Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:44

Update 43"tau kiran ka dard, woh cheekh chillahat ?"


kapaltantar :deil2: ki awaaz goonji - "sab gudiya ki acting thi, warna uske sweet sweet dost kya apni gudiya ka hall bhi na poochne aatey kya ? yeh master plan tha he gudiya ka, jo uske sab dost jaantey the ! abhi 10th mein sochta hu baad mein kya kareygi shaitan gudiya ha ha ha !"


"fir doctors ki report ?"


kiran ke moonh se kapaltantar ki gurrahat nikli - "bewkoof jab kiran thi he theek tau report bhi theek he aani thi na .........


yogesh ne pucha "aap dhokhey mein kaise fanss gaye fir maharaj, aapko tau maloom tha anushthan se aisa kuch hone wala nahi hai !"


" yogesh yeh ek bhidhamna hai !" kiran ke halak se ghambheer awaaz nikli - "hum jaise tantrik dusron ko dhokha dete dete ek din khud apne he dhokhe mein fans jatey hai - wohi huya, aakhir anushtan hum kartey tau ussi mutabik hain jaisa tantar ki kitabon mein likha hota hai - jab tum dono ne aashram mein aakar bimar gudiya ka haal byaan kiya tau na kewal khud apne bhramjaal mein fanss gaye balki yeh sochkar man he man khush bhi huye ki tantar ki kitabon ne humein sach-much kisi ko bimar karne ki power ka vikaas kar diya hai- kitabon ke likhey mutabik he tumein dawaiyan di - lagne laga ki ab markandey jaise logon ki jaroorat nahi padha kareygi.....


....... ek baat or tumhare mana karne ke bawjood balraj markandey ke addey par pohncha - ek carore ka laalach dekar tantrikon ke roop mein unko yahan laaya - darasal hum sabko iss kasaikhane mein ikhatha karna he inka udeshyaa tha !"
__________
_____________ ab aagey ---------
___________________


lekin aapko tau rudra itefaq se le aaya !


"ussi karan inki yojna thodi ghadbdha gayi !" kiran ne kaha - "yojna mein humein yahan lana shamil tau tha parantu tab jab daulat ke laalach mein markandey, monicka, rustam or maheesh ka murder kar chuktey - rudra ki mehrwaani se hum yahan aa pohnche - markandey group ko tantrik ke roop mein dekhkar chownke - humein tab bhi haqiqat ka ilam na tha, yehi soch rahe the ki mohak tyre udhyog ki daulat hadpne ke liye tumhara or balraj ka sanyukat plan chal raha hai- mission par khud ko hawi hone ke liye humne balraj se markandey group ko villa se daffa karne ke liye kaha !"




yogesh ne pucha - "aapne unko bataya kyun nahi ke aap he azgar hain ?"


"koi fayda na tha balki unki najar mein apna kadd he chhota karne wali baat ho jaty !"


"oh!"


"magar balraj AZGAR ban-kar double game khel raha tha - isne unnse hamari hatya ka sauda kiya, unki jaroorat bhi hamara khatma thi - markandey ke pass ek tej dimag tha - pehli raat usne monicka ka katal karke hamarey 'gayab' hone ki ground tyaar ki or agli raat apni samjh ke mutabik hamari hatya - humne unhein or balraj ko bharamit rakhne ke liye kaha tha sooksham shreer (atma) ke mujhe naqab-posh ki haqikat patta nahi hai - par asal mein har cheez ka patta tha - balki BALRAJ ne unki madad se hamarey bhoodey shareer ko uthaya or ground floor par aagaya - markandey aadhi na jaan sakey yeh hamarey jisam ko kahan le gaya - parantu humne dekha balraj ne hamarey jisam ko apne kamrey ke freez mein thoons diya !"


yogesh "maharaj aapne yeh sab kab jana ki asali sazish humse mohak ki hatya ka badla lene hetu chal rahi hai ?"


" tab, jab apne shuksham shreer ko KIRAN ke shreer mein parvrisht karana chaha - humne paya, na kiran par bramrakhshash kaabiz tha, na kaal bhairvhi - ismein kewal kiran ka sukhsham shreer tha - samjhtey dair na lagi ki kiran ab tak acting kar rahi thi - uske baad hum iss ke shreer mein guss gaye, iske mann ko padna hamarey liye kathin na tha - or mann ko padne ke baad sari sazish khuli kitab ki trha thi magar batane ka sahi waqt nahi aaya tha - uske baad jo huya, tum jantey he ho..... humne tumharey hathon maheesh,rustam or markandey ke murder karwaye !"



