Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 01 Feb 2016 21:28

Update 37"RAAT KAAFI HOGAYI HAI RUDRA !" bistar par laiti kiran ke moonh se kapaltantar ki awwaz nikali - "JAAO.......... JAAKAR AARAM KARO !"


"kyun ?" RUDRA holley se muskuraya - "mere baithe rehne se aapko ky dhikkat hai ?"


kiran ke honthon par rahysamay muskaan ubhar aai - kapaltantar ki awaaz nikali - "TUM SHAYAD HAMARI CHOKASI KAR RAHE HO ?"


"chokasi ?" ne ek najar aprajita par daal ke kaha !


" TUM GALAT JAGHA BAITHE SAMYA waist kar rahe ho !" kapaltan ki awaaz eek ek shabad par jor dety kehty chali gayi - " chokasi (matab nigarni) unki karni chahiye jinko marna hai kyunki hum yanhi baithey raheingey or aaj raat unmein se ek marr jayega !"


"aaa aap aisi batein kyun kar rahe maharaj ? " uski baat sunkar aprajita ke chehrey par kauff najar aane laga tha - " yeh khoon kharaba , yeh katal ............


"hum kewal batein nahi kar rahe !" kiran ke moonh se nikali awaaz ne visfot kiya - "MAHEESH aaj fansi laga kar marne wala hai !"


"kya aap unko maaf nahi kar saktey maharaj ?"


"maaf kar du ?" kapal ki gussey bhari awaaz ghoonji - "kya woh papi maaf kar dene layak hain ?"


"bhale he na ho !" RUDRA NE KAHA - "mujhe dukh horaha hai , aakhir aap unke star par kyun utar aaye - aapka star maaf kar dene par banna reh sakta hai!"


"papion ka sarvnaash he tantar vigyaan ka sandesh hai !"


"parntu maharaj !" aprajita ne kaha - "jiss masoom ke shareer mein aap hain, usko kanoon ki najar mein hatyari kyun banatey hain - agar yehi sab karna hai tau kisi or ka shareer istemal kyun nahi kar lete ?"


"tum khud janti ho devi !" kiran ke moonh se awaaz nikali - agar hum kisi or ke shreer mein hotey tau na tum villa ke charon taraf police ka jaal bichhaty , NA RUDRA shant baitha hota - iss waqt kewal ek he vaada kar saktey hai, yadi tumne koi gadbad na ki tau kiran ka koi baal baanka nahi kar sakeyga !"
_____________
_________________
______________________


BISTAR par padhey maheesh ki aankhon mein neend ka naamo nishaan na tha !


halaanki apne kamrey ka har khidki darwaza usne kai-kai baar check karke khud band kiya tha !!


"iske bawjood dilo - dimaag se maut ke khauff ko nikal nahi paaya - jiss pal se kiran ke jisam mein mojood kapaltantar ne yeh kaha tha ki woh ek-ek karke unn sabki hatya kareyga tab se na jane kyun usey lagraha tha, sabse pehle ussi ka no hai- aisa shyad issiliye tha kyunki yeh baat kehtey huye kapaltantar (kiran) ki aankhein ussi ki traf dekh rahi thi !!!


halki si aahat hotey he bed par uth kar baitha !!


usko laga koi hai !!


aahat dowara huyi or iss baar woh na kewal bed se uchhal kar farsh par khadha ho , balki bed ke neechey jhankta huya bola - "kon hai ?"


"shhh shhhiii!" bed ke nichey honthon par ungali rakhey ussey chuup rehne ka ishara karta yogesh najar aaya !


"tum ?" halak se ghuti ghuti si cheekh nikal gayi maheesh ki !!!


"farar hone ke liye iss se achhaa mokka nahi mileyga !"


"maheesh ne dekha, bed ke neechey yogesh ka kewal chhaati tak ka jism chamak raha raha tha - baaki hissa farsh mein ghum tha - maheesh ko yaad aaya, yogesh ka kamra, iss kamrey ke theek neechey hai !


BALRAJ or YOGESH dowara unhein yahan se faraar karane ka vaada yaad aaya !


yehi karan tha yogesh raingta huya maheesh ke kareeb aagaya, or maheesh ne apne moonh se chooo-chaan tak ki aawaz tak na nikali!


yogesh ke kandey par latak rahi rassi ka arth nahi samjh saka tha !!!!!
_____
_________
_____________ khel shuru
_________________
[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 01 Feb 2016 21:28

Update 38"maheesh .... maheesh !" kehtey huye rustam ne jor jor se darwaza peetna shuru kar diya !


andar koi halchal na huyi !


