Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 01 Feb 2016 21:29

Update 40"Meri samjh nahi aaraha maharaj, aakhir aap kar kya rahe hain ?" RUDRA kehta chla gaya - "kya pratishodh ki bhawna ne aapko iss kadar swaarthi bana diya hai ki mere, aprajita ke or uss masoom gudiya tak ke baarey mein kuch nahi soch rahe jiske shreer mein gussey baithe hain !"


"matlab ?"


jara sochiye, kanoon suksham shreer ya aatma ke aastitav ko sawikaar nahi karta - kal inn hatyaaon ke juram mein ...............


" kanoon ko hamara aastitav saweekar karna hoga !" kiran uski baat kaat ke kehti chali gayi - " fikar mat karo rudra - agar tumne hamarey kaam mein bhighan nahi daala tau hum iss devi or bachey ka baal tak baanka nahi hone daingey - parkaya pravesh ka woh drishya bhari aadalat ko dhikha daingey jo tumko apne aashram mein dhikhaya tha, fir tau theek hojayega sab !


"lekin.... !" rudra kehtey kehtey ruka - " aaj raat tak maheesh ki laash se badboo uthne lageygi usk kya krna ?"


"iss ka bhi ilaaz hai "


"kya ?"


"tum hamarey aashram chaley jao - gjanan se milna - kehna humne laash ko surakshit rakhne wala laip mangwaya hai !"


rudra ne pucha - "aap mujhe villa se bahar jane ko keh rahe hain ?"


"haan !"


"kya aapko darr nahi ki main ..........


"nahi humko koi darr nahi hai !" kiran ne uski baat kaati - issliye nahi hai, kyunki hum do baatein achhi trha jaantey hain - pehli, tum gudiya se bohat pyaar kartey ho - dusri, itni samjh tum mein hai ki agar koi ulti seedhi harkat ki tau hamara kuch nahi bhigaadh paaogey - jo nuksaan hoga, kiran ke jisam ka hoga !"


rudra chupp reh gaya !


"jaao - unnse laash par lagane wala laip le aao, usko lagane ke baad badboo nahi utheygi !"


aprajita ne rudra se binti ki - "koi bhi kadam uthane se pehle kiran ka khyaal kar lena rudra !"


"woh samjhdaar hai devi - tumse behtar janta hai" - kehne ke baad kiran ne chetawni di - magar dhyaan rahe, gjanan ya kisi or se jikar tak na karna ki hamara shreer nasht hochuka hai !


"kyun maharaj ?"


"har kyun ka jawab nahi hota !" kiran ne sapaat swar mein kaha - "agar tumne unse iss barey mein kaha tau parinaam bhyankar hongey !"


rudra ki aankhein sikud kar gol hogayi !
_____
__________
______________
__________________


bathroom waley darwaze ki chitkani lagane ke baad rustam ne ek nazar balcony mein khulne waley or ek nazar dusrey bathroom mein khulne waley darwaze par nazar daali ! - dono pehle se band the - bed ki traf badhtey waqt jane kaise ussey maheesh ke kamrey mein ab tak jiyun ki tiyun latak rahi uski laash yaad aagayi !


jisam mein jhurjhuri dhodh gayi !


fir yeh sochkar sir ko jhtka diya ki aise khyaal dimag mein rahe tau ek pal ke liye bhi neend nahi aayegi bed par betarteeb padey takiye ko apne sir ke neechey lagane hetu kheencha he tha ki kamrey mein tej funkaar ki awaaz ghoonji !


rustam ke moonh se cheekh nikal gayi !


ek behad kala or chamkeela naag bed par funn uthaye khadha tha !


rustam hilla tak nahi !


naag funn uthaye jhoom raha tha !


"rustam ...... rustam ! markandey ki bhokhlaahat bhari awaaz ke sath bathroom wala darwaza peeta gaya !


hosh aatey he woh saanp saanp chillaata darwaze ki traf lapka !


parantu naag hawa mein uchhalkar uske kandhey par kood chuka tha!


