upar aur niche ki niche ruk gayi... hum jo dekh rahe hai woh sahi hai ki dusraa kuch hai aisa unko kuch kshano ke liye laga.

Saamne ki bed par ardhnagn dhang se us yuvati ka mritdeh pada huva tha... uske sharir ki chirfaad ki gayi thi...jaise ki ek takiya faad diya ho...

To be continued…

novel
Silver Member
Posts: 405
Joined: 16 Aug 2015 14:42

Re: PSYCHO ~ ~ Suspense & Thriller Story

Unread post by novel » 16 Oct 2015 20:59

Update 2

Inspector Ravi, Shirgaon gaav mein DCP ki pad par niyukt the... kuch thode bahut gunah chhod kar Shirgaon gaav vaise toh shant hi tha, isliye kabhi bhi Ravi par kaam ka jyaada bojh nahi aaya.

Us din bhi ghar ke bane huve Chicken Biryaani par taav maarkar Ravi gehri nind mein so gaya tha... usi darmiyaan Police Station se gunah ki khabar denewala phone aaya tha aur khijte huve, thand mein Ravi ne apni vardi pehenkar ghar ke baahar nikal gaya.

Hotel ka parisar Police ke gaadiyon se, Ambulance se, aur Bites milne ke liye aaye huve patrakaaron se khachakhach bhara pada tha. Hotel ke 103 no. room mein Inspector Ravi panchnaama kar rahe the. 15 saal ke apne carrier mein Ravi ne pahili baar itni krur, nirdayi hatya dekhi thi... photographers photo nikal ne mein vyast the.

"Inspector Alex, koyi fingerprints mile kya...?" Ravi ne pucha.

"Sir, lodge hai yeh, bohot saare logo ke fingerprints mile hai..., gunahgaar ke kaunse hai yeh ekdam thik se nahi keh sakte..." Alex....

"Hmm... thik hai us counter boy aur hotel ke dusre logo ki cross checking ki kya...?" Ravi

"haan saahab... usne room ki chaabi is ladki ko hi di thi... woh soya huva tha isliye isne us ladki ke saath aaye aadmi kaa varnan ekdam barabar nahi bata saka hai..." Alex...

"Thik hai, ek baat batao, gunaah maalum padne ke pehle kisi ne us aadmi ko baahar jate samay dekhaa tha kya..? matlab lodge mein se hi kisi ne...?" Ravi

"nahi saahab..., kisi ne bhi nahi... hum ne idhar aate hi turant lodge ko seal kar diya... uske baad koyi bhi baahar nahi gaya... iska matlab yahi hai ki gunaahgaar pahile hi baahar nikal gaya tha..." Alex...

"Bus ke yaatri, Driver, Conductor, Cleaner kisi ne toh use dhang se dekha hoga...?" Ravi jhallate huve bola.

"vaise ekdam thoda thoda varnan hai apne paas, kal us varnan par ek chitra banakar dekh lete hai... par 'usko' dekhte hi koyi pehchaan lega aisa abhi filhal toh koyi bhi nahi hai.." Alex.

"thik hai, yeh Bus jidhar se nikli hai udhar jaanch padtal karo.. ticket nikaalte samay, yaa bus mein chadhte samay kisi ne toh use dekha hoga..." Ravi

"saahab... woh aadmi bich raaste mein hi baitha tha bus mein..." Alex

"bich mein hi...? matlab...?" maathe par bal laate huye Ravi Bola.

"bich mein hi ka matlab saahab... driver bola ki Naasik exit par usko raste ke kinaare ek band gaadi dikhi aur uske samip hi khade us aadmi ne lift maangi... wohi aadmi tha..." Alex...

"are Alex, yeh baat tumne mujhe pahile hi bata deni chahiye thi...! abhi ke abhi kisi ko toh udhar bhej do... woh car abhi bhi udhar hi rahegi toh koyi na koyi toh thos sabut milega. Driver se us car ka varnan, matlab rang, konsi gadi thi vaigere information ikattha karo..." Ravi hyper hote huve bola.

"haan saahab..., Inspector Matroo turant gaadi lekar gaye hai us exit ke paas..." Alex.

"aajubaaju koyi basti hai udhar jaanch padtal karo, raat ko kisi ne kisi ko toh aate jaate dekha kya...? aur apne gaav mein naye aaye huve aadmi kaa baarike se jaanch karo, woh kidhar se aaya hai, kis ke saath aaya hai, uske proof ki jaankari thik jama karo..." Ravi

"thik hai saahab..." itna bolkar Alex wahan se dusri jaankari ikattha karne ke liye nikal gaye.

"Inspector King, body ko postmortem ke liye bhej do... aur khun karne se pehle body par balaktar huva hoga toh aisa panchnaama mein mentioned karo... postmortem ka report aur baaki ke papers, mein subah aane se pehle mere table par rakho..." aisa bolkar Inspector Ravi baahar nikal gaya.

Baahar khade do hawaldar jama huye patrakaaron ko andar jaane se rokne ki naakam koshish kar rahe the. Body baahar laate hi news reporter ne ek hi gardi ki lekin unko kuch jyaada information hath nahi lagi.

Road ke dusre side khet mein chup kar khadaa rahkar 'woh' sab kuch dekh raha tha... police ki gaadi aur ambulance ko baahar jaate samay usne dekh liya... do minute usne man hi man kuch vichar kiya aur fir andheron mein khet mein se rasta nikal kar woh bhi wahan se chalta bana.

To be continued...

Post Reply