"or or ab yeh jhoothi kahani sunakar mere or yogesh mein foot dalni chata hai!" dhahaadh ke sath he balraj ne jaib se rivolver nikaal liya - goriley ki trha jhapat kar usne kiran ke baal pakad liye - aprajita or yogesh thaggey se khadey reh the ki rivolver kiran ki kanpati se sataye woh gurraya - "agar tumne aagey badhne ki koshish ki tau main kiran ki khopadi udha dunga aprajita !"


"balraj" aprajita cheekh padhi ! (chachu ko balraj ke naam se pukara )


""kapaltantar bohat kameena hai yogesh !" balraj cheekhta chala gaya - " jhoothi kahani sunakar yeh meri sathiti saanp chhchundar wali bana dena chata hai - ek taraf aprajita janti hai ki yeh sab jhooth hai, dusri traf tumein mere khilaaf bhadka raha hai - yeh iss waqt bhi ussi mission par kaam kar raha hai - yogesh - patang ki sari dor par khud apna niyantran sthapit karne wale mission par - yeh hum dono ke hathon ek ko marmana chahta hai - zahir hai, yeh sun-ney ke baad dusrey ko aanchal maar daaleygi !"


yogesh ka dimag chakkra gaya !

[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:44

Update 44yogesh ka dimag chakkra ke reh gaya!


"tumein maloom yogesh, rudra yahan kewal D.G.P ko kiye gaye aprajita ke phone ke karan tha - kya aprajita villa mein khud ek jasoos ko rakheygi jo mohak ke hatyaron se badla lene ke mission par kaam kar rahi ho - pooch isse se ........... rudra ko aprajita yahan kyun rakhey huye thi ?"


jogesj ki aankhein gol hogayi , bola - "kya aap iss swal ka jawaab daingey maharaj ?"


"rudra ko jahan rakhna aprajita ki bewkoofi thi !" kiran ke halak se kapaltantar ki awaaz ghoonji !


"sun liya jawab tumne yogesh ?" balraj garja - "hatyaron se badla lene ke liye itna lamba chaura plan banane wali aprajita bewkoof thi!" balraj aagey bola - "jara socho yogesh - agar kapaltantar sach bol raha hai tau kyun nahi tumhare seene mein aag bhar kar mohak ki hatya ka badla le leta - kyun sidh karne par amada hu ki yeh jhooth bol raha hai ?"


balraj ke shabdon ne yogesh ka dimag hilla dalla !


yogesh ne kiran ke ander baithey kapaltantar se sawal kiya - "kya aap bta saktey hain maharaj, agar balraj apne bhai mohak ke hatyaron se badla lene ke mission par kaam kar raha tau iss waqt woh mujhe shoot karne ki jagha kyun yakeen dilla raha ke aap jhooth bol rahe hain - jawab diziye maharaj, iss swaal ka jawab diziye mujhe !"


"bol kameene .......... bol!" balraj ne kiran ko jhanjhodtey huye kapaltantar se sawaal kiya !


kiran ne kaha - "patta nahi abhi yeh kya khel khelna chahta hai ?"


"kyun?" balraj gurraya - "tu tau antaryami hai - sab kuch janta hai, yeh kyun nahi janta ?"


" khel tau aap khel rahe hain maharaj !" yogesh foot padha - "main samjh gaya - aap wohi khel khel rahe hain jiss ka balraj ko shuru se darr tha - hum sabko aapas mein bhidhkar aap akele sari property hadpna chahtey hain - pehle aapne mere hathon maheesh, rustam, markandey ke katal karwaye - ab mannghdant kahani sunakar balraj ko marwana chahtey hain magar aisa nahi hoga , iss daulat ko hadpne ka plan humne racha tha or iske malik bhi hum he hongey !"


"bewkoof ho tum !" kiran ke halak se gurrahat nikli - "property tau kabhi ki tumhare hath se nikal chuki hai !"


yogesh - " kya matlab.............


"yeh sahi kehta hai yogesh !" balraj bola - "aprajita ke samney sarey raaz pardafaash kar isne hamarey iradon par pani fairr diya hai, ab kisi bhi trha poori propety hamari nahi hosakti magar ............


"magar ?"


balraj - "mujhe maloom hai, aprajita ki tijori mein iss waqt bhi kamm se kamm 100 crore ka mall hoga !"