"kya huya ............ kya huya rustam ? bhagta huya markandey uske najdeek aaya !


aatankit rustam ne kaha - dekho na, kab se darwaza khatkhta raha hu - andar koi halchal nahi horahi !


anisht ki aashanka ne palak jhapktey he markandey ko jakad liya !!!


ab woh dono baar baar maheesh ko pookartey darwaza peetne lagey - graound floor se balraj, yogesh, aprajita,rudra or kiran bhi uper aagaye - uss waqt kiran ke honthon par thirak rahi kutil muskaan ko dekhkar RUDRA ke jism ke rongtey khadhey hogaye!!!!!!!!!!!


bokhlaaye huye markandey or rustam ke sath milkar RUDRA ne kamrey ka darwaza todh daala!!!!!!


chhat mein mojood kundey mein bandhi rassi ke nichle sirrey par jhool rahi maheesh ki laash ko dekhtey he markandey,rudra,aprajita ,or rustam ki cheekhein nikal gayi !!!!!!1


sach-much fansi lagakar marra najar aaraha tha woh !


jeev halak se bahar latak padhi thi !!!


" nahi ....... nahi !" rustam mano pagal ho utha, jhapatkar usne apne dono hathon ko KIRAN ki gardan par jama diya - "main tujhe jinda nahi chhodunga , tune mere dost ko ........


kiran kapaltantar ki awaaz mein hansti najar aai !


kiran ka chehra surkh laal hogaya, aankhein ubhalne lagi !!!


aprajita cheekh padhi - "rudra ......... rudra.............. kiran ko bachao !!!!!!!"


akela rudra he nahi, balraj,yogesh bhi rustam par jhaptey !!!!!!!!!


markandey jo ho raha tha aankhein faad faad dekh raha tha usko samjh nhi aarahi thi ki kiran ne khud ko bachane ki koi koshish tak na ki thi !!!!!!!!!1


rudra, balraj, yogesh ne milkar rustamko kiran se alag kiya - udhar kiran apni ukhad chuki saanson ko kaaboo karne ka pryaas kar rahi thi - idhar rustam cheekha - "chhod do mujhe, main iske tukdey tukdey kar dunga !"


"meri gudiya ke tukdey kar ke kya mileyga tumein ?" aprajita ne bhaagh kar kiran ko apni bhaahon mein bhar liya, jabki kiran ne hanstey huye kapaltantar ki awaaz mein kaha - "moorakh ........... mahamoorakh........ iss trha, tum hamara kuch nahi bhigaad saktey ho ?"


aprajita bhokhlakar kiran ko chhodhkar door hatt gayi !!!!!!!!


"pee le ...... aaaaaaaa ....... peeeee leeeeeeeee mera khoon ! hehe hehe kiran ki khoffnaak hansi ghonjti chali gayi !!!


"rustam !" ekaek markandeybola - "hosh mein aao, iss trha gussa karke hum iss masoom jism ko nasht karne se jiyada kya kar saktey hain jabki maheesh ka hatyara yeh gudiya nahi, iss ke andar baitha woh shaitan hai jo kiran ka jism nast hone ke baad kisi or shakal mein hamarey samney aa khadha hoga !"


"hai bhagwan !" rustam ro he padha - " iss baar kiss se uljh baithe ?"


kiran ke halak se footne wala thahaaka buland hota chal gaya or buland hota chala gaya !!!!


"yeh aap kya kar rahe hain maharaj ?" aprajita bifar padhi - "meri masoom si behan ki jaan lekar rahogey kya ?"


"humein maloom hai iss shreer ko koi nasht nahi hone daiga !" kiran shaitani hansi hasey ja rahi ke fir kapaltantar ki awaaz ghoonji - or yeh ....... yeh issi trha ek ek karke maarey jayeingey - or tu bhi inko bachane ki jitni chahe koshish kar le rudra, ek nahi bacheyga inmeinse- tu saari raat hamari chowksi karta raha, hum ek pal ke liye nahi uthey, magar fir bhi yeh marr gaya, or dekh, fansi laga ke mara hai - humne kal raat he keh diya tha - yeh fansi lagaayega - hamarey moonh se aawaaz tak nahi nikalne di thi kameene ne - ab patta laga hoga ki dumm ghutne par aadmi ko kaisa lagta hai ?"


koi kuch nahi bola !


bolta bhi kya ?


kisi ko kuch soojha he nahi !!!!!


rudra yeh sochkar hairaan tha maheesh mar kaise gaya, kiran har pal uski aankhon ke samney rahi !


rudra ne kamrey ki taalashi li - kisi doosrey insaan ki mojoodgi ka koi nishaan tak najar na aaya usey !!!


