Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story
Posted: 01 Feb 2016 21:29
Update 40"Meri samjh nahi aaraha maharaj, aakhir aap kar kya rahe hain ?" RUDRA kehta chla gaya - "kya pratishodh ki bhawna ne aapko iss kadar swaarthi bana diya hai ki mere, aprajita ke or uss masoom gudiya tak ke baarey mein kuch nahi soch rahe jiske shreer mein gussey baithe hain !"
"matlab ?"
jara sochiye, kanoon suksham shreer ya aatma ke aastitav ko sawikaar nahi karta - kal inn hatyaaon ke juram mein ...............
" kanoon ko hamara aastitav saweekar karna hoga !" kiran uski baat kaat ke kehti chali gayi - " fikar mat karo rudra - agar tumne hamarey kaam mein bhighan nahi daala tau hum iss devi or bachey ka baal tak baanka nahi hone daingey - parkaya pravesh ka woh drishya bhari aadalat ko dhikha daingey jo tumko apne aashram mein dhikhaya tha, fir tau theek hojayega sab !
"lekin.... !" rudra kehtey kehtey ruka - " aaj raat tak maheesh ki laash se badboo uthne lageygi usk kya krna ?"
"iss ka bhi ilaaz hai "
"kya ?"
"tum hamarey aashram chaley jao - gjanan se milna - kehna humne laash ko surakshit rakhne wala laip mangwaya hai !"
rudra ne pucha - "aap mujhe villa se bahar jane ko keh rahe hain ?"
"haan !"
"kya aapko darr nahi ki main ..........
"nahi humko koi darr nahi hai !" kiran ne uski baat kaati - issliye nahi hai, kyunki hum do baatein achhi trha jaantey hain - pehli, tum gudiya se bohat pyaar kartey ho - dusri, itni samjh tum mein hai ki agar koi ulti seedhi harkat ki tau hamara kuch nahi bhigaadh paaogey - jo nuksaan hoga, kiran ke jisam ka hoga !"
rudra chupp reh gaya !
"jaao - unnse laash par lagane wala laip le aao, usko lagane ke baad badboo nahi utheygi !"
aprajita ne rudra se binti ki - "koi bhi kadam uthane se pehle kiran ka khyaal kar lena rudra !"
"woh samjhdaar hai devi - tumse behtar janta hai" - kehne ke baad kiran ne chetawni di - magar dhyaan rahe, gjanan ya kisi or se jikar tak na karna ki hamara shreer nasht hochuka hai !
"kyun maharaj ?"
"har kyun ka jawab nahi hota !" kiran ne sapaat swar mein kaha - "agar tumne unse iss barey mein kaha tau parinaam bhyankar hongey !"
rudra ki aankhein sikud kar gol hogayi !
_____
__________
______________
__________________
bathroom waley darwaze ki chitkani lagane ke baad rustam ne ek nazar balcony mein khulne waley or ek nazar dusrey bathroom mein khulne waley darwaze par nazar daali ! - dono pehle se band the - bed ki traf badhtey waqt jane kaise ussey maheesh ke kamrey mein ab tak jiyun ki tiyun latak rahi uski laash yaad aagayi !
jisam mein jhurjhuri dhodh gayi !
fir yeh sochkar sir ko jhtka diya ki aise khyaal dimag mein rahe tau ek pal ke liye bhi neend nahi aayegi bed par betarteeb padey takiye ko apne sir ke neechey lagane hetu kheencha he tha ki kamrey mein tej funkaar ki awaaz ghoonji !
rustam ke moonh se cheekh nikal gayi !
ek behad kala or chamkeela naag bed par funn uthaye khadha tha !
rustam hilla tak nahi !
naag funn uthaye jhoom raha tha !
"rustam ...... rustam ! markandey ki bhokhlaahat bhari awaaz ke sath bathroom wala darwaza peeta gaya !
hosh aatey he woh saanp saanp chillaata darwaze ki traf lapka !
parantu naag hawa mein uchhalkar uske kandhey par kood chuka tha!
"bachao ..... bachao !" cheekhtey huye usne naag ko kandey se hata chaha tau uske hathon se lipat gaya - halak se dardnaak cheekhein nikalne lagi - udhar cheekhon ko sunkar markandey mano pagal ho utha, buri trha drwaza peetta huya woh rustam ........ rustam cheekhta chala gaya!
__________
_______________ gaya rustam
___________________[/size]