"bachao ..... bachao !" cheekhtey huye usne naag ko kandey se hata chaha tau uske hathon se lipat gaya - halak se dardnaak cheekhein nikalne lagi - udhar cheekhon ko sunkar markandey mano pagal ho utha, buri trha drwaza peetta huya woh rustam ........ rustam cheekhta chala gaya!
__________
_______________ gaya rustam
___________________[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:43

Update 41
"Kya huya ........... kya huya ?" ghabhraye huye balraj, yogesh or kiran kamrey mein dhakhil huye - kiran bhi sath thi- par chere pe muskaan liye !!!


"rustam abhi - abhi sone ke liye apne kamrey mein gaya or uske cheekhne ki awaazein aane lagi !" unn sabke sawaalom ka jawab diya markandey ne !


balraj ne kaha - "humein tau koi awaaz nahi aa rahi !"


markandey mano neend se jaga !


sachmuch ab rustam ke kamrey se koi awaaz nahi aarahi thi !


"lekin" markandey ke chehrey par khauffff fail gaya - "abhi abhi rustam cheekh raha tha, shayad ......... shayad rustam ........ rustam !" markandey darwaze ko todne laga - balraj yogesh ne bhi madad ki - balraj ne jaib se rivolver nikala ki - bhadhak ki awaaz ke sath darwaza toota tabhi!


"sabki nazar ek sath kamrey ke farsh par padhi rustam ki laash par sathir hogayi, uske moonh se jhaagh nikal rahe the !


sabhi awaakk the !!


kiran boli - "isko naag ne kata hoga !"


"www woh raha!" kehne ke sath balraj ne fire kiya or agle pal bed ke pass naag ki lahoo lohaan laash padhi najar aai !


markandey ke dimag mein aandhiyan chal rahi thi ! sara jisam maut ke khaufff ki jakdan mein tha - usne balraj ke rivolwer wale hath par jump lagai or agle pal na kewal balraj ka revolver uske hath mein tha balki ussey aprajita ki kanpati se lagaye gurrra raha tha - "kisi ne harkat ki tau main isko bhunkar rakh dunga !"


"yeh kya kar rahe ho maharaj ?" balraj cheekha !


"apun samjh gaya, ab yahan ek pal rukna munasib nahi hai !" markandey gussey se bola -"tum kuch nahi kar sakogey balraaj - tumharey kuch karne se pehle apun ko bhi khalaas kar diya jayega - hatto rastey se, apun ko kasaikhane se bahar nikalna hai !"


"hosh mein aao maharaj !" balraj cheekha - "yeh aap theek nahi kar rahe !"


"kahe ka maharaj ?" markandey bola - "sab kuch khatam hogaya, ab yeh natak kisliye zari rakhun ? - jab apun ke sathi he nahi rahe tau tum mein se bhi koi nahi bacheyga - sara khel he khatam kiye deta hai apun iss khel ke asli ...........


"pit .... pit ... !"


do goliyan ek sath chali !


ek markandey ke seene mein gussi, dusri khopdi mein soorakh karti nikal gayi !


antim cheekh ke sath balkhata sa girra markandey !


sabne palatkar yogesh ki taraf dekha !


yogesh aankhon he aankhon mein balraj ko samjhana chahta tha ki jab markandey sarey raaz kholne pe he utaaru hogaya tau uske pass chara kya tha ?


"yeh tumne kya kiya yogesh ?" kiran ke halak se kapaltantar ki gurrahat nikali - "kyun maar daala isko?"


yogesh "tau kya didi par goli chalane ka maukka deta ?"


balraj bola - "jaise bhi huya magar woh hogaya maharaj jo aap chahtey the !"


"nahi, hum abhi iski maut nahi chahtey the !"


"kyun ?"


"ab humko naqab - posh ka patta kon batayega ?"


aprajita kiran ki taraf palti ,boli - "ab aapke pass koi bahana nahi hai maharaj - jinho-ne aapke bhudhey shareer ko nasht kiya tha , woh teeno mar chukey hain - meri gudiya ko azaad kar diziye, lota diziye meri kiran !"


"naqab - posh baqi hai !"


