Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:46

"chal !" balraj aprajita pe gurraya - "apne kamrey ki traf chal !"


"uuff ! aprajita ke daant bheench gaye - "mujhe aapka yeh roop dekhne se pehle maut kyun na aagayi chachu ?"


"maut tau uss basiyat ko padne se pehle mujhe aa jani chahiye thi, jissey mera kamina bhai marne se pehle likh gaya !" balraj ek-ek shabad ko chaba raha tha - "mere liye ek carore rupaye chhod gaya - aise jaise bhikhari ki jholi mein sikka dala ho - uss basiyat ke zariye MOHAK ne jaleel kiya tha mujhe !"


"apne bhai ke barey mein aapke yeh vichar hain ?"


"yeh sab natak hai yog............


kiran ke halak se kapaltantar ne bolna chaha parantu aagey ke shabad halak mein ghutkar reh gaye kyunki balraj ka mukka kiran ke moonh par padha, sath he gurraya - "tu bohat bhonk chuka kapaltantar, ab zubaan band rakh !"


"mere khyaal se b dair karna munasib nahi hoga balraj!" yogesh ne kaha - "Rudra kisi bhi waqt yahan pohanch sakta hai !"


"aagey badh, warna teri gudiya ki khopdi mein roshandaan bana dunga !" rivolwer kiran ki kanpati se sataye balraj ne itne bhayankar andaz mein kaha ki aprajita turant apne kamrey ki taraf chal di - kiran ko cover kiye balraj or yogesh bhi kamrey mein pohanche!!


najrein ek kone mein mojood sateel ki chamakdaar tijori par kendrit hogayi !


"chabhi nikal !" balraj garjaa!!


""le ......... le chabhi "aprajita ne bed ke draaz se chabhi nikal ke farsh par fainki !


"utha yogesh or jara khol tijori !" balraj keh utha - "ghar ka malik hone ke bawjood main aaj tak iske andar nahi jhaank paya !"


yogesh ne iss trha jhapatkar guchha uthaya jaise darr raha ho, agar chooka tau aprajita vapas utha laigi !


kiran ne teen baar palkein jhapkai, aprajita ki nigha uss waqt kiran ke masoom chehrey pe he tikki thi.......... kuch samjh ni pai gudiya ki harkat ko ..........


chabhi yogesh ne tizori ke ki-hole mein daali he thi ki chingari si chamki!


kamrey mein yogesh ki cheekhein ghoonj uthi !


ek ..... nahi aanek !


lagatar cheekh raha tha woh, lekin tizori thi ki chhod he na rahi thi !


teeno ki najrein yogesh par tikki huyi thi - uss yogesh par jisey tizori par daud rahe current ne tbhi chhodha jab uske khoon ki ek-ek boond pee chuka ...........


............ udhar woh thanda padha idhar kiran ke moonh se kapaltantar ki awaaz nikli - "tau tumne issey goli se nahi, uss tizori se liptakar maarne ki yojna bana rakhi thi jismein bhari daulat ko hasil karne ke liye yeh sarey jeevan paglaya raha !"
_________________

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:46

Update 47 END PART 1 BALRAJ ne palatkar kiran ki traf dekha or jordaar thahaaka lagaya !!!


tbhi kiran ko rahul (classmate) ka phone aata hai....... kiran sirf chupchap sunti rehti hai.......


Fir kiran bhi khilkhila uthi !!!!


tabhi darwaze par aahat hoti hui....


teeno ne palat kar dekha!


wahan rudra khada tha!


ek pal ke liye kamrey mein sanata chhaa gaya, magar agley he pal kiran chehki - "aao rudra ji umeed hai, kapaltantar ke aashram se sab kuch jaan-lene ke baad aap yahan pohnche honge!"


"kyun ?" chakit rudra ne pucha - " tumein aisi umeed kyun hai ?"


kiran ne aakarshak muskaan ke sath kaha - "aapko wahan beja he isiliye gaya tha !"


"matlab?"


"agar kisi ko chetawani dekar kaha jaye ki bilkul sidhey jana, ek baar bhi pichey mudhkar nahi dekhna, tau samanya awastha mein woh pichey mudkar dekhta ya na dekhta magar chetawani ke baad jaroor dekheyga - isi sycology ke tehat maine aapko aashram mein kapaltantar ke bhoodey jisam ke nasht hone ka jikar na karne ki chetawni di - mujhe maloom tha, aap jikar karogey or jawab mein har raaz patta lag jayega !"


rudra ne bhi bholepan se pucha - "gudiya betu tum sarey raaz meri jaankari mein kyun laana chahtey the ?"


gudiya - "kyunki hamari planning ke mutabik aapke lotkar aane tak khel khtam hojana tha !"


"or or dekho rudra - dekho !" balraj ne yogesh ki laash ki traf ishara kiya - "khel - khatam hochuka hai - humne kya-kya or kaise-kaise kiya ............ yeh sab kapaltantar bani kiran ne issey bata diya tha, uske wabjood jaal mein fansa raha - humne wohin laakar mara hai iss kamine ko, jahan hum marna chahtey the !"


"lekin .........aprajita, jab aapko yehi sab karna tha tau D.G.P sahab se kehkar yahan meri niyukti .........


"hum chahtey the, villa mein jo ho - ek sarkari jasoos uska gawah rahe, kyunki humne jo kuch kiya humein uss par garv hai rudra ..... garv !" aprajita bolti chali gayi - yeh sab tab shuru jab mohak papa ki car ka accident huya, mom, tab london gayi hui thi new business set karne ke liye .... main nahi chahti thi kisi ko khabhar lagey ki papa bach gaye hain so maine iss baat ko raaz rakha - par yeh shaitan gudiya jaane kaise sab jaan gayi or unn sabko jahin pe laakar maarne ki zidd karne lagi !!


or rudra iss master plan mein main, balraj chachu, gudiya ke sab dost iske sath the jo iski class mein padtey hain . . .


bus fir jo huya tumhare samne hai rudra ! ab iss shaitan gudiya ka jo karna hai tum karo !!


rudra bolta hai - "insaaf karne walon ke hathon mein hathkadi nahi aprajita ji, galey mein phoolon ki mala dali jati hai !" or vaise bhi iske master plan ko main kuch kuch samjh gaya tha -- jiss din markandey ki dhulai kartey huye yeh boli thi - " main shaitano ki nani hu - sab ka khoon pee jaungi - koi jinda nahi bacheyga" ! or hanstey huye rudra gudiya ko galey laga ke uska matha choom leta hai!


"or kanoon ?" aprajita ne hairat se poocha!


"kanoon ko behkana kon si badhi baat hai ?" rudra ek jhatke se aanchal ki traf palatkar kehta chala gaya - "uss ki tau gudiya ne daziyan udha di hahaha - kanoon ko samjha dainge ki yogesh ka kiya dhara sab! yogesh ke kehne pe panch gundey tantrikon ke roop mein apko thaggne villa mein or ek durey ka hissa hadapne ke fair mein padkar, ek dusrey ki hatya kar baithe ! sachaai bhi tau yehi hai !


____________________ end part 1 all sweet friends [/size]

Post Reply