"balraj!" aprajita ki cheekh mein rone ki awaaz thi - "main soch bhi nahi sakti thi chachu aap itna girr saktey ho !"
______
__________
___________________
_________________________

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:45

Update 45"kyun ?" chakarwaat ne pucha - "wahan koi marr gaya hai kya ?"


karoop aurat ki dead body par najar tikaye rudra ne kaha - "aisa he samjho!"


"samjhne se kya matlab ?" gjanan bola - "jab maharaj ne laip mangwaya hai tau mara he hoga !"


"or uski laash sambhalkar rakhni hogi !" chakarwat ne baat se baat jodtey huye kaha - "laip ka kaam he yeh hai !"


ek pal ke liye rudra chup raha, fir kehne ka faisla le liya, jisey kehne se (kapaltantar ke mutabik) bhayankar parinaam nikalne wale the , bola - "shayad yeh jaankar tumein dukh hoga ki kapaltantar maharaj ka boodha shreer nasht hogaya hai !"


"k kya ?" ek sath dono ke moonh se nikla !


udhar karoop aurat iss trha uchal kar khadhi hogayi jaise bijli ka shokk laga ho !


aurat ko uchhlta dekh rudra he nahi chakarwat or gjanan bhi thaggey se khadhey reh gaye jabki karoop aurat kisi ki parwah kiye bhagair rudra ke najdeek pohanchi, dono hathon se uska girebaan pakad ke boli - "kya kaha tumne, kapaltantar marr gaye ?"


"haan !" buri trha hairan rudra ne kaha - "ek chakubaaz ne unke shareer ko khtam kar daala!"


" ufff !" usne dono hath jor se apne mastak par maarey - "maine kitna samjhya magar woh nahi maane - mujhe maloom tha, dhokha-dharhi se bhara jeevan jo jee rahe the uska ant ek din issi trha hona tha !"


"aap keh kya rahi hain ?" rudra ke chakkey chhotey ja rahe the - "ek shreer nasht hogaya tau kya huya ?, woh fir kisi dusrey shreer mein...............


"nahi ..... nahi ........, woh sab dhokha tha !" karoop aurat keh uthi - "mere sehyog se sabko murakh banatey the woh !"


"dhokha tha ?"


gjanan bola - "kapaltantar moorakh banatey the ?"


"aisa nahi hosakta !" chakarwat ne kaha - "woh parkaya parvesh ki vidhya me maharat hasil kar chuke the !"


"band karo bakwas !" karoop aurat behad dukhi najar aarahi thi - "jab woh he na rahe tau ab iss bhram ko banaye rakhne ka kya laabh ?"


"kya baat kar rahi hai aap ? gjanan garja - "kapaltantar maharaj kabhi nahi mar saktey !"


"woh mere pati the, unke barey mein tum jiyada jaan saktey ho ya main ?"


" p p p pati ?" sab chownk gaye !


"unhi ke kahe mutabik main tumein ek laash ke roop mein nadi se mili thi !"


"laash ke roop mein ?" rudra ke rongtey khadey hogaye !


"haann tantar dowara nahi balki yog ke dowara kuch dair ke liye nabz , dhakan , or saansein roki ja sakti hain - jisam ko laash ki trha thanda kiya ja sakta hai - uss darmiyaan jo bhi check kareyga woh shareer ko laash he samjheyga - woh dus min tak saans rok saktey the - unhone mujhe bhi practice kra ke sab seekha diya tha - main kewal 5mint yeh kriya kar sakti thi magar samne waley ko dhokha dene ke liye bohat tha !"


"mmm...magar !"rudra ne pucha - "yeh dhokha tum diya kyun karti thi ?"


"woh chahtey the !"


"woh kyun chahtey the ?" rudra ne poocha !


"dusro hairan karne ke liye !" karoop aurat sab batati chali gayi - khud ko mahaan tantrik show karne ke liye!


"aap unki awaaz ki nakal kar sakti thi ?"


"unhone seekhai thi !"


"or parkaya paevesh ke barey mein unhone jo bataya tha ?" rudra ka dimag chakrane laga tha!!


" woh sab kitabon se padha tha bus - pehle chakarwat or gjanan ko chamatkar dhikha kar khush huye, uske balraj-yogesh or tumein chamatkar dhikha ke khush huye - lekin anjaam wohi huya jo main hamesha kaha karti thi !"


"kya yogesh-balraj bhi jahan aaye the ?"


or sab sach sunn kar rudra ka dimag samundar ki gehraion mein dubki lagata chala gaya - khud se bola - "tau kya shaitan gudiya bhi acting kar rahi hai............. magar kyun ?"
_________________
_____________________ picture abhi baaki hai
________________________

Post Reply