"nahi ..... nahi maharaj !" aprajita bintikar uthi - "ab koi bahana na lagayein, plzzzzzzzzz ........... meri kiran ko theek kar do !"


"o.k !" achanak kiran balraj ki taraf dekhkar muskuraya - "aao , neechey chaltey hain !"


balraj markandey ki laash ke najdeek girra apna revolver uthana nahi bhoolaaaaaa!

_________
_____________________ ab kon mareyga ? Aagey ... ab ek mareyga or wohhhhhhhhhhhh main ........... nahi batungi hehe
_________________
______________________

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1583
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 02 Feb 2016 08:43

Update 42 HALL mein pohanchtey he kiran k halak se kapaltantar ki awaaz goonji - "humein sabse jiyada hamdardi tumse hai yogesh!"


"m m mmujhse maharaj ?" yogesh haklaya - "kyun ?"


"kyunki sabse buri trha tum daggey gaye !"


" ttt thagga gaya hu ?"


"haan!"


"main samjha nahi maharaj !"


"yaad karo !" kiran ne kaha - "tum kareeb saal bhar pehle hamarey pass aaye the !"


"mmmm maharajjjjj !" yogesh poori taqat se cheekh padha "- yeh yeh kya keh rahe hain aap, reham kiziye......... maine kabhi aapka bura nahi chaha !"


"humein maloom hai tum pehla bakyaa sunkar itne kyun darr gaye !" kiran ki muskaan gehri hogayi - "magar darne ya fikarmand hone ki jaroorat nahi hai , jo hum kaheingey woh balraj or aprajita pehle se jantey hain!"


"jjj-jantey hain ?" yogesh ke halak se cheekh nikal gayi !


"na kewal woh jo tumne kiya, balki woh bhi jo tum nahi jantey or tum ussey jaan lo, iss waqt hum yehi chahtey hain !"


"meri samjh mein kuch nahi aaraha maharaj !"



" sunogey tau samjhogey na - yeh sochkar suno ki hamarey rehtey tumhara koi kuch nahi bigaad sakta - jab hum kiran ke andar hain tab tak yeh hamarey gulaam hain !


kiran ke moon se kapaltantar awaaz nikalti chali gayi - "diary likhna iss duniya ka sabse bebkufana kaam hai - tumein maloom hai, yeh bewkoofi tum kiya kartey the


- shaitan gudiya jisko tum bachi samjhkar apne kamrey mein aane jane dete uske sath kheltey USSI SHAITAN GUDIYA ne tumhari sari dairy padh li


or JAAN LIYA KI MOHAK NE FACTORY ke accounts mein tumharey dowara ki gayi herafairi pakad li thi - mohak tumharey khilaaf action lena chahta tha !!


tum humse mile - maaran-anusthan krakar uska accident karwaya or inaam mein woh kothi humein di jismein aaj hamara aashram hai, yeh sab usne apne doston or balraj chachu ko bata diya!"




"yeh yeh aap kya keh rahe hain maharaj ?" aprajita cheekh padhi - "unki hatya huyi thi, hatyara yogesh hai or .......... kiran or balraj sab jantey the ?"




"ab iss natak se koi fayda nahi devi !" kiran ki muskaan or gehri hogayi - " hum jantey hain, balraj ne baad mein diary mein likhi ek ek baat tumko bhi btayi - tum bhi hatyron se badla lene ke liye pagal ho uthi, magar ..........


.... magar uss se pehle hamarey barey mein poori jankari hasil karne ka faisla huya - gudiya ke dost or balraj alag alag bhaish banakar hamarey aashram mein aane lagey or dherey dherey jaan gaye ki ------


----- hum tantar-mantar ke bal par tab chhotey mottey chamatkar jaroor dhikha saktey hai parntu maaran anushthan ke zariye kisi ko marne ki power nahi rakhtey ----


---- client ko thaggne or or uss par apna sikka jamaye rakhne ke liye hum maran anushthan ke naam par mota chanda lete,


AZGAR ke naam se markandey jaise logon ko phone karke iss hidayat ke sath client ka kaam kara dete ki murder bhi natural death lagey - BALRAJ jaan gaya, iss ke bhai MOHAK ko humne markandey group se thikkane lagwaya tha -


MARKANDEY GROUP ne apna kaam itni safai se kiya ki jaanch ke bawjood murder sabit na hosaka - ab inki hit-list mein markandey,rustam,monicka or maheesh bhi aagaye !"