Bed pe najar ek paper pe gayi - paper ko padha rudra ne - " mujhe yakeen hai, kapaltantar humeon jaroor maar daaleyga -uske hathon marne se behtar hai, apne hathon marr jau!"


Rudra ka dimag chakra kar reh gaya !!!


paper markandey ko dhikhaya or rudra ne writting ka ka poocha tau uski haa kehne par har koi chakit reh gaya - samjh nahi aa raha tha ki kiran ke jisam mein baithey kapaltantar ko kaise patta tha maheesh fansi laga lega ?


kya chamtkar tha yeh ?
__________
______________ friends koi bata sakta kon mareyga??? Mahesh gaya rustam bhi jayega markandey ka patta nahi aap sabta dena or kon kon mareyga...
__________________
[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 01 Feb 2016 21:29

Update 39
hall mein rudra abhi do number ring kar paya tha ki kapaltantar ki bhyanak awaaz nikli - "kise phone kar rahe ho rudra ?"


"police ko!"


"kyun ?"


"yahan katal hogaya hai police tau aayegi he !"


"nahi !" kiran ke moonh se gurrahat nikli - "police nahi aayegi !"


"police tau aayegi maharaj !" RUDRA ne sakhti se kaha - "suchna dena mera farj hai !"


kiran ne chetawni deta huye kaha - "agar tumne aagey ring kiya tau achha nahi hoga !"


"kya kareingey aap ?" keh kar rudra no dial karne laga !


"dekhna chahtey ho ?"


"main aapki dhamkiyon se darne wala nahi hu !"


"tau dekho !" kehne ke sath kiran ki aankhein band huyi or agle pal woh hawa mein lehrakar hall ki ek deewar se ja takraai - "sab ke halak se cheekh ubhal padhi - sabne saaf saaf mehsoos kiya ki kisi shakti ne kiran ko diwaar par de maara hai !


farsh padhi kiran ne aankhein khol kar kaha - "bulaao police ko, unko yahan ek nahi .......... do lashein mileygi !"


kisi ke kuch samjhne se pehle kiran hawa mein uchhali or deewar se takra kar vapas farsh par aa girri !!


rudra ki sitti - pitti gum !


no tak milana bhool gaya rudra !"


"nahi .......... nahi ! cheekti hui aprajita ne jhapatkar rudra se reciver cheena, or deewar pe patak kar tod dala or kiran ki taraf palat kar foot padhi - "bus kiziye maharaj, bus kiziye - main aapke hath jodti hu, meri gudiya ko bhaksh diziye !"


"tau samjhao iss bewkoof ko !" farsh par padhi hui kiran ne kaha - "police ko bulane ke khawab bhool jaye !"


rudra ka dimag jaam hokar reh gaya !


rudra ke he kyun, sabke dimag jaam the !


"kisi ki samjh mein nahi aa raha tha ki kya karey ?"


achanak markandey ne balraj ke pass ja kar kaha - "ab or hum yahan nahi rukk satey balraj !"


"mmm mmm main kya kar sakta hu ?" balraj hakla gaya !


"tumne vada nahi nibhaya !"


"samya he kahan mila ? balraj bola - "or fir ........... maheesh ne kapaltantar ki dhamki se darrkar hatamhatya kar li, iss mein koi kya kar sakta hai ?"


"main kuch nahi janta ! markandey ne kaha - "aaj raat tak tumne vada nahi nibhaya tau khel khtam samjho !"


"kon sa khel , kaisa vada ? aprajita ne balraj se puchha - "yeh kya keh raha hai balraj ?"


"k k kuch nahi aprajita !" balraj buri trha bhokhla gaya - "aise he!"


"kya matlab ?" aprajita ke mastak par bal padh gaye - "kya aap bhi humse kuch chhupane lagey ho ?"


"chupane jaisi koi baat nahi aprajita, darasal markandey maharaj chahtey the main inki tantar sadhna ke liye kuch samaan lekar aau jiss se yeh kiran ke jisam ko kapaltantar maharaj se mukat karane ke liye anushthan kar sakein - maine saman laane ka vada kiya tha, ussi ka jikar kar rahe hain, keh rahe hain, aaj raat tak saman nahi aaya tau shayad yeh issi tarha innka bhi khel khatam kar dein !"


kiran thhaaka laga kar hans padhi !


sab chownk kar uski taraf dekhne lagey !


"bohat khoob , tau ab kiran ko humse mukat karane ke liye anushthan kiya jayega, wah ha ha ha ..... wah !"
__________
______________
__________________

Post Reply