"a aap bakwas kar rahe hain maharaj !" iss baar balraj garja !


" beech mein boley tau pachhtana padeyga balraj!" kiran ke halak se gurrahat nikali palat kar YOGESH se boli - "jiss trha tumein nahi maloom tha ki hum maaran anushthan dowara nahi balki markandey jaise badhmasho se kaam karatey hai vaise he markandey aadhi nahi jantey the ki AZGAR ek tantrik hai-----


kiran,aprajita,balraj sabko jaan chuke the- inhone hum 6 logon se mohak ki hatya ka badla lene ki yojna banai - issi liye sabse pehle BALRAJ ne tumhare dimag mein yeh dhunskar tumein fasaaya ki yeh apne bhai ki basiyat se astantushat hai or kisi trha poori property hadpna chahta hai - tumein tau aisa bewkoof chahiye he tha ----




so tum fanss gaye - woh he kiya jo yeh chahtey the - yani ki mere pass aaye - kiran ko bimar karne ki baat ki - uss waqt hum bhi nahi jantey the ki asal saazish kya hai so anushthan shuru kar diya - theek kiran ke janam din wale din lawn ke ek tree se chhatri chhudwaai - yeh kaam jaanbhujh kar markandey group se nahi karwaya kyunki woh sochtey ki AZGAR mohak pariwar ke pichey kyun padha hai ----------


-- idhar balraj ne tumein kiran ke asli baal nahi diye the isiliye uss par anushthan ka koi asar hone ka sawal he nahi tha !"





"tau kiran ka dard, woh cheekh chillahat ?"


kapaltantar :deil2: ki awaaz goonji - "sab gudiya ki acting thi, warna uske sweet sweet dost kya apni gudiya ka hall bhi na poochne aatey kya ? yeh master plan tha he gudiya ka, jo uske sab dost jaantey the ! abhi 10th mein sochta hu baad mein kya kareygi shaitan gudiya ha ha ha !"


"fir doctors ki report ?"


kiran ke moonh se kapaltantar ki gurrahat nikli - "bewkoof jab kiran thi he theek tau report bhi theek he aani thi na .........


yogesh ne pucha "aap dhokhey mein kaise fanss gaye fir maharaj, aapko tau maloom tha anushthan se aisa kuch hone wala nahi hai !"


" yogesh yeh ek bhidhamna hai !" kiran ke halak se ghambheer awaaz nikli - "hum jaise tantrik dusron ko dhokha dete dete ek din khud apne he dhokhe mein fans jatey hai - wohi huya, aakhir anushtan hum kartey tau ussi mutabik hain jaisa tantar ki kitabon mein likha hota hai - jab tum dono ne aashram mein aakar bimar gudiya ka haal byaan kiya tau na kewal khud apne bhramjaal mein fanss gaye balki yeh sochkar man he man khush bhi huye ki tantar ki kitabon ne humein sach-much kisi ko bimar karne ki power ka vikaas kar diya hai- kitabon ke likhey mutabik he tumein dawaiyan di - lagne laga ki ab markandey jaise logon ki jaroorat nahi padha kareygi.....


....... ek baat or tumhare mana karne ke bawjood balraj markandey ke addey par pohncha - ek carore ka laalach dekar tantrikon ke roop mein unko yahan laaya - darasal hum sabko iss kasaikhane mein ikhatha karna he inka udeshyaa tha !"
__________
___________________picture abhi baaki hai
___________________________ kya chaal chal raha kapaltantar ? kya sach mein master plan gudiya ka tha jo abhi 10th mein thi sirf ? ya raaz kuch or bhi hain doston ...........
Continue. ...................
[/size]

